• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Uff! Ye Mohabbat ! (completed)

Sauravb

Victory 💯
8,102
14,237
174
Update 38



Sanjana- I love you Avi

Aur itna bol ke usne dobara avi ko gale laga liya

Aaj fir do premi do aatmaye prem bandhan me bandh gaye the, aisa lag raha tha ke ye pal kabhi khatam na ho samay yahi ruk jaye aur aaj is baat ki gawahi khud chand de raha tha aur uske sath tha Tajmahal

Udhar aniket aur komal baithe huye the komal ne aniket ka hath pakda hua tha aur uske kandhe sar rakha hua tha aur dono ek dusre me khoye huye us poornima ke chand ki chandni me dube chand ko dekh rahe the

Tabhi aniket bola

Aniket- duniya ka sabse anmol gift hoga ye jo ek premi ne apni premika ko diya hoga

Komal- par ani, isse bhi jyada khubsurat aur anmol koi aur gift bhi to hi sakta hai na ?

Aniket- koi chance hi nahi hai, isse jyada anmol aur khubsurat gift ho hi nahi sakta

Aniket ki baat sunkar komal boli

Komal- aise kaise, hota hai baba

Aniket- acha, to fir mujhe wo gift tumse chahiye jo is taj se bhi jyada khubsurat aur anmol ho

Komal apne hath me pakda aniket ka hath apne hotho ke paas le gayi aur uske hath par kiss kiya aur dheere se aniket ka hath apne pet par rakha aur boli

Komal- aisa anmol gift mai jald hi tumhe dene wali hu

Itna bol ke komal sharma gayi aur aniket to kuch pal ke liye ekdum shant ho gaya, use kuch sujh nahi raha tha aur fir wo achanak chillaya

Aniket- kyaaaaa!!!!!

Aniket itni jor se chillaya ke aaju baju chipak kar baithe huye couple bhi darr kar dur ho gaye aur aniket to khushi se pagal ho gaya tha

Aniket- komu kya bola tumne abhi? Ye ye sach hai na ?

Komal sharmaye ja rahi thi aur usne bas ha me gardan hila di

Aniket- komu sach me hum maa papa banne wale hai ?

Komal jhutha gussa dikhate huye boli

Komal- ab kya bond paper par likh kar du ye baat tumhe

Aniket- hurrraayyyyy

Aniket ne komal ko apne paas liya aur dono hatho se uska chehra pakad kar use chumne laga

Komal use rokte huye boli

Komal- arey arey ani ruko

Aniket kuch pal ruka aur fir bola

Aniket- ye tumhare liye the aur ab hamare aane wale bacche ke liye

Aur fir se komal ko chumne laga aur fir use gale laga liya aur agle hi pal usne komal ko god me utha liya aur gol gol ghumne laga, komal bhi bahut khush thi fir bhi bol rahi thi

Komal- ani niche utaro na mujhe, mujhe chakkar aa rahe hai tum gura doge mujhe

Aniket- aise kaise gura dunga tumhe

Komal- ander wo ghabra gaya hoga na

Tab aniket use niche utarte huye bola

Aniket- oye ladka nahi ladki chahiye mujhe, I want choti komal, rane ki raj nandini

Aur fir wo jhat se ghutne ke bal baith kar komal ke pet ko chumne laga

Aur fir wapis se komal ko gale laga liya, ekdum kas ke, aur fir kuch pal waise hi beetne ke baad jab wo alag huye to aniket ki aankho me pani tha, uska awaj bhari ho gaya tha aur gala bhar aaya tha, wo bahut kuch bolna chahta tha par shabd uska sath nahi de rahe the aur badi koshisho ke baad wo bola

Aniket- thank you komal, I love you so much

Aniket ko itna bhavuk komal ne kabhi nahi dekha tha, usne wapis aniket ko gale laga liya

Aajtak tajmahal ko bahut ghamand tha ke uske jaisa khubsurat pyaar ka tohfa aur dusra nahi hai par aaj komal aur aniket ki taraf dekh kar uska ye garv chur chur ho gaya, kyuki komal ne jo pyar ka tohfa aniket ko diya tha uske samne to taj bhi fika tha



Aniket ne komal aur komal alag huye, wo bhavuk pal, khushi ke aansu beh gaye the aur ab bacha tha to bas aanand, aniket ko to kya kare kya nahi aisa ho raha tha aur jab usko aisa lagta hai wo paglo jaise nachne lagta hai :doh: aur yaha bhi wahi hua ye yeda nachne laga aur jor jor se ga bhi raha tha

Aniket- hathi ghoda palki jai kanhaiya laal ki

Aur usme ek baat aur jodi

Aniket- aniket komal ke anand bhayo jai kanhaiya laal ki, rane ke anand bhayo jai kanhaiya laal ki

Uska awaj yash priya aur sanjana avi tak bhi pahucha, yash aur priya daudte huye aniket aur komal ke paas pahuche, avi ko bhi sanajh aa gaya tha ke aniket jab klhush hota hai to aisa hi karta hai matlab ab uske samne jane me koi khatra nahi tha aur avi aur sanjana bhi unke paas aane lage

Yash ko lag raha tha ke avi mil gaya isiliye aniket khush hai aur jab yash waha pahucha to aniket ne use gale laga liya

Aniket- aniket komal ke anand bhayo jai kanhaiya laal ki

Yash ko samajh nahi aa raha tha ke ye itna khush sirf avi ke milne par hai kyuki avi kahi najar nahi aa raha tha aur usne pucha

Yash- kya hua achanak anya

Aur aniket chillate huye bola

Aniket- yashya mai baap banne wala hu aur tu kaka

Yash ne use gale laga liya

Yash- areyyy gajab launde, ek number, congratulations bhava

Idhar priya ne bhi komal ko hug kiya, yash aur aniket to wahi gale lag kar kud rahe the fir yash bola

Yash- anya dil khush kar diya tune bhai, tune meko kaka banaya ab mai bhi teko kaka banane wala hu

Aniket- kya baat kar raha hai, tune bhi number laga diya, arey gajab

Priya bhi sharma gayi

Aur ye dono to paglo mafik nach hirahe the

Itne me avi aur sanjana waha pahuche, aniket ki khushi ka koi thikana hi nahi tha, avi bhi thoda darte darte uske samne aaya, use lag raha tha ke ab aniket uski achi dhulai karega par ulta aniket usko dekhte chillaya aur bola

Aniket- avya bsdk suna kya.. mai baap banne wala hu tu kaka banega be



Aur ekdum kud ke avi ke gale lag gaya aur ye news sun ke to avi bhi sab bhul ke aniket ke sath nachne laga aur usko aur komal ko chilla chilla ke congratulations bolne laga, aur fir aniket bola

Aniket- aur sun, tu ek nahi do baccho ka kaka banega , ye yashya ne bhi number laga diya hai

Fir kya teeno sath nach rahe the aur sab log unko dekh ke has rahe the, par aniket avi ayr yash apni hi masti me thi,unko kaha logo se kuch lena dena tha, sanjana ne bhi komal aur priya ka abhinandan kiya aur komal bhi usko aankh marte huye boli

Komal- congrats to tumko bhi banta hai, hamare jaisa nahi par avi mil gaya isiliye

Wo pal hi aisa tha ke sab bhul gaye the ke avi aa gaya hai aur pichle kuch dino me kya hua hai

Teeno lagatar nach rahe the aur jab nach kar thak gaye to dhad se wahi bagiche me lawn par gir gaye, teeno ki saas ful gayi thi aur teeno haaf rahe the, teeno itna nache the ke ab ghas par baith par apne saas par kabu pa rahe the aur unko aisa dekh ke priya boli

Priya- jara dekho inko, kuch dino me baap banne wale hai par baccho jaisi harkate nahi gayi inki

Komal- ha na ab hame ek nahi do do baccho ko sambhalna padega

Komal ki baat par sab hasne lage, fir sab ghas par baithe aur komal avi se boli

Komal- aa gaye sari duniya ghum ke, laaj lajja sharam wo to sab bech hi khayi hai hai na ? jaa nikal di us bechari ki

Avi ne bhi apne kaan pakde aur bola

Avi- sorry, wo darasal hua kya ki…

Aniket- oye haad.. chup…. Aaj apna corore rupaye ka mood hai aur mereko aaj aisi faltu baate sunne ki bilkul icha nahi hai, aaj ke liye maaf kiya tere ko par ye mat samajhiyo ke chhut gaya tu, tera hisab mai baad me dekhunga, tere ko jo bhi mafi wafi mangni hai kal dekhenge aaj ka time sirf aur sirf mera aur meri kammo ka chalo sab utho aur kalti maro idhar se, mereko privacy chahiye

Aniket ki baat par sab hasne lage kyuki usne baki charo ko bhaga diya tha waha se aur komal ke paas aaya par waha ek aur banda tha jo in sab ka sakshi tha, aniket ne usko bhi gale lagaya aur us bande ne bhi aniket aur komal ko congrats kiya aur fir aniket ne usko piche ghumaya aur mast ek laat marte huye bola

Aniket- tereko alag batau kya ke humko privacy chahiye, tu bhi nikal

Aur wo haste huye nikal gaya aur komal ne pucha

Komal- ye kon ?

