Update 10
Sagar kaafi time se us ancient book ko lekar baitha hua tha. Sagar ko yeh book read kar ke kuch new ideas aaye the jinhe vo jaldi se apne inventions mei impliment karna chahta tha.
Agar uska yeh experiment successful hua toh vo itne powerful exo suits aur ultra suits bana sakta hai ke koi uske baremei soch nahi sakta tha.
Abhi Sagar apni study room mei baitha hua tha ke uske room ke door ko open kar ke Meera andar aati hai.
Meera-Mujhe laga hi tha ke tum abhi bhi yahi hoge. Mein ne tumhe kaha tha ke apne uapr itna stress mat lena. Par tum ho ke meri baat man hi nahi rahe ho.
Sagar sirf Meera ke baato ko sunte jaa raha tha. Usse Meera ke aise gussa hona achha lagta tha.
Sagar ne Meera ko ishare se apne paas bulaya aur jaise hi Meera uske paas aayi usne uska haat pakad liya aur usse apni taraf khinch liya.
Meera jo is sab se anjaan thi kisi tree ke patte ki taraf uske upar girti chali gayi. Wahi Sagar ne usse jaldi se apne baho mei bhar liya.
Jaha pehle Meera kuch surprise thi wahi apne aap ko Sagar ki baho mei paa kar uske face par bhi ek smile aayi aur usne bhi usse apne baho mei bhar liya.
Dono mei se koi bhi kuch nahi bol raha tha bas is pal ko enjoy kar rahe the.
Kuch der baad Sagar ne apni baho ko Meera par kaste hue usse aur bhi apne andar liya aur usse kaha.
Sagar-Meera tum mujhe apni itni bhi aadat mat lagao ke aage chal kar mein tumhare bina ek pal bhi na reh pau.
Is par Meera ne smile kiya aur apne sir ko upar utha kar Sagar ki aankho mei dekhte hue usne usse kaha.
Meera-Adat lagni baaki kaha reh gayi hai. Adat toh tumhe lag gayi hai meri aur mujhe tumhari. Kabhi kabhi aisa lagta hai ne ke bas aise hi tumhare baho mei padi rahu.
Sagar Meera ki is baat par hasne lag jata hai.
Aaj kaafi time baad Sagar aise freely has raha tha. Last kuch dino se vo kaafi busy sa ho gaya tha.
Meera-Chalo ab bas ho gaya aur raat bhi bohot ho gayi hai. Tumhe so jana chahiye.
Sagar-Haan tum chalo mei aa hi raha hu bas yeh kuch baate hai is book mei vo ek baar samajh lu toh mera kaam aur bhi easy ho jayega.
Meera-Mein ne kaha na nahi matlab nahi. Apni aankho ko dekho kaisi laal ho gayi hai. Bas mein ne kaha nahi matlab nahi.
Sagar-Meera please, please.
Meera-Thik hai lekin sirf 10 minutes. Waise tum kar kya rahe the in witches ke ancient book ko lekar.
Sagar ne phir us book ko apne table se uthaya aur usse Meera ko dikhate hue kaha.
Sagar-Dekho ham is world mei aane ke baad jis unknown energy ko samajhne ki koshish kar rahe the vo actually mei aur kuch nahi balki is planet ki ek tarah se life force hai. Par yeh sirf is planet par nahi hai shayad yeh world bana hi is energy hai. Kyo ki mein ne is energy signature ko yaha ke space ke vaccum mei bhi trace kiya hai. Upar se yeh book bata rahi hai ke yeh energy jisse is book mei Prana kaha gaya hai. Vo unlimited hai. Agar ham is energy ko apne ultra suits mei use kar paaye toh ham kaafi kuch kar sakte hai. Yeh baat tumhe bhi pata hai ke abhi ham yaha par Sub energy core ko create nahi kar sakte hai. Upar se uski power toh Sun se 20 times zyada hoti hai. Aise mei agar usse create karte hue koi bhi problem hui toh hame toh hamare ultra suits active danger se bacha lenge par yeh planet chodo aaspas ki kaafi saari galaxies ko vo blast destroy kar dega. Worst kahi vo yaha par koi powerful singularity na create kar de.
Meera-Hmm. Chalo mein tumhari baat toh samajh gayi lekin tum is Prana ko harness kaise karoge ?
Sagar-Wahi toh mein soch raha tha. Uspar mein ne kuch theories ko try kiya tha par abhi tak mujhe jo solution chahiye tha vo mil nahi paya hai. Well koi baat nahi ab jab mere paas knowledge hai aage chal kar mujhe kabhi ka kabhi solution mil hi jayega.
