• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Vengeance ~ Revenge is sweet [ᏚᎩᏚᎢᎬᎷ]

Who are your two favorite male characters in this story?


  • Total voters
    239

Salty~Otaku

How ya look doesn’t matter in a fight!
Prime
1,489
13,028
144
Guide-Sama :chinki2:


Hello Guys! Guide-Sama here, Ye story ke liye ek guide hai, Ye ap ko story samajhne me madad kare gi, Ap ko yahan Character Intro, QNA, Abilities Detail's, Prologue, Arc Poster aur Current Status daikhne ko mile ga, Qna me pehle Question's main ne khud chune hai agar ap ko kuch khaas puchna ho to PM ker ke puch sakte ho aur ap ka Question bhi yahan add ho jaye ga!

Name: Aarav Arya
Level: 44
Rank: E
Title: (Alpha) (Dragon Slayer)

Job: None



(Skills)


[Slash] (F)


(Abilities)


[Flash Steps]

[Qi Blade]



(Unique Abilities)


[Will to Live]

[Limitless Growth] (Hidden)

[Devour]

[Soul Binding]


[Substance Sustainer]



Inner Qi User: Apprentice Level Qi User
Aarav's Family


Aarav Arya (Main Character)
d4b752e260d3e8821969e504cada5c55.jpg

Avinash Arya (Aarav's Father) (Spirit Clan)


Sushmita Arya (Aarav's Mother)


Urvi Arya (Aarav's Sister)
40f0b13881d95711fe4070df2ff6ca32.jpg

Aarav's Party Member


Daisuke Takahashi (The Warlord) (Wind Clan)
1611e8fabe2c7bc033732fd73d42593c.jpg

Andrew Yakubu (Guardian)


Vansh Sayani (Blacksmith)
267cc60b4da73bdc00d3466b26423bc3.jpg

Isabelle Adjani (Healer)
472b21269ccbf57e347c083fc5636305.jpg

Kim Yoo-Jung (Assassin) (Fire Clan)
5a42f8249bac069021c7bf189bdd9058.jpg

Avinash's Party


James Kevin (Swordsman)


Junaid Shiekh (Guardian)


Kang Jinho (Warrior)
26b8bdb20ebfbb78fa4be71e702a63cf.jpg

Lee Soo-hyun (Black Smith) (Fire Clan)
1813dd3d38a2742808e7498c5e722b5e.jpg

Ela Öztürk (Healer)
e722dd79bf713b8b11bf3fe7f1cf2a96.jpg

Sayani Family

Adarsh Sayani (Vansh's Father)


Archana Sayani (Vansh's Mother)


Aakash Sayani (Vansh's Elder Brother)
53f44cfadc81081f4c1b4c74130670cf.jpg

Saanvi Sayani (Aakash's Wife)
a3835b436f9c2f1160b0db29b1224d07.jpg

Arti Sayani (Vansh's Elder Sister)
eb31e7e1300dc9abe9e0f5e4359aa231.jpg


Vanshika Sayani (Vansh's Twin Sister)
4dd7314ca3911b68867df05ece83e41e.jpg

Sameer Sayani (Vansh's Cousin)


Daisuke's Family


Hiroshi Takahashi (Daisuke's Father) (Wind Clan Leader)

Miyuki Takahashi (Daisuke's Mother)

Tsubame Takahashi (Daisuke's Sister) (Wind Clan)
144e10a9353b4851a36004ad8f58f307.jpg

Yoo-Jung's Family and Clan


Kim Yoo-ri (Yoo-Jung's Sister)

Na-ri (4th Elder)


From Aarav's Hometown


Manohar (Aarav's Employer)


Akansha (Manohar's Daughter)
52609cc9f5872114ac85bf5a00b1e73a.jpg

Parth (Aarav's Friend)


Divya (Parth's Sister and Urvi's Friend)


From New-York


Veronica Carmichael (Vanshika's Friend)
3ad0fbbe79068c8a5f42561cb370956d.jpg

Lydia Martin (Vanshika's Friend)
e2606fe82b82d5b05f30d01a20c715e5.jpg

Barbie (Aakash's Guard)
34d52197af3b18d105bdeb6abb74d91a.jpg

Ashley (Urvi's Nurse Friend)
7842ebe743ddca18df9b2d6aeaa55791.jpg

Jenny (Sammy's Secretary)


****


Veer Singh (Aakash's Business Rival)


Karunesh (Veer's Uncle)


Kunal (Veer's Cousin)


Dineshwar (From Intelligence Bureau)
[Will To Live]

(Will to live) Abhi tak hume kuch cheeze iss ability ki daikhne ko mili hai, Pehli ye Aarav ke liye ek temporary stats boost ki tarha kaam karti hai, Dusri ye System me error daal sakti hai, Abhi ke liye hume kuch detail daikhne ko nahi mili hai, Ye ability mostly extreme dangerous situation me Aarav ki madad ke liye kaam ati hai, Abhi ke liye Ability ka ek progress meter bhi chal raha hai, 100% complete hone ke baad shayad hume ye ability ki details mile, Abhi ke liye hume kuch nahi pata ke ye Ability kia hai? Kiu hai? Kaise hai?


[Limitless Growth]

Will to live ki tarha ye bhi Aarav ki shuruaati Ability hai aur hume iss ke baare me bhi kuch daikhne ko nahi mila, Lekin naam ki tarha ye Aarav ki growth ke liye Ability hai, Ye hidden kiu hai? Kis se hidden hai? hume abhi nahi pata, Lekin aage chal ker hume iss ka bhi pata lage ga.


[Devour]

Devour basically ek dusre Player ki skill ko apna banane ki kshamta rakhne wali Ability hai, Player kisi ko maarne ke baad uss ki Skills ko devour ker sakta hai apna bana sakta hai, Lekin ye ability itni simple nahi hai, agar saamne wala ka Level ya shakti player se zada hai to un sab Skills ke level bhi kam ho jaye gye, Uss ke baad Player ke level ke saath uss Skill ke level bhi barhe gye, Lekin Player sirf ek Skill ya Ability he le sakta hai, Wanhi ek shakti Devour ability ki ye hai ke agar saamne wala Player ko apni shaktiyon ka vaaris bana leta hai to Player saamne wale ki sabhi Abilities aur skills le sakta hai aur saath me Player ke stats bhi barh sakte hai, Lekin ye Ability ek bari matra me Mana consume karti hai aur agar Mana kam per jaye to Player ki moat bhi ho sakti hai.


[Soul Binding]

Ye ability Avinash ke Clan se bani Ability hai, Bilkul jaise Avinash ne Aarav ki soul ko bind kia tha ye wo he ability hai, Ye ability target ki body aur soul ke beech ek shaktishali dhaga bana deti hai, Ye dhaga koi aur daikh ya chu nahi sakta, Lekin ye sirf tab kaam karta hai jab saamne wali ki soul shareer chorne ke baad uss ke kareeb he ho.


Lekin agar soul apne akhri safar ke liye matlab afterlife nikal gayi hai to kuch nahi ho sakta, Soul ko shareer se bandhne ke baad Player usse kisi kathputali ki tarha Use ker sakta hai aur wanhi Soul swipe bhi ker sakta hai lekin uss ke liye kisi aur ko apni atma sacrifice karni pare gi, Bilkul jaise Avinash ne khud ko sacrifice ker dia tha.


Soul aur shareer ko bandhne ke baad har second uss bandhan ko banaye rakhe ke liye 1 Mana Use hota hai wanhi Soul Swap ke liye adhik Mana Use hota hai.


[Sustenance Sustainer]

Ye ek aisi Unique Ability hai jo Survival ke liye kaam ati hai, Insaan khaane ke bina sirf kuch dino ke liye ya hafto ke liye zinda reh sakta hai aur uss beech bhi uss ka shareer kamzoor ho raha hota hai, Lekin Sustenance Sustainer ye hone se rokta hai, Player bina khaye bhi maheeno survive ker sakta hai, Aisa nahi ke bhook nahi lage gi wo lage gi lekin sataye gi nahi, Furthermore, Har khaane ka taste bhi increase ho jaye ga even agar wo bekaar bhi bana hai agar maze ka bana hai to svargh, Khaane ke beech ke sabhi harmful Substance bhi filter ho jaye gye to khaane se hone wale sabhi bemaariyo se bachaye gi ye ability, Aur har baar bhar pait khana khaane se Player ki strength bhi increase ho gi utni zada nahi lekin ho gi zaroor, Ye ability mana consume nahi karti aur har samay active rehti hai.
Question: Abilities aur skills me kia difference hai?


Answer: Ability aur skill bilkul power aur prowess ki tarha he hai, Ability ke liye Mana ya Qi consume hoti hai, Ability kisi superpower ki tarha hai, Matlab human capabilities ke bahar ki power Ability hai. Example, Levitation, koi bhi artibute ka istemal mind reading aur aisi he aur bhi bohat, Wanhi skill human capabilities me rehte huwe karne wali cheeze hai, Jo bhi physically possible ho wo skill hai. Example, Swordsmanship, Supernatural strength, Defence aur kuch daily life skills, Lekin skills me Mana ya Qi consume nahi hoti hai.


Question: Unique Ability kia hai?



Answer: Unique ability ka matlab sirf powerful ability ka hona nahi hai, Unique Ability ka matlab hai ke waisi koi bhi aur Ability nahi hai, Ek Simple ability bhi Unique Ability ho sakti hai, Lekin wo uss player ki sivaye kisi aur ke paas nahi ho gi, Similar ho sakti hai lekin wohi ability nahi ho gi, Unique Abilities bhi alag ranks me banti huwi hai jo hume aage chal ker pata lage ga.



Question: Qi aur Mana ek he hai kia?



Answer: Nahi! Dono alag alag hai, Mana System ki taraf se mila hai, Wanhi Qi Clan se mili hai, Mana body ke baahir nature se mil sakta hai, Wanhi Qi shareer ke andar Vitals me hoti hai, Dono similar hai lekin dono me antar bhi hai, Qi ka istemal shareer per bhi effect karta hai lekin Mana shareer per effect nahi karta.



Question: Kia Alpha abhi bhi Aarav ke saath hai?



Answer: Nahi! Ezra ke saath larte samay Alpha ne khud ke aur Aarav ke beech me Aarav ko chuna tha, Probably wo Alpha ki chori wahan akhri shakti aur chance tha, Lekin Alpha ne Aarav per Vishwas karte huwe usse uss pal sab kuch saunp dia tha.
Ye manali shehar me rehne wale ek larke Aarav ki kahani hai! Maa baap ke guzarne ke kuch samay baad he behan ke Cancer ki khabar milte he Aarav ne khud ko choti umar me he kaam ki duniya me daal lia, Ek din kaam karte huwe Aarav ne khud ko ek ajeeb Circle me paya, Wo circle Aarav ko uss ki duniya se tutorial tower kheench laya, Aarav ko System mila aur saath me ek Quest, Waapis jaane ke liye Quest ko pura karna zaroori tha, Tower me mile saathiyo ke saath Aarav ne Quest puri karne ka safar shuru kia apni behan ke paas wapis jaane ki khawahish ke saath.
86c7e6b0c855796ab83209798f123cb6.jpg
31b5062e1e510feab2f55d8b5fd5e983.jpg
Hemlo! Ap ke liye ek story guide bana di hai, Ye parhne ke baad umeed hai ap ke liye story samajhni aur bhi easy ho jaye gi, Agar kuch galti dikhe ya kuch samajh na aye to puch sakte ho, Aur ap logo ne apni Favourite Female character to bata dia ab baari hai Male Favourite character ki, Vote kariye aur saath me reason bhi zaroor dena!

 
Last edited:

zamam

New Member
98
51
33
UPDATE 36 ~
(THE LAST QUEST)




Darkvale Forest ~


*Gasp* *Gasp*



Kanhi ped gire huwe to kanhi pathro ne raasta band kia huwa, Un sab ke beech me Vansh bhaag raha tha, Uss ki saanse bhaari hone lagi thi, Wo bina peeche daikhe saamne ki taraf bhaagta ja raha tha.




Vansh(Gasping): A-Aarav bhi mar gaya! Main ne kaha tha ke hum bhaag jaate hai, Lekin un sab ko to wahan marna tha, *groan* Un me se koi bhi mera saath nahi dene wala, Unhen marna hai to mare.....Lekin mujhe zinda rehna hai.



