• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Uff! Ye Mohabbat ! (completed)

Babybulbul

Member
200
437
63
Update 39



Priya ko raat me ek flight pakadni thi, uski office me kuch important meetings thi to usko direct airport par chhod kar sab ko raat me deri se hotel par pahuche, aniket ne jabardasti yash ko rok liya tha aur aniket ke jid ke aage priya ko manna hi pada

Aur hotel pahuch par aniket ne yash ko sunaya

Aniket- khabardar agar raat me avya ko room ke bahar kadam bhi rakhne diya to, ye nikla to tu gaya

Aniket ki baat sun kar avi hasa aur aniket sanjana ki taraf dekh kar bola

Aniket- sorry ha sanjana

Par sanjana bhi ab uske sath mil gayi thi aur wo aniket ka sath dete huye boli

Sanjana- usme sorry kyu ? ise bhi jara tadapne do… hamara hi tadapna jaruri hai kya

Aniket- shabas, now that’s call my vahini

Aur avi bhi sevak ki tarah jhuk ke bola

Avi- jo hukum mere aaka

Sanjana muskurayi aur boli

Sanjana- ab aise meetha meetha bolne se tumhari saja kam nahi hone wali

Aur fir aniket ki taraf dekh kar boli

Sanjana- deverji, mai to inhe saja de nahi paungi isiliye isko kya saja deni hai kaise deni hai iske sare adhikar mai aapko deti hu

Aur isi ke sath avi ne apna matha peet liya

Avi- shabash, kasai ke hath me bakri ko de diya, bhagwan bacha le re baba

Yash- tere sath to beta yahi hona chahiye

Aur aniket bhi kisi pauranik serial ke rakshas ki tarah haste huye bola

Aniket- ha ha ha, ab tera kya hoga re kaliya, ka socha tha ke sardar khush hoga sabasi dega

Avi- bhagwan hai kaha re tu, bacha le re baba

Aniket- chalo bhabhi, ye faltu logo ko bolne do mai tumko tumhare room tak chhodta hu

Aur fir ek taraf komalaur dusri taraf sanjana ko leke aniket apne room ki taraf nikal gaya aur avi aur yash bhi unke room me aa gaye.. panch minute ke baad yash ke room ki bell baji, avi ke darwaja khola to samne aniket khada tha aur wo jhat se bola

Aniket- mereko chhod kar agar party ki to bahut marunga dono ko

Aur itna bol ke apne room me chala gaya

Agli subah sab tayar hokar niche aaye aur hotel se checkout kiya aur aniket ne farman jari kar diya

Aniket- avya, jaisa ki kal hamari bhabhi ne kaha tha us hisab se teri saja aaj se shuru hoti hai

Avi- hao malik, ab tumko takleef di hai saja to bhugatni hi hai

Aniket raja ke pose me khada hote huye bola

Aniket- to sevak, abhi hum nashta karne ja rahe ai tab tak sabka saman utha ke gadi me rakho aur hame wahi milo

Avi- jo hukum maharaj

Aur charo hotel me nashte ke liye gaye aur fir sab nashta karke bahar aaye aur avi sanjana ke sath car ke pichli seat par jake baitha to aniket aaya aur usse bola

Aniket- o prem kabutar, hum kya teri barat leke ja rahe hai ? chup chap gadi chalane ka hum hamari rani sarkar ke sath baithenge

Ab avi karta bhi kya, bechara chup chap gadi chalane laga

Ab wo pancho ghar wapis aane ke liye nikal gaye the aur avi ne rear view mirror aisa set kiya tha ke usko sanjana dikhti rahe par ye bhi aniket ke dhyan me aa gaya aur wo ab bhi raja ke hi character me tha

Aniket- sevak, wo aaina piche se aane wali gadiya dekhne ke liye banaya gaya hai apni heroine do dekhne ke liye nahi

Av wapis mirror theek karta isse pehle hi aniket bola

Aniket- theek hai theek hai rehne de, ya aish kar, tu bhi kya yaad karega ki kis dildar se pala pada hai

Fir kuch samay aur beeta aur aniket wapis bolne kaha

Aniket- ha to chalo sab ek ek karke batao ke avi ke saja ke bare me tumhara kya kehna hai yash ho shuru

Yash- everty thing is well that ends well

Par aniket usko beech me rokte huye bola

Aniket- o english medium hindi me bata hindi me

Yash- waise dekha jaye to ye in dono ka mamla hai apan kon hai saja dene wale ?

Aniket- aise kaise apan kon ? arey apan kon ? abe inke chakker me gadi chala chala ke yaha mera pichwada sijh gaya aur apan kon ? useless chup baith tu, kammo tu bol

Komal- maine to avi ko maaf kiya, ulta mujhe use thank you bolna hai ke uski wajah se ye paanch din meri jindagi ke sabse yaadgar din ban gaye, so maine maaf kiya use

Aniket- lo yaha to sala home minister hi fitur ho gaya, sanjana tumhara kya kehna hai ?

Sanjana- maine to kal hi bata diya tha, sare adhikar tumhare paas hai

Aniket- shabas, par yaha ek locha ho gaya, do log bol rahe ke saja ko do nahi bol rahe theek to aaropi avya tumhara kya kehna hai

Avi- ab galti kihai to saja to milni chahiye

Aniket- shabash, yahich umeed thi tere se, ab gaya beta tu

Thoda time beeta aur aniket firse bola

Aniket- avi wo waha aage ganne ke ras wala dikh raha hai waha rok jara gadi, ganne ka juice pine ka mood hai

Aur fir avi ne waha gadi roki aur sab niche utre aur waha rakhe benches par jakar baithe, aniket us juice wale se jara baat kar raha tha, yash aur komal avi aur sanjana ki maja le rahe the aur achanak wo hua jo kisi ne sapne me bhi nahi socha tha..

“sataakkk”

Aur agle hi pal avi apni peeth malte huye utna

Avi- mara mara BC

Wo utha aur piche palat ke dekha to piche aniket ne raswanti wale ke paas se ek ganna liya tha aur usi ganne ka fatka avi ki peeth par baitha tha aur aniket bol raha tha

Aniket-sale harami neech aadmi teri himmat kaise huyi ye karne ki

Avi sorry sorry bol raha tha aur agle hi pal agla waar huye uske kandhe par

“Sataakk”

Aniket- ab sorry kyu, tab kya akal ghas charne gayi thi kya

“sataakkk”

Aniket- gali gali sim sim khelna hai na tere ko ? yaha hamari kya halat huyi uske bare me socha hai kya ?

“sataakk”

Aniket- idhar hamari hawa tight ho gayi thi aur tere ko maja dekhni thi ? sidhe sidhe aake puri baat bata nahi sakta tha ?

“Sataakk”

Anibet- sale do din jal bin machli ke jaisa tadpa hu mai aur tere ko ghumna sujh raha tha, ek shabd bhi mere se nahi bola tu, sale dost bolta hai na mujhe ? bhai manta hai na? fir…

“sataakkk”

Aniket- tu yaha ghum raha tha aur wo ladki paglo jaise tujhe dhundh rahi thi tere liye ro rahi thi

Aniket ne aage marne ke liye ganna uthaya hi tha ke is baar sanjana avi ke samne aake khadi huyi aur boli

Sanjana- ani, do fatke to mujhe bhi bante hai na ? kyuki galti akele avi ki thode hi thi meri bhi galti thi, mai bhi to in sab ko jimmedar hu, ulta mai to kahungi ke sab meri hi wajah se hua hai, maine avi ko maaf kar diya tum bhi kar do

Sab achambit hokar ye sab dekh rahe the aur avi ne sanjana ko side hataya aur bola

Avi- anya maar, tere marne me tera guaa nahi balki mere liye pyar, apnapan aur chnta hi najar aa rahi hai, mereko to khushi hai kyuki tu ye sab kabhi jatata nahi hai par aaj wo bahar aa gaya, anya maar

Aniket ne marne ke liye ganna uthaya jarur par agle hi pal avi ko gale laga liya

Aniket- tere ko pata nahi hai avya tere gayab hone ke baad meri kya halat huyi thi, kitna hi try kar lu dimag ne bure khayal ja hi nahi rahe the aur unke bare me soch kar hi meri atma kamp rahi thi, aisa lag raha tha mano jisko maine apna bhai mana aaj usi ne paraya kar diya ho, tu pehle wada ke ke jindagi me chahe kuch ho jaye tu sabse pehle mere paas aayega, wada kar..

