• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya (Exclusively For XForum) COMPLETED

Rowdywa

Banned
1,133
5,151
143
Update 54 Talking With Shweta

“Mujhe kissy do jaise aap dete the bachpan mein…..”

Abhi ko laga ke Shweta ko affection ki bahot zaroorat hai, ussne kaske Shweta ko apne baahon mein bharke usske pure chehre par puppiyan kiye, aur Shweta rone lagi apne sar ko Abhi ke chati se laga kar….

Ab Aaguey….

To Abhi ne kaha,

“Ari itne saare kissy kiye to! ro kyun rahi ho ab?”

Shweta ek saath rote aur muskuraate hue ek bachkani harkat mein kaha,

“hmmm pata nahin kyun rona aya mujhe….”

Abhi ussko weise hi seene se lagaaye hue kaha,

“Aur ab mere kissy do mujhe jaise tum diya karti thi, yaad hai tum ne jab pehli baar mujhko kissy kiya tha tab buland awaaz mein keh diya tha sab ke saamne ke Ruhi ne tumko mujhe kissy dene ke liye kaha tha!!”

Shweta: “What? Sach? Aisa kaha tha main ne mujhe nahin yaad!”

Abhi ne hansste hue kaha,

“Haan main kaam se wapas ghar jaa raha tha, Ruhi kitchen ke stairs par khadi thi aur tum mujhko bye kehne aayi thi, aur mujhse tumne kaha, ‘“babye Abhi, niche jhuko tumko kissy karti hoon Ruhi ne kaha!”

Phir donon zoron se hanssne lage Shweta ki uss masoomiyat par aur Shweta ne kaha,

“Aap kitne oonche lagte the mujhe tab, aap ko jhukna hi padta tha mere height reach hone ke liye, mujhe yaad hai ek baar main Manoj ke saath aayi thi aur aap kitchen ke saamne baithe hue kaam kar rahe the to main bina Ruhi se mile aap se lipat gayi thi aur Ruhi kitna jealous ho rahi thi yaad hai aap ko?”

Abhi: “hahahahaha tumko wo sab yaad hai sweetheart? Mujhe to pura scene yaad hai, main kuch bhi nahin bhoola hoon baby…. uss din Manoj ke saath tum shooting dekhne gayi thi aur wapas aayi thi to main wahin kitchen mein mila tha tumhein, main uss raat ko wahan ruka tha yaad hai?!”

Shweta: “haan sab yaad hai mujhe, aksar sab yaad karti hoon main aap ko yaad karte hue; kia aap ko pata hai main kyun uss din aap se lipat gayi thi bina Rui se mile?”

Abhi: “kyun?”

Shweta: “Are simple! Iss liye ke aap baithe hue the to mujhe aap ko jhukne ko nahin kehna pada tha, direct aap ke goad mein chali gayi thi, aap khade hue hote to mujhe sar upar uthaake aap se baat karni padti nah issi liye, Ruhi samajhti nahin ke main kyun uss se mile bina aap se mil gayi thi main hihihihihi!”

Abhi: “how strange, you were only 6 years old phir bhi tumko sab kuch itna clearly yaad hai baby?!”

Shweta: “It is because I adored you, I loved you so much because you loved Ruhi so much, I wished I was Ruhi and you loved me that way, maybe I was jealous of Ruhi in fact!”

Abhi ne ab tak Shweta ko bahon mein jakra hua tha aur kaha,

“Don’t say that sweetheart, that was not jealousy darling, that was affection you got from me because I equally loved you loads too…. Agar tum uss time 18 ke upar ki hoti to shaayad main tumhare bare mein sochta agar Ruhi tab inkaar karti to, I am sure of that hehehehe!!..... Iss liye ke tum mein aur Ruhi mein mujhe 95% of smililarities dikhte the…. Main ne Ruhi se kaha bhi tha ke tum junior Ruhi lagti ho mujhe… jab Ruhi tumhari umar ki rahi hogi to exactly weisi hi rahi hogi jaise tum thi….”

Shweta ne tab bilkool wo kiya jo kabhi Ruhi ne kiya tha…. Shweta ne apne hatheli ko Abhi ke chaati par ferra usske chaati ke baalon mein ungliyan ferrte hue aur apne sar ko wahan rakha….

Abhi ke jism mein jaise ek aag bhadka aur puraane din aur guzre hue lamhe wapas aaye….. Abhi ka dil zor se dhadka aur kaske Shweta ka haath ko apne haath mein jakarte hue ussko apne chati se door kiya ghaur se Shweta ke chehre mein ek ajeeb si naron se dekhte hue…..

Shweta ne pucha,

“Okay tab main 18 saal ki nahin thi, magar abhi 24 ki hoon to ab aap ko mujh mein wo Ruhi dikhti hai kyun ke unn dinon to Ruhi bhi takriban 20/21 ki hogi nah? so tell me now how closely do I look like her?!”

“mat pucho sweetheart, tumhare dimples ke ilawa sab kuch Ruhi hai tujh mein baby…. body, look, baal, muskuraahat, awaaz, bolne ki ada, thoda natkhatpan, naak modne ki ada, honthon ko twist karne ki ada sab bilkool Ruhi ki tarah hi hai tujh mein sweetheart…..”

Shweta: “Oh my God you make me love you even more, kissi ne meri itni taarif nahin kiye hein aaj tak husband bhi nahin ussko wo sab nahin dikhta jo aap ko dikhte hein…. Aap mujhko bahot ziada jaante ho…. aap ek true lover ho, aap ek ladki ki khubsurti pehchaante ho, aap ko ladki ki taarif karna ata hai ussko credit dena ata hai, aap ko koyi kaise pyar nah kare Abhi?!

Abhi ne Shweta ko ghaur se dekha aur pucha,

“how come you got married so early?”

Shweta: “because of you only!!”

Abhi: “What? How come? Main nahin samjha!”

Shweta: “Aap ki Diwani ho gayi thi, kissi bhi tarah aap ko paana chahti thi…. Jab pata chala ke you are married to ghar mein ghussa karne lagi, lagta tha depression mein chali jaungi, mummy nurse hai to ek doctor se milwaya mujhe treat karne ke liye aur ussko mujhse love ho gaya…. Main refuse karti rahi, mummy zor deti gayi ke acha ladka hai, doc hai main usske saath khush rahungi etc etc…. phir wo mujhko itna tang karne laga ke main ne aap ko socha jiss tarah aap Ruhi ke piche piche rehte the ussko dhundte rehte the yeh bhi weisa karne laga tha to main ne socha ke jiss tarah Ruhi ne aap ko tadpaya mujhe ussko nahin tadpana chahiye so I finally accepted! And mummy ne meri shadi karaa di ussi doc ke saath!!”