Vansh ne jaise he Aarav ke marne ka notification daikha wo wahan se bhaag nikla tha, Wahan Sirf Aarav he tha jo uss ko marne nahi dene wala tha, Lekin ab jab Aarav he mar chuka hai to Vansh ko samajh aa gayi thi ke wo wahan akela hai.



Vansh ne sab ko peeche chora aur khud dusri taraf bhaagne laga, Usse kuch samajh nahi aa rahi thi ke wo kahan ja raha hai, wo sirf Hexarion se dur jaane ki koshis ker raha tha.



Jab Vansh ki saanse bohat zada bhaari ho gayi to wo ruk gaya, Ek toote huwe ped ke peeche baith ker Vansh lambe lambe saans bharne laga, Uss ki halat kharab hoti ja rahi thi, Pura shareer dar se kaanpte ja raha tha.



Vansh(Shivering): Ye sab mere saath kiu ho raha hai? Kiu mujhe itna sab jhelna per raha hai? Kia bigaara hai main ne kisi ka?



Vansh ki halat se lag raha tha ke wo kisi bhi pal roone wala hai, Lekin uss ne khud ko sambhala aur aage kia karna hai uss ke baare me sochne laga.



Vansh: Mujhe uss rakshas se larne ki zaroorat nahi hai! Mujhe sirf kuch din survive karna ho ga yahan, Koi aur rakshas tab tak usse Maar de ga ya wo khud waapis chala jaye ga, Main un idiots ki tarha apni kamzoori jaante huwe bhi larne nahi wala.



Vansh khud he sochta ja raha tha ke aisa ho jaye ga waisa ho jaye ga, Jab ke sach wo bhi jaanta tha ke uss ke Survival Chances kitne low hai, Lekin wo iss baat ko man'nne ko tayar nahi tha.



Vansh ne apni inventory kholi aur daikhne laga ke uss ke paas kia kuch hai, Lekin uss ne wahan bhi Survival ke liye zaroori samaan ki jagha Guns aur kapre rakhe huwe the.



Ye jaante huwe bhi ke Guns ka yahan kuch faida nahi hai, Uss ne phir bhi wo rakh li thi, Aur kapre jo Armor ke upar se wo pehan bhi nahi sakta tha, Khaane ke naam per uss ne sirf kuch Snack rakhe huwe the.



Vansh(Annoy): Shit! Wo bag to Aarav ke paas he hai, Sab khaana aur tent uss me rakhe huwe hai, Kia main wapis jau bag lene?



Vansh ne waapis jaane ka socha, Lekin jaise he Usse Aarav ki latki laash yaad ayi uss ke shareer me rongte khare ho gye, aur uss ne wapis jaane ka plan cancel ker dia.



Vansh: Waapis nahi jao ga! Abhi ke liye aage barhta hu aur koi Safe Area dhoondta hu.



*Swish*



Ek Arrow Vansh ki taraf aya, Vansh ne uchalte huwe Arrow ko dodge ker lia, Arrow seedha peeche gire huwe ped me ja ker ghus gaya, Vansh ne dusri taraf daikha to usse saamne kuch Goblins dikh gye.




Tabhi Vansh ko Peeche kuch mehsoos huwa uss ne ghoomte huwe apne peeche aa rahe Goblin ko pakra aur zameen per de mara, Uss Goblin ke neeche girte he Vansh ne uss ke chehre per Punches maarne shuru ker diye.



*Thud* *Thud*



Goblin ka pura chehra kuchala gaya aur wo wanhi mar gaya, Vansh apna gussa un Goblins per utaarne ka irada bana chuka tha, Apna haath aage karte huwe uss ne Inventory se apna Spear nikala aur tayar ho gaya.



*Slash*



Saamne se ate ek Goblin ko ek vaar me kaat ker Vansh aage ki taraf bhaaga, Goblins bhi uss ki taraf bhaage lekin Vansh khud ko shaant karne ke liye saamne se ate har Goblin kaat aur phaarta ja raha tha.



*Agghhh*


Ek goblin ne apne haath me pakri sickle seedhe Vansh ki pasaliyon me ghusa di, Vansh dardnak cheekh ke saath neeche gir gaya, Lekin wo ruka nahi aur apne Spear ko ghoomate huwe uss Goblin me ghusa dia.



30 ke kareeb Goblin Vansh ne maar giraye, Itna bhaagne ki wajha se pehle he uss ki saanse bhaari thi, Ab larayi ke baad wo aur bhi thak gaya.



Vansh ghayal bhi ho chuka tha, Uss ke ghav bhar to jaate lekin uss me waqt lagne wala tha, Vansh ne khud ko sambhala aur koi Safe Place dhoodne ki sochi.


*Thump* *Thump*



Zordar kadmo ki awaaz ne Vansh ko wanhi freeze ker dia, Ek saath bohat se kadam usse apne peeche se apni taraf ate sunayi de rahe the, Vansh Dheere se peeche ghooma to apne saamne ka drishya daikh uss ki halat patli ho gayi.



Uss ke saamne Orc's ka jhund khara Huwa tha, Sabhi Orc's usse khoon bhari nazro se ghoor rahe the, Vansh ki halat pehle he kharab thi aur ab uss ke saamne Orc's ka jhund, Uss ka Mann rone ko karne laga.



*Grooowwwwrrrrr*


Orc ne dahara aur bhaagte huwe Vansh ki taraf ane lage, Vansh ne apne Spear ko zor se pakra aur jaise he Orc uss ke kareeb aya uss ne chalang lete huwe Spear Orc ki chaati me ghusa dia.



Vansh: Main ye ker sakta hu! *Scream* Main sab ko maar ker zinda jau ga yahan s-


*Grip*


Orc ne Spear pakra aur Vansh ki aankho me daikhte huwe apni chaati se baahir nikal lia, Vansh ke praan wanhi nikalne ko ho gye.



*Swish*


*Thud*



Orc ne Vansh ko pakarate huwe ghoomaya aur zor se baki Orc's ki taraf phenk dia, Vansh seedhe un ke kadmo me ja gira.



*Cough* *Cough*



Khaanste huwe Vansh ghutne ke bal baitha, Uss ne sar utha ker upar daikha to sabhi Orc's usse he Daikh rahe the.



*Thud*



Ek Orc ne Vansh ke laat maari to Vansh uchalte huwe dobara neeche gir gaya, Vansh ka spear bhi uss ke haath se chut gaya, Uss ke muh se khoon nikalna shuru ho chuka tha.



Wanhi ek aur Orc ne Vansh ka paon pakra aur usse idhar udhar patakne laga, Vansh apni consciousness khota ja raha tha, Wanhi jaise Orc's ko maza aa raha tha Vansh ko maarte huwe.


Ek Orc ne Vansh ko pakar ker uthaya aur muskurate huwe usse daikhne laga, Jaise usse sakoon mil raha ho Vansh ko takleef me daikh ker, Tabhi Vansh ko kuch samajh aya aur uss ne kaanpti awaaz me halke se kaha.



Vansh(Whisper): I can take you to the person who killed your king!




****


“Shadow! Bella ki raksha ka kaam main tumhe de raha hu, Sabhi Demon Wolves ko bhi apne saath le jao”




Aarav ne Hexarion ki taraf nazre garaye huwe Shadow se kaha, Bella Aarav ke paas rukna chahti thi, Lekin wo bhi samajh chuki thi ke uss ke wahan hone se wo Aarav ko aur bhi Vulnerable bana de gi.



Aarav bhi jaanta tha ke Bella kitna kuch kehna chahti hai uss se, Lekin abhi wo Bella ka udaas chehra daikh ker Hexarion ke liye apne gusse ko shaant nahi hone dena chahta tha.



Bella Shadow ke upar baith gayi, Shadow uss ko le ker wahan se nikal gaya, Wanhi Lime seedhe Aarav ke kandhe per ja ker baith gayi.




*Snap*



Ek jhatke ke saath Hexarion ko pakre huwi sabhi Zanjeere toot ker neeche gir gayi, Hexarion gusse me waapis utne laga, Uss ke paancho sar bhi Aarav ko he daikh rahe the.



*Grooowwwwrrrrr*



Hexarion dahara aur wo aage Un ki taraf ane laga-


Aarav: Kuch Plan hai kia?



Aarav ne apne peeche khare Daisuke aur Yoo-Jung se pucha, Dono ne ek dusre ki taraf daikha, Dono he kuch doubt me lag rahe the.




Daisuke(Nod): Agar mujhe kuch samay mil sake to mujhe Vishwas hai ke main Hexarion ka ek sar sambhal sakta hu!




Yoo-Jung: Same! Agar hum kisi tarha Hexarion ki movement ko abhi jaise rok pao to main bhi ek sar khatam ker sakti hu, Lekin hum ye kare gye kaise?




Aarav(Glare): Wo main sambhal lu ga! Mujhe sirf ye batao kitna samay chahiye?



Yoo-Jung: One Minute is more than Enough! Lekin tum ye kaise karo gye, Monarch ki baat alag hai, Lekin hum abhi utne shaktishali nahi hai ke Hexarion ki Movement rok sake.



Aarav ne Yoo-Jung ki taraf daikha, Yoo-Jung Aarav ki uss nazar se chup ho gayi, Aarav ki ankho me wo aatmavishwas kuch alag he tha, Yoo-Jung ko pata tha ke ye kaam asaan nahi ho ga, Lekin Aarav ki Ankhe usse Vishwas karwa rahi thi ke wo ye ker sakta hai.




Aarav ne apni Sword uthaayi aur saamne se ate Hexarion ki taraf barhne laga, Aarav ke liye Yoo-Jung ko dar lagne laga ke kanhi usse kuch ho na jaye, Lekin Aarav ki wo chaal aur nazre badal chuki thi.



Aarav: Utne Shaktishali nahi hai? Agar hum shaktishali nahi hai to kia hume yanhi ruk jana chahiye kia? Nahi, Dharti per khatra ane wala hai ye hum sab jaante hai, Aur uss ane wale khatre ke liye hume tayar hona pare ga.



Aarav aage barhte huwe sab kuch kehta huwa barhte ja raha tha, Wanhi Daisuke aur Yoo-Jung mann me prarthana ker rahe the ke Aarav ko kuch bhi na ho.



Aarav(Chuckle): My dad believes I will become stronger than anyone he has ever met! Ab main dobara soch raha hu to mujhe samajh aa rahi hai unho ne ye kiu kaha, Remember when Daisuke told us that no player has ever reached 100 in any stats? Well, here I am, the closest to reaching 100 in all of my stats. Aur agar main Will to Live ki madad lu to I have surpassed 100 in each of my stats. Mere paas 5 Unique Ability hai jo ab tak ke Player's me se mere sivaye sirf Yoo-Jung ke paas 1 Confirm huwi hai. But even if I am still considered weak, I will work hard to become strong. I will do it for my loved ones, Aur main ye Prove karu ke mere Papa ne galat nahi kaha tha, After all, I am Aarav Arya, the son of the Soul Monarch, Abhinav Arya.



*Thump* *Thump*



Hexarion ke har kadam se wahan sab kuch hilna shuru ho chuka tha, Lekin Aarav uss ke saamne shaant khara ho gaya, Aarav ne ek gehra saans bhara aur Hexarion ki taraf daikhte huwe apne haath neeche rakh diye, Aarav ke haath neeche rakhte he wahan Andhera hone laga aur Aarav ke paas smoke screen ban gayi.



*Grooowwwwrrrrr*




Ek zordar dahaar ne wahan ke vatavaran me dar ka mahol bana dia, Lekin ye Dahar Hexarion ki nahi thi, Aarav ke paas bani smoke me harkat huwi aur kuch wahan se tez raftaar se nikalte huwe Hexarion ke paas gaya, Hexarion ko bhi Peeche hona per gaya.



Daisuke aur Yoo-Jung ki ankhe phati ki phati reh gayi, Hexarion ke saamne ek aur Hexarion he khara huwa tha, Uss ke upar baitha huwa tha.

af5e37ff2f9e6e977ebd52f1a73c1dee.jpg


Daisuke(Frowns) Y-Ye kia hai? Ye dusra Hexarion kahan se aa gaya?



Daisuke ne Yoo-Jung ki taraf daikha, Lekin Yoo-Jung apne hosh me aa ker sab kuch dhayan se daikh rahi thi, Uss ko shaant daikh ker Daisuke aur bhi heraan ho gaya.



