• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Vengeance ~ Revenge is sweet [ᏚᎩᏚᎢᎬᎷ]

Who are your two favorite male characters in this story?


  • Total voters
    298

CFL7897

Be lazy
449
947
93
Life is Unpredictable, Kab kia ho jaye kon he jaane :good:

Reason to bata dia hai na :?: Aarav ki Orc King se fight ke waqt Bohat zada Mana Consume karne ki wajha se Uss ki body me Mana ki bhook ban gayi hai
Mere kahane ka matalab hai ki ...waps system ki duniya me wapas aane k bad bhi isabell ka mana recover nahi ho pa raha hai....kyu nahi ho raha eisa..iska karan abhi tak samne nahi aaya hai..
..
Baki Chotu Slime ke bare me bhi janane ko mila ki kaise uske sumudaye ka hunt kar liya gaya..

Vansh lagata hai apne sath sath..Arav ki gand tudwaye ga...ladki se..

Lagata hai kisi tarahka hallucation ho raha hai ..us area me jaha par aarav ka safe jone tha kyu ki jisko wo mar chuha tha wo bhi jinda dikh raha hai...aur uske sathi sool par tange hue...

Dekhate hai Arave is musibat se kaise ladta hai..

Shandar update bhai..
 
  • Like
Reactions: king cobra

Shanu

Deadman786
6,105
16,915
188
Congratulations for 💯 pages.... Bhai ☺️😊
 

achinsaha

I 🖤 🖤Darkness 🖤🖤
1,226
2,277
143
UPDATE 20 ~
(GIFT OR CURSE)


Darkvale Forest
92 Hours 17 Minutes Remaining


“Aarav!”



Aarav abhi apne saamne khari Haseena ko daikh he raha tha jab Achanak uss Haseena ne bina Aarav ki taraf daikhe uss ka naam pukara, Aarav apne khayalo ki duniya se baahir aya aur tez raftaar se uss taraf barha.



Aarav jaise he uss Haseena ke kareeb pohancha to uss ke haath me pakra Bow and Arrow daikhte he wo usse pehchaan gaya, Aarav sab se pehle Yoo-Jung ko Dhoondne me kamyaab ho gya tha.



Aarav ko daikhte he un creatures ne apna dhayan uss ki taraf bhi ker lia, Ek creature ne Aarav per jhapatna chaha per Aarav ne uss ke panje ko pakarte huwe usse saath wale ped per patak dia.



Creature ki dardnak cheekh pure Area me phel gayi, Aarav wanhi na ruka aur agle Creature ke muh per ek Zordar Punch maar deta hai aur uss ka skull tor deta hai.



Dono Creature he Dard se bilbilane lage, Aarav sirf khud ko bachane ke liye ye ker raha tha lekin phir bhi wo us dard ko nazarandaz nahi ker sakta tha, Wo kam se kam takleef ke saath unhe khatam karna chahta tha, Lekin bina kisi Weapon ke ye mushkil tha.


****


Sayani Mansion ~
Tsubame's Room




*Click*



Tsubame kamre ka darwaza band karti huwi andar aa gayi, Aarav Zameen per biche Carpet ke upar baitha huwa tha, Tsubame uss ke paas chali gayi.



Aarav ne apne kapre utaar diye aur wapis baith gaya, Tsubame uss ke peeche baitj gayi aur Aarav ki kamar per haath rakh Inner ki ko stable karne me Aarav ki madad karne lagi, Kuch pal dono khamooshi se baithe rahe.




Tsubame: Kia huwa? Aj tumhari Inner ki bikhri huwi hai! Kia kuch pareshani hai kia?



Aarav (Sigh): Huh! Kuch khaas nahi, Bus ye soch raha tha ke kitna acha hota agar main wo technique seekh pata, Lekin main sach me abhi uss ke layak nahi ban saka.



Tsubame ne apne haath Aarav ki kamar per pherte huwe sehlana shuru ker dia.



Tsubame: Tum Abhi tak ye he soch rahe ho? Main ne tumhe kaha hai na waqt ane per tum sab seekh lo gye.



Aarav: Leki-



Tsubame: Ssshhh! Kia tum ne chalne se pehle bhaagna seekha tha kia?




Tsubame ke sawal per Aarav ko chupi lag gayi, Uss ke paas koi bhi jawab nahi tha.



Tsubame: Jaise tum chalne se pehle bhaagna nahi seekh sakte, Waise he har cheez ka ek process hota hai! Tumhe pehle apni shaktiyo ko samajhna ho ga un ke saath ek hona ho ga phir he tum aage barh sakte ho, Agar tum chalang laga ker aage barhne ki koshis karo gye to airf muh ke bal giro gye he kuch seekh nahi sako gye.



