Update 64 Abhi Handled The Matter
Aruhi: “to aap mere papa ho nah? aap kyun hamare saath nahin rehte aur ek hi din ko kuch der ke liye hi aate ho? mummy akeli rehti hai, mujhe darr lagti hai, papa aap sath hote ho tab mujhe darr nahin lagta. Mummy ko akeli mat chorro please papa!”
Abhi rone laga Aruhi ko seene se chipkaate hue, Aur Shweta ko ek haath se apne paas kiya aur ussko bhi seene se laga liya usski maatha chhumte hue.
Ab AAguey…
Kahan Abhi aya tha Rishta todne yahan ek naya Rishta ban gaya Aruhi ke saath. Abhi ab sach mein phanss gaya tha.
Abhi Aruhi ko sula kar, phir niche lounge mein gaya, Shweta usske piche gayi aur donon sofe par baithe. Shweta ka sar Abhi ke seene par tha aur Abhi soch mein dooba hua tha.
Khamoshi todte hue Shweta ne pucha,
“Kia aap sach mein hamesha ke liye mujhe chorr kar jaa rahe the?”
Abhi ne apne chehre par haath malte hue kaha,
“Socha to wohi karne ko tha, magar yeh bilkool nahin socha tha ke ek naya Rishta ban jaega yahan! Yaar ussne mujhe papa kaise keh diya? Samajh mein nahin araha mujhe!”
Shweta: “magar mere samjh mein agaya”
Abhi: “kia? Kyun Aruhi ne papa kaha mujhe?!”
Shweta: “Abhi kia ussne kabhi apne papa ko dekha hai? Nahin nah? kissko dekha ussne apne saamne hosh sambhaalte hue? Sirf aap ko dekha hai baby thi tabse… jinn dinon wo mere kamre mein soti thi aur aap mere saath mere bed par rehte the to usko pata hota tha nah? To kia samjhegi wo? Yehi nah ke main aur aap husband wife hein? To aap ko papa hi to samjhegi nah?!”
Abhi: “ussne kabhi tumse pucha ke main kyun nahin rehta hoon har roz ghar mein?!”
Shweta: “nahin kabhi nahin pucha ussne magar aap ko ek chiz dikhati hoon wait!”
Shweta ne Aruhi ki drawings mein se ek page dikhaya Abhi ko jiss mein ek cartoon jaisa kuch tha magar uss par Aruhi ne likha tha – “mere papa door kaam karte hein wo kayi dinon tak ghar nahin ate, aate hein to jaldi chale jaate, pata nahin kaun sa kaam karte hein mere papa!”
Abhi ne bhare hue aankhon se padha aur aur Shweta ke chehre mein dekhte hue kaha,
“Wo samajhti hai ke main usska papa hoon aur kahin door kaam par chala jaata hoon!! Oh God, poor baby!”
Shweta ne phir Abhi ke seene se lagte hue pucha,
“Ruhi di ne aap ko kia bataya? Batao mujhe please!”
Abhi: “yehi ke tum usski beti ho! aur kia batayegi?!”
Shweta: “Aur aap iss liye mujhe chorr dena chahte the kyunke wo meri maa hai? Abhi wo aap ki patni to nahin nah to main aap ki beti bhi nahin to aap ko kiss baat ka darr hai hamare rishte ko lekar?!”
Abhi: “Shweta, tum usski beti ho jiss aurat se main behad pyar karta hoon…. Aur uss waqt agar meri shaadi usske saath ho gayi hoti to tum meri beti hi hoti nah?!”
Shweta: “Aur aap samajhte ho ke agar 1986 mein aap ki uss se shaadi ho gayi hoti to kia aap ko pata chal gaya hota ke main uski beti hoon? Tab bhi aap mujhko usski cousin sister hi samajhte, kyunke mujhko to 18 saal hone ke baad pata chala, main bhi to ussko cousin hi samajhti rahi thi 18 saal tak”
Abhi: “Shweta, agar meri uss se shaadi hoti to shaadi se pehle wo mujhe bata deti ke tum usski beti ho…. aur tab main kisi kimat par tumko apne saath lejata apne ghar apni beti bana kar!”
Shweta: “aap weisa nahin kar paate Abhi. Legally main Ruhi di ki beti hoon hi nahin, mera birth certificate par meri mummy yeh hai, yahan ki nurse, aur usska husband mera baap hai, to aap mujhe kaise apne saath lejaate? Kabhi nahin lejaa paate aap mujhe, main yahin rehti, kanoonan main yahan iss ghar ki beti hoon aur iss aurat ne mujhe janam diya hai Ruhi di ne nahin!”
Abhi chhup ho gaya kyunke Shweta sahi keh rahi thi.
