Vikram singh rana
Active Member
- 509
- 3,075
- 138
WoooooowwwUpdate 46 Abhi Got back The Diaries & He Does Things
Kayi dinon se Sunil, Tony aur baaki ke log Abhi se apne daadhi shave karne ko kehte rahe the, sab uss se kehte ke wo clean shaven kitna handsome dikhta hai aur wo daadhi uss par bilkool suit nahin karta dangerous look banta tha usske uss daadhi se…. magar Abhi ne shave nahin kiya 6 mahine ho chuke the.
Dusre din Saeed ko jana tha Mehboob se milne kissi kaam se to Abhi ne ussko kaha ke usska parcel lekar ajaye Mehboob se. Saeed ne kaha thik hai aur chala gaya.
Saeed ke jaane ke baad Sunil ne Abhi se pucha,
“kia tu ekaat doston ke saath Ruhi ko utha nahin sakta sach mein jaise Rahima ne kaha?”
Abhi ne muskuraate hue jawaab diya,
“Sunil bhai, mujhe kissi ki bhi zaroorat nahin Ruhi ko uthaane ke liye, ek to bahot halki hai wo kayi baar utha chuka hoon ussko…. Aur mujhe koyi nahin chahiye agar ussko usske ghar se uthana pade to. Main akele kaafi hoon ussko utha ke ek taxi mein bithane ke liye…. Din mein agar kabhi wahan jaun to wo aur usski ma akeli rehti hai ghar mein, agar koyi mard hoga bhi to uss ghar ka koyi mard mere mukable khada nahin ho sakta, koyi mujhko rok hi nahin paega, mera ek laat ya ek mukka kafi hoga unn teenon ko niche leytaane ke liye….. Magar bhai main weisa karna nahin chahta, main chahta hoon ke Ruhi khud mere paas aaye…. Main chahta hoon Ruhi mujhe wo taaqat dikhaaye, wo mujhko prove kare ke wo mujhko pyar karti hai aur uss mein wo himmat hai mere paas aane ke liye…..”
Sunil: “Bhai Ruhi mein wo taaqat nahin hai, wo kamseen hai, wo aisa nahin kar paegi”
Abhi: “pata hai bhai…. Jiss din main Rahima ko diaries dene gaya tha, ussi din, main Ruhi ko usske maa aur baap ke saamne Ruhi ke ghar mein ghuss kar apne saath leja sakta tha…. aur bhai ek baat bataun? Rahima ne aisa kyun kaha bata?”
Sunil: “kyun? Kyun kaha?!”
Abhi: “Bhai tumne bataya ke wo bhaag gayi thi Mehboob ko chorr kar nah? To Ruhi ke family ke saamne Rahima ki naak kat gayi thi uss waqt thik hai, ab Rahima chahti hai ke Ruhi ki maa aur usski family ke naak katte iss liye wo chahti hai ke main weisa karun…. Unnki aapas ki ranjishein hai bhai main usske liye to yeh sab nahin karne wala…..”
Sunil:”are haan yaar main ne aisa nahin socha tha, tu sahi keh raha hai….”
Sunil ne yeh bhi kaha tab,
“Aur haan kal batana bhool gaya tha tujhe ke Rahima ne yeh bhi kaha tha ke Ruhi ke dada ji ne kaha tha ke kyun itne dinon tak Ruhi aur Abhi ko ek dusre se ghulne milne diya gaya tha, kyun donon ko chhup chhup kar milne deti thi usski maa, aur ab kyun inkaar kar rahi hai, donon ke shaadi kar deni chahiye….”
Abhi: “mujhe pata hai ussko koyi eitraz nahin tha, jiss din mujhe Manoj ne ghar se nikalne ko kaha tha ussi din budhe ne meri shadi Ruhi se karwane ke liye kaha tha, main ne suna tha jab main nikal raha tha wahan se….”