Iske baad Sagar Meera ke saath waha se nikal kar apne bedroom mei chala gaya aur jaate hi bed par gir kar so gaya.
Aise hi aur kuch din bit gaye.
Aaj Josh ke team ke saath kuch witches jo combat type ki thi vo jungle ke kaafi andar chale gaye the training karne ke liye. Itna time hone baad bhi jungle ke itna andar koi nahi aaya tha.
Yaha par trees itne bade aur ghane the ke unke wajah se sunlight bhi niche nahi aa paa rahi thi.
Josh aaj apne team ko training karwane ke liye yaha par lekar aaya tha.
Basic exercies ke saath usne sabhi se hand to hand combats bhi karwa liye the.
Aise hi almost afternoon ka time hua aur Sabhi ek bade se tree ke niche baith gaye.
Dikhne ke liye toh yeh jungle kaafi dangerous lag raha tha par abhi tak unhone kisi bhi wild beast ko unki taraf aate hue nahi dekha tha.
Kuch der baithne ke ke baad Josh khada hua aur aaspas ke area ko dekhne chala gaya.
Abhi vo jungle ke andar kuch steps hi gaya tha ke tabhi usse waha par ek bada se almost destroy hua watch tower dikha. Uske upar se niche tak har taraf trees ke vines aa gayi thi.
Josh ko is tower ke baremei kisi bhi record mei kuch bhi nahi mila tha. Josh ne siti baja kar apne team ko uske paas aane ka ishara kiya.
Jab baki sab waha par aaye toh vo bhi kuch suprise the is tower ko dekh kar.
"Captain yeh tower toh city map ke andar jo jungle hai usmei nahi tha toh yeh yaha par kya kar raha hai ?"
"Haan Protector Sagar ke satellites toh sab almost sab kuch scan kar sakte hai. Aise mei yeh kaise reh sakta hai ?"
Josh-Zarur kuch toh reason hoga jiske wajah se yeh tower satellites se scan nahi ho paya. Shayad hame andar jaa kar dekhna chahiye. Is tower ke har ek area ko achhe se check karo aur haan alert rehna. Yaha kahi par bhi dangerous traps set kiye hue ho sakte hai. Aise mei jo bhi karna pehle us baat kar achhe se observe kar lena. Now roll out.
"Yes Captain !"
Josh ki command milte hi uski team apne apne exo-suits ko aactivate kar ke tower ke andar chali gayi thi.
Khud Josh ne bhi apne exo-suit ko activate kiya aur andar aa gaya.
Yeh watch tower kuch 10 floors ka tha. Jab Josh 10th floor par aaya usse jungle ka pura view dikh raha tha. Even usse Baymard ka coastal area bhi dikhne laga tha. Par yeh area unke dock area se kaafi zyada distance par tha aur shayad city se bhi dur tha.
Josh abhi yaha waha dekh hi raha tha ke tabhi usse waha par ek shining stone dikha.
Yeh shining stone tower ke wall par laga hua tha.
Josh ne usse close aa kar dekhna chaha aur usse touch kar liya.
Jaise hi Josh ne us stone ko touch kiya waise hi vo blue light se shine hone laga aur suddenly usmei se ek beam nikal kar coastal area ki taraf shoot hui.
Yeh sab kuch kaafi jaldi mei ho gaya tha jiske wajah se Josh pehle react nahi kar paya par jaise hi usne us beam ko jaate hue dekha waise hi usne apne suit mei lage hue emergency signel button ko press kar diya. Yeh signel Sagar ke ultra suit se connected tha toh usse jaldi hi Josh ka signel bhi mil gaya tha. Josh ka signel milne par Sagar apne open area mei aaya aur suit up ho kar Josh ki taraf chala gaya.
Yaha vo light beam us coastal area se hote hue aur bhi aage badh gayi aur ocean ke upar se hote hue ek jagah usne hit kiya.
Dekhne se toh aisa lag raha tha ke waha par kuch nahi hai. Par jaldi hi waha ka area change hone lag gaya aur ek bada sa landmass ocean ke upar aane lag gaya.
Yeh ek kaafi bada island tha aur aisa lag raha tha ke kisi tarah ke barrier ne usse cover kar liya hai. After all vo aisa bilkul bhi nahi dikh raha tha ke vo kitney hi time se ocean ke niche hai.
Jaldi hi Sagar bhi Josh ke paas aaya.
Sagar ke aate hi Josh aur uski team ne Sagar ko dekh kar salute kiya.
