• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya (Exclusively For XForum) COMPLETED

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Update 58 Abhi Meets Mahesh And ???

Dosto kal wale update mein main ne date lekar ek ghalati kiya tha 2010 be badle 2011 likha tha, aur Sweta ke saath guzare 6 saal ko 7 saal likha tha. Wo hua yeh tha ke December 2010 ki baat ho raha tha aur main kyunke December tha iss liye agle saal 2011 ko soch raha tha, dimagh mein 2011 bassa hua tha so likh diya tha, weise 2011 mein bhi Shweta ke saath tha Abhi to 7 saal hi hote hein magar pura saal nahin tha iss liye ke beech 2011 mein hi kuch aisa hua jo nah Shweta ne socha tha aur nah khud Abhi ne socha tha weisa kuch hoga kabhi….

To kal jinn logon ne mere edit karke correct karne se pehle updates padh liye the unnko ab dikhega ke main ne 2011 ke badle 2010 likha hai aur 7 saal ke badle 6 saal likha hua hai Shweta aur Abhi ke rishte ko….

Aaj ke update se ap log samajh jaoge mujhse yeh ghalati kyun aur kaise ho gayi thi kyunke yeh 2011 hi tha jiss mein aisa kuch hua ta iss liye mere dimagh mein 2011 bassa hua tha aur wohi likh diya tha kal ke update mein. Sorry for that mistake which I corrected later.

To November 1st 2010 ko Manoj accident mein mara gaya tha aur December mein Abhi ko pata chala jiss se wo bahot affect hue the iss liye ke khud ko guilty feel karne laga tha iss liye ke ussne badd duah diya tha uss bus stop par aur exactly wahin Manoj ki death hui aur bahot buri tarah ki death hui thi.

December end hua, 2011 start hua…. Abhi restless, bechain rehne laga Manoj ko soch kar, usske vidhwa wife aur chhote bachon ko soch kar…. Wo unn logon ka financial help karna chahta tha…. chaahe wahan nahin jata magar apne company ki taraf se kissi ko bhej kar Manoj ki wife aur bachon ko financial help karne ko soch raha tha.

Aur wo Abhi ne successfully kiya. Apne accountant aur usske assistant ko udhar bheja company ke taraf se, magar Abruhi company ke taraf se nahin, varna unn logon ko pata chal jata …. Abhi ne ek virtual company create kiya jo gharibon ke help ke liye banayaa Abhi ne aur uss company ke taraf se financial help bheja Manoj ke family ke liye. Abhi bilkool anonymous raha uss mein. Wahan par kissi ko bhi pata nahin chala ke Abhi ne help kiya unn logon ki. Aur agar Abruhi company ke taraf se help karta tab to sabko pata chal jata ke Abhi ne financial help diya tha….

Yeh baat Abhi ne shweta ko bhi nahin bataya….. Abhi Shweta se bhi nahin mila 2011 ke March mahine tak, haan phone se baat aur messages hote the….

Phir April mein kyunke Abhi ka birthday ata hai tab Abhi Shweta mile aur fir milne lage pehle ki tarah aur sab thoda mamool par agaya Abhi ke liye….. financial help karne ke baad Abhi ko sukoon haasil hua Manoj wale baat ko lekar.

Ab kuch aise hone wala tha jiss ke baad, Shwetha ke liye bahut bura hua aur wo khud ko kossne lagi ke kyun ussne aaj tal Abhi ko wo raaz nahin bataayi….

Shweta ke zarye nahin Abhi ko Ruhi se sab sach ka pata chala!!

Abhi aur Ruhi mile 2011 mein!! June ka mahina tha….. donon 24 December 1986 ke baad 2011 ke June mahine mein mile… 25 saal baad!!! Kia aalam tha!!! kia rona dhona hua- kaise mile? Kahan mile? Kia hua? Okay sab araam se batata hoon nah!!:D

Abhi Manoj ke maut ke baad sochne laga ke kabhi bhi usska bhi death ho sakta hai achanak… to ussne khud se kaha ke “marne se pehle ek baar Ruhi se mil leta to mujhe sukoon milta, Ruhi ko wo diaries padhne ko zaroor dena hoga, ussko bhi marne se pehle pata chalna chahiye mujh par kia guzra tha unn dinon…. Bus ek baar sirf Ruhi se mil leta main marne se pehle!!”