Sunil: “Yaar Ruhi ki maa ko tera kaam passand nahin aur wo samajhti hai yeh kaam permanent nahin hai aur aise kaam se tu ek pura jiwan nahin bita paega, biwi bache nahin paal paega, ussko bade post wale damaad chahiye shayad, ussko paise wala damaad chahiye Ruhi ke liye, main to yehi samjha, Rahima ne bhi yehi kaha tha, aur sach mein Ruhi ki maa aisi hi hai, laalchi hai paison ki aur Ruhi ko bi shaayad weisa hi bana rahi hai ussko bade bade sapne dikhati hogi, ussko amir aadmi se shaadi karne ko kehti hai Rahima ne bataya tha…. Aur mere saath bhi to wohi kiya tha nah unn logon ne bhai!!”
Abhi thodi der soch mein dooba raha phir Sunil se kaha,
“Main kuch aisa karke dikhaunga ke Ruhi ki maa aur Ruhi pachtaegi ek din, tu dekh lena, tu bhi dekhega Sunil…. Main kuch banke dikhaunga unn logon ko!”
Sunil:”kia karega tu Abhi?”
Abhi: “Waqt aane par dekh lena Sunil, abhi kuch nahin bata sakta main tujhe….”
***********************************************************************
Koyi ek ghante baad Saeed aya to dhapadaate hue Abhi gaya usske paas apne diaries lene magar saeed ne kaha,
“Nahin diya Mehboob ne mujhe. Ussne kaha wo khud tumko lautaane aega kyunke uskso tujh se kuch baatein kehni hai… wo ekaat din mein aega idhar tujhse milne tab dega tujhko tere diaries!”
Aur kuch der baad Saeed ne bhi Abhi se baat kiya aur kaha ke Ruhi ki maa ek buri aurat hai ussko bilkool trust nahin kiya jaa sakta. Yeh saeed ne iss liye kaha kyunke jab wo Mehboob se milne gaya tha to Ruhi ki maa ne uss se kuch baat kiye the ke Saeed ko kehna para ke wo bharose karne layak aurat nahin hai.
To Abhi ne pucha kia ussne Ruhi ko bhi dekha wahan.
Saeed ne kaha haan wo bhi apni maa ke saath hi thi.
Aur usske pita ke baare mein pucha to sunil ne kaha ke wo January mein hi wapas S.Arabia chala gaya.
Tab Abhi ne kaha,
“Sala sab ne kaha tha kitna achcha insaan hai; madarchod jhuta hai mujhse kaha tha ke apni beti ko saath lekar jayega!”
Aur Sunil ne phir se kaha,
“Abhi ab jaa shave karle ab, kyun usske liye daadhi chorra hai tumne? Devdaas jaisa look bana rakha hai, jab usske gharwale sab khilaaf hai to bhool ja usse aur kal main tumko clean shaven dekhna chahta hoon!”
******************************************************************************
Aur kuch dinon baad, uss jagah par kaam ka last din tha, aur Mehboob ka bus ruka jahan Abhi aur team kaam kar rahe the. Abhi kissi kaam mein busy tha ussne nahin dekha, to tony ne kaha,
“hey Abhi dekh Mehboob ki bus……”
Mehbob driving wheel pr baitha raha aur Reza bus se utar ka aya Abhi ko bulaane. Jab Abhi gaya bus ke paas….. pehle to Abhi bus ko chaaron taraf dekhne laga, uss bus mein Ruhi ki bahot saare yaadein jude hue the Abhi ke liye…. Abhi ka dil zoron se dhadka, uss bus ko dekh kar…. Abhi buss ke andar ghussa, Mehbob uss se baat karta raha magar Abhi bus ke andar uss hisse mein gaya jahan se wo Ruhi ko apne khidki ya washing stone ke paas dekha karta tha aur udhar se Ruhi ussko jeeb se chidhata tha….. bus ke uss hisse mein Abhi ko ek sukoon sa haasil hua, aur baahar dekha to aisa mehsoos hua ke baahar Ruhi dikhegi ussko…. Magar koyi nahin tha….. tab Abhi ne khud se kaha, ‘sab kuch badal gaya hai, ab yeh bus wo nahin raha, sab badal gaye hein, mujhe bhi badal jaana chahiye ab….’
Mehboob se mila usske baad aur Mehboob ne ussko wo grey envelope dete hue kaha,
“Abhi tu yeh mere ghar chorr aya tha, tumhare amaanat wapas kar raha hoon tujhe…”
Abhi ne bina Mehboob ke chehre mein dekhe hue pucha,
“Ruhi ne padha isse? Ye Ruhi ke liye tha!”