Avi- tereko to bhai me sapne me bhi kabhi paraya nahi kar sakta, sorry yaar, bahut sataya hai maine tum logo ko, maaf kar do yaaro, par aage chahe kuch ho sabse pehle tere ko bataunga, pakka wada

Wo scene dekh ke sabki aankho me pani tha, aaj wapis sab atut dosti ka namuna apni aankho se dekh rahe the

Aniket se avi ko alag hataya aur fir agle hi pal

“sataakk”

Yash- eee mumyyyyy

Is baar fatka yash ko pada tha aur yash apni peeth malte huye chillaya

Yash- anya pagal ho gaya kya ? maine kya kiya be

“sataakk”

Ek aur fatka pada aur aniket bola


Aniket- harami neech halkat mere ko bahut baad me pata chala ke ye sab ka mastermind to tu hai bsdk…………..
Awesome update
 

Babybulbul

Member
200
437
63
Update 40



Yash- anya pagal ho gaya kya ? maine kya kiya be

“sataakk”

Ek aur fatka pada aur aniket bola

Aniket- harami neech halkat mere ko bahut baad me pata chala ke ye sab ka mastermind to tu hai bsdk…………..

Aniket ka avatar aur avi ki halat dekh ke yash waha se bhagne laga aur komal ne aniket ko roka aur boli

Komal- bas karo ani, ye kya baccho jaisi harkate laga rakhi hai

Aniket- kammo tu aaj ruk ja, mai aaj inko chhodunga nahi

Itna bol ke aniket gana leke yash ke piche bhaga aur ab apne bachne ke chances kam hai ye dekh ye yash paas ke ek ped par chadh gaya aur aniket use niche se ganna dikhate huye bola

Aniket- chup chap niche aa yash, nahi to mai upar aaya to bahut marunga

Yash bhi upar se hi bola

Yash- abe tu pehle meri baat to sun fir aata niche

Par aniket full gusse me tha usne ganna dusre hath me liya aur aur ek pattar uthaya aur yash ko marne laga itne me komal waha aayi aur boli

Komal- ani bas ho gaya ab y kya bachkani harkate hai, lag jayegi use, tum bacche nahi ho, baap banne wale ho kuch dino me samajh aa raha hai kuch

Komal ne barabar aniket ko shant kiya aur uske hath me ka patthar feka aur bola

Aniket- bol yash

Yash ne bhi rahat ki saas li fir bhi wo ped par se hi bola

Yash- anya majburi thi bhai, mai agar ye nahi karta to ye bsdk avi sahi me gayab ho jata aur fir isko dhundhna bahut mushkil hota, avi haramjade kuch bol be ab thobda kyu band hai tera

Avi ne bhi ha me gardan hilayi aur aniket ko bhi yash ki baat jam gayi

Aniket- theek hai tu niche aa pehle aur puri baat bata

Yash- nahi, pehle wo ganna fek aur wada kar ke marega nai, fir aaunga niche

Aniket se ganna fek diya

Aniket- theek hai nahi marunga ab niche aa

Aur fir aniket aur avi ne yash ko ped se niche utara aur aniket k yash ki halat dekh ke hasi aa rahi thi aur usko dekh ke sab hasne lage

Teeno wapis bench par baithe aur fir yash ne bolna shuru kiya

Yash- ye sab bas ek ittefaq tha ke mai avi ke college me kuch kaam se gaya tha aur mere paas avi ka naya number nahi tha aur tere ko (aniket) call kiya to tu utha nahi raha tha isiliye mai iske bare me puchte puchte iske hostel ke paas pahucha, avi to room par nahi tha par uska roommate shubham mujhe mila aur usme pujhe sari situation batayi, mai waha se bahar nikla to mujhe parking me hi avi dikha, uska aur sanjana ka jhagda shuru tha aur mai chup chap wahi khada hokar dekhne laga par jab avi bola ke mai ja raha u aur ye mat samajhna ke sab khatam ho gaya hai aur tumko pyaar ka ehsas karaunga chahe mujhe uske liye jaan de deni pade, bhai ye sun ke meri hawa tight ho gayi, avi gusse me waha se pair patakte huye nikal gaya aur mai uske piche jata itne me mujhe ek important call aaya jo receive karna jaruri tha isiliye mai phone par bolte huye iske hostel ke gate ke paas hi ruka raha aur itne avi mujhe gusse me apni bag le jate huye dikha…

*FLASHBACK*

Avi ke chehre par kamal ka tension aur gussa dikh raha tha aur yash pehli baar avi ko is tarah se dekh raha tha, pichli baar jab dono tekdi par mile the (last update hateli lovestory) tab us paristithi me bhi avi shant tha par aaj aisa nahi tha, yash ne man hi man decide kiya ke wo use kuch pata nahi hai aise jatayega aur ye decide karke wo avi ke samne jakar bola

Yash- arey avya, ye kya bhai yaha hum tere se milne aaye hai aur tu kidhar ja raha hai ?

Yash ko samne dekhte hi avi thoda hadbadaya aur jitna ho sakta tha utna chehra normal karke bola

Avi- nahi, kahi nahi bas aise hi bahar ja raha tha, tu bata tu yaha kaise aaya

Yash- kuch nahi re bas teko hi milne aaya tha aur tu kya aise hi maje me bag leke bahar jata hai kya ?

Avi ko samajh aa gaya ke usse bolne me galti huyi hai fir bhi wo baat sambhalte huye bola

Avi- nahi aisa kuch nahi hai wo bas gaon ja raha tha..

Yash- arey waah, ye to badhiya ho gaya, mai bhi anya se milne hi ja raha tha aur socha sath me teko bhi mil lunga, chal sath hi chalte hai

Par avi ke dimag me to kuch aur hi chal raha tha

Avi- nahi tu ja mujhe kuch aur kaam hai time lagega usme, tu nikal aage kal milte hai apan

Par yash ab avi ko akele chhodne ko tayar nahi tha

Yash- t usme kya hai mai to bas aise hi ja raha tha tu le bhai kitna time chahiye to, sath me hi chalenge fir, mujhe koi jaldi nahi hai aurisi bahane tere sath baate ho jayengi bahut dino baad mulakat huyi hai, ab nakhre mat kar

Itna bol ke yash ne jabardasti avi ki bag li aur uske kandhe par hath rakh ke gadi ki taraf jane laga

Yash- kya yaar.. mana mai tera aniket jitna gehra dost nah hu par dost to hu?