Abhi: “very good, acha kiya baby… I wish you all happiness in life my love.”

Shweta: “I AM NOT HAPPY ABHI…. NOT HAPPY AT ALL….. jaise ek duty nibha rahi hoon shaadi karke…. Wo doc hai jab dekho hospital, ya private consultation, kabhi raat ko thoda sa mila to bed par enjoy kar liya buss yehi hai hamara relation… ab mujhe kaam bhi karna, ghar bhi dekhna aur bache ka bhi khayal rakhna I am fed up…. He does not care for me like you would have cared… there is no love between me and him, it is just like an official matter, a duty towards each other respecting the marriage bond, that’s all!!”

Abhi: “You must talk to him Shweta. A conversation between both of you will settle the matter otherwise your married life will suffer!”

Shweta:”In vain Abhi, we have talked several times, he is not interested. He says his work is more important and it comes first of all in his life…. Its to no avail talking to him….. ab aap mil gaye ho to I have now a way to be happy…. Abhi aap mujhse hamesha ab milte rehna…..apna phone number do nah we will talk and sms whenever we want… I am so so happy to have found you back…. Oh my God, this is the best and happiest day in my life!”

Abhi ko Shweta se Ruhi ke baare mein puchne ka mann kar raha tha, magar socha ke khud Shweta ko apne taraf se kehne diya jaaye. Abhi chahta bhi tha uss se Ruhi ke baare mein puche aur nahin bhi chahta tha…. soch raha tha ke apne aap baat ayegi Ruhi ki Shweta ke taraf se…. magar 45 mins car mein baithe rehne ke baad bhi Shweta ne Ruhi ke baare mein ek bhi baat nahin kaha, sirf apne baare mein aur khud Abhi ke baare mei baat karti rahi aur aakhir mein kaha,

“Abhi main yahin rehti hoon, university se 10 mins drive hai mera ghar, aap mere ghar chalo nah please….”

Abhi: “magar tumhara course?!”

Shweta: “Its already late wo to kab ka shuru ho gaya, baad mein doston se notes le lungi, please lets to go my place please, please nah mat kehna!”

Abhi: “Aise achanak? Kaun kaun hai tumhare ghar par abhi?!”

Shweta: “koyi bhi nahin, I am alone!”

Abhi: “And your baby?!”

Shweta: “Wo mummy ke paas hai raat ko papa aur mummy ussko wapas mere ghar chorrne ayenge!”

Abhi: “aur your husband wo kab aega?!”

Shweta: “wo to abhi gaya mere yahan aane se pehle, night shift hai kal subha aega jab main college chali jaungi tab, we often do not even meet!”

Abhi:”Aur baby ka kia karti ho subha ko college jaane se pehle?!”

Shweta: “Ek nursery ki van ati hai subha baby ko lejate hein aur shaam ko mummy ke ghar chorr jaata hai wohi van.”

Abhi: “Oh that’s very hectic schedule! Mujhe nahin acha lag raha baby ko tumhara aur usski papa ka pyar aur affection nahin mil raha hai….”

Shweta: “mere saath bhi to exactly aisa hi hota tha nah Abhi that’s why I lacked affection and got attached to you, you were so caring, so loving, so affectionate to me….”

Abhi: “to tum apni baby ke saath kyun weisa kar rahi ho sweetheart? The baby needs your affection, you must take care of her…. Socho wo bhi ek din tumhari tarah kahegi ke ussko maa baap ka pyar aur sneh nahin mila….”

Shweta: “hmmmm weekends mein din bhar mere saath rehti hai, bahot pyar karti hoon usse, aur raat bhar bhi to mere se satt kar soti hai….”

Abhi: “You need to be educated on how to raise a child sweetheart!!”

Shweta: “wo aap seekha dena abhi lets go at my place please Abhi!”

Abhi: “okay then let’s go ….”

Aur abhi drive karne laga Shweta ke new home ke taraf, Shweta aage baithi ussko guide kar rahi thi apne ghar ke taraf…

To be continued……

Too good. Very beautiful update.
The bonding of these two are like two lovers.
How does that look a couple sitting at the back seat of a car holding each other in their arms? Does not that look like a loving couple?
Especially when Shweta plays with the hairs on Abhi's chest like once or twice Ruhi did??!!
I feel Shweta is still very much in love with Abhi and may be she had deep feelings for him.... she said she is not happy with her married life.... So is she trying to get Abhi back? I wonder.
 

Asif khan

Well-Known Member
6,181
18,514
188
Boht hi khoob Surat andaz se update likhi h ap ne sir g very good
So aj 7 sal bad Abhi dairies parh k roya rohi ki yad mai

Akhir pehla piyar Kis ko bholta h ye piyar cheez hi esa h

Or ap ki likhawt ki waja se or rona ata h itna zabardast explain kerte ho hr cheez ko
Update 50 About Ruhi

“Sir koyi message ho to batadun Ruhi ji ko?!”

Abhi ne ussko ek 100 ka note dete hue kaha,

Bus itna kehna ke Amitabh Bachchan jitna lamba aadmi puch raha tha usske baare mein wo samajh jaegi.

Ab aaguey….



Abhi ne kyun uss din wahan ruk kar Ruhi ke baare mein sawaal kiya tha itne saalon baad wo khud nahin samajh saka. Aur ussko Ruhi ke baare mein baat karte waqt kia ho raha tha yeh bhi wo nahin samajh saka. Jiss dauraan wo Ruhi ki stairs par dekh raha tha, aur uss aadmi se baat kar raha tha Abhi ki awaaz badal gayi thi, usske saansein tez chal rahe the, wo jaise sapne mein tha uss waqt, jaise khayaalon mein ji raaha tha uss pal ko….

Ghar wapas jaane par Abhi ne drawer se unn diaries ko nikala jissko ussne uss din drawer mein band kiya tha jiss din Navina ne padhkar wapas kiya tha, matlab 7 saal baad unn diaries ko Abhi phir padhne laga…. Aur usske sukhe hue aansoo phir baahar aaye….. Ruhi ke saath guzaare ek ek lamhaat ko padhte hue Abhi ek chote bache ki tarah rone laga… usske aankhon ke saamne phir wo saare drisht taaza hone lage, Ruhi ki Muskaan, usskki awaaz, usski aadaien sab Abhi ko ghirrne lage aur wo wapas 1986 mein chala gaya…..

Ussko laga ke ek time machine ne ussko uthakar wapas Ruhi ke aangan mein patak diya.

Navina ki university mein lecture dene wala din tha, wo raat ko 9 baje wapas ane wali thi, matlab 9 baje Abhi ko ussko lene jaana tha kyunke Navina drive nahin karti thi, seekhna bhi nahin chahti thi, darrti thi drive karne se.

To Abhi ghar mein akele diaries padhte hue khub roya… aadha padha tab tak Navina ko lene jaane ka time ho gaya….

