If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Agle din avi ne college me entry thoda darte darte li, kya pata sanjana kaha lapak le wo thoda sanjana ko leke tension me tha aur idhar udhar dekhte huye sanjana ke bachte bachate huye wo jaldi se apne class ke paas pahucha aur waha pahuch kar usne chain ki saas li aur apne dosto se baat karte huye khada ho gaya itne me kisi ne uske pith par mara
“hhiiiiiiiiii”
Avi ekdum dachak ke piche muda to sanjana piche apni battisi faad smile karte huye khadi thi aura vi ghabraye jaise chati par hath rakh ke khada tha
Avi- chya aaila ladki hai ke bhoot ! kidhar se bhi aa jati hai be
Sanjana- ha ha ha very funny, aur bhoot nahi betaal bol, mai betaal aur tu vikram
Sanjana me jhuthe gusse se kaha
Avi- o bai tu to mere piche hath dhoke nahi balki pura naha dhoke padi hai
Sanjana- a AK chal na canteen me chal ke badhiya baate karte hai
Avi- acha.. aur lecture kaun karega… mere dadaji kya?
Sanjana- wo aa jayenge kya yaha tak lakdi tekte huye
Avi- nahi rehne de dadi gussa karegi aur tu nukal abhi idhar se tere lecture nahi hai kya ?
Sanjana- chal na canteen me
Avi- bilkul nahi, mere ko bahut important kaam hai
Sanjana- acha? Aur wo kaam kya hai batana jara
Ab batane ke liye to kuch tha nahi avi ne to ye aise hi sanjana ko bhagane ke liye bol diya tha aur usne aise hi bol diya
Avi- arey wo mujhe notes jama karne hai
Sanjana- theek hai kar tu jama notes, miltu hu tujhe break me
Itna bol ke sanjana waha se chali gayi aur idhar shubham ne Avi se pucha
Shubham- AK ye to tere piche hi pad gayi bhai chakker kya hai
Avi- ye shubhya tu mat shuru ho ab
Shubham- abe usme kya hai, akkha college jis ladki pe marta hai aur wo tere piche pagal hai ye to katai jabardast baat hai na bhai..
Avi- shubhya, fan nikal ke baitha hua naag bhi dur se acha hi dikhta hai par iska ye matlab nahi na ye usko gale me daal ke uska haar banaya jaye..
Tab shubham uske pet me kohni se maarte huye bola
Shubham- par naag itna khubsurat ho to dikkat kya hai
Avi- aisa kya , theek hai teri pehchan kara deta hu fir isse bana le gale ka haar
Shubham- nahi bhai ye jhangadgutta apne se dur hi rakh apne ko nahi chahiye
Avi - aur tu sale tab se mere ko ungli kar raha uska kya
Shubham- abey to dikkat kya hai tere takker ki hai waise wo
Avi- kya bolu ab
Shubham- jab tera man hi nahi hai to sidha bol na bhai usko ki dur reh
Avi- aisa nahi hai re aur itni buri bhi nahi hai wo, ha mai manta hu ki thodi, thodi alhad hai dal dil ki saaf hai aur wo kaise bhi rahe apne ko kaunsa jindagi gujarni hai uske sath, college khatam wo apne raste mai apne raste
Shubham- pyaar to nahi ho gaya tujhe usse
Shubham avi ki firkin lete huye bola jispar avi hath jod ke bola
Avi- ek baar kar liya man bhar gaya mera ab to dobara pyaar wali jhanjhat me mai kya mera dada bhi na gire
Shubham- ek baar kar liya matlab ? bhai batana puri baat maja aaraha sunne me
Shubham ne utsah se pucha aur abki baar avi uski peeth me mukka marte huye bola
Avi- teko maja aane ke liye mai kya idhar mujra kar raha hu kya jot u hath me gajra bandh ke maja lega bataunga fir kabhi chal abhi class me…
Avi aur shubham dono class karne lage, jaise taise teen lecture karke wo dono baahar nikle to aba vi ko bhuk lag gayi thi isiliye dono sidha canteen pahuche aur bas waha pahuch kar khurchi par baithne wale the hi ke tabhi
“hiiiiiiii”
Aur ye awaj sunte hi avi ne apne sar pe hath maar liya bola
Avi- aagayi sar khane, bolokaunse flavor me du dimag ki bhurji
Jispar sanjana ne bhi waisa hi reaction diya
Sanjana- mujhe nahi chahiye tu hi kha acha wo sab chhodo tera kaam ho gaya ?
Ab avi thoda confuse hua
Avi- kaam ? kaunsa kaam ?
Sanjana- tujhe kuch important kaam tha na ?
Ab avi ko subah college me enter hote huye banaya bahana yaad aaya
Avi- ha, ha wo bola hai 2-3 logo ko notes ke liye
Sanjana- to ho raha hai na kaam
Avi- arey bilkul sahi ekdum
Sanjana- shakal dekho deti, saaf samajh me aa raha hai jhuth bol raha hai aur mai pagal sach me samajh rahi thi, jhutha
Itna bolke sanjana ne ek bag table par rakhi
Sanjana- ye lo..
Avi- ye kya hai ab
Sanjana- ye mera raddi ka dukan hai, aaj hi jama kiya hai sab
Par avi ne jab bag khol k dekhi to usme uske saare subject ke notes aur reference books the, aur sach kaha jaye to in sab ke baad use aur kisi notes ki jarurat nahi thi
Avi- thanks yaar, par kaha se laaye ye sab ?
Sanjana- oh hello, mai kya tujhe koi chillar ladki lagti hu kya? Pichle saal college ke top 3 rank holders me se thi mai, pata bhi hai tumhe kuch ?
(story ke start wala sapna pura jhuth bhi nahi tha )
Sanjana ki baat sunkar avine haste huye kaha
Avi- paper leak kiye the kya tumko saari khurafat karne ke baad padhai ke liye samay mil jata hai ?
Sanjana- tum khudko samajhte kya ho ? acha chalo tumhe jhuth lag raha hai to isme se koi bhi book utha ke koi bhi sawal puch lo
Avi- dekh lo haar jaogi
Sanjana- acha chal jo haarega movie dikhayega
Avi ab thoda soch me pad gaya par fir bhi usne sawal puch hi liya aur uske baad sanjana me koi mantra padh rahi ho aise uska jawab bhi de diya aur itna hi nahi wo jawab kaunse reference book me hai ye bhi bata diya aura b wo apni collor tight karte huye boli
Sanjana- bol kab jana hai movie dekhne
Avi- aaila sanjana, maan gaye yaar, mai to teko paagal adiyal nakchadi samajhta ta tu kamaal nikli yaar..
Sanjana- AK tu meri taarif kar raha hai ya taang khich raha hai
Avi- nahi re taarif hiker raha hu, mai apni haar swikar karta hu
Avi ki baat sun kar sanjana ekdum shant ho gayi itne me break khatam hone ki bell baji aur sabhi log apne classes ki taraf jane lage, avi aur shubham bhi chale gaye par sanjana wahi baithi rahi aura b uske paas jyoti aayi
Jyoti- oh hello aise naye dosto ke milne pe purano ko nahi bhulte
Jyoti ki baat sun sanajana ka dhyan tuta aur wo haste huye boli
Sanjana- yaar jyoti hum log kitne pagal hai yaar, matlab kisi ko chhota dikhane ke chakker me hum hi chhote ban jate hai
Jyoti- kuch samjhe aisa bolegi ab ?
Sanjana- maje ki baat batau? AK ko hara diya maine aaj
Jispar jyoti aankhe badi karte huye boli
Jyoti- kya ? sach me ? par kaise ?
Sanjana- hamare beech shart lagi thi usme haar gaya wo
Jyoti- ek number, aakhir me uski naak niche kar hi di tune, bada seena tane firta tha, ab samjha tu dosti ka natak kyu kar rahi thi, kis baat ki shart thi ? aura b kya karwana hai usse ? acha maja chakhana
Sanjana- arey wahi to bata rahi hu, kisi ko apne se kam dikhane me hum khud chhote ban bate hai, hum khud ko dusre se bada dikhane me ye bhi bhul jate hai ki hum kaun hai, ek baat bata hum ragging kyu kar rahe the ?
Jyoti- bas maje ke liye
Sanjana- nahi, balki hum ye sabit karna chahte the ki hum bade hai senior hai, humne ek saal pehle college me admission liya hai, itne plan kiye, khurafat ki AK ko harane ke liye sab fail kyu ?
Jyoti- kyuki wo dedh shyana nikla
Sanjana- nahi dedh shyana wo nahi balki hum murkh the, mere paas jo hai, knowledge uska maine use hi nahi kiya aur jaha jarurat nahi thi waha dimag lagaya aur aaj bagair kuch plan kare maine madad karne ke liye use apne notes diye aur uspar hamari shart lagi mai jeeti jarur par wo hara iska use bilkul dukh nahi hai aur mujhe khusi mil gayi
Jyoti use dekhte huye boli
Jyoti- sanju tu badal gayi hai
Sanjana- badly nahi hu re balki pichle anubhavo se bahut seekha hai aur mujhe khushi hai is baat ki
Jyoti ko kya bole samajh hi nahi aa raha thaw o gaur se sanjana ko dekhne lagi, uske chehre par ek alag hi khushi thi, wo upar upar se nahi balki dil se khush thi…….
Aise hi masti majak me din beet rahe the par ekdin sanjana ka mood thoda ajeeb tha avi aur shubham canteen me baithe the ke tabhi sanjana waha aa gayi aur usko dekhte hi avi bola
Avi- aao madam, tikao..
Aur sanjana bhi baithte huye boli
Sanjana- AK ab bahut ho gaya yaar, mujhe aisa lagta hai maine jabardasti dosti kar li tujhse..
Par avi apna hamesha wale masti ke mood me thaw o bola
Avi- ha to, aise patther se dara koi kisi se dosti karta hai kya ?
Par ab sanjana achanak serious hote huye boli
Sanjana- sorry, dosti aise jabardasti nahi ki jati , ulta mujhe tumhe thanks kehna chahiye ki tumne mera ye pagalpan sehan kiya hai, mai masti kar rahi thi par mujhe sachme acha lagega tumse friendship karke, sach me, jabardasti nahi, mai aage se nahi karungih pareshan tumhe
Itna bolke sanjana waha se nikal gayi aur avi ye samajhne me laga hua tha ke abhi abhi hua kya (mand buddhi )
Baadme avi ne sanjana ko awaj de kar rokne ki bhi koshish ki par wo nahi ruki aur wo sar par hath rakhe shubham se bola
Avi- chya maayla ye ladki ko samajhna bahut mushkil hai bhai, kabhi patthar utha ke piche padti hai kabhi aisa senti shoran de ke chali jati hai
Shubham- hota hai aisa, ladkiyo ke man me kya hai ye to uparwala bhi nahi samajh sakta tu to tuccha manushya hai re…
Avi- ye bhi theek hai, par itni baat confirm hai ke ye upar upar se jaisi dikhti hai na waisi hai nahi
Shubham- jane de na AK waise bhi bahut dimag kha rahi thi apna, chal class ka time ho gaya
Wo dono lecture karne chale to gaye par avi ka lecture me dhyan hi nahi tha, uske dimag me sirf sanjana ka hi khayal tha
Do teen din aise hi bite par sanjana college me dikhayi nahi di, avi ko bhi ye baat kafi khatak rahi thi, wo bhi use college me dhundh raha tha par sanjana use dikhayi nahi de rahi thi qaur akhir me teesre din jab sanjana dikhi aur avi ekdum khush ho gaya ur daudte huye uske paas gaya aur bola..