Yoo-Jung: Ye Hexarion Real nahi hai! Agar main sahi hu to hum abhi Aarav ke Holographic Training Zone ke andar hai, Lekin Aarav ne kisi tarha hume bhi Training me add ker dia hai, Aarav ka Hexarion sirf ek Holograph hai, Lekin Hexarion ke liye wo abhi Real hai, Lekin Aarav zada Samay ke liye ye banaye nahi rakh paye ga, Hume jaldi kaam per lagna ho ga.




Wanhi Aarav ke banaye Holo Hexarion ke paancho sar ek saath aage barhe aur unho ne Hexarion ke paancho sar ko pakar lia, Aarav ne apne Holo ka size Real Hexarion se kuch bara rakha tha ke wo apne Holo se asli Hexarion ko jakar sake.



Uss Hexarion ko banaye rakhne ke liye Aarav ka 1 Mana per Second lag raha tha, Hexarion puri tarha Aarav ke Holo ki jakar me tha aur bilkul bhi Move nahi ker pa raha tha.



****


Yoo-Jung ne Daisuke ko ishara kia aur ek taraf bhaagne lagi, Daisuke bhi dusri taraf bhaagne laga, Yoo-Jung apni Nazre Hexarion per garaye huwe bhaagte huwe ek jagha ja ker ruk gayi.



Apni position ko ache se set karte huwe uss ne apna Bow nikala aur wo uss ke konon ko kholne lagi, Bow khul ker aur bhi bara hone laga, Beech me lagi string kp Bow ke saath set karte huwe Uss ne Bow ko zameen per rakh dia aur uss ka Nishana seedha Hexarion ke Fire Element wale Head ki taraf ker dia.




Yoo-Jung ne apne peeche latke uss Spear ko nikala jo Daisuke ne uss ko Airport per dia tha, Yoo-Jung ne uss ko Bow ke Upar ek Arrow ki tarha set kia aur String ko kheench ker peeche ker diya.



Yoo-Jung(Smirk): Kabhi socha nahi tha ke uss Clan ke banaye Weapon ko Use karu gi main! Ek Dhanush jo kabhi bhi bara aur chota ho sakta hai, Ek mazboot lakri se bana huwa jo kisi haathi ke wazan se bhi na toote, Wanhi dusri taraf ek teer jo kisi ko bhi ek Spear lage, Khaas Pathar se bana ye teer khaas Inner Qi store karne liye aur tabahi ke liye banaya gaya hai, 30 Din tak Master Level Inner Qi User ki Qi ka istemal karte huwe ye banaya gaya teer beshak Government ko bhi darane ke liye kaafi tha.



Yoo-Jung Mann me ye sab sochte huwe apni Inner Qi ko Uss Arrow me daalne lagi, Arrow Glow karna shuru ho gaya, Yoo-Jung ne apna nishaana ek baar aur daikha aur Teer ko kaman se nikalne dia.


Hava ko cheerte huwe wo teer seedhe Fire Element wale Sar ki taraf chala gaya, Sar ne Teer ki taraf daikha lekin Aarav ke holo ne usse aur bhi zor se jakar lia.



*Kaboooooom*



Ek bare dhamake ki awaaz ne vatavaran ko hila ker rakh dia, Dhamaka kisi Missile ke phatne jitna bara tha, Wahan dhua urne laga aur jab dhua hata to Fire Element wala sar Hexarion per se gayab tha aur chote chote tukro me zameen per gira Huwa tha.



Aarav ne bhi mushkil se khud ko bachaya lekin uss ne apne Holo ko banaye rakha, Wanhi apni sabhi Inner Qi ko uss ek Attack me Use karne ke baad Yoo-Jung ghutno ke bal baith gayi aur lambi lambi saanse bharne lagi.



Uss ne apni puri shakti ek baar me istemal ker di thi, Lekin wo worth it thi Yoo-Jung ke attack ke liye, Yoo-Jung ne Daisuke ki taraf daikha jo usse he daikh raha tha, Thumbsup karte huwe Yoo-Jung ne usse apni taraf se usse befikar hone ka ishara ker dia.



Daisuke ne bhi muskurate huwe apna dhayan Hexarion ke dusre sar Lava Element wale ki taraf ker lia, Aarav aur Yoo-Jung apni 100% de chuke the, Ab Daisuke ki baari thi ye wo bhi samajh chuka tha.



Daisuke ne apne haath upar kiye aur Aankhe band ker li, Daisuke apni Inner Qi ko release karne laga, Ek bari matra me Inner Qi Daisuke ke shareer se nikalte huwe havao me milne lagi.



Daisuke: Within my core, the wind shall rise, A swirling tempest, reaching the skies, With inner Qi, this power I wield,
Let the whirlwind form, as I have appealed.



Daisuke ye mantar repeat karte huwe apni Inner Qi ko Circle me rotate karne laga, Daikhte he daikhte inner ke paas havao ne bhi rotate karna shuru ker dia, Havao barhti chali gayi aur uss ne tufan ka roop lena shuru ker dia.


28d5afc9749809c22cd13b3113c7090c.gif

Daisuke ne apni Aankhe kholi aur uss ko seedhe Lava Element wale sar ki taraf bhej dia, Lava Wale sar ne Lava phenkna chaha per wo bhi uss Tornado ke beech me aa gaya aur Tornado ko aur bhi shaktishali aur khofnaak banane laga.



Tornado ne uss Sar ko apne shikanje me lia aur ghoomane laga, Daisuke apni puri shakti lagate huwe usse banaye rakhne ki koshis ker raha tha, Agle he pal Lava Element wala sar Hexarion ke shareer se ukhar ker nikal gaya.



*Thud*



Daisuke bhi apne ghutno per gir gaya, Chehre per ek muskurahat sajaye ke uss ne apna kaam pura ker lia hai, Toofan bhi khatam ho gaya aur ab wahan sirf Hexarion ke 3 sar baki the.




****


*Huh*



Daisuke aur Yoo-Jung ne Hexarion ke 2 sar ko khatam ker dia tha, Dono he apni limits ko pohanch ker neeche gir chuke the, Abhi ke liye wo aage kuch bhi nahi ker sakte the, Aarav bhi apni Limits ko hit karne ke kareeb tha.



Itna bara holo wo bhi pehli baar banaya tha, Usse banana Aarav ke liye Naya aur Mushkil dono he tha, Wanhi har guzarte lamhe ke saath Hexarion samajhne laga tha ke usse pakra huwa Hexarion Asli nahi hai, Agar Aarav aur samay bana bhi sakta to wo Hexarion per kaam nahi karne wala tha.




Aarav bhi apna gussa shaant kiye khara huwa tha aur ab usse bhi aage barhne ki chah mehsoos hone lagi thi, Aarav ne apni Sword nikalte huwe usse pakra aur Hexarion ke healing ability wale sar ko apna nishana banane laga.



Aarav ka Holo khatam hone laga aur Training Zone bhi hatne laga, Aarav hava me Levitate ker raha tha Daisuke ki technique se, Aarav seedha Hexarion ki taraf neeche jaane laga.



Aarav: Lime!



Aarav ka ishara milte he Lime bhi Aarav ke kandhe se uchal ker seedhe Poison Element wale sar ki shuruvat me ja ker uss ke gale me lipat gayi.



Lime kisi Dhaage ki tarha bareek ho gayi aur Uss sar ko kaatne lagi, Hexarion ka wo sar Dard se chilane laga, wanhi Aarav Healing Ability ke sar ki taraf ja he raha tha ke Ice Element wale sar ne beech me ate huwe Aarav ko disha badalne per majboor ker dia.




Aarav ek baar dobara Hexarion ke shareer ke upar aa gaya, Ice Element wale sar ne apna sar ghoomaya aur Aarav ki taraf daikhte huwe thandi havaye muh se chorni shuru ker di.




[Flash Steps]



Aarav ne ek baar dobara Flash Steps ko Use kia aur ate huwe attack ko dodge ker lia, Aarav khud bhi heraan tha ke wo Flash Steps ko 3 se zada baar bina kuch zada dikkat ke Use ker paa raha tha.

d479418cbefa1eef90ae1ecc790b95fc.jpg


Aarav ne apne Sword ko set kia aur usse Qi se lapait lia, Aarav zigzag karte huwe Ice Element wale sar se bachte huwe seedhe uss ki shuruvat me pohancha aur apni Sword ko Peeche kheenchte huwe ek bhayankar vaar uss ki gardan per ker dia.



[Deathly Slash]



Ab tak Aarav ne jo kuch bhi kia tha usse ek idea tha ke wo ye sab ker sakta hai, Lekin abhi uss ne jo kia tha uss ka usse bhi kuch andaza nahi tha ke wo ye ker sakta hai, Aarav ki Blade ek pal ke liye bari huwi aur uss ke Slash ki range barh gayi, Matr ek vaar me Ice Element wale ka sar seedhe cut ker neeche gir gaya.



Aarav ke saath neeche baithe Yoo-Jung aur Daisuke bhi muh khole uss drishya ko daikh rahe the, Aarav apni sword ko upar karte huwe waapis khara huwa aur khud ko daikhne laga.



*Shhhh*



Aarav ko apne peeche kuch sense Huwa to Aarav uchalte huwe usse Dodge ker leta hai, Uss ke peeche Poison Element wala sar muh khole usse nighalne aa raha tha.



Aarav wahan se hat to gaya, Lekin Uss sar ke muh se ati wo Poisonous Havaye Aarav Ko saans lene me duvidha de rahi thi, Wanhi uss sar ki body bhi Red ho ker Poisonous hone lagi.


f4cab73011b42a7cc8315f44bc417eb4.jpg

Aarav: Lime! Waapis aoo



Aarav ne Lime ko waapis bula lia, Lime Uss sar ko kha ker khatam ker rahi thi, Ab uss ka pura sar he poisonous ho gaya tha to wo Lime ke liye bhi khatra ban chuka tha.




*Whip*



Neeche se Whip ek taraf se tez gati me Aarav ki taraf barhi, Aarav ne apni Sword aage karte huwe Block karna chaha, Lekin wo Whip Aarav ki Sword ko tukro me torte huwe Aarav ke lag gayi, Aarav ke Block karne uss ki gati aur Speed me kami aa gayi thi to Aarav sirf ek zordar vaar se uchalte huwe Hexarion se neeche ground per gir gaya.



Aarav apni Limits ko hit karne laga tha, Khud ko bachate huwe wo Hexarion se kuch distance banate huwe peeche ho gaya, Poison Element ne Poisonous Gas chorni shuru ker di jo Havao me mil ker phailne lagi.



Daisuke(Shout): Sabhi apni saans rok lo!



Teeno apne naak aur muh per haath rakh ker baith gye, Wanhi Hexarion ki Whip seedhe apne baki gire huwe sar me ghus gayi, Sabhi sar sukhne lage jaise whip unhe Devour ker rahi ho.



Hexarion ke shareer me badalav ane lage, Lekin ye teeno he exhaust ho chuke the aur wanhi zahreeli havao ne un ko wanhi rukne per majboor ker dia tha.



“Full Area Purification”



Unchi awaaz ne un ka dhayan Peeche kia, Wahan Bella Shadow ke upar baithi huwi thi apne haath upar kiye huwe, Uss ke haath chamakne lage aur Roshni wahan phailne lagi, Hava me se Poisonous Gas Purify ho ker nasht hone lagi.



Puri tarha Poisonous Gas ke khatam hote he Bella Shadow ke upar he gir gayi, Chehre per ek muskurahat aur santushti ke wo un sab ki kuch madad ker payi hai, Wanhi baki sab usse heraani se daikh rahe the.



Bella(Chuckle): Tum sab ko kia laga tha? Nayi Abilities sirf tum sab ko he mili hai kia?



Kisi ko kuch khaas samajh to nahi ayi, Lekin Bella ne unhe sach me bacha lia tha, Wahan kaam pura hote he Shadow baki Demon Wolves ke saath Bella ko wahan se le gaya.



Hexarion apna roop badalna shuru ho gaya tha, Aarav himmat karte huwe khara ho gaya, Uss ka shareer abhi bhi ghayal tha wanhi uss ki pasali ki kuch hadiye toot bhi chuki thi, Lekin Aarav phir bhi dobara larne ke liye tayar ho gaya.




****

Unknown Place ~


*Thud*



Abhinav ko ek Casket me laitate huwe Ezra ne uss ko band karte huwe ek Shadow portal me bhej diya, Abhinav ki body ko secure karne ke baad Ezra waapis Vyakti ke paas chali gayi.