Aniket- isko nahi pehchana kya ? ye wohi hai apna setallite adi jo hamesha apne pe najar rakhta hai

(bsdk mai na hota to tum bhi nahi hote :beee: )

Komal bhi hasi aur boli

Komal- acha hua bhaga diya warna kal ispe bhi update likh deta


(abhi to beta ruk update to jarur likhunga )
Aniket aur yash baap banenge bachpana gaya nehni bache smbhalenge..Avi aur sanjana ki milan ho gaya..fantastic update..
 

Sauravb

Victory 💯
8,102
14,237
174
Update 39



Priya ko raat me ek flight pakadni thi, uski office me kuch important meetings thi to usko direct airport par chhod kar sab ko raat me deri se hotel par pahuche, aniket ne jabardasti yash ko rok liya tha aur aniket ke jid ke aage priya ko manna hi pada

Aur hotel pahuch par aniket ne yash ko sunaya

Aniket- khabardar agar raat me avya ko room ke bahar kadam bhi rakhne diya to, ye nikla to tu gaya

Aniket ki baat sun kar avi hasa aur aniket sanjana ki taraf dekh kar bola

Aniket- sorry ha sanjana

Par sanjana bhi ab uske sath mil gayi thi aur wo aniket ka sath dete huye boli

Sanjana- usme sorry kyu ? ise bhi jara tadapne do… hamara hi tadapna jaruri hai kya

Aniket- shabas, now that’s call my vahini

Aur avi bhi sevak ki tarah jhuk ke bola

Avi- jo hukum mere aaka

Sanjana muskurayi aur boli

Sanjana- ab aise meetha meetha bolne se tumhari saja kam nahi hone wali

Aur fir aniket ki taraf dekh kar boli

Sanjana- deverji, mai to inhe saja de nahi paungi isiliye isko kya saja deni hai kaise deni hai iske sare adhikar mai aapko deti hu

Aur isi ke sath avi ne apna matha peet liya

Avi- shabash, kasai ke hath me bakri ko de diya, bhagwan bacha le re baba

Yash- tere sath to beta yahi hona chahiye

Aur aniket bhi kisi pauranik serial ke rakshas ki tarah haste huye bola

Aniket- ha ha ha, ab tera kya hoga re kaliya, ka socha tha ke sardar khush hoga sabasi dega

Avi- bhagwan hai kaha re tu, bacha le re baba

Aniket- chalo bhabhi, ye faltu logo ko bolne do mai tumko tumhare room tak chhodta hu

Aur fir ek taraf komalaur dusri taraf sanjana ko leke aniket apne room ki taraf nikal gaya aur avi aur yash bhi unke room me aa gaye.. panch minute ke baad yash ke room ki bell baji, avi ke darwaja khola to samne aniket khada tha aur wo jhat se bola

Aniket- mereko chhod kar agar party ki to bahut marunga dono ko

Aur itna bol ke apne room me chala gaya

Agli subah sab tayar hokar niche aaye aur hotel se checkout kiya aur aniket ne farman jari kar diya

Aniket- avya, jaisa ki kal hamari bhabhi ne kaha tha us hisab se teri saja aaj se shuru hoti hai

Avi- hao malik, ab tumko takleef di hai saja to bhugatni hi hai

Aniket raja ke pose me khada hote huye bola

Aniket- to sevak, abhi hum nashta karne ja rahe ai tab tak sabka saman utha ke gadi me rakho aur hame wahi milo

Avi- jo hukum maharaj

Aur charo hotel me nashte ke liye gaye aur fir sab nashta karke bahar aaye aur avi sanjana ke sath car ke pichli seat par jake baitha to aniket aaya aur usse bola

Aniket- o prem kabutar, hum kya teri barat leke ja rahe hai ? chup chap gadi chalane ka hum hamari rani sarkar ke sath baithenge

Ab avi karta bhi kya, bechara chup chap gadi chalane laga

Ab wo pancho ghar wapis aane ke liye nikal gaye the aur avi ne rear view mirror aisa set kiya tha ke usko sanjana dikhti rahe par ye bhi aniket ke dhyan me aa gaya aur wo ab bhi raja ke hi character me tha

Aniket- sevak, wo aaina piche se aane wali gadiya dekhne ke liye banaya gaya hai apni heroine do dekhne ke liye nahi

Av wapis mirror theek karta isse pehle hi aniket bola

Aniket- theek hai theek hai rehne de, ya aish kar, tu bhi kya yaad karega ki kis dildar se pala pada hai

Fir kuch samay aur beeta aur aniket wapis bolne kaha

Aniket- ha to chalo sab ek ek karke batao ke avi ke saja ke bare me tumhara kya kehna hai yash ho shuru

Yash- everty thing is well that ends well

Par aniket usko beech me rokte huye bola

Aniket- o english medium hindi me bata hindi me

Yash- waise dekha jaye to ye in dono ka mamla hai apan kon hai saja dene wale ?

Aniket- aise kaise apan kon ? arey apan kon ? abe inke chakker me gadi chala chala ke yaha mera pichwada sijh gaya aur apan kon ? useless chup baith tu, kammo tu bol

Komal- maine to avi ko maaf kiya, ulta mujhe use thank you bolna hai ke uski wajah se ye paanch din meri jindagi ke sabse yaadgar din ban gaye, so maine maaf kiya use

Aniket- lo yaha to sala home minister hi fitur ho gaya, sanjana tumhara kya kehna hai ?

Sanjana- maine to kal hi bata diya tha, sare adhikar tumhare paas hai

Aniket- shabas, par yaha ek locha ho gaya, do log bol rahe ke saja ko do nahi bol rahe theek to aaropi avya tumhara kya kehna hai

Avi- ab galti kihai to saja to milni chahiye

Aniket- shabash, yahich umeed thi tere se, ab gaya beta tu

Thoda time beeta aur aniket firse bola

Aniket- avi wo waha aage ganne ke ras wala dikh raha hai waha rok jara gadi, ganne ka juice pine ka mood hai

Aur fir avi ne waha gadi roki aur sab niche utre aur waha rakhe benches par jakar baithe, aniket us juice wale se jara baat kar raha tha, yash aur komal avi aur sanjana ki maja le rahe the aur achanak wo hua jo kisi ne sapne me bhi nahi socha tha..

“sataakkk”

Aur agle hi pal avi apni peeth malte huye utna

Avi- mara mara BC

Wo utha aur piche palat ke dekha to piche aniket ne raswanti wale ke paas se ek ganna liya tha aur usi ganne ka fatka avi ki peeth par baitha tha aur aniket bol raha tha

Aniket-sale harami neech aadmi teri himmat kaise huyi ye karne ki

Avi sorry sorry bol raha tha aur agle hi pal agla waar huye uske kandhe par

“Sataakk”

Aniket- ab sorry kyu, tab kya akal ghas charne gayi thi kya

“sataakkk”

Aniket- gali gali sim sim khelna hai na tere ko ? yaha hamari kya halat huyi uske bare me socha hai kya ?

“sataakk”

Aniket- idhar hamari hawa tight ho gayi thi aur tere ko maja dekhni thi ? sidhe sidhe aake puri baat bata nahi sakta tha ?