June mahine mein Abhi achanak ek din Mahesh se mila kareeb 7 ya 8 saal baad, wo ab police inspector ban gaya tha. Milte hi sab se pehli baat jo Abhi ne kiya wo tha Manoj ki death ki sympathy pesh karna Mahesh ko. Aur ab Mahesh bhi shadi shuda tha aur baap tha teen bachon ke. Mahesh ne Abhi se kaha,

“Abhi bhai, hum bahot dinon baad mile hein aaj chalo ek chai pite hein uss hotel mein baith kar kuch baatein karte hein.”

Abhi raazi hua. Assal mein Abhi ne aaj dil mein yeh soch liya tha ke aaj wo Mahesh se Ruhi ka haal puchega.

To donon baithe, ek ek cup chai ke saath. Abhi Mahesh ke chehre mein dekh raha tha, mature ho gaya tha Mahesh ab, usske chehre mein wo tenderness nahin thi ab jo Abhi Hamesha dekha karta tha Mahesh ke chehre mein, magar wo gentleness ab bhi tha Mahesh mein. Mahesh kuch kehna chahta tha Abhi se magar Abhi ko dikh gaya tha ke Mahesh jhijhak raha hai ya samajh nahin raha hai ke kaise shuru karen, iss liye Abhi ne hi baat kiya yeh keh kar;

“are Mahesh kyun jhijhak rahe ho kaho nah jo kehna hai we are two men talking yaar, ghabra rahe ho ya kissi baat ka darr hai? Kaho nah bhai!”

Mahesh ne muskuraya, aur Abhi ke chehre mein laal chehre se kaha,

“Bhai last time jitney baar bhi main aap se mila tha to Ruhi ko bataya tha. Ruhi har baar kehti rahi ke agle bar aap se milun to aap ko ghar aane ko kahun, magar har baar aap agle baar milte the to hum mein sirf casual baat hote aur mujh mein himmat nahin hoti thi aap se ghar aane ko kehne ke liye, iss liye ke jiss tarah se aap ko ghar se nikala gaya tha main hamesha sochta tha ke aap inkaar karoge aane se….”

Abhi ke jism mein ek thartharaahat si hui Mahesh ki baton ko sun kar…. Ek afsos bhi hua ussko aur uss din ko socha jiss din wo uss pump station par gaya tha aur phir wapas nahin gaya…. Ruhi ne ussko bulaya tha wo bhi koyi 17 saal pehle aur Abhi gaya hi nahin…. Itna afsos ho raha tha Abhi ko…. Usske Aankhen bhar aaye Mahesh ko dekhte hue aur iss se pehle ke Abhi kuch kehta Mahesh ne sar niche jhukaate hue kaha,

“Bhai hum sab aap ke gunehgaar hein, aap ka dil toda tha hum sab ne, kusoor mera bhi hai ke uss din main ne kuch nahin kaha tha, chhup raha tha uss din halaan ke main Ruhi ko bahot pyar karta hoon magar uss roz usske liye kuch nahin kar paaya tha, bhai Manoj bada bhai tha mera iss liye usske saamne main kuch nahin bol saka tha…. bhai ussne bahot ghalat kiya tha aap ke saath sabko pata hai ghar mein….. Ruhi bahot royi thi aur 5 saal tak Manoj se baat nahin kiya tha uss din ke baad…. Bhai jab Manoj mara to ghar mein sab ne yehi kaha ke ussko aap ki aur Ruhi ke dil todne ka saza mili….. Manoj ki wife aap ko nahin jaanti magar Ruhi ne usskko sab kuch bata diya tha shadi ke baad ke khud Manoj ki wife ne bhi kaha ke aap ki aur Ruhi ki badd duah lagi Manoj ko…… Abhi bhai hum sab ko maaf kardo please….. aap ghar chaliye nah Ruhi aap ka intezaar kar rahi hai barson se!!”

Abhi jaise emotional aadmi kia yeh sab sunkar bina roye reh sakta tha……? nahin nah? usske aakhon se jharr jharr aansoo behne lage the aur khud Mahesh ne bhi ro diye yeh sab kehte hue….

Kaampte honton se Abhi ne pucha,

“kaisi hai meri Ruhi Mahesh?”