Mehboob ne kaha,
“Abhi agar tujhko Ruhi ko kuch dena hai to tum usske ghar jao, ussko do? Mere ghar kyun gaye aur meri wife ko kyun diya tumne? Tujhe pata hai isske liye donon families mein kitne problems hue Abhi? Bachon jaisa kaam mat kiya karo Abhi, yeh bilkool sahi nahin hai. Aayinda agar kuch udhar dena ho to jao main tumko wahan jaane se mana nahin kar raha, jab chaho jao, Ruhi se milo. Ye wo jaane aur usske parents mujhe koyi lena dena nahin hai, magar usski chizon ko mere ghar par mat chorrna phir kabhi… iss baar lauta raha hoon agli baar jala ke raakh kar dunga….!”
Abhi ne kaha,
“Bolna mujhe bhi ata hai Mehboob, agar bolna shuru kiya to tere paas bolne ke liye kuch nahin bachega, start karega aur accelator dabayega…..”
Mehboob: “Are wah ek to chori upar se seena zori! Abhi tu agar chahe to mere ghar bhi aa sakta hai, mere ghar tu aaye to mujhse milne, rahima se milne ya Farzinah se milne to thik hai, ek lagao ho gayi hai main samajhta hoon, Farzina aur Rahima donon tumko passand karte hein okay thik hai unn se milo mujhe koyi aapatti nahin, magar Ruhi ki koyi bhi chiz unn logon ke paas nahin chorrne ka…. Umeed hai ke tum samajh gaye….”
Abhi: “nahin baat khatam ab kabhi bhi kuch bhi nahin chorrna kissi ke paas, aur uss aagan mein jana hi nahin kabhi mujhe ab jaa tu befikar reh nahin aunga ab kabhi bhi udhar, jaa, chorr diya uss gali ko main ne hamesha ke liye!”
Mehboob chala gaya….. Abhi envelope lekar andar gaya jiss bus mein kaam kar raha tha uss mein, jaldi se envelope se diaries nikala, do diaries the 200 pages ke, matlab 400 pages ka likha hua tha Abhi ne…. Abhi jaldi jaldi pannon ko ulath pulath karke dhundne laga kahin Ruhi ne kuch likha hoga… magar kuch nahin dikha….. aur HAAN ABHI KHUSH HUA KE RUHI NE PERFUME RAKH LIYE THE…. SIRF RAHIMA KO PATA THA KE EK GIFT THA JO RUHI NE APNE JEB MEIN RAKHA THA…. KISSI KO USSKE BAARE MEIN NAHIN PATA THA, MATLAB RUHI NE ABHI KA DIYA HUA PERFUME APNE PAAS HI RAKHA….!
Abhi bahut kush hua kyunke Ruhi ne usski di hui ek tohfa to apne paas rakha! Wo “Soir De Paris” “Bourgeois” wala bahot mehnga perfume…. Abhi pir khayaalon mein kho gaya sochte hue jiss din ko Ruhi ne pucha tha uss se ke kia perfume use karte ho aap kitni achi smell arahi hai….. tabhi Abhi ne ussko kaha tha ke ek din wo usske liye wo perfume kharidega…. Aur wo kharid liya Abhi ne aur de bhi diya Ruhi ko….. Abhi yeh bhi sochne laga ke jiss waqt Ruhi ne wo perfume liya hoga, sungha hoga to uss se Ruhi ko Abhi ki yaad zaroor aayi hogi… usskko yaad aya hoga kiss din ko Abhi ne uss se kaha tha ke wo usske liye wo perfume kharidega….. matlab udhar Ruhi bhi Abhi ko ab, tab tak sochegi jab tak uss perfume ko use karegi….. Abhi iss baat se bahot khush tha.
Uss din ghar wapas jaane ke baad Abhi ne phir se diaries ke har ek panne ko ghuma kar dhunda ke kahin Ruhi ne kuch likha to nahin hoga… magar ussko kuch nahin mila…. Aur Abhi ne apni daily diary mein ab likha kiss date ko usko Ruhi ko di hui diaries wapas mili….