“Sataakk”

Anibet- sale do din jal bin machli ke jaisa tadpa hu mai aur tere ko ghumna sujh raha tha, ek shabd bhi mere se nahi bola tu, sale dost bolta hai na mujhe ? bhai manta hai na? fir…

“sataakkk”

Aniket- tu yaha ghum raha tha aur wo ladki paglo jaise tujhe dhundh rahi thi tere liye ro rahi thi

Aniket ne aage marne ke liye ganna uthaya hi tha ke is baar sanjana avi ke samne aake khadi huyi aur boli

Sanjana- ani, do fatke to mujhe bhi bante hai na ? kyuki galti akele avi ki thode hi thi meri bhi galti thi, mai bhi to in sab ko jimmedar hu, ulta mai to kahungi ke sab meri hi wajah se hua hai, maine avi ko maaf kar diya tum bhi kar do

Sab achambit hokar ye sab dekh rahe the aur avi ne sanjana ko side hataya aur bola

Avi- anya maar, tere marne me tera guaa nahi balki mere liye pyar, apnapan aur chnta hi najar aa rahi hai, mereko to khushi hai kyuki tu ye sab kabhi jatata nahi hai par aaj wo bahar aa gaya, anya maar

Aniket ne marne ke liye ganna uthaya jarur par agle hi pal avi ko gale laga liya

Aniket- tere ko pata nahi hai avya tere gayab hone ke baad meri kya halat huyi thi, kitna hi try kar lu dimag ne bure khayal ja hi nahi rahe the aur unke bare me soch kar hi meri atma kamp rahi thi, aisa lag raha tha mano jisko maine apna bhai mana aaj usi ne paraya kar diya ho, tu pehle wada ke ke jindagi me chahe kuch ho jaye tu sabse pehle mere paas aayega, wada kar..

Avi- tereko to bhai me sapne me bhi kabhi paraya nahi kar sakta, sorry yaar, bahut sataya hai maine tum logo ko, maaf kar do yaaro, par aage chahe kuch ho sabse pehle tere ko bataunga, pakka wada

Wo scene dekh ke sabki aankho me pani tha, aaj wapis sab atut dosti ka namuna apni aankho se dekh rahe the

Aniket se avi ko alag hataya aur fir agle hi pal

“sataakk”

Yash- eee mumyyyyy

Is baar fatka yash ko pada tha aur yash apni peeth malte huye chillaya

Yash- anya pagal ho gaya kya ? maine kya kiya be

“sataakk”

Ek aur fatka pada aur aniket bola


Aniket- harami neech halkat mere ko bahut baad me pata chala ke ye sab ka mastermind to tu hai bsdk…………..
Amazing update..friends k bich me jhuti ladai reminds me my hostel days
 

Sauravb

Victory 💯
8,102
14,237
174
Update 40



Yash- anya pagal ho gaya kya ? maine kya kiya be

“sataakk”

Ek aur fatka pada aur aniket bola

Aniket- harami neech halkat mere ko bahut baad me pata chala ke ye sab ka mastermind to tu hai bsdk…………..

Aniket ka avatar aur avi ki halat dekh ke yash waha se bhagne laga aur komal ne aniket ko roka aur boli

Komal- bas karo ani, ye kya baccho jaisi harkate laga rakhi hai

Aniket- kammo tu aaj ruk ja, mai aaj inko chhodunga nahi

Itna bol ke aniket gana leke yash ke piche bhaga aur ab apne bachne ke chances kam hai ye dekh ye yash paas ke ek ped par chadh gaya aur aniket use niche se ganna dikhate huye bola

Aniket- chup chap niche aa yash, nahi to mai upar aaya to bahut marunga

Yash bhi upar se hi bola

Yash- abe tu pehle meri baat to sun fir aata niche

Par aniket full gusse me tha usne ganna dusre hath me liya aur aur ek pattar uthaya aur yash ko marne laga itne me komal waha aayi aur boli

Komal- ani bas ho gaya ab y kya bachkani harkate hai, lag jayegi use, tum bacche nahi ho, baap banne wale ho kuch dino me samajh aa raha hai kuch

Komal ne barabar aniket ko shant kiya aur uske hath me ka patthar feka aur bola

Aniket- bol yash

Yash ne bhi rahat ki saas li fir bhi wo ped par se hi bola

Yash- anya majburi thi bhai, mai agar ye nahi karta to ye bsdk avi sahi me gayab ho jata aur fir isko dhundhna bahut mushkil hota, avi haramjade kuch bol be ab thobda kyu band hai tera

Avi ne bhi ha me gardan hilayi aur aniket ko bhi yash ki baat jam gayi

Aniket- theek hai tu niche aa pehle aur puri baat bata

Yash- nahi, pehle wo ganna fek aur wada kar ke marega nai, fir aaunga niche

Aniket se ganna fek diya

Aniket- theek hai nahi marunga ab niche aa

Aur fir aniket aur avi ne yash ko ped se niche utara aur aniket k yash ki halat dekh ke hasi aa rahi thi aur usko dekh ke sab hasne lage

Teeno wapis bench par baithe aur fir yash ne bolna shuru kiya

Yash- ye sab bas ek ittefaq tha ke mai avi ke college me kuch kaam se gaya tha aur mere paas avi ka naya number nahi tha aur tere ko (aniket) call kiya to tu utha nahi raha tha isiliye mai iske bare me puchte puchte iske hostel ke paas pahucha, avi to room par nahi tha par uska roommate shubham mujhe mila aur usme pujhe sari situation batayi, mai waha se bahar nikla to mujhe parking me hi avi dikha, uska aur sanjana ka jhagda shuru tha aur mai chup chap wahi khada hokar dekhne laga par jab avi bola ke mai ja raha u aur ye mat samajhna ke sab khatam ho gaya hai aur tumko pyaar ka ehsas karaunga chahe mujhe uske liye jaan de deni pade, bhai ye sun ke meri hawa tight ho gayi, avi gusse me waha se pair patakte huye nikal gaya aur mai uske piche jata itne me mujhe ek important call aaya jo receive karna jaruri tha isiliye mai phone par bolte huye iske hostel ke gate ke paas hi ruka raha aur itne avi mujhe gusse me apni bag le jate huye dikha…

*FLASHBACK*

Avi ke chehre par kamal ka tension aur gussa dikh raha tha aur yash pehli baar avi ko is tarah se dekh raha tha, pichli baar jab dono tekdi par mile the (last update hateli lovestory) tab us paristithi me bhi avi shant tha par aaj aisa nahi tha, yash ne man hi man decide kiya ke wo use kuch pata nahi hai aise jatayega aur ye decide karke wo avi ke samne jakar bola

Yash- arey avya, ye kya bhai yaha hum tere se milne aaye hai aur tu kidhar ja raha hai ?

Yash ko samne dekhte hi avi thoda hadbadaya aur jitna ho sakta tha utna chehra normal karke bola

Avi- nahi, kahi nahi bas aise hi bahar ja raha tha, tu bata tu yaha kaise aaya

Yash- kuch nahi re bas teko hi milne aaya tha aur tu kya aise hi maje me bag leke bahar jata hai kya ?

Avi ko samajh aa gaya ke usse bolne me galti huyi hai fir bhi wo baat sambhalte huye bola

Avi- nahi aisa kuch nahi hai wo bas gaon ja raha tha..

Yash- arey waah, ye to badhiya ho gaya, mai bhi anya se milne hi ja raha tha aur socha sath me teko bhi mil lunga, chal sath hi chalte hai

Par avi ke dimag me to kuch aur hi chal raha tha

Avi- nahi tu ja mujhe kuch aur kaam hai time lagega usme, tu nikal aage kal milte hai apan

Par yash ab avi ko akele chhodne ko tayar nahi tha

Yash- t usme kya hai mai to bas aise hi ja raha tha tu le bhai kitna time chahiye to, sath me hi chalenge fir, mujhe koi jaldi nahi hai aurisi bahane tere sath baate ho jayengi bahut dino baad mulakat huyi hai, ab nakhre mat kar

Itna bol ke yash ne jabardasti avi ki bag li aur uske kandhe par hath rakh ke gadi ki taraf jane laga

Yash- kya yaar.. mana mai tera aniket jitna gehra dost nah hu par dost to hu?