Aarav: Hmm! Ap sahi keh rahi ho, *Smile* main he kuch zada sochne laga tha.



Aarav ne muskurate huwe kaha, Lekin abhi bhi wo satisfied nahi tha ye Tsubame mehsoos ker sakti thi, Aarav ne pehle he apni kamzoriyo ki wajha se kisi ko kho dia tha pichli baar, Iss baar wo kisi ko na khone ke liye itni mehnat ker raha tha.



Tsubame: Flash Steps! Ye ek secret aur Forbidden Technique me se ek hai, Forbidden iss liye kiu ke iss ko Istimaal karte huwe bohat se logo ne bhaari keemat chukai hai, Inner ki agar ek gift hai to saath me ek curse bhi hai, Aisa curse jis ko agar sahi se Istimaal na kia to koi apni zindgi bhi kho sakta hai.




Aarav (Curious): Aisa kiu?



Tsubame: Inner ki body me blood ke saath behti hai! Agar balance theek na huwa to User ka shareer phat sakta hai, Flash Steps me inner ki pure shareer me light ki speed se travel karti hai, Agar tum zabardasti Use karo gye to anjaam tumhari moat ho gi, Tumhe pehle Inner ki ko ek jagha focus karna seekhna ho ga.



****


Aarav ne kuch kadam peeche liye aur ek gehra saans bharte huwe apni ankhe band ker apne andar jhankne laga.



Aarav(Chant): Full Concentration!



Aarav ne apne ek haath ki kalayi ko dusre haath se pakar lia, Inner ki ko body me travel karne ke liye bohat zada dhayan ki zaroorat hoti hai, Aarav ek baar dobara apne andar Inner ki ke saamne khara huwa tha.



Apne haatho se Inner Ki ka ek hissa uss se alag karte huwe Aarav usse Balance karne laga, Inner Ki ke shant hote he Aarav usse Direct karne laga apne haath ki taraf jis ki kalayi uss ne pakri huwi thi.



Inner ki ko khoon ke beech me balance karte huwe ek raasta dete huwe Aarav apne haath me le jane laga, Blood aur Inner Ki ko balance karna mushkil to tha he lekin Aarav jaise Amateur ki ek galti se wo jaan ka khatra ban sakti thi.



Aarav: Ki Blade!



Aarav ke haath ke Gird Ki ka ek Aura ban gaya aur ek Blade ka roop lene laga, Ek Creature ne Aarav per jhapatna chaha Aarav ne ankhe utha ker uss ki taraf daikha aur agle he lamhe.



*Swishhhh*




[Congratulations! You have Successfully defeated the Dzanum monster]
098c8c566eefc97ef000731f73fd6478.jpg


Aarav ne peeche daikha to Dzanum ka sar uss ke dhar se alag tha, Ye badla nahi ja sakta tha ke wo mar gaya hai lekin uss ke akhri pal takleef bhare nahi the iss ki khushi thi Aarav ko,



Ki Blade! Ye ek technique thi jo Tsubame ne khud banayi thi, Ki Blade ke liye sirf ek jagha Concentrate karne ki zaroorat hoti thi jo Aarav ker sakta tha jis wajha se wo Ki Blade banane me safal ho gaya.



Aarav wahan ruka nahi aur kadam barhate huwe ek ke baad ek Dzanum ko khatam karta chala gaya, Ki Blade se Aarav ki movement me bohat Effect huwa tha lekin Dzanum jaise Monster ke liye utni Movement kafi thi.



*Swishhhh*



Ek Arrow Aarav ke paas se hote huwe ek Dzanum ko cheerte huwe nikal gaya aur dusre Dzanum ki Gardan per ja laga aur dono wanhi khatam ho gye, Aarav ne Yoo-Jung ki taraf daikha jo halke kadam peeche kheenchte huwe Arrow Shoot ker rahi thi, Har shoot ke saath 2 ya 3 Dzanum girte ja rahe the, Yoo-Jung ki nazre sab taraf ka dhayan rakh rahi thi, Lekin uss waqt uss ke chehre ki khubsoorti Mann moh dene wali thi.




Aarav ne Stance li aur bhaagte huwe apna raasta banate huwe Yoo-Jung ki taraf jaane laga, Abhi Dzanum ko khatam karne se zaroori ek dusre ki safety ko sure karna tha, Slide karte huwe Yoo-Jung ke peeche khare 4 Dzanum ko ek baar me kaat dia Aarav ne aur Yoo-Jung ke saamne khara ho gya.



Aarav: Tum bohat Khubsoorat ho!



Yoo-Jung: What?



Aarav (Blush): Kamal, Mera matlab kamal ki ho! Tum bohat kamal ki ho jis tarha tum lar rahi thi wo larne ka style kamal ka tha.