Navina se ussne kuch nahin kaha ke daries padhkar wo roya tha, phir bhi Navina Abhi ko itna pehchaanti thi ke usske awaaz se Navina ko pata chal gaya ke wo roya tha aur pucha kyun to Abhi ne jhoot kaha ke ek movie ki emotional scene ne usse rulaya.

Ghar wapas aane par Navina ne Abhi ke chehre mein ghaur se dekha aur usske gaalon ko chumte hue pucha,

“Aaj aap ne Ruhi ki diaries padhe the kia?”

Abhi Navina ko bahon mein bharke rone laga…. Usski chori pakri gayi thi…. Navina uss waqt ussko ek dost ki taraah comfort kar rahi thi, ek maa ki tarah ek rote hue bachche ko araam pahuncha rahi thi, Abhi ke peeth ko thapthapaate hue Navina ne pucha,

“Aaj aap ko Ruhi dikhi thi kia kahin? Hmmm? Aap ne dekha ussko kahin par kia?!”

Abhi ne rote hue kaha,

“Tum itni achchi kyun ho? Tum kaise bardaasht kar leti ho ke tumhara pati kissi aur ladki ke baare mein soch kar ro raha hai?!”

Navina ne araam se muskuraate hue kaha,

“Wo aap ka pehla pyar hai, main to secondary hoon nah, to samajhti hoon ke agar wo aap ko kabhi kahin mil gayi, to kia hoga mera? Aksar sochti hoon ke agar Ruhi aap ki zindagi mein wapas agayi to aap kia karoge? Kaise saamna karoge? Aur hamare haalat ko kaise manage karoge aap? Main to aap ko uss se milne ya usske saath rehne ko kabhi mana nahin karungi, magar main iss ghar ko chorr kar kahin nahin jaungi itna jaan lijiye aap…. Agar wo mili to aap usske liye alag ghar lena mere ghar mein mat laana usse haan!!”

Abhi ne Navina ko kiss karte hue kaha,

“Tum farishta mat banon Navina, tum apne haq ke liye lado mujhse se, ladaayi karo mujhse agar main uss se mili to, mujhko itna chhut mat do ke main bhatak jaun!”

Navina ne Abhi ke chaati ko chumte hue kaha,

“Nah, usska bhi haq hai aap par, iss liye main usska haq nahin chinungi, ussi ke badaulat to main aap se mili, ussi ki diaries ko padh kar to mujhe aap se pyar hua, ussi ke badaulat main ne aap ko jaana, pehchana, yeh jaana ke aap ke andar kitna pyar bhara hua hai…. Agar wo nahin hoti to main aaj aap ki bhi nahin hoti. Iss liye usska bhi haq banta hai aap par, iss liye mujhe aap ko uss se milne par rok tok karne ka koyi haq nahin.”

Abhi ne Navina ke gaalon ko chumte hue kaha,

“kiss mitti ke bane ho tum pata nahin!”

To Navina ne pucha,

“To ab batao kahan mili wo aaj aap ko?!”

Abhi: “kahin nahin mili wo. Aaj tak ussko dekha nahin hai main ne 24th December ke baad. Jiss din se wo mujhe chorr kar gayi aaj tak nahin dekha ussko main ne except ek do din bus ke andar se ussko usski aangan mein dekha tha guzarte hue… varna personally aaj tak nahin mila uss se main uss din ke baad”

Navina: “to phir kyun roye usski yaad mein aaj?!”

Abhi: “paagal hoon main, pata nahin kyun aaj main ruka usske ghar ke saamne main road par uss filling station par fuel lene ke bahane aur uss pump wale se Ruhi ke baare mein puch baitha…. Pata nahin kyun weisa kiya main ne!! ghalati kar baitha mujhko nahin puchna chahiye tha, upar se uss pump wale se keh diya ke Ruhi se kehna ke main aya tha usse dhundte hue!!!”

Navina: “To achah hua nah ab ek do din baad wapas jana uss station par uss aadmi se puchna kia uss ne aap ki message ko diya ussko ya nahin, tab sab pata chal jaega aap ko! – agar diya hoga to Ruhi ne kia kaha ussko wo bhi pata chalega aap ko…. Agar usski response sahi hui hogi to chale jaana uss se milne, kia pata ke wo aap ki raah dekh rahi hai abhi tak?! Who knows?!”

Abhi: “kyun bhatka rahi ho mujhe, main nahin jaane wala ab wahan…. Ghalati hui mujhse I won’t go there anymore!”

Naina: “acha ek baat bataiye, agar uss dauraan Ruhi aap ke samne aajaati jiss wat aap wahan khade the to? Kia karte aap? Agar wo bhaag kar aap ke taraf baahein feylaaye hue aati to aap ussko apne baahon mein nahin jakarte sab ke saamne sabko goli maar kar? Bataiye nah!”

Abhi aur Navina donon khade the ek dusre ko baahon mein bhade, aur Abhi ne usski peshaani ko chumte hue kaha,

“Ab bass karo mujhe aur kuch nahin sunna usske baare mein, stop it please!”

Naina ne kaha,

“Ruhi was a blessing in disguise in your life. Wo aap ki life mein issi liye aayi ke aap life mein tarakki karo. Agar wo nahin aati aap ki life mein, usski maa ko aap ka kaam naapassand nah hoti to aap ne aaj yeh dhan Daulat nahin kamaaye hote, murde garage ko firse zinda nahin karte aap, itna bada loan lekar uss garage ko nahin chalaate aap…. Yeh sab aap ne Ruhi aur usski maa ko dikhaane ke liye kiya….So Ruhi aap ki life mein ek masiha ban kar aayi, aap ka imtehaan liya aur uss tarah se aap ko neglect karke aap ko aage badhne ka mauka diya Ruhi ne…. that is a blessing in disguise! – balke hum donon ko bhi milaya Ruhi ne hi, wo nahin aati aap ki life mein to aap usski naam se diaries nahin likhte, aur main nahin padhti to main aap se impress nahin hoti to pyar nahin hota….yeh sab kuch to Ruhi ki vajah se hi hua nah? Aaj hum donon ek saath hai to Ruhi ke zarye se!.....

Agar wo kabhi bhi aap ko mili to ek baar mujhse zaroor milwana mujhe ussko thanks kehna hai, thanks iss liye ke ussne aap ko mere liye chorra, iss liye ke ussne aap ke pyar ko thukraya to aap ka pyar mujhe mila, thanks iss liye karna hai usse ke uss ne aap ko aaj iss mukaam par pahunchaya.”

Abhi ke paas kehne ke liye kuch bhi nahin tha kyunke jo bhi Navina ne kaha sab sahi the…..