Avi- waisa kuch nahi hai yash ? tu bhi mera utna hi khas dost hai, ya yu kahu ke anya se jyada tune pehchana hai mujhe

Avi ke uske baad yash ko ek kitabo ke dukan par gadi rokne lagayi, yash uska picha nahi chhod raha tha aur majburi me avi wapis gadi me aake baitha aur yash bola

Yash- to.. ho gaya kaam ? chale gaon ab

Aur avi ekdum se “nahi” bola

Avi- arey sorry mujhe achanak dhyan me aaya ke kal ek iportant lecture hai, tu mujhe hostel par chhod de

Yash- bhai agar waisa hota to tu bag leke nahi nikalta, sorry par parking me maine teri aur sanjana ki baate sun li thi…

Avi ne ek jhatke se yash ki taraf dekha aur jo ab tak roka hua tha wo aansuo ka bandh tuta, yash ne baithe jagah se avi ko gale lagaya, aur fir huyi aansuo ki barsat, yash kuch nahi bola, waha bolne ki jarurat hi nahi thi, use apni halat yaad aa gayi jab wo aise hi hospital me aniket ko gale lag ke ro raha tha jab priya ke pitaji ne use maar ke fek diya tha, avi us samay kya feel kar raha tha ye yash ache se samajh raha ta aur wo bas avi ki pith thapthapa ke use santwana de raha tha, kuch pal aise hi bite aur ab jab wo aansuo ki barsat ruki to sab kuch saaf tha, avi ka sara gussa aansuo ke madhyan se nikal gaya tha aur fir wo uski seat par ache se baith gaya, yash ne gadi shuru ki aur sidhe ek nadi ke kinare shant jagah par pahuche.. suraj dub raha tha aur nadi ke kinare ek alag ki shanti thi, koi shor nahi tha awaj tha bas behte huye pani ka aur apne gharto me laut te huye panchiyo ka

Ye to scientifically proven hai ke insani sharir me 70% pani hota hai aur aise pani wali jagah par aakar shant baithne se man wo ek alag hi shanti mehsus hoti hai, dono bahut samay tak us behte huye pravah ko dekhte raheaur fir yash bola

Yash- avi mere anubhav se mai samajh sakta hu ke tu is waqt kya feel kar raha hai par itna dhyan me rakh ke gusse me liye gaye nirnay ghatak hote hai

Ab avi chidha

Avi- to kya karu mai tu hi bata, nahi sehan hote bhai aise ghav dil par, sala kya naseeb paya hai maine, tu bata pehla pyaar bhulna itna asan hai kya ? kaise samjhau ye sanjana ko.. sala jisse pyaar karta hu use bata nahi sakta, jo mujhe pyar karti hai use ha nahi keh sakta, tu bata kaise de du komal ki jagah sanjana ko

Yash- pehle puri baat batayega > fir mai kuch madad kar paunga

Aur uske baad avi bolne laga, pehle din se leke to wo aniket se mila wo kissa aur fir ye aakhri jhagda use yash ko sab bataya

Yash gehan soch me duba hua tha, kyuki uske samne do sankat the, ek to avi kokuch galat karne se rokna tha aur dusra sanjana ke bare meaage kya karna hai wo sochna tha, wo kuch soch ke bola


Yash- avi gussa mat hona par ek baat hai.. tu mrigjal (mirage) ke piche bhag raha hai mere bhai, sabse pehle to tu ye baat dimag se nikal ke tu komal ki jagah sanjana ko de raha hai, aisa bilkul nahi hai, komal ki jagah tere dil me fix hai aur waha se khud komal bhi apne ko nahi hata sakti, par iska matlab ye nahi hai na ye sanjana waha apne liye jagah nahi bana sakti ? avi bhai apna dil bada karo aur apne man se ye guilt nikal ke tune sanjana ko komal ki jagah di hai ya use pyar karne laga hai….
Awesome update:bow::bow::bow::bow::bow:
 

Babybulbul

Member
200
437
63
Update 28



Sanjana ko jab aniket ne canteen se jane ko kaha to sanjana jo waha se bhagi to sidha apne ghar jakar ruki aur sidha apne room me jake rote huye baith gayi

Kuch samay baad sanjana ko apni pith par kisi ka hath mehsus hua, usne palat kar dekha to waha uski maa uske bagal me baithi thi

Shakuntala- kya hua hai sanju ?

Sanjana apni aankhe pochte huye boli

Sanjana- nahi kuch nahi maa wo bas aise hi.

Shakuntala- kya hua hai bataogi ab ?

Sanjana- nahi kuch nahi hua hai maa

Shakuntala- dekha sanjana- har ladki ki pehli dost uski maa hi hoti hai aur abhi tum jis umra me ho na to mai tumhari maa kam dost jyada hu, mujhe nahi bataogi kya hua hai ? beech me tum ekdum khush thi bilkul kisi titli ki tarah ghar me ghumti thi par pichle do hafto se mai dekh rahi hu ke tum udas ho, kisi se theek se baat nahi karti ho, apne call receive nahi karti ho, kya hua hai..

Maa ke mamta bhare shabd sun kar sanjana aur bhi rone lagi aur maa ko jo samajhna tha wo samajh chuki thi

Shakuntala- mujhe pata hai ye jarur dil ka mamla hoga, kya hua hai sanju..

Ab sanjana ka sanyam tut gaya tha aur wo apni maa se bilakh kar aur bhi jor se rone lagi

Sanjana- mujhe kuch samajh nahi aa raha hai, mai kya kar rahi hu kyu kar rahi hu, kuch kuch samajh nahi aa raha

Shakuntala- tum shant ho jao pehle aur mujhe ache se batao ke kya hua hai, mai madad kart hu tumhari

Itna bolke unhone sanjana ko pani diya aur ab sanjana bolne lagi.. maa ko apne sath jaan kar sanjana ka darr thoda kam hua tha isiliye usne bagair koi baat chhipaye sab kuch bata diya.. sanjana ki maa sab sun rahi thi, sanjana ne sab bata diya tha, av ki boli aakhri line bhi

Aur uske baad jo hua wo sanjana ne sapne me bhi nahi socha tha

Saaataaaakkkkkk !!

Maa ne ek sansanik thappad sanjana ke gaal par jad diya tha aur wo gusse me garaj kar boli

Shakuntala- pagal ladki, akkal hai tujhme thodi.. ye tumne kya kiya hai samajh aa raha hai tumko kuch ? ye wahi ladka hai na jiski tumne ragging li thi ?

Sanjana ne apna gaal malte huye ha kaha jise sun kar uski maa aur bhadak gayi aur gusse me room me chakker lagane lagi aur boli

Shakuntala- kis baat ka ghamand hai tumme ? kaunsi baat ka itna attitude hai ? ameeri ka, thoda acha dikhti ho iska ? ratti bhar ki bhi akal nahi hai tumme, kya samajhti kya ho tum apne aap ko ?.. kis baat ka itna ghamand pale baithi ho.. apne aap se pucho ye.. ye sab tumhara nahi hai ye tumhe mila hai.. ye tumhara roop meri den hai.. tumne aise kaunse jhande gade hai apne dun par batana jara.. kartavya shunya.. pehle kam bawal hua tha kya jo dobara us ladke ke piche gayi..