Mahesh: “Aap chal kar khud dekh lijiye nah bhai! Har baar jab aap se mila hoon to ussko bataya, wo naraaz hoti ke iss baar kyun nahin bulaya aap ko… hum shayad 5 ya 6 baar mile hein nah? to unn paanchon baar Ruhi mujhse rote hue aap ko kehne ko kaha ke ussne aap ko bulaya hai…. Usske taraf se bulawa hai bhai chaloge nah aap?! - aur ab Manoj bhi nahin hai aap ko kuch kehne ke liye….”

Abhi: “25 saal baad uss ghar mein jana padega mujhe Mahesh? Wo aangan, wo ghar, wo kapde dhone wala pathar, wo gulab ka bagicha… sab weise hi hein aaj bhi kia?”

Mahesh: “chalo nah bhai, khud chal kar dekh lo…. Sab kuch badal gaya hai ab…. Jahan wo bagicha tha wahan mera ghar hai aur Ruhi mere saath hi rehti hai…. Jahan pehle hamara ghar tha wahan mummy papa rehte hein aur upar Manoj rehta tha aur ab usski wife aur bache hein!! Sab kuch badal gaya hein piche 25 Saalon mein bhai….”

Bina chai khatam kiye Abhi ne kaha,

“Chalo bhai chalte hein aaj phir uss gali mein jahan jaana chorr diya tha!”

Mahesh police ki car mein tha, Abhi ne ussko follow kiya apne car se…. 14 kms drive karna tha aur 15 mins mein reach ho gaye..

Uss aagan mein pehle Mahesh gaya aur usske piche Abhi ne apne car ko kiya aur ussko sab naya lag raha tha kuch bhi weisa nahin tha…. bilkool alag jagah tha… wo aangan ab sirf ek lamba sa lane ban gaya tha… har kissi ne ek ek ghar bana liya tha donon taraf right side aur left side mein bhi…. Jo space tha pehle kitchen aur Mehboob ke ghar ke beech wo ab tha hi nahin…. Jahan Ruhi ki kitchen hua karta tha aaj ek garage tha, jahan bagicha tha ab Mahesh ka ghar tha, haan Mehboob ka ghar ab bhi wohi tha, magar Ruhi ka purana tin aur ladki wala ghar ab concrete ka bara ek mala wala ghar tha, niche Ruhi ke parents rehte the aur upar Manoj ki wife aur bache…. Wo lane ab asphalted tha… naya naya asphalted lag raha tha… jo bada sa peyr hua karta tha jiss ke niche bus tha wo peyr ab exist hi nahin karta tha…. koi bus bhi nahin tha kahin…. Ek Toyota Hiace 15 seater jo naya lag raha tha wo lane ke aakhri end par tha, maan lo Ruhi ke old kitchen ke bhi baad mein….. jo feeling Abhi paana chahta tha wo bilkool bhi nahin mila ussko…wo fiza nahin thi, wo hawa nahin the, wo sukoon nahin thi uss lane mein jo unn dinon uss aangan mein hua karta tha…. sab kuch badla badla sa tha jaise kissi aur jagah pahunch gaya tha Abhi…..

Abhi apni zehen mein aaj bhi uss aanagn ko weisa hi sochta tha jaise chorra tha 25 saal pehle…. Ussko bilkool bhi nahin pata tha itna badlaav agaya hoga uss aangan mein …. Last time bhi jab 8 saal ke baad aya tha pump station par tab tak to sab baraabar tha…. magar aaj sab kuch bilkool hi alag tha….

Mahesh apne police car se utra aur Abhi ke karib aakar dhire se kaha,

“Main ussko surprise karunga, aap kuch mat bolna aap ko usske saamne khada karunga okay?!”

Abhi ne ek gehri saans li…. Usska dil zoron se dhadakne laga tha, haath peyr thoda kaampne lage the, phir bhi ek naya bana hua ghar ke darwaze se enter kiya Abhi ne Mahesh ke piche…. Aur jiss waqt Abhi andar jaa raha tha ek adher aadmi nikla ussi ghar se jissne Abhi ke chehre mein dekha, Abhi ne bhi ussko dekha thoda sa daadhi tha aadmi ka, aur wo Ruhi ke pehle wale ghar ke taraf gaye, aur terrace se hokar uss ghar mein gaya tab Abhi ne yaad kiya ke wo zaroor Ruhi ke pita hoga…. Ab bhi zinda hai wo Abhi ne socha!