Avi- waisa kuch nahi hai yash ? tu bhi mera utna hi khas dost hai, ya yu kahu ke anya se jyada tune pehchana hai mujhe

Avi ke uske baad yash ko ek kitabo ke dukan par gadi rokne lagayi, yash uska picha nahi chhod raha tha aur majburi me avi wapis gadi me aake baitha aur yash bola

Yash- to.. ho gaya kaam ? chale gaon ab

Aur avi ekdum se “nahi” bola

Avi- arey sorry mujhe achanak dhyan me aaya ke kal ek iportant lecture hai, tu mujhe hostel par chhod de

Yash- bhai agar waisa hota to tu bag leke nahi nikalta, sorry par parking me maine teri aur sanjana ki baate sun li thi…

Avi ne ek jhatke se yash ki taraf dekha aur jo ab tak roka hua tha wo aansuo ka bandh tuta, yash ne baithe jagah se avi ko gale lagaya, aur fir huyi aansuo ki barsat, yash kuch nahi bola, waha bolne ki jarurat hi nahi thi, use apni halat yaad aa gayi jab wo aise hi hospital me aniket ko gale lag ke ro raha tha jab priya ke pitaji ne use maar ke fek diya tha, avi us samay kya feel kar raha tha ye yash ache se samajh raha ta aur wo bas avi ki pith thapthapa ke use santwana de raha tha, kuch pal aise hi bite aur ab jab wo aansuo ki barsat ruki to sab kuch saaf tha, avi ka sara gussa aansuo ke madhyan se nikal gaya tha aur fir wo uski seat par ache se baith gaya, yash ne gadi shuru ki aur sidhe ek nadi ke kinare shant jagah par pahuche.. suraj dub raha tha aur nadi ke kinare ek alag ki shanti thi, koi shor nahi tha awaj tha bas behte huye pani ka aur apne gharto me laut te huye panchiyo ka

Ye to scientifically proven hai ke insani sharir me 70% pani hota hai aur aise pani wali jagah par aakar shant baithne se man wo ek alag hi shanti mehsus hoti hai, dono bahut samay tak us behte huye pravah ko dekhte raheaur fir yash bola

Yash- avi mere anubhav se mai samajh sakta hu ke tu is waqt kya feel kar raha hai par itna dhyan me rakh ke gusse me liye gaye nirnay ghatak hote hai

Ab avi chidha

Avi- to kya karu mai tu hi bata, nahi sehan hote bhai aise ghav dil par, sala kya naseeb paya hai maine, tu bata pehla pyaar bhulna itna asan hai kya ? kaise samjhau ye sanjana ko.. sala jisse pyaar karta hu use bata nahi sakta, jo mujhe pyar karti hai use ha nahi keh sakta, tu bata kaise de du komal ki jagah sanjana ko

Yash- pehle puri baat batayega > fir mai kuch madad kar paunga

Aur uske baad avi bolne laga, pehle din se leke to wo aniket se mila wo kissa aur fir ye aakhri jhagda use yash ko sab bataya

Yash gehan soch me duba hua tha, kyuki uske samne do sankat the, ek to avi kokuch galat karne se rokna tha aur dusra sanjana ke bare meaage kya karna hai wo sochna tha, wo kuch soch ke bola


Yash- avi gussa mat hona par ek baat hai.. tu mrigjal (mirage) ke piche bhag raha hai mere bhai, sabse pehle to tu ye baat dimag se nikal ke tu komal ki jagah sanjana ko de raha hai, aisa bilkul nahi hai, komal ki jagah tere dil me fix hai aur waha se khud komal bhi apne ko nahi hata sakti, par iska matlab ye nahi hai na ye sanjana waha apne liye jagah nahi bana sakti ? avi bhai apna dil bada karo aur apne man se ye guilt nikal ke tune sanjana ko komal ki jagah di hai ya use pyar karne laga hai….
Fantastic update
 

Babybulbul

Member
200
437
63
Update 41



Yash avi ko samjha raha tha ke wo apne man me se ye guilt nikal de ke wo komal ki jagah sanjana ko de raha hai ya wo sanjana se pyaar karne laga hai komal ko chhod kar

Yash- avi ab time aa gaya hai jindagi me aage dekhne ka, ha mai manta hu ke tere liye komal ko bhulna mushkil hai, par bhulna hi kyu hai ? use ek sukhad yaad bol ke apne paas rakh aur sabse important ki tujhe tera pehla pyaar nahi mila isliye kya tu sanjana se uska pyaar chinega kya, nahi na, then move on

Avi ko bhi yash ki baate sahi lag rahi thi, uske baad kuch samay shanti me bita, avi ka chehra ab normal lag raha tha aur yash ne dobara bolna shuru kiya

Yash- sorry wo maine tera aur sanjana ka jhagda chip kar suna, sach batau to pehle mujhe laga ke sanjana ko tere liye bas ek attraction hai par ab jab gaurse socha to samajh aaya ke nahi, kahi na kahi wo ab bhi tere se pyaar karti hai bas fark itna hai ke ke abhi wo gusse me hai aur pyaar kya chiz hai ye use sahi se samjha nahi hai, hame aisa kuch karna chahiye ke use ye sab ache se samajh aaye

Avi- par kaise samjhaye use yahi samajh nahi raha, tune to dekha na maine use bolne ke baad bhi use kuch samajh nahi aaya

Yash- anya kab kaam aayega, uska kurafati dimag bahut chalta hai isme apan usse baat karte hai

Aniket- nahi bhai, mai hafte bhar pehle milke aaya hu usse, bahut khush tha wo aur ab ye sab bataya to bahut bura lagega use, usne bola nahi par kahi na kahi use bhi bahut bura laga tha jab maine use apne pehle pyaar ke bare me nahi bataya tha to, maine jaise taise wo baat tali hai par ab wapis sanjana ke sath jhagde ki baat use pata chali to wo wapis purani baate nikalega aur aisa mai nahi chahta, mai nahi chahta ke mere aur sanjana ke beech ka ye tufan mai uski jindagi me le jau.. mujhe un dono ko in sab se dur rakhna ai..

Yash- to ab gaon nahi jana hai ?

Avi- nahi

Yash- to theek hai mere sath mere ghar chal, waha chal ke dekhte hai aage kya karna ai

Avi- nahibhai, priya bhabhi bhi hogi waha aur unse anya ko pata chal jayega

Yash hasa aur bola

Yash- maa papa aur priya europe tour par gaye hai, priya office ka kaam kar rahi hai aur maa papa enjoy.. to agle aath din mai akela hi hu matlab sari line clear hai, chal mast aish karenge aur ab chup chap chalne ka nakhre dikhaya to yahi utha ke nadi me fek dunga

Fir dono apna stock leke yash ke ghar pahuche.. upar se shant dikhne wala avi apne ander ek tufan samete huye tha aur yash ka to simple sa fanda tha ke chahe kuch ho jaye avi ko akela nahi chhodna hai, yash ne wfh liya aur avi par najar rakhne laga aur ek din achanak yash bola

Yash- avya mere anubhav se batata hu teko, insan ko pyaar ki parakh jitna sath me nahi hoti na utna virah me hoti hai, ek kaam kar, ab jab tak sanjana khud tujhe dhundhte nahi aati tu uske samne ja hi mat

Avi- idea to acha hai par mai mil nahi raha hu to wo sabse pehle ani ke paas jayegi fir ?

Yash- wo ek locha hai, isiliye bola tha anya ke paas chalte hai par fir komal wali baat bahar aane ka darr hai

Avi- aur agar mai mil nahi raha hu aisi baat bahar aayi to koi dhundhe na dhundhe anya mujhe dhundhe bagair nahi manega, wo patal me bhi mera picha nahi chhodega aur chahe kuch ho jaye mai un dono ko takleef nahi dena chahta

Yash- ye bhi sach hai, waiseto halkat dunak ka galla chhod ke kahi nahi jata par tujhe dhundhne jayega ye confirm hai

Avi- ha na, kaka ka sara kaam sambhal liya hai usne isiliye to honeymoon pe bhi nahi gaya

Aur bolte bolte avi ekdum chillaya

Avi- ideaaa !! agar aisa kare to… mujhe dhundhna bhi ho jayega anya ka honeymoon bhi aur sanjana ko bhi pyaar kya hota hai samjha denge

Yash- idea to nahi hai par is sab ka mel kaise milayega, aur sanjana aayegi tujhe dhundhte huye ?

Avi- uska pyaar saccha hoga to jarur aayegi

Yash- aur honeymoon ka kaisa karega ? wo honeymoon manayenge ke tujhe dhundhenge ?

Avi kuch soch ke bola

Avi- honeymoon matlab ye bhi hota hai na ke apni pasand ki jagah ghum aaye.. komal ki bahut icha hai mathura vrndavan dekhne ki.. hamari is bare me baat bhi huyi thi college me

Yash- shabash, thoda vichitra hai par perfect hai, komal aur anya ka tour bhi ho jayega aur shri krishna jo khud prem ke devta hai waha jakar sanjana ko pyaar ka ehsas bhi ho jayega par main sawal ab bhi hai, tereko dhundhne me honeymoon kaise hoga ?

