• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Sci-FI Ultraman-The King of Technology

Yes or No

  • Yes

    Votes: 26 100.0%
  • No

    Votes: 0 0.0%
  • Can't Decide

    Votes: 0 0.0%

  • Total voters
    26
  • Poll closed .

Story Hunter

New Member
66
249
48
Waiting bro..you are writing superb story...but taking a long time...please give updates faster...I know you have other priorities too, but please try to update in 4 days...I am just loving your story and writing skill.
 

Vk248517

I love Fantasy and Sci-fiction story.
5,771
17,826
189
Waiting brother
 

Rudransh120

The Destroyer
319
881
93
super fantastic update bhai
Update 5

Ground se nikal kar Sagar ne Mohan, Meera aur Triya ko saath liya aur Lower farmlands ki taraf chala gaya. Triya is bachhi ka naam tha jise Sagar aur Meera ne bear se bachaya tha.

Sagar lower region mei aaya aur usne sabhi farmers ko ek jagah par aane ke liye kaha.

Sagar ki baat ko sunkar sabhi farmers ek jagah aa kar khade ho gaye. Un sabhi ke samne kuch elder persons khade the jo unke small small groups ke leader ki tarah dikh rahe the.

Sagar ne sabhi se baat karni start ki aur un sabhi se har ek tarah ke sawal puch liye.

In sabhi se Sagar ko yeh pata chal gaya tha ke last 20 years se yaha ke log ek hi type ke product ki farming kar rahe hai jiske chalte yaha ke lands jaise saturated se ho gaye hai.

Yeh sab kuch sunkar Sagar kuch der sochne kag jata hai.

Kuch der sochne ke baad Sagar ne sabhi ko dekha aur kaha.

Sagar-Hmmm....Aap sabhi ab is baat ko mujh par chod dijiye. Mein kal tak aap ko is problem ka solution de dunga. Same time par kal yahi mujhe aa kar milna.

"Yes Protector."

Although vo sabhi is baat ke liye maan toh gaye the lekin unhe unke problem ke liye koi solution milega aisa kuch bhi socha nahi tha. After all unhe itne years ka farming ka experience tha.

Unke phele ke generation ne yahi par farming ki hui thi aur ab vo kar rahe the. Jab se unhone in sabhi lands ko dekha tha tab se vo sabhi barren hi the.

Vo is liye abhi tak farming kar rahe the kyo ki unhe yeh karna achha lagta tha.

Jab bhi vo kisi seed ko plant karte the aur usse ugte hue dekhte the toh unhe achievement hasil ki hai aisa feel hota tha.

Lekin jab unhone suna ke Protector unhe koi solution dene wala hai toh vo kuch surprise toh zarur hue the lekin unka experience unhe kuch aur hi bata raha tha.

Is liye un sabhi ne abhi ke liye kya hota hai yeh dekhna hi sahi samjha.

Sagar ek taraf aaya aur usne niche baith kar niche ground par paani dala aur waha ki bhigi hui soil utha kar usse apne fist mei kas liya. Yeh soil soft thi aur apne shape ko kuch der ke liye hold kar paa rahi thi. Yeh sab dekh kar Sagar ne apne aap se kaha.

Sagar-So far so good.

Issi ke saath Sagar ne waha ke soil ke kuch samples kiye aur castle ki taraf chala gaya.

Castle mei aa kar usne apne suit ko activate kiya aur usse soil ko scan karne ke liye kaha.

Sagar aur Meera ka suit aisi shayad hi koi baat thi jo nahi kar sakta tha.

Jaldi hi Sagar ko uske samples ke results mil gaye aur usne jo socha tha wahi hua. Yaha par ek hi type ke product ko nikaalne ke wajah se soil kaafi saturates ho gayi thi. Par isse abhi bhi change Kiya kaa sakta tha.

Iske baad Sagar ne basic farming techniques ko nikala aur unhe ek paper par likhne lag gaya.

Next day.

Training ke baad Sagar phir se castle mei se nikal kar Lower Region mei jaane lag gaya.

Usse pata tha ke sabhi farmers ko kis direction mei direct karna hai.

Jab tak Sagar waha aata tab tak sabhi farmers pehle hi aa chuke the aur Sagar ka wait kar rahe the.

Jaldi hi Sagar bhi waha aa gaya.

Sagar-Well aap sabhi ko ab food ki kabhi bhi koi kami nahi hogi. Mein ne sabhi ke problem ke liye ek solution nikaal liya hai.

Sagar ki baat par sabhi farmers surprise se ho gaye.

Sagar ne aage kaha.

Sagar-Aap sabhi ko mein bata du ke yaha ke farms ki jo soil hai vo loamy soil hai.

Ismei sab se bottom mei sand rehti hai wahi middle layer mei silt aur top layer par clay. Yeh kisi bhi agriculture ke liye perfect soil hai. Yaha par problem soil mei nahi balki uske nutrients aur organic materials mei hai. Shayad ismei in dono ko kami hai. Otherwise yeh sabhi lands aise barren nahi rehte aur har jagah greenery hi dikhayi deti.

Sagar ki baat ko sunkar sabhi farmers aur bhi surprise ho gaye. Agar aisi baat hai toh unke farms aise kyo hai. Kya unhe soil ke nutrients aur organic materials ke bare mei pata nahi hai. Nahi, aisa nahi hai balki unhe kuch baate pata zarur thi lekin vo kaise action mei lani hai yeh unhe pata nahi tha. Otherwise Baymard ko yeh problem face hi nahi karni padti.


Lekin sirf Baymard hi aisa place nahi tha jo barren tha. Balki aise kaafi small towns the jaha par yeh problem thi.

Baymard is liye famous tha kyo ko vo kabhi empire ki 3rd biggest city hua karti thi. Almost last 40 years se yeh lands barren the.

Sagar ko jo reports mili thi uske hisab se log kehte the ke ek din suddenly yeh land barren ho gaya. Wahi kuch log toh yeh bhi kehte the ke yeh cursed land hai. Of course Sagar is sab baato par trust nahi kar raha tha.

Baymard ka size ki baat kare toh vo almost hamare Mumbai City ke area ka double tha.

Sagar yaha ke farmers ko Crop Rotation ke saath bhi introduce karna chahta tha. Iske wajah se soil ki fertility badh sakti thi, uske nutrients aur organic materials bhi.

Saath hi Crop Rotation soil polution aur soil stress ko bhi reduce kar sakta tha.

Yeh ek acchi method thi soil ke good structure ko maintain karne ki.

Issi ke saath Sagar ne sabhi farmers ko dikhaya ke unhe kya kya karna hai.

Sabhi farmers pehle shock the lekin unka unhe keh raha tha ke Protector ka yeh solution work kar sakta hai.

Sabhi baato ko achhe se samjha kar Sagar waha se nikal gaya.

Ab Sagar ka 2nd target tha yaha par schools ko open karna.

Abhi ke liye usne yaha ke villagers aur childrens ko read air write kaise karte hai Pyron (Is world ki local language) yeh sikhane ke baremei soch liya saath hi math kaise karte hai yeh bhi Sagar yaha ke logo ko sikhana chahat tha.

Is sab mei Sagar ko Meera bhi help karne wali thi.

Sagar ne Math ko 2 parts mei break kiya. Math 1-Addition and Subtraction aur Math 2-Multiplication and Division.

Of course math ki class basic numbers ke understanding se hi start hone wali thi. Sagar yeh sure karna chahta tha ke yaha ke log count karna jaan sake addition aur multiplication ke pehle.