Tab Shweta ne kaha,
“Aap ko mujh mein apni beti dikhta hai kia? Main aap ki beti to nahin nah? Aap mere pita to nahin? Hamara khoon ka Rishta hai hi nahin, aur aap ne meri maa se shadi bhi to kiya nahin to kyun aap ko fikar hai hamare rishte se Abhi?”
Abhi: “Aur kal ko agar main Ruhi se shaadi kar lun to?! Tab kia hoga?!”
Shweta: “Mera aur aap ka sambandh, jimson wala Ruhi se aap ka wapas milne se pehle start hui hai nah? To priority mera pehle banta hai uss lehaaz se, sahi hai nah? to phir?”
Abhi: “Shweta tum mujhe baton mein mat uljhao….. pata hai teacher ho, ek mere ghar par hai ek yahan, meri kismat mein teacher hi pade hue hein kia yaar!! Lecture dene lag jaate hein!!”
Shweta: “Hihihihihihihi , lecture nahin de rahi buss aise hi bol rahi hoon main… Acha chalo aap mujhe yeh batao kia aap Ruhi di se shaadi karne ka soch rahe ho? kia uss se shaadi karoge? Agar haan to mujhse kyun shaadi nahin kiya pichle 7 saalon mein hmmm?”
Abhi: “Nahin Shweta main chaah kar bhi Ruhi se shaadi kabhi nahin kar sakta, kyunke main Navina ko kabhi bhi dukh nahin de sakta. Navina ke hote hue main kabhi bhi kissi aur se shaadi karunga hi nahin, issi liye tumse nahin kiya nah!”
Shweta: “Here you go Abhi! Mujhe pata hai. Mujhe achchi tarah se pata hai ke Navina maam ke hote aap nahin karoge shadi Ruhi di se, aur issi liye main ne pichle 7 saalon mein aap ko mujhse shaadi ke liye nahin kaha, aise hi main khush hoon aap se, buss aap mere dil mein ho aur hum donon khush hein nah? haffte mein ek baar hi sahi mujhse milte ho, hum khush rehte hein , Aruhi ko affection milta hai ab baap wala pyar bhi milega usse, we are all three happy aur kia chahiye Abhi?!
Abhi: “Aur socha hai kabhi, agar kissi tarah kabhi Ruhi ko pata chala ke tum aur main ek saath hein? Main tumhare bistar par sota hoon, hum saath raat guzaarte hein pichle 7 saalon se tab kia hoga? Isske baare mein socha hai kabhi Shwetu?”
Shweta: “Abhi pichle 7 saalon mein Navina maam ko pata nahin chala to Ruhi di ko kaise pata chalega kabhi? Hum kitne precautions lete hein? Hum kitni saavdhaani barakte hein milne se pehle? Aur phir Ruhi di to kabhi kahin aati jaati bhi nahin to ussko kaise kabhi pata chalega Abhi?”
Abhi: “Agar kissi din aisa hua hum sab saath hue aur Aruhi ne mujhe usske samne papa bulaya to?!”
Yeh sun kar Shweta ko garam feel hua aur usske maathe par kuch pasine ki boondein nazar aaye.Tab Shweta ne kaha,
“Issi liye to main udhar jaati hi nahin kayi saal ho gaye uss se mili bhi nahin main! To ab hum sab kyun ek saath honge?!”
Abhi: “Tum apni maa ko bahot ghalat samajhti ho Shweta. Tumko pata bhi hai uss par kia guzri thi jab wo tumhare liye pregnant thi? Tumko pata bhi hai kinn haalaaton se guzri thi wo? Agar aaj Ruhi ki zindagi nark bani hai to sirf tumhaare ane se bani hai. Tumko janam dene ke liye ussko yahan aakar der saal rehna pada, tumko ek saal tak apnaa doodh pilaya, tumko chorr kar jaa rahi thi to tumko lekar bhaag jaane ka mann kiya tha usse….
Usske dil ke tukde ho gaye the tumse juda hote hue…. Ussne tumko janam diya magar maa koyi aur kehlaayi, ussne tumhare liye dukh jhele, apni parents ke nazar mein girr gayi, sab ke saamne guilty feel kiya… tumko anathalay, ya church, mandir, masjid ke saamne feinkne ko kaha gaya tha magar tumko apne chachi ko dekar tumhari life behtareen bahaayi ussne… tum usski life ki ek ghalati thi…. Ek bhool thi jo usski teenage mein ho gaya tha uss se jisska ussko pata bhi nahin chala ke kab kaise kia hua tha…..
Uss ek galati ki vajah se wo mujhse bhi pyar karte hue bhi jawani mein mujhse door hui kyunke usske parents ne uss se kaha ke jab Abhi ko pata chalega ke tu ek bachi ki maa hai to tujhko bad chalan samjhega… tujhse nafrat karega…. Iss liye wo mujhse bhi door hui, aur aaj tak door rahi kissi ko bhi nahin apna saki kyunke tu ghalati thi usski life ki…..