Mahesh ne Abhi ko corridor mein wait karne ko kaha, aur ek kamre mein gaya aur kaha,

“Dekho to kaun aya hai pehchanon isse!”

Tab Mahesh ne Abhi ka haath pakar ke kamre ke andar kiya….

Abhi ke saamne ek patli si aurat ek wheelchair par baithi chasme ke saath Abhi ke chehre mein dekh rahi thi!!!”

To be continued…. (2134 words)
 
Last edited:

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
8,709
35,200
219
Bhai itna julm mat karo.... Ek aur update de do.... Kam se kam ruhi aur abhi ki mulakat to ho jane do
Isi pal ka intzar 25 sal se tha....
Pahle jab abhi fuel station par message chhodkar aya tha tab bhi ruhi ko shayad spinal ya tang me kuchh problem thi.. Kyonki us station par ruhi support stick ke sath jaya karti thi... Abhi ke bare mein poonchhne
Ab shayad uske pair (feet) bekar ho chuke hain....

Plz update more... Now
 
Sunil Ek Musafir

Donate to PM-CARES Fund....
Supreme
8,159
13,751
143
Ruhi ki haalat kya hogi Abhi ko saamne dekh ker???? Aur Abhi bhi kaisa feel karega???

I just cant imagine.... Rather.... Dont want to imagine....

Kaleja fatne ko aa raha hai mera... Wo manjar ko visualise karne ke khayaal se hi.... Foot foot ke rone ko man kar raha hai... kisi tarah se roka hua hun apne aapko... kyunki is waqt apne office mein baitha hun....
Lekin ankhon se bahte aansuon per mera koi jor nahin chal raha...
 
Chinturocky

Well-Known Member
4,397
12,810
158
Bahut der kar di mehama aate aate.
Waise to ruhi bhi aa sakti thi.
Fir bhi dekho aage kya hota hai.
Abhi aur Navina ka rishta Kaisa raha bataya nahi.
Is kahani me galti kisi ki nahi per sabhi doshi hai sirf Navina ko chhod kar.
Kal ke update ka besabari se intzaar hai.
 
aman rathore

Enigma ke pankhe
4,853
20,198
158
Update 58 Abhi Meets Mahesh And ???

Dosto kal wale update mein main ne date lekar ek ghalati kiya tha 2010 be badle 2011 likha tha, aur Sweta ke saath guzare 6 saal ko 7 saal likha tha. Wo hua yeh tha ke December 2010 ki baat ho raha tha aur main kyunke December tha iss liye agle saal 2011 ko soch raha tha, dimagh mein 2011 bassa hua tha so likh diya tha, weise 2011 mein bhi Shweta ke saath tha Abhi to 7 saal hi hote hein magar pura saal nahin tha iss liye ke beech 2011 mein hi kuch aisa hua jo nah Shweta ne socha tha aur nah khud Abhi ne socha tha weisa kuch hoga kabhi….

To kal jinn logon ne mere edit karke correct karne se pehle updates padh liye the unnko ab dikhega ke main ne 2011 ke badle 2010 likha hai aur 7 saal ke badle 6 saal likha hua hai Shweta aur Abhi ke rishte ko….

Aaj ke update se ap log samajh jaoge mujhse yeh ghalati kyun aur kaise ho gayi thi kyunke yeh 2011 hi tha jiss mein aisa kuch hua ta iss liye mere dimagh mein 2011 bassa hua tha aur wohi likh diya tha kal ke update mein. Sorry for that mistake which I corrected later.

To November 1st 2010 ko Manoj accident mein mara gaya tha aur December mein Abhi ko pata chala jiss se wo bahot affect hue the iss liye ke khud ko guilty feel karne laga tha iss liye ke ussne badd duah diya tha uss bus stop par aur exactly wahin Manoj ki death hui aur bahot buri tarah ki death hui thi.

December end hua, 2011 start hua…. Abhi restless, bechain rehne laga Manoj ko soch kar, usske vidhwa wife aur chhote bachon ko soch kar…. Wo unn logon ka financial help karna chahta tha…. chaahe wahan nahin jata magar apne company ki taraf se kissi ko bhej kar Manoj ki wife aur bachon ko financial help karne ko soch raha tha.