Saath hi vo yaha ke womens ko bhi teach karna chahta tha. After all Sagar aur Meera har time yeh nahi karte reh sakte the. Koi toh hona chahiye jo time aane ke baad unki post ko le sake.

Sagar ko mili reports se usse yeh pata chal gaya tha ke Central Region mei kuch literate log rehte hai. Jaise alchemist, welder aur kaafi kuch.

Agar Sagar ko un sabhi logo ka saath mil jata hai toh uske liye yeh project aur bhi easy ho sakta tha.

Yaha aane ke baad usse ek baat pata chali thi ke yaha par jo log math ko use kart hai vo zyada tar alchemist aur magicians hi hai. Unke unke spell aur baki saari baato ke liye math ko use karna padta hai.

School ka infrastructure Sagar ne apne planet jaisa hi rakhne ke baremei socha tha.

Chahe kisi ki kitni bhi kyo na age ho. Usse school Kindergarten se hi start karna padne wala tha.

Unhe kisi bhi tarah se read karna, writing aur simple math aana kaafi zaruri tha. Sagar ke planet par bhi ek baat common thi education ko lekar aur vo yeh ke "You never too old to go to school."

Issi ke saath Sagar castle mei aaya aur ek room mei chala gaya jise vo aage se apna personal room banane wala tha.

Aise hi almost 5 months ka time beet gaya tha. Issi bich Sagar aur Meera ne kaafi kuch changes Baymard mei laa diye the.

Specially farming ko lekar.

Yaha ke log ab apne farms ko phir se fill hota hua dekh kar kaafi khush the. Sagar aur Meera par yaha ke sabhi logo ka aur bhi trust baith gaya tha.

Unke hard life situation mei Sagar aur Meera ko chod kar koi nahi aaya tha.

Jab sab kuch sahi jaa raha hai yeh Sagar ne check kiya tab vo apne aage plan ke baremei sochne lag gaya. Usse ab Baymard par Farming Industry ko open karna tha.

Saath hi Sagar aur Meera ne kuch cooking dishes ke baremei bhi socha tha.

Is world ka food achha tha lekin jo chiz Sagar aur Meera ko chahiye thi vo abhi tak nahi mil payi thi lekin ab jab farming kaafi achhe se hone lag gayi thi toh baki sab bhi sahi se hi plan out hone wala tha.

Sagar ne ab tak City Lord castle ko kaafi had tak repair kar liya tha aur apne personal room ko toh aur bhi achha kar liya tha.

Sagar ko yaha ke har ke chiz ko change karna tha. Usse pata tha ke Baymard zyada der tar kisi se chup nahi payega aur jab koi badi army ya koi bandits ki gang ne unke upar attack kiya toh vo survive nahi kar payenge. Is liye Sagar har ek baat ko achhe se plan out kar raha tha. Usse kahi bhi koi fault nahi chahiye tha.

Issi ke saath ab Sagar apne soldiers ke progress ko dekhna chahta tha. Is liye ab vo Mock Test lene wala tha.

Next Day.

Almost 4 A.M morning mei soldiers ka ek bada sa group 3 lines mei Lower Region ki taraf jaa raha tha.

Sagar unhe dekh raha aur unke progress ko bhi. Kaafi kam time mei in sabhi ne apne aap ko kaafi improve kar liya tha. Unke muscles ab dikhne lag gaye the aur un sabhi ke andar pehle se zyada discipline aur strength dikh rahi thi. In sabhi ka appearance hi jaise change hone lag gaya tha. Un sabhi ko posture upright the. Wahi sturdy physique ke saath unke andar unfaltering determination bhi dikh rahi thi.

Sirf Mohan hi tha jiski physique abhi tak waisi nahi hui thi. Hoti bhi kaise abhi toh vo aone teenage mei tha. Abhi uske body ko aur bhi develop hona tha. Par uske body ka posture bhi kuch kuch strong dikhne lag gaya tha. Saath hi uske face par ab maturity aur confedent looks aane lag gaye the.

Jis tarah se vo sabhi aage badh rahe the unke footsteps itne light the jaise vo soldiers nahi balki assassins ho. Sagar ne unhe camouflage kaise kiya jata hai aur uske kya benefits hai is sab ke baremei bata rakha hua tha. Isse vo apne enemy ko surprise kar sakte the.

Is magical world mei knights aur magicians pride aur honor ke saath battle karte the. Like vo apne powers ko flash kar ke yeh show karna chahte ke vo kitne powerful hai. Unke liye sneak attacks kamzori ko show karta tha.

Lekin Sagar ne is mentality ko sab se pehle change kiya. Kisi bhi war mei apne opponent ko easiest aur safest way mei eliminate kar ke apne comrades ko bachana aur sab se kam casualties ko rakha hi strength ko show karta tha.

Infact Sagar ne in sabhi ko Booby Traps ko kaise settel kiya jata hai yeh bhi sikhaya tha. Saath hi war strategies ko kaise use mei lana hai yeh bhi sikhaya tha. Usne specially apne opponent ko unke pressure points ko strike kar ke kaise knock out kiya jata hai yeh bhi sikhaya hua tha. Specially opponent ke neck ke back par.

Kyo ki exam ke 1st phase mei swords ka use nahi hone wala tha toh in sabhi ko hand to hand combat aur apne brain ka hi use karna tha. Is liye Sagar ne in sabhi ko basic martial arts bhi sikhaya tha aur self defence ke tactics bhi.

Military exam ke 2 weeks pehle Sagar ne 3 mini hills ko dhund nikala tha jo kisi bhi estate se kaafi distance par thi. Har ek hill trees aur brushes se surrounded thi. Yeh sab camouflage ke liye perfect the aur traps ke liye bhi. Kisi parts mei toh sand ke pits bhi the roh kuch ke bich se small rivers bhi beh rahi thi jo ocean ki taraf jaa rahi thi. Yeh is sab ke liye puri tarah se perfect tha.

Sagar ne har ek team ko ek hill di hui thi apne apne base banane ke liye. Saath hi usne unhe apne wooden shades aur booby traps bhi set karne ke liye keh diya tha.

Although abhi tak Sagar ne unhe exam ka nature kya hai yeh nahi bataya tha par vo sabhi jaldi hi samajh gaye ke har ek team ko ek dusre ko face karna hai aane wali exam mei. Is liye sabhi jaldi hi aane wali exam ke liye prepare karne lag gaye.

Jab vo location par pohoche toh Sagar ne sabhi ko 3 lines mei discipline ke saath khada dekh toh usse achha laga. Ab vo ek soldier ki tarah lagne lag gaye the.

Sagar ne sabhi ko dekht hue kaha.

Sagar-Is exam mei 2 phase honge. Phase 1 ke andar strategies aur enemy infiltration hoga toh Phase 2 ke andar swordsmanship aaj ham sirf Phase 1 par focus karenge. Wahi kal Phase 2 par.

Jab Sagar yeh sab bata raha tha tab Commander Lucias ne ek butler ke saath sabhi ke samne kuch boxes rakhe.

Un boxes ko dikhate hue Sagar ne kaha.

Sagar-Tum sabhi ke samne jo boxes hai uske andar tumhare team ke headbands, ropes aur flags hai. Josh ki team red headbands ko pehnegi, Mark ki team yellow headbands ko aur Gary ki team purple headbands ko pehnegi. Box ke ander ropes ke 50 pieces hai. Isse tum apne enemy ko capture karoge. Har team ke paas 5 flags hai jo unke headbands ke colour ke hai. Tum apne headbands ko kahi bhi pehen sakte ho. Ab apne headbands ko peheno.