Sanjana jaise taise boli

Sanjana- mai pyaar karti hu usse

Ye sunte hi maa aur bhadak gayi

Shakuntala- muh tod dungi mai.. aayi pyaar karne wali.. isko pyaar bolte hai kya ? kisi bhi faltu chiz ko dimag me bitha kar sab kuch satyanash karne ko pyaar nahi kehte.. aur pyaar me kuch bada chhota nahi hota.. fir bhi usne bataya tha ke wo kisi ko chahta hai fir tumhare paas do options the ya to uska picha chhod do ya fir uske dil me apne liye jagah banao par nahi tumhare liye to pyaar ek compitition hai, usne mujhe sataya ab mai sataungi.. sab pagalpan hai sirf, mujhe ye bilkul pasand nahi aaya sanjana.. us ladke ne tumhari galtiyo par prda dala, tumhari harkato ke bare me tumhe papa ko nahi bataya tumhe rusticate hone se bachaya ye sab kya kam tha ye batane ke liye ke uske man me bhi tumhare liye kuch hai

Maa kuch samay tak kuch sochne lagi aur fir wo shant huyi aur wapis sanjana ke paas baith kar use samjhane lagi

Shakuntala- bacche, pyaar aise nahi hota hai.. ghar kabhi akele insan se nahi banta hai, uske liye kisi apne ka sath chhiye hota hai.. ek agar galti kare to dusre ko use sambhalna hota hai… pyaar me koi bada chhota nahi hota.. apne maan sanmaan se pehle dusre ke bare me sochne ko pyaar kehte hai.. sach kahu to mujhe lagta hai ki ye ladka hi tumhare liye sabse sahi hai.. aaj na kal use bhi ye baat samajh jayegi ki wo bhi tumse pyaar karta hai aur mei mano to dhundho use

Sanjana ko apni maa ki baat jach gayi thi aur ab uski aankhe khul chuki thi.. sara amangal ansuo se saaf ho gaya tha aur aur fir se ek baar pyaar ki roshni dil dimag par chha gayi thi

Sanjana- sach me mujhse bahut badi galti huyi hai par ab mujhe sab samajh aa gaya hai par mai use dhundhu kaise

Shakuntala- tumne kaha tha na ke uska dost aur uski biwi use dhundh rahe hai, bas unhi ke sath dhundho use

Sanjana- par maa wo mujhse bahut jyada naraj hai aur wo meri shakal bhi nahi dekhna chahta

Maa hasi aur boli

Shakuntala- beta tumne unka gussa dekha unki baate suni par us gusse ke piche chipi chinta aur apnapan nahi dekha.. sach hai jaha koi rishta kaam nahi aata waha dost ek saccha dost aapke liye duniya idhar se udhar kar deta hai, maine to bas unlogo ki dosti ke bare me tumse suna hai aur usse lagta hai ke Avinash kismat wala hai jo use aise dost mile hai, aur aise dost milne ke liye avinash bhi to utna hi saaf dil wala hoga isme koi doubt nahi hai..aur jab galti ki hai to mafi mangne se kyu darna.. kyuki mafi mangne ke liye bhi bahut himmat chahiye hoti hai aur kisi se mfi mangne se tum chhoti thode hi ho jaogi, aise log bahut kismat se milte hai sanju bhale hi wo tumse pyaar na kare par aisa dost hona bhi bahut badi baat hai..

Sanjana- par wo karenge mujhe maaf ?

Shakuntala- tumne kiya tha avinash ko itni jaldi maaf ?

Sanajana ke paas iska koi jawab nahi tha

Shakuntala- jyada se jyada kya hoga, wo log tumne do char baate sunayenge, galiya denge jiski tum hakdar ho to sun lena par use dhundhne me bhi wahi log madad karenge, aur avinash ko dhundhna hoga warna ye guilt jindagi bhar tumhara picha nahi chodega

Sanjana- aur papa ?

Shakuntala- uski chinta tum mat karo mai sambhal lungi unhe, bata dungi ke tumhara kya wo koi industrail visit hai…

Sanjana apni maa ke gale lag gayi aur maa uske sar par hath ferte huye boli

Shakuntala- ye agar tumhe mil gaya na sanjana to tumhari jindi itniachio hogi jo tumne kabhi sochi bhi na ho

Sanjana- thank you so much maa

Shakuntala- au ye sab maine tumne maa ban ke nahi ek dost ke nate bataya hai…

Apni maa se baat karke sanjana ke dimag se sara confusion dur ho gaya tha aur ab use pyaar ka matlab samajh aa gaya tha aur ab usne than liya tha ke chahe kuch bhi ho jaye wo avi ko dhundh ke rahegi aur usne man hi man decide kar liya tha ke ab bhale aniket kitni hi galiya de de wo piche hatne wali nahi

Wo apne ghar se nikal kar sidha aniket ke dukan par pahuchi aur waha se ghar ka pata lekar sidha uske ghar par, darr to use lag raha tha par ye darr uske nishchay ke samne ab bahut chhota tha

Wo aniket ke ghar pahuchi to darwaja aniket ne hi khola aur sanjana ko dekhte hi wo bhadak gaya

Aniket- tum fir se aa gayi ? ek baar bola hua samajh nahi aaya kya ? mujhe shakal bhi nahi dekhni tumhari chalo niklo idhar se

Sanjana- mujhse galti huyi hai aniket, mujhe maaf kar do

Aniket- ha karta hu na maaf, jao jakar pehle avi ko dhundh kar lao

Sanjana- par mai akeli kaha dhndhungi use

Aniket- ye uska dil todne ke liye sochna chahiye tha ab chalo nikl;o idhar se mai akela samarth hu mere dost ko dhundhne ke liye


Itna bolke aniket se sanjana ke muh par darwaja band kar diya par ab sanjana bhi jidd par ad chuki thi aur chahe kuch ho jaye wo waha se nahi jane wali nahi thi fir chahe koi use gali de ya maare aur wo waise hi darwaje ke paas khadi rahi….
Superb update
 

Sauravb

Victory 💯
8,102
14,237
174
Update 41



Yash avi ko samjha raha tha ke wo apne man me se ye guilt nikal de ke wo komal ki jagah sanjana ko de raha hai ya wo sanjana se pyaar karne laga hai komal ko chhod kar

Yash- avi ab time aa gaya hai jindagi me aage dekhne ka, ha mai manta hu ke tere liye komal ko bhulna mushkil hai, par bhulna hi kyu hai ? use ek sukhad yaad bol ke apne paas rakh aur sabse important ki tujhe tera pehla pyaar nahi mila isliye kya tu sanjana se uska pyaar chinega kya, nahi na, then move on

Avi ko bhi yash ki baate sahi lag rahi thi, uske baad kuch samay shanti me bita, avi ka chehra ab normal lag raha tha aur yash ne dobara bolna shuru kiya

Yash- sorry wo maine tera aur sanjana ka jhagda chip kar suna, sach batau to pehle mujhe laga ke sanjana ko tere liye bas ek attraction hai par ab jab gaurse socha to samajh aaya ke nahi, kahi na kahi wo ab bhi tere se pyaar karti hai bas fark itna hai ke ke abhi wo gusse me hai aur pyaar kya chiz hai ye use sahi se samjha nahi hai, hame aisa kuch karna chahiye ke use ye sab ache se samajh aaye

Avi- par kaise samjhaye use yahi samajh nahi raha, tune to dekha na maine use bolne ke baad bhi use kuch samajh nahi aaya

Yash- anya kab kaam aayega, uska kurafati dimag bahut chalta hai isme apan usse baat karte hai

Aniket- nahi bhai, mai hafte bhar pehle milke aaya hu usse, bahut khush tha wo aur ab ye sab bataya to bahut bura lagega use, usne bola nahi par kahi na kahi use bhi bahut bura laga tha jab maine use apne pehle pyaar ke bare me nahi bataya tha to, maine jaise taise wo baat tali hai par ab wapis sanjana ke sath jhagde ki baat use pata chali to wo wapis purani baate nikalega aur aisa mai nahi chahta, mai nahi chahta ke mere aur sanjana ke beech ka ye tufan mai uski jindagi me le jau.. mujhe un dono ko in sab se dur rakhna ai..

Yash- to ab gaon nahi jana hai ?

Avi- nahi

Yash- to theek hai mere sath mere ghar chal, waha chal ke dekhte hai aage kya karna ai

Avi- nahibhai, priya bhabhi bhi hogi waha aur unse anya ko pata chal jayega

Yash hasa aur bola

Yash- maa papa aur priya europe tour par gaye hai, priya office ka kaam kar rahi hai aur maa papa enjoy.. to agle aath din mai akela hi hu matlab sari line clear hai, chal mast aish karenge aur ab chup chap chalne ka nakhre dikhaya to yahi utha ke nadi me fek dunga

Fir dono apna stock leke yash ke ghar pahuche.. upar se shant dikhne wala avi apne ander ek tufan samete huye tha aur yash ka to simple sa fanda tha ke chahe kuch ho jaye avi ko akela nahi chhodna hai, yash ne wfh liya aur avi par najar rakhne laga aur ek din achanak yash bola

Yash- avya mere anubhav se batata hu teko, insan ko pyaar ki parakh jitna sath me nahi hoti na utna virah me hoti hai, ek kaam kar, ab jab tak sanjana khud tujhe dhundhte nahi aati tu uske samne ja hi mat

Avi- idea to acha hai par mai mil nahi raha hu to wo sabse pehle ani ke paas jayegi fir ?