Yoo-Jung: Thanks! Lekin tumhe nahi lagta ye sab khatam hone ke baad kehna chahiye tumhe ye sab.



Aarav: Right! Situation kia hai?




Yoo-Jung: Ye Dzanum naam ke monster hai! Mere yahan ate he mujh per Attack ker dia tha inho ne, Main ne bhaagne ki koshis ki lekin ye soongh ker hamare peeche aa jate hai har baar, Yahan se nikalne ke liye hume in ka pura Nest he khatam karna ho ga.



Aarav: Theek hai! Ye sab khatam hone ke baad bakiyo ke baare me baat kare gye, Abhi jo zaroori hai uss per dhayan dete hai.



Aarav ne apni Ki Blade se Dzanum ko beech se kaatna shuru ker dia aur har lamhe ke saath un ko number me kam karta raha, Wanhi Yoo-Jung Deadly precision ke saath Arrow shoot karti rahi har Arrow ke saath Multiple Dzanum girte chale gye.



Dzanum aur gusse me un per jhund bana ker Attack karne lage, Lekin dono ne peeche hatne se inkar ker dia aur ek ek ker ke Dzanum ko maar girane lage, Aarav ki blade hawao ko cheerte huwe Dzanum ko tukro me baant rahi thi wanhi Yoo-Jung apne Arrow mare huwe Dzanum se nikalte huwe shoot ker rahi thi.



Dono ek dusre ke Blind Spots ko Cover karte huwe kisi toofan ki tarha Dzanum ka khatma karne per lage huwe the, Beech me kuch Dzanum ne bhaagna chaha per Yoo-Jung ne apni Eagle Eye ko Use karte huwe unhe bhaagne se pehle he khatam ker dia.


Akhir Battle jo ghanto chala wo apne Ant ko aa gaya, Aarav Akhri Dzanum ko uthate huwe usse bhi kaat deta hai, Ghanto larne ke baad dono ka stamina jawab dene ko aa gaya tha aur dono wanhi Zameen per gir gye, Tez chalti saanse iss cheez ka saboot the ke dono ne apna best dia tha.



Dono ne ek dusre ki taraf daikh aur un ke chehre per muskurahat aa gayi, Khushi ek dusre ko aur bhi taqat ko daikhne ki, Jo waqt unhe mila tha wo un dono ne barbaad nahi kia tha usse apni taqat barhane ke liye Istimaal kia tha.




Aarav: Ab kia karna hai? Bakiyo ko Dhoondne chalna hai kia?



Yoo-Jung: Nahi! Abhi hum kisi aur bare battle ko jeetne ke liye sahi nahi hai, Hume agar bakiyo ko bachana hai to pehle khud ko bachana ho ga.



Aarav (Nods): Right! Mujhe ek safe zone mila hai, Lekin Agar Daisuke aur Isabelle wahan tumhare paas gye to tumhe wahan na daikh ker aage barh sakte hai wo.



Yoo-Jung: Ye bhi ek possibility hai! Iss liye main ne yahan ate huwe raaste me kuch sign bana diye hai, Daisuke Professional hai wo unhe samajh jaye ga aur hamare peeche aa jaye ga.



Hamesha ki tarha Yoo-Jung sab Possibilities per dhayan de rahi thi, Ye kehna galat nahi ho ga ke Yoo-Jung un sab me se zada Samjhdar aur powerful thi, Agar kisi ke chances sab kuch survive karne ke zada the to wo Yoo-Jung ke the.



Stamina restore karne ke baad dono nikalne ke liye tayar ho gye, Dzanum ki body se Mana Stone nikal ker Aarav ke bag me rakhne ke baad dono Sign chorte huwe Safe Zone ki taraf chal diye.



****

Presbyterian Hospital
New York ~ 3:31 PM





Hospital ke kamre me Urvi apne bed per laiti apne saamne White Wall lo daikh rahi thi, Bahir logo ke chalne ki halki awaze andar aa rahi thi, Medicine ki halki khusboo pure hospital me bikhri huwi thi.



Lekin Urvi ko kisi cheez se farak nahi per raha tha, Wo sirf chup laiti Deevar ko daikh rahi thi-




*Click*



Kamre ka darwaza khula aur Archana kamre ke andar aa gayi, Chehre per ek muskurahat sajaye haatho me kuch khaane ki cheeze pakre wo Urvi ke paas aa gayi.



Archana: Good Afternoon! Kaisa hai mera bacha? Zada bore to nahi huwi mere bina?



Archana ki awaz sun ker bhi Urvi ne kuch khaas reaction nahi dia, Archana kamre me kuch cheeze set ker ke Urvi ke paas baith uss ke liye Fruits kaatne lagi.