"Salute to commander !"
Sagar-Hmm. Josh yeh sab kya hai aur yeh tower yaha par kaise aaya. Jab mein ne apne geo satellite se is planet ko map out kiya tha tab toh yeh yaha par bilkul bhi nahi tha aur vo light beam mujhe kahi jaate hue dikhi. Kya vo bhi yahi se release hui thi ?
Sagar ke sawalo par Josh ne aage aate hue kaha.
Josh-Commander hame bhi nahi pata tha ke yeh tower yaha hai aur haan vo beam yahi se is blue stone se release hui thi.
Yeh keh kar Josh ne us stone ko show kiya jo wall par laga hua tha.
Sagar aage aa kar us stone ko dekhta hai aur usse scan karne lag jata hai.
Jaldi hi uska scan complete ho jata hai aur uske samne us stone ki puri information aa gayi thi.
Sagar-Yeh stone God's Stone hai. Isse ancient witches use karti thi apne area ko protect aur seal karne ke liye. Saath hi vo is stone ka use kar ke formations ko bhi set up karti thi. Hame us direction mei jana hoga jis taraf vo beam gayi hai. Zarur waha par kuch na kuch hoga.
Josh-Yes commander !
Sagar-Thik hai kal tum sabhi captains ko bol kar mere saath search team ban kar chaloge. Mein meri on duty Meera ko pass kar dunga.
Iske saath Sagar aur baki sabhi Baymard aa gaye the.
Aate hi Sagar ne apne status window ko open kiya aur satellite ke observation ko check karne lag gaya.
Kuch der baad usse bhi ocean ke upar ek bada sa landmass dikha jo almost Baymard se 2 times zyada bada tha.
Ab jab Sagar ko destination mil gaya tha toh usse bas kal waha par jaa kar check karna tha ke waha par hai kya.
Next din Sagar Lucias aur kuch soldiers ke saath us landmass par aaya jo kal usne apne status window mei dekha tha.
Yaha par aane ke baad Sagar ko kuch ajeeb laga. Jaha par ek taraf kaafi greenery thi wahi dusri taraf ek bada sa black trees ka jungle tha.
Wahi Sagar ko ek aur baat ajeeb lagi ke yeh pura land aisa feel ho raha tha jaise kisi aur hi dimension mei ho.
Sagar ne apne satellite ke connection ko dekha toh usse vo kuch weak sa lag raha tha. Kyo ki Sagar khud kaafi advance civilization se belong karta tha is liye uske satellites interdimensional connection ko connect rakh sakte the.
Par yeh kuch ajeeb tha.
Jaha Sagar ne piche ki taraf palat kar dekha toh paya ke ocean wale sky mei clouds hai par yaha toh aasman puri tarah se clear hai.
Sagar ne jaldi se is area ko scan karne lag gaya.
Usse yaha par kaafi strong unknown energy ke signals mil rahe the. Par yeh signals Prana ke nahi the.
Sagar ne sabhi ko apne exo suits ko battle mode par activate rakhne ke liye kaha aur search ke orders de diye.
Un sabhi ke saath Sagar khud bhi yaha waha dekhne lag gaya.
Tabhi uski nazar phir se us black trees ke jungle par gayi.
Sagar udte hue aa kar us trees ke samne land hua aur unhe dekhne lag gaya.
Sagar ne is tree ko scan kiya aur jo results uske samne aaye vo sach mei kaafi shocking the.
Is tree ki atomic bonding kisi bhi known substance se kaafi dense thi aur Sagar ko aisa lag raha tha jaise vo apne life ke sab se hardest substance ko dekh raha hai.
Sagar ke results mei ek baat baar baar show ho rahi thi ke yeh tree nigh-invulnerable hai. Yaani yeh us point tak strong hai ke usse sirf strongest in the universe hi break kar sakta hai.
Tabhi Sagar ko uske helmet par Lucias ka signal milta hai jo usse bulane ke liye tha.
Sagar ne ek baar us tree ko achhe se dekha aur phir ek jump ke saath vo udte hue Lucias ke direction mei chala gaya.
Jaha par abhi Lucias khada tha waha par Sagar ko ek aur tower dikha.
Yeh jungle ke kuch andar tha aur trees ke height ke wajah se chup gaya tha.
Sagar ne land kiya aur apne helmet ko retract karte hue usne Lucias ko dekha.
Lucias-Commander hame yeh tower mila hai. Hamne aaspas ke area ko scan kar liye hai jo hame yeh bata raha hai ke yaha par koi bhi dangerous traps nahi hai.