Yeh sunte hi team leader ne boxes ko uthaya aur har ek headpiece ko distribute karne lag gaye. Sagar yeh dekh kar kaafi impress hua ke kisi ne bhi aone line ko break nahi kiya aur apne turn aane ka wait kiya. Kisi ne un bands ko apne pair par pehna toh kisi ne wrist par toh kisi ne usse arms par bandh liya. Lekin kisi ne bhi apne headband ko apne sir par nahi pehna. Yeh dekh kar Sagar halke se smile karne lag gaya. Yeh sabhi ab kuch smart ho gaye the.

Yeh sabhi so called headbands yaha ke logo ke old clothes the unhe cut kar ke banaye gaye the.

Jab Sagar ne dekha ke sabhi ne achhe se perform kiya hai toh usne aage kaha.

Sagar-Aaj raat har team apne offensive aur defensive strategies ko banayegi. Tum sabhi ka goal hoga ke tumhe apne enemy ke at least 1 flag ko toh capture karna hoga nahi toh 50 enemy headbands ko collect karna hoga. Mein kisi ko bhi koi advice ya koi help nahi karunga ke tumhe apne flags ko kaise hide karna hai aur battle mei kaise engage hona hai. DO YOU ALL UNDERSTAND!!!!

Jaise hi Sagar ne yeh baat complete ki waise hi sabhi ne military salute ke saath zor se chillate hue kaha,

"Sir, Yes Sir."

Sagar-Good. Battle ke bich mein aur Commander Lucias move hote rahenge aur har team ko shadows mei se observe kar rahe honge. Exam ke end hone ke baad sabhi ko grade diye jayenge.

Jab un sabhi ke Sagar ki baat suni toh vo sabhi aur bhi determine dikhne lag gaye the aur apne aap ko prove karna chahte the.

Sagar-Well ab tumhare exam ke rules yeh hai ke tum kisi bhi sword ya blade ka use nahi karoge. Apne enemies ko sirf martial arts aur self defence tactics ka use kar ke disarm karoge. Finally apne opponent ke pressure points par koi bhi strike nahi karega. Jo bhi apne headband ko kho dega usse dead mana jayega. Jo dead hai vo ussi time par battlefield mei se nikal jayega. Dead hone ke baad bhi agar koi apne team ko winning mei help karta hai toh usse serious crime consider kiya jayega.

Sabhi Sagar ki baato ko kaafi carefully soon rahe the. Koi bhi kisi detail ko miss nahi karna chahta tha.

Sagar-Jo bhi in rules ko break karega usse 1 month ko intense punishment milegi. Saath hi kuch time ke liye as a soldier tumhari rank bhi nahi badhegi. Is liye koi bhi rules ko break nahi karega. After all dead man koi bhi story nahi batata hai aur battle ko effect nahi karta hai.

Sagar ko baat ko sunkar sabhi phir se apne bands ko check karne lag gaye. Unhe lag raha tha ke unhone jaha par apne bands ko chupaya hua hai vo shayad safe na ho.

Sagar-Ek baat aur, tum sabhi ke exam ka time 2 hours ka hoga. Ek baar time up ho gaya aur tumhe koi bhi success nahi mila toh bhi tumhe immediately yaha par assemble hona hai. Agar koi fail hota hai toh sabhi ko 1 week ki punishment milegi. Phir chahe vo kisi bhi team ka soldier ho.

Sagar ki baat sunkar sabhi shock ho gaye. Iska meaning agar koi other team mei fail hota hai toh un sabhi ke satah bakiyon ko bhi punishment milegi ?

Sagar ne yeh baat sirf teamwork ke liye hi nahi kahi thi balki vo in sabhi ke andar brothers wala emotion lana chahta tha aur sabhi se yeh ensure karwana chahta tha ke unka koi bhi brother piche na rahe.

Sagar-Good luck men, Your exma starts now.
BHai BAhOt BaDIyA ja rahi he story
 

Rudransh120

The Destroyer
319
881
93
Update 6

Josh's Camp.

Josh ne dekha ke uske team members achhe se 5 groups mei divided ho gaye hai. 1st group mei 12 members the, 2nd group mei 36 members the, 3rd mei 20 members the, 4th mei 16 members the toh 5th mei 15 members the.

Sabhi ko dekhte hue Josh ne kaha.

Josh-Group 1 constantly base ke perimeters ko scout karenge. Har ek checkpoint par 3 men team station hongi. Agar enemy approch karta hai toh team mei se ek member rush back karega alert karne ke liye. Dusra member shadows mei reh kar enemy ko trail karega aur unke movement par nazar rakhega. Wahi tisra member checkpoint par hi guard rahega in case koi dusra emeny aata hai toh unhe notice karne ke liye. Ek baat achhe se mind mei fit karna ke agar necessary na ho toh koi bhi attack nahi karega. Sirf observe karna hai. Do you understand ?

"Yes Captain."

Sabhi ne swiftly reply kiya.

Jab yeh sabhi traps ko set aur bana rahe the tab in sabhi ne hidden bases bhi bana liye the aur unhe mud, leaves, grass aur sticks se cover kar liya tha. Isse vo apne enemies par spy kar sakte the.

Josh ne Group 2 se kaha.

Josh-Group 2 enemy camps ko infiltrate karega. Kyo ki tumhare group mei 36 members hai toh is mei se 18 members Gary ke camp ko infiltrate karenge aur bache hue Mark ke camp ko infiltrate karenge. Uske baad 18 members apne aap ko 6 groups mei divide karenge aur camp ko har direction se infiltrate karenge. Agar tumhari position compromise hoti hai toh escape kar ke carefully base par return karna hai.

"Yes Captain."

Josh-Group 3 har traps par positions par stations honge. Har trap ko 3 men team guard karegi. Ek baar enemy team trap mei fas jati hai toh jaldi se unke bands ko secure karna hai aur baad mei unhe as a prisoner capture karna hai ya phir unhe free kar dena. Jab prisoners aur bands ko secure karne ke baad unhe dene ke liye koi ek Mohan ki taraf aayega. Ek baar unhe delivere karne ke baad tumhe phir se apne postion par jana hai. Tab tak bache hue do membes trap ko reset karenge.

"Yes Captain."

Josh-Group 4 flag ko guard karega jise of course usmei se ek mein apne saath rakhunga. Tum sabhi apne aap ko 4 teams mei divide karo aur hill ke aaspas fail jao aur flag ko protect karoge. Yaad rakhna aisi position ko choose karna jaha se enemy tumhe notice na kar sake.

"Yes Captain."

Josh-Group 5 finally tum sabhi apne aap ko 5 sub group mei divide karoge aur tum sabhi base ko guard aur Mohan ko gaurd karoge. Yaad rakhna Mohan ke paas hi sabhi ke secure kiye hue bands honge. Agar enemy hamare in secure kiye hue bands ko chura leta hai toh ham jo hard battle ke baad inhe collect karenge vo sabhi waste ho jayega aur ham is battle ko loose kar denge. Although mein apne Knight Captain ke skills par confident hu lekin hame unexpected things ke liye bhi plan karna hoga. Is liye ek flag mere paas rahega aur tum sub group mei se ek mujhe protect karega.

"Yes Captain."

Outskirts of Gary's hill.

