Karma ka concept work karta hai bhai.... Bilkul karta hai.... 100% karta hai....Maine apni life mein kayi baar ye mahsoos kiya hai....
Main nahin batana chahta tha kisi ko bhi... Lekin ek proof to kal ka hi hai mere saamne.... Ek majboor aur besahara aurat 3 din pahle mere paas aayi thi... Us ne mujhse kuchh help maangi taki us ke bachchon ki school fee deposit kar sake... jise ki wo mujhe dhire dhire lauta degi...
Halanki wo aurat bahut gareeb hai... Lekin bachchon ki padhayi wo ek bahut hi achchhe school se karwa rahi hai...
Maine kal hi us ke account mein 20K transfer kiye.... Aur mujhe khud yakeen nahin ho raha ki us ke 15 minutes baad hi mere Papa ka phone aaya.... Unhone bataya ki ek sajjan... Jo ki mere dur ke rishtedaar bhi hain... aur jinko maine koi 3 saal pahle 50K diye the..... Aur unka attitude dekh ker main us amount ko apni taraf se write off hi kar chuka tha... Kyunki main rishtedaari mein Paisa nahin laana chahta tha... Warna kisi se paisa wasool karna mere liye baayen haath ka khel hai.... Even maine Papa Ko bhi nahin bataya tha is baare mein....
Papa ne bataya ki wo aaye huye hain ghar pe aur 50K ka ek chq diya hai mere naam ka... aur bol rahe hain ki interest ka hisaab kaise karna hai... I was stunned by hearing this... But at the very next moment, I remembered the concept of Karma....
Aur bhi bahut se incidents hain... Bataane lagunga to ek book hi likhi jaa sakti hai....
bahot bahot shukriya sunil bhai
khaas kar apne personal experience share karne ke liye aur bhi thanks dost