Sagar-Humm 1
Phir Sagar ne apne small bots ko release kiya aur saath mei kuch drones ko bhi unhe tower ke andar bhej kar Sagar apne status window par andar ke area ko dekh raha tha.
Tower ke andar ka area kaafi bada tha. Dekhne se lag hi nahi raha tha ke yeh kisi tower ke andar ka area hai. Agar koi dekhta toh yahi kehta ke yeh kisi bade se palace ka area hai.
Sagar ne almost ground floor ko achhe se check kar liya tha aur phir sabhi uske saath us tower ke andar chale gaye.
Jaise hi vo sabhi andar aaye waise hi unke piche ek bada sa stone gate entrance par gir gaya.
Abhi Lucias aur baki soldiers apne weapon se us stone gate par fire karne wale the lekin tabhi Sagar ne apne haat ko upar utha kar unhe rukne ke liye kaha.
Sagar ke ishare par sabhi soldiers ruk gaye.
Sagar phir se aaspas dekh raha tha. Tabhi usse waha par ek khubsurat si lady ka statue dkha aur usse check karne ke liye Sagar uski taraf gaya.
Yeh statue kaafi bada tha saath hi kaafi khubsurat bhi.
Us statute ke niche jo platform bana tha uske upar kuch likha hua tha.
Sagar ne usse achhe se dekhte hue padha.
"Sach bhi main hu aur jhut bhi main hu. Daaye ka baya main hu aur baaye ka daaya main hu. Toh batao kya hu main !"
Sagar ko samajhte der nahi lagi ke yeh ek riddle hai.
Sagar ke piche Lucias aur baki soldiers bhi aa gaye the aur unhone bhi us riddle ko padha aur uske answer ke baremei sochne lag gaye.
Kisi ko bhi samajh mei nahi aa raha tha ke yeh kya ho sakta hai.
Par phir tabhi Sagar ke mind mei kuch click hua aur usne phir se us riddle ko padha aur jaise hi usne us riddle ko padh kar complete kiya waise hi usne us riddle ko dekhte hue kaha.
Sagar-Iska answer hai MIRROR. Sirf mirror hi sach aur jhut dono kisi ke bhi samne dikha sakta hai. Daaye ke liye vo baya hota hai aur Baaye ke liye vo Daaya hota hai.
Jaise hi Sagar ne apni baat puri ki waise hi vo statue shake karne lag gaya aur phir suddenly usmei se ek bright white energy sphere nikal kar light se bhi zyada ki speed se pure planet par fail gaya.
Is white energy sphere ko planet ke almost sabhi logon ne dekh liya tha.
Us energy ke wajah se Sagar aur baki sabhi logo ne apni apni aankho ko close kar liya tha aur jab Sagar ne apni aankho ko open kiya tab vo us tower mei nahi tha balki ek open area mei tha. Waha se vo tower kahi gayab ho gaya tha. Par vo statue abhi bhi wahi tha.
Sagar ne jaldi se apne aaspas ke area ko scan kiya toh usse samajh mei aaya ke vo ab ek bade se island par hai aur yaha par koi bhi dimension ka distortion nahi hai.
Abhi Sagar is situation ko samajhne ki koshish hi kar raha tha ke usse ek aawaz sunayi di.
"Is world ke protector mein Queen of Witch aap ko thanks kehti hu ke aap ne mujhe is curse se free kar diya. Ab meri soul afterlife mei enter kar sakti hai. Lekin jaane se pehle main yeh batana chahti hu ke ek great danger is world mei kahi par hai aur agar usse roka nahi gaya toh vo is world ko destroy kar dega. Mein protector of world se yeh request karungi ke aap phir se us tower mei jaaye jiske wajah se meri yeh spell break ho gayi hai aur yeh island aap ke samne aaya hai. Wahi par sabhi sawalo ke answer hai. Wahi 7 day ke baad yeh planet puri tarah se underwater ho jayega. Plante ka yeh part kabhi bhi main part nahi tha. Tower mai bane hue world access se planet ke is part se niklaa jaa sakta hai."
Sagar ne us aawaz ko puri tarah se soon liya tha aur usne Lucias par is jagah ko achhe se observe karne ke liye keh kar khud take off karte hue us tower ki taraf chala gaya.
Kuch der baad Sagar us tower ke samne tha par ab vo tower pehle ki taraf koi destroyed tower nahi tha balki usse dekh kar aisa lag raha tha jaise usse recently hi banaya gaya ho.