Avi- hey, hi..
Par badle me sanjana ne ekdum thanda jawab diya
Avi- canteen me chale kya ?
Sanjana- mera lecture hai..
Avi- oye sanjana, chhod na yaar, kaha hi waise do din
Sanjana- tabiyat theek nahi thi meri
Avi- acha sorry…
Sanjana- sorry kyu ?
Ispar avi kuch nahi bola aur sanjana apne class ki taraf jane lagi to avi bhag ke uske piche pahucha
Avi- sanjana chup chap canteen me chalne ka kuch important baat karni hai tumse
Sanjana- aur agar mai nahi aayi to
Ab tak ki baatchit me avinash ne apna ek hath piche kar rakha tha aur sanjana ki baat sunkar usne apna hath samne kiya to uske hath me bhi patthar tha ek ( patthar ke upar utho se baba )
Avi- ab chalegi ke sar fodu tera
Avi ki ye harkat dekh ke sanjana has di
Sanjana- copy cat
Avi- hao tera hi dost hu tere se hi seekha hai
Fir dono haste huye canteen ki taraf jane lage
Avi- kya ajeeb ladki hai yaar tu sanjana, matlab kabhi ekdum hath dho ke piche padegi to kabhi ekdum gayab..
Par sanjana kuch bol nahi rahi thi, aur wo dono canteen me aake baithe
Avi- tera talk time khatam ho gaya hai kya ? kuch to bol yaar
Ab sanjana muskurayi aur aur apna ek hath aage badhate huye boli
Sanjana- hi mai sanjana
Avi- malum hai meko
Avi ne hath milate huye kaha
Sanjana- abhi ye nayi dosti huyi hai na isiliye formal intro waise bhi patthar se pareshan ho gayi thi mai
Avi- I am AK
Avi ne ekdum khush hoke style me kaha
Sanjana- chee ye kya hai AK naam nahi hai kya tera
Avi- Avinash naam hai mera, avinash kanitkar
Sanjana- itna acha naam hai wo batane ka chhod ke ye kya hai AK
Avi- sorry yaar maine bahut hud hud kiya teko pichle kuch dino me
Sanjana- chalta hai, maine kaunse phool barsaye the
Avi- par mujhe ek baat samajh nahi aayi tumko mujhse hi dosti kyu karni thi
Sanjana- uska kya hai na avinash
Achanak sanjana ko kuch sujha
Sanjana- a mai tujhe avi bulau
Avi- arey bindass kisi bhi naam se bulane ka
Sanjana- good good, avi sahi hai to uska kya hai na avi tera dimag bahut solid hai aur mujhe tere se bahut kuch seekhna hai
Sanjana ki baat sunkar avi ko ashcharya hua
Avi- seekhna hai ? wo bhi mujhse ? kyo majar kar rahi yaar, tumhare jaisi college topper ko mai kya sikhaunga
Sanjana- mai kitabo ki baat nahi kkar rahi, wo to koi bhi padh ke seekh jayega par jis tarah se tumhara dimag chalta hai ka wok has baat hai
Avi- aur ye kaise decide kiya samjhaogi jara
Sanjana- ab yahi dekh lo, mere dimag ka bhurji paav ho gaya par mai tumhe hara nahi payi wahi teen din me tum ekdum easily shart haar gaye, ye kaise hua ?
Avi muskuraya aur bol
Avi- tum mujhe hara nahi payi kyuki tum galat ring me mere sath fight kar rahi thi
Sanjana ko avi kya bola kuch samajh nahi aaya
Sanjana- kuch samjhe aisa bologe
Avi- there is a theory called Fight in Your Ring, samjho tum football player ho aur mai cricket, ab har game me ek ring hoti hai aur game usi me khela jata hai, tum cricket ground me aake mujhe nahi hara sakti kyuki tum football player ho to ab batao agar tumhe mujhe harana hai to kaise haraogi ?
Sanjana- tumhe pehle mere ring me lana padega tab hi hara paungi na
Avi- correct, aur tumne wahi kiya, samjha kuch
Sanjana- ha thoda thoda
Avi hasa aura age bola
Avi- ruk tujhe ek example deta hu, wo saamne ek ladka dikh raha hai ? wo junior hai aur kuch senior pareshan karte hau use, ab maja dekho
Avi utha aur us ladke ke paas jake baitha, wo ladka bhi avi ko pehchanta tha avi waha jake usse bola
Avi- bhai bahut din ho gaye mai dekh raha hu kuch senior pareshan kar rahe hai tujhe, mai bolu wo karega ? fikra mat kar mai hu sambhalne ke liye
Uske baad avi ne use sab samjhaya ki kya karna hai aur wapis sanjana ke paas aake baitha aur bola
Avi- sanjana ab dekh ring fight
Sanjana bhi exited thi
Sanjana- avi kya hone wala hai abhi
Avi- shanti se baitho aur dekho, maja bhi aayega aur sawal ka jawab bhi milega
Fir dono waha aaram se chai pite baithe aur thodi der baad do senior aaye aur us ladke ko pareshan karne lage tab wo junior achanak utha aur senior ke kaan ke niche rakh di, us thappad ka awaj sare canteen me gunja aur sanjana se aspni hasi control nahi ho rahi thi, wo senior us ladke ko pakadte itne me wo waha se bhag gaya aur senior uske piche bhage avi bhi sanjana ko mere piche aane ka bolke unlogo ke piche bhaga
Avi ke bataye mutabik wo junior ek jagah jake ruka aur seniors ne use pakad liya aur do thappad lagaye fir avi ne jake use chhudwaya aur apne hath jod ke jhuk ke bola
Avi- dobara agar ise hath lagaya to hath tod ke dusre hath me pakda dunga aur jara upar dekh
Dono seniors ne upar dekha, avi unhe dhamki de raha tha par wo junior aura vi dono jhuk ke khade the
Ye abhi abhi kya hua sanjana kio theek se kuch samajh me nahi aaya, avi aur wo dono wapis canteen me aake baithe aur sanjana shuru ho gayi
Sanjana- ye abhi kya hua theek se samjha nahi, tum unhe dhamki bhi de rahe the aur hath jod ke khade bhi the, theek se samjhaoge ab ?
Tab avi ke haste huye kaha
Avi- arey kuch nahi maine us junior ko thappad maar ke waha jake khada rehne kaha tha, seniors ne use pakad ke thappad lagaye aur maine use bachaya aur ye sab scene barabar CCTV camera ke saamne hua CCTV me sirf scene dikhta hai awaj nahi aati isiliye dekhne wale ko aisa lagega ki mai hath jod ke khada hu aur senior pareshan kar rahe hai
Avi ki baat sun ke sanjana ne apne sar pe hath maar liya
Sanjana- maa kasam, matlab tune unhe dhamki bhi di aur agar kal ko jarurat padi to CCTV ka footage dikha kar college se bhi nikalwa sakta hai, maan gaye avi seth tumhare dimag ko….
Sanjana- maa kasam, matlab tune unhe dhamki bhi di aur agar kal ko jarurat padi to CCTV ka footage dikha kar college se bhi nikalwa sakta hai, maan gaye avi seth tumhare dimag ko….
Sanjana- acha ab jara detail me bataoge ring theory ke bare me, ye usi ka example tha na ?
Ab avi seth bolne lage
Avi- is example me canteen senior kiring hai, yaha wo junior unhe nahi hara sakta aur us junior ko uski ring nahi pata thi isiliye wo ye sab sehan kar raha tha maine use bataya ki uski ring kaha hai usi ring yani simple bhasha me kahe to jaha wo strong hai safe hai, yaha canteen me CCTV nahi hai jiska fayda senior le rahe the itne dino se aaj junior ne le liya aur unhe rakh ke di aur senior ko majbur kiya ke wo use CCTV ke samne maare matlab ab uske paas ragging ka proof aa gaya
Sanjana- oh to aisa hai, matlab saamne wale ko hum jis chiz me strong hai waha la ke harana, faltu me waha challenge nahi karna jaha hum khud maat kha jaye
Avi- correct
Sanjana- waise avi teri weak ring kaunsi hai
Sanjana ki baat sun ke avi ne jhat se apna phone nikala aur usne apna thobda dekhne laga
Sanjana- kya dekh rahe ho ?
Avi- dekh raha hu kahi mere sar pe C to nahi likha hua hai, mai kya pagal hu kya tumhe apna weak point batane ko
Avi ki baat sun sanjana bhi hasne lagi
Aur us din ke baad college me wo dono hamesha sath hi dikhte the aur uske baad aayi college functions ki baari par par par is chiz me hamare avi bhaiya ka dabba gul tha, usse dimag lagwalo bakchodi karwalo par kisi event me participate na karwao aur isi ke liye sanjana ne avi ko puch liya
Sanjana- avi, tune kaunse event me participate kiya hai ?
Avi- na, kisi me bhi nahi, apne ko nahi jamta ye sab
Sanjana- kyu ? arey kam se kam singing nahi to dance me to participate karna than a
Avi- mai aur dance ? not possible aur jaha tak baat hai singing ki to wo is janm me apne ko jamne se raha
Sanjana- usme kaunsi badi baat hai ye kaunsa indian idol hai, mujhe lagta hai tumhe gana chahiye
Avi- sanjana tu bol ki 3-4 ladko ke hath pair todne hai mai wo kar lunga par ye gana gane ka jhamela nahi jamega mujhe
Sanjana- kyu, tu gana nahi ga sakta kya
Avi- maine jindagi me sirf ek baar gaana gaya tha wo bhi hamare bhaiso ke tabele me
Sanjana- fir. ?
Avi- fir kya, mera gaana sun ke bhains ne char din doodh nahi diya tha aur fir maa ne jhadu se mara tha, boli khabardar dobara gana gaya to, tabele me hi nahi kahi bhi boli mai agar kisi ki mayyat me gat u to mudra uth ke galiya dega meko
Sanjana- matlab kuch bhi…
Avi- arey sacchi, main eek baar school me poem ga ke sunayi thi uske baad teacher 8 din chhuti pet ha, unki biwi bata ahi thi ke raat beraat ko darr ke uth jata tha wo
Sanjana- bas ha bahut sun liye tere kisse ab to teko gaana padega
Avi- jamega nahi.
Sanjana- ha bolta hai ke uthau patthar
Avi- maar le tu ek baar ka patthar par gaana gaane mat bol, aura b to patthar fek de
Sanjana- tu gaana gayega
Avi- O mata kyu subah subah dimag ka bhurji paav bana rahi hai, nahi matlab nahi, chal mai nikalta hu..
Sanjana- arey ruko… sun to….