Archana: Main to raat ko he ane wali thi! Lekin bacho ki kia he kahe *Chuckle* Raat ko zid karne lage ke main un ke paas ruku, Ab main kia he ker sakti thi rukna per gaya, Lekin main ne sab se keh dia hai ke mujhe meri beti ke saath time spent karna hai, Vanshika ki bhi call ayi thi wo bh-




Urvi: Chale gye hai na wo?



Urvi ne beech me he Archana ki baat kaat ker bolte huwe kaha, Archana ke haath beech me he ruk gye, Nazre utha ker Archana ne Urvi ki taraf daikha to uss ki ankhe bheegi huwi thi.


Archana aage barhte huwe Bed per baith gayi aur Urvi ko apne seene se laga lia, Urvi bhi apne ansoo rok na saki aur rone lagi, Archana jo mazbooti ke saath yahan ayi thi wo bhi kamzoor per gayi.



Akhir dono ne apne pyaaro ko aisi jagha bheja tha jahan se un ke waapis ane ki umeed bohat kam thi, Wo un per bharosa to karna chahti thi lekin dil me ek jagha wo tees ruk nahi rahi thi.



Urvi(Sobbing): Main ne akhir kiu unhe yahan ane se roka? Pagal thi main, Kam se kam wo to yahan aa sakte the na! Akhir kiu wo aise chale gye? Kia itni meri baate unhe buri lag gayi thi kia?




Urvi ko apne kahe shabdo per pachtawa ho raha tha, Usse laga tha ke agar Aarav uss ke paas aye ga to wo usse jaane nahi de paye gi, Lekin wo dard ke kanhi uss din kahe shabd un ke akhri shabd na ban jaye.



Archana: Aisa kuch bhi nahi hai meri bachi! Wo to sirf tujhe pareshaan nahi karna chahta tha, Jaane se pehle bhi agar usse sab se zada kisi ki chinta thi to wo teri thi.




Archana ne Urvi ke ansoo saaf kiye aur Tissue usse pakra dia, Apna chehra saaf ker ke Urvi nazre jhuka ker baith gayi, Archana uss ke haatho ko thaam uss ke paas baith gayi.



Archana: Bharosa rakh! Aarav tujh se Vada ker ke gaya hai na? Tum ne he kaha tha na ke tumhara bhai apne Vade kabhi nahi torta? Bus ab ki baar bhi uss ke vaade per bharosa rakh, Mujhe yaqeen hai iss baar bhi wo apna Vada nibhaye ga, Tujhe apna Vada nibhana ho ga jaldi se healthy ho ja waapis, Phir hum sab mil ker reh sake gye dobara.



Archana ke saath hone ki wajha se Urvi ko koi mil gaya tha, Jis per wo sahara le sakti thi, Akhir Archana ne bhi to apna beta jaate daikha tha, Agar ek Maa khud ko sambhal sakti hai Apne bete ke liye to ek behan kiu nahi sambhal paye gi khud ko?



Urvi(Politely): Thanks Aunty! Ap ne hamari bohat madad ki hai, Agar ap na hoti to Bhayia aur bhi pareshaan ho jaate aur khud ko tayar na ker paate dusri duniya ke liye.



Archana (Smile): Pagal he hai tu! Main ne tum dono ko apna bacha samjha hai, Maa ko thanks kehta hai kia koi? Bus ye waqt guzar jaye phir main sirf tum dono ko hanste huwe daikhna chahti hu.



Archana ne Urvi ke gaalo per haath rakhte huwe kaha, Urvi ki ankhe dobara bhar gayi, Akhir kitne waqt baad wo ek Maa ki mamta ko mehsoos ker rahi thi, Archana ke haath per haath rakh Urvi uss pal ko kaid karne ki koshis karne lagi.




Uss ki aisi Masomiyat bhari harkat daikh Archana ki muskan bhi gehri ho gayi.



Archana: Tu dar mat! Sab kuch sahi ho jaye ga.



****


Darkvale Forest
87 Hours 47 Minutes Remaining




*Woosh*




Aarav aur Yoo-Jung tez Kadmo ke saath aage barh rahe the, Aarav ne Healing Potion se khud ko aur Yoo-Jung ko heal ker dia tha lekin abhi bhi larai ki wajha se dono kamzoor the.



Yoo-Jung: Hume Isabelle ke paas jana ho ga! Lekin abhi hamare liye khatra zada hai, Andhera bhi aur gehra hone laga hai, Hum Roshni waapis ane per un ko Dhoondne ke liye nikle gye.