Yeh sab kuch Queen of Witches ke magic ka effect tha.
Sagar ne land kiya aur us tower ke andar chala gaya.
Yeh tower ab andar se bhi kaafi change ho gaya tha. Yaha par kaafi saare different sections bane hue the.
Sagar chalte hue ek section ki taraf gaya jaha par usse kaafi saare book mile.
Sagar ne un books mei se ek book ko nikala aur usse padne lag gaya.
Is book mei Sagar ko kaafi baato ko baremei pata chala jaise is world ko "Pranua" world kehte the aur abhi Sagar aur baki sabhi jaha the vo planet ka outer part tha jaha par kisi ko bhi jaane ki permission nahi thi. Is outer part mei har 1000 years ke baad ocean ki level badh jaati thi aur next thousands of years ke liye outer part underwater hi rehta tha. Yeh aaj tak kisi ko pata nahi chal paya tha ke yeh sab kyo aur kaise ho raha hai. Par wahi ek aur shocking baat Sagar ko pata chali ke is outer part ke andar ek hollow world hai jaha par humans aur unke saath aur bhi types ke living beings rehte hai. World of Pranua ke har ek living planet par ek hollow world tha.
Sagar ke paas ab time kam tha usne apne bots aur drones ko sabhi books ke information ko collect karne ke liye kaha wahi. Sagar jaldi se Baymard ki taraf chala gaya.
Usse is sab ke baremei Scroll se baat karni thi aur agar yeh sach hota hai toh Sagar ko sirf usse hi nahi balki Ben ke bhi kingdom ko bachana tha.
Jaldi hi Sagar ne castle mei land kiya aur aate hi usne waha khade soldiers ko yeh orders de diye ke Baymard ko emergency state mei daal de.
Sagar ko itne shock mei dekh vo soldiers bhi jaldi se apne orders ko pura karne ke liye chale gaye.
Sagar ne phele Meera ko dhunda jo abhi uske office mei baithi hui thi.
Sagar ko waha par aise dekh kar Meera ko kuch ajeeb laga kyo ki kuch der pehle hi usne us white energy ko feel kiya tha aur vo Sagar se puchna bhi chahti thi ke yeh sab kya hai par uska Sagar ke saath connection hi nahi ho paya tha.
Meera-Sagar tum aise jaldi mei kyo ho aur vo kuch der pehle energy pure planet par fail gayi thi vo sab kya tha ?
Sagar ne Meera ko uske baad sab kuch bataya. Is par Meera bhi kaafi shock ho gayi thi.
Iske baad dono hi Scroll se milne ke liye chale gaye.
Scroll unhe castle ke back garden mei kuch witches ke saath mili jo unhe kuch bata rahi thi.
Sagar aur Meera ke waha aane par Scroll ne un sabhi ko waha se jaane ke liye kaha. Kyo ki Sagar aur Meera ke aane ke baad usse pata chal gaya tha ke unhe koi important baat karni hai.
Baki sabhi witches ke jaane ke baad Sagar ne Scroll ko bhi sab kuch bataya. Is par vo bhi shock ho gayi thi.
Scroll-Sagar Queen of Witches ek powerful person thi aur hamne ab tak unke baremei yahi suna tha ke vo otherworld se aayi thi. Shayad ham unki baat ko ignore nahi kar sakte the. Waise mujhe ek aur baat pata chali hai. Hame ek wandering witch mili hai aur vo keh rahi hai ke yaha se kuch aage jaa kar ocean ke bich mei ek aur bada sa island hai aur waha par bhi witches rehti hai. Unki leader ne us island ko apne magic se chupa diya hai.
Sagar ne is baat par Meera ko dekha aur phir Meera Scroll ke saath milkar us wandering witch se milne ke liye chali gayi.
Wahi Sagar ne phir se take off liya aur full speed se Ben ki country ki taraf chala gaya.
Kyo ki Sagar ne apne Ultra-Suit ko normal mode par hi rakha tha phir bhi Sagar kuch hi minutes mei Ben ke castle ke upar tha.
Ek boom ke saath Sagar ne Ben ke castle mei land kiya aur chalte hue castle ke andar chala gaya.
Par kuch steps aage chalte hi usse castle ke guards ne gher liya.
Wahi jaldi hi Ben aur uske saath uske father bhi bahar aaye yeh dekhne ke liye ke koun aaya hai.
Ben ne jab waha par Sagar ko dekha toh vo smile ke saath aage badha aur usse sune gale lagaya. Wahi Ben ke father ne sabhi guards ko relax hone ke liye kaha.