Avi soch raha tha aur yash bola

Yash- ek ho sakta hai, agar aniket aur komal ko ye pehle hi malum ho ke tu gum nahi hua hai balki kahi chipa hua hai to maja aayega isme

Avi- yes, yash tere sawal ne hi jawab de diya bhai, luka chipi, matlab gali gali sim sim

Uske baad avi ne yash ko gali gali sim sim kya hai bataya

yash- matlab ye code aniket tak pahucha to wo relax ho gayega aur samajh jayega ke ye ek game hai, matlab problem solve, good, ab mai sab samajh gaya, matlab mai aisa bataunga ke mai tujhe dhundh raha hu par asal me mai unhe tujh tak pahuchane me guide karunga, par ye sab tab jab sanjana tujhe dhundhne aaye nahi to ye game pehle stop par hi khatam

avi hasa aur bola

avi- jab anya ko pata chalega ki mai gayab hu to wo sabse pehle sanjana ke paas hi jayega aur sanjana wahi se sab samajhne lagega.. sabka fayda hai bhai is khel me.. to shuru kare fir..?

yash-sahi hai beta, aise hi tujhe dus dimag wala nahi kehte, par ye gameapan nahi anya shuru karega tab tak wait and watch, par ek bata ye khatam kaha hoga ?

avi hasa aur bola

avi- yash bhule mat bhai anya shamil hai isme.. apan usko jyada topi nahi pehna sakte, wo bhoot hai sala.. usko jyada samay nahi lagega samajh ne me, mujhe ache se pata hai bhale ye khel hum shuru kare par khatam anya hi karega

*CURRENT LOCATION, FLASHBACK END*

Yash bata raha tha aur sab dhyan se sun rahe the par ye flashback batate huye yash ne ek samajhdari ki ki jaha komal ka naam tha waha uska naam na lete huye use bas wo ladki aisa bola aur aniket has raha tha

Yash- par anya mere ek baat samajh nahi aay ye ye sab teko kaise pata chala, kyuki agra aur tajmahal hamare plan ka hissa nahi tha

Aniket- abe teri hi wajah se sab samajha mai

Yash- wo kaise ?

Aniket- tu har time hamare contact me tha, gadi bhale mai chala raha tha par direction tu de raha tha par tune ek galti ki.. avi jab pehli baar sanjana ke samne aaya tab mai uske piche bhaga, ye sala hoshiyar hai isne jhat tujhe call kiya aur tune mujhe, tujhe ache se pata tha mai tera call uthaunga aur aisa hua bhi par tune jaldi me puch liya ke “bhag gaya kya wo?” .. ab teko kaise pata chala ke wo hamare samne aake bhaga hai.. tune mujhe isiliye call kiya tha ke avi ko bhagne ka samay mile, us waqt to ye baat mere dhyan me nahi aayi par baad me ye mere dhyan me aaya, agra tumhara plan nahi tha wo maine tumhare dimag me dala, jab tak hum tumhare direction me chal rahe the tab tak theek tha par jab maine agra bola tu gadbada gaya, mujhe pata tha ke tu bhi isme shamil hai isiliye maine agra jane ke bare me tujhe bataya ke tu ye avi ko jarur batayega, is baar maine tere directions na lete huye tujhe aur indirectly avi ko directions diye, shuruwat me mai thoda sure nahi tha par jabtu priya koleke waha pahucha to mujhe yakin ho gaya ke avi waha jarur aayega, actually wo message tere liye nahi avi ke liye tha ke ab natak khatam karne ka samay ho gaya hai.. tum mujhe confuse kar sakte ho, pagal nahi banasakte, barabar na avya


Aniket ki baat sunkar sab hasne lage….
Nice update
 

Babybulbul

Member
200
437
63
Update 42



Gali gali sim sim is natak ka parda gir chuka tha aur sab wapis aane ke liye nikal chuke the, jeevan ke naye safar par

Yash ko uske ghar par chhodte huye aniket aur komal avi aur sanjana ghar laute.. avi ki maa narayanrao aur kaushalya unhi ki raah dekh rahe the, aniket ne unko time time par sari khabre di thi isiliye narayanrao ne avi ki maa ko bhi ghar par bula liya tha

Avi ko dekhte hi uski maa ne use gale laga liya, wo avi ko sath me daat bhi rahi thi par us daat me bhi gussa kam aur beta ghar wapis aa gaya iski khushi jyada thi par narayanrao ache gusse me the unhone avi ko ache se file par liya, thoda time aniket sunta raha fir dheere se apni maa ke paas jakar bola

Aniket- ma saheb, aapke patidev aaj jara jyada hi gusse me, jara shant karo unko

Aur isike sath ek mukka aniket ke pith par pada

Aniket- eee.. maine kya kiya ab ? meko kyu mara.. wo marna warna hai wo avi ke sath karo..

Narayanrao aniket ke chillane se thoda vichalit ho gaye the itne me aniket unke paas gaya aur bola

Aniket- bapu bas karo na ab.. sala ye senoir citizen logo ne alag naak me dum kiya hua hai

Aur fir avi ki maa ke taraf muda aur bola

Aniket-o kaku, aap kyu ab hindi serial ke bahut ke jaise ro rahi, sala senior citizen ko khush karne ke liye sath me bulaya tha to inhone alag alag ki karyakran chalu kiya hua hai.. bas karo ab, tumhara beta khoya tha na ? dekho usko dhundh ke laya hu mai aur aaj ki khas offer bhi hai bete ke sath bahu free!! Free!! Free!!

Aur aniket sanjana ka hath pakad ke use sabke samne laya

Aniket- ye lo tumhari bahu

Avi ki maa ne uski taraf ashcharya se dekha aur avi ne bhi bas ha me gardan hila di aur uski maa ne sanjana ko apne paas lete huye use gale laga liya

Aniket- shabash

Aur fir wo narayanrao ke paas gaya aur unka hath pakad ke apni maa ke baju me bithya aur bola

Aniket- aaplog ke liye bhi kuch laya hu chalo hath aage karo jaldi se

Kaushalya ne hath aage kiya to aniket ne unke hath me vrindavan se layi bal krishna ki murti rakh di aur bola

Aniket- to senior citizens, bahut hua aaram ab bhag daud karni padegi, jald hi ghar me naya mehman aane wala hai, and bapu rane aap dadaji banne wale hai

Kaushalya ne komal ki taraf dekha to wo sharmane lagi aur narayanrao aur kaushalya ki to khushi kakoi thikana hi nahi tha…

Avi aur sanjana maa ko lekar ghar pahuche aur uske baad avi ne sanjana ko uske ghar chhoda aur wo hostel chala gaya

Agle din se ek nayi shuruwat.. par sanjana ne agle hi din ek naya bomb fod diya

Sanjana- avi, tumko papa ne ghar bulaya hai

Avi bhi ache mood me tha

Avi- arey waah, meko fir se ander dalne ka vichar hai kya

Sanjana- tumhe maskari sujh rahi hai aur yaha meri jaan ja rahi hai

Avi- usme itna ghabrane jaisa kya hai ? ek na ek din to ye hona hi tha na, par itna jaldi hoga ye socha nahi tha

Sanjana- avi mujhe bahut tension aa raha hai

Avi- arey don’t worry jaan, mai aata hu aaj unse milne

Sham me jab sanjana ke papa ghar aaye to usne avi ko call kiya, waise to fat avi ki bhi rahi thi pa himmat karke wo sanjana ke ghar pahucha, uske papa hall me hi baithe the aur avi ne ander jakar hello kiya, unhone chashme me avi ko gaur se dekha aur use baithne ko kaha.. kuch pal shanti me bite.. dono ne chai pi aur chai ka cup baju me rakhte huye pehla sawal aaya

Sangram- Avinash Kanitkar, kya chal raha hai

Avi- kuch nahi sir

Sangram- kaha gayab ho gaye the ?