Aarav dono ko jald Dhoondna chahta tha, Lekin Yoo-Jung ki baat bhi sahi thi abhi agar wo jaate to un ke haath kuch bhi nahi lagna tha, Aarav haami bhar ker Safe Zone ki taraf bhaagta raha.



*Boing* *Boing*



Aarav ko uchalne ki awaze ayi to uss ne saamne ki taraf dhayan se daikha to ek Pathar ke upar Slime uchal rahi thi, Jaise wo Aarav ke waapis ane per apni khushi ka izhaar ker rahi ho.




Aarav bhi uss ki harkat daikh muskurane laga, Jaise he Aarav uss ke kareeb pohancha wo kudte huwe Aarav ke kandhe per aa gayi, Ab ki baar bhi Aarav ko kuch bhi damage nahi mil raha tha.




Aarav ko jaise he Yoo-Jung ke baare me yaad aya to wo jaldi se uss ki taraf ghooma, Yoo-Jung pehli baar Slime ko daikh rahi thi wo Attack na ker de Aarav ko ye dar tha, Lekin Yoo-Jung khamooshi se khari dono ko daikh rahi thi.



Aarav: Tumhe ajeeb nahi lag raha?




Yoo-Jung: Ajeeb kiu lage ga? Aisa nahi hai ke tum pehli baar kisi monster ke saath friendly behave ker rahe ho! Aur main koi Psycho killer nahi hu jo har monster ko maarne ki soche gi, Mujhe agar khatra mehsoos huwa to he main larti hu warna mujhe koi farak nahi parta.



Aarav ko sakoon mila ye sun ker ke Yoo-Jung Slime ko kuch nahi kahe gi, Aarav ne Slime ki taraf daikha jo uss ko baate karte dhayan se daikh rahi thi.


( ◜‿◝ )



Aarav ne Pathar per daikha to wahan pighalne ke nishaan the, Aarav ne uss per zada dhayan na dete huwe Yoo-Jung ke saath aage barh gaya, Dono waapis uss pathreeli jagha per pohanch gye, Jahan Vansh ek bare pathar ke upar apna Spare pakre baitha huwa tha.




Aarav: Wahan kia ker rahe ho?



Aarav ko daikhte he Vansh ke chehre per gussa aa gaya, Wo neeche utra aur gusse se chalte huwe Aarav ke paas aa gaya.



Vansh (Yell): Kahan chale gye the tum? Tum paas me he jaane wale the to itne ghabte kiu lag gye tumhe? Pata hai mujhe ek pal sakoon ka nahi mila pura waqt mujhe dhayan rakhna para kanhi koi monster na aa jaye! Tumhe yahan meri Raksha ke liye bheja gaya hai ya mujhe marne ke liye chorne ke liye bheja hai?



Vansh Aarav ko gusse me bolta ja raha tha, Aarav ko gussa to aa raha tha lekin wo usse kuch keh nahi sakta tha, Usse yahan Vansh ki raksha ke liye he bheja gaya tha lekin wo bakiyo ko marne ke liye nahi choor sakta tha.


Aarav: Sorry! Lekin main jaane se pehle confirm ker ke gaya tha ke yahan koi monster nahi aye ga, Lekin mujhe tumhe yun akela nahi choorna chahiye tha.




“Chilana band karo gye kia? Wo abhi thaka huwa aya hai!”




Yoo-Jung ne Vansh ko chilata daikh beech me bola, Vansh gusse me ye bhi nahi daikh saka tha ke Aarav ke saath koi aur bhi hai, Vansh ne kuch kehna chaha per uss ki awaz beech me he ruk gayi.



Yoo-Jung ko abhi tak uss ne bina Mask ke nahi daikha tha, Pichli baar to wo waise bhi dar raha tha lekin ab jab wo Yoo-Jung ka chehra daikh raha tha to uss ke muh se shabd nahi nikal rahe the, Yoo-Jung sirf khubsoorat nahi uss ke chehre me ek charm tha jo kisi ko bhi apna deewana bana de.



Ye kehna galat nahi ho ga ke Khubsoorti me Vanshika bhi Yoo-Jung se haar sakti thi, Lekin Yoo-Jung ki chehre ki khubsoorti ke saath uss ka badan uss ko aur bhi attractive bana raha tha, Yoo-Jung ek Athlete thi uss ne apni body ka khayal rakha tha.



Vansh(Gently): Ap kon?



Yoo-Jung: Seriously! Tumhe kia lagta hai yahan kon ho sakta hai?



Vansh (Shocked): Yoo-Jung? Lekin kaise?



Vansh ko khud samajh nahi aa rahi thi wo kia bolta ja raha hai, Wanhi uss ki ye harkate Yoo-Jung ko gussa dila rahi thi, Aarav ne situation ko bigarta daikh beeche me ana he sahi samjha.