Uske baad Sagar ne un sabhi ko bhi wahi baat bata di aur yeh kaha ke vo jaldi hi apne sabhi ships ko uske country bhejne wala hai. Unhe jaldi se jaldi sabhi ko ready rakhna hoga aur 7 din mei unhe sabhi ke saath Baymard aana hoga.
Ben Sagar ko rukne ke liye keh raha tha par Sagar ne mana kar diya ke usse aur bhi kahi jana hai.
Isse ke saath phir se Sagar ne take off kiya aur kuch upar aate hi ek sonic boom ke saath vo west ki taraf chala gaya jaha par us wandering witch ne bataya hua island tha.
Abhi Sagar ki speed sound se bhi zyada thi. Issi speed ke saath vo aage badhta gaya aur kuch hi der mei usse ek signal mila jaha par kuch hone ke chances the.
Sagar ne apne infrared scaner ko on kiya aur apne aaspas ke area ko dekhne lag gaya. Jaldhi hi usse us chupe hue island ki jagah dikh gayi aur Sagar us taraf chala gaya.
Kuch hi der mei Sagar ne us island par land kiya aur yaha waha dekhne lag gaya.
Yeh island ke outside ka area tha. Uske samne ek forest bhi tha.
Sagar chalte hue us forest ki taraf badha aur andar ki taraf chala gaya.
Kuch der chalne ke baad Sagar ko ek hill dikhi. Uske upar aane ke baad Sagar ne dekha ke uske niche ke open area mei ek village hai. Sagar ne phir se take off kiya aur dekhte hi dekhte us village ke samne land hua.
Is village ke gate par guards bhi witches hi thi aur jaise hi unhone Sagar ko ek ajeeb se armor mei unke samne land karte hue dehka toh unmei se ek ne zor se uske side mei bell thi usse bajani start kar di wahi jo dusri witch thi usne ek fireball ko Sagar par shoot kiya.
Sagar apni hi jagah par khada raha.
Usse pata tha uska Ultra Suit omega giant stars tak ke heat ko jhel sakta hai toh uske samne yeh fireball kuch bhi nahi tha.
Vo fireball aa kar Sagar ke suit ke upar blast ho gaya.
Us witch guard ko laga ke Sagar uske fireball se mara jaa chuka hai par jab uske samne ka smoke clear hua tab Sagar abhi bhi apni jagha par jaise tha waise hi usse khada dikha.
Yeh dekh kar vo witch guard gussa ho gayi aur usne apne haat mei staff nikal kar usse Sagar ki taraf point kiya.
"Koun ho tum aur yaha kaise aa gaye. Agar apne life ko important mante ho toh is island se chale jaau."
Sagar ne apne right haat ko upar utha kar usse rukne ka ishara kiya aur apne helmet ko retract kiya.
Jab us witch guard ne dekha ke Sagar ek ladka hai toh usne apne staff ko niche kiya.
Sagar-Mujhe is jagah ke baremei tumhare island ke upar ek wandering witch hai usne bataya tha. Saath hi agar ho sake toh mein tumhare village head se baat karna chahunga. Yeh kaafi important issue hai.
Abhi vo witch guard kuch kehti usse pehle uske piche se ek aawaz aayi.
"Tum jo koi bhi ho hamare island ke witch ko agar tumne capture kiya hai toh usse jaldi se free kar do aur yaha se chale jao. Tum jaise humans se hamari leader nahi milne wali."
Ab Sagar ko bhi kuch kuch gussa aane lag gaya tha. After all vo janta tha ke vo outer part ke sabhi logo ko nahi bacha sakta hai par vo jitno ko ho sakta tha utno ko bachana chahta tha.
Sagar ne apne gusse ko control karte hue us new aayi hui witch se kaha.
Sagar-Dekho yeh kaafi inportant baat hai. Ham sabhi ke paas kaafi kam time hai. Aise mei tum mera time mat waste karo aur mujhe tumhare leader se milne do.
Sagar ki baat par us witch ne usse haste hue dekh kar kaha.
"Tum humans sab se crafty beings hote ho. Ham witches se darte ho is liye hame hunt karte ho. Par ab jab tum khud hi yaha par marne ke liye aaye hue ho toh ab tum yaha se zinda nahi jaa sakte ho."
Ab Sagar puri tarah se gussa ho gaya tha. Uske paas is sab ke liye kaafi kam time tha aur yaha par uske samne ek witch uski baat sunne ko bhi ready nahi thi.