Par avi waha se satak gaya aur sanjana has rahi thi tabhi uske dimag me ek naye idea ka janm hua aur wo sochne lag ki kaise avi ko gaane pe majboor kiya jaye aur fir maja liya jaye
Sanjana- Avi ab to tu gaya.. is baar to tere maje le ke rahungi, chal sanjana lag ja kaam pe
College functions shuru ho gaye the aur sab taraf sirf dhamaal shuru tha aur akhir me singing event ka din bhi aa gaya, sanjana ne saari fielding set kar di thi, program aisa tha ke logo ke naam ki chits nikali jayengi, ek senior ek junior ko gaana tha, eke k log aa rahe te aur gaana ga ke ja rahe the aur ye event sanjana ke class ke log organize kar rahe the
Avi ka pura dhyan sanjana pet ha aura b aakhir Jodi ka naam liya jana tha, pehle senior ke chit me sanjana ka naam aaya aur sanjana ne chupke se sab chits badal ke dusri chits rakh di aura b sabhi chits me avi ka naam tha, sanjana man hi man khush ho rahi thi ke ab avi ki vaat lagegi, sanjana ka naam pehle hi announce tha aur ab anchor dusri chit nikalne hi wala tha ke itne me avi utha aur bola
Avi- saari chits tum hi nikaloge kya, hame bhi mauka milna chahiye
Sanjana samajh gayi thi ke ab ye hamesha ki tarah last minute game palat dega fir bhi naseeb acha tha ki sab chits me usi ka naam tha, anchor kuch bolta isse pehle avi stage par aaya aur usne chit nikali aur naam padha
Avi- Shubham
Fir banda sanjana ke paas aaya aur dheere se bola
Avi- mere ko malum hai saari chits me mera hi naam hoga, aura b tum palat nahi sakti nahi to sab ko pata chalega tune cheating ki hai so, enjoy
Sanjana chidh gayi thi par fir bhi usne shubham ke sath gaana gaya aur gusse me backstage jake baith gayi aur avi ko man hi man gaaliya di aur fir ek gaana shuru hua
“Yaaro Dosti Badi hi Haseen hai Ye na ho to kya fir
Bolo jindagi hai
Koi to ho raajdaar
Begaraj tera ho yaar Koi to ho raajdaar…”
Sanjana ko awaj thoda jana pehchana laga aur wo daud ke stage ke paas aayi to stage pea vi gaana gaa raha tha, sanjana haar ke bhi jeet gayi thi, gaana khatam karne avi jab stage se utar ke wing me aaya to sanjana ne daud ke jake use gale laga liya aur agle hi pal uske pet ke jordaar mukka pada
Sanjana- mere sath gaane me kya ho raha tha
Avi- tune cheating ki thi isiliye nahi gaya tere sath
Sanjana- fir baadme kyu gaaya
Avi- wo tera man rakhne ke liye, ab tu kaisi bhi hai nakti chapti par meri dost hai, khush ab
Sanjana ne dobara use gale laga liya
Sanjana- bahut bahut bahut khush
Agle din rose day tha, waise to sanjana college queen thi, akkha college use rose dene ke liye line me khada tha par uski najar dhundh rahi thi avi ko aur wo kahi najar nahi aa raha tha, sanjana sabse rose lekar avi ke class ke paas pahuchi avi waha bhi nahi tha, wo nirash hokar ja hi rahi thi ke
Avi- O college queen, hamara rose nahi logi kya ?
Sanjana jhatke me piche paltito avi muskurate huye khada tha usne apna hath aage kiya to usme ek yellow rose thaw o sanjana ko diya, sanjana ne wo liya itne me ek function ki announcement huyi
Pichle saal jaise is saal bhi sanjana rose queen bani thi aur wo apne hath me pakde sabhi roses ko dekh rahi thi par usme avi ka yellow rose use sabse jyada priya tha
Sanjana man hi man soch rahi thi ke use saare college ke ladko ne roses diye par use usme kuch alag nahi laga par avi ke rose dete hi use ek alag hi feeling aayi, wo apne aap se puch rahi thi, aisa kyu ? kyu use avi ka diya rose sabse jyada pasand aaya tha? Kyu wo bechain thi ? avi ke rose dete hi ek alag hi feeling usne mehsus kit hi, kal avi ke gaana gaane par wo itni khush thi ke usne avi ko gale laga liya tha, avi kya sirf ek dost hai ya usse jyada kuch hai? Kahi sanju tu pyaar me to nahi ? par isme harj kya hai ? avi bilkul waisa hai jaisa use apne liye ladka chahiye tha, wo tujhe pasand hai, wo nahi mila to man bechain hota hai, arey sanju tu avi se pyaar karne lagi hai.. avi ko bhi mere bare me aisa hi lagta hoga ? wo bhi mujhse pyaar karta hoga ? shayad na, kyuki wo fir ye yellow rose nahi dera red deta, par usne yellow rose kyu diya???
Sawaal sawaal aur sawaal, sanjana ke dimag me is waqt dhero sawal the par itna to confirm tha ke wo avi se pyaar karne lagi thi….
Sawaal sawaal aur sawaal, sanjana ke dimag me is waqt dhero sawal the par itna to confirm tha ke wo avi se pyaar karne lagi thi…. Aur isiliye na jane kitni der se wo us gulab ke phool ko dekh rahi thi jo avi ne use diya tha par ab dheere here wo gulab ka peela ang uski aankho me chubhne laga..
Sanjana man hi man apne aap se hi baate kiye ja rahi thi, ye avi bhi na ? red rose deta to kya jata iska, kitna badhiya hota :loveeyes:
Ab wo kehte hai na insaan kabhi santusht nahi hota, use hamesha usi chiz ki talash hoti hai jo uske paas nahi hai aur isi chakker me us chiz ko paane ke piche wo us chiz ka bhi maja nahi le pata jo uske paas pehle se maujud hai..
Ab sanajan ko ye samajh aa gaya tha ki wo avi se pyaar karne lagi hai aur ye khayal man me aate hi wo khushi se pagal ho rahi thi, sanjana is waqt ek nayi bhavna ka anubhav kar rahi thi aur aisa uske sath pehli baar ho raha tha, dil me sekdo titliya ud rahi thi aur sanjana, uski to khushi ka koi thikana hi nahi tha,
Pehla pyaar.. !
Pehla.. pyaar ! sach kahu to is bhavna ko shabdo me vyakt karna mushkil hai, iska asli maja to tab hai jab aap khud iska anubhav kare, ek aisi feeling jo shabdo me bayan nahi ki ja sakti, ek aisi feeling jo jindagi bhar sath rehti hai, jise insaan kabhi nahi bhul sakta, wo anokhi dil kidhadkan, wo bechani koi shabdo me kaise bayan kare, hamesha apne premi ka khyal wo chahe jagte huye ho ya sote huye sapne me, hamesha usi ke bare me sochna, usi kar baat har chiz hame bhi pasand aana, uski aankhe, uska hasna, uska bolna sab kuch dil me utarne lagta hai, uska bas ek najarbhar dekha, hamari or dekh kar muskurana hi dil me ghar kar jata hai.. ekdum dil ki gehraiyo tak ( aaj tak hajaro, lakho baar aapke pyaar ke bare me suna hogfa padha hoga fir bhi pehle pyaar ka anubhav aaj bhi romanchit kar jata hai
Itne din sath the par fir ye khayal pehle kyu nahi aaya aur fir achanak aise vichar kaise badal gaye iska sanjana ko ashcharya ho raha tha, kal tak to sirf dost the fir aaj achanak itni khichav kyu mehsus ho raha hai use yahi use samajh nahi aa raha tha, avi ke sath bitaya har pal use yaad aa raha tha, ekdum pehle din se
Tab use avi ki jis baat par gussa aata tha aaj usehi yaad karke hasi aa rahi thi, patthar wala scene yaad karke to uski hasi nahi ruk rahi thi aur apne aap par gussa bhi aa raha tha ke kaise usne avi ko itna sataya tha aur fir yaad aaya avi ka use buran a lage isiliye gaana gana, kitni khush huyi thi wo us samay aur khushi ke mare avi ko gale laga liya tha usne, ye scene yaad karne sanjana sharmaye bagair nahi reh payi, gaalo par laali chha gayi thi, jab gale lagaya tha tab to itna kuch nahi laga tha par aaj use yaad karne wo sharmaye ja rahi thi
Pyaar ka ehsaas, ek pehli sidhi to sanjana chadh chuki thi aur ab bari thi dusri sidhi ki yani ki kya wo bhi mujhse pyaar karta hai is chinta ki aur sanjana kab is dusri sidhi par pahhuchi use bhi samajh nahi aaya, kya avi bhi usse pyaar karta hai is sawal par usne dil aur dimag me yuh chidh chukka tha..
Dil keh raha tha ke , “ha wo bhi tumhe chahta hai, isiliye to itni jabardasti ke baad, satane ke baad bhi dosti ki hai”
Par dimag keh raha tha ke, “nahi aisa kuch nahi hai, wo rusticate na ho is darr se dosti ki hai”
“pyaar hai isiliye to principal ko maaf karne ko manaya tha usne” dil
“par wo to dosti ki khatir bhi ho sakta hai, pyaar hi ho jaruri to nahi” dimag
“nahi, pyaar hai isiliye to dobara aake usne khud se dosti ki hai” dil
“ha mere liye aur sirf mere liye, uska naam nahi liya tab bhi wo aaya aur mujhe buran a ;lage isiliye gaana gaya” dil
“to koi romantic gaana gata, gaya bhi to dosti par” dimag
Sanjana apne hi sar par tapli maarte huye boli
Sanjana- chup, saste wakeel, wo pyaar kare ya na kare, mai karti hu bas, jaise mujhe ye baat samajhne me samay laga waise hi use bhi lag raha hai, par ek baat confirm hai ek na ek din use jaroor samajh aayega..
Ab pyaar karna to easy hai par use kabool karna jara mushkil hai, sanjana man hi man soch rahi thi ke avi ko sidhe sidhe bata de ki wo usse pyaar karti hai par agle hi pal uske dimag me khayal aaya ki, use agar koi aur pasand hogi to? Pyaar to milega nahi ulta dost bhi chala jayega, itna utavla hona bhi theek nahi, pehle ye janna chahiye ki uske man me kya hai wo kisi se kyaar to nahi karta na ? pehle is baat ka pata lagana chahiye fir bata dungi ki mai usse pyaar karti hu
Sanjana ko ye khayal jacha aur waise dekha jaye to avi ki personal life ke bare me use kuch kaha pata tha.
Agle din sanjana badhiya aura vi usko dekhte hi siti bajake bola
Avi- oye hoye sanjana, kya baat hai itna tayar hoke kiski vaat lagane ka plan hai
Sanjana( avi ko theek se dekhte huye) – tu itna bhi bura nahi hai, shuruwat tujhse hi karne ka plan hai
Ab ye jawab aayega ye avi ne socha hi nahi tha, fir wo baat sambhalte huye bola
Avi- to uske liye itna sajne ki kya jarurat thi ? patthar gum ho gaya kya
Sanjana- jab sirf najro se ghayal kiya ja sakta hai to patthar uthane ki kya jarurat
Avi- sanju, tu subah subah kya kha ke aayi hai aaj, aoi ulti sidhi dawa to nahi leli, tabiyat theek hai na teri
Sanjana muskura rahi thi aur avi kuch dhundh raha tha
Sanjana- kya dhundh ahe ho ?
Avi- wo meri ek dashing, soli ekdum kadak dost thi, wo gum ho gayi hai tune dekha kya use ?