Avi ne koi jawab nahi diya, aur unhone jhat agla sawal pucha

Sangram- kya mamla hai ye ?

Avi-kuch nahi sir

Sangram- fir gayab kyu huye the ?

Avi- gayab nahi hua tha, bas aise hi ghumne gaya tha

Sangram- acha, fir sanjana kyu dhundh rahi thi tumhe

Avi- kuch nahi sir, wo bas ek misunderstanding ho gayi thi

Sangram- kaha gaye the bhatakne ?

Avi- mathura vrindavan agra

Sangram- kamal hai, log bhatakne goa jate hai tum sidha mathura ?

Avi- ha ek apni pasand hoti hai

Sangram- acha ! mathura bhatakne ke liye gaye the ya sanyas lene

Avi ne koi jawab nahi diya

Sangram- tumhe pata hai na, aise gayab hoga gunah hai, tumhari missing report bhi hai

Avi kuch nahi bola

Sangram- gayab hone ka karan ?

Avi- waisa kuch nahi hai sir

Sangram- dekho aadmi ke aise gayab hone ke piche do karan ho sakte hai ya to wo aparadhi ho ya nirasha, aparadhi tum nahiho, nirasha ka karan ?

Avi ne jaise ek hi line padh rakhi ho

Avi- aisa kuch nahi hai sir

Sangram avi ko ghur kar dekh raha tha aur unhone pucha

Sangram- to sanjana tumhe kyu dhundh rahi thi

Ab unhone main mudde ko hath lagaya tha aur kuch pal avi ghabraya aur fir satik awaj me bola

Avi- kyuki hum pyaar karte hai ekdusre se

Ab sanjana ki halat kharab huyi, avi ka jawab sunte hi sanjana ke papa thoda aage aaye aur tej awaj me bole

Sangram- tumhe samajh aa raha hai tum kya keh rahe ho

Avi bhi pakke nirdhar se bola

Avi- ha, aur ye sach hai ke hum ekdusre se pyar karte hai

Sangram- avinash, shayad tum bhul gaye ho ke mai sirf sanjana ka baap hi nahi ek police wala bhi hu

Par ab avi piche hatne ko tayar nahi tha

Avi- mujhe ache se pata hai ke aap police officer hai par fir bhi mai sanjana se pyar karta hu

Wo ekdum chillaye

Sangram- sanjana….

Sanjana bhagte huye hall me aayi

Sangram- ye kya bol raha hai wo sach hai kya ?

Sanjana darr se kamp rahi thi aur uske papa ne dobara kaha

Sangram- maine tumse kuch pucha hai sanjana

Kuch pal ke liye sanjana ki halat dekh ke avi bhi tension me aa gaya, sanjana ne bas ha me gardan hilayi aur uske papa bhadak gaye

Sangram- jab pyar karte huye sharam nahi aayi to use kabul karte huye muh kyu band hai ?

Sanjana ne ek baad avi ki taraf dekha, avi ne apni aankhe band karke kholi, wo use keh raha tha ke chinta na kare wo uske sath hai, ab sanjana himmat karke boli

Sanjana- ha ye sab sach hai

Avi ki jaan me jaan aayi aur ab usme ek naya josh bhara hua tha.. kyuki sanjana ne apne pita ke samne apna pyaar kabul karke use himmat de di thi, sangram sanjana ki taraf vismaykarak drishti se dekh rahe the aur akhir me unhone use ander jane ko kaha aur sanjana ke ander jate hi bole

Sangram- tum nahi jante iska parinam kya hoga

Avi- mai ache se janta hu ke kya hoga par mai fir bhi yahi kahunga ke mai sanjana se pyar karta hu

Sangram- mai tumhare sath kuch bhi kar sakta hu jante ho na

Avi- janta hu sir par usse meri feelings nahi badal jayegi

Sangram- huh, bolna asan hai bacche, char lathi padte hi pyar ka bhoot utar jayega

Avi kuch nahi bola

Sangram- kya hua ? darr lag raha hai to jaise aaya hai waise hi chala ja aur dobara sanjana ke aaspaas mat dikhna, isime teri bhalai hai

Avi- wapis jana hota to aapse milne kyu aata

Avi apni baat par ada hua tha, sangram ne use darane ki bahut koshish ki par wo vichalit nahi hua aur akhir wo sofe par baithte huye bole

Sangram- itni masti iotna attitude aaya kaha se ?

Avi- attitude nahi hai sir, pyaar hai isiliye bol raha hu

Sangram- matlab tumhare gayab hone ke liye sanjana jimmedar hai

Avi- waisa kuch nahi hai sir

Sangram- mujhe sanjana ki maa ne halka sa idea diya hai is bare me par mai tumhare muh se sunna chahta hu, kya kiya hai sanjaja ne

Avi- usne kuch nahi kiya hai, mai samajhdar hu aur apni marji se ghumne gaya tha

Sangram- ye dekh mai tere jaise sekdo logo ko roj sidha karta hu

Avi- sir, wo log aparadhi hote hai mai aparahi nahi hu

Sangram- mai tujhe barbad kar dunga


Avi- mujhe manjur hai sir…
Awesome update
 

Babybulbul

Member
200
437
63
Update 43



Sanjana ke papa bole

Sangram- mai tumhe barbad kar dunga

Avi- mujhe manjur hai sir

Avi apni baat se hatne ko tayar nahi tha wo ada Hua tha

Sangram- tumhe to manjur hai par kabhi apni maa ke bare me socha hai ? Uska kya hoga tumhare baad ?

Is sawal ka jawab avi ke paas nahi tha, wo thoda vichalit hua aur sanjana me papa use uksate huye bole

Sangram- kyu? Kya hua ab ? Sara pyaar rafuchakker ho gaya ?

Avi- nahi sir, mai to ye soch raha hu ke mere sath kuch bura hone ke baad sanjana ki jo halat hogi use dekh ke aap apne aap se najre mila paoge kya ?

Ab sangram patil khawal gaye

Sangram- tu mere hi ghar me baith kar mujhe hi dhamki de raha hai ? Sanjana ka acha bura jo bhi hoga wo dekhne ko mai samarth hu

Avi- dhamki nahi de raha hu sir bas request kar raha hu, uska acha bura mat karo, karna hai to bas acha hi karo

Avi ne sangram patil ko shabdo me pakad liya tha fkr bhi wo bole

Sangram- aur tumhari maa ka kya ?

Avi- mere pitaji jab hame chhod kar gaye tab mai bahut chhota tha, fir bhi usne himmat nahi hari aur mujhe paal pos ke bada kiya, wo akeli jab mujhe sambhal sakti hai to apne aap ko bhi sambhal sakti hai, aur mai to hu hi, kyuki aap mujhe barbad jarur karoge par jaan se nahi maroge, par itna mai jarur kehta hu ke isse bhi mera sanjana par ka pyaar kam nahi hoga

Ab sangram patil thoda shant huye, avi ke u ke sare waar ache se jhele the, ab kuch bhi hua to wo ek beti ke baap the, ha wo ab avi aur sanjana ke pyaar ko samajh rahe the lekin unka chinta karna swabhavik tha, kuch samay shanti me beeta aur fir wo bole

Sangram- sirf pyaar se pet nahi bharta

Avi- barabar hai aapki baat sir

Sangram- to aage kya karna hai ?

Avi- sabse pehle mujhe mere pairo par khada hona hai, aur mujhe yakin hai ke aap mujhe utna waqt denge

Sangram- aur agar waisa nahi hua to ?

Avi- Mushkil hai par namumkin nahi hai

Fir sangram patil apni jagah par se uthe aur avi ke paas aaye, sanjana ke dil ki dhadkane badh gayi thi, avi bhi apni jagah par uth kar khada hua, unhone avi ke kandhe par hath rakha aur bole

Sangram- sanjana ne kya galti ko hai wo to tumne bataya hi nahi

Avi- usne kuch nahi kiya sir, mai apni marji se ghumne gaya tha

Wo hase aur bole

Sangram- bahut jiddi ho tum, college me bhi tumne nahi bataya tha ke sanjana ki galti kya thi aur aaj bhi nahi bata rahe, par ek baat batao, tumhe darr nahi laga ?