Vyakti Aarav aur Hexarion ke beech chal rahi larai ko daikh raha tha, Ezra bhi uss ke paas chali gayi, Aarav dobara khara ho raha tha, Hexarion ko aise duvidha me daikh Ezra bhi heraan ho gayi.



Ezra: Kia Aarav sach me Hexarion ko hara sake ga kia?




Vyakti: Hmm! Hexarion tutorial tower ka sab se shaktishali Monster hai, Agar tum dono apni puri shaktiyon ke saath larte ho to Hexarion tumhare liye bhi ek mushkil Pratidhvandi ban sakta hai, Hexarion itni lambi neend ke baad apni puri shaktiyo ko waapis nahi la saka, Lekin wo apni asli shakti se itna Peeche bhi nahi hai, Agar wo apni shaktiyon ko samay rehte jagrit ker bhi le to Result shayad wohi hota jo aage hone wala hai.



Ezra: Lekin kia wo Soul Monarch ke Sacrifice ke kabil hai? Soul agar chahta to Hexarion ko 2 Attack's me khatam ker sakta tha.



Vyakti: Lekin Unho ne kiu nahi kia? Kiu ke wo Aarav per Vishwas ker ke gye hai, Aarav abhi Soul ki barabari nahi ker sakta, But considering how quickly he's growing, he'll surpass us soon.




Vyakti ke shabd sun ker Ezra bhi Aarav ki growth daikhne ki utsukta dikhane lagi-




Vyakti: Agar Aarav Dharti ki raksha karne wala hai to Dharti ke liye wo sab mushkil samay asaan hone wala hai!




****
*Thump* *Thump*



Aarav dobara larne ke liye khara he huwa tha ke usse kareeb se he bhaari kadmo ki awaaze ane lagi, Aarav chaukanna ho ker khara ho gaya, Awaaze tez hoti gayi aur akhir jungle ke andar se ek Orc baahir aa gaya.



Uss ke saath Peeche ek ke baad ek Orc baahir ata raha, Aarav un sab ko wahan daikh heraan ho gaya, Wanhi Orc's ne jaise he Aarav ko daikha un ki aankhe laal hone lagi, Aarav samajh gaya ke wo wahan kisi achi soch se to nahi aye.



Un me se ek Orc saamne aya uss ne apne haath me Vansh ko sar se pakra huwa to aur ghaseet ker saath la raha tha, Vansh ki Ankhe band hone ko thi pura sar khoon se bhara huwa tha.



Vansh ne ankhe khol saamne daikha to uss ke saamne Aarav zinda khara huwa tha, Vansh ki Ankhe dar aur heraani se khul gayi, Wo Aarav ko mara huwa samajh ker bhaag gaya tha lekin wo uss ke saamne zinda tha.



Lekin Aarav Vansh ko wahan daikh ker kuch khaas khush nahi tha, Tabhi un me se ek Orc ne kuch Aarav ki taraf phenka aur wo seedhe Aarav ke saamne aa ker zameen me dhans gayi.


Aarav ne usse daikha to wo Axe thi, Orc King ki Blood Axe thi, Ab Aarav soch raha tha to unhe pehli Quest me ye Axe reward milne wali thi, Lekin wo kabhi kisi ko mili he nahi ya ye kaho unho ne kabhi apna wo reward claim kia he nahi, Orc's ke liye Aarav ne King ko hara ker wo Axe jeeti thi.



Orc's ne apne hathiyar nikal liye, Wo wahan Aarav ko challenge karne aye the, Lekin abhi Aarav ke paas aur bhi bari Problem thi. Hexarion, Aarav Orc's per dhayan na dete huwe Hexarion ki taraf jaane laga.



*Thud*



Aarav aage barhne he wala tha ke uss ke kadmo me Orc's ne kuch phenk dia, Aarav ne neeche daikha to uss ke dil ki dhadkane barhne lagi, Uss ke kadmo me Andrew ka kaata huwa sar gira huwa tha.



Orc's chehre per bhayanak muskan sajaye Aarav ko wahan ruke huwe daikh hans rahe the, Aarav khud ko samjhana chah raha tha ke abhi usse Hexarion ko sambhalna hai.



Lekin un Orc's ki wo hansi Aarav ko trigger ker rahi thi, Aarav ne Laal ankho se un ki taraf daikha aur Hexarion se ghoom ker un ki taraf jaane laga

a37325f293fac70c5e865fa22c3decdb.jpg

[System Bazaar Announcement: New Item Available]


[Introducing the Berserker Potion! It is priced at 300 Bazaar Points, and for your first purchase, you can enjoy a discount of 90%.]


bcc769f650e47d27b05b55934fd5f28e.jpg

Aarav ke saamne Notifications aya, Aarav ne Usse khareed lia, Aarav ki Inventory me Beserker Potion aa gaya, Aarav ne usse nikaal ker foran pee lia, Aarav bhi jaanta tha ke abhi wo uss halat me nahi hai ke Orc's aur Hexarion se ek saath lar sake.

bfb3ca71434b5ca3a68967a770c45e7e.jpg

Lekin uss ke Emotions usse rukne bhi nahi de rahe the, Aarav ke andar se ek Dark Aura baahir ane laga jo uss ke Emotions se ban raha tha, Aarav ka khud se control khota ja raha tha, Aarav ne aage barh ker Axe ko pakar ker Zameen se baahir nikal lia.


[Congratulations! You have successfully claimed all the rewards from your first quest. Well done!]




Aarav uss Axe se bahaya sabhi khoon sungh sakta tha, Ek bhayankar hathiyar jo banane ke liye khoon ke sacrifice diye gye the, Aisa hathiyar jo Aarav ke liye kabhi sab se bari mushkil tha wo aj Aarav ke haatho me tha.




Aarav ki Aankho me laali ani shuru ho gayi, Aarav ne Axe ko uthaya aur uss ko ghoomane laga, Aarav ne wo Axe seedhe neeche de maari.



Aarav:
Blood Spikes!




Orcs ke neeche se Blood Spikes nikalne lage aur wo seedhe Un ke shareer me ghus gye, Bilkul Jaise Andrew ko Spikes per latka ker maara gaya tha, Wanhi Vansh apne itne kareeb Blood Spikes daikh ker Dar se chilane laga.



[Flash Steps]



Aarav Flash Steps se wahan aya aur ek ke baad ek Orc ka sar kaatne laga, Wahan ka drishya Narkh se kam nahi tha, Chaaro taraf Orc's ka khoon urr raha tha aur wanhi beech me Aarav jaise Dance ker raha tha.



Har vaar se usse Santushti mehsoos ho rahi thi, Sabhi Orc's ke sar kaatne ke baad Aarav wanhi khara ho ker sab kuch daikh ker muskurane laga, Aarav bilkul badal chuka tha uss waqt wahan sab se khoonkar rakshas wahan Aarav he lag raha tha.



Daisuke aur Yoo-Jung bhi Aarav ka ye roop daikh ker andar kaanp gye, Unhe andaza tha ke ye sab Aarav ne jo Potion piya hai uss ki wajha se hai, Lekin wo pata hona unhe kuch khaas himmat nahi de raha tha.



*Grooowwwwrrrrr*


30fc728fddf1ed71699423919fa64251.jpg

Hexarion ne daharte huwe wahan apni presence ka ehsaas dilwaya sab ko, Hexarion ke sabhi sar ek saath mil ker 1 Sar wala Dragon ban chuke the.

8036bfff77bf8e0b9994a2f033289e6c.jpg


Aarav Hexarion ko daikh ker uss ki taraf bhaaga, Hexarion ne Aarav ko ata daikh aag se usse jalane ki koshish karte huwe apne muh se aag ki taraf phenki, Lekin Aarav uchalte huwe Axe ko aage ker Cover lete huwe seedha Hexarion ke paas chala gaya.


*Thud*




Aarav ne ek zordar punch Hexarion ke maar dia, Punch me itni Power thi ke Hexarion bhi kuch kadam peeche ho gaya, Neeche utarte he Aarav usse muskurate huwe daikhne laga, Wanhi Hexarion ko bhi gussa ane laga.



Daisuke (Frightened): K-Kia kujhe cheeze dikayi dene lagi hai kia? Aarav ne itne bare dragon ko punch maar ker peeche dhakail dia?



Yoo-Jung: Ye sach hai! Aarav ki strength 100+ hai, Wo chahta to ye pehle bhi ker sakta tha, Lekin Aarav anjane me he hamesha apne har attack me holdback kartha tha uss ke narm dil ki wajha se, Lekin shayad wo potion Aarav ke Emotions ko usse holdback nahi karne de raha, Abhi hum ne daikha Aarav apne har Vaar me puri shakti laga raha hai.



Aarav ek baar dobara uchla lekin Hexarion ne apni Tail ki madad se Aarav ko hit ker dia, Aarav seedha ek pathar me ja ghusa, Attack Aarav ki hadiye torne ke liye kaafi tha, Lekin Aarav uss Pathar se bhi baahir nikal aya aur ek baar dobara Hexarion ki taraf barha, Hexarion ne vaar karna chaha lekin Aarav Flash Steps se aage nikal gaya aur ek jump lete huwe uss ne Axe ko peeche kheencha.




[Deathly Slash]



Aarav ne pehle baar Sword ki jagha kisi aur Weapon se Deathly Slash ko Use kia tha, Uss ka Aura he itna bara tha ke uss ne Hexarion ka ek haath kaat dia aur ek bara cut us ke shareer per chor dia.



*Unghhhhh*



Hexarion dard se chilaya, Uss ki cheekhe sun ker Aarav ki muskan aur bhi gehri ho gayi, Dono ke beech aise he yudh shuru ho gaya lekin Aarav har baar ghayal hone ke baad aur bhi zor se vaar karne aage ata tha


Aarav ko wo Chance mil gaya jo us larayi ka ant tha, Aarav seedhe Hexarion ke side per chala gaya aur uss ne Axe ko peeche kheencha Axe laal ho gayi apni Blood Power ki wajha se, Aarav ne Axe se Deathly Slash ka vaar kia aur Hexarion ka sar uss ke dhar se alag ho gaya.



Hexarion zameen per gir gaya, Wahan huwi jung se urr rahi dhul se kisi aur kuch dikhayi nahi de raha tha, Aur jab Dhul hati to Hexarion Zameen per tha aur Uss ke Uppar Aarav khara huwa tha.


e95d7aa6a6ee8c4affabee23e65bf84f.jpg

[Player Earns New Title: Dragon Slayer]


[You have earned a new title: Dragon Slayer. This prestigious title recognizes your remarkable achievement of slaying a dragon. Well done!]




Aarav per se Beserker Potion ka effect khatam hone laga, Uss ke kadam larkharane lage, Lekin wo larkharate kadam ke saath aage barhta raha, Yoo-Jung aur Daisuke bhaag ker uss ke kareeb aye lekin Aarav ne haath ke ishare se unhe rukne ka keh dia.



Aarav chalte huwe Orc's ki Latki huwi Bodies ke paas chala gaya, Uss ke saamne he Vansh khara ho raha tha uss ki halat bhi kharab thi, Lekin Aarav uss ke paas gaya aur ek zordar punch uss ke muh per maar dia Vansh urte huwe ek ped se takra ker neeche gir gaya.



Vansh ne Aarav ki taraf daikha to wo gusse bhari nazro se usse daikh raha tha, Aarav ki ankho ke andhera chaane laga aur wo peeche ki taraf neeche girne laga.



[Would you like to watch Soul Monarch's Memories?]


[(
Yes) ~ (No)]



Aarav(Mumble): Yes!
.
.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he ye Update 6.3K Words ka hai, Main chahta to easily iss ke 2 Updates bana deta lekin Ap log bhi itna intezar ker rahe the to main kuch acha he dena chahta tha, Target hamara wo he hai 30 Likes Next arc per Target barhe ga, Next Update Wednesday night ya Thursday night ko aye ga, Milte hai agle Update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Nice
 
  • Like
Reactions: Salty~Otaku

navrose

Member
403
240
43
UPDATE 39 ~
(NOT VERY HAPPY NEW YEAR)



Safe House Seoul
South-korea ~ 03:04 AM


*Thump*



Baahir se kuch girne ki awaz sun ker Kamre me soo rahi ladki ki aankh khul gayi, wo uth ker baith gayi aur saamne Darwaze ko daikhne lagi.