Sagar ne ek gehri saans li aur apni aankho ko close kiya. Phir jab usne apne saans ko release kiya aur apni aankho ko open kiya tab uski aankhe jo phele koi bhi dekhna to usse unmei ek brightness dikh sakti thi vo ab cold ho gayi thi.
Sagar ne apne helmet ko pehel liya aur kaafi cold tone mei usne kaha.
Sagar-Dekho mujhe sahi tarike se andar jane do nahi toh mein apne tarike se bhi andar jaa sakta hu aur agar mein ne waisa kiya toh is planet par toh chod hi do par us pure Pranua world mei aisa koi nahi hai jo mujhe rok sakta hai. Aur yeh meri last warning hai.
Lekin us witch ne Sagar ki baat ko seriously nahi liya aur usne apne back par lagi hui great long sword ko nikala aur usse apne dono haato mei lekar ghumane lag gayi.
Sagar-Toh tum hard way se hi learn karna chahti ho.
Yeh keh kar Sagar ne usse first strike karne ke liye ishara kiya.
Is par us witch ne khud ko ek lightning cloak mei cover kar liya aur kaafi speed se aage badhte hue usne apne sword ko upar kiya aur full force ke saath usse Sagar par strike karne lag gayi.
Yaha Sagar pehle se hi ready tha. Lekin abhi bhi uska Ultra-Suit normal mode par hi tha. Usse apne suit ko battle mode par karne ki zarurat hi nahi thi.
Sagar side mei ho gaya aur usne us witch ke sword strike ko dodge kar diya.
Vo witch speed se aage badhne ke wajah se abhi bhi ussi motion mei kuch aage badh rahi thi par tabhi chance dekh kar Sagar ne apne punch se us witch ke pet mei maar diya.
Us witch ne socha bhi nahi tha ke Sagar uske body ke open part jaha par usne apne body par pehna hua armor nahi tha waha strike karega.
Upar se yeh punch tha bhi kaafi powerful.
Us punch ke wajah se vo witch piche ki taraf kuch steps chali gayi.
Par jaldi hi usne apne aap ko sambhal liya aur phir se apne sword se Sagar par strike karne ke liye aage badh gayi.
Lekin is baar bhi Sagar ne uske sword ke strike ko easily dodge kar diya aur ek hook punch uske chin par maar diya.
Is punch ke wajah se bhi vo piche ki taraf badh rahi thi lekin tabhi Sagar ne us witch ke right haat ko pakad liya aur ghum kar usne usse utha liya aur zor se niche patak diya.
Par Sagar yahi nahi ruka balki uska ek punch ab us witch ke face ki taraf aa raha tha.
Yeh dekh kar ab vo witch bhi kuch dar gayi aur side mei roll hote hue usne Sagar ke punch ko dodge kar liya.
Sagar ke sirf 2 punches mei hi uske muu se blood niklne lag gaya tha.
Apni us halat par gussa ho kar usne zor se chillate hue kaha.
"Formation !"
Uske is command par aur bhi witches aayi aur unhone Sagar ko gher liya.
Tabhi phir us witch ne kaha.
"Attack !"
Issi ke saath ek witch Sagar ki taraf apne haat mei ek normal size sword lekar samne se aayi.
Wahi Sagar bhi 2 steps aage badha aur usne uske sword strike ko apne handguard se rok liya aur apne elbow se us witch ke pet mei maar diya. Iske wajah se vo witch apna pet pakad kar jhuk gayi. Par Sagar yahi nahi ruka balki usne us jhuke hue witch ke face par apne ghutne ko upar karte hue strike kiya aur usse piche ki taraf uda diya.
Vo witch issi ke saath behosh ho gayi thi. Saat hi uska nose bhi shayad break ho gaya tha kyo ki uske nose aur muu se blood nikalne lag gaya tha.
Uske hi piche ek aur witch ek long knife lekar aayi aur uske bhi ghuma kar Sagar par attack kiya par Sagar ne uske apni taraf aane wale haat ko bich mei hi pakad liya aur usse kuch aage ki taraf khinch kar khud bhi ghum gaya aur uske back par ek powerful kick maari. Is wajah se vo witch kuch aage ki taraf udte hue gayi aur ground par pade hue stone par jaa kar gir gayi. Uska sir us stone par zor se crash hua tha is liye vo bhi behosh ho gayi thi.