Phir bhi Abhi ne pucha,

“Do you think unn logon ko mere baare mein khabar milta hoga? Do you think ke Ruhi ko pata hai mera Abruhi usske aur mere naam se hai? Kia ussko aur usski maa ko pata hoga ke main kahan se kahan pahuch gaya hoon? Kia usski maa ko ab pachtawa hota hoga? Kia Manoj ko pata hoga main kitna bada hasti ban gaya hoon aur wo abhi mere saamne kide makode ke jaisa hai hmm what do you think? Do they know?”

Navina: “100% sab pata hein sabko. Ruhi ko to pakka sab pata hoga aur usski maa ko bhi…. Aap itne baar TV par aaye ho news mein, aur har koyi news dekhta hai, aur phir papers mein, aur phir uss documentary mein jo baar baar tV par dikhaya gaya tha, aur uss business magazine walon ne pichle 5 saalon mein aap ke 3 interviews liye aur har baar aap ki kitne tasveerein chhape gaye uss magazine mein? My hubby is a celebrity my dear, to kaise ek celebrity ko nahin jaanenge weh log, pura desh aap ko jaante hein my dear Hubby!!”

To be continued…..
 

Asif khan

Well-Known Member
6,181
18,514
188
Oh to akhir Kar Saeed a hi gia Abhi k pass job kliye

Oh ye Kia Saeed ne to pool khol di mahboob or rohi ki

Bechara Abhi
Update 51 Ruhi Got The Message

Abhi firse uss taraf bilkool nahin gaya. Pata nahin ke uss pump wale ne Ruhi se kaha ke wo aya tha aur usske baare mein puch raha tha ke nahin….. Well Abhi ko nahin pata magar main aap logon ko bata doon ke haan Ruhi ko pata chala….

Ek din baad Ruhi shop jaa rahi thi chocolate kharidne to pump wala aadmi ne Ruhi ko bulaya…. Ruhi normal nahin chal rahi thi… usske haath mein ek laathi jaisa kuch tha… wo orthopaedic wala… thodi si jhhuki hui thi jaise usske peeth mein koyi dard ya koyi issue hai…. Ruhi ko heyrani hui ke wo aadmi ussko kyun bula raha hai kyunke Ruhi ne uss se kabhi bhi baat tak nahin kiya tha, phir bhi Ruhi gayi aur pucha kia baat hai to uss aadmi ne kaha,

“aap ko koyi kal dhund raha tha!”

Ruhi ne bahot heyraan hote hue pucha,

“Mujhko? Mujhko kaun dhundega bhala? Aap ko ghalat faimi hui hogi”

Aadmi: “koyi bhi ghalat faimi nahin hui mujhe uss aadmi ne Ruhi naam bataya aap ka, wo Manoj aur Mahesh ka naam bhi bataya mujhe!”

Turant ek pal mein Ruhi ko Abhi yaad aya aur thartharaate labon se pucha,

“kaisa tha wo? Lamba tha, oonche kad ka? gora tha?!”

Aadmi: “bilkool sahi pehchana aap ne wohi tha? kaun hai wo kyun sirf aap ke baare mein pucha aur wapas chala gaya? Main ne ussko kaha bhi aap logon se jaa kar milne ko magar nahin gaya….”

Ruhi Ke aankhon se aansoo behne lage the aur wo aansoowon ko ponchte aur sisakte hue pucha;

“Aur kia kahan unhon ne? kaisa hai wo? Thik the nah? Batao kia kaha unnhon ne? koyi sandesha chorra kia? Kuch diya mujhe dene ke liye kia?!”

Ruhi ko uss tarah se rote dekh kar wo aadmi hadbada gaya aur charon taraf dekha phir kaha,

“ofo aap ro kyun rahi ho, haan wo thik tha, ek bahut bada raiz aadmi lag raha tha bada sa Mercedes mein tha….”

Ruhi: “Wo Abhi tha, wo kabhi mera Abhi hua karta tha… bataiye nah kuch diya ussne mujhe dene ke liye? 8 saal… 8 saal baad!!!

Aadmi: “are haan ussne bhi mujh se yehi kaha tha 8 saal, 8 saal kia hua 8 saal? Yeh 8 saal kia hai?

Ruhi bilak bilak kar roti gayi aur bataane ko kaha ke Abhi ne kia kaha usske liye.

Aadmi ne kaha,

“ussne kaha aap ko bata dun ke Amitabh Bachchan jitna lamba aadmi aya tha aap samajh jaogi!”

Ruhi zor se hanssi aur royi ek saath.. aur uss aadmi ke chehre mein dekhti gayi aur kaha,

“Wo aap ko kaisa dikha, wo acha hai nah? sahi salaamat hai nah?”

Aadmi: “haan magar wo kaafi der tak aap ke ghar ke taraf udhar stairs par yahan se khada dekhta raha aur ussko jaise saans lene mein takliff ho raha tha, jaise haanf raha tha aur udhar iss tarah dekhe raha tha jaise ussko kuch dikh raha tha, jaise wo aap ko ya kisi ko dekh kar baat kar raha tha, bhaadi awaaz mein gale ke andar se usski awaaz arahe the….”

Ruhi: “Sunon, ek kaam karna please, agar wo phir kabhi yahan aya to mujhko turant phone karna, main aap ko apne ghar ka number deti hoon, mujhe turant yahan bulana aur ussko rok ke rakhna please, itna karoge aap mere liye? Bolo kia itna kar sakoge aap?!”

Uss aadmi ne kaha haan okay phir pucha,

“kia wo aap ka ex-husband hai kia? Aap donon alag ho gaye ho kia?!”

Ruhi: “Aap idhar ka rehne wala nahin lag rahe ho to aap ko kaise pata chala ke main Ruhi hoon? Aap Manoj aur Mahesh ko kaise jaante ho?”

Aadmi: “main yahan ka rehne wala nahin hoon par aap to iss station ki neighbour ho, to apne neighbour ko log jaante hi hai nah? aap ke donon bhai ko jaanta hoon unnke naam janta hoon to aap unnke behen ho to jaanta hoon, aap ke mother ko bhi jaanta hoo, 3 saal se yahan kaam karta hoon to aas paas ke sabhi logon ko jaan gaya hoon!”

Tab Ruhi ne uss se kaha,

“Haan to kuch aisa hi samajh lo ke wo mera ex-husband hai aur please yeh baat kissi ko bhi mat batana kia main aap ko trust kar sakti hoon ke aap kissi ko kuch bhi nahin bataoge, khaas kar mere bhaiyon se to bilkool bhi nahin okay?!”

Aadmi: “Main samajh gaya ji, main khud divorcee hoon aur apni ex-wife se milne jaata hoon chhup chupa kar to main samajh raha hoon, magar ek baat puchun? Aap ke ex-husband to bahut bada aadmi hai to weise aadmi se aap kyun alag hue?”