Avi- laga tha thoda sa, par fir socha ke aapko mere sath kuch galat karna hota to aap mujhe police station me bulate apne ghar par nahi

Aur isi ke sath avi ne kadmo ka istamal karte huye behtarin six jad diya tha, sangram patil hase aur bole

Sangram- aur agar police station me bulata to ?

Avi- to bhi mere jawab yahi hote.

Unhone avi ke galo par halki chapat lagate huye kaha

Sangram- all the best my boy

Avi bhi khush ho gaya aur usne jhuk kar unke pair chuye aur bola

Avi- bachpan se hamesha ek pita ki kami kayam thi, aaj wo puri ho gayi sir

Sangram- sir nahi papa

Sanjana bhi ye sun ke daud ke aayi aur apne papa ke gale lag gayi, use bahut kuch bolna tha par gala bhar aaya tha, aaj fir se ek baar ek police officer par ek baap bhari pada tha, avi jab jane laga to sanjana use chhodne bahar tak aayi

Uske maa baap bate karte huye baithe aur uski maa boli

Shakuntala- kya aap bhi ? Aapka ye interrogation se jaan jayegi kisi ki

Sangram- arey beti ka baap hu mai, bahut jatan se pala hai apni bacchi ko aise hi kisi ko bhi de dunga kya ? Beti ek baar ko bhavnao ke aaveg me galat kadam utha sakti hai par hame to vivek buddhi se sochna padega na ?

Shakuntala- sach keh rahe hai aap, par wo kaun hai kya hai ye to jaan lete pehle

Sangram- to hum kya police me jhak marne ko bharti huye hai kya

Shakuntala- matlab ?

Sangram- Matlab jab he ladka missing hai ye pata chala aur sanjana use dhundhne gayi tabhi mai sab samajh gaya tha, aapne to industrial visit ka bahana bana diya par bhul gayi ke aapke patidev police me hai, ye log yaha se nikle tabhi do police wale sadhe kapdo me inke piche laga diye the maine jo pal pal ki khabar mujhe de rahe the, billi aankh band karke dudh piti hai to use lagta hai koi dekh nahi raha aur tuk maa beti ke sath yahi hua, maine pehle ki ladke ki sari info nikal li hai, ladke ko baap nahi hai, akele maa hai, chota sa ghar hai, do bhainse aur thodi jamin hai, sar par Narayanrao jaise sammanit insan ka hath hai, ladka masti khor hai par ladkiyo ke mamle se ekdum clear hai, ache character wala hai, rishto ki kadar janta hai isiliye to aniket rane aur diamond king parekh ka damad yash iske ache dost hai aur sabse achi baat mujhe ye lagi ke har baar sanjana ko sambhal leta hai, uski galtiyo ko kabhi samne nahi aane deta, maine gusse se dhamka ke pyaar se bhi puch liya par pattha ek baar bhi nahi bola me sanjana kahi galat thi, pyaar karta hai hamari beti se par sath bhi apni jimmedari bhi samajhta hai, dimag se chalak hai, use pata tha ke mai uski pariksha ke raha hu, uski maa ki baat karke use bhadkane ki bhi koshish ki par usne sanyam nahi dhalne diya, kab kaha kya bolna hai iski bhi samajh hai use, koi aur hota to sidha shadi ki baat karta par isne pehle apne pairo par khada hone ki baat ki aur fir shadi aisa indirectly bola, sanjana ke liye yahi sahi ladka hai par ye baat use saaf saaf nahi bolni hai warna uska dhyan baki bato se hat jana hai

Wo aage kuch bolte isse pehle hi sanjana uske paas aayi aur baith gayi

Sanjana- Thank you papa, you are world's best papa

Sangram- ha ha theek hai par is galatfehmi me mat rehna ke mai maan gaya hu, sabse pehle use apne aap ko prove karna hoga aur tumhe bhi, fir aage ka dekhenge, abhi to delhi bahut door hai, ab bahut huyi ue baate ab jara college ki taraf dhyan ko, agar fail huye to bhul jana fir sab kuch aur sirf pass nahi hona hai balki tumhe bhi apne pairo par khada hona hai tumhe timepass ke liye nahi padhaya hai ye dhyan me rakhna

Sanjana- don't worry papa, aapne humpar viswas jataya hai to hum bhi use galat sabit nahi hone denge

Sangram- that's like my girl, aur ja ab jara apne gusse par control karna sikho, ye mat socho ke papa ko kuch pata nahi hai.

Sanjana- ok papa

Idhar waha se bahar aake avi ne sabse pehle aniket ko call kiya aur use aari baat batayi aur

aniket bhi khush ho gaya..

Aaj avi ko bahut bada yuddh jitne wali feeling aa rahi thi aur isi feeling ke sath jimmedari ka aabhas bhi ho raha tha, ab jald se jald use apni padhayi khatam karke apne pairo par khada hona tha, sanjana ka bhi wahi scene tha, avi ka ek saal ka collage aur bacha tha par sanjana ka ye last year tha, ab use mehnat karke exam paas karni thi aur apne pairo kar khada hona tha, uske papa ne jo uspar viswas jataya tha use sahi sabit karna tha.........
Fantastic update
 

Sauravb

Victory 💯
8,102
14,237
174
Update 43



Sanjana ke papa bole

Sangram- mai tumhe barbad kar dunga

Avi- mujhe manjur hai sir

Avi apni baat se hatne ko tayar nahi tha wo ada Hua tha

Sangram- tumhe to manjur hai par kabhi apni maa ke bare me socha hai ? Uska kya hoga tumhare baad ?

Is sawal ka jawab avi ke paas nahi tha, wo thoda vichalit hua aur sanjana me papa use uksate huye bole

Sangram- kyu? Kya hua ab ? Sara pyaar rafuchakker ho gaya ?

Avi- nahi sir, mai to ye soch raha hu ke mere sath kuch bura hone ke baad sanjana ki jo halat hogi use dekh ke aap apne aap se najre mila paoge kya ?

Ab sangram patil khawal gaye

Sangram- tu mere hi ghar me baith kar mujhe hi dhamki de raha hai ? Sanjana ka acha bura jo bhi hoga wo dekhne ko mai samarth hu

Avi- dhamki nahi de raha hu sir bas request kar raha hu, uska acha bura mat karo, karna hai to bas acha hi karo

Avi ne sangram patil ko shabdo me pakad liya tha fkr bhi wo bole

Sangram- aur tumhari maa ka kya ?

Avi- mere pitaji jab hame chhod kar gaye tab mai bahut chhota tha, fir bhi usne himmat nahi hari aur mujhe paal pos ke bada kiya, wo akeli jab mujhe sambhal sakti hai to apne aap ko bhi sambhal sakti hai, aur mai to hu hi, kyuki aap mujhe barbad jarur karoge par jaan se nahi maroge, par itna mai jarur kehta hu ke isse bhi mera sanjana par ka pyaar kam nahi hoga

Ab sangram patil thoda shant huye, avi ke u ke sare waar ache se jhele the, ab kuch bhi hua to wo ek beti ke baap the, ha wo ab avi aur sanjana ke pyaar ko samajh rahe the lekin unka chinta karna swabhavik tha, kuch samay shanti me beeta aur fir wo bole

Sangram- sirf pyaar se pet nahi bharta

Avi- barabar hai aapki baat sir

Sangram- to aage kya karna hai ?

Avi- sabse pehle mujhe mere pairo par khada hona hai, aur mujhe yakin hai ke aap mujhe utna waqt denge

Sangram- aur agar waisa nahi hua to ?