Aur wo Abhi ne successfully kiya. Apne accountant aur usske assistant ko udhar bheja company ke taraf se, magar Abruhi company ke taraf se nahin, varna unn logon ko pata chal jata …. Abhi ne ek virtual company create kiya jo gharibon ke help ke liye banayaa Abhi ne aur uss company ke taraf se financial help bheja Manoj ke family ke liye. Abhi bilkool anonymous raha uss mein. Wahan par kissi ko bhi pata nahin chala ke Abhi ne help kiya unn logon ki. Aur agar Abruhi company ke taraf se help karta tab to sabko pata chal jata ke Abhi ne financial help diya tha….

Yeh baat Abhi ne shweta ko bhi nahin bataya….. Abhi Shweta se bhi nahin mila 2011 ke March mahine tak, haan phone se baat aur messages hote the….

Phir April mein kyunke Abhi ka birthday ata hai tab Abhi Shweta mile aur fir milne lage pehle ki tarah aur sab thoda mamool par agaya Abhi ke liye….. financial help karne ke baad Abhi ko sukoon haasil hua Manoj wale baat ko lekar.

Ab kuch aise hone wala tha jiss ke baad, Shwetha ke liye bahut bura hua aur wo khud ko kossne lagi ke kyun ussne aaj tal Abhi ko wo raaz nahin bataayi….

Shweta ke zarye nahin Abhi ko Ruhi se sab sach ka pata chala!!

Abhi aur Ruhi mile 2011 mein!! June ka mahina tha….. donon 24 December 1986 ke baad 2011 ke June mahine mein mile… 25 saal baad!!! Kia aalam tha!!! kia rona dhona hua- kaise mile? Kahan mile? Kia hua? Okay sab araam se batata hoon nah!!:D

Abhi Manoj ke maut ke baad sochne laga ke kabhi bhi usska bhi death ho sakta hai achanak… to ussne khud se kaha ke “marne se pehle ek baar Ruhi se mil leta to mujhe sukoon milta, Ruhi ko wo diaries padhne ko zaroor dena hoga, ussko bhi marne se pehle pata chalna chahiye mujh par kia guzra tha unn dinon…. Bus ek baar sirf Ruhi se mil leta main marne se pehle!!”

June mahine mein Abhi achanak ek din Mahesh se mila kareeb 7 ya 8 saal baad, wo ab police inspector ban gaya tha. Milte hi sab se pehli baat jo Abhi ne kiya wo tha Manoj ki death ki sympathy pesh karna Mahesh ko. Aur ab Mahesh bhi shadi shuda tha aur baap tha teen bachon ke. Mahesh ne Abhi se kaha,

“Abhi bhai, hum bahot dinon baad mile hein aaj chalo ek chai pite hein uss hotel mein baith kar kuch baatein karte hein.”

Abhi raazi hua. Assal mein Abhi ne aaj dil mein yeh soch liya tha ke aaj wo Mahesh se Ruhi ka haal puchega.

To donon baithe, ek ek cup chai ke saath. Abhi Mahesh ke chehre mein dekh raha tha, mature ho gaya tha Mahesh ab, usske chehre mein wo tenderness nahin thi ab jo Abhi Hamesha dekha karta tha Mahesh ke chehre mein, magar wo gentleness ab bhi tha Mahesh mein. Mahesh kuch kehna chahta tha Abhi se magar Abhi ko dikh gaya tha ke Mahesh jhijhak raha hai ya samajh nahin raha hai ke kaise shuru karen, iss liye Abhi ne hi baat kiya yeh keh kar;

“are Mahesh kyun jhijhak rahe ho kaho nah jo kehna hai we are two men talking yaar, ghabra rahe ho ya kissi baat ka darr hai? Kaho nah bhai!”

Mahesh ne muskuraya, aur Abhi ke chehre mein laal chehre se kaha,

“Bhai last time jitney baar bhi main aap se mila tha to Ruhi ko bataya tha. Ruhi har baar kehti rahi ke agle bar aap se milun to aap ko ghar aane ko kahun, magar har baar aap agle baar milte the to hum mein sirf casual baat hote aur mujh mein himmat nahin hoti thi aap se ghar aane ko kehne ke liye, iss liye ke jiss tarah se aap ko ghar se nikala gaya tha main hamesha sochta tha ke aap inkaar karoge aane se….”