Ladki ne apne paas rakhe Table Lamp ko chalana chaha, Lekin Powercut huwi huwi thi, Ladki ko dar lagne laga, Lekin jab kuch samay tak kuch bhi nahi huwa to wo himmat ker ke Bed se neeche utar gayi.



Apne haath me wanhi rakha ek danda uthate huwe dheeme kadmon ke saath wo darwaze ke paas ayi aur dheeme se darwaza khol ker baahir jhankane lagi.



Ladki(Trembling): Hello!!! S-Sab kahan hai?



Ladki ko baahir kuch bhi nahi dikha to wo kamre se baahir aa gayi, Ladki ki suraksha ke liye Wahan guards ko rakha gaya tha, Lekin aj wahan koi bhi nahi tha ye daikh ker ladki heraan thi.



Ladki: Kahan ho sabhi?



Ladki ne dobara awaz lagayi, Lekin ab ki baar bhi koi jawab nahi aya, Ladki seedha chalti gayi, wo ek bara ghar tha, Ladki aage se ja ker ghoomi aur uss ke kadam wanhi tham gye.



Ladki ke saamne sabhi Guards ki laashe jal ker kaali ho ker giri huwi thi, So bhayanak drishya daikhte he ladki ki aankhe khul gayi aur wo ghutno per gir gayi, Uss ka mann aisa kharab huwa ke usse ulti aa gayi.


*Ugwwhhh*




Ladki Ulti ke baad lambi saanse lene lagi, Lekin agle he lamhe ladki ko apne peeche kisi ke khare hone ka ehsaas huwa to wo dar se ek taraf chali gayi, Uss ke saamne kaale aur laal rang ke kapre pehne kuch log khare huwe the, Un sab ke Robe per Fire Symbol bana huwa tha.



“Itna Kamzoor dil ho ga tumhara? ye socha nahi tha”



Un logo ke beech me se ek Lady nikal ker saamne ayi, Safed baalo wali wo lady dikhne me he un sab me higher Rank lag rahi thi, Haath me ek Qi Sword banaye huwe wo Lady aage aa gayi.

d655e3b0ecb04bf9cdea889959a8efda.jpg

Lady: Yoo-ri! Huh *Smirk* Tum behno ko kia laga tha? Aisi kamzoor protection milne se tum dono safe ho jao gi? *Grin* Tum jaise Najayaz khoon se aur Umeed bho kia he ker sakte hai?




Lady ne Yoo-ri ke gaalo ko ungliyo se pakar ko dabaya, Yoo-ri dar se kuch bhi virodh nahi ker pa rahi thi, Uss ki aankho se ansoo nikal aye.



Lady: Itne me he rone lagi? *tch* Najayaz he sahi lekin tum kis ka khoon hai ye to sabit karo! *Sigh* Ganda khoon bhi to shamil hai tumhare andar, Lekin pareshan mat hona, Abhi tumhe uss gande khoon ke paas pohancha de gye.



Lady ne apni muthi banate huwe aik ungli baahir nikali, Ungli ke upar choti si Aag jalne lagi, Lady ne uss ko Yoo-ri ki aankh ke paas kia aur muskurane lagi.


*Swishhh*



Yoo-ri ne apne saath laya danda ghoomaya, Lekin wo lady halka peeche hote huwe usse dodge ker li, Lekin Yoo-ri wanhi ruki nahi aur danda uss ki taraf phainkte huwe wanhi ek Guard ki laash ke paas gayi aur uss ki body se smoke bomb nikalte huwe phaink dia.




*Psshhh*



Smoke Bomb se dhua nikla aur wahan phailne laga, Yoo-ri ko wahan ka pura raasta pata tha, Wo bina peeche daikhe seedha bhaagne lagi, Uss ki halat kharab ho rahi thi lekin wo ruki nahi aur Ghar se baahir nikal gayi.



Lady(Laugh): Hahahaha! Ab aye ga na thora maza, Jaan bacha ker bhaag rahe shikaar ko maarne ka he to maza ata hai.




Wo Lady bhi apne saath aye logo ke saath baahir aa gayi, Wo ghar ek sunsaan jaghe per tha, Jahan kareeb koi bhi nahi rehta tha, Wanhi Yoo-ri seedhe bhaag rahi thi, Uss ke peeche he sabhi pedon ki tahaniyon per uchalte huwe uss ke peeche aa rahe the.



*Bang*



Uss Lady ne kuch chingariyo ko Yoo-ri ke paas phaink ker uss ke maze lene shuru ker diye, Yoo-ri aankhon me ansoo liye sirf wahan se bache ki umeed karte huwe raaste per nange paon bhaagte ja rahi thi.



*Swish*


Abhi wo Lady Yoo-ri ke maze le he rahi thi ke uss ke saath aa rahe ek saathi ki chaati per ek teer aa laga, Wo sabhi wanhi ruk gye aur saamne daikhne lage, Andhere me unhe un ke saamne koi khara Huwa dikh gaya.




Lady: Akhir tum baahir aa he gayi! *Grin* Kahan chupi huwi thi? Yoo-Jung?


1f4bd9f14b05fc994ca53c51bbbf9b96.gif

Andhere ke andar se Yoo-Jung baahir ayi, Ek pal ke liye Lady bhi heraan ho gayi thi apne saath aye insaan ko marte daikh ker, Lekin agle he pal wo waapis apne bhayanak roop me aa gayi, Yoo-ri bhi wanhi ruk gayi.



Yoo-ri(Sobbing): Noona (Sister)! Noona ye log peeche sabhi Guards ko maar aye hai.



Yoo-Jung apni behan ko aise rote daikh gusse me thi, Lekin wo dhayan se sab kuch daikh rahi thi, Uss ke saamne Fire Clan ke Expert the, Wanhi un ko Lead ker rahi thi 4th Elder Na-ri!




Na-ri: Ab tum bhi yahan aa he gayi ho to dono behno ko ek saath he Narkh bhej deti hu! Wahan mil lena apni uss bazaro Maa se.



Na-ri ne chehre per ghinoni muskurahat ke saath kaha aur apni ungliyo ko apne honto ke paas le ayi, Na-ri Fire Breath ko Use karne he wali thi ke Yoo-Jung kudte huwe uss ke paas ane lagi.



Na-ri bhi ghabra gayi ke ye ladki kia soch rahi hai? Yoo-Jung ke kareeb ate he wo sab peeche hone lage, Lekin Yoo-Jung ne wanhi apne haath phaila liye.




Yoo-Jung: Explosion!



Yoo-Jung ne haatho ko zor se jora aur uss ke haatho se Aag ka Dhamaka nikla aur wahan phail gaya, Aise unexpected attack se Na-ri bhi chaunk gayi aur khud ko bachane lagi.




Aag ke thamne ke baad Yoo-Jung aur Yoo-ri dono wahan se gayab the, Na-ri ko gussa ane laga ke kaise ek bachi uss per Surprise Attack ker ke wahan se nikal gayi hai.



Na-ri (Angry): Phail jao sabhi! Lekin yaad rakhna un ko maarne wale haath mere he ho, baki un ki halat aisi ker dena ke wo moat ki bheek maange.


****


*Pitter-Patter*


Yoo-Jung aur Yoo-ri ne Road per na bhaagte huwe pedon ke beech ka raasta le lia, Yoo-Jung apni behan ka haath pakre usse le ker aage barhti rahi, Lekin Yoo-ri ki raftar bohat zada kam thi.



Yoo-ri(Gasping): Noona, Ap yahan kiu ayi ho? Ap bhi meri wajha se mushkil me phans gayi ho!



Yoo-Jung ne peeche apni behan ko daikha aur ek chupne ke liye sahi jagha daikh ker wahan chali gayi, Wo itni Cover jagha nahi thi lekin dhayan rakhte huwe wo kuch samay ke liye wahan reh sakti thi.



Yoo-Jung: Kia matlab ke tumhari wajha se Mushkil me aa gayi hu main? Wo sabhi tumhare saath mujhe bhi maarna chahte hai, Lekin main aise nahi hone du gi, Bohat Zulm bardasht ker lia hum ne, Aj Naye Saal ka pehla din hai aur hum bhi badalne wale hai, Ab hum un se peecha churwane wale hai.



Yoo-Jung ne Yoo-ri ka haath thaamte huwe kaha, Aj New-Year ke baad pehla din hone wala tha, Yoo-Jung apni Behan ke saath Naye saal ki khushi manane ayi thi, Lekin usse kahan ehsaas tha ke naya saal un ke liye kia le ker aya hai.


Yoo-ri: Lekin kaise? Hum kanhi bhi chale jaye wo hamare peeche aa jate hai *Sob* Aisa kia bigara hai hum logo ne un ka? Hum to kuch keh bhi nahi rahe? Hume kisi se kuch chahiye bhi nahi to kiu ye hamara peeche nahi chorte?




Yoo-Jung(Sigh): Unhe un ki shaktiyon per ghamand hai aur dar bhi hai ke koi unhe cheen le ga! Unhe dar hai ke hum un ke khilaf khare ho sakte hai, Wo un ke saamne ane wale sabhi Archano ko samay se pehle he hatana chahte hai, Unhe sirf ek shakhs sab se Upar khara chahiye, Un ka agla Clan Leader.




Yoo-ri: Kia hum ne kaha tha ke Un ka Clan Leader hume Janam de? Bachpan se un se bhaagte huwe thak chuki hai hum, Hume nahi chahiye wo Admi hamare baap ke roop me, Kiu hamara peecha chorr nahi sakte wo log?



Yoo-Jung ne apni behan ko gale se laga lia, Wo apne saamne itne logo ki laashe daikh ker he ghabra chuki thi, Yoo-Jung aur Yoo-ri Twins thi lekin Yoo-Jung kuch minute bari thi, Lekin un kuch minute ke difference ko he Yoo-Jung ne apni responsibility samajh ker ek bari behan ki tarha Yoo-ri ko sambhala tha.



Dono bilkul Same dikhti thi lekin un ke baalo aur Aankho me difference tha, Wanhi Yoo-Jung apne andar Inner Qi Jagrit ker saki thi lekin Yoo-ri kabhi bhi nahi ker saki, Kiu ke wo hamesha beemar bhi rehti thi to Uss ne kabhi koshish bhi nahi ki thi jagrit karne ke liye.



Yoo-Jung: Wo hamare kareeb pohanch rahe hai!



Yoo-Jung apni taraf ati un Flames ko Sense ker sakti thi, Wo un ki nazro me na aye iss liye he wo khud Inner Qi ka Use nahi ker rahi thi, Yoo-ri bhi un ke kareeb ane ka sun ker darne lagi.



Yoo-Jung: Ab meri baat dhayan se suno! Yahan pedo ke dusri taraf neeche Kijoong Car le ker khara hai, Tum puri himmat laga ker uss taraf bhaago, Yahan rest karne se tumhara Stamina bhi recover ho gya ho ga, Kijoong kuch din tumhe chupane ke baad tumhe Japan bhejne ke liye sab ready ker de ga, Japan me mere kuch Friends tumhe mil jaye gye, Wo tumhara khayaal rakhe gye, Lekin yaad rakhna tum wahan sirf ek Shakhs per vishwas rakhna hai, Aarav Arya!



Yoo-ri: Ye Aarav kon hai? Aur ap aise kiu keh rahi ho jaise ap mere saath nahi aoo gi?



Yoo-ri ne ghabrate huwe kaha, Yoo-Jung ne aage barh ker ek baar dobara apni behan ko gale se laga lia, Yoo-Jung ko andaza tha ke wo ek Elder se aise he nahi jeet sakti hai, Uss ke chances kam the lekin chances wanha the zaroor.



Yoo-Jung: Hum me se ek ko pehle yahan se nikalna ho ga! Tum kuch bhi nahi kaho gi, Main vaada karti hu ke main wapis zaroor au gi, Lekin tab tak agar tumhare liye mujhe kisi per Vishwas hai to wo Sirf Aarav hai, Aarav tumhe zaroor bachaye ga, Mujhe Vishwas hai uss ke upar.


Yoo-Jung ne Yoo-ri ko khud se alag kia aur usse jaane ke liye kaha, Yoo-ri ki ankhe bhar ayi thi, Usse apni behan ke liye dar lagne laga tha.



Yoo-ri: Lekin Noon-!



Yoo-Jung(Gently): Yoo-ri! Please meri baat maan lo.....Main tumhe khona nahi chahti.