Avi- Mushkil hai par namumkin nahi hai

Fir sangram patil apni jagah par se uthe aur avi ke paas aaye, sanjana ke dil ki dhadkane badh gayi thi, avi bhi apni jagah par uth kar khada hua, unhone avi ke kandhe par hath rakha aur bole

Sangram- sanjana ne kya galti ko hai wo to tumne bataya hi nahi

Avi- usne kuch nahi kiya sir, mai apni marji se ghumne gaya tha

Wo hase aur bole

Sangram- bahut jiddi ho tum, college me bhi tumne nahi bataya tha ke sanjana ki galti kya thi aur aaj bhi nahi bata rahe, par ek baat batao, tumhe darr nahi laga ?

Avi- laga tha thoda sa, par fir socha ke aapko mere sath kuch galat karna hota to aap mujhe police station me bulate apne ghar par nahi

Aur isi ke sath avi ne kadmo ka istamal karte huye behtarin six jad diya tha, sangram patil hase aur bole

Sangram- aur agar police station me bulata to ?

Avi- to bhi mere jawab yahi hote.

Unhone avi ke galo par halki chapat lagate huye kaha

Sangram- all the best my boy

Avi bhi khush ho gaya aur usne jhuk kar unke pair chuye aur bola

Avi- bachpan se hamesha ek pita ki kami kayam thi, aaj wo puri ho gayi sir

Sangram- sir nahi papa

Sanjana bhi ye sun ke daud ke aayi aur apne papa ke gale lag gayi, use bahut kuch bolna tha par gala bhar aaya tha, aaj fir se ek baar ek police officer par ek baap bhari pada tha, avi jab jane laga to sanjana use chhodne bahar tak aayi

Uske maa baap bate karte huye baithe aur uski maa boli

Shakuntala- kya aap bhi ? Aapka ye interrogation se jaan jayegi kisi ki

Sangram- arey beti ka baap hu mai, bahut jatan se pala hai apni bacchi ko aise hi kisi ko bhi de dunga kya ? Beti ek baar ko bhavnao ke aaveg me galat kadam utha sakti hai par hame to vivek buddhi se sochna padega na ?

Shakuntala- sach keh rahe hai aap, par wo kaun hai kya hai ye to jaan lete pehle

Sangram- to hum kya police me jhak marne ko bharti huye hai kya

Shakuntala- matlab ?

Sangram- Matlab jab he ladka missing hai ye pata chala aur sanjana use dhundhne gayi tabhi mai sab samajh gaya tha, aapne to industrial visit ka bahana bana diya par bhul gayi ke aapke patidev police me hai, ye log yaha se nikle tabhi do police wale sadhe kapdo me inke piche laga diye the maine jo pal pal ki khabar mujhe de rahe the, billi aankh band karke dudh piti hai to use lagta hai koi dekh nahi raha aur tuk maa beti ke sath yahi hua, maine pehle ki ladke ki sari info nikal li hai, ladke ko baap nahi hai, akele maa hai, chota sa ghar hai, do bhainse aur thodi jamin hai, sar par Narayanrao jaise sammanit insan ka hath hai, ladka masti khor hai par ladkiyo ke mamle se ekdum clear hai, ache character wala hai, rishto ki kadar janta hai isiliye to aniket rane aur diamond king parekh ka damad yash iske ache dost hai aur sabse achi baat mujhe ye lagi ke har baar sanjana ko sambhal leta hai, uski galtiyo ko kabhi samne nahi aane deta, maine gusse se dhamka ke pyaar se bhi puch liya par pattha ek baar bhi nahi bola me sanjana kahi galat thi, pyaar karta hai hamari beti se par sath bhi apni jimmedari bhi samajhta hai, dimag se chalak hai, use pata tha ke mai uski pariksha ke raha hu, uski maa ki baat karke use bhadkane ki bhi koshish ki par usne sanyam nahi dhalne diya, kab kaha kya bolna hai iski bhi samajh hai use, koi aur hota to sidha shadi ki baat karta par isne pehle apne pairo par khada hone ki baat ki aur fir shadi aisa indirectly bola, sanjana ke liye yahi sahi ladka hai par ye baat use saaf saaf nahi bolni hai warna uska dhyan baki bato se hat jana hai

Wo aage kuch bolte isse pehle hi sanjana uske paas aayi aur baith gayi

Sanjana- Thank you papa, you are world's best papa

Sangram- ha ha theek hai par is galatfehmi me mat rehna ke mai maan gaya hu, sabse pehle use apne aap ko prove karna hoga aur tumhe bhi, fir aage ka dekhenge, abhi to delhi bahut door hai, ab bahut huyi ue baate ab jara college ki taraf dhyan ko, agar fail huye to bhul jana fir sab kuch aur sirf pass nahi hona hai balki tumhe bhi apne pairo par khada hona hai tumhe timepass ke liye nahi padhaya hai ye dhyan me rakhna

Sanjana- don't worry papa, aapne humpar viswas jataya hai to hum bhi use galat sabit nahi hone denge

Sangram- that's like my girl, aur ja ab jara apne gusse par control karna sikho, ye mat socho ke papa ko kuch pata nahi hai.

Sanjana- ok papa

Idhar waha se bahar aake avi ne sabse pehle aniket ko call kiya aur use aari baat batayi aur

aniket bhi khush ho gaya..

Aaj avi ko bahut bada yuddh jitne wali feeling aa rahi thi aur isi feeling ke sath jimmedari ka aabhas bhi ho raha tha, ab jald se jald use apni padhayi khatam karke apne pairo par khada hona tha, sanjana ka bhi wahi scene tha, avi ka ek saal ka collage aur bacha tha par sanjana ka ye last year tha, ab use mehnat karke exam paas karni thi aur apne pairo kar khada hona tha, uske papa ne jo uspar viswas jataya tha use sahi sabit karna tha.........
Amazing update avi test me pass ho gaya.lekin avi aur sanjana donno ko khud ko prove karna hoga.
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,279
304
Update 38



Sanjana- I love you Avi

Aur itna bol ke usne dobara avi ko gale laga liya

Aaj fir do premi do aatmaye prem bandhan me bandh gaye the, aisa lag raha tha ke ye pal kabhi khatam na ho samay yahi ruk jaye aur aaj is baat ki gawahi khud chand de raha tha aur uske sath tha Tajmahal

Udhar aniket aur komal baithe huye the komal ne aniket ka hath pakda hua tha aur uske kandhe sar rakha hua tha aur dono ek dusre me khoye huye us poornima ke chand ki chandni me dube chand ko dekh rahe the

Tabhi aniket bola

Aniket- duniya ka sabse anmol gift hoga ye jo ek premi ne apni premika ko diya hoga

Komal- par ani, isse bhi jyada khubsurat aur anmol koi aur gift bhi to hi sakta hai na ?

Aniket- koi chance hi nahi hai, isse jyada anmol aur khubsurat gift ho hi nahi sakta

Aniket ki baat sunkar komal boli

Komal- aise kaise, hota hai baba

Aniket- acha, to fir mujhe wo gift tumse chahiye jo is taj se bhi jyada khubsurat aur anmol ho

Komal apne hath me pakda aniket ka hath apne hotho ke paas le gayi aur uske hath par kiss kiya aur dheere se aniket ka hath apne pet par rakha aur boli

Komal- aisa anmol gift mai jald hi tumhe dene wali hu

Itna bol ke komal sharma gayi aur aniket to kuch pal ke liye ekdum shant ho gaya, use kuch sujh nahi raha tha aur fir wo achanak chillaya

Aniket- kyaaaaa!!!!!

Aniket itni jor se chillaya ke aaju baju chipak kar baithe huye couple bhi darr kar dur ho gaye aur aniket to khushi se pagal ho gaya tha

Aniket- komu kya bola tumne abhi? Ye ye sach hai na ?

Komal sharmaye ja rahi thi aur usne bas ha me gardan hila di

Aniket- komu sach me hum maa papa banne wale hai ?