Yash- wo ek locha hai, isiliye bola tha anya ke paas chalte hai par fir komal wali baat bahar aane ka darr hai

Avi- aur agar mai mil nahi raha hu aisi baat bahar aayi to koi dhundhe na dhundhe anya mujhe dhundhe bagair nahi manega, wo patal me bhi mera picha nahi chhodega aur chahe kuch ho jaye mai un dono ko takleef nahi dena chahta

Yash- ye bhi sach hai, waiseto halkat dunak ka galla chhod ke kahi nahi jata par tujhe dhundhne jayega ye confirm hai

Avi- ha na, kaka ka sara kaam sambhal liya hai usne isiliye to honeymoon pe bhi nahi gaya

Aur bolte bolte avi ekdum chillaya

Avi- ideaaa !! agar aisa kare to… mujhe dhundhna bhi ho jayega anya ka honeymoon bhi aur sanjana ko bhi pyaar kya hota hai samjha denge

Yash- idea to nahi hai par is sab ka mel kaise milayega, aur sanjana aayegi tujhe dhundhte huye ?

Avi- uska pyaar saccha hoga to jarur aayegi

Yash- aur honeymoon ka kaisa karega ? wo honeymoon manayenge ke tujhe dhundhenge ?

Avi kuch soch ke bola

Avi- honeymoon matlab ye bhi hota hai na ke apni pasand ki jagah ghum aaye.. komal ki bahut icha hai mathura vrndavan dekhne ki.. hamari is bare me baat bhi huyi thi college me

Yash- shabash, thoda vichitra hai par perfect hai, komal aur anya ka tour bhi ho jayega aur shri krishna jo khud prem ke devta hai waha jakar sanjana ko pyaar ka ehsas bhi ho jayega par main sawal ab bhi hai, tereko dhundhne me honeymoon kaise hoga ?

Avi soch raha tha aur yash bola

Yash- ek ho sakta hai, agar aniket aur komal ko ye pehle hi malum ho ke tu gum nahi hua hai balki kahi chipa hua hai to maja aayega isme

Avi- yes, yash tere sawal ne hi jawab de diya bhai, luka chipi, matlab gali gali sim sim

Uske baad avi ne yash ko gali gali sim sim kya hai bataya

yash- matlab ye code aniket tak pahucha to wo relax ho gayega aur samajh jayega ke ye ek game hai, matlab problem solve, good, ab mai sab samajh gaya, matlab mai aisa bataunga ke mai tujhe dhundh raha hu par asal me mai unhe tujh tak pahuchane me guide karunga, par ye sab tab jab sanjana tujhe dhundhne aaye nahi to ye game pehle stop par hi khatam

avi hasa aur bola

avi- jab anya ko pata chalega ki mai gayab hu to wo sabse pehle sanjana ke paas hi jayega aur sanjana wahi se sab samajhne lagega.. sabka fayda hai bhai is khel me.. to shuru kare fir..?

yash-sahi hai beta, aise hi tujhe dus dimag wala nahi kehte, par ye gameapan nahi anya shuru karega tab tak wait and watch, par ek bata ye khatam kaha hoga ?

avi hasa aur bola

avi- yash bhule mat bhai anya shamil hai isme.. apan usko jyada topi nahi pehna sakte, wo bhoot hai sala.. usko jyada samay nahi lagega samajh ne me, mujhe ache se pata hai bhale ye khel hum shuru kare par khatam anya hi karega

*CURRENT LOCATION, FLASHBACK END*

Yash bata raha tha aur sab dhyan se sun rahe the par ye flashback batate huye yash ne ek samajhdari ki ki jaha komal ka naam tha waha uska naam na lete huye use bas wo ladki aisa bola aur aniket has raha tha

Yash- par anya mere ek baat samajh nahi aay ye ye sab teko kaise pata chala, kyuki agra aur tajmahal hamare plan ka hissa nahi tha

Aniket- abe teri hi wajah se sab samajha mai

Yash- wo kaise ?

Aniket- tu har time hamare contact me tha, gadi bhale mai chala raha tha par direction tu de raha tha par tune ek galti ki.. avi jab pehli baar sanjana ke samne aaya tab mai uske piche bhaga, ye sala hoshiyar hai isne jhat tujhe call kiya aur tune mujhe, tujhe ache se pata tha mai tera call uthaunga aur aisa hua bhi par tune jaldi me puch liya ke “bhag gaya kya wo?” .. ab teko kaise pata chala ke wo hamare samne aake bhaga hai.. tune mujhe isiliye call kiya tha ke avi ko bhagne ka samay mile, us waqt to ye baat mere dhyan me nahi aayi par baad me ye mere dhyan me aaya, agra tumhara plan nahi tha wo maine tumhare dimag me dala, jab tak hum tumhare direction me chal rahe the tab tak theek tha par jab maine agra bola tu gadbada gaya, mujhe pata tha ke tu bhi isme shamil hai isiliye maine agra jane ke bare me tujhe bataya ke tu ye avi ko jarur batayega, is baar maine tere directions na lete huye tujhe aur indirectly avi ko directions diye, shuruwat me mai thoda sure nahi tha par jabtu priya koleke waha pahucha to mujhe yakin ho gaya ke avi waha jarur aayega, actually wo message tere liye nahi avi ke liye tha ke ab natak khatam karne ka samay ho gaya hai.. tum mujhe confuse kar sakte ho, pagal nahi banasakte, barabar na avya


Aniket ki baat sunkar sab hasne lage….
Super update...avi aur yash k plan ki sari sachai Aniket ne ugal liya..
 

Babybulbul

Member
200
437
63
Update 29



ab sanjana bhi jidd par ad chuki thi aur chahe kuch ho jaye wo waha se nahi jane wali nahi thi fir chahe koi use gali de ya maare aur wo waise hi darwaje ke paas khadi rahi….

Idhar aniket ghar me bechain hokar idhar udhar ghum raha tha, beech beech me wo gallery me jakar dekh aata ke sanjana chali gayi hai ya nahi par sanjana to man bana hi chuki thi ke wo waha se hilne wali nahi hai, wo wahi darwaje ke paas khadi thi aur aniket ko aisa bechain dekh kar komal boli

Komal- ani shanti se baitho ge ek jagah par, kya hua hai

Aniket- areu wo chudail sanjana, usko bhagane ke baad bhi ja nahi rahi hai

Komal- kya kare fir ? police me complaint kare kya ?

Police ka naam sunte hi aniket ekdum chauka

Aniket- o madam, kuch bhi hua wo kaisi bhi ho tab bhi hame ye baat nahi bhulni hai ke mera bhai pasand karta hai usko, pyaar karta hai usse

Komal ko aniket ke muh se bas yahi nikalwana tha, kyuki agar wo aniket ko sidhe raste samjhane jati to aniket manne wala nahi tha ye wo ache se jaanti thi fir bhi usne aakhri teer chhoda

Komal- to fir mai jake bhagake aau usko ?

Aniket- nahi, tum aisa kuch nahi karogi, wo harami aadmi ko wapis aane ke baad ye pata chala to wo mera pichwada laal kar dega

Komal- to rehne ko use waise hi khada, dekhte hai kitni der khadi reh pati hai, abhi to bas 2 ghante huye hai

Waise dekha jaye to komal kuch aur kehna chahti thi par jaan bujh ke ekdum ulta bol rahi thi kyuki use hi pata tha ke aniket kisi ko takleef nahi de sakta aur aniket ne jo bhi kadwi baate sanjana se kahi thi wo bas uski avi ko leke chinta ki wajah se.. aur akhir me aniket pareshan hokar bola

Aniket- kammo ja na yaar, jake ek to usko yaha se jane ka bol ya uska kya kehna hai sun le ek baar, baat khatam ho fir

Komal man hi man muskura rahi thi

Komal- mujhe kya lagta hai ani hum agar ise apne sath le le to avi jarur milega, is gud ke paas makoda jarur aayega

Aniket- kammo yaha mai itna bada gud ka dahlla nahi dikh raha kya teko us haramkhor ko akarshit karne ko..

Komal- waisa nahi hai ani, tum chahe kitne hi karibi kyu na raho uski premika ki jagah nahi le sakte ..