Ruhi: “meri takdeer kharaab thi, aur mera hi kusoor tha”

Aur Ruhi uss din ghar jaa kar bahot bahot royi thi. Sirf Abhi ko yaad karti aur roti rehti…. Kissi se kuch nahin kaha ghar mein.

********************************************************************

Abhi phir kabhi udhar gaya hi nahin aur seikron baar Ruhi gayi uss filling station par usski raah dekhne aur uss aadmi se puchne magar Abhi kabhi gaya hi nahin to kia khabar milti ussko….

Din, saal, mahine guzarte gaye. Abhi ki business badhta gaya.

Saeed uss se Naukri maangne gaya usski garage mein. Abhi nek dil tha to de diya Saeed ko bhi kaam. Abhi ne iss liye ussko inkaar nahin kiya kyunke Abhi ne yeh kaam ussi se seekha tha, iss liye ussne saeed ko kaam diya.

Magar ek din Abhi ne saeed se baat kiya. Uss din Abhi ko kissi financial sissile mein bank jana tha to ache kapdon mein tha aur kaam wale gande kapde mein nahin tha, matlab boss wala status tha uss waqt aur saeed ko Abhi ne apne office mein bulwaya.

Apni AC wale office mein desk ke piche baitha Abhi apne PC ke piche, rolling chair par baithe hue Saeed se kaha,

“Main kaam nahin karta, mere parents bahot gharib hein, main nikkamma hoon, Ruhi ko main khush nahin rakh paunga, Ruhi ki maa ko yehi salah diya tha nah aap ne? kyun Saeed?!”

Saeed ne ek hypocrite wala hassi dikhaate hue kaha,

“Are Abhi gyarah saal beet chuke hein, tum gade murde kyun ukhaad rahe ho ab chorro nah bhai tum kitne bade aadmi ban gaye ho apni heysiyat ke logon ki baat karo kyun unn bhikariyon ke baat kar rahe ho?!”

Abhi khada ho gaya aur ghusse mein saeed ko dekhte hue kaha,

“Yehi!! Yehi kaha hoga nah tumne uss din Ruhi ki maa se bhi ke main bhikaari hoon, aur aaj unnko bhikaari keh rahe ho? kiss ko bhikari kaha tumne Ruhi ko? Khabardaar Saeed! Khabardaar!! Aur haan 11 saal aap ke liye beete honge mere zehen mein sab ab bhi weise hi taaza hai mere liye 11 din guzre hein sirf!!”

Saeed ka chehre laal se jaise kaala pad gaya jiss tone mein Abhi ne uss baat kiya. Aur saeed ne dheemi awaaza mein kaha,

“Abhi, mujhe pata tha tum tarraki karoge, jiss din tumne Mehboob se 3 laakh ki deal kiya tha tabhi mujhe tujh mein ek bada business man dekh liya tha…”

Abhi: “Aur tumne uss paise mein se mera ek laakh ka gaand bhi mara tha wo bhool gaye tum? Mujhse kaha tha ke Mehboob ne kabhi baaki ka ek laakh diya hi nahin, bolo, diya tha Mehboob ne wo baaki ke ek laakh ya nahin Saeed? Main khud wahan Mehboob se wo paisa tamasha karke mang sakta tha, Ruhi ki maa aur Ruhi ke saamne main dikha sakta tha ke 1 lakh kama raha hoon uss Mehboob se magar main iss liye nahin gaya tha kyunke usski gali mein jaana chorr diya tha aur dusra reason yeh tha ke mujhe shak tha ke ussne tujhe paisa de diya tha magar tumne sab apne liye rakh liye honge!”

Saeed: “Abhi meri beti ki shaadi thi iss liye unn paison ki zaroorat thi mujhe….”

Abhi: “chal de diya teri beti ko gift wo paise.... aaj mujhe yeh bata ke kyun tumne mera patta kata tha Ruhi ki maa se? Tujhe achii tarah pata tha ke main uss ladki se diwangi ki had tak pyar karta tha, tha nahin KARTA HOON! Tujhse main ne saaf lavzon mein kaha tha ke ussko chahta hoon aur uss se shaadi karna chahta hoon…. Phir bhi tumne weisa kyun kiya? Mere madad karne ki bajae kyun tumne Ruhi ki maa se mere khilaaf baat kiya tha? kia tu jalta tha mujhse? Wo bhi to teri beti jaisi thi, ek masoom ka pyar chhin kar kia mila tha tujhe saeed?”

Saeed ke paas koyi jawaab nahin tha. khamosh baitha raha sar jhukaaye hue. Aur Abhi ne aur bola,

“Aur uss par tumne Mehboob ko bhi bhadkaya tha, Ruhi ki maa ko bhi bhadkaya tha mere khilaaf, kyun saeed?!”

Tab Saeed bola,

“Abhi, Mehboob hi nahin chahta tha ke Ruhi aur tera Rishta bane! Ussi ne mujhe kuch baat bana kar Ruhi ki maa se kehne ko kaha tha, Mehboob nahin chahta tha ke tu Ruhi ke ass paas rahe, ussko bilkool nahin passand tha. wo nahin chahta tha ke tu aur Ruhi shaadi kare! Ussne mere saath milkar plan banaya tha ke kia baat bataya jaaye Ruhi ki maa ko tere khilaaf. Aur mere munh se uss din nikal gaya tha ke tu wahan Ruhi ke liye har roz kaam par ata tha varna to har Monday ko absent rehta tha to Mehboob ne uss baat ko pakda aur kaha ke wohi kehna hai Ruhi ki maa ko ke tu kaam nahin karta wahan sirf Ruhi ki vajah se ata hai….”

Abhi: “Magar kyun? Mehboob weisa kyun karega? Kyun wo mujhe Ruhi ke saath dekhna nahin passand karta tha? Kyun nahin chahta tha ke main Ruhi se shaadi karun?”

Saeed: “Tum jaanna chahte ho? Sun sakoge Abhi? Bataun main?! Yakeen nahin karoge tum!”

Abhi ne apne palkon ko uchkaate hue Saeed ko dekha aur kaha,

“What? Kia yakeen nahin karunga? Batao kia baat hai saeed!”

Saeed: “To sun main batata hoon ke kyun Mehboob nahin chahta tha ke tum Ruhi ke aas paas raho ya uss se shaadi karo…. Tujhe pata tha ke kuch saal pahle Rahima Mehboob ko chorr kar bhaag gayi thi? Usski bachi Farzina tab 6 saal kit hi”

Abhi: “nahin Farzinah tab 2 Saal ki thi”

Saeed: “matlab tujhko pata hai ke Rahima kissi aur ke saath bhaag gayi thi? Magar Farzina 6 Saal ki thi 2 saal ki nahin wo primary school jaane lagi thi, tujhe ghalat bataya hai jiss ne bhi bataya….”