Aarav: Yoo-Jung! Tumhe nahi lagta ke hawaye thandi hone lagi hai?



Yoo-Jung: Haan! Main bhi ye he daikh rahi thi, Hamare kapro per khoon bhi laga huwa hai, Khoon ki boo hamari sochne samajhne ke Ability per effect ker sakti hai, Hume jald se jald khud ko saaf karna ho ga aur kapre badalne ho gye.



Vansh: Mujhe paas me ek Jharna mila hai! Main ne check bhi kia hai Paani bilkul safe hai, Hum usse Use ker sakte hai.


Vansh ne beech me aa ker pehle huwi behas ko sudharna chaha, Yoo-Jung ne Aarav ki taraf daikha to uss ne usse haan me sar hila ker Vansh ki baat per Vishwas karne ka kaha.




Yoo-Jung: Good! Pehle main khud ko saaf ker leti hu, tum dono guard per sakte hl tab, Uss ke baad main Guard karu gi aur tum khud ko saaf ker lena.



Aarav: Ye sahi rahe ga!



Yoo-Jung: Vansh mujhe Jharne tak la raasta dikha do! Aarav tum yahan reh ker daikho kanhi koi monster na aa jaye.



Vansh jaldi se aage chalne laga uss ke peeche Yoo-Jung chalne lagi, Vansh ki personality ne Achanak 360 Turn lia tha, Lekin wo behas nahi ker raha tha ye he bohat achi baat thi un ke liye.



Un ke jate he Aarav wanhi neeche baith gaya aur un thandi hawao ka maza lene laga, wo khule me baitha tha to Achanak attack hona mushkil tha aur Aarav thak bhi bohat chuka tha.


(◍•ᴗ•◍)



Aarav: Tumhare baare me to bhool he gaya tha! Idhar aoo chotu ustaad.




Aarav ne slime ko neeche rakha aur dhayan se usse daikhne laga, Koi bhi nahi keh sakta ye chotu kuch ghante pehle ek khonkar monster jaisa dikh raha tha, Lekin ab wo kisi puppy ki tarha Aarav ko daikh raha tha.



Aarav: Ye to pata lag gya ke tum kisi ko nuksaan nahi pohanchana chahte! Lekin akhir tum jaisa Cutie aise khatarnak jungle me ker kia raha hai, Aur akhir kiu koi tumhari territory me nahi aa raha.



(◕ᴥ◕)



Aarav soch raha tha lekin usse koi jawab nahi milne wala tha ye usse khud bhi samajh aa gayi thi, Aarav ko iss baat ka to Bharosa ho gya tha ke usse Slime se koi khatra nahi hai.




Aarav: Main soch raha tha ke tum kia aise kisi Ball ki shape me he reh sakte ho kia? Tum apni shape badal sakte ho kia?



ʕ´•ᴥ•`ʔ



Aarav: Huh, Mera haath daikho! tum haath bana sakte ho kia apne?



ʕಠ_ಠʔ


Slime kaanpne lagi jaise wo zor laga rahi ho, Lekin wo kuch bhi nahi ker paa rahi thi, Aarav ne bohat kuch try kia lekin Slime sirf hil paa rahi thi shape nahi badal paa rahi thi.




Aarav (Sigh): Huh! Rehne do, hum baad me koshis kare gye.



*Growwrrr*



Aarav ke pet me se bhook se awaz ayi to Aarav ka dhayan khud per gaya, Wo yahan ane ke baad kuch bhi nahi kha saka tha, Raat ko bhi wo kuch nahi kha paya tha Aarav ne apne Infinite bag me se kuch Fruits nikale jo wo saath le ker aya tha aur unhe khane laga.



-ᄒᴥᄒ-



Slime Aarav ke haath me pakre Apple ko ghoor ker daikhne lagi.




Aarav: Khaana hai kia? Lekin tum ye kha pao gi kia?




Aarav ne Apple Slime ke aage kia to Slime kabhi Aarav ko daikhti to kabhi Aarav ko daikhti, Aarav usse khamooshi se daikhta raha, Slime ne Aarav ko kuch na bolta daikha Apple ko apne andar le lia lekin wo palak jhapakte he acid ki wajha se pura khatam ho gya, Daikh ker lag nahu raha tha ke ye Slime ko kuch khaas maza de paya ho.



Aarav: Aise to tum kuch bhi nahi khati ho gi! Waise main bohat samay se soch raha hu ke tumhari wajha se ye pathar kiu nahi pighalte?



Aarav ne ek pathar ko uthate huwe daikha, Lekin dikhne me wo koi Sadharan pathar lag raha tha, Aarav ne Slime ki taraf Pathar kia Slime ne Aarav ki taraf daikha aur uss ki harkat ka matlab samajhte huwe pathar ko apne andar ker dia.



