Babybulbul
Member
- 200
- 437
- 78
Nice UpdateUpdate 20
Aniket- ha canteen me tere baap ne lecture rakha hai na haramjade..
Avi aage kuch bolta isse pehle hi sanjana ne avi ko hatho se ishara karke piche dekhne kaha, avi ne mud ke dekha to aniket uske piche haste huye khada tha…..
Aaj avi bahut dino baad aniket se mil raha tha isiliye saari baate bhul ke avi apni jagah par se utha aur aniket ke gale lag gaya..
Aniket- bsdk teko kabhi yaad nahi aati kya meri ?
Avi- anya teri yaad na aaye aisa ho sakta hai kya
Aniket aage kuch bolta isse pehle hi avi se use baithne kaha, saamne sanjana thi hi, ab kehta hai na agar aapke piche aapko khane ke liye sher laga ho au aap char log usse bachne ke liye bhag rahe ho to is race me ye jaruri nahi hai ki first kaun hai but make sure ki tum second last ho tabhi bach paoge aur yaha is situation me aniket sher tha aur ab sanjana uske samne thi, avi ne aniket se gale mil ke pehla bouncer halke se duck kar diya tha aur aniket ki toph ab sanjana ki or mod di thi.. aur hua bhi aisa hi aniket sanjana ki taraf dekhte huye bola
Aniket- arey waah, patil madam aap bhi ho idhar, badhiya badhiya, to kaisi hai aap ?
Sanjana ne haklate huye jawab diya
Sanjana- m.. mai theek hu..
Aniket- gajab,.. aur aapki dost ke kya haal hai ?
Sanjana ko samajh hi nahi aaya ke aniket kis bare me baat kar raha hai
Sanjana- dost ? meri kaunsi dost ?
Aniket mand mand muskura raha tha
Aniket- arey aapki dost bhul gayi kya ? wo jiska aur avi ka kuch… aap aayi thi na mujhse milne..
Sanjana kuch nahi boli aur usko aisa confusion me dekh ke avi se apni hasi control nahi ho rahi thi aur aniket to full form me tha
Aniket- par manna padega dosti ho to aisi, matlab dost ke liye info nikalne aap waha tak aa gayi, uski taraf se propose bhi kar diya, gajab, ek kaam karo fir, apni dost ko hatao side me aur uski jagah tum hi jhelo is gadhe ko..
Sanjana ko laga tha ke aniket uski madad karega par aniket yaha usiki firki le raha tha, sanjana jaisi taise boli
Sanjana- sorry
Aniket- na, ye aisa sorry biri apne ko manjur nahi, tumhari taraf char beer pending hai apni ab
Avi ekdum se bola
Avi- chaaarrr !
Aniket- kyu, tu nahi lega kya
Dono hasne lage aur ab sanjana boli
Sanjana- ab galti ki hai saja to bhugatni padegi, tum batao tab paanch beer hajir ho jayengi
Aniket- paanch nahi char do mere liye do avya ke liye
Sanjana- aur mai kya tum logo ka muh takungi ek mere liye
Ab aniket ekdum khush
Aniket- arey gajab, ye huyi na baat apni tuning sahi jamegi, sanjana aaj se tum hamare gang me aur kuch chinta nahi karne ka mai hu tumhare sath.
Sanjana bhi has rahi thi, waise dekha jaye to aniket use pehli mulakat me hi bha gaya tha upar se avi ke case me madad kar raha tha to fir to ab aniket uska favourite tha, waise bhi ye aniket ki khas baat thi wo kisi ko bhi apna sa bana leta tha.. fir wo sanjana ko bola
Anikiet- koaml kaisi lagi?
Ye sawal aayega ye sanjana ne nahi socha tha fir bhi wo boli
Sanjana- achi hai, aur us din ke liye meri taraf se sorry kehna use wo thodi galat fehm ho gayi thi isiliye maine waisa bartav kiya aur sorry bolne ka chance hi nahi mila
Aniket- hamara pehalwan hai wobaki manna padega tumko jo himmat tumne dikhayi wo to mai bhi nahi nahi karta, never mind ulta usne tumko sorry bola hai
Sanjana avi ki or dekhte huye boli
Sanjana- use meri taraf se sorry ke sath sath thanks bhi kehna
Aniket- wo kyu bhala ?
Sanjana- usne meri ek bahut badi samasya hal kar di hai aur ha use ye bhi bolna ki jo bhi maine us din kaha tha sab sach hai..
Aniket ekdum khush hote huye bola
Aniket- shabass, aise hi date rehne ka hum dono tumhare sath hai..
Idhar avi ko dheere dheere tension aa raha tha, usne badi chalaki se aniket ko sanjana ki taraf divert kiya tha aur ab sanjana ne wapis uska dhyan avi ki or kar diya tha..