Yoo-Jung ki awaaz me uss pal ke liye ek udaasi thi, Yoo-ri kuch kehna chah ker bhi kuch nahi keh saki aur apni behan ki baat maan ker bhaagne lagi,



Yoo-Jung Usse jaate huwe daikhti rahi, Ek umeed ke saath ke wo dobara apni behan ke paas ja sake, Ek baar aur uss se mil paye aur hans paye.




Ek gehra saans bharte huwe Yoo-Jung larne ke liye tayar ho gayi.


****


*Woosh* *Woosh*



Na-ri apne saathiyo ke saath aage barhti rahi, Uss ke chehre per gusse ke bhav aye huwe the, Wo bhav agle he pal saamne daikh ker ek bhayanak muskurahat me badalne lage.


d655e3b0ecb04bf9cdea889959a8efda.jpg

Na-ri ke saamne he Yoo-Jung khari huwi thi aur Yoo-ri uss ke paas se bhaag rahi thi, Na-ri ne haath aage karte huwe haath me ek Fire Ball banayi aur Yoo-ri ki taraf phenk di.



*Wooosh*


Yoo-ri ke paas Ball pohanch sakti uss se pehle he Yoo-Jung uss ke saamne aa gayi aur Fireball ko haatho me Qi banate huwe Block ker lia, Yoo-ri bhi wanhi ruk gayi ye daikh Na-ri khush ho gayi.


*Bang*



67af4ffb09a7c666a738121dac6d777a.gif


Na-ri ki muskurahat agle pal he uss ke chehre se gayab ho gayi, Yoo-Jung ke haath me ek Gun thi aur uss ne ek Goli chala di, Na-ri ne saamne se side hote huwe socha ke wo bach gayi hai, Lekin wo Bullet seedhe uss ke peeche aa rahe saathi ke lag gayi.


*Bang* *Bang* *Bang*




Ek ke baad ek Bullet Yoo-Jung chalati rahi aur Na-ri ke saathi girte rahe, Na-ri ye daikh ker he heraan thi ke uss andhere me Yoo-Jung ko dikh kaise raha hai? Usse bilkul bhi andaza nahi tha aisa kuch hone ka, Yoo-Jung usse har baar heraan ker rahi thi, Lekin wo bhi kamzoor nahi thi.



Na-ri: Heat Waves!


*Bang*


Na-ri ke paas ki havaye garam hone lagi, Bullet uss ke kareeb ate he melt ho ker wanhi girti chale gayi, Ye Fire Clan ki ek khaas technique thi jo sirf ek Master Level Qi User he Use ker sakta tha, Un ke kareeb ka Area garam ho gaya tha, Ye ek Defensive Technique thi.



Un ke kareeb aa rahe sabhi cheeze Melt hoti ja rahi thi, Lekin aisa karne se Na-ri ki movement dheemi ho gayi thi, Un me se 2 logo ne haath upar kiye aur Fire Signal bhej diye.



*Swishhh*


*Kaboooooom*




Yoo-Jung ne khud Yoo-ri ke aage ker dia, Un sabhi ko lagne laga ke Yoo-Jung ab Defence per jaane wali hai, Lekin Yoo-Jung ne ek bottle nikaali aur un ki taraf phenk di, Bottle Un ki taraf nahi ayi aur un ke upar se nikalne lagi.




Na-ri bhi heraan huwi ke aise perfect Aim ke saath Shooting karne ke baad Yoo-Jung ki throw galat nahi ho sakti, Uss ne saamne daikha to Yoo-Jung kaman per teer set kiye huwe thi.



*Swishhh*



Yoo-Jung ne teer chor dia aur wo tez raftaar ke saath aya aur bottle ko neeche se torte huwe nikal gaya, Bottle se hara Liquid nikalta daikh Na-ri ne usse Burn karna chaha, Lekin Usse kuch bhi nahi Huwa.



Na-ri ye daikhte he sirf khud ko wahan se nikal payi, Lekin baki sabhi wanhi reh gye aur Liquid seedhe un ke upaar aa ker gir gaya, Ek dardnak cheekh ne wahan ke vatavaran ko hila dia.



Na-ri ke saamne uss ke sabhi saathi dard se chilate huwe tarap rahe the aur usse hatana chah rahe the, Lekin Acid Slime ka Acid unhe Burn karte ja raha tha, Na-ri bilkul bhi ye soch ker nahi ayi thi wo itne logo ko kho de gi, Wo apne saath kisi aur Expert ko bhi nahi layi thi.



Usse laga tha ke 2 bechari larkiyo ke liye to wo akeli bohat hai, Lekin sirf ek larki uss ko gusse se pagal ker rahi thi, Abhi ke liye wahan Na-ri he bachi thi.



*Swishhh*


4bd72a17513d62ede5d40975952156a3.gif

Ek teer Uss ke paas aya, Lekin Na-ri ne haath se he usse rok dia, Teer ke peeche he Yoo-Jung bhi uss ke kareeb aa gayi, Uss ke haath me gun thi aur wo seedhe Na-ri ke kareeb aa gayi.



*Bang*



Yoo-Jung ne goli chalayi, Lekin Na-ri ne Uchalte huwe bullet dodge ker li aur ek laat Yoo-Jung ke maar di, Yoo-Jung ne haath se block to ker lia, Lekin wo pressure se peeche push ho gayi.



Na-ri(Angry): Ek gande khoon se itna Expect nahi kia tha main ne! *Smirk* Lekin ab bohat ho gaya, Tum dono behno ka yanhi ant ho ga.




Yoo-ri bhaagte huwe Yoo-Jung ke paas aa gayi, Yoo-Jung ne Yoo-ri ko apne peeche kia aur tayar ho gayi, Na-ri aage barhi aur ek punch Yoo-Jung ke maarne lagi, Na-ri ki speed ek pal ke liye boost huwi.




Lekin Yoo-Jung ne uss ke punch ke upar haath rakhte huwe neeche ker dia, Wanhi Yoo-Jung ne dusre haath se apne peeche rakha ek Dagger nikala aur Na-ri per vaar karne lagi.


314c97854d954fe6a885e25b00b24391.jpg

Na-ri Peeche hote huwe usse Dodge ker li, Lekin Yoo-Jung ruki nahi aur aage barhte rahi, Na-ri bachpan se har tarha ki fight ki Training leti ayi thi, Lekin aj wo ek bachi se larte huwe peeche ho rahi thi.



Na-ri (Annoyed): Bohat Huwa! Hell Fire.



Na-ri ne peeche hote huwe haath neeche maar dia, Dharti phatne lagi aur neeche se Aag ka Dhamaka huwa aur aag baahir aa gayi, Wahan ped kam the lekin unhone bhi jald he aag pakar li.



Na-ri(Gasping): Huh! Khatam ho gaya sab kuch *Smirk* Lekin sach me ye larki ek bara khat-



*Swishhh*




Na-ri abhi khush ho ker jashan mana he rahi thi ke ek taraf se Smoke ke beech me se Yoo-Jung baahir ayi, Uss ke haath me dagger tha jo uss ne swing kia, Na-ri peeche huwi lekin uss ke haath per ek bara ghav ban gaya.



Yoo-Jung(Smirk): Don't celebrate too soon, bitch!




Yoo-Jung ko saamne daikh ker Na-ri bhi heraan ho gayi, Wanhi Yoo-ri bhi uss ke peeche bilkul sahi khari huwi thi, Na-ri ko kuch samajh nahi aa rahi thi ke Yoo-Jung itni shaktishali kaise ho gayi hai?




Wanhi ab Yoo-Jung bhi apni limits ko pohanch rahi thi, Na-ri ke attack sadharan nahi the aur un sabhi ko Yoo-Jung ne block kia tha dodge nahi.



Ek Player hone ki wajha se he wo ab tak khari huwi thi, Yoo-Jung ne Vision se le ker Assassin aur dagger sabhi kuch Use ker lia tha, Usse andaza tha ke wo aur nahi lar sakti lekin wo wanhi khari rahi.



“Pyro Prison”



Yoo-Jung paas alag alag Dishaon se awaaz ayi, Yoo-Jung ko kuch samajh ata uss se pehle uss ke chaaro taraf Na-ri ke kuch aur saathi aa chuke the, Yoo-Jung ko defence per switch karna per gaya.



Un sabhi ne apne haath aage kiye to un ke haatho me se Flame nikal ker dewaar ka roop lene lagi, Aise he Yoo-Jung ko sabhi taraf se uss deewar ne gher lia, Yoo-Jung uss ki dusri taraf daikh sakti thi lekin wo usse chu nahi sakti thi.



Ye bhi ek Special Technique thi, Kuch Apprentice level user mil ker ya Master level User akela ek Prison bana sakta tha, Ye kisi ko andar rakhne ke liye banaya jata tha, Lekin isse banaye rakhne ke liye continuosly uss ko Qi dene ki zaroorat hoti thi.



Na-ri(Laugh): muhahaha! Akhir chuha hamare pinjre me phans he gaya! *Sigh* Sach me tum ne mujhe heraan ker dia, Tumhe kamzoor samajhna meri bhool thi, Lekin ab sab kuch khatam karne ka samay aa gaya hai, Lekin tumhe itni Sadharan moat nahi du gi main.



Na-ri bhayanak muskurahat ke saath boli aur uss ne ek saathi ki taraf ishara kia, Wo ishara samajhte huwe Yoo-ri ki taraf barha, Ab Yoo-Jung pakri gayi thi to Yoo-ri un ke liye mushkil nahi thi.



“Fire Palm”



Wo saathi apna haath aage karte huwe Yoo-ri ke paas gaya, Na-ri Yoo-Jung ke saamne he uss ki behan ko torture karna chahti thi, Saathi ne Yoo-ri ko pakarna chaha lekin uss ka haath uss ke beech se nikal gaya.



Na-ri ke saath wanha sabhi heraan ho gye, Yoo-ri agle lamhe he wahan se gayab ho gayi, Na-ri ne Yoo-Jung ki taraf daikha to wo muskura rahi thi.



Na-ri: Y-Ye kaise?




Yoo-Jung: You're not as clever as you think, Slut!



Na-ri ko kuch samajh nahi aa rahi thi, Yoo-Jung thak chuki thi wo na sirf lar rahi thi, Wo Training Zone bhi banaye huwe thi, Aarav ki tarha wo apne Holo se kisi ko touch nahi karwa sakti thi.



Lekin Training karne ke baad wo ek Illusion banana seekh chuki thi, Aarav ne ek Hexarion ka he Holo bana ker usse ek lambe samay ke liye rok dia tha, Uss ke saamne ye kuch nahi tha, Lekin abhi Yoo-Jung ke liye ye he kaafi tha.



Na-ri gusse me aa chuki thi, Yoo-Jung buri tarha thak chuki thi, Leki apni behan ko bachane per wo santusht thi.



*Kaboooooom*



Asmaan me kuch Fireball aa ker phat gayi, Wo ek signal tha, Lekin kaisa Signal? Yoo-Jung ko ye samajh nahi aa rahi thi, Wanhi Na-ri dobara hansne lagi.



Na-ri: Not so fast, bitch! Mujhe nahi pata tum ne ye kaise kia? Lekin ek galti tum ne bhi ker di.....Ye sochne ki galti ke main ne kisi ko baahir rakhwali ke liye nahi khara kia ho ga.




Yoo-Jung ki aankhe dar se failne lagi, Yoo-Jung sach me baahir kisi ko nahi daikhi thi, Lekin signal ki disha daikh ker Yoo-Jung ka shareer kanpane laga, Na-ri uss ka wo chehra daikh ker hanste huwe wahan se jaane lagi.



Yoo-Jung(Furious): Don't you dare do anything to my sister, Na-ri! If you lay a finger on her, I will tear your skin apart, piece by bloody piece!



Na-ri uss ki baat sun ker ek pal ke liye ruki aur Peeche ghoom ker uss ki taraf daikhne lagi.



Na-ri(laughing): Oh, how I love the sound of your futile threats, Yoo-Jung! But soon, your sister will be nothing more than ashes, and you'll be left to suffer in silence.



Na-ri ne haath neech kiye aur ek blast ke saath wo hava me uchalte huwe wahan se chali gayi, Yoo-Jung ko kuch samajh nahi aa rahi thi ke wo kia kare Na-ri pyro prison banaye rakhne ke liye apne saathi wanhi chor ker gayi thi.



Yoo-Jung khud ko shaant karte huwe aage kia karna hai sochne lagi, Wahan khare sabhi uss ki bebasi ke maze le rahe the, Yoo-Jung ne gusse me apne peeche se ek Dagger nikalte huwe ek Admi ki taraf phenk dia.