Aarav: Mujhe laga he tha! Agar koi aur pathar hota to abhi pighal jata, Lekin ye wala bilkul sahi hai abhi bhi, Wait!



Aarav ne dhayan se daikha to usse dikha ke Pathar pighal raha hai, Lekin uss ki raftaar bohat zada kam thi.



Aarav: Ye pathar kuch khaas lagta hai! Vansh ke wapis ane per usse check karne ko kehna pare ga, Waise agar ye pathar itna samay le rahe hai to Mana Stone kitna samay le gye.



Aarav ne apne bag me se Mana Stone nikala jo aj he uss ne Dzanum ko maar ker liye the, Aarav ne Slime ki taraf Mana Stone ker dia aur iss baar bhi Slime ne Aarav ki baat maan ker usse khaane ki koshis karne lagi.



Mana Stone Slime ke andar jaate he chamakne laga, Slime bhi green color me glow karne lagi Aarav ko samajh nahi aa rahi thi ke ye kia ho raha hai, Agle he pal Mana Stone dust me badalne laga lekin wo baki cheezo ki tarha pighal nahi raha tha, Wo dust ban raha tha.



Dheeme Dheeme Slime ki Glow kam hone lagi, Lekin Slime ka Aura badalne laga tha, Aura Gentle lekin deadly tha aisa Aura Aarav ne pehli baar mehsoos kia tha, Lekin Slime ke expression se wo alag nahi lag rahi thi sirf khush dikh rahi thi.



(^∇^)ノ





[Congratulations, you have formed a bond with the Acid Slime! The Acid Slime has recognized you as its master and pledged its loyalty to you]

7479a67df28217afd8c0f7f2b3044d45.jpg



Aarav apne saamne aye notification ko daikh ker thora bokhla gaya, Uss ne khara hona chaha per uss ki body sudden Movement ko follow na ker saki aur wo unbalance ho ker peeche ko girne laga.


[Would you like to access the Acid Slime's memory?]



[Yes ~ No]





Aarav(Chuckle): Sab kuch karne ke baad ye baat puchne wali reh jati hai kia?



****
Darkvale Forest
87 Hours 9 Minutes Remaining




“Yahan se seedhe jao gi to Jharna saamne aa jaye ga!”



Vansh ne Yoo-Jung ko raasta dikha dia, Yoo-Jung Vansh ko waapis jaane ka keh ker Jharne ki taraf chali gayi, Lekin Vansh wanhi khara raha.



Uss ke chehre per muskurahat aa gayi, Kuch lamhe wanhi khare ho ker intezar karne ke baad Vansh ne apne kadam jharne ki taraf barha diye, Har kadam ke saath uss ki dil ku dharkane barhti ja rahi thi.



Jharne se girte paani ki awaz Vansh ko sunayi dene lagi, Wo ek safe distance banate huwe ek pathar ka cover lete huwe uss ke peeche chup gaya, Vansh thore High ground per tha to Usse paani me khari Yoo-Jung saaf nazar aa rahi thi.




Yoo-Jung apni belt khol chuki thi aur apna top utaar rahi thi, Yoo-Jung ko daikh Vansh ke muh me paani ane laga dil me Uss ke paas jaane ki lalach, Lekin wo wanhi khara usse daikhta raha.



Yoo-Jung ne top utaara to andar sirf uss ka Armor reh gaya, Yoo-Jung ne neeche jhukte huwe apne leg Armor ko utaarna shuru kia, Yoo-Jung ke peeche se Hips baahir ko nikle to Vansh ki nazre wanhi ruk gayi.



*Swishhhh*



Vansh abhi Yoo-Jung ke badan per nazre garaye huwe tha ke Achanak ek dagger uss ki ankho ke paas pathar per aa ghusa, Vansh khud ko sambhalte huwe jaise he khara huwa uss ke bilkul saamne Yoo-Jung khari thi.


*Woosh*


Ek Punch seedhe Vansh ke pet per lagte he Vansh ki ankhe khul gayi, Yoo-Jung ki speed itnu tez thi ke Vanah react bhi nahi ker saka, Yoo-Jung ne Vansh ke dobara sambhalne se pehle apna ghutna Vansh ke chehre per de maara aur Vansh ki naak toot gayi.



Gale se pakar Yoo-Jung ne Vansh ko hawa me utha lia, Ek larki me itni takat daikh Vansh ki phat chuki thi, Vansh dard se bilbila raha tha.



Vansh: M-Meri baat to Suno!




Yoo-Jung ne Vansh ko chorr dia aur Pathar se dagger nikal uss ke gale per rakh dia, Vansh ki saanse rukne lag chuki thi.