**********************************************************************
Kuch din baad Abhi phir gaya milne Samioullah broker se. aur uss se ussne bade board of director ka pata liya aur uss se milne gaya….. Abhi apne saath tamaam unn buss ki photos legaya dikhaane ke liye.
Director se mila aur samjhaya ke wo us company ko reopen karwana chahta hai, ussko experience hai aur wo company ko chala paega.
Director ne itna jawaan ladke ko itna door ki sochne ke liye badhaiyan diye aur kaha ke kum se kum half crore hona chahiye usske paas start karne ke liye, ussko aadha crore deposit karna hoga tab wo usske haq mein baat karega executive members se.
Abhi ne samjhaya ke usske paas utna paisa nahin hai aur director se hi kaha ussko raasta dikhaane ke liye ke ussko kia karna chahiye aur kaise ussko half core mil sakta hai.
Director ne kaha ke bank se loan lena padega, bank ussko half crore de dega jissko wo 15 saal ke andar repay karega kiston mein…
Abhi ne director se saare raaste puche ke kia kia karna padega kahan kahaan haat laat maarna hoga uss sapne ko pura karne ke liye…
Director Abhi ke madad karne ke liye tayyaar tha iss liye ke wo Director young entrepreneurs ko promote karta tha, to ek well established business man ko uss company ko chalaane ke bajae Director Abhi ko promote karna ziada passand karta kyunke Abhi naya tha, naya josh, naya khoon aur aage badhne ki chaah dekha tha Director ne Abhi mein….
Last wala raasta tha ke apne baap ki zammen ko bank mein mortgage karna padega tab half crore bank dega company ko start karne ke liye….
Ab Abhi wahan se ghar gaya….. ussko pata nahin tha ke usska baap samjhega bhi aur zameen ko mortgage karne ke liye tayyaar hoga bhi ya nahin…..
Apne baap se baat karne se pehle Abhi ne Naina se kaha,
“Naina tu chahti hai ke main Ruhi ko bhool jaun?”
Naina: “bilkool wohi chahti hoon bhai, kia karna usska, goli maaro nah bhai!”
Abhi: “aur tu chahti hai ke main shave karun?!”
Naina khush hote hue, Abhi ke chehre mein hansste hue dekhte hue kaha,
“chhee bilkool acha nahin lagta yeh daadhi tum par bhai, shave kakro nah, 5th Januray ke baad shave nahin kiye ho!”
Aur Abhi gaya aine ke saamne, shaving foam lagaya aur shave karne ke baad Naina ke saamne aya…..
Naina Khushi se jhoom uthi aur zor se thumke lagaate hue kaha,
“Mera bhai thik ho gaya ab lag raha hai mera bhai, normal pehle ki tarah….. woohoo!!!
Kia abhi ne sach mein Ruhi ko dil se nikaal diya? Ya sirf apne ghawalon ke liye, doston ke liye normal dikhne ke liye aisa kar raha tha? kia sach mein wo apne dil se Ruhi ko mita paega? Yeh waqt bataega ek din.
To be continued…. (2305 words)
Very good update.....
Well written and described.....
Now time for details.....
Ye baat to sahi hai....Ruhi kaafi halki hai....OR chhoti bhi kisi bachchi ki tarah.....height ke hisaab se....
Abhi ka mukabla Ruhi ke pariwar ka koi nahi kar sakta....OR itni himmat or taakat Abhi mai bhi hai ki wo khidki iss kaam ko pura kar le.....lekin.....lekin....
Kar kiske liye le.....kya Ruhi iske liye raazi hogi....kya wo abhi ke saath aana chahegi....kya usme itni himmat hogi....Obviously not.....
Jo ladki apne lover ko iss tarah zaleel hote dekh kar....sun kar bhi wajah nahi aayi....OR apne maa baap ke ak bar kahne se give up kar de.....wo kya ghar se Abhi ke saath aane ki himmat dikhaaye gi....
Ab agar isi baat ko Ruhi ki magar se dekha jaaye.....to aaj tak jo bhi hua hai....Ruhi apne maa baap ke kahne ke hisaab se hee chali hai.....unki baat maan kar Abhi se dur bhi ho gayi.....sab kuch unke hisaab se kar rahi hai.....