Uske baad ek witch pehle witch ki hi tarah ek great sword lekar aayi aur usne bhi Sagar par strike kiya. Uske haat ko bhi Sagar ne apne left haat se pakad liya aur apne right elbow se uske face par strike kiya. Tabhi dusre side se ek aur witch ne uspar ek long knife se attack kiya par Sagar ne uske haat ko bhi bich mei pakad liya aur uske right pair ke ghutne wale joint mei ek kick maari. Is wajah se vo witch kuch jhuk gayi par Sagar ne phir se uske pet mei ek kick maari aur uske baad uske shoulder par kick maar kar usse side mei uda diya.
Wahi dusre haat se pakde hue witch ko Sagar ne apne dono haato se uthaya aur usse bhi dur phek diya.
Vo witch jaa kar ek tree ke saath crash ho gayi.
Apne witches ki halat dekh kar unke team ki leader ne phir se Sagar par apne great long sword se attack kiya. Par Sagar ne jhuk kar us attack ko dodge kiya.
Us witch ne apne ghumaye hue haat ko phir se reverse mei Sagar ki taraf laya par Sagar ne usse apne left haat se block kar diya. Is par us leader witch ne apne left haat se punch bana kar Sagar apr strike karna chaha lekin usse bhi Sagar ne apne right haat se block kar diya.
Apne dono haato ko block hua dekh kar us witch ne bh apne ghutne se Sagar ke pet ki taraf marna chaha par Sagar ne apne left haat se usse rok diya aur apne right haat se ek punch uske face par maar diya. Iske wajah se vo witch ek taraf jhuk gayi aur is chance ko dekhte hue Sagar ne usse ek kick maar kar piche kar diya.
Lekin jaise hi Sagar apni jagah par palat gaya lekin tabhi usne dekha ke ek witch uspar jump laga kar apne knife se attack kar rahi hai.
Sagar ne usse bhi bich hawa mei hi pakad liya aur usse ghuma kar phek diya.
Sagar ab us village ki taraf badhne lag gaya par tabhi vo ek side mei ho gaya kyo ki uske side se witch ki great long sword ghumte hue paas ho gayi thi.
Sagar ne palat kar dekha toh wahi witch phir se khadi ho gayi thi.
Sagar ab gusse mei uski taraf aane laga aur vo witch bhi uski taraf badhne lag gayi. Usne punch bana kar Sagar par attack kiya lekin Sagar ne bhi apne punch ko uske punch par maar diya.
Uske punch par punch marne se us witch ke fingers ke bones break ho gaye the aur vo piche ki taraf kuch steps chali gayi thi. Par Sagar yahi nahi ruka. Usne dono side se ek ke baad ek 2 punches us witch ke face par maare aur phir se ek hook punch ke saath usne us witch ko piche ki taraf uda diya.
Vo witch piche ki taraf udte hue jaa kar gir gayi.
Uske aankho ke samne andhera chane lag gaya tha.
Tabhi uska haat kisi chiz par gira. Yeh ek wooden staff tha jis par ek white crystal laga hua tha.
Vo wich phir se khadi hui aur ek spell ke saath usne ek kaafi bada fireball banaya.
"Suno human ab tum mere is attack se nahi bach sakte ho. Yeh ek world level ki entry spell hai."
Sagar ne palat kar dekha.
Ab Sagar is sab ke mood mei bilkul bhi nahi tha. Usne apne haat ko upar uthaya aur us bade se fireball ko aim karte hue usne haato se ek energy beam ko us fireball ki taraf shoot kiya.
"Specium Beam !"
Sagar ke haato ke repulsers mei ek white energy beam nikal kar us bade se fireball se clash hui aur vo fireball ek bade se blast ke saath destroy ho gaya.
Sagar ne apne haat ko us witch ki taraf kiya aur phir se vo uspar apne Specium Beam ko shoot karne wala tha ke tabhi kisi ne usse piche se aawaz lagayi.
"Please usse mat maro. Mein aa gayi hu ham milkar baat kar sakte hai."
Sagar ne palat kar dekha toh ek ladki village ke sabhi witches ke saath gate par khadi thi aur jab usne gate ke bahar Sagar ko itne brutal way mei un witches ko marte hue dekha toh vo kaafi shock ho gayi thi. Wahi Sagar ko lekar ab un sabhi witches ke dil mei ek dar baith gaya tha.
Sagar ne us leader witch ko dekha jo gate par khadi thi aur phir usse kaha.
Sagar-War ka ek rule hota hai village of the head ke jab tak tum apne enemy se khuch cheen nahi lete ho tun winner nahi kehlate ho. Par mein yaha kisi aur reason se aaya tha is liye abhi mein aap ki in witches ko jaane de raha hu.