Qurbaaniyan di hai ussne apni puri life ki Shweta tumhare liye, tumhare khaatir aaj tak akeli hai Ruhi aur tu uss maa se badla le rahi thi? Mujhko apna kar tu uss se badla le rahi thi ke ussne tujhko maa ka pyar nahin diya? Tumko aisi maa ki charnon ko dhokar paani pina chahiye Shweta…. Ek misaal hai tumhari maa, uss se maafi mangni hogi tujhe aur usske pas wapas jaana hoga!”
Abhi ke baton ko sunkar Shweta fut fut kar rone lagi, phir shaant hone ke baad kaha,
“Abhi agar usske paas gayi to Aruhi ko bhi lejana papdega aur tab hum sab ek saath ek din mil jayenge aur tab hamare baare mein ussko pata chal jaega….. nahin Abhi mujhe uss se door hi rehne do nah tab hum donon hamesha saath reh sakte hein…”
Abhi: “Aisa kuch nahin hoga main ne soch liya hai sab kaise sambhaalna hai. Main khud tumko aur Aruhi ko saath lekar usske yahan jaunga kissi din… sab thik hoga dekh lena…. I have planned everything sweetheart. Abhi abhi dimaagh mein sab plan kiya main ne….”
Shweta ne heyraan hote hue Abhi ko ghaur se dekha aur kaha,
“What? Abhi kia keh rahe ho aap? Ussko sab pata chal jaega, aur Aruhi to ussko yeh kahegi ke aap usske papa ho aur tab kia jawaab doge aap ussko? Very bad idea Abhi, no this must not happen at all! Kahin aap ussko bataane wale to nahin ke hamara kia Rishta hai Abhi?”
Abhi: ”You don’t worry kuch ghalat ya bura nahin hoga, aur nahin ussko hamare bare mein koyi bhi shak nahin hoga, main sab sambhaal lunga, main sab sahi se plan karne ke baad tumko wahan lekar jaunga. Kuch nahin hoga don’t worry.”
Shweta: “Abhi hamara Rishta to nahin affect hoga nah? hum donon mein jaisa chal raha hai aisa hi chalta rahega nah my love? Agar aap se main bichdi to mar jaungi keh deti hoon main, main aapke baghair adhuri feel karti hoon, mujhe aap ke sath sukoon milti hai main khush rehti hoon, main araam se jeeti hoon kyunke mujhe pata hai mera koyi hai aur wo aap ho, to pehle aap promise karo ke aap aise hi mera rahoge, aur hum donon ka Rishta bilkool affect nahin hoga tab main chalungi aap ke saath wahan varna main nahin jaane wali uss se milne!”
Abhi ne Shweta ko zor se apne seene se chipkaate hue kaha,
“Are meri baby kyun fikar karti ho? kuch nahin hoga aur haan hum donon aise hi rahenge, aise hi milenge aur Ruhi ko kuch pata nahin chalega hamare rishte ke baare mein okay? I promise.”
Shweta: “Aur agar Aruhi ne aap ko papa bulaya wahan sabke saamne to?!”
Abhi: “Main khud sabko bataunga ke Aruhi meri beti hai!”
Shweta: “What? Oh My God! Aap wahan sabko bataane jaa rahe ho ke hamara sambandh hai Abhi?”
To be continued…. (2005 words)
Very interesting update.
Liked it really very much.
Shweta is right to say that she can still stay in a relationship with Abhi as Abhi is not at all related to her. Not only because Abhi once loved her mother and did stay away from her for 25 long years that, and met how now means that Abhi should stay away.
It means nothing if Shweta is Ruhi's daughter.
Let us assume that Abhi never knew Ruhi and met Shweta and had a relationship with her. Then would Ruhi hv been a problem? No, not at all. So its almost the same as Ruhi NEVER had anything with Abhi except that Abhi loved her BUT RUHI DID NOT. RUHI WAS LOOKING FOR WEALTH AND LUXURIES AND ABHI WAS POOR AND HAD A BAD JOB. RUHI LISTENED TO HER PARENTS AND REJECTED ABHI..... when she realised that Abhi was the right person for her it was too late. And for 25 yrs not even a single meeting took place between them. But 18 years aftet staying away from Ruhi Abhi met Shweta and they started having an affair so what does Ruhi come to do there?
Shweta is right, and thankfully Abhi agreed and thus now a child in Aruhi got a father. Persons like Abhi will be great dads. He is rich so Aruhi will hv a perfect life under the care of Abhi.
Now lets see what Abhi is planning for the future of all.
Great update Casinar. This is life.