# 12
Agle din subah Ravi ne fir se Rajni ka phone try Kiya lekin vo nahin laga. Ravi ne jaldi se flight pakdi aur Delhi panhuch gaya. Vo seedha Rajni ke ghar gaya.
Jab vo vanha panhucha tu ek shakhs bahut buri tarike se Rajni se baat kar raha tha aur jaise hi Rajni ne Ravi ko dekha tu vo apani bhavnaon ko kabu na kar saki aur daud kar Ravi ke gale lagte hue 'Uncle' kehkar vo rone lagi aur uski aankhon se aansu nikalane lage.
Ravi uski peeth thapthapaate hue 'kya hua beta ro kyoun rahi hai, chal chup ho ja, main aa gaya hu na'
Tabhi vo shakhs 'arre ye Milan baad me kar liye hame tu hamare paise de diyo'
Ravi ko uski baat sunkar gussa aa gay aur vo usse kehne laga 'kaun ho bhai tum aur kaise isse badtamiji se pesh aa rahe ho?'
Shakhs : pehle tum batao ki tum kaun ho?
Ravi: (sard lehje me) Pehle sawal maine puccha hai
Shakhs: Main iss flat ka malik hun aur mujhe pichale do mahine se kiraya nahin mila hai ya tu kiraya de do nahin to ye flat Khali kar do. Ab tum bhi bata do ki tum kaun ho?
Ravi ne uss shakhs ko ghurte hue ' Lagta hai tumne suna nahin, Main iska uncle hun aur ye kiraya mangne ka kounsa tarika hai'
Shakhs: arre bhaya manne tu mahara piso de diyo, bas fir aaram se raho'
Ravi baat ko jayada na badate hue 'batao kitna kiraya hai?'
Ravi ne uske bataye hue amount ko uske account me transfer kar ke bola ki 'aaj ke baad badtamiji nahin karna, tumhara kiraya tumhe mil gaya hai aur aaj ke baad tum mujhe phone karna kiraya mil jayega, lekin isse tang kiya tu accha nahin hoga Mujhe Rajni se tumhare bare me koi shikayat Nahin Milani chahiye'
Vo shakhs Ravi ko sorry bolkar aur aage se Rajni ko tang na karne ka vada karke vanha se khushi khushi chala gaya aur uske jane ke baad Door ko band karke Rajni fir se Ravi ke gale lagkar fafak kar rone lagi'
Ravi ne usse apani banhon me smatte hue usse rone diya. Vo bich bich me uski peeth sehlata raha. Kucch der baad jab uska Rona kam hua tu Ravi ne usse sofey par baitha kar Pani pilaya aur fir bade hi pyar se uske sar par hath ferte hue puccha 'ab batao kya baat hai aur haan tumhara phone kyoun band hai?'
Rajni: balance khatam ho gaya tha
Ravi: Recharge kyoun nahin karwaya
Rajni: (hichkiyan lete hue) Mere paas paise khatam ho gaye hain
Ravi: kya tumhe salary nahin mil rahi hai?
Rajni: Bank rules ke hisab se 6 mahine tak mere account ko freeze kar diya gaya hai aur salary bhi uske baad hi milegi
Ravi: Tumne kisi se bola kyoun nahin
Rajni: Meri baat koi bhi sunne ko raji nahin hai
Ravi: Mujhe kyoun nahin bataya
Rajni: Aapne pehle hi mere liye itna kucch kiya hai. Main aap par aur bhojh nahin banna chahti thi.
Ravi: Mujhpar bojh nahin banna chahti, paise hain nahin, koi tumhari baat sun nahin raha hai tu tum ab karogi kya?
Rajni: pata nahin
Ravi: Theek hai fir main chalta hun
Rajni: (Ravi ka hath pakad kar) Please ruk jaiye na. Aap ne aaj dusri baar Mujhpar ehsaan kiya hai
Ravi: kisliye rukun, tumhe tu meri madad chahiye nahin kyounki vo tumhe bojh lagti hai aur maine tumhe pehle bhi kaha tha ki ye ehsaan kya hota hai. Main sare kaam chhodkar tum par ehsaan karne aaya hun. Mujhe tum par koi ahsaan nahi karna, ab main ja raha hun.
Rajni: (kaan pakdkar) Sorry, ab bilkul nahin Kanhungi, Main apani sabhi galtiyon ki maafi mangti hun aap please ruk jaiye, nahin tu main ji nahin paungi ( vo fir se rone lagi aur rote rote jamin par baith gayi)
Ravi ko ab uss par daya aane lagi aur usne jhukkar uske kandhon se pakad kar uthaya tu donon hi ek dusre ke gale lag gaye. Ravi ko ek baar fir se uski golayian ko apani chhati par dabte hue mehsoos kiya aur vah uss aanand ke sagar me dubne laga. Ravi aaj itne samay baad Rajni se mil raha tha lekin usko aise lag raha tha ki yeh ehsaas purana nahin hua hai balki tarotaza hai. Ravi ne apane aap ko niyantran me rakhte hue uske chehre ko upar uthakar uski aankhon mein jhankte hue
Ravi: Ek shart par main rukunga ki aaj ke baad mujhse apani preshani kabhi nahi chupaogi
Rajni: aap jaise kahoge Main vaisa hi karungi
Ravi: soch lo, baad me mukur na jana
Rajni: (kucch sochkar Ravi ke gale lagte hue)nahin mukurungi, vada(ye kehkar apane chehre ko neeche jhuka leti hai)
Ravi uske chehre ko fir se upar uthakar uski aankhon ke koron se nikalne wale aansuon ko saaf karke uske mathe ko chumte hue 'Mujhe sirf hansti hui Rajni acchi lagti hai'