Brushes aur trees mei soldiers ka ek group kaafi carefully aur quietly wait kar raha tha apne enemy ka. Unhone apne enemy ko ambush kar ke capture karne ka plan kiya tha.

Unhone apne haat, face aur necks ko mud se paint kar liya tha aur hairs mei tree branches, leaves aur grass laga liye the. Yeh sab clear show kar raha tha ke yeh sabhi soldiers apne skin ke kisi bhi shiny part ko show nahi karna chahte the. Is sab se kisi ke liye bhi unhe yaha par spot karna extremely hard hone wala tha. After all yeh army ka one of the best camouflage hai.

Berry unmein se ek soldier tha. Vo abhi ek tree ke piche khada tha aur apne prey ke aane ka wait kar raha tha. Abhi uske samne se 4 men team unke territory mei aa rahe the.

Jaise hi unke enemies unke range mei aaye waise hi Berry aur uski team ne move out kiya.

Berry jaldi se us enemy team se ek ke piche aaya aur usne apne fingers ki sharply us person ke ear, jaw aur neck ke bich mei aane wale spot par press kiya. Is region ki Parotid Lymph Node kehte hai. Issi ke saath usne us person ke ear ko pakad kar niche ki taraf push kiya.

Wahi jis soldier ka ear gripp hua tha yeh sab uske liye sirf ek pal mei hua tha. Dusre pal mei uski puri body numb ho gayi thi aur vo niche apne ghutno par baith gaya tha.

Berry ne swiftly us soldier ke band ko nikala aur usse apne rope se bandh diya. Same time par uske team ne bhi apna kaam achhe se complete kar liya tha. Unhone capture prisoners ko base ke outskirts mei escort kiya. Kyo ko unhe pata tha ke yeh sabhi soldiers 'dead' ho gaye hai toh yeh ab battle mei interfere nahi kar sakte the is liye bahar aahe ke baad unhe Berry ne release kar diya aur jaldi se apne main base ki taraf chale gaye.

Yeh sab kuch Sagar apne geo satellite se note karte hue apne suit ke status window par dekha raha tha. Usne Berry aur uske team ko mentel note kiya. Specially Berry ko. Jab enemy aaye the tab usne hi sabse pehle signle kiya tha aur wahi tha jisne sab se pehle enemy team ke member ko surprise kar diya tha.

Agar Berry kuch seconds bhi late hota move hone mei toh uska yeh plan bilkul fail ho jata. Even Berry ki quickness aur enemies ke saath dealing karne mei jo decisiveness thi vo bhi kaafi remarkable thi. Berry ke team mei jo others the vo bhi achhe the lekin Berry jaise natural tha. Aisa lag raha tha ke Berry in born assassin tha.

Josh's Camp.

Mark ke camp mei se nikal kar Trey apni team ke saath bahar aaya aur Josh ke camp ke perimeters ko observe karne ke liye chala gaya. Unhe pata tha ke unke Captain Mark aur Captain Josh kuch had tak same soch rakhte hai aur Captain Josh ne bhi apne perimeters ke andar apne logo ko station kiya hoga.

Trey ke tean ne us area ko kaafi carefully dekha lekin unhe waha par kuch bhi odd nahi dikh raha tha. Is liye unhe laga ke Captain Josh ke team members huts bana kar observe kar rahe honge jaisa unhone kiya tha. Mark ne apne camp mei tree huts ko banaya tha aur uske upar mud, grass aur leaves laga kar unhe camouflage kar diya tha.

Jaise hi vo sabhi Josh ke territory ke andar aane wale the tabhi Trey ne ek jagah dekha jo usse kuch suspicious lag rahi thi.

Trey ne dekha ke waha par kuch dry grass, leaves aur sticks other area se zyada faile hue hai.

Upar se Trey ne yeh bhi notice kiya tha ke jo green grass dikh rahi thi vo bhi wrong direction mei grow ho rahi thi. Wahi aaspas ki grass different directions mei grow ho rahi thi.

Trey-Guys kya tumhe yeh jagah kuch ajeeb nahi lag rahi hai ?

Trey ki baat par sabhi ne us direction mei dekha jaha par Trey unhe show kar raha tha.

Unhone us jagah par dekh kar kaha.

"Hmmmm, mujhe toh vo jagah kaafi normal lag rahi hai. Tum sabhi kya kehte ho ?"

Yeh baat Trey ke ek teammate ne kahi thi.

Is par Trey ne kaha.

Trey-Lekin mujhe lagta hai yaha par knights chupe hue hai.

Is baat par Trey ke teammates kaafi shock ho gaye the. Sabhi yahi soch rahe the ke waha par kaise koi ho sakta hai. Waisi jagah par sirf koi bachha hi fit ho sakta hai.

Trey bhi puri tarah se sure nahi tha lekin us jagah par bane bubble ko dekh kar usse check karne mei koi loss nahi tha.

Trey-Mujhe lagta hai waha par unhone hole banaya hai aur uske andar jaa kar yeh sabhi chup gaye hai aur ab apne enemies ka wait kar rahe hai. Jab enemies inke hole se pass ho jayenge tab yeh sabhi yaha se nikal kar apne Captain Josh ki taraf chale jayenge jo bhi dekha hai usse report karne ke liye. Is sab ke liye mere paas ek plan hai.

Iske baad Trey ne apni team ko uska plan bataya aur usse soon kar sabhi ne waise hi karne ke baremei socha.

Trey aur uski team ab casually waha se aage badhne lag gayi.

Jab vo kuch aur aage gaye aur aage ke jhadiyon mei jaa kar chup gaye waise hi uske kuch der baad 2 knights us hole mei se nikal gaye aur ek left ki taraf gaya toh dusra unki hi direction ki taraf aa raha tha.

Trey ne ishare se apne 2 teammates ko dusre wale knight ke piche jaa kar usse capture karne ke liye kaha wahi vo khud unki taraf aane wale knight ko sambhalne wala tha

Jaise hi us knight ne Trey ke hiding spot ko paas kiya waise hi Trey jaldi se us knight ke piche chala gaya aur piche se usne us knight ke muu ko cover kar liya. Wahi issi bich uske teammates bhi bahar aaye aur unhone jaldi se us knight ke pressure points ko press kiya. Saath hi uske band ko bhi nikaal liya.

Trey-Ab tum dead man ho aur deam man stories nahi batate hai. Is liye ab mein tumhare muu ke upar se apna haat nikaalne wala hu aur tum na chilla sakte ho aur na hi kuch keh sakte ho....Understand ?

Trey ki baat par us soldier ne apne sir ko haan mei hilaya. After all ab vo kya kar sakta tha ? Ab vo ek dead man tha.

Trey aur baki sabhi ne ab us hole mei koi aur hai ya nahi yeh dekhne ke baremei socha. Ab vo us knight ko puch toh nahi sakte the after all vo ab 'dead' tha.

Trey ne soch liya tha ke vo surprise attack ke liye jayega aur enemy ko take down kar lega.

Jaise hi Trey ne us hole mei jump lagayi waise hi uske andar jo young soldier tha vo suprise sa ho gaya aur jaldi se khud ko defend karne ke position mei aa gaya. Inki battle kuch 2 minute ke liye chali lekin baad mei Trey ne opportunity ko create kiya aur us soldier ke band ko bhi secure kar liya.

Aise nahi tha ke vo soldier koi weak tha. Agar spectator ke point of view se dekhe toh Trey aur uska opponent same level par the. Trey is liye yeh round jit paya kyo ki usse fight ka experiance apne opponent se zyada tha.