Komal jhutha gussa dikhate huye boli

Komal- ab kya bond paper par likh kar du ye baat tumhe

Aniket- hurrraayyyyy

Aniket ne komal ko apne paas liya aur dono hatho se uska chehra pakad kar use chumne laga

Komal use rokte huye boli

Komal- arey arey ani ruko

Aniket kuch pal ruka aur fir bola

Aniket- ye tumhare liye the aur ab hamare aane wale bacche ke liye

Aur fir se komal ko chumne laga aur fir use gale laga liya aur agle hi pal usne komal ko god me utha liya aur gol gol ghumne laga, komal bhi bahut khush thi fir bhi bol rahi thi

Komal- ani niche utaro na mujhe, mujhe chakkar aa rahe hai tum gura doge mujhe

Aniket- aise kaise gura dunga tumhe

Komal- ander wo ghabra gaya hoga na

Tab aniket use niche utarte huye bola

Aniket- oye ladka nahi ladki chahiye mujhe, I want choti komal, rane ki raj nandini

Aur fir wo jhat se ghutne ke bal baith kar komal ke pet ko chumne laga

Aur fir wapis se komal ko gale laga liya, ekdum kas ke, aur fir kuch pal waise hi beetne ke baad jab wo alag huye to aniket ki aankho me pani tha, uska awaj bhari ho gaya tha aur gala bhar aaya tha, wo bahut kuch bolna chahta tha par shabd uska sath nahi de rahe the aur badi koshisho ke baad wo bola

Aniket- thank you komal, I love you so much

Aniket ko itna bhavuk komal ne kabhi nahi dekha tha, usne wapis aniket ko gale laga liya

Aajtak tajmahal ko bahut ghamand tha ke uske jaisa khubsurat pyaar ka tohfa aur dusra nahi hai par aaj komal aur aniket ki taraf dekh kar uska ye garv chur chur ho gaya, kyuki komal ne jo pyar ka tohfa aniket ko diya tha uske samne to taj bhi fika tha



Aniket ne komal aur komal alag huye, wo bhavuk pal, khushi ke aansu beh gaye the aur ab bacha tha to bas aanand, aniket ko to kya kare kya nahi aisa ho raha tha aur jab usko aisa lagta hai wo paglo jaise nachne lagta hai :doh: aur yaha bhi wahi hua ye yeda nachne laga aur jor jor se ga bhi raha tha

Aniket- hathi ghoda palki jai kanhaiya laal ki

Aur usme ek baat aur jodi

Aniket- aniket komal ke anand bhayo jai kanhaiya laal ki, rane ke anand bhayo jai kanhaiya laal ki

Uska awaj yash priya aur sanjana avi tak bhi pahucha, yash aur priya daudte huye aniket aur komal ke paas pahuche, avi ko bhi sanajh aa gaya tha ke aniket jab klhush hota hai to aisa hi karta hai matlab ab uske samne jane me koi khatra nahi tha aur avi aur sanjana bhi unke paas aane lage

Yash ko lag raha tha ke avi mil gaya isiliye aniket khush hai aur jab yash waha pahucha to aniket ne use gale laga liya

Aniket- aniket komal ke anand bhayo jai kanhaiya laal ki

Yash ko samajh nahi aa raha tha ke ye itna khush sirf avi ke milne par hai kyuki avi kahi najar nahi aa raha tha aur usne pucha

Yash- kya hua achanak anya

Aur aniket chillate huye bola

Aniket- yashya mai baap banne wala hu aur tu kaka

Yash ne use gale laga liya

Yash- areyyy gajab launde, ek number, congratulations bhava

Idhar priya ne bhi komal ko hug kiya, yash aur aniket to wahi gale lag kar kud rahe the fir yash bola

Yash- anya dil khush kar diya tune bhai, tune meko kaka banaya ab mai bhi teko kaka banane wala hu

Aniket- kya baat kar raha hai, tune bhi number laga diya, arey gajab

Priya bhi sharma gayi

Aur ye dono to paglo mafik nach hirahe the

Itne me avi aur sanjana waha pahuche, aniket ki khushi ka koi thikana hi nahi tha, avi bhi thoda darte darte uske samne aaya, use lag raha tha ke ab aniket uski achi dhulai karega par ulta aniket usko dekhte chillaya aur bola

Aniket- avya bsdk suna kya.. mai baap banne wala hu tu kaka banega be



Aur ekdum kud ke avi ke gale lag gaya aur ye news sun ke to avi bhi sab bhul ke aniket ke sath nachne laga aur usko aur komal ko chilla chilla ke congratulations bolne laga, aur fir aniket bola

Aniket- aur sun, tu ek nahi do baccho ka kaka banega , ye yashya ne bhi number laga diya hai

Fir kya teeno sath nach rahe the aur sab log unko dekh ke has rahe the, par aniket avi ayr yash apni hi masti me thi,unko kaha logo se kuch lena dena tha, sanjana ne bhi komal aur priya ka abhinandan kiya aur komal bhi usko aankh marte huye boli

Komal- congrats to tumko bhi banta hai, hamare jaisa nahi par avi mil gaya isiliye

Wo pal hi aisa tha ke sab bhul gaye the ke avi aa gaya hai aur pichle kuch dino me kya hua hai

Teeno lagatar nach rahe the aur jab nach kar thak gaye to dhad se wahi bagiche me lawn par gir gaye, teeno ki saas ful gayi thi aur teeno haaf rahe the, teeno itna nache the ke ab ghas par baith par apne saas par kabu pa rahe the aur unko aisa dekh ke priya boli

Priya- jara dekho inko, kuch dino me baap banne wale hai par baccho jaisi harkate nahi gayi inki

Komal- ha na ab hame ek nahi do do baccho ko sambhalna padega

Komal ki baat par sab hasne lage, fir sab ghas par baithe aur komal avi se boli

Komal- aa gaye sari duniya ghum ke, laaj lajja sharam wo to sab bech hi khayi hai hai na ? jaa nikal di us bechari ki

Avi ne bhi apne kaan pakde aur bola

Avi- sorry, wo darasal hua kya ki…

Aniket- oye haad.. chup…. Aaj apna corore rupaye ka mood hai aur mereko aaj aisi faltu baate sunne ki bilkul icha nahi hai, aaj ke liye maaf kiya tere ko par ye mat samajhiyo ke chhut gaya tu, tera hisab mai baad me dekhunga, tere ko jo bhi mafi wafi mangni hai kal dekhenge aaj ka time sirf aur sirf mera aur meri kammo ka chalo sab utho aur kalti maro idhar se, mereko privacy chahiye

Aniket ki baat par sab hasne lage kyuki usne baki charo ko bhaga diya tha waha se aur komal ke paas aaya par waha ek aur banda tha jo in sab ka sakshi tha, aniket ne usko bhi gale lagaya aur us bande ne bhi aniket aur komal ko congrats kiya aur fir aniket ne usko piche ghumaya aur mast ek laat marte huye bola

Aniket- tereko alag batau kya ke humko privacy chahiye, tu bhi nikal

Aur wo haste huye nikal gaya aur komal ne pucha

Komal- ye kon ?

Aniket- isko nahi pehchana kya ? ye wohi hai apna setallite adi jo hamesha apne pe najar rakhta hai

(bsdk mai na hota to tum bhi nahi hote :beee: )

Komal bhi hasi aur boli

Komal- acha hua bhaga diya warna kal ispe bhi update likh deta


(abhi to beta ruk update to jarur likhunga )
desh ki abadi badhane char aur log jud gaye... mubarak ho komal aniket...... & yash priya . ... mere hi clinic aane ka... govt hospital nahi jaane ka ..kya samjhe :D
udhar avi aur sanjana khushi se fule nahi sama rahe hai.... chalo ye bhi thik hai...
Shaandar update, shaandar lekhni shaandar shabdon ka chayan aur sath hi dilkash kirdaaro ki bhumika bhi...

Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :applause: :applause:
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,279
304
Sanjana- deverji, mai to inhe saja de nahi paungi isiliye isko kya saja deni hai kaise deni hai iske sare adhikar mai aapko deti hu
isme itna kya sochna...chalti car ke samne dhakka de do... :dazed:
 
Top