Abhi: “acha chal maan liya farzina 6 saal ki thi to? Ruhi ka kia lena dena iss mein?!”

Saeed: “Are tabhi to sab hua tha…. Ruhi tab Farzinah ki dekh bhaal karti thi Mehboob ke ghar aati jaati aur rehti bhi thi usske ghar…. Aur Mehboob ka affair tha Ruhi ke saath unn dinon, jitney raat ko Rahima nahin thi utne raat Ruhi Rahima ke bistar par soyi thi Mehboob ke saath, Mehboob Ruhi ko chodta tha Abhi!!”

Abhi ko jhatka laga aur bahot ghussa bhi aaya aur Saeed ko gaali diya Abhi ne. Abhi ne uss se kaha ke wo Bakwaas kar raha hai.

Saeed ne kaha,

“Bilkool sach baat hai Abhi, wahan ke bahot saare logon ko iss baat ka pata hai….”

Abhi: “Aur aap ko kiss ne batayi yeh baat?”

Saeed: “yeh main nahin bata sakta Abhi… tumko wo bata diya jo tumko jaanna chahiye tha…. ab samjha ke kyun mein nahin chahta tha ke tera shadi uss ladki se ho? Main tera bhalaa chahta tha iss liye main nahin chahta tha ke tu usski jaal mein fansse….”

Abhi ka sar chakraane laga tha, usske aankhon ke saamne thoda andhera jaisa chaane laga, aur phir Saeed se pucha,

“Ruhi ki tab kia umar hui hogi Saeed…. Aur Rahima ko to ussi roz wo lag wapas lekar agaye the nah?!”

Saeed: “are wo college jaati thi 12th mein thi shaayad…. College ki student thi unn dinon, bahot garmi rahi hogi uss mein, jaante hi ho college girls kaise hote hein…. Mehboob ke ghar mein usske bed par leyti hogi aur Mehboob ki wife thi nahin aur wo akeli thi Mehboob se raha nahin gaya hoga to kaam tamaam kar diya usski….. aur do hafte baad Rahima ko wapas laya gaya tha, wo do hafte tak chudwaayi thi uss aadmi ke saath jisske saath gayi thi, udhar Rahima chudwa rahi thi kissi aur se to idhar Mehboob bhi eysh kar raha tha naazuk kali ke saath….. Mehboob nahin jaana chahta tha Rahima ko wapas laane ko, ussne kaha tha wo ghar se bhaagi hai to kyun wapas lana hai ussko, magar sab ne ussko samjhaya ke chhoti Farzina ke khatir Rahima ko wapas laana padega…. Phir Mehboob ko Ruhi jo mil gaya tha iss liye usski nazar tab Ruhi par the iss liye Rahima ko nahin laana chahta tha….. magar wahan par sab ne bahot zor diya tab Rahima ko wapas laane gaye the….”

Abhi: “jiss kissi ne bhi tujhe yeh baat bataayi kia tujhe uss par yakeen aur bharosa hai? Aur ussko kaise pata chala iss baat ka? Wo kia jhankne gaya tha Mehboob ke ghar ke andar raat ko?!”

Saeed: “Dekh Abhi jo mujhe batana tha wo main ne aaj tujhe bata diya ab tu yakeen kar ya nahin yeh teri problem hai main chala ab!!”

Yeh keh kar saeed chala gaya….

Abhi paagal hone laga aur ab Ruhi ki kahi hui baat ke wo virgin nahin hai, usski ghalati ko maaf karna…. Aur khud search karne ko kaha tha ke yeh kiss ne usske saath kiya tha…. sab ghumne lage Abhi ke sar ke andar….. aur phir achanak Abhi ko yaad aya ke ek din Ruhi ne kaha tha ke “Mehboob ne hi hmm hmm hmm” kaha tha Ruhi ne…to kia yehi kehna chahti thi uss din Ruhi ke Mehboob ne hi usski virginity liya hai? Yeh Update 34 mein kaha tha Ruhi ne jab Abhi khidki ke paas Ruhi aur usski maa se baat kar raha tha aur Mehboob Abhi ko chai lene ke liye bula raha tha aur Ruhi ki maa aur Ruhi ne ussko jaa kar chai lene ko kaha tha tab Abhi ne Ruhi se kaha tha ke Mehboob ko sab pata hai unn donon ke baare mein to Ruhi ke yeh kaha tha “ussi ne hmmm hmm hmmm” (readers check kar sake hein)

Abhi ka sar jaise phatne laga tha yeh sab soch soch kar….

To be continued….
 

Asif khan

Well-Known Member
6,181
18,514
188
Good excellent birrilant fantastic update

I think ye Shweta hi ho gi well dekhte hain Kon h ye
Update 52 Enhancement Of Business & Meeting With….?
Uss raat ko Abhi Saeed ke unn baton ko sochte hue paagal ho raha tha, unn diaries ko wapas lekar uss hisse ko padhne laga jiss din Ruhi ne weisa kaha tha uss se…. aur shak paida hua usske mann mein bhi iss baat ko lekar. Ussko ab sahi lagne laga tha Saeed ka kehna… magar yeh sab saeed ko kiss ne bataya hoga? Mehboob ne? Kia agar aisi baat sach mein thi to kia Mehbbob iss baat ko Saeed se bolta? Agar Mehboob ne nahin to kiss ne kaha hoga yeh baat Saeed ko?

Abhi jaise flashback mein jaakar tamaan unn hisson ko yaad karta jahan jahan ussne Ruhi ko Mehboob ke aas paas dekha tha …. Magar kahin bhi Abhi ko nahin dikha tha Ruhi ko Mehboob ke taraf kissi weisi nazar se dekhte hue, balke hamesha Ruhi Mehboob se darrti jaisi thi…. Usske saamne Abhi se baat nahin karna chahti thi shuru se hi….. to kia issi liye Mehboob se darrti thi? Kia Mehboob ne ussko toka hoga ke kia naatak kar rahi hai tu Abhi ke sath? Aisa kuch kaha hoga Ruhi ko?

Kia Mehbob Ruhi ko apni rakhel ki tarah rakhna chahta tha taake Ruhi kissi aur se kabhi shadi nah kar paaye aur hamesha wahin rahe?.. Ruhi 20 years ki thi aur Mehboob 40 se upar ka tha, to kia yeh Rishta mumkin tha donon ke beech?