Jab tak usne apne work ko complete kiya tab tak uske dusre teammates jo opposite direction mei chale gaye the unhone bhi unke opponent ka band le kar aa gaye the.

In 3 bands ko milne ke baad un sabhi ne soch liya tha ke jab tak at least 10 bands ko secure nahi kar lete hai tab tak vo aage badhte rahenge.

Jab yeh sabhi waha se chale gaye tab Lucias apni chupi hui jagah se bahar aaya. Usne dead soldiers ko meeting ground ki taraf jaane ke liye kaha.

Lucias-Trey, bete tumhara sab se bada asset tumhara brain hai. Yeh ladka abhi se smart aur observant ho gaya hai jo apne enemies ke potential tak ko access kar sakta hai. Fighting prowess ke saath combine karne ke baad future mei yeh kaafi powerful force ban sakta hai.

Mark's Territory.

Knights ka ek group abhi apne prey ko kaafi silently follow kar raha tha aur wait kar raha tha sahi time ka ke jab vo strike kar ke apne enemies ke flag ko secure kar sake.

Start mei unhe laga ke yeh log bhi apne oppoenet ko dhund rahe hai is liye is group mei abhi ke low rehna hi sahi samjha. Lekin kuch der baad unhe pata chala ke yeh soldiers hunt nahi kar rahe hai balki kuch chupa rahe hai.

Is ka ek hi meaning nikal raha tha ke unke saath unke camp ka flag hai aur vo kisi ek place par rakh kar apne enemies ke haato mei nahi jane dena chahte hai. Enemy group mei 4 knights the wahi yaha par sirf 3 members the. Agar unhe kuch bhi action lena hua toh kaafi quick way mei lena hoga.

Although yeh risky tha lekin yeh sabhi us risk ko lene ke liye ready the.

In soldiers mei se ek Billy tha jo Captain Josh ke under tha. Yeh ek shy person tha lekin smart bhi tha.

Enemy team ne ek achhe hideout ko locate kiya aur abhi ke liye rukne ke baremei soch liya. Lekin jaise hi vo rukne wale the waise hi Billy ki team swiftly move hote hue aayi.

Billy ne nimble movement ke saath 1st knight ke pressure points ko hit kiya aur uske band ko secure kiya. Lekin jab tak usne yeh complete kiya tab tak ek aur enemy team uski taraf badh gayi. Yeh kuch strong thi. Unke bich ek hand to hand fight start ho gayi thi aur Billy yeh notice kar raha tha.

Uske teammates striking mei kuch slow the is liye unka element of surprise zyada achha nahi gaya.

Abhi Billy apne teammates ki help karne ke liye aage badhne hi wala tha ke tabhi uske samne enemy team ka ek soldier aaya.

Usne aate hi Billy par straight punch strike kiya lekin Billy ek side mei ho gaya aur usne uska haat pakad liya. Billy ne uske haat ko pakadte hi uske joint par press kiya aur usse uske haat ke saath ghuma kar niche ground par patak diya.

Saath hi sahi time par uske band ko bhi secure kar liya.

Billy ne palat kar dekha ke uske teammate par uska opponent kaafi bhari ho gaya hai. Yeh dekh kar Billy jaldi se uski help karne ke liye aage badh gaya.

Abhi vo kuch half distance par aaya hi tha ke tabhi ek aur enemy Billy ke samne aaya.

Usne bhi us par straight punch se strike kiya par is bar bhi Billy side mei ho gaya aur usne apne enemy ke haat ko pakad kar uske momentum kar aage jane diya. Wahi jab uska oppoenet kuch aage aaya waise hi Billy ne uske ghutne ke piche se apne pair se halke se strike kiya aur usse bhi niche bitha tha.

Uske haat se uska opponent release na ho is liye Billy ne uske pakade hue haat ke shoulder par press kiya aur usse wahi par rok diya.

Dekhte hi dekhte Billy ne uske band ko bhi nikaa liya aur jaldi se jaa kar apne teammate ki help karne lag gaya.

Billy aur uske teammate ko kuch 7 minutes lage unke opponent ko beat karne ke liye. Par usse beat kar ke unhone uske band ko bhi secure kar liya.

Billy ne apne opponent ko dekha aur kaha.

Billy-Tum kaafi achhe ho. Tumne kaafi honory ke saath fight ki. Par shayad mein is time par lucky tha issi wajah se mein isse jit paya.

Yeh keh kar Billy smile karne laga.

Is par uske opponent ne bhi smile kiya par kuch kaha nahi. Kaise kehta vo toh ek dead person tha.

Issi ke saath Billy ne apne teammates ko dekha aur phir usne decide kiya ke vo jaldi se apne camp ki taraf jaane lag gaye. Enemy Flag ke saath ghumte rehna kaafi risky tha.

Wahi Sagar abhi yeh sab dekh raha tha aur Billy ke aise transformation ko dekh kar kaafi suprise bhi tha. Billy kaafi shy person tha jo kaafi kam bolta tha. Par aaj uske combat ko dekh kar Sagar ko achha feel ho raha tha. Uski training ne sabhi ko kaafi change kar diya tha.

Wahi Sagar in sabhi ki ek dusre ke liye loyalty dekh kar bhi kaafi khush tha. Although yeh admirable tha par Sagar ko yeh idea bilkul bhi achha nahi lag raha tha ke koi aise risk le. Vo yahi chahta tha ke yeh sabhi apne aur apne teammates ke safety sab se pehle dekh.

Agar kisi bhi soldier ke return ke chance 70% se kam hai toh vo unhe aise jobs par jane nahi de sakta tha. Jaisa ke usne socha tha ke yeh admirable hai par ismei risk bhi zyada hai.

Example jaise agar kal Empire unpar attack karne ke liye thousands of troops ko bhejta hai toh aise mei vo sab se pehle yahi sochega ke vo yaha ke logo ko kaise securly bahar nikaal sakta hai. Death tak fight karne ka koi point hi nahi rahega agar kuch bacha hi nahi toh.

Sagar 'Live Today Fight Tomorrow ' jaisi philosophy par zyada belive karta tha.

Agar aaj koi apne enemy ke saath fight nahi kar sakta hai toh uska meaning yeh nahi hai ke aage chal kar vo unhe crush nahi kar sakta hai. Abhi ke liye Sagar in sabhi ke sense of responsibilty lana chahta tha aur usse time ki bhi zarurat thi.

Agar Sagar is sab mei successful hota hai toh vo jaldi hi in sabhi ke Exo Suit dene wala tha. Par yeh uske suit se kuch different hone wale the. Yeh specially yaha ke logo ke physilogy ko dekh kar create karne wala tha. Iske upar Sagar ne kaam bhi start kar diya tha.
HAR EK BAHUT HI badiya kar rahi hai

Bahot khub story bhaiji
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

Rudransh120

The Destroyer
319
881
93
Update 7

Dekhte hi dekhte exam ka time up bhi ho gaya tha. Sabhi constantly battling, observing aur capturing kar rahe the. 2 hours ke baad sabhi apni apni jagah par assemble ho gaye the.

Har koi apne captain ke piche 3 lines mei khade the. Koi bhi late nahi hua tha.

Sagar ne har ek captain ke samne 2 box rakhe. Usmei se ek mei unhe khud ke bands aur dusre mei enemy bands ko dalna tha.