Wo wanhi shaanti se khara raha, Lekin wo dagger flame wall ke beech se nikal aya aur uss ke paas ane laga, Admi darte huwe peeche huwa wo dagger uss ke beech se ho ker nikal gaya, Lekin usse kuch bhi nahi huwa.



Admi samajh gaya ke ye bhi Yoo-Jung ka Illusion tha, Wo wapis deewar per dhayan dene laga, Lekin uss ne andar daikha tk Yoo-Jung wanha nahi thi.



*Thwack*



Usse kuch samajh ata uss se pehle he uss ke gale ko cheerte huwe dagger nikal gaya, Yoo-Jung baahir aa chuki thi apni assissin skills ki wajha se aur wo bina ruke ek ke baad ek ko maarne lagi.



Un me se kuch ne Counter karna chaha lekin Yoo-Jung bachte huwe ek ke baad ek ko Serious Injured karte huwe nikalti ja rahi thi, Aise he wahan sirf Yoo-Jung bach gayi.



Uss ki apni halat bhi kuch khaas achi nahi thi, Lekin Yoo-Jung larkharate huwe he Yoo-ri ki taraf bhaagti rahi, Mann me prarthana karte huwe ke uss ki behan ko kuch bhi na huwa ho.



Lekin wanhi andar dar bhi ke kanhi usse der na ho jaye, Yoo-Jung bhaagti rahi bina kuch bhi soche, Ped khatam hone lage aur Yoo-Jung ko roshni dikhne lagi.


*Crackle*


Lekin uss ke kadam khud he dheeme hote chale gye, Uss ki aankho ke saamne Kijoong ki Car thi, Lekin wo puri jal rahi thi aur aage ki passenger seat per wo kisi larki ke jali laash bhi daikh sakti thi.



Yoo-Jung ka shareer dheela ho gaya aur thanda per gaya, Uss ki aankho se ansoo girne lage, Saanse bhaari hote huwe uss ki Ankhe dhundhli hone lagi.




*Sniffle* *Sniffle*


Yoo-Jung(choked with sorrow): No... No, please... not her! Why?



Yoo-Jung apne ansoo rokne ki koshis ker rahi thi lekin us ka shareer uss ka saath nahi de raha tha, Wanhi uss ke saamne Na-ri aur kuch log ghoom ker usse daikh rahe the


d7b584922970f74ffdf810b37bb9b791.jpg


Na-ri ko daikhte he Yoo-Jung ne muthi bheench li, Yoo-Jung ne kadam gusse ke saath aage barhaye, Yoo-Jung ke paas ka Aura badalne laga Uss ke baalo ne rang badalna shuru ker dia.
345e0698ce18e3eb651d550560662356.jpg

Yoo-Jung(Furious): You... you did this! You took everything from me!



Yoo-Jung ne har shabd gusse bolte huwe kaha, Na-ri aur uss ke sabhi Minions Ankhe khole saamne se aa rahi Yoo-Jung ko daikhte huwe peeche hone lage.




Na-ri(whispering): No, it can't be... How can a bad blood like you... how can you become the Scarlet Witch of annihilation?



Yoo-Jung bina uss ki baat sune gusse se wanhi khare ho ker apne Flames ko bikhrne de rahi thi, Yoo-Jung ke paas he Flames ne aakar lena shuru ker dia, Yoo-Jung hava me uthne lagi aur ek Bright red Phoniex uss ke gird ban'nne laga.


223e3367a778b661c4f83f0b8603e42c.jpg

*Cough*



Beech me he Yoo-Jung ke muh se khoon nikla aur wo waapis neeche gir gayi, Uss ka shareef uss Rage aur shakti ko bardasht nahi ker pa raha tha.



Na-ri(laughing triumphantly): You see, Yoo-Jung? You're nothing more than a feeble, broken bad blood. Your power consumes you.



Na-ri hamesha ki tarha saamne wale ko girte daikhte he khush ho gayi, Yoo-Jung ka gussa shaant nahi huwa tha, Lekin wo bebasi ka ehsaas usse takleef de raha tha.



Wo buri tarha Exhaust ho chuki thi lekin wo koshis karti rahi, Uss ki Ankhe laal hone lagi aur ek baar dobara uss ka aura badalne laga.




[A long time ago, Alpha (Aarav Arya) gave you a gift. Do you want to accept the gift now?]


[
(Yes)~(No)]



Yoo-Jung ki aankhe dobara khul gayi, Saamne Notification ke side per he Na-ri ka hansta huwa chehra saamne tha, Yoo-Jung ne apna haath uthaya aur saamne khuli window per Yes per tap ker dia.


[Rank Determination in Progress...]




Yoo-Jung khari hone lagi aur ye daikh ker ek baar dobara Na-ri usse dhayan se daikhne lagi, Yoo-Jung ne ek gehra saans bhara aur Na-ri ki taraf daikhte huwe gurane lagi.



*Grooowwwwrrrrr*





[Congratulations! Rank Achieved (Luna)]

10e50f16da3a57e59d65807507102fb2.jpg

dbfce13c9d1e56d2c23e77368cdeae8f.jpg

Yoo-Jung ki Aankho ne rang badal lia aur wo haath failaye khari ho gayi, Uss ke paas Flames ghoomne lagi aur Aakar lene lagi, Lekin ab ki baar wo Phoniex nahi ek Wolf ka Aakar le rahi thi.
15b17b1916c3771fa65312eb60da95df.jpg


Yoo-Jung ke hava me urte wo laal baal aur Laal chamakti Aankhe drishya ko aur bhi khofnaak bana rahi thi, Ek pura Aag se bana wolf Na-ri ke saamnd tha aur uss ke andar thi Yoo-Jung.




“Sensei! wo aa rahi hai”



Na-ri ke saath aye ek Admi ne uss se kaha, Lekin usse der ho gayi, Yoo-Jung aage barh chuki thi, wahan khare sabhi logo ne Fireball se attack karna shuru kia, Lekin Flame Wolf un Fireballs ko apne andar leta ja raha tha.



Wo jitni usse rokne ki koshis ker rahe the Wolf utna bara ho raha tha, Agle he lamhe wo sabhi ek ek ker ke Wolf ke andar the aur un ki hadiye tak uss ke andar he khatam ho gayi.



Na-ri wanhi dar se kaanpne lagi, Uss ne bhaagna chaha lekin wo wahan se hil bhi nahi paa raho thi, Wolf ke saathe he dono Pegasus bhi khare ho chuke the.



Na-ri ko kuch bhi samajh nahi aa rahi thi, Lekin usse dar ka abhas ho raha tha, Wolf khatam hone laga aur andar se Yoo-Jung baahir ayi aur chalte huwe Na-ri ke kareeb aa gayi.


Yoo-Jung(approaching Na-ri): You know what I said, Na-ri? If you so much as laid a finger on her, I would tear your skin apart, piece by bloody piece.



*Fire Palm*



Yoo-Jung ka haath laal ho gaya aur garam hone laga, Yoo-Jung ke Claws nikal aye wo laal rang ke garam Claws the, Yoo-Jung ne Claws ko Na-ri ke sar per rakha aur uss ki aankho me daikhne lagi.



Yoo-Jung(Ice Cold Voice): I wasn't lying!



Yoo-Jung ne apni ungliyo ko uss ki skin me ghusa di aur garam Claws se usse pakar ker ukhaarne lagi, Na-ri ki ek dardnak cheekh wahan vatavaran me fail gayi.




*Agghhhhhhhhh*



Yoo-Jung ne us ka pura chehra he ukar dia, Wo behosh ho ker gir bhi nahi saki, Yoo-Jung ne uss ka sar pakarte huwe ukhaar ker alag ker dia, Na-ri wanhi gir gayi.



*Plip* *Plop*


Barish ki bunden wahan girne lagi, Yoo-Jung chalte huwe gari ki taraf gayi aur darwaza tor ker khool dia, Uss ki behan ki wahan sirf raakh he bachi thi, Yoo-Jung ne rakh me se uss ka Necklace uthaya aur wanhi neeche baith ker usse apne seene se laga lia.



*Sniffle* *Snifle*



Yoo-Jung wanhi baith ker rone lagi, Uss se saha nahi ja raha tha, Wo khul ker roye ja rahi thi, Uss ke haath idhar udhar tatolte rahe kisi ko dhundhne ke liye lekin wahan koi bhi nahi tha.




Yoo-Jung (Sniffle): A-Aarav......Kahan ho Aarav? K-Kahan ho? Pl-Please mujhe tumhari zaroorat hai.



****

Presbyterian Hospital
New York ~ 05:16 AM



*Tap* *Tap*


Khirki per baarish ki bunden girne lagi aur baahir ka mosam badalne laga, Aarav ki neend khul gayi aur wo jagh gaya, Uss ki banho me he Veronica laiti huwi thi, Dono ne he kapre nahi pehne the aur spooning Position me laite huwe the.


9ecb64c2689b488b1c1d766c27f2e103.jpg

Aarav ko hosh aye huwe kuch din ho chuke the, Doctor ne Aarav ko discharge ki permission bhi de di thi, Lekin Aarav ne Aakash se baat ker ke Japan ke liye nikalne tak usse Hospital me he rakhne ki request ker di thi.



Aarav waapis Sayani Mansion ja ker Vansh ko nahi daikhna chahta tha, Aakash ke baat karne se Aarav ko ek khaali kamra mil gaya to wo aise rukne ke liye he banaya ga tha.



Veronica bhi lagbhag har raat ko he Aarav ke paas ane lagi thi, har raat wo ek dusre ko bhogte the aur phir wanhi ek dusre ki banhon me lipat ker so jaate the.




Aarav ne apna haath Veronica ke sar ke neeche se nikala aur seedhe ho ker baith gaya, Baahir halki bunda bandi ho rahi thi, Aarav ne apna mobile uthaya to uss per kuch message aye huwe the.


Kuch Manali se Aarav ke dosto aur manohar ke the, Aj Saal ka akhri din tha, Sabhi Aarav ko naye saal ki shubhkamnaye de rahe the, wanhi ek Tsubame ka bhi message aya huwa tha.



Tsubame: (Sorry, Aarav! Main tumhare hosh ane tak wahan nahi reh saki, Daisuke ke Training ko chor ker jaane ki wajha se kuch issue ho gye the, Mera yahan hona bohat zaroori tha, Lekin koi baat nahi tum bhi to yanhi aa rahe ho, Tab sab kuch puchu gi ke kia kuch huwa tower me aur apni daily exercise routine mat torna, Happy New Year, Jaldi se yahan aa jao)



Aarav(Smile): Sensei ko pata lagne per lagne he wali hai Aarav! *Grin* Lagta hai kuch training bhi karni he ho gi?



“Already awake, Sunshine?”



Aarav ko apne saath laiti Veronica ki awaaz ayi, Veronica Aankhe khole muskurate huwe usse he daikh rahi thi, Aarav ne Mobile ek taraf rakha aur Veronica ke baalo ko sehlane laga.


Aarav: Yup! How could I still sleep with such a beauty beside me?



Veronica(Giggle): Where is this romantic side coming from? Last time I checked, we were just friends with benefits.


Veronica ne Aarav ki taang kheenchte huwe kaha, Aarav bhi ye samajh gaya aur Veronica ko tang karne ka sochne laga.



Aarav(Teasingly): Oh! Then did I mishear when someone said that *Mimic* being with you makes me happy?



Veronica ke gaal laal hone lage, Ye daikh Aarav ko hansi aa gayi, Veronica ne ek Pillow Aarav ke maar dia.


Veronica (Blush): Stop! That was just because you were sad, And it's not like I have feelings for you, Lekin kuch to hai tum me jo mujhe kabhi kisi aur me mehsoos nahi Huwa, Ek baar tumhare paas ane ke baad dur nahi jaya ja sakta, No one else but you can make me feel this satisfied.



Aarav(Grin): Kuch kia? Sabhi kuch khaas hai mere paas.



Aarav ne thora au tang karte huwe kaha, Veronica Pillow se Aarav ko peetne lagi, Aarav bhi hansne laga.


Aarav: Huh! Mujhe kuch excercise ki zaroorat hai, Main Urvi ko daikhne ke baad baahir chala jau ga, Mera intezar mat karna agar nikalna ho to ja sakti ho tum.




Veronica: Wokky Sir!