Sanjana- chup, nautanki
Aur sanjana ne mast ek mukka avi ke pith pe jad diya aur bhi apni pith malta khada ho gaya aur bola
Avi- arey waaj sanjana aa gayi tu, tereko hi dhundh raha tha, abhi just tere jaisi dikhne wali chappan churi aayi thi idhar
Ispar sanjana bhi jhutha gussa dikhate huye boli
Sanjana- kyu, maine kya hamesha tom boy jaisa rehna chahiye kya ? meri bhi kabhi kabhi icha hoti hai tayar hone ki, kaisi dikh rahi hu wo to bata nahi bas bakwas kar raha hai
Avi- arey sorry sorry, ekdum mast dikh rahi hai tu
Sanjana- rehne de apni tariff apne paas rakh, mujhe pata hai kaisi lag rahi hu mai
Waise to avi seth kabhi kisi ladki se jyada baat chit nahi karte the par fir bhi sanjana ab uspe najar rakhe huye thi, bahut dekha par galti se bhi avi use kisi ladki se baat karte najar nahi aaya, sanjana man hi man is baat se khush thi aur akhir me usne shubham ko pakdne jo avi ka roommate bhi tha aur hamesha uske sath rehta tha, shayad use kuch pata ho, par puche to puche kaise ? ek to wo hamesha avi se chipka rehta tha aur aajtak sanjana ne usse kabhi dhang se baat nahi kit hi fir ab kaise bole, aur agar usse kuch pucha bhi to wo jhat se avi ko jake bata dega, kya kare? Kaise puche ? ya kya karne se avi ke bare me pata lagaya ja sakta hai sanjana yahi soche ja rahi thi……
Ab shubham ko mil kar usse avi ke bare me puchne ke alawa koi aur rasta nahi hai ye sanjana ke dhyan me aa gaya tha aur isiliye usne apne do dosto ko madad ke liye bola, ab sanjana thi hi aisi ke agar ko kisi ladke se do shabd pyaar se baat kar le to koi bhi ladka pighal jaye aur yaha bhi wahi hua
Ek din avi kuch samay ke liye shubham ke sath nahi tha aur yahi mauka dekh ke un ladko ne shubham ko jabardast pakda aur canteen me le aaye aur sanjana ke saamne baitha diya aur sanjana ne usse baat karna shuru kiya
Sanjana- HI
shubham- ye sab kya hai sanjana..
sanjana- wo thoda kaam tha tere se, madad chahiye thodi..
shubham- to ye kaunsa tarika hai madad mangne ka ?
sanjana- ye mera tarika hai aur sabse pehli baat is bare me avi ko pata nahi chalna chahiye..
shubham- aur bata diya to ?
sanjana- oye cockroach, ijjat hajam nahi ho rahi, pyaar se baat kar rahi hu jitna bola hai utna sun nahi to tu to jaanta hai pichli baar police ne avi ko uthaya tha is baar tu hoga
sanjana ki baat sunke shubham mayus ho gaya
shubham- nahi nahi, bolo kya madad chahiye ?
sanjana- avi kaha ka rehne wala hai ?
shubham- tum dost ho na uski sidha usse pucho
ab sanjana thoda chidhne lagi thi
sanjana- mujhe lagta hai tu sidhe se nahi manega, ruk papa ko call karti hu
tab shubham ne sanjana ko rokte huye avi ke gaon ka naam bataya aura b sanjana ne sidhe mudde par baat chedi
sanjana- avi kisi se love karta hai kya ? matlab koi pyaar wyar ka chakker hai uska ?
ab shubham ke dhyan me aa gaya tha ke majra kya hai, wo bola
shubham- ek baar bola tha waise wok i koi thi par usse jyada kuch nahi bola kabhi
ye sunte hi sanjana ko jhatka laga par fir apne aap ko sambhalte huye boli
sanjana- wo baat karta hai kya kisi se ? ya us ladki se milta hai kya ? kaun hai wo ?
shubham- mujhe nahi pata kuch, ha par itna confirm hai ke apne college ki nahi hai, shayad uske gaon ke taraf ho, mujhe nahi pata isme ka kuch
sanjana- acha to Narayanrao rane kaun hai uske
shubham- uske kaka hai shayad, uska bada kaam hai gaon me, bade vyapari hai wo..
sanjana- ok
shubham- par ye sab tum usse puchne ki bajay mujhse kyu puch rahi ho
sanjana- kyuki mai use kidnap karne wali hu aur firauti ke paise kisse mangne hai iski info chahiye thi tujhe itna cid kyu banna hai
sanjana aage kuch puchti isse pehle hi use avi waha aata dikhai diya jise dekh ke wo shubham se boli
sanjana- yaad hai na, apni choch band rakhna..
shubham ne bhi ha me gardan hila di aura vi waha shubham ke bagal me baithte huye bola
avi- kya be shubham, mai akkhe college me tujhe dhundh raha tha aur tu idhar iske sath baitha haoi
sanjana- kyu mere sath baitha hai isse kuch problem hai kya tujhe ?
Avi- meko kayki problem ha tumko aur baat karni hai to mai jata hu
Avi hamesha ki tarah relax mood me bola
Shubham- abey AK kuch bhi, hum to aise hi baat kar rahe the, tum log baate karo mau aata hu library se
Itna bol ke shubham waha se satak gaya aur sanjana jaanbujh kea vise boli
Sanjana- Avi, mai kyat ere alawa dusre se baat nahi kar sakti ?
Avi- arey, maine aisa kab bola, teri life hai, tu jisse chahe baat kart u meri dost hai to tu kisi aur ladke se baat nahi kar sakti aisa kuch nahi hai
Sanjana- tujhe koi problem nahi hai, mai aise akele kisi bhi ladke se baat karu to
Avi- sanju bhang chadha ke aayi hai kya, mujhe kyu problem hogi
Sanjana- nahi maine to bas aise hi puch liya, wo kya hai na kisi kisi ko acha nahi lagta tha unki dost kisi aur ladke se baat kare to..
Avi- pehli baat mai aisa nahi hu, aur dusri baat, hua kya hai bada ajeeb behave kar rahi hai aaj tu ?
Ab sanjana ke dimag me ek naye idea ne janm liya
Sanjana- wo mujhe na teko ek kahani sunani hai..
Avi- ha to bol..
Sanjana- main na, ek ladke se pyaar karti hu
Itna bol ke sanjana avi ke chehre ke haav bhav dhyan se dekh rahi thi, ek pal ke liye uske chehre ke bhav badle par agle hi pal usne unhe ache se chupa liya aur normal chehra karte huye bola
Avi- arey gajab !
Ab sanjana use jaanbujh kar uksate huye boli
Sanjana- puchega nahi ki kaun hai wo
Avi- ab tu smart hai, samajhdar hai tu usse pyaar karti hai matlab hoga koi handsome, smart ameer..
Sanjana- ha wo to hai, par tujhe gussa nahi aaya na
Avi- meko kyu gussa aayega, ulta koi problem hoga to bata, apun expert hai aisi shadiya karane me ( again iske bare me adhik jaankari ke liye read Ek Hateli Lovestory ) apne paas har samasya ka samadhan hai..
Ab sanjana chup ho gayi aura vi bola
Avi- agar hua to mujhe milana usse aur ha, shadi me bulana mat bhulna, chal lecture hai abhi nikalta hu mai..
Avi itna bol ke waha se chala gaya aur sanjana man hi man chidh rahi thi, kaisa khadus banda hai, man me kya chal raha hai pata hi nahi chalne deta, baki jagho par bada chhati chaudi karke ghumta hai par personal baat aayi ke bhigi billi aur achanak uske dhyan me aaya ke avi ki girlfriend hai, kaun hai wo ? pata to lagana hi tha, sanjana ne apne phone nikala aur avi ka fb profile open kiya aur check karne lagi, waise to fb pea vi ke dhero dost the aur unme sirf 4-5 hi ladkiya thi, sabse pehle to sanjana ne avi ke saare photos check kiye par usme use kuch nahi mila, fir avi ka har update check karne lagi par kahi se aisa nahi lag raha tha ke wo kisi se pyaar karta hai fir uska dhyan gaya uske updates ke likes par, sanjana ne jab gaur se check kiya to use samajh aaya ke aviket komal aur yash in teeno ne kareeb kareeb har post ko like kiya hua tha (ab ye teen kaun hai vistaar se janne ke liye padhe EK Hateli Lovestory :declare ), fir usne sabse pehle komal ka page check kiya to uske profile par uske aur aniket ke shadi ke photos the, baki ki ladkiyo ke profile bhi sanjana ne dekh dale jisme se ek dr. suman ka tha aur shadi uski bhi ho chuki thi aur baaki ladkiya to dada bhaiya wali thi to unka to yaha sawaal hi nahi tha
In sab me ek chiz sanjana ke dhyan me aa gayi thi ke avi aur aniket bestfriends hai matlab avi ke bare me agar koi sahi info de sakta hai to wo sirf aniket hai sath hi aniket madad bhi karega aisa sanjana ko laga par usse pehle ek baar checkto karna tha, aisa bhi ho sakta hai ki avi kisi se pyaar hi na karta ho aur usne faltu me shubham ke dimag me ye baat daali ho,
Sanjana- agar to ye baat jhuth nikli to shubham cockroach tujhe to mai nahi chhodne wali
Sanjana ne apne aap se kaha aur aage kya karna hai sochne lagi
Wahi dusri taraf avi ki halat vichitra ho gayi thi, wo is waqt apne room me pada tha aur aage ke bare me soch raha tha aur khud se hi baate kar raha tha
Avi- ye sab kya chal raha hai bc ? komal ki shadi ke baad maine decide kar liya tha kea b pyaar ke chakker me nahi panda hai, meko to bc shadi bhi nahi karni, aur abhi saal bhar bhi nahi hua aur ye ? nahi nahi, aisa kuch nahi hai, sanjana bas dost hai aur kuch nahi, par agar wo sirf dost hai to jab aaj usne pucha ki kisi se pyaar karte ho kya to ajeeb kyu feel hua, kisi ki baat na sunne wala uski jabardasti kaise sehan kar leta hu mai? Waise bhi chali gayi thi wo, kya jarurat thi dobara usse dosti karne hi upar se uske liye gaana bhi gaaya, sach sach bata usne jab gale lagaya tab pighal gaya than a.. avi wo teri dost nahi hai tu pyaar karne laga hai usse……. Nahi nahi mai koi pyaar wyar nahi karta kisi se, mai koi dilfek aashiq nahi hu jo ek jayegi to dusri ka picha karunga, mai aur sanjana sirf dost hai isse jyada nai aur agar ye kissa aage badha to use wahi khatam karke dur nikal jaunga mai
Avi ne man hi man decide kar liya tha ke dobara pyaar wyar ke chakker me nahi padna hai…..
Ab aisa kyu hai ye update me padhna ki insaan ko mohabbat me kya kya papad belne padte hai,
To haalat kuch yun the ki avi puri taraf se sanjana ke dil o dimag par chhaya hua tha, uthte baithte sote jaagte khate pite bas avi ka hi khayal uske jehan me chal raha tha par avi tha ke uske man me kya hai pata hi nahi chalne de raha tha aur sanjana puri himmat ke sath dati huyi thi ye jaane ke liye ki avi ke dil me uske liye kya feelings hai
Ek din aise hi jab wo log canteen me baithe the jab sanjana ne baat chedi
Sanjana- avi, wo dekh rahe ho ? wo kone me baithe dono ko, kuch na kuch chal raha hai unke beech
Avi ne bhi befikri me kaha
Avi- kuch chal raha hai matlab ?
Sanjana- mujhe lagta hai dono premi hai..
Avi- matlab kuch bhi.. wo dono kya sirf baat nahi kar sakte kya
Sanjana- aise kone me baith ke ?
Avi- arey dusri taraf jagah nahi hogi isiliye waha baithe to isse kya wo couple ban jayenge ?
Sanjana- avi, tune kiya hai kya kabhi pyaar ?
Sanjana ka sawaal sun kar avi do second ke liye chup ho gaya fir jald hi khud ko normal karte huye bola
Avi- hao, mai bharpur logo se pyaar karta hu
Sanjana- bharpur bole to
Avi- bharpur boleto anek
Sanjana- ha ha ha, jaise mujhe matlab nahi pata tha, maine pucha ki kya koi special hai unme se ?
Avi- hao hai na, special, mera dost anya, apni jaan hai wo
Sanjana- aur ?
Avi- ha ek hai aur..
Ab sanjana ka dil joro se dhadakne laga
Sanjana- kaun hai wo ? kya naam hai uska ?