Sabhi collection hone ke baad Sagar ne sabhi ke samne usse count kiya. Aisa Sagar ne is liye kiya kyo ki har kisi ko yeh pata lagna chahiye tha ke unhone kaise performence kiya hua hai.

Josh ke team ne 2 flags ko collect kiya hua tha aur 19 bands ko secure kiya hua tha. Mark ki team ne 1 flag aur 25 bands ko secure kiya hua tha wahi Gary ki team ne 1 flag aur 27 bands ko collect kiya hua tha.

Sagar ke liye unke results over all same hi the. Although Josh ki team ke paas sab se low bands the lekin uski team ne 2 flags ko collect kiya hua tha. Wahi Mark aur Gary ki team ke same score the. Har ek soldier successfully exam pass ho gaya tha.

Jab sabhi ne is baat ko suna toh vo sabhi itne khush hue ke unke aankho se aansu tak nikalne lag gaye the. Ek baat note karne wali thi ke yeh unke life ki sab se hard exam thi.

In mei se most of the soldiers ke paas abhi tak koi bhi battle experience nahi tha aur na hi vo battle tactics ke saath kisi bhi tarah se familiar the. Lekin un sabhi ne is sab mei se khud ko nikaal liya.

Un sabhi ko apne body aur mind mei aaye hue changes ke baremei pata chal gaya tha. Ab vo sabhi ek dusre ko ek family ki tarah dekhne lag gaye the aur sabhi ke bich ek brotherhood bond ban gaya tha.

Unhe ab empire ke knights aur khud ke bich kaafi changes dikhne lag gaye the. Capital ke knights kaafi selfish the aur unki thinking bhi sirf khud ko zyada powerful aur wealthy banane mei lagi rehti thi. Agar tum waha par strong nahi ho toh waha par har koi tumhe apne pairo ke niche crush kar sakta tha.

Lekin yaha Baymard mei in sabhi soldiers ko life ko lekar ek new understanding mil gayi thi. Jo strong hai yeh uski responsibilty hai ke vo weak ko protect aur provide kare. Even koi kitna bhi poor kyo na ho.

Abhi 6:30 am ho rahe the aur yeh unke normal training sessions ke time se kaafi jaldi ka time tha. Toh is sab se unhe pata chal gaya tha ke abhi exam puri tarah se end nahi hui hai.

Sagar-Ab jab hamare paas kuch time hai toh ham sabhi aaj ke test ke next stage ki taraf badhte hai. Abhi jo tumne kiya vo is test ka Phase 1 ka part A tha ab ham part B par focus karte hai. Mein chahta hu ke sabhi 6 group ko form kare jisme har ek team ke 2 knights honge. Last test ne yeh show kiya ke tum apne captains ke under kaise perform karte ho lekin ab mein chahta hu ke tum sabhi other captains ke under bhi perfom karo. Ek baat yaad rakhna Baymard ham sabhi ka hai. Yaha par koi bhi ek dusre se superior aur inferior nahi hai. Is liye khud ko improve karne ke liye kafi kuch hai. Is liye zarur achhe se hard work karna.

Issi ke saath Sagar ne aur bhi kaafi baate aage kahi. Wahi sabhi soldiers bhi yeh samajh gaye the ke Sagar sahi hai ke Baymard un sabhi ka hai. Aise mei vo kis captain ke under hai yeh bilkul bhi matter nahi karta hai. Vo Baymard ke success ke liye hamesha ready rehne wale the.

Sagar ki command par sabhi ne jaldi se group ko form kiya. Sirf soldiers ne hi nahi balki captains ne bhi groups ko exchange kar liya tha.

Jab sabhi ready hue tab Sagar ne aage kaha.

Sagar-Last months se mein ne tum sabhi ko train kiya hua hai aur yeh bhi train kiya hua hai ke simple tools ka use kar ke apne bare strength se tum sabhi hills aur cliffs ko kaise chadh sakte ho. Apne bare hands ko use kar ke tum sabhi ne apne physical stamina, flexibility, mental strength, muscle coordination aur adaptability ke sense of judgement ko improve kar liya hai. Tum mei se kuch ne apne height ke dar ke upar jit hasil kar li hai.

Sagar yeh sab kehte hue sabhi ko dekh raha tha. Sabhi soldiers ke faces pride, confidense aur sense of accomplishment se chamak rahe the.

Kuch din pehle Sagar ne kuch villagers ki help se in sabhi ke liye ek exam set banaya tha. Yeh exam set puri tarah se military drill ki tarah tha jo uske planet par hua karta tha.

Sagar-Tum sabhi ab mere piche aao. Mein tumhe dikhata hu ke tumhare next stage of exam mei kya hone wala hai.

Jab vo sabhi drill ground par aaye tab sabhi apne samne jo tha usse dekh kar confuse se ho gaye. Unhe samajh mei nahi aa raha tha ke yaha par test kaise progress hone wali hai.

Sagar ne har ek team ke liye 5 wood ke stacks rakhe hue the vo bhi kaafi short distance par. Iske upar se ek time par sirf 6 log hi jump kar sakte the. Sabhi soldiers ko unke upar se jump karni thi vo bhi unhe touch kare bina.

Next drill tire drill thi jo earth par common drills mei se ek thi. Lekin yaha par koi tire nahi the is liye Sagar ne mud ke circular moulds banaye the jispar grass aur leave lagaye hue the. Soldiers ko aise 20 tires mei bina gire hop karte hue jana tha.

Iske aage Sagar ne muddy water par 5 wooden bars ke row banaye hue the. Har ek team ke liye yahi goal tha ke unhe hanging bars se travel karte hue aage badhna hai.

Iske aage ek 10 feet ki badi si wall bani hui thi aur uske upar nets lagaye gaye the. Wahi uske piche ek bada sa tree tha jisse sabhi ko pole ki tarah use karna tha. Soldiers ko us wall par chad kar uske dusre side mei jana tha aur aage badhna tha.

Iske baad un sabhi soldiers ko kaafi sare nets ke niche se crawl karte hue aage jana tha. Jab vo yaha se aage badhenge toh un sabhi ko ek small clif ko bhi chadhna tha.

Us small clif ko chadhne ke baad unhe unke samne Commander Lucias dikhenge jo unhe ek wood block denge. Un sabhi ko vo wood block phir se lekar Sagar ki position par aana tha.

Sagar-Tum sabhi ke liye ab yeh samajhna hoga ke Baymard war situation mei hai aur usse bachane ke liye tum sabhi ko Commander Lucias se ek important thing lani hai aur apne protector ko deni hai. Tum sabhi ka task yahi hai ke tumhe in sabhi obstacles mei se jana hai air apne item ko kisi bhi damage ke bina successfully yaha lana hai.

Yeh keh kar Sagar sabhi ko dekh raha tha jo Sagar ki baat sunkar excited ho gaye the.

Sagar-Lekin ek important note hai tum sabhi ke liye. Jab tum sabhi rock climbing karoge toh har ek team ko 8 ropes hi milengi. Tum sabhi ko apne ropes ko saath apne teammates ko bhi secure karna hoga. Agar tumhare teammates kam hue toh tumhe Commander Lucias item nahi denge. Agar ek person fail hota hai toh sabhi fail ho jayenge.

Sagar ke is baat ko sunkar sabhi serious ho gaye aur teamwork ke baremei sochne lag gaye.

Sagar-Aur haan Commander Lucias ki taraf jaane aur aane ke liye sirf 15 minutes hi milenge. EK baar time up ho gaya toh tumhari exam end ho jayegi.