Aniket- ha ha teek hai ab jao jake baat karo usse aur ha maine tumko baat karne bheja hai ye mat batana usko, ye avi ke dimag me kaunsa bhoot chada tha jo wo is mahamaya se pyaar kar baitha, sala dil baitha gadhi pe to pari kya chiz hai wala mamla ho gaya

Komal gayi aur usne darwaja khol ke sanjana ko ander liya, sanjana thoda darte darte ander aayi, koi kuch nahi bol raha tha aur fir sanjana hi boli

Sanjana- wo mujhe aap logo se mafi mangni thi..

Bas aniket wapis chidh gaya

Aniket- O mother india, ye jo kuch ho raha hai na wo bas tumhare pagalpan ki wajah se ho raha hai isiliye pehle avi ko dhundhna hai uske baad chaho to ye aabhar pradarshan ka karyakram rakh lenge, tumko ander bulaya hai ye dekhne ke liye ke avi ko dhundhne me tumhari koi madad ho sakti hai ya nahi aur sirf aur sirf avi ki wajah se tumhari shakal dekhne ka man na hokar bhi dekhni pad rahi hai ye dhyan me rakhna..

Komal ne sanjana ko dekha aur aankho se use shant rehne ka ishara kiya, sanjana sab chup chap sunti rahi

Kuch pal fir se shanti me bite aur fir aniket bola

Aniket- bolo ab kuch to bolo

Sanjana ne apni puri himmat jama ki aur wo sab kuch bataya jo usne pichli baar aniket se chipaya tha, avi ki aakhri line bhi aur bas aniket to pehle hi sanjana se chidha hua tha aur ab to jwalamukhi fatne wala tha

Aniket- sharam nahi aayi tumko ye sab karte huye, kasam se keh raha hu tum sirf ladki ho isiliye bachi huyi ho agar koi ladka hota to yahi uske hath pair tod deta ai, teri himmat kaise huyi ye sab karne ki ? tune avi ko kya samjha tha ? kya laga tha uske aage piche koi nahi hai ? kammo abhi ke abhi is ladki ko dhakke maar ke nikal warna mujhe bhi nahi pata mai kya kar dunga..

Waise to aniket ne gusse ki seema paar kar li thi par apna sanyam nahi tutne diya tha, itna hoke bhi usne apne aap ko hath uthane se roke rakha tha, komal ne beech me aakar aniket ko niche baithaya, is purne mamle me komal apne aap ko shant rakhne me kamiyab huyi thi kyui use ache se pata tha ke koi ek agar gusse me hai to dusre ko shant rehkar paristithi sambhalni hogi

Wo kehte hai na jo hota hai ache ke liye hota hai, avi ke jane se sanjana ko pyaar ka matlab samajh aaya tha aur sath hi komal ko bhi pratikul paristithi me apne jodidar ko kaise sath de iska anubhav ho raha tha

Bahut samay tak waha shanti chayi rahi aur akhir me komal ne shanti bhang ki aur boli

Komal- jo baate ho chuki hai unpar charcha karne se koi matlab nahi hai, mujhe lagta hai hame abhi sab chhod kar sabse pehle avi ko dhundhne par kaam karna chahiye

Sanjana aur aniket ko bhi ye baat sahi lagi komal ne aage kaha

Komal- hum pehle un sab logo ko call karte hai jinhe avi ke bare me pata hone ke chances hai

Sanjana- maine bahar khade khade sab logo ko call kiya hai par kisi ko kuch pata nahi hai

Tabhi achanak komal ke dhyan me aaya

Komal- ani tumne yash ko call kiya kya ?

In sab gadbadi me wo yash ko bhul hi gaya tha, aniket se jaldi se yash ko calllagaya, avi ke bare me sunkar yash bhi sock hua, use bhi avi kaha hai is bare me kuch nahi pata tha, aur gayab hone ki khabar bhi abhi aniket ne hi di thi

Sanjana ne apne pitaji ko sari baat batayi aur is baar wo jara nahi dari ha bas pyaar wala kissa nahi bataya, komal ne laptop on karke avi ka social media check kiya par kahi koi update nahi tha, udhar sanjana ke pitaji ne avi ke phone ka location check kiya par last location college ka hi tha aur uske baad jo phone off hua to ab tak shuru nahi hua tha

Aniket ko ekdum dhyan me aaya aur wo bola

Aniket- mai us din ke railway station ka CCTV footage nikalwata hu aur check karta hu, sanjana ke kaha ke wo uske pitaji ke help se wo footage jaldi nikalwa sati hai aur wo check kar sakte hai

Man maar ke hi sahi aniket ne uski baat maan li aur aniket aur sanjana dono nikal gaye, gaadi me dono chup the, thandi hawa lagte hi aniket ka dimag bhi thoda shant hua aur wo achanak bola

Aniket- sorry

Sanjana pehle chauki aur boli

Sanjana- sory..

Aniket- wo kuch samay pehle ke mere behaviour ke liye sorry..

Sanjana- nahi aniket tumhara reaction ekdum sahi tha, mai usi ki hakdar thi, aur jis hisab ki tumhari aur avi ki dosti hai tumhara aisereact hona jayaz tha

Aniket kuch nahi bola, sanjana ne aage kaha

Sanjana- mai ek promise karti hu tumse, jab tak avi mil nahi jata mai shant nahi baithungi

Aniket ko thoda acha laga aur wo halke se muskuraya, dono railway station par pahuche, sanjana ne barabar apne papa ke reference se waha pehchan nikalwayi aur fir wo dono waha hafte har ke CCTV footage dekhne lage, waise ye jaruri nahi tha ke avi railway se hi kahi gaya ho jane ko to wo bus se bhi ja sakta tha par wo log koi risk nahi lena chahte the isiliye hafte bhar ke footage check kar rahe the par afsos usne avi us footage me kahi nahi dikha

Dono hatash hokar station se bahar aaye aur aniket se sanjana ko uske ghar par chhoda aur apne ghar ke liye nikal gaya, dono ne ekdusre ka phone number liya aur decide kiya ke kisi ko bhi koi bhi clue milte hi dusre ko batayega

Sanjana ke papa ne bhi apne tarike se avi ko dhundhna shuru kiya

Aniket ghar aaya aur hatash hokar baitha, komal use samjha rahi thi

Komal- fikra mat karo hum dhundh lenge use aur milne par achi khabar lenge uski

Sab ka dimag soch soch ke sunn ho gaya tha itne me aniket ka phone baja, yash ka call tha usne kya kya hua hai ye pucha aur aniket se avi ka mail id liya

Kuch ek ghante baad yash ka dobara call aaya aur ab uski awaj me utsukta thi, usne kaha

Yash- anya maine avi ka mail id hack kiya hai aur sari search history nikali hai, usme kuch khas to nahi hai par do baate abnormal hai, usne do chize search ki thi pehli ‘In Search Of Love God’

Aniket- ye kya hai ? search result kya hai iska?

Yash- kuch khas nahi ek book ka naam hai aur dusra thoda ajeeb hai, ‘gali gali sim sim’ par ek ek cartoon show hai, mai dhundh raha hu aur kuch milta hai to batata hu par mujhe samajh nahi aa raha ke usne gali gali sim sim kyu search kiya hoga


Aur achanak aniket ko kuch yaad aaya aur uske chehre par ek muskan aa gayi……
Nice update
 

Babybulbul

Member
200
437
63
Update 30



Aur achanak aniket ko kuch yaad aaya aur uske chehre par ek muskan aa gayi… wo yaad karne laga

Gali gali sim sim.. aur achanak uth kar jor se bola

Aniket- kammo, gali gali sim sim, gali gali sim sim..

Aur fir achanak nchne laga

Aniket- mil gaya haramkhor mil gaya, gali gali sim sim

Aur nachte nachte aniket ne komal ko bhi utha liya idhar komal ko kuch samajh nahi aa raha tha

Komal- ye kya kar rahe ho ? kya ho gaya achanak tumko ? avi mil gaya kya ? aur pehle mujhe niche utaro

Aniket ke khushi ka thikana nahi tha wo mano khushi se pagal ho gaya tha aur komal use baar baar puch rahi thi

Komal- aise akele hi nachoge ya mujhe bhi bataoge kuch ? aur ye gali gali sim sim kya hai

Aniket nachte huye bola

Aniket- avya ekdum theek hai, bas halkat ka dimag bahut chalta hai, aur usko lagta hai dimag khali uske paas hai, ab dekhta hu kaha jayega? Chalo jaldi baki ki baat gadi me batata hu

Komal- abhi is samay ? avi ka pata chal gaya hai kya ?