Magar ab Farzina itni badi ho gayi thi, aur Rahima bhi ghar par rehti thi to kab Mehboob Ruhi se milta hoga agar ab kuch tha donon ke beech to? Abhi ka sar phata jaa raha tha yeh sab sochte hue…. Jitna wo Ruhi ko dimaagh se nikla feinkna chahta tha magar utna hi Ruhi usski zehen mein aa rahi thi….. shaadi ke baad almost bhool hi gaya tha Ruhi ko magar ab fir se usske yaadon ne Abhi ko pareshan karna shuru kar diya tha…. Abhi ki chain neendh sab udh gaye the….. pareshan rehne laga tha wo ab …. Abhi sochta ke jiss Saturdays ko Ruhi silaayi ke liye jaati thi kia Mehboob uss se baahar milta tha? aur Abhi ne yaad kiya Ruhi se juda hone ke baad kayi baar wo uss terminus par gaya tha dekhne ke Ruhi dikh jaaye to ek din Mehboob mila tha usse… To ab Abhi sochne laga kia Mehboob Ruhi ke saath thi aur ussko kahin wait karne ko chorr kar Abhi se milne aya tha? Ya kia pata Ruhi ne Abhi ko dekh liya aur Mehboob se kaha tab Mehbob aya tha Abhi se milne?!!!!

Abhi ko bilkool yakeen nahin tha…. bahot sochne ke baad, 4 ya 5 din ke baad Abhi ne kaha ke yeh ho hi nahin sakta…. Saeed ne zaroor koyi kahani banaya hoga ya Abhi ko Ruhi ke liye dil mein nafrat paida karne ke liye yeh sab kaha hoga… bilkool yakeen nahin tha Abhi ko ke Ruhi aur Mehboob ke beech koyi Rishta tha…. Abhi ne phir khud se kaha ke ek din ussko sab sahi sahi pata chalega zaroor…. Agar usska pyar Ruhi ke liye sacha tha to ussko sachaayi ka pata zaroor chalega. Abhi ne khud se yeh bhi kaha ke Ruhi ussko itni bada dhoka nahin deti, saaf saaf Ruhi ne bata diya tha ke wo virgin nahin hai, usski sincererity par Abhi ko bharossa tha, uss pyar par Abhi ko yakeen tha, agar Mehboob ke saath koyi najayaz Sambandh hoti to Ruhi kehti Abhi se, wo itna bada jhoot nahin chhupaati Abhi se….. Abhi ko apne pyar par bharosa, tha Ruhi par nahin magar apne pyar par bharossa tha wo pyar Abhi ko itna bada dhoka nahin de sakta tha…. Iss liye Abhi ne saeed ki baat ko jhoot maana. Aur kaha ke ek din ussko sachaai ka pata zaroor chalega…. Abhi ne yeh bhi socha ke Saeed ne kaha wahan par bahot logon ko iss baat ka pata hai to, Sunil ko pata hota itni bari baat, kyun Sunil ne uss se kabhi yeh baat nahin bataaya…. Abhi ne socha ek baar Sunil se milkar iss baare mein puchna padega ussko….

Film Aashiqui release hui aur usske saare gaane itne romantic aur lovable the ke Abhi sirf Ruhi ke liye unn gaanon ko gaata aur gungunata, ussko sirf Ruhi fit lagti thi unn gaanon mein aur rota bhi tha unn geeton ko sunkar:

1.jaane jigar jaaneman, tujhko ha meri kassam tu jo mujhe nah mili mar jaunga main sanam

2. Main dunya bhoola dunga teri chaahat mein…

3. saanson ki zaroorat hai jaise zindagi ke liye buss ek sanam chahiye, Aashiqui ke liye

4. nazar ke saamne, jigar ke paas koyi rehta hai wo ho tum….

Khaas kar yeh do gaane Abhi ko rulata tha: “Dhire dhire se meri zindagi mein aana , dhire dhire se dil ko churana, tumse pyar hamein hai kitna jaane jaana tumse milkar tumko hai batana….”

Abhi ko Ruhi se milkar batana tha ke ussko kitna pyar tha uss se…. iss liye yeh gana usske liye ehem tha…

Aur yeh wala bhi rulata tha abhi ko: “Mera dil tere liye dhadakta hai hai…. Oohhhh” yeh bhi kehna tha abhi ko Ruhi se ke usska dil Ruhi ke liye dhadakta hai…..

Phir ek ya do saal baad fil saajan release hui sanjay dutt, salman aur Madhuri ke bich… uss film ko dekh kar abhi bahot roya tha… theatre mein Navina ko Abhi ke munh par rumal rakh kar chhup kara pada tha, varna log sun lete Abhi ka rona….. ussko sirf Ruhi aur khud dikhaayi de raha tha movie mein…. Iss film ki iss gaane ko Abhi aksar rota sunte hue aur gungunaate hue: “bahot pyar karte hein tumko sanam, kassam chaahe lelo, khuda ki Kassam….” Aur iss gaane ko sunkar to rota hi rota tha “Jiye to jiye kaise bin aap ke…..”

Wo ek daur tha ke itne saare romantic picturein aate the aur itne ache aur romantic songs hote the ke Abhi kehta ke sab jaise ussi ke liye likhe jaate the, aur by chance har geet usske situation par fit baithte the… jo ussko rula deta tha…..

*********************************************************************

Foreign Contacts

Kyunke Abhi ka karobaar expand hua tha ab bus owners uss se naye busson ke supply ki maang karne lage the, matlab complete bus, naya chasis sameth.

Unn dinon local bus jaise TATA aur imported sirf Bedford aur Leyland wale engine ke bus hua karte the…

To Abhi ne email dwara Japan se contact karke ISUZU bus ke models mangwaye udhar se. Buses Abhi ko bahot passand aaye aur email aur phone se hi contact karke ek Japanese delegate ko invite kiya apne garage mein deal ke liye.

Jab wahan se delegate aaye aur Abhi ki garage aur kaam ko dekha Japan ke delegates ne to Abhi ke kaam se khush hue aur deal sign kiya gaya ke 25 Isusu ke Chasis ISUZU engine sameth Abhi ke garage ko bhejenge, unn mein se 10 bus free japan de rahe the Abhi ko first dea ki Khushi mein. Aur Desh mein Abhi ke ilawa koyi aur uss ISUZU bus /car/truck/ ya kuch bhi nahin import kar sakte the deal mein wo condition rakha gaya. Yaane sole distributor of ISUZU make Abhi ko mila desh mein uss make ki engine ko distribute karne ke liye.

Aur of course Abhi ko Japan jana para sab deal ko finalise karne ke liye aur ISUZU company ko visit karne aur busson ko dekhne ke liye.

Abhi ne kabhi plane se safar hi nahin kiya tha, passport tak nahin banwaya tha kyunke wo desh se kabhi baahar gaya hi nahin tha. To wo sab karna para aur saath hi Navina ki bhi passport banwa liya aur jab Navina ko saath chalne ko kaha to ussne inkaar kiya kyunke ussko college mein syllabus complete karna tha agar saath jaati to students miss karte…. To Abhi ko akela jana para… 10 din ke tour tha Japan mein.