Aur avi bhi mahol banate huye use batane laga
Avi- uski aur meri pehchan mere janm ke samay se hai, bahut maanti hai wo mujhe, ha tere jaisi sunder nahi hai, matlab ekdum kaali hai par mujhe bahut pasand hai, aaj bhi mera awaj sun le to daudi aaye mere paas
Sanjana gaur se saari baat sun rahi thi aur uske chehre par kamaal ka tension tha aur ye baat avi ne bhi notice kar li aur fir wo bola
Avi- tujhe pata hai, mere liye pagal hai wo, mai agar ghar par hu to wo sirf mere hi hath se khayegi aur kisi ke nahi..
Ab sanjana ne jaise taise pucha
Sanjana- gharwalo ko pata hai sab ?
Avi- ha matlab mere hi liye to bapu use leke aaye the
Sanjana- leke aaye the matlab ?
Avi- matlab kharid ke, bapu use mere liye kharid laye the, bahut bhari hai wo, mai pyaar se dimple bulata hu usko, roj kam se kam 10 litre doodh deti hai wo…
Avi se khud ki hasi control nahi ho rahi aur sanjana uska para chadh raha tha sanjana chid gayi aur ek jordar mukka avi ke pih me maarte huye boli
Sanjana- nalayak, mtu bhains ke bare me bata raha tha ?
Avi- oye sanju, khabardar bhains bola use to, meri maa to bahu bolti hai use
Sanjana- tu na ek no ka khadus aadmi hai, mujhe baat hi nahi karni tujhse..
Avi- kyu, maine kya kiya hai tune pucha wahi to bataya maine
Waise dekha jaye to sanjana confuse thi, wo is baat se khush thi ke chalo iske bare me kuch pata to chala aur is baat se dukhi ke wo aur kuch nahi jaan payi fir bhi wo boli
Sanjana- avi tujhe love marriage pasand hai ke arrange ?
Avi- dono nahi
Sanjana- kyu ? jindagi bhar aise hi rehne ka khayal hai kya ? kabhi na kabhi to shadi karni hi hai na ?
Tab avi ne haste huye kaha
Avi- insaan ya to sukhi ho sakta hai ya shadishuda aur jaha tak sawaal hai shadi kaise kari jaye to tumhe batata hu, arrange marriage aur love marriage me ek basic fark hai, samjho tum jungle se ja rahi ho aur achanak jhadiyo me se ek saap aa kar tumhe das le, ye hai arrenge marriage
Sanjana- aur love marriage ?
Avi- love marriage me aap khud saap ke paas jakar usse request karte hai ke wo aake aapko dase bas.
Avi apni baat bol ke hasne laga aur sanjana bhi jaise taise hasi par ander se wo bhayanak chidi huyi thi aur akhir me wo boli
Sanjana- tum baat mat badlo, chalo mai side sidhe puchti hu tum kisi se matlab kisi ladki ke pyaar karte ho kya ?
Ab avi thoda serious ho gaya aur bola
Avi- tumhe kyu janna hai ye sab ?
Sanjana- mujhe janna hai bas tum batao
Avi kuch samay tak sochta raha ki sanjana ko bataye ya nahi ? kyuki yash ke alawa ye baat koi nahi janta tha aur ek pal ko uske dimag me ye khayal bhi aaya ye sanjana ko bata de taki uske dimag se ye pyaar ka bhoot utre par agar bata diya ki fir aage wo kaun hai kya naam hai aise sawalo ki line lag jayegi aur avi nahi chahta tha ke sanjana ke dil ko koi thes lage isiliye wo bola
Avi- sanjana, tumne tajmahal dekha hai..
Sanjana- nahi, kyu ?
Avi- insaan ne na ek baar tajmahal jarur dekhna chahiye, uski khubsurti mehsus karni chahiye, uske karigari par mohit hokar uspar pyaar karna chahiye par kabhi uske base me nahi jana chahiye, tajmahal bhale hi kitna hi sunder kyu na ho par uske ander kabra ke alawa aur kuch nahi milega, saari duniya bhale hi use pyaar ki nishani manti ho par akhir wo hai to ek kabra hi.
Avinash is waqt full serious tha aur sanjana ne use itna serious pehle kabhi nahi dekha tha isiliye usne shant rehna aur dobara is topic par baat na karne ka socha, avi kuch samay shant waha baitha raha aur fir uth kar khada hua aur bola
Avi- bahut koshisho ke baad jakhm bhara hai dobara mat kuredo use..
Itna bol ke avi waha se chala gaya aur sanjana sochne lagi, kya hua hoga ?
Aajkal har waqt sanjana ke dimag me dhero sawal hote the par ek baat achi huyi thi sanjana ke dhyan me aa gaya tha kea vi kisi se pyaar karta hai aur wo insaan usse dur chala gaya hai, sanjana halke se muskurayi aur khud se hi boli
Sajana- chot khaya aashiq !
Sanajana me soch liya tha ke use aba vi ki puri kahani janni hai par aisa kaun tha jo iske bare me bataye aur tabhi uske dimag me ek naam aaya… Aniket !
Is mamle me sanjana ko jyada takleef nahi uthani padi usne bas FB khola aur agle hi pal aniket ke bare me jo use info chahiye thi uske paas thi. Aur agle hi din sanjana pahuch gayi aniket se milne avi ke gaon aur sidhe gayi aniket ke dukan me.. aniket kaam ne busy tha to sanjana jakar customers ki bheed me khadi ho gayi aur bas mauka dhundh rahi thi aniket se baat karne ka.. aniket ka dhyan sanjana ki taraf gaya aur wo bola
Aniket- bolo madam kya chahiye ?
Sanjana thoda hadbadayi aur jaldi jaldi me bol gayi
Sanjana- h ! kuch.. kuch nahi !
Aniket- kya ?
Sanjana ko kya bole kuch sujh nahi raha tha aur use is tarah chup dekh ke aniket bola
Aniket- o madam mujhe pata hai mai handsome hu par aap jara late hai kyuki is plot ki registry pichle saal ho gayi hai..
Itna bol ke aniket ne apni battisi faad smile de dali jise dekh ke sanjana bhi hasi aur boli
Sanjana- aap AK ko jaante ho na ?
Aniket- AK? Kaun AK ?
Sanjana- arey Avinash Kanitkar
Aniket- arey apna Avya, arey avya to apna dil jigar fefda sab hai, par uska kya ?
Sanjana- wo mujhe thodi baat karni thi
Aniket- ha to bolo na
Sanjana- yaha ?
Aniket- ha.. kyu koi problem hai.?
Ab aniket bhale hi majak ke mood me lag raha tha lekin wo sanjana ke haav bhav bakhubi note kar raha tha, sanjana boli
Sanjana- hum kahi aur aaram se baat kar sakte hai kya ?
Aniket gehri awaj me bola
Aniket- koi serious matter hai kya ?
Sanjana bhi jhut muth has ke boli
Sanjana- nahi..nahi jyada kuch serious nahi hai..
Avi- jyada nahi matlab thoda serious hai..
Sanjana- aapko kuch problem hai kya bahar jakar baat karne me ?
Aniket bhi gehri saas chhodte huye bola
Aniket- bahut bada problem hai madam aur ye problem maine khud apne gale me bandha hai.. meri biwi komal use agar pata chala na ki mai kisi ladki ke sath coffee pine gaya hu to jyada kuch nahi hoga bas teri taange tut jayengi..
Ab sanjana thodi mayus huyi
Sanjana- theek hai fir jati hu mai
Wo mud kar jane lagi itne me aniket ne use awaj diya
Aniket- arey madam ruko, tumhare chehre par to double bara baj gaye, ruko aata hu mai…
Sanjana mud kar jane lagi itne me aniket ne use awaj diya
Aniket- arey madam ruko, tumhare chehre par to double bara baj gaye, ruko aata hu mai…
Fir bhi sanjana dukan ke bahar nikal chuki thi aur aniket bhi jaldi se uske paas pahucha
Aniket- arey thoda dheere chalo madam, railway me paida huyi ho kya ?
Ab sanjana bhi gusse me boli
Sanjana- kyu, ab darr nahi lag raha kya apni biwi se..
Aniket- huh, kaun bola ki mai darta hu usse ? mai kisise nahi marta , ha par agar wo gussa jo tab alag baat hai
Aniket ne haste huye kaha
Sanjana- to jao, baitho apna dukan sambhalte huye
Ab aniket ka sur badal gaya tha
Aniket- oye madam, avi ke bare me janna hai to chalo chup chap coffee pite huye baat karte hai
Ab sanjana bhi shant ho gayi aur wo dono coffee shop me jake baithe aur sanjana jaise taise boli
Sanjana- sorry..
Aniket- sorry ke badle agar bill mai bhar dungi aisa kehti to thoda acha lagta
Sanjana- aapko sahi me kuch problem nahi hai na, matlab aapki wife?
Aniket- mai majak kar raha tha, aur ha meri biwi ko pura bharosa hai mujhpar aur ye majak nahi hai, acha ye chhodo aap avi ke bare me keh rahi thi ? aur aap kaun ?
Sanjana- wo mai aur avi ek hi college me padhte hai, mera naam sanjana hai…
Aniket- waah, badhiya, par mujhse kya kaam aa gaya aapko ?
Ab sanjana yaha tak pahuch to gayi thi par aage baat kaise kare ye use samajh nahi aa raha tha, jaise taise wo himmat karke boli
Sanjana- meri na ek dost hai, wo bahut pyaar karti hai avi se par avi kisi aur ko chahta hai..
Sanjana ki baat sunkar aniket apna sar pakad ke baith gaya, waise usne pehchan liya tha ke sanjana jhuth bol rahi hai fir bhi wo bola
Aniket- gajab ! matlab ye dhande shuru hai uske waha.. haramkhor ko padhne bheja tha aur ye kar raha hai wo, milne do usko tang hi tod ke hath me de dunga..
Ab sanjana hadbada gayi,
Sanjana- nahi.. nahi aisa nahi hai.. wo meri saheli pyaar karti hai usse par avi ka pata nahi.. aur itni kya badi baat hai usne ? aapne bhi love marriage ki hai na.. ?
Aniket- ye avya bhi gadha hai ek number ka.. hamesha kahi na kahi fasta rehta hai. Ab kuch dino pehle ki hi baat hai, ek chudail piche padi thi uske, baap police isiliye ander karwa diya usko wo nipta nahi kea b ye nayi jhanjhat…
Sanjana- chudail nahi..mai.. hi..thi..wo..
Aniket- arey waah.. mujhe nahi pata tha chudaile itni khubsurat hoti hai.. acha chhodo kaam kya hai batao ?
Sanjana- avi kisi ko chahta hai kya ?
Aniket ne do minute socha aur fir bola
Aniket-avi aur pyaar.., bilkul nahi. Khurafat karne bolo maar peet ka bolo wo ache se kar lega par pyaar wyar nahi, waisa kuch hota to mujhe pata hota..
Uske baad sanjana ne wo sara kissa bataya jab avi serious hokar baat kar raha tha aura b wo baat sunkar aniket bhi soch me pad gaya ki avi kisi ko chahta hai aur use pata hi nahi hai par fir bhi sari baat sunkar aniket bola
Aniket- aap aapki dost ko bolo ki wo ‘thi’ aisa bola yani ab nahi hai, aur mai dave ke sath keh sakta hu ke avi ki life me koi ladki nahi hai, ye sab to usne picha chhudane ke liye bola hoga, mai ache se janta hu usko, seat khali hai jaldi se rumal daal kar reserve kar lo..
Sanjana- wo bahut koshish kar rahi hai par avi kuch suntan hi nahi.