Sagar ki baat par ab sabhi soldiers kuch tension mei aa gaye the. Jab Sagar ne unke worried expressions ko dekha toh un sabhi ko cheer up karne ke liye usne unke captains ko yeh sab kar ke dikhane ke liye kaha.

Infact jab Sagar ne sabhi obstacles ko bana liya tha tab usne Lucias aur sabhi captains ko yeh dikhaya hua tha ke inhe kaise perform karna hai.

Starting mei vo sabhi slow the lekin ab practice ke baad vo sabhi bhi jaise pro ho gaye the. After all vo apne soldiers ke samne as a captain hone ke baad fail nahi hona chahte the. Is liye unhone kaafi hard training ki thi is sab ke liye.

Sagar-Jaise ke tum sabhi yeh dekh sakte ho ke tum sabhi ke samne 5 obstacles of sets hai. Wahi 3 net walls hai har kisi ko use karne ke liye. Jis chiz ko tum sabhi share karne wale ho vo sirf clif hogi. Is liye har team ek hi time par perform karegi. Ab mein tum sabhi ko show karunga ke tumhare captains kaise is drill ko perform karte hai ek team ki tarah is test ke liye.

Jab sabhi ne unke captains ko ek team ki tarah aage move hote hue dekha toh vo sabhi kaafi shock se ho gaye. Unhe pata tha ke vo unki tarah fast toh nahi ho sakte hai abhi ke liye. Par ab vo confident the ke vo sabhi bhi apne capabilities ko test karne ke liye.

Jab sabhi captains return aaye toh sabhi ne unke liye clapp kiya aur saath mei sabhi ke team work ke liye kaafi achhi baate bhi kahi.

Sagar-Ab first 5 teams step up ho jao aur apne test ko start karo.

Jaise jaise exam aage progress ho rahi thi waise waise Joseph kuch nervous sa ho gaya tha. Usne observe kiya ke kuch soldiers ke pair net wall par chadhte time net mei tangle ho gaye hai, wahi kuch wood stacks ke upar se achhe se jump nahi kar paa rahe hai.

Sab se zyada soldiers fail tire ke andar se jump ke waqt hue the. Wahi kuch rock climbing ke time par slow ho rahe the. Unke protector ne unhe kaise decisive decision lena hai yeh sabhi sikhaya hua tha jab unhe kabhi rock climbing karni ho.

Saath hi Joseph ne yeh bhi notice kiya ke jab kuch soldiers jab clif ke top par pohoch jaate the tab Sagar unhe time up keh deta tha.

Wahi jab kuch unke item ko collect kar ke return kar rahe hote the tab Sagar unhe bhi time up keh deta tha. Kuch soldiers ne unke item ko damage kar diya tha usse mud mei gira kar toh kuch ne apne item ko clif ke upar se niche chod diya tha.

Sagar ke liye yeh sabhi fail the. Sagar ne un sabhi ko achhe se kaha tha ke agar item par blood lagta hai toh chal sakta hai lekin other type ke damage bilkul bhi nahi chalne wala tha. Important items aur state document ke saath carelessness dikhane par tum apne aap ko expose kar sakte ho ya phir worse tumhari position ke baremei tumhare opponent ko pata chal sakta hai. Agar tumhe item milta hai toh tumhe usse return karne se pehle secure karna hota tha.

Lekin Joseph in sabhi baato ke baremei nahi balki clif climbing ke baremei soch raha tha. Jab usne pehle isse climb kiya tha tab vo confident tha ke vo rope par akela hai. Par ab baki ke teammates uspar depend hone wale the. Unki security aur lives ab jaise uske haato mei thi.

Unke protector ne unhe military camp mei bataya hua tha ke rock wall, cliff ya phir mountain ki side kabhi bhi visible ho sakti hai. Is liye kaafi log ghum kar jana hi sahi mante hai.

Yeh first time tha jab Joseph ne suna tha ke unhe hill, cliff ya phir mountain ko scale karna tha. Kisi ne bhi is idea ke baremei pehle socha nahi tha par Joseph ko uske andar wisdom feel ho raha tha.

Koi bhi enemy yeh soch nahi sakta tha ke unpar attack karne ke liye koi bhi willingly cliff ko climb kar ke aayega. Toh is liye vo edge ko unsupervised hi rakhenge. Is sab se others ko invasion karne ke liye chance mil sakta tha.

Aur agar tum cliff ko climb karne mei fast nahi hue toh enemy tumhe discover bhi kar sakta hai aur tum par bade bade boulders bhi daal sakta hai tumhe crush karne ke liye. Jaise ke unke protector kehte the ke "Tumhe Assassin war mei sab se zyada swift hona hai."

Joseph ne yeh soch liya tha ke vo Baymard ka naam girne nahi dega aur apne aap ko pehle se zyada improve karega. Usne soch liya ke agar vo exam ko complete nahi bhi kar paya toh bhi vo apne teammates ko achhe se carry karna chahta tha.

Aur Joseph sahi tha. Although drill ke liye time important tha Sagar ka primary objective teamwork tha. Vo har ek knight ko yeh feel karwana chahta tha ke team mei unki responsibility same hai jaise bakiyon ki hai. Vo selfishly act nahi kar sakte the aur wise decision lekar pure team ke saath aage badhna tha.

Jab Joseph aur uski team cliff ke bottom mei aayi toh Joseph ne rope ke ek end ko liya aur apne waist ko bandhte hue aage apni team ki taraf paas kiya. Yeh safety measures course tha.

Joseph ne yeh realise kar liya tha ke vo safety climber hai jo uske team ko lead karega.

Joseph ne ek aur rope ko liya aur usse is tarah apne pairo mei bandha jaise vo koi harness ho. Usse dekh kar uske teammates ne bhi wahi kiya.

Of course unke protector ne yeh bhi kaha tha ke jab bhi vo rock climbing kar rahe ho toh apne paas dagger zarur rakhe. Har new rope ka ek end hamesha dagger se bandha hua hona chahiye aur dusra end unke waist ko bandha hua hona chahiye

Jab vo dangerous height par pohoch jayenge tab lead climber cracks ke andar apne dagger ko ghusa dega taaki climb mei support mil sake. Aise mei agar vo sabhi slip bhi ho jaate hai toh bhi dagger se bandhe hue ropes ke wajah se vo bach sakte the.


Joseph ne cliff ko dekha aur phir usne climb karna start kar diya. Kuch aage chal kar usse ek vein dikhi. Pehle toh vo hichkicha raha tha ke us vein ko pakadna sahi rahega yah nahi.

Lekin jab usne us vein ko pakda toh vo kaafi khush hua ke usne sahi choice ki hui hai uske liye aur uski team ke liye.

Aise hi vo aage badh hi raha the ke ke suddenly Joseph ko apne waist par badhi hui rope kuch zyada hi tight ho gayi hai yeh feel hua. Usne niche ki taraf dekha ke uska ek teammate slip ho kar aise hi hawa mei latak raha hai. Joseph ne situation ko samajh kar jaldi se kaha.

"Apne dagger ko use kare khud ko stable karne ke liye. Zyada tension mat ham tumhare liye wait kar rahe hai."

Joseph ne yeh baat smile karte hue kahi thi.

Joseph ki baat par vo latak raha teammate bhi bitterly smile karne laga. Usne give up karne ke baremei soch liya tha.

Joseph ne usse dekhte hue kaha.