Aniket- nahi, matlab wo kaha hai ye to exact nahi pata hai par clue mil gaya hai ke wo kaha hoga

Komal- sidhi bhasha me bataoge ke avi kaha hai ?

Dono baat karte huye gadi me baithe aur aniket ne flashback me khote huye batana shuru kiya

Aniket- hum na bachpan me sath me TV par ek cartoon dekhte the, uska naam tha gali gali sim sim, to ek baar hua yu ke avi ki maa ne usko koi kaam bataya aur ye bhai wo na karte huye mere ghar aakar mere sath wo cartoon dekhne laga, kyuki wo hamara favourite cartoon tha aur ye hamesha ki baat thi, fir avi ki maa use dhundhte huye jab aayi to ye mast aaram se cartoon dekh raha tha fir kya, kaki ne uski pehle to mast dhulai ki aur fir gusse me bol diya ke ja tu mera beta nahi hai tereko mandir ki payri par se uthaya tha wagaire, ab waise to unhone ye baat aise hi gusse me bol di thi par ye baat avi ke man ko lag gayi aur avi aise hi gayab ho gaya, hum sabne use din bhar dhundha par wo kahi nahi mila aur akhir me wo uske hi ghar ke ek lakde ki peti me mila, wo wahi so gaya tha par uthne ke baad usne apni maa se kabul karwaya ke wo usi ka beta hai uske baad hi us peti se bahar nikla…. Tabse hum ye khel khelne lage aur humne uska naam rakha gali gali sim sim kyuki humko treasure bolte nahi banta tha aur yaad bhi nahi rehta tha, khel aisa tha ke dono me se koi ek chipega par koi na koi hint dekar chipega aur dusre ne usko dhundhna hai to bas ye wahi khel us harami ne dobara shuru kiya hai

Aniket ki baat sunkar komal bhi khush hote huye boli

Komal- iska matlab avi ya to hostel me hi hai ya ghar par barabar ?

Aniket- ho sakta hai, waise hi kaki ko ye sab kissa nahi pata hai aur unko bataya to wo chinta karegi aur waise bhi avi unse hafte me ek baar hi baat karta hai, raste me ek medical hai dawai dene ke bahane se ghar jate hai aur dekhte hai ke avi waha hai kya

Aniket aur komal dawa lekar avi ke ghar pahuche, avi ke ghar me dhundhne me unko dikkat hone wali nahi thi kyuki bas do hi rooms the aur avi waha nahi tha

Wo dono waha se nikle aur komal boli

Komal - ab kaha ? hostel ? ya pehle uske dost ko call karke pucha jaye ?

Aniket- aur agar usne apne dost ko bhi plan me shamil kiya hoga to ? usse acha khud jake dekhta hu waha

Uske baad aniket aur shubham ne akkha hostel chan mara par avi ka koi pata nahi chala

Komal bahar ho gadi me baithi huyi thi aur jab aniket ne aakar use bataya ke avi nahi mila to wo naraj ho gayi, par in sab me ek baat achi huyi thi ke aniket normal ho gaya tha aur wo komal ko samjhate huye bola

Aniket- kammo, aise naraj mat ho yaar, aaj nahi mila to kal mil jayega, wop safe hai ye kya kam hai, arey wo dus dimag wala hai itna easily nahi milega wo

Komal- par ye kya baat huyi, jhagda uska aur sanjana ka aur yaha tension hame ho rahi hai uska kya

Aniket komal ko samjhate huye bola

Aniket- baki maan gaye bhadkhau ko, usko ache se pata tha ke koi nahi to mai jarur usko dhundhunga aur mujhe chinta na ho isiliye usne ye clue diya aur indirectly bataya hai ke tension nahi lene ka wo theek hai

Komal- wo theek hai ye achi baat hai par wo hai kaha ye soch ke tension aa raha hai

Aniket- kammo, chinta nahi karne ka, tension leke kuch nahi hone wala, mil jayega wo

Komal- bahut ache, kuch samay pehle tension me idhar udhar ghum rahe the aur ab mujhe gyan de rahe, tumne kya kya nahi kaha sanjana ko

Aniket- arey usko bhi sorry bol diya hai yaar

Aniket ki baat sunkar komal apni aankhe badi karte huye boli

Komal- kya baat hai, aniket rane ne sorry bola, yakin nahi hota

Aniket- kuch bhi ho gaya to bhi mere bhai ka pyaar hai wo, aur usne murkhta ki to hume bhi waisa hi karna chahiye kya ? isiliye sorry

Komal- aur avi ka kya ?

Aniket- dekh kammo tumko ek idea batata hu, aisa samjho ke ye ek game hai, hum ek game khel rahe hai jiska naam hai gali gali sim sim aur hamara task ye hai ke humko avi ko dhundhna hai , tension lene se better hai enjoy the game

Komal ko bhi aniket ki baat jach gayi

Komal- theek hai to fir mai sabse pehle sanjana ko call karke batati hu wo bhi tension me hogi

Komal call karne hi wali thi ke usko aniket se rok liya

Aniket- ruko komal, jara socho, bachpan me avi ne ye khel apni maa se kabul karane ke liye shuru kiya tha aur is baar usne ye khel shuru kiya hai sanjana ko apne pyaar ka ehsas dilane ke liye

Komal- matlab ?

Aniket- matlab yaad karo avi ko sanjana se aakhri baar kya kaha tha

Komal- yahi ke tumko apne pyaar ka ehsas kara ke rahunga, par ab wo samajh gayi hai na ?

Aniket- asani ne mili kisi bhi chiz ki insan kadra nahi karta hai, fir wo pyaar hi kyu na ho, humko dekho lo, hamare mamle me bhi kaha kuch easily hua tha

Komal- to ab kya tumlog sanjana ko aise tadpaoge

Aniket- usme tadpane jaisa kya hai, mujhe itna pata hai ke avi ne ye khel kuch soch ke shuru kiya hai to fir abhi agar in sab ke bare me sanjana ko bataya yani avi ke khel par pani ferna hai, usne ye clue hamare liye diya hai taki hume chinta na ho so just enjoy the game, don,t spoil the purpose of the the game

Komal- to sanjana ko kuch nahi batana hai

Aniket- bilkul nahi, ab hum is khel me umpire hai, aur umpire khelta nahi hai balki khel ko niyantran me rakhta hai

Komal- tum bhi kamal aur tumhara dost bhi kamal, ye sab ulti chize hi kyu karte ho tumlog

Aniket- uske bina life me maja kaise aayega kammo, hamari shadi ho gayi jo chahiye tha mil gaya par jindigi ek sidhi line me chal rahi thi, wahi dukan wahi ghar, kaam ki javabdari aur bapu ki tabiyat ki wajah se hum honeymoon par bhi nahi ja sake, kahi na kahi life me jo tadka missing tha na wo avi ne laga iya, mai dukan me busy tum ghar me aur ab dekho bas ghum rahe hai :D

Komal- ohh matlab aniket rane ek teer se do shikar kar rahe hai, honeymoon ka honeymoon aur avi ko sath me dhundhna bhi

Aniket- correct :D

Ab to wahi purani komal bhi neend se jaag chuki thi wo shadi me baad kahi gum ho gayi thi

Komal- bahut maja aane wala hai

Tabhi aniket ne komal ka hath pakda aur uska hath chumte huye bola

Aniket- sorry kammo, ekdum se aayi kaam ki jimmedari ki wajah se mai tumhe pura samay nahi de paya

Komal- oye hoye, aaj mister bare romantic mood me hai, I love you anni darling

Aniket- to chalo fir isi baat me ek choti si party ho jaye, us haramkhor ko kal dhundhenge ab tension nahi hai


Fir aniket ne waha se nikal kar apni gadi ek hotel ke samne roki aur ghar par narayanrao ko bata diya ke unko raat se aane me deri hogi.. aur fir ek mast candel light dinner, dono khush the kyuki kal se unka honeymoon aur avi ki khoj mohim dono shuru hone wale the…..
Awesome update
 
Top