Wo ladki kaise apne maa baap ko chhod kar Abhi ke saath chali aaye.....jabki use dhyaan he ko agar aisa kadam usne uthaya to uske maa baap ki izzat kharaab hogi....OR naam bhi....
Rahima ke liye Abhi ki soch sahi hai.....lekin ak hadd tak Rahima bhi sahi hai...
Abhi ne aakhir than hee liya ki wo kuch ban kar dikhaaye ga.....ki jab Ruhi ki maa use dekhegi to use apne faisla par dukh ho....
Saeed ne kaha ki Ruhi ki maa ak galat aurat hai.....uska vishwas nahi kiya jaa sakta.....thik he.....
Lekin uska khud ka kya....kya wo khud vishwas ke kaabil hai....God knows....
Pahle ye hee bus abhi ke Ruhi se milne ka jariya thi....uski kaafi saari yaade judi hai iss bus se or bus ke har hisse se....
Abhi ka bus ki khidki se bahar dekhne waala scene kaafi jyada achcha tha....
Koi ummid na hote hue ummid karna....dimaag sach jaanta hai....lekin maanta nahi....
Yanha mahboob ki baat sahi thi....Rahima ke jariye books Ruhi ko dena....ye chij Abhi ke liye sahi thi lekin Ruhi ke ghar waalo ke liye nahi upar se rahima ka past.....Jo ki iss baat ko or bhi suspicious banaya hai.....
Dono families me problem to honi hee thi....
Abhi ka counter or us par mahboob ka reply bhi thik tha....
Finally Abhi ne decide kar liya ki ab kabhi bhi wo uss gali me nahi jaayega....Abhi ke iss faisle par ak gana yaad aa gaya....
Aapne bhi jarur suna hoga....
Teri Galiyon Mein Na Rakhenge Kadam Aaj Ke Baad
Tere Milne Ko Na Ayenge Sanam Aaj Ke Baad
Teri Galiyon Me
Tu Mera Milna Tu Mera Milna
Samaj Lena Ik Sapna Tha
Tujko Ab Mil Hi Gaya Jo Tera Apna Tha
Hum Ko Duniya Mein Samaj Na Na Sanam Aaj Ke Baad
Teri Galiyon Me Na Rakhenge Kadam
Ghirke Ayegi Ghataein Phirse Sawam Ki
Tum Toh Bahon Mein Rahogi Apne Sajan Ki
Galey Hum Ghum Ko Lagayenge Sanam Aaj Ke Baad
Teri Galiyon Mein Na Rakhenge Kadam
Ruhi jab pura padh hee nahi paayi thi to massage kaise bhejti....diary mai....
Ha lekin Ruhi ko perfume dene ki wishing to puri ho gayi Abhi ki.....
Director se mila kar Abhi ne apne liye saari possibilities jaan li hai....director ko bhi Abhi me ak junooni ladka dikh raha hai....Jo kuch bhi kar sakta hai....OR final raasta zameen hai....lekin kya father raazi hoga....
Kyoki wo akele Abhi ki nahi uske sabhi bhai bahano ka bhi hai....OR phir jameen se unhe income bhi hoti hai....
OR sabse badi baat loan amount kaafi bada hai....to Abhi ko kaafi pareshani hogi father ko manane mai.....
Abhi badal gaya hai...lekin kya sach mai....ha wo sach mai badal gaya hai....lekin usme ye badlaav tab hee dikhaai dega jab wo kaam me laga hoga ya logo ke saath hoga....
Akele mai wo bilkul pahle jaisa sochega feel karega.....ak line Abhi ke liye.....
********************
मेरी आँख बन्द थी जब तलक,
वह नजर में नूरे-जमाल था
खुली आँख तो न ख़बर रही,
कि वह ख़्वाब था कि ख़याल था
*******************
Naina ki lines Abhi ko clean shave dekh kar....kaafi achchi thi.....ye naina ke andar chhupi ak masoom bachchi ko dikhaate hai.....
Khair dekhte hai aage kya Hota hai
Anyways...
Very good update
Thanks....