Aniket- iski to.. aise kaise nahi sunega mai bhi dekhta hu, mai madad karunga par mujhe pata to chale ki wo ladki kaun hai, aur pyaar karti hai to darr kyu rahi hai? Apni dost ko kyu bheja..
Sanjana- nahi waisa kuch nahi hai, mai idhar aa rahi thi to maine hi socha aapse mil lu aap khas dost ho na uske..
Aniket- fikar not.. kuch bhi madad chahiye hogi to bas call me..
Itna bol ke aniket ne apna card sanjana ko diya aur wo waha se chali gayiaur aniket haste huye khud se bola
Aniket- shabash.. matlab doodh lene bhi jana hai aur bartan bhi chupana hai.. avi ka to baad me dekha jayega pehle tumhare pyaar ka ijhar to ho jaye.. ab aayega maja, avi haramjade mera band bajaya tha tune ab teri bari hai.. tu to beta gaya ab
Par reh reh ke aniket ke dimag me ek hi sawal aa raha tha ke akhir avi ki premika hai kaun ? aisa kaise ho sakta hai ke uska jigri kisi ke pyaar karta hai aur use is baat ki khabar tak nahi hai.. apne ki khayalo me khoya aniket wapis dukan jane ke bajay ghar pahuch gaya aur pahuchte hi awaj lagayi..
Aniket- kammo meri darling.. jane meri janeman….
Aniket ki awaj sunkar komal kitchen se bahar aate huye boli
Komal- tum aagaye ? itni jaldi ? sab theek hai na ??
Aniket- wo tumhari yaad aagayi to chala aaya kammo darling
Komal ne pehle idhar udhar dekha ki koi hai to nahi aur jab wo nischint ho gayi ke aaspaas koi nahi hai to usne mast ek mukka aniket ke pith me jad diya aur boli
Komal- ho gayi tumhari nautanki shuru… meri yaad aa rahi thi.. jaldi batao kya baat hai bahut kaam hai mujhe..
Aniket- aaila kamal hai, ab mujhe meri eklauti biwi ki yaad bhi nahi aa sakti kya
Aniket ki baat sun komal ke gaal bhi laal ho gaye the..
Komal- tum bhi na.. acha batao baat kya hai..
Aniket- bas itna samajh lo ki maja aa gaya
Komal- kya hua hai ?
Aniket- kuch nahi, mukka jara jor se laga par tumne mara tha to dard nahi hua
Komal- aisa kya, theek hai fir aaj ho jaye, waise bhi ghar par koi nahi hai
Aniket- arey nahi.. nahi.. mai bhale hi bahar kitna bhi shjer ban lu par mujhe ache se pata hai ki tum is sher pe sawar hone wali mata ho, acha ye sab chhodo, breaking news hai, ek ladki aayi thi abhi dukan par avya ke bare me puch rahi thi..
Itna bol ke aniket apne daat dikhane laga..
Komal- sach me..? apne avi ke bare me puch rahi thi.. gajab.. kaisi thi?
Aniket- ek number, ekdum kadak, tavka..
Aniket ki baat sun komal keapni aankhe badi ki tab ani ke dhyan me aaya ki wo kya bol raha hai
Aniket- Avi … avi ke liye sahi thi..
Komal- hmm.. waise kya puch rahi thi? Aur tumko aisa kyu laga ki wo usko pasand karti hai..
Aniket- easy hai ekdum,, wahi purana style mere dost ke liye puchne aayi hu wagaira wagaira
Aniket ne natki andaj me kaha
Komal- arey to kya pata wo sach keh rahi ho..
Aniket- kammo rani ye aniket rane ki najar hai, ek jhatke me sab pehchan leti hai
Komal- ha ha pata hai aniket rane kin ajar, khud ko samajhne me do saal lage the tumko yaad hai na
Aniket- ab tab mai kaccha tha is mamle me, tumhare pyaar me hi to samajhdar hua hu
Komal- Mr. Rane hamari bate bas karenge ab aur avi ke bare me socho
Aniket- arey yahi wo ladki hai sanjana mohite patil jisne apne baap ko bol ke avi ko ander karaya tha aur bapu chhuda ke laye the..
Komal- fir kahi koi naya bawal to nahi?
Aniket- arey nahi, maine baat ki hai usse aur mujhe lagta hai avya ki wicket bhi gir gayi hai par tumko pata hai wo dus dimag wala us bechari ke samajh ke bare hai upar se ek nayi baat pata chali hai, uska bolna hai kea vi kisi se pyaar karta haiaur bas isi bare me puch rahi thi wo..
Komal- ho hi nahi sakta hai, avi ka aisa koi scene hota to humko pata hopta.. shayad use galatfehmi huyi hogi..
Aniket- wahi to mai keh raha hu, aur samjho aisa koi matter hota to ab tak bhai ki shadi ho chuki hoti.. humne yak am ladkiyo ko bhagaya hai kya
Komal- ha ye bhi hai, chalo tumko pata nahi hai maan sakti hu par mujhe to pata hota hi..
Aniket- mujhe pata nahi aur tumhe pata hai aisa kaise
Komal- ab tum college me busy the na shravni ke piche
Aniket- arey yaar komal yaar uski yaad mat dila please..
Komal- acha chhodoye baat par kya tumhe sach me lagta hai ki ye sanjana apnea vi par fida hai..
Aniket- 100% maine dekha hai uski aankho me..
Komal- fir usne apni dost ka naam kyu liya
Aniket- wahi to matter hai, mujhe lagta hai pehle apne ko khud mamla confirm karna chahiye ki sanjana avi ko chahti hai ya uski koi dost ya kahi ye koi naya game to nahi par kuch bhi ho maja jarur aayega, bahut din ho gaye kuch dhamal kiye huye, ek kaam karo tum tumhare stylr se avi ko dekhoagar batata hai to theek nahi to tekdi ka plan banaya jayega
Komal- tumko to bas bahana chahiye tekdi par jane ka, pehle pata to chale dono ke ,man me kya hai fir karenge dhamal..
Ab aage kya karna hai aniket aur komal isi bare me sochne lage…..
Aniket aur komal dono soch me pad gaye the, akhir kaun hogi wo aur akhir me aniket chidh gaya
Aniket- ye kya baat huyi bhala ? hum donobachpan ke dost hai aur dost kam bhai jyada au aura vi ke is bare me ek baar bhi nahi bataya, ruk abhi call karta hu usko..
Aniket bas call lagane hi wala tha ke komal ne use rok diya aur boli
Komal- runo ani, call mat karo aur gussa to bilkul mat karo..
Aniket- arey par itni badi baat usne chipayi kaise..
Tab komal kuch soch ke boli
Komal- jitna mai avi ko janti hu usse lagta hai ki uski jarur koi majburi hogi isiliye usne is bare me humse koi baat nahi ki hogi aur uspar gussa hone ki bajay ye bhi to socho ki hum kitne swarthi hai, hum bas apne pyaar ke liye tadap rahe the us samay aur humne uske bare me kabhi socha hi nahi, hame hamare pyaar ki takleef najar aa rahi thi aur is beech hame samay hi kaha trha avi ki or dekhne ka..
Aniket- ye bhi sahi hai.. hum hamari hi duniya ke khoye huye the.. par koi baat nahi ab bhi samay nahi gaya hai, hum dhundh nikalenge usko jisse avi pyaar karta tha
Komal- aur fayda kya hoga, wo past tha ani, tumhi ne kaha tha na ke wo aba vi ki lofe me nahi hai..
Aniket- ye hhi theek hai to ab kya kara jaye ?
Komal- har kisi ko apna pehla pyaar nahi mil pata hai par pehla pyaar na mile to apne dil ke darwaje band nahi kiye jate, aur shayad yahi wajah hai kea vi sanjana ko koi response nahi de raha hai.. shayad wo ab dobara pyaar ke chakker me nahi panda chahta..
Aniket-ha ye ho sakta hai par ek baat mere dhyan me aayi hai, aag dono taraf lagi hai par koi bolne ko tayar nahi hai
Komal- ha na, ab sab tumhari tarah daringbaaz thodi na hai..
Aniket- ye tu meri tariff kar rahi hai ya tana maar rahi hai
Komal- tumko kya lagta hai ?
Aniket- tariff hi hogi, bhale daru pike propose kiya tha par propose to kiya tha
Komal- ha par bhulo mat us samay tumhe sath dene ke liye avi aur yash bhi the sath me…
Aniket- ye bhi sahi hai, kal ke kal jake milta hu avya se aur bolta hu ja patthe aage badh mai hu sath me
Komal- mr. rane avinash hai wo, aapke jitna utawala nahi hai wo, pehle ye jaante hai ke uske man me kya hai, tum shant raho jara, waise bhi sochna tumhara kaam nahi hai..
Aniket- to fir kya mai har love story me maar khan eke liye hu kya pehle yash wale kisse me maar khaya, fir wo docter suman ko uske ghar se bhagane ke chakker me pita aur hamare pujya pitaji ko to bas mauka chahiye tha unhone bhi hath saaf kiya (( adi harami mai maar nahi khaunga is baar, (ha malum hai chal aage likhne de ) bsdk ))
Komal- isiliye to keh rahi hu pehle confirm karne do..
Aniket- ha theek hai ye kaam tumhare jimme tab tak mai ye sochta hu ke avi ki heroine kaun hai
Wahi dusri taraf sanjana kafi khush thi, aniket ne use ache se samjhaya tha ke filhaal avi ki life me koi aur ladki nahi hai aur is waqt wo canteen me avi ki raah dekhte huye baithi thi itne me jyoti waha aa gayi
Jyoti- kya sanjana madam, kaha ho aaj kal kya chal raha hai
Sanjana- kaha kya, yahi hu, bas avi ki raah dekh rahi thi
Sanjana ki baat sunkar jyoti ne ek bhadi huyi muskan di
Sanjana- kya hua tu aise kyu hasi..
Jyoti- kaha kya, kuch to nahi
Sanjana- fir hasi kyu
Jyoti- wo aisa hai na tu jiski yaha raah dekh rahi hai wo waha kisi heroine se gulugulu karne me laga hua hai, najane kitni der se..
Sanjana- kaun ? avi ? ho hi nahi sakta
Jyoti- maine abhi khud apni aankho se dekha hai, wow aha parking me us heroine se baate kar raha tha, maine hi kiya to dekha tak nahi, itna kya khola ladki me ki dost hi na dikhe..
Sanjana- jyoti agar ye majak hua na to acha nahi hoga samjhi na
Jyoti- mai kyu majak karungi, khud jake dekh le, aur sambhal ke jana pata chala kuch or hi dekhne mil jaye
Jyoti ne aag to laga di thi aur sanjana bhadak gayi thi, wow aha se uthi aur jaldi jaldi parking ki or jane lagi, avi kabhi kisi ladki se baat nahi karta tha aur ye kaun hai jise wo parking me lejake baate kar raha hai, sanjana yahi soch rahi thi aur use dur se hi avi kisi ladki se baat karta hua dikh gaya ayr ab to uska para satve aasman par tha.. sanjana jhatke ke sath waha pahuchi aur gajri
Sanjana- AVI..!!
Avi bhi palta aur bola
Avi- sanjana..
Avi aage kuch bolta isse pehle hi wo ladki sanjana se boli
Ladki- hum yaha jara kuch important baat kar rahe hai tum baad me aana..
Bas isi ki to kami thi ab to sanjana se gussa control nahi ho raha tha.
Sanjana- tu kaun mujhe bolne wali aur waise bhi mai isse baat kar rahi hu
Ab avi kuch bolta isse pehle wo ladki avi se boli
Ladki- tu ek shabd bhi nahi bolega
Ab avi ekdum chup aur us ladki ka avi ko aisa bola hua sanjana ko pasand nahi aaya
Sanjana- tu hai kaun use chup karane wali
Tab wo ladki sanjana ko samjhate huye boli
Ladki- tum jao abhi yaha se baad me baat krna kaha na..