Abhi ke jism mein ek thartharaahat si hui Mahesh ki baton ko sun kar…. Ek afsos bhi hua ussko aur uss din ko socha jiss din wo uss pump station par gaya tha aur phir wapas nahin gaya…. Ruhi ne ussko bulaya tha wo bhi koyi 17 saal pehle aur Abhi gaya hi nahin…. Itna afsos ho raha tha Abhi ko…. Usske Aankhen bhar aaye Mahesh ko dekhte hue aur iss se pehle ke Abhi kuch kehta Mahesh ne sar niche jhukaate hue kaha,

“Bhai hum sab aap ke gunehgaar hein, aap ka dil toda tha hum sab ne, kusoor mera bhi hai ke uss din main ne kuch nahin kaha tha, chhup raha tha uss din halaan ke main Ruhi ko bahot pyar karta hoon magar uss roz usske liye kuch nahin kar paaya tha, bhai Manoj bada bhai tha mera iss liye usske saamne main kuch nahin bol saka tha…. bhai ussne bahot ghalat kiya tha aap ke saath sabko pata hai ghar mein….. Ruhi bahot royi thi aur 5 saal tak Manoj se baat nahin kiya tha uss din ke baad…. Bhai jab Manoj mara to ghar mein sab ne yehi kaha ke ussko aap ki aur Ruhi ke dil todne ka saza mili….. Manoj ki wife aap ko nahin jaanti magar Ruhi ne usskko sab kuch bata diya tha shadi ke baad ke khud Manoj ki wife ne bhi kaha ke aap ki aur Ruhi ki badd duah lagi Manoj ko…… Abhi bhai hum sab ko maaf kardo please….. aap ghar chaliye nah Ruhi aap ka intezaar kar rahi hai barson se!!”

Abhi jaise emotional aadmi kia yeh sab sunkar bina roye reh sakta tha……? nahin nah? usske aakhon se jharr jharr aansoo behne lage the aur khud Mahesh ne bhi ro diye yeh sab kehte hue….

Kaampte honton se Abhi ne pucha,

“kaisi hai meri Ruhi Mahesh?”

Mahesh: “Aap chal kar khud dekh lijiye nah bhai! Har baar jab aap se mila hoon to ussko bataya, wo naraaz hoti ke iss baar kyun nahin bulaya aap ko… hum shayad 5 ya 6 baar mile hein nah? to unn paanchon baar Ruhi mujhse rote hue aap ko kehne ko kaha ke ussne aap ko bulaya hai…. Usske taraf se bulawa hai bhai chaloge nah aap?! - aur ab Manoj bhi nahin hai aap ko kuch kehne ke liye….”

Abhi: “25 saal baad uss ghar mein jana padega mujhe Mahesh? Wo aangan, wo ghar, wo kapde dhone wala pathar, wo gulab ka bagicha… sab weise hi hein aaj bhi kia?”

Mahesh: “chalo nah bhai, khud chal kar dekh lo…. Sab kuch badal gaya hai ab…. Jahan wo bagicha tha wahan mera ghar hai aur Ruhi mere saath hi rehti hai…. Jahan pehle hamara ghar tha wahan mummy papa rehte hein aur upar Manoj rehta tha aur ab usski wife aur bache hein!! Sab kuch badal gaya hein piche 25 Saalon mein bhai….”

Bina chai khatam kiye Abhi ne kaha,

“Chalo bhai chalte hein aaj phir uss gali mein jahan jaana chorr diya tha!”

Mahesh police ki car mein tha, Abhi ne ussko follow kiya apne car se…. 14 kms drive karna tha aur 15 mins mein reach ho gaye..