Aniket avi ko dekhte huye ekdum se bola
Aniket- bolo Avinash seth tumko kya bolna hai
Avi- kuch nahi
Aniket- kuch nahi matlab
Avi- anya baad me baat karte apan
Aniket kuch samay shant baitha aur fir ekdum se utha aur bola
Aniket- chal..
Avi- kidhar ?
Aniket- samshan me..
Dono sanjana ko bye bol ke college se nikle aur car me baith ke aage badh gaye aur anilket thoda chidhte huye bola
Aniket- kya natak lagaya be.. chya mayla wo ladki sidha teko muh pe I Love You bol rahi ur tera alag hi natak chal raha..
Avi kuch nahi bola tab aniket aage bola
Aniket- kya sahi ladki hai wo uske samne apna thobda dekha hai kya aaine me ? bsdk bhains ka baccha mar gaya tha to usne doodh dena band kar diya tha tab kku ne teko bithaya tha uske samne tab teko apna baccha samajh ke bhains ne doodh dioya tha, aisa tu, kaha tu kaha wo fir bhi wo pyaar karti hai tere se to problem kya hai..
Aniket bole ja raha tha par avi koi jawab nahi de raha tha aur aniket bhi avi ko ache se pehchanta tha usko ache se pata tha ke ab tak avi khud nahi chahega wo ek shabd bhi nahi bolega par aniket bhi9 haar manne ko tayar nahi tha
Aniket- bhadkhau bol kuch, awaj to nikal kya fevicol se muh chipka liya kya bsdk.. ya ab third degree shuru karu
Aur akhir me avi bola
Avi- kya bolu ?
aniket- suna, satyanarayan ki katha suna
Avi jaise taise hasa, aur ab ye aage kuch bolega nahi isiliye aniket chup chap gaadi chalane laga aur fir avi ne pucha
Avi- kidhar ja rahe apan ?
Aniket- gaon ko, bahut din ho gaye aaj tekdi pe jayenge..
Avi upar se bhale hi muskura raha tha par ander se dara hua tha, gaon pahuch ke aniket ne use ghar par chhoda aur sham ko tayar rehne ka keh ke chala gaya
Ab gharwalo se mil kar khushi to kyu avi ko par dimag me ab aage kya karna hai yahi chal raha tha, wo soch raha tha ki agar aniket ko pata chal gaya ki wo komal se pyaar karta hai to wo kya karega aur bas isi khayal se hi avi darr ke kampne laga.. wo pyaar ke bagar reh sakta tha dost ke bagair nahi.. usne soch kiya tha chahe kuch ho jaye wo komal ka naam apni juban par nahi aane dega par aniket ne pucha to kya jawab dega yahi use samajh nahi aa raha tha aur usne man hi man ek kahani tayar ki
Sham ko decidehuye mutabik aniket aaya aur wo aur avi dono apne adde pe yni tekdi par gaye, aniket ne beer open ki aur dono shanti se beer ke ghut lete baithe the, aniket ab serious tha
Aniket- avi bhai tere man me kya chal raha hai batayega kuch ? baki ki sab baato se meko koi fark nahi padta mere liye sab shunya hai tujhe kya lagta hai ye important hai, sanjana achi ladki hai, khandani hai, padhi likhi hai tujhe kya lagta hai ?
Avi- isme koi shak nahi hai ke wo ek achi ladki hai, meri achi dost bhi hai par hum me bahut fark hai bhai..
Aniket- kaisa fark ?
Avi- anya mai kaun hu kya hu tu ache se jaanta hai, abe wo rahisi me pali huyi ladki hai ur mere to padhai ka kharcha bhi tu utha raha hai
Avi ko ache se pata tha ki ye baat chhedte hi aniket gussa hoga aur uska dhyan sanjana ke mudde par se bhatkega aur aisa hua bhi aniket bhadak gaya
Aniket- bsdk hajar baar bola hai teko ki avya paiso ki baat mat nikala kar wo mai upar jae tere baap se wasul lunga fir bhi wahi baat kyu karta hai to BC
Avi- mere na bolne se sach thodi badal jayega aur tu chahta hai na ke mai sanjana ko ha bol du, ek baat bata tu kitna jaanta hai usko ? bhul gaya kya ye wahi ladki hai jo pehle din se mere piche padi hai,mujhe satane ke liye bahut koshish kar chuki hai, chanchal swabhav hai bhai uska aur ab ye pyaar ka bukhar pata nahi kitne din tikega..
Aniket thoda shant hua
Aniket- nahi yaar tu kuch bhi bol mujhe dil ke lagta hai ke wo sach me pyaar karti hai tere se……

baki manna padega tumko jo himmat tumne dikhayi wo to mai bhi nahi nahi karta, never mind ulta usne tumko sorry bola hai