"Yeh bilkul bhi matter nahi karta hai ke ham 15 minutes mei task ko complete kar pate hai ya nahi. Abhi matter yeh karta hai ke hame hard work karte hue saath mei apne skills ko better karna hai. Tum isse pehle ke obstacles mei better the. Aise mei yaha par tum slow hue toh kya hua. Ham hamare protector ki help se khud ko aur bhi jaldi improve kar sakte hai. Is liye give up karne ke baremei mat sochna."

Joseph ne us soldier ke confidence ko boost sa kiya.

Is par uske dusre teammate ne kaha.

"Yes vo sahi keh raha hai. Mein khud bhi waha par slip hone wala tha. Ham sabhi abhi sikh rahe hai. Abhi ham mei se koi bhi hamare captains jitna achha perform nahi kar sakte hai. Par aage chal kar zarur kar payenge is liye ham abhi push karna hoga."

Joseph ne teammates usse dekh rahe the aur unke face par confidence clearly dikh raha tha.

Wahi jab Sagar, Lucias aur baki captains ne unki baat suni tab vo sabhi bhi smile karne lag gaye aur unhone Joseph ki kahi baat ko acknowledge kiya. Is test ka yahi toh main point tha.

Jab Joseph ki baat ko other soldiers ne suna tab unhe bhi samajh mei aa gaya tha ke unhe kya karna hai.

Jab tak Joseph aur uski team cliff ke upar pohoch gayi tab tak unka time up ho gaya tha. Although vo time ke aspect mei fail ho gaye the par teamwork mei pass ho gaye the.

Unke sir proudly upar the. Unke mind mei bas yahi tha ke aage vo khud ko kaise improve kar sakte hai. Infact other soldiers bhi is sab se discourage nahi hui balki vo sabhi bhi apne apne captains ki tarah khud ko imrove karna chahte the aur unki tarah tough banna chahte the.

Aaj ki test ke baad sabhi apne apne daily duties ki taraf chale gaye. Next din par unka last test tha.

Sabhi yahi soch rahe the ke aane wali sword fighting competition normal hogi ya kuch aur bhi hoga ? Yahi question unhe pura din sabhi soche jaa rahe the.

Jaldi hi sabhi raat ko apne apne bed par aa gaye the aur aaj ki accomplish ke baad sabhi achhe se soch gaye the.

Next Day.

Sabhi soldiers ab castle ke training ground mei aa gaye the. Aaj unke exam ka last test thi.

Last day par jo 'dead' hue the aaj vo sabhi bhi apne aap ko prove karna chahte the. Pa vo kuch nervous bhi feel kar rahe he apne last day ke performence ko lekar.

Unhone apne Commander, Captain's, teammates aur apne protector ke expectation par khare nahi utar paye the. Par aaj vo apna best performence dena chahte the.

Sagar ne sabhi ko dekha aur smile karte hue kaha.

Sagar-Aaj mein aur Commander Lucias tum sabhi ke swordsmanship ko test karenge. Ham tum sabhi ke reaction time, flexibility, prowess aur fighting tactics ko dekhenge. Har person ko 4 kg ke 4 bags milegi aur ek 15 kg ki bag back par carry karne ke liye. Tum sabhi mere saath aur Commander Lucias ke saath 5 minutes tak fight karoge in sabhi weights ko pehen kar. Same time par 2 matches chalti rahegi. Commander Lucias ek match fight karenge aur mein khud ek karunga.

Sagar ko pata tha ke Lucias apne sword ke saath 2 ghanto tak bina ruke reh sakta tha.

Lucias ek war veteren tha. Is position par aane ke liye kisi ko bhi battle field mei kaafi saare enemies ko marna pad sakta tha. Kuch war cases mei Lucias ko straight 4 ghanto tak battle karna pada tha jaha par others sirf 2 ghante ya phir 3 ghanto tak hi ruk paaye the.

Knights ke bich breathing exercise kaafi populer thi. Kisi ko bhi battlefield par kaafi stamina aur kaafi momentum ki zarurat hoti thi khud ko push karne ke liye.

Sagar ko pata tha ke har match ke baad har ek soldier ko jaane ke liye aur new soldier ko aane ke liye 1 minute ka time lag sakta tha.

Ek veteren knight hone ke wajah se vo 1 minute kaafi tha breathing exercise aur momentum gather kar ke new opponent ko handle karne ke liye. Lekin is sab ke baad bhi Sagar Lucias par burden nahi dena chahta tha.

Kyo ki Sagar ko pata tha ke Lucias 1 ghante tak bina ruke reh sakta hai. Par baat uske baad ki thi. Age ko dekh kar Sagar bhi bata sakta tha ke 1 ghante baad Lucias ko bhi problem ho sakti thi. Is liye Sagar ne Lucias ke liye ek recovery mage ko rakha hua tha. Jo usse har 1 ghante ke baad recovery spell se Lucias ke stamina ko recover kar sakta tha. Wahi Sagar ko khud ke stamina par confident tha ke 2 ghanto se zyada jaa sakta hai. Par uske baad ke fights ke liye bhi usne khud ke liye ek mage rakh liya tha.

Sagar yahi chahta tha ke Lucias apne peak condition ke saath sabhi soldier se fight kare.

Agar soldiers Lucias ko thaka hua dekhte hai toh vo uske saath fight nahi kar sakte the. Is liye is fight ko fair rakhne ke liye Sagar ne yeh sab kiya hua tha.

Wahi yeh weights ko is liye Sagar ne rakha hua tha ke yeh ek tarah ke scenarios ke liye the. Enemy ko face karte time kisi ko bhi heavy items ko carry karna ho sakta tha ya phir kisi civilian ko rescue karna ho toh usse unhe apne back par carry karna pad sakta tha.

Kya ho agar aap kisi unconscious princess ko carry kar rahe ho aur 1 minute ke liye aap usse niche rakh do toh koi bhi sneak attack kar ke usse mar sakta tha. Adaptability hi KEY thi.

Sagar ne yeh notice kiya tha ke most of the young knights weights ko carry kar ke fight nahi kar sakte the.

Surprisingly unke haato par jo weight the vo unhe problem nahi kar rahe the par in weights ke wajah se une body ki center of gravity sahi se balance nahi ho rahi thi.

Is liye zyada tar time vo gir rahe the, trip ho rahe the ya phir accidentally apne sword ko drop kar rahe the. Apne aap ko adjust karne ke liye vo struggle kar rahe the. Par battle mei koi bhi enemy unhe adjust karne ke liye time nahi dene wala tha.


Upar se Sagar jin suits ko inke liye bana raha tha vo bhi kuch kuch heavy hone wale the aise mei agar yeh normal weights ko hi sambhal nahi paaye toh aage chal kar exo suits ko kaise sambhal sakte the.

Is sab ko dekh kar Sagar ne soch liya tha ke vo daily in sabhi ko weights ke saath train karega.

Aisi hi sabhi ki test hoti gayi.

Jab exam complete hui toh Sagar ne kaha ke sabhi ko unke results next din mil jayenge.

Issi ke saath sabhi ki exam end hi gayi thi.

next din breakfast hone ke baad Sagar farmlands aur mines ko check karne ke liye chala gaya.
LADAI KE Liye soldiers ko ready kiya ja raha he aur unki test bhi li ja rahi hai taki unki capabilities aur unke bich bond ban sake ki koi kisi ko bhi gambhir halat me na chhode

Bahot hi badiya update he bhaiji
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

Aadi bhai

Member
232
746
93
Kha ho bhai aage update de do yr etni mst story ko bich me chod rakha h
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in
Top