Yoo-Jung: Jo bhi bolna soch samajh ker bolna!




Vansh: Meri baat suno! Main bure intentions se yahan nahi aya, Ye sab uss Aarav ki galti hai, Uss ne he mujhe gussa dilaya th-


*Gulp*



Yoo-Jung ne dagger ko thora Vansh ke gale me dabaya to Vansh ki awaz wanhi ruk gayi, Wo dar se hil bhi nahi paa raha tha.



Vansh: Aisa mat karo! Main tumhe Aarav ki jagha rakh sakta hu, Mere Dad ke paas bohat power hai wo pal bhar me tumhari Zindagi badal sakte hai, tum mere saath ho jao main vada karta hu tumhe zindagi me koi dikat nahi ho gi.



Vansh ne chehre per ek ghinoni muskurahat sajaye kaha, Vansh ne dheeme se apni Ungliya Yoo-Jung ki Waist per pherani shuru ker di, Apni Ungliya upar le jaate huwe Yoo-Jung ke boobs ki taraf le jaane laga, Per wo Ungliya wahan le ja pata uss se pehle Yoo-Jung ne Vansh ko uthate huwe hawa me phenk dia.



*Thud*



Vansh ek ped se ja takraya, Yoo-Jung kehar bhari nazro se usse daikh rahi thi, Vansh ko samajh aa gayi ke wo kitni bari galti ker baitha hai Yoo-Jung ko baki larkiyo ki tarha samajh ker jo uss ke paise ke liye uss ki har baat maan leti thi.



Vansh: Tum galti ker rahi ho! Agar mere Dad ko pata chala to wo tumhare sabhi apno ko moat ke ghaat utaar de gye.



Yoo-Jung ki ankho me gussa aur bhi bhar gaya, Wo Vansh ka ganda dimagh to samaj chuki thi lekin ab usse Vansh ke andar ka kayar bhi nazar ane laga tha.




Yoo-Jung: Aur unhe pata kaise chale ga? Tum batao gye kia? Agar main ne tumhe batane ke layak chora to batao gye na!



Yoo-Jung ne stance li aur ek kehar bhari nazar Vansh per daalte huwe uss ki taraf toofan ki tarha barh gayi.




*Stab*
.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he umeed karta hu ap ko update pasand aye ga, Ye ek mega update ki tarha ka tha with 5.7K Words, Target complete huwa to Update wednesday Night ko aa gaya, Agar iss Update per bhi 30 Likes aye Friday night se pehle to next Update Saturday Night ko aye ga, Milte hai agle Update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Nice update 👌
 
  • Like
Reactions: king cobra

Salty~Otaku

ᴺᵒ ᴹᵃᵗᵗᵉʳ ᵂʰᵃᵗ ᴵ’ᵐ ᶜˡᵒᶜᵏⁱⁿᵍ ᴼᵘᵗ ᴮʸ ˢⁱˣ
Prime
1,856
19,848
144
Hardly 2 se 3 Log he sahi Review de rahe hai, Baki sab sirf Appreciate ker rahe hai, Bhai Appreciation se zada Mujhe reviews chahiye!
 
270
1,012
123
salty bhai jaise jaise story or readers badege aapke reviews bhi badege kyuki story bhot achi hai line pace content everything is excellent so just keep up this work
 
  • Like
Reactions: king cobra

king cobra

Well-Known Member
5,258
9,924
189
💯 page's hue mitra badhai ho :flowers:
 

king cobra

Well-Known Member
5,258
9,924
189
Hardly 2 se 3 Log he sahi Review de rahe hai, Baki sab sirf Appreciate ker rahe hai, Bhai Appreciation se zada Mujhe reviews chahiye!
Abhi kuch time baad wo din bhi aayega ki reply karne me bhi pareshan ho jaoge dost.musafir chalta rah log milte jayegen jaise mai aaya hun :dost:
 
  • Like
Reactions: krish1152

king cobra

Well-Known Member
5,258
9,924
189
Jab ap ko life me sab kuch easily mil jaye to ap dusro ki feeling samajh nahi sakte, Vansh ko hamesha sab kuch 1 ishaare per mil gaya wo ye bhool gaya ke iss waqt wo kis jagha oer hai

Reason ao ko Update 21 me pata chal jaye ga ke kiu Acid Slime ko uss ka Acid waapis nahi kia gaya :thanks:
Acid ishiliye wapas na diya gaya kyuki usme gussa nafrat sab maujood tha aur agar usko hataya na jata us waqt to wo kabhi kisi ko apna nahi pati samjh aa gaya hamko
 

krish1152

Well-Known Member
5,629
16,401
188
:congrats: for complete 💯 page
 
Top