Uss aagan mein pehle Mahesh gaya aur usske piche Abhi ne apne car ko kiya aur ussko sab naya lag raha tha kuch bhi weisa nahin tha…. bilkool alag jagah tha… wo aangan ab sirf ek lamba sa lane ban gaya tha… har kissi ne ek ek ghar bana liya tha donon taraf right side aur left side mein bhi…. Jo space tha pehle kitchen aur Mehboob ke ghar ke beech wo ab tha hi nahin…. Jahan Ruhi ki kitchen hua karta tha aaj ek garage tha, jahan bagicha tha ab Mahesh ka ghar tha, haan Mehboob ka ghar ab bhi wohi tha, magar Ruhi ka purana tin aur ladki wala ghar ab concrete ka bara ek mala wala ghar tha, niche Ruhi ke parents rehte the aur upar Manoj ki wife aur bache…. Wo lane ab asphalted tha… naya naya asphalted lag raha tha… jo bada sa peyr hua karta tha jiss ke niche bus tha wo peyr ab exist hi nahin karta tha…. koi bus bhi nahin tha kahin…. Ek Toyota Hiace 15 seater jo naya lag raha tha wo lane ke aakhri end par tha, maan lo Ruhi ke old kitchen ke bhi baad mein….. jo feeling Abhi paana chahta tha wo bilkool bhi nahin mila ussko…wo fiza nahin thi, wo hawa nahin the, wo sukoon nahin thi uss lane mein jo unn dinon uss aangan mein hua karta tha…. sab kuch badla badla sa tha jaise kissi aur jagah pahunch gaya tha Abhi…..

Abhi apni zehen mein aaj bhi uss aanagn ko weisa hi sochta tha jaise chorra tha 25 saal pehle…. Ussko bilkool bhi nahin pata tha itna badlaav agaya hoga uss aangan mein …. Last time bhi jab 8 saal ke baad aya tha pump station par tab tak to sab baraabar tha…. magar aaj sab kuch bilkool hi alag tha….

Mahesh apne police car se utra aur Abhi ke karib aakar dhire se kaha,

“Main ussko surprise karunga, aap kuch mat bolna aap ko usske saamne khada karunga okay?!”

Abhi ne ek gehri saans li…. Usska dil zoron se dhadakne laga tha, haath peyr thoda kaampne lage the, phir bhi ek naya bana hua ghar ke darwaze se enter kiya Abhi ne Mahesh ke piche…. Aur jiss waqt Abhi andar jaa raha tha ek adher aadmi nikla ussi ghar se jissne Abhi ke chehre mein dekha, Abhi ne bhi ussko dekha thoda sa daadhi tha aadmi ka, aur wo Ruhi ke pehle wale ghar ke taraf gaye, aur terrace se hokar uss ghar mein gaya tab Abhi ne yaad kiya ke wo zaroor Ruhi ke pita hoga…. Ab bhi zinda hai wo Abhi ne socha!

Mahesh ne Abhi ko corridor mein wait karne ko kaha, aur ek kamre mein gaya aur kaha,

“Dekho to kaun aya hai pehchanon isse!”

Tab Mahesh ne Abhi ka haath pakar ke kamre ke andar kiya….

Abhi ke saamne ek patli si aurat ek wheelchair par baithi chasme ke saath Abhi ke chehre mein dekh rahi thi!!!”

To be continued…. (2134 words)
:reading1:
 
:superb::good: awesome update casi bhai,
behad hi shandaar, lajawab aur amazing update hai bhai,
Ye ruhi ne apni kya haalat bana li hai,
pichhli baar to stick lekar chal rahi thi lekin ab to wheelchair par aa gayi hai,
ruhi ke jaise hi uss angan ki bhi saari sukoon chali gayi hai,
kahan to ruhi kisi aur se shaadi karne waali thi aur abhi uska intazar karne wala tha,
lekin yahan ulta hi ho gaya abhi to apni jindagi mein aage badh gaya lekin ruhi ab tak uska intazar kar rahi hai,
agar aisa hi tha to ruhi ne ek baar bhi abhi se contact karne ki kosish kyun nahi ki,
Kyunki abhi ne to kuchh jyada hi kosish kar liya tha ruhi se shadi karne ka,
lekin aisa kya hua jo ruhi ek baar bhi abhi se contact nahi kar paayi,
ab dekhte hain ki aage kya hota hai,
Waiting for next update
 
Rahul

Kingkong
60,514
70,677
354
awesome update ruhi ka ke haal kaise hua kyun hua kya isme bhi koi sazish thi abhi jo 25 shaal tak jalta raha tadapta raha gharwale bade log ho gaye sab badal gaya ab wahan abhi ka kuch bhi na raha fir bhi kuch to hai jo abhi samne aana baki hai jo hum nahi jante kya hai
 
Top