Sanjana gusse me avi ka hath pakadne ja hi rahi thi ke us ladki ne sanjana ka hath pakad liya aur daat piste huye boli
Ladki- tujhe ek baar ache se bataya samajh nahi aaya kya ?
Sanjana bhi bhadki huyi thi
Sanjana- mera hath chhod
Dono ladkiya jidd par addi huyi thi
Ladki- sidhe sidhe yaha se jao tab chhodungi
Sanjana- iska anjaam acha nahi hoga
Ladki- ha chal chal bahut dekhe tere jaise..
Sanjana karate champion thi usne gusse me ek hath ghumaya par samne wali bhi koi kacchi khiladi nahi thi usne aasani se sanjana ka waar bachaya aur ghumkar sanjana ka hath pakad kar marod diya aur piche kar diya,
Ye sab itna jaldi hua kea vi ko kuch bolne ka mauka hi nahi mila.. us ladki ne sanjana ka hath jor se marodte huye pucha
Ladki- ab bata tu hai kaun..
Sanjana to chidi huyi thi hi
Sanjana- mai pyaar karti hu isse, tu kaun
Sanjana ki baat sunte hu avi ekdum sunn ho gaya aur aankhe badi karke use dekhne laga, aajtak sanjana ne kabhi aise nahi bola tha, wo ladki hasi aur boli]
Ladki- kya boli.. dobara bol.. tu ye avya ki premika hai kya ?
Sanjana- ha hu mai iski premika, tujhe problem hai kya, tu kaun hai..
Us ladki ne sanjana ka hath chhoda, sanjana ne apna hath sidha kiya aur dobara use maarne ke liye bhagi pat avi ne sanjana ka hath pakad liya.. avi kuch bol raha tha par sanjana sunne ki halat me hi nahi thi akhir us ladki ne hath jode aur boli
Ladki- shant ho jao sanjana, mai komal..
Sanjana- kaun komal aur tera ka sambandh hai avi ke sath..
Komal ne shanti se kaha
Komal- komal aniket rane..
Ye naam sunte hi sanjana ekdun shant ho gayi use samajh aa gaya ki ek to wo sab galat samajh baithi thi aur gusse gusse me usne apne pyaar ki kabuli bhi de di thi..
Komal mand mand muskura rahi thi, kisi tufan ke baad jaisi shanti ho jati hai waise sara mahol shant ho gaya tha koi kuch nahi bol raha tha.. sanjana ne anjane me apne pyaar ka ijhar kar diya tha isiliye wo shant thi aur avi sanjana ki uske liye feelings sunkar shant tha aur akhir me komal boli
Komal- avya, mera kaam to ho gaya mai chalti hu ab, ab tum dono ke beech meri koi jarurat nahi hai.. tum log karo baate
Itna bol ke komal ne sanjana ko aankh mari aur waha se chali gayi
Waise to sanjana ne FB par komal ke photos dekhe the par jyadatar uske shadi ke hi photo the aur ek baar hi dekhe hone ki wajah se wo komal ko pehchan nahi payi aur jyoti ne jis tarah bataya tha uske baad tosawal hi nahi tha ke wo komal ko pehchan leti
Avi ko shuruwat me komal ne chup rehne kyu kaha tha ke use samja nahi tha par baad me dhyan me aaya ke uske muh se sanjana naam sunkar usne use chup rehne kaha tha.. matlb jab usne sanjana ko gusse me dekha tha tabhi wo samajh gayi thi ke sanjana avi ko chahti hai aur wo is baat ko maan le isiliye use uksa rahi thi
Komal ne apna game barabar khel liya tha, sanjana ne to apne pyaar ka ijhar kar diya tha aur ab avi ki bari thi……
Komal ne apna kaam kar diya tha, usne sanjana ke muh se hi uski chahat Kabul kara li thi aura b wow aha se chali gayi thi par ye dono yani avi aur sanjana wahi sunn khade the..
Kuch samay tak dono me se koi kuch nahi bola aur akhir me avi bola
Avi- canteen me chal kar baithe ?
Sanjana ne bas ha me gardan hilayi.. dono bagair kuch bole canteen me aakar baithe, chai ka order diya.. ab sanjana se raha nahi gaya aur wo boli
Sanjana- sorry, wo jyoti ne mere dimag me kuch ulti seedhi baate daal di thi, mai komal ko pehchan nahi payi aur usi chakker me ye sab jhol ho gaya..
Avi thoda gambhir awaj me bola
Avi- usme itna react hone jaisa kyat ha ?
Sanjana- tum nahi samjhoge..
Avi- to fir samjhao na, batao samjhake..
Sanjana- kyu? Tum nahi jaante ki maine aise react kyu kiya ?
Avi- Nahi.
Sanjana- baine bata diya tha usi samay..
Avi- tum gusse se thi us waqt.
Sanjana ne avi ke hath par apna hath rakha aur boli
Sanjana- par ab mai gusse me nahi hu, avi mai sach me bahut pyaar karti hu tumse
Avi- hmmmmm..
Sanjana- tumhe nahi bolna hai kuch ?
Par avi kuch nahi bola, wo shant tha aur akhir me sanjana hi boli
Sanjana- dekho avi, mai koi tmhe force nahi kar rahi hu ki tum bhi mujhse pyaar karo, ha par itna jarur kahungi ki mai tumse pyaar karti hu kar karti rahungi..
Avi kuch nahi bol raha tha aur akhir me usne lambi saas chhodi aur bola
Avi- sanju tum bahut achi ho, koi bhi asani se tumhare pyaar me pagal ho jaye itni khubsurat ho, par ek baat batau..
Avi ki aankho me pani jama hone laga tha, awaz bhari ho gaya tha, gala bhar aaya tha fir bhi wo bola
Avi- mai tumhare liye sahi nahi hu, mai kisi aur ko chahta hu.. kisi aur se pyaar karta hu..
Avi ki baat sunkar sanjana ko dil par mano bijli giri ho, aisa nahi tha ke wo ye pehle baar sun rahi thi par ye baat avi ke muh se sunkar uske man ko thes pahuchi thi… par..par…par.. itni asani se wo is baat ko jane de wo sanjana thodi hai…
Sanjana- kya mai puch sakti hu ki wo kaun hai ?
Avi- nahi.
Sanjana- tum samajh rahe ho waisa nahi hai, mai isiliye puch rahu huki kya mai tum logo ko sath me lane ke liye koi madad kar sakti hu…
Avi- ye mumkin nahi hai..
Sanjana- kyu mumkin nahi hai, agar tumhara pyaar saccha hai to kya dikkat hai fir ?
Avi bahut bechain tha, kya bolu, kaise bolu use samajh hi nahi aa raha tha fir bhi wo jaise taise bola
Avi- shadi ho chuki hai uski..
Ab sanjana ki halat bhi vichitra ho gayi thi.. use ye samajh nahi aa raha tha ke uski line clear hai ye soch ke khush ho ya avi ko uska pyar nahi mil paya is wajah se dukhi…
Sanjana- fir bhi pyaar karte hi usse ?
Avi- mai usse nahi kehta ki wo bhi mujhse pyaar karte ha par itni baat saaf hai ke usse pyaar karne ke liye mai bhi apne aap ko nahi rok sakta..
(uff ye ek tarfa aashiq )
Sanjana halke se muskurayi aur boli
Sanjana- thank you
Sanjana ka trhank you sun ke avi chauka
Avi- thank you kis liye
Sanjana- meri ek bahut badi duvidha dur karne ke liye
Avi ko kuch samajh me nahi aaya
Avi- kaisi duvidha ?
Sanjana- yahi ki mujhe pyaar karne se koi nahi rok sakta, wo bhi nahi jisse mai pyaar karti hu, isiliye thank you, ab to mai sina taan ke keh sakti hu ki Avi I Love You, I Love you..
Tab avi sanjana ko chup karate huye bola
Avi- ye kya kar rahu ho tum, kya pagalpan hai ye..
Sanjana- agar ye pagalpan hai ti tum pagalo ke sardar ke puraskar ke hakdar ho..
Avi- kuch bhi kya bakwas hai ye..
Sanjana- kuch bhi matlab, khud to usse pyaar karta hai jo jindagi me dobara nahi aane wali aur ulta mujhe pagal bolta hai..
Avi ko sanjana ka point samajh me aa gaya aur wo jaise taise bola
Avi- sorry
Sanjana- acha wo jane do ek baat bata.. saamne wala humse pyaar nahi karta ye baat jaante huye bhi pyaar karne me kya burayi hai..
Avi kuch nahi bola, aur ab sanjana full form me thi kyuki ye ek hi aisa topic tha jana avi ki buddhi uska sath chhod rahi thi aur sanjana mood me aate huye boli
Sanjana- waise maan gaye komal ko, jabardast, jis baat ke bare me mai itne dino se soch rahi thi pal bhar me usko mere muh se wo baat bulwa di, ab kitna mast halka halka lag raha hai, ab mai bindass tumpar pyaar dikha sakti hu
Avi shanti se bola
Avi- par maine abhi kuch bola nahi hai..
Sanjana- ek baat puchu ?
Avi- nahi bola tochup rahegi ?
Sanjana- nope..
Avi- to puch fir..
Sanjana- ye jaante huye bhi ki wo tumhe mahi milegi fir bhi kaise pyaar kar lete ho usse
Avi- kyuki mai pyaar karta hu, uspar apna haq jatane nahi jata..
Sanjana- matlab ?
Avi- matlab wo sirf meri hai, use meri hona hi hoga ye bhavna yani apna haq jatana, wo meri ho ya na ho fir bhi mera usse pyaar karna isko niswarth prem kehte hai.. kisi ne kaha hai, premi ko pa lena hi sabkuch nahi hota, na pa kar bhi pyaar karte rehne ka apna alag hi maja hai..
Sanjana taali bajate huye boli
Sanjana- waah.. kya baat hai.. ek number.. kitna mast bolta hai tu avi.. haay.. ab toi tumhare liye pyaar aur badh gaya hai kyuki tumne aaj prem ka ek naya pehlu samjhaya hai.. I love you avi..
Avi ne apne sar ke hath maar liya aur bola
Avi- sanjana mai tumhe ye batane ki koshish kar raha hu ki mai tumse pyaar nahi karta..
Sanjana bhi befikri se boi
Sanjana- ab usse koi fark nahi padta.. tu pyaar kare ya na kare wo tera problem hai par mai tumse pyaar karti hu, karti rakhungi aur tumse pyaar karne se mujhe tum bhi nahi rok sakte..
Ab avi thoda chidhne laga tha
Avi- ye shudh murkhta hai
Sanjana- tum bhi wahi kar rahe ho
Avi- arey bas kar yaar..
Sanjana- kyu bas karu.. tumhe tumhara pyaar nahi mila to kya mujhe bhi na mile, aisa zaruri to nahi..
Is sawalka jawab avi ke paas nahi thaw o thoda chidhte huye bola
Avi- mai nahi kar sakta tumse pyaar ?
Sanjana- kyu ?
Avi- maine tumhe sab bata diya hai..
Sanjana- tum usse pyaar karo mujhe koi dikkat nahi hai par mujhse pyaar kyu nahi kar sakte.. kyu nahi maante ki wo ab dobara tumhari jindagi ne nahi aayegi.. jindagi k eek mod par tum mile aur uske baad tumhare raste alag ho gaye, wo apne raste nikalo gayi aura b dobara nahi aayegi ye jaante huye bhi tum uski raah kyu dekhna chahte ho..