Abhi ko tahjub hua Japan mein uss company ko dekh kar, Abhi ne socha usski company to ek zarra tha uss Japan ke company ke saamne…… Aur Abhi ko idea mila ke kaise khud ki garage aur company ko wo bhi ultra-modern bana sakta hai…. Bahot saare photos liye Abhi ne taake apne garage ko uss tarah se modern bana sake…. Bus ki chassis aur engine ke ilawa Abhi ko bahot saare modern technology wale machines bhi mile jo apne garage mein istemaal kar sakta tha ussne kayi weise machinein bhi order kiye jo ek mahine ke andar ussko pahunch jana tha.

Japan mein aakhri 4 din Abhi as a tourist ghumne gaya Japan ke jaziron mein….. aur ek din kissi ne ussko piche se usske peeth ko thapthapaya…. Abhi ne mudhkar dekha to ek bahot khubsurat aurat usske saamne khadi ussko dekhte hue muskura rahi thi… Abhi ne ussko pehchana nahin… uss aurat ne pucha,

“Abhi tum mujhko nahin pehchaan rahe ho?!!”

Usski awaaz jaani pehchaani lagi aur achanak uss aawaaz ne Abhi ke dil ke taaron ko jhagjhora… RUHI!!!!!!! Abhi ki pehli wali Ruhi jo usski bachpan ka pyar tha, wohi Ruhi jisske pita ki lottery lagi thi aur Canada chala gaya tha…. wo wala Ruhi Abhi ke saamne thi!!

Abhi ko samajh mein nahin aya ke kia kahe, kia karen… wo hakbaka gaya aur Ruhi ke chehre mein khada dekhta raha kaafi der tak….. Ruhi usske saamne khadi hanssti jaa rahi thi… wohi chulbuli si hanssi jo kabi Abhi ko paagal banaati thi…. Magar aaj Abhi ke andar wo wala feel bilkool nahin aya jo college ke dinon mein hua karta tha iss Ruhi ke liye….. wo iss liye ke Abhi ke dil mein iss Ruhi wala pyar sab tabdil hokar dusri Ruhi mein samaa gaye the….

Ruhi khud Abhi ke gale mili aur Abhi ko bagal mein khade ek Safed chamri wale aadmi se milaya ussko apne husband introduce karte hue jissne ek bachi ko haath mein liya hua tha jo Shweta ki umar ki thi, wo iss Ruhi ki beti thi…. Ruhi ki husband ek Canadian tha, matlab Ruhi wahin Canada mein bassi thi to wahin shadi bhi kar liye bache bhi ho gaye aur bachi white skin thi….

Sab ne milkar ek drink liye ek restaurant mein…. Abhi ne pucha ke kaise wo Japan mein hai aur ussko kaise pehcaan liya Ruhi ne. to Ruhi ne bataya ke as tourist weh log vacation par aaye hue hein aur Abhi ko iss liye pehchana kyunke desh ki magazine padhte hein weh log Canada mein to magazine mein Ruhi ne Abhi ko dekha aur padha tha iss liye ussko pehchaan liya tha ussne….

Usske baad Abhi apne hotel wapas chala gaya Abhi ko ab koyi attachment nahin feel hua iss pehli wali Ruhi ke liye, balke wo apni wali Ruhi ko yaad karne laga aur uss bachi ko dekh kar Shweta ko yaad kiya Abhi ne aur socha ke ab Shweta ki kia umar hui hogi… to ginti kiya 6 plus 12 years… matlab ab Shweta 18 saal ki ho gayi hogi!!!! Abhi ko yakeen nahin raha tha ke itne saal guzar gaye ussko sab jaise kuch mahine guzre hein lag raha tha…. aur socha ke Shweta agar usske saamne agayi to wo ussko nahin pehchanega…. Haan Shweta Abhi ko zaroor pehchaan legi….

******************************************************************************

Year 2002 shuru hua. Abhi ek bahut bada importer tha Japan se ISUZU make ki bus, 4x4, trucks aur alag alag kissam ki engine ki.

Sarkaar se zameen bhi mil gayi thi Abhi ko apne business ko expand karne ke liye… 5 acres zameen Sarkar ke taraf se lease par 100 saalon ke liye mila tha Abhi ko business ke liye. Lease ko renew karne ka right tha papers mein.

Abhi aur Navina ki koyi aulaad nahin the. Navina ko gynaecological issues the…. Shuru mein conceive kiya tha magar dard ke kaaran doctor ne injection se giraya…. Baad mein bahot saare test vaghaira ke baad pata chala ke Navina kabhi pregnant nahin ho sakti. Bahot saalon tak sab kuch try karne ke baad donon Abhi aur Navina ne decide kiya ke nahin chahiye bache donon khush hai bina bachon ke…. Baad mein adopt karenge aisa kaha donon ne magar nahin kiya wo bhi…..

Abhi tanhaayi mein kabhi yaad karta ke ussne kayi baar Ruhi se kaha tha ke ussko ek baby girl chahiye jo Ruhi ne kaha the ke wo ussko degi ek baby girl…. Abhi ko ladki hi chahiye tha…. Sirf Ruhi se yeh baat kiya tha Abhi ne Navina se nahin…. Magar Navina ne yeh usski diaries mein padha tha…. iss liye Navina ne Abhi ko ek ladki adopt karne ko kaha tha jo aaj tak nahin kiya tha donon ne…..

Year 2004, ek din Abhi University ke window pane alluminium frames mein lagwa raha tha…. of course, usske aadmi kaam kar rahe the to Abhi sirf financial deal ke liye gaya hua tha aur wapas aate hue ek bahot khubsurat ladki ne ussko phukara,

“Abhi! Hello, rukiye to!”

Abhi jab wapas muda to ek jaani pehchaani shakal usske saamne khada uss se muskura rahi thi…. Abhi sochne laga ke yeh kaun hai lagta hai ke iss se pehle mila hoon, hai kaun yeh aur mujhe kaise jaanti hai!!! (kaun guess kar sakta hai ke wo kaun thi?)

To be continued….. (2102 words)
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Pyar se bharpur update.
Shweta se milkar Abhi emotional ho gaya, aank se aansoo nikal pade donon ke. Kia milaap hua donon ke 18 saal baad.
Wo cute si shweta aaj khud mummy ban gayi hai waqt kia kia dikhata hai insaan ko. Aur waqt kitna tej bhaagta hai isska pata achanak pata chalta hai jab bachon saamne bade hote dekhte hein.
Ruhi uss din Shweta k ghar mein thi Abhi ko itne saalon k baad pata chala aur kia kia pata chalna hai ye dekhna baki hai.
Bahut hi pyara update casi ji.

bahot bahot shukriya komal dear :love:
 
Top