Avi- mujhe nahi pata
Avi ne baat taalte huye kaha par sanjana bhi kam nahi thi, wo itne asani se aaj avi ko chhodne wali nahi thi
Sanjana- tumhe pata nahi ya pata karna nahi chahte, maanti hu insaan apna pehla pyaar nahi bhul sakta par iska matlab ye nahi ke jindagi bhar usi baat ko leke baitha rahe..tumhe aage badhna hoga.. tumhe bhi pyaar pane ka adhikar hai, come on move on.. aur tumhe tumhara pyaar nahi mila isiliye mujhe mera pehla pyaar china chahte ho kya ?
Avi kuch nahi bol raha tha
Sanjana- aur agar usi ne tumhe aage badhne keh diya to move on karoge ?
Avi- matlab ?
Sanjana- matlab wo kaun hai batao mujhe mai baat karti hu usse tumhe samjhane bolti hu..
Avi jhatke ke sath khada hua aur table par apne dono hath patakte huye bola
Avi- khabardar agar usko kuch bhi kahat aur ye bahut ho gaya ilu ilu mera piche chhod de ha.. mai kisi ke hath nahi aane wala..
Itna bol ke avi waha se nikal gaya aur sanjana mand mand muskurate huye boli
Sanjana- wo to ab possible nahi hai.. bhagwan bhi agar niche aa jaye na tab bhi mujhe tumhe chahne se nahi rok sakte.. raha sawal tumhara to tumhe to mai nahi chhodungi aur ek din aisa aayega ki tum khud mera pyaar swikaroge..
Sanjana ki aankho me ek alag ki chamak dikhai de rahi thi aur chehre par confidence…..
Idhar komal college se nikli aur sodha aniket ke paas dukan me pahuchi aur aniket use dekhte hi bola
Aniket- aao aao malkin sahiba, aaj aap direct dukan me ?
Dukan me thodi gardi thi, log the, tab komal boli
Komal- suniye, jara bahar aaiye na, mujhe baat karni hai kuch
Aniket- Suniye..! direct suniye..! aay haay aise bulaogi to mai paatal me bhi aa jau, don’t worry sabko pata hai kitna darta hu mai tumse, itni ijjat mat do ab warna sabko lagega mai jhuth bolta hu unke samne..
Tab komal apni aankhe badi karte huye boli
Komal- ho gaya, ab baahar aaoge
Aniket- bas abhi aaya rani sarkar..
Itna bol ke aniket baahar aaya aur dono gaadi me jakar baithe… komal bahut exited thi
Komal- mai na aaj avi ke college me gayi thi
Ye sun ke anikiet bhi excited ho gaya aur bola
Aniket- kya bola avya…
Uske baad komal ne aniket ko sara kissa bataya jike sun ke aniket ekdum khush ho gaya
Aniket- ek number kaam kiya hai kammo.. kya baat hai..! aaj mai itna khush hu ke direct tajmahal tumhare naam karta hu..
Komal- ha, aur tajmahal kya narayanrao rane ka hai ?
Aniket- wo jane do abhi, maine kaha thga na maine sanjana ki aankho me dekha tha, aur wo mujhe bana rahi thi, boli dost ke bare me baat kar rahi hai..
Aniket ki badbad shuru hi thi par komal kuch soch rahi thi, fir komal boli
Komal-sanjana ne maan liya ki wo avi ke pyaar karti hai par avi, avi kuch bhi nahi bola
Aniket- kyu?
Komal- shayad sanjana jo bol rahi thi wo sach ho avi kisi se pyaar karta ho, kyuki agar aisa na hota to avi bhi kuch na kuch react jarur karta..
Aniket- mera na is mamle me dimag chalna hi band ho gaya hai, ek kaam karta hu kal hi subah harami ko leke aata hu aur do kaan ke niche baja ke puchta hu ki ye kya natak hai…
Komal- maine to mera kaam kar diya aur wqo successful bhi ho gaya, Mr. Aniket Rane ab tumhari bari hai dekhte hai jya jhande gaadte ho tum
Aniket- O rani sarkar, challenge nahi karne ka, maine man bana liya to kal ke kal un dono ki shadi bhi karwa sakta hu
Komal- aisa kya ? shakal dekhi hai apni, bade aaye shadi karane wale.. aajtak wo kisse pyaar karta ha ye to pata nahi chala tumhe aur khas dost ho na tum uske..
Aniket- wo aajtak mai tumhar pyaar me khoya hua tha isiliye dhyan hi nahi diya..
Komal- theek hai theek hai, par ab to lag jao kaam pe
Aniket- wo to mai karunga hu par uske pehle, Shabass kammo, aaj tum sahi hisab se Rane khandan ki bahu lag rahi ho..
Komal- par jo bhi karoge dhyan se karna, wo sanjana ke pitaji police hai aur love story me maar khane ka itihas hai tumhara..
Aniket- kammo tu darr rahi hai ya dara rahi hai..
Komal- dono..
Aniket- Don’t Worry hamare bapu hai na sa,bhalne ke liye.. pichli baar bhi to sambhal liya tha unhone aur Avya ke liye kuch bhi
Uske baad komal ghar aur aniket dukan me chale gaye
Wahi dusri taraf Avi tension me aa gaya tha.. sanjana ka use tension nahi tha asal tension ye tha ke komal ko ye sab pata chal gaya tha matlab aniket ko bhi pata chal hi chukka tha aura b use bas ek hi darr tha ke kuch bhi ho jaye komal ka naam bahar nahi aa chahiye, sanjana ne use dharmsankat me daal diya tha aur ab isse bachne ke liye use bas ek hi rasta najar aa raha tha wo tha sanjana ke pyaar ko accept karna jisse koi bhi uske past ke bare ne nahi puchega par wo ye karne ke liye ready nahi tha
Wo ab bhi komal ko dilo jaan se chahta tha par ab komal aur uska sath aana mumkin nahi tha.. halanki wo bhi nahi chahta tha ke komal aur aniket kabhi bhi alag ho wo un dono ke liye khus tha par jhuth muth hi sahi wo komal ki jagah kisi ko nahi de sakta tha aur isiliye wo sanjana ke propose ka jawab nahi dena chahta tha..kya kare kya na kare samajh hi nahi aa raha tha aur ab wo aniket ko kaise face karega ye use sochta tha.. use aniket ka swabhav ache se pata tha uske dimag me koi baat aa gayi to wo hath dho ke nahi balki naha dho ke uske piche lag jata tha
Aise me ek pal wo bhi aaya jab avi ko sanjana ka I Love you bolna yaad aaya aur uske dil ke chote me kone me ek khusi ki lehar daud gayi aur aankho samne sanjana ke wo shabd
“tumhe tumhara pyaar nahi mila to mujhse mera pyaar to pane do”
Ye shabh mano kisi hatode ki tarah uske dimag par prahar kar rahe the aur agle hi pal usne apne dimag se sare khayal nikal diye
Avi- nahi nahi.. mai komal ki jagah kisi ko bhi nahi de sakta
Aur avi ne sakht bane rehne ka faisla kar liya par kahi na kahi wo bhi ye baat jaanta the ke uske is decision ko surang lagne wali hai
Agle din avi hamesha ki tarah college pahucha aur canteen me jake baitha tab sanjana bhi waha aayi aur halke se boli
Sanjana- good morning may love..
Sanjana ki baat sun ke avi thoda chauka…
Avi- oye, sanju kya boli tu ?
Sanjana bhi kandhe jhatakte huye boli
Sanjana- kaha, kuch bhi to nahi
Avi- abhi abhi kuch bola tune..
Sanjana- don’t worry kisi ne nahi suna aur waise bhi tum jo mere liye ho wahi bola hai..
Waise dekha jaye to sanjana ke muh se may love sun ke kahi na kahi avi ko bhi acha laga tha par usne ye baat jahir nahi hone di aur thoda chidhte huye bola
Avi- stop it..! tumko nahi lagta tum jabardasti kar rahi ho ?
Sanjana- jabardasti aur mai ? bilkul nahi.. maine tumse kaha ki tum bhi mujhe I love you bolo, aur don’t worry mai aisa bolungi bhi nahi, kyuki mujhe yakin hai ek na ek din tum khud mujhe ye baat bologe, khudse..
Avi- aur agar mai tab bhi nahi bola to
Sanjana- to mai raah dekhungi
Avi- tum paagal ho.
Sanjana- yours only..
Avi ko kya kare samajhg nahi aa raha tha aur itni baat bhi sach thi ke sanjana ke bagair use bhi chain nahi milta tha isiliye wo use taal bhi nahi raha tha aur akhir me wo pareshan hote huye bola
Avi- tu idhar meri jaan kha rahi hai aur udhar komal ne anya ko sab bata bhi diya hoga aur anya matlab rakshas hai tum nahi janti use..
Sanjana bhi jaldi se bol gayi
Sanjana- kuch bhi mat bolo bahut acha ladka hai wo..
Ye sunte hi avi ko ek jordar dhakka laga
Avi- matlab ? aur tere ko ye kaise pata
Sanjana- kaise matlab ? mai mili hu usse ek baar
Avi ne ye sun ke apna matha peet liya
Avi- khatam..tata..bye bye.. agaya mai ab.. ab kuch nahi ho sakta..
Sanjana- aise kyu bol rahe ho.. kya hua
Avi- tumko pata nahi hai anya kya chiz hai.. wo bhoot hai bhoot auyr ab ye bhoot mere piche lagne wala hai
Sanjana ekdum khud hote huye boli
Sanjana- sach me..!
Avi- hao, sahi me, pata nahi tumko kaunse muhurat me usse milne ki baat sujhi thi..
Sanjana- fir kya karti mai.. tumse kuch bhi pucho to tum koi jawab side tarah se nahi dete the to usse mil li
Avi- kya kya bola usko tumne?
Sanjana- kuch khas nahi bas usse itna pucha tha ke kya tum kisi se pyaar karte ho bas, sorry
Sanjana ne apne kaan pakad liye aur avi ko hase ya roye ye hi samajh nahi aa raha tha
Avi- vaat lag gayi matlab puri
Sanjana- use bhi pata nahi tha ki tum kisi se pyaar karte ho, avi sach sach batana tumne bas mujhe taalne ke liye hi to kisi ladki be bare me kahani nahi banayi na ? kyuki aisa kuch hota to aniket ko pata hota aur don’t worry maine use nahi bataya ki mai tumse pyaar karti hu bol diya ke meri dost chahti hai tumhe
Avi- waah !! shabass!! Tumne bola aur anya ne mana, wo bahut pahuchi huyi chiz hai, sirf T bhi bola to wo pehchan leta hai ke T table ka hai ya Talwar ka aur usne bhi tumne ye sab komal ke samne bola hai aur komal ko malum matlab anya ko malum.. ho gaya kalyan
Itne ne avi ka phone bajne laga
Avi- shaitan ka naam liya shaitan hajir, anya ka hi phone hai
Avi ko samajh nahi aa raha tha ke phone par kya bole.. usne jaise taise phone uthaya aur awaj normal karte huye bola
Avi- hi anya kaisa hai bhai..
Udhar se awaj aaya
Aniket- mai ekdum handsome, hamesha ke jaisa tu bol kidhar hai ?
Avi- mai to class me hu lecture ke liye aaya hu
Aniket- ha canteen me tere baap ne lecture rakha hai na haramjade..
Avi aage kuch bolta isse pehle hi sanjana ne avi ko hatho se ishara karke piche dekhne kaha, avi ne mud ke dekha to aniket uske piche haste huye khada tha…..