Aarav utha aur apne kapre pehan ker Veronica ko goodbye kiss de ker baahir nikal aya, Veronica ke saath ab wo kaafi normal ho gaya tha.



Veronica ne he usse sambhala tha abhi ke liye, Aarav abhi sirf Urvi ke Cure per dhayan dena chahta tha, Wo apne sabhi thoughts ko hold per rakhe huwa tha.



Aarav Corridor se hote huwe Urvi ke kamre ki taraf chal raha tha, Subha ke samay wahan utni harbari nahi thi, Hospital me New-Year aur Christmas ke Cards lage huwe the.




“Sir ap aage nahi ja sakte ho”




Aarav abhi Urvi ke kamre ke paas pohanchne he wala tha ke 2 Admiyo ne usse rok dia, Aarav unhe daikhne laga wo hospital staff me nahi the.



Aarav: Kiu?



Admi: Sir aage kuch kaam ho raha hai! Abhi ke liye patient ke sivaye aur koi bhi aage nahi ja sakta hai.


Aadmi ne Aarav ki aankho me daikhte huwe pure confidence se kaha, Lekin Aarav apni Hearing se uss ki heart beat ko ek pal ke liye spark hote sun chuka tha.




Wo Aarav se jhoot bol raha tha, Aarav bilkul normal react karte huwe wahan se chala gaya, Un ki nazro se dur jaate he Aarav Flash Step ka istemal karte huwe un ke saamne se nikal gaya aur unhe pata bhi nahi chala, Urvi ke kamre ke paas ja ker Aarav ruk gaya.



Aarav: Huh! Akhir ye log hai kon?


Aarav ko Urvi ki chinta ho rahi thi, Urvi ke kamre ka Darwaza kholte huwe Aarav andar gaya, Lekin kamre me koi bhi nahi tha, Urvi ka mobile wanhi rakha huwa tha, Aarav ne bathroom check kiye lekin wahan bhi koi nahi tha.



“Oye! Tum yahan kia ker rahe ho?”



Un 2 logo me se ek kamre me aa gya aur samnd Aarav ko daikh ker chaunk gaya, Usse wahan daikhte he Aarav ko samajh aa gayi ke kuch to bohat bura ho raha hai.



*Swish*

*Thud*

*Crack*



Aarav aage barha aur uss Admi ka sar pakarte huwe Peeche deewar per de mara aur wanhi ruka nahi dobara sar utha ker maarne laga.



Aarav(Furious): Meri behan kahan hai!



Admi(Groaning and Crying): M-mujhe nahi pata!


Aarav ne uss ki heartbeat per dhayan dia to wo barhi huwi thi, Aarav ne uss ko gale se pakar ker utha lia, Ek haath se kisi ko khud ko uthaye daikh uss Admi ki halat patli ho gayi.



Admi(Struggle): B-Batata hu! 20 Minute huwe hai dono ladkiyon ko top floor per le ker gye hai.



Aarav: Kon le ker gaya hai?



Admi: Vansh Sayani aur uss ke saathi! M-Mujhe aur kuch nahi pata, Mujhe sirf yahan tumhe rokne ke liye kaha gaya tha.



Aarav ki aankhe laal hone lagi, Ek baar dobara Vansh uss ke apne ko takleef pohancha raha tha, Wanhi ek dar bhi Aarav ke mann me uthal puthal machaye huwe tha, Aarav ne uss Admi ko neeche gira dia aur uss ke baalo ko pakar ker usse kheenchte huwe apne saath le gaya.



“Wanhi Ruko”


*Thud*

*Bam*


Baahir ate he dusre Admi ne jaise he unhen daikha wo un ko rokne ke liye aage aya, Lekin Aarav ne uss ke muh per Punch maar dia aur wo seedhe deewar se lag ler gir gaya.



Aarav kisi bhi aur per dhayan nahi de raha tha aur uss Admi ko apne saath kheenchte huwe Top Floor per chala gaya, Uss Admi ne Aarav ko kamra bata dia, Aarav ne usse wanhi phaink dia.



Dharakte dil ke saath Aarav kamre ke paas gaya, Uss ki dhadkane barhne lagi aur dar bhi barhne laga, Aarav ruka nahi aur seedhe aage barhte huwe darwaze ko torte huwe andar chala gaya.



Darwaza ko girte he andar sabhi ghabra gye, Aarav andar gaya aur saamne ka drishya daikh ker uss ki Aankhe gusse se laal ho gayi, Aarav ke saamne he kuch log khare huwe the un ke paas ek Camera set kia huwa tha.



Camera ke saamne he Urvi aur Ashley giri huwi thi haath aur paon bandhe huwe aur Vansh uss ke paas baitha huwa tha, Vansh ka haath Urvi ki shirt per tha aur wo usse utaarne he wala tha, Aarav ko samajhte huwe samay nahi laga ke wo log wahan kia karne wale the.


Urvi aur Ashley Aankhe rote huwe laal ho chuki thi, Aarav ko wahan daikhte he un ko umeed ki kiran dikh gayi, Apni behan ki aisi halat daikh Aarav ka gussa aur barhne laga.



Vansh(Frowns): A-Aarav aisa kuch nahi ha-



*Wooosh*



Vansh kuch kehta uss se pehle he Aarav uss ke kareeb aa gaya aur usse uthate huwe deewar se laga dia, Aarav kuch bhi nahi sun'nna chahta tha.



Aarav(Rage): Tujhe ek baar teri galti ke liye maaf ker dia tha! Lekin teri tarha ke kutte aise kaha maante hai? Ek baar galti ker di ab ki baar nahi.


*Bam*



Aarav ne Vansh ko utha ker deewar per maar dia, Strength itni lagayi thi ke deewar toot gayi aur Vansh baahir gir gaya, Top Floor abhi naya he bana tha to wahan koi bhi patient ya doctor nahi tha.



Vansh: Aara-


*Thud*


Aarav ne ek laat Vansh ke muh per maar di aur wo kuch aur bhi dur gir gaya, Aarav shaant nahi huwa tha aur aage barhne laga.



*Woooosh*



Aarav ko apne peeche se koi ate huwe mehsoos huwa, Aarav ne ghoomte huwe apna ghutna aage ker dia, wo kamre me khare Admiyo me se ek tha uss ne Aarav ka attack dodge ker lia.



Admi: Tumhe kia laga tha ke yaha tum he Strong player ho? Main bhi ek Player hu aur tum se zada shak-


*Thud*



Wo bol he raha tha ke Aarav uss ke kareeb gaya aur ek Punch uss ke pait me maar dia, Muh se khoon nikalte huwe wo admi hava me uthte huwe neeche gir ker tarapne laga.



Usse apni shakti per bharosa tha lekin Aarav koi Sadharan Player nahi tha, Aarav waapis Vansh ki taraf ghooma aur uss ke kareeb chala gaya.



Aarav: Bohat ho gaya! Ab tujhe apne karmo ki saza bhugatani ho gi.



Aarav ne Vansh ka haath pakra to Vansh ki dar se halat kharab ho gayi, Aarav ne uss ka haath ghoomate huwe ukhaar ker phainl dia.



*Arghhhhn*




Vansh takleef bhari cheekh uss floor per goonjne lagi, Uss ke haath se khoon ki pichkariye nikalne lagi, Vansh wanhi dars se tarapne laga, Lekin Aarav santusht nahi huwa aur dobara Vansh ko pakar lia.




Vanash(Screaming): *Arghhh* Mujhe maara to U-Urvi bhi.....Mar jaye gi!




Vansh ki baat sun ker Aarav ke haath kaanpe aur wo uss ke ghinone chehre ko daikhne laga.



Vansh: U-Urvi ko *Ummm* Zehar dia hai hum ne *Gasp* Agar usse antidote nahi dia to wo agle 20 minute me mar jaye gi, Antidote ka sirf mujhe he pata hai *Scream* A-Agar mujhe kuch Huwa to wo bhi nahi bache gi.



Aarav ne peeche Urvi ki taraf daikha, Urvi ki Skin rang badalne lagi thi aur uss ki aankhe band ho rahi thi, Uss ke saath bandhi Ashley ne bhi haan me sar hilate huwe bataya ke Vansh sach keh raha hai.



*Grooowwwwrrrrr*



Aarav ne daharate huwe Vansh ko utha lia, Vansh ne dar se Aankhe band ker li, Aarav usse pakar ker apne haatho se uss ki hadiyo per zor dene laga.



Aarav(Furious): Kahan hai Antidote?



Vansh(Groans): Itna budhu nahi hu main! *Arghhh* Agar tujhe Antidote dia to tu mujhe maar de ga, Agar tu ne mujhe kuch kaha to abhi apni zuban kaat du ga.



Aarav ko gussa to bohat aa raha tha, Lekin Urvi ki halat badatar se badatar hoti ja rahi thi, Aarav ne Vansh ko chor dia aur ek Healing Potion usse inventory se nikal ker de dia.



Vansh ne Healing Potion pee lia aur kuch apne haath per daal dia, Vansh ke ghav bharne lage lekin wo apna haath kho chuka tha, Aarav ne aage barhte huwe Vansh ko pakar lia.


Aarav(Furious): Ab batao Antidote kahan hai?



Vansh(Smirk): Oh, I have the antidote! But I won't give it to you like this, I'm not foolish enough to trust you.



Aarav ko Vansh ke uss chehre ko daikhte huwe he ghin ane lagi, Aarav ne ek Punch uss ke muh per maar dia, Lekin Vansh hansta raha.


Aarav: Kiu ker rahe ho tum ye?



Vansh: Tum ne majboor kia hai mujhe ye karne ke liye! *Whisper* Har baar, Har baar tujhe mujh se acha kiu hona hota hai, Har baar tu mere se aage hota hai, tu sirf ek gulam ban ker aya tha phir kiu aise kamyaab ho raha tha tu? *Shout* Akhir kiu? Kia khaas hai tujh me ke sabhi tujhe chahte hai? Kiu teri khatar mera bhai mujhe maarne ke liye bhi tayar ho gaya? Akhir hai kia tu Aarav Arya?



Vansh apni jalan me ye sab kuch ker raha tha, Aarav ko Success aur baki sab se kuch bhi matlab nahi tha, Wo sirf apni behan ke saath ek shaant zindagi beetana chahta tha.



Lekin aj uss ki wajha se he uss ki behan takleef me moat ke kareeb thi, Aarav Vansh ko uthate huwe deewar per de mara aur uss ki taraf chalne laga.


*Ding*



Floor ki Lift ka darwaza khula aur andar se Archana baahir ayi, Saamne ka drishya daikhte he wo ek pal ke liye kaanp gayi.


Archana: Ye sab kia ho raha hai? Kiu lar rahe ho tum dono? Aur ye sab kuch kya hai.



Archana ko wahan daikhte he Aarav ko umeed dikhayi di, Shayad Archana ke kehne per he Vansh usse Antidote de de, Aarav Archana ke paas chala gaya.


Aarav: Aunty....Aunty ye Vansh!......Vansh ne Urvi ko zehar de dia hai, Ap uss se Antidote le lo na please, Main vada karta hu ke main Vansh ko kuch bhi nahi kahu ga.



Aarav sirf Urvi ko wahan se le ker jana chahta tha, Wo Vansh ko chorne ke liye bhi tayar tha, Urvi ka pura chehra purple hone laga tha aur uss ko saans lene me bhi dikkat hone lagi thi.



*Thwack*



Aarav ko uss ke haath per chubhan mehsoos huwi, Aarav ne neeche daikha to uss ke haath per Syringe lagi huwi thi aur usse inject Archana ker rahi thi, Aarav ko kuch samajh nahi ayi.



[The player has just consumed Cultivation Water Drop]


[The player has just consumed Cultivation Water Drop]


[The player has just consumed Cultivation Water Drop]


[The System warned you not to take more than one Cultivation Water Drop, but you ignored it and consumed three Cultivation Water Drops]



Aarav apna haath jhatak ker Peeche ho gaya, Aarav ko vishwas nahi ho raha tha ke Archana ne uss ke saath aise kia hai, Archana per vishwas ki wajha se Aarav ko uss se kuch bhi danger sense nahi huwa.



Archana bina kisi bhaav ke Aarav ko daikh rahi thi, Aarav ka shareer saath chorne laga aur wo larkharate huwe neeche gir gaya, Aarav bhi Avinash ki tarha he ussi cheez se haara tha, Lekin Aarav ko sirf ek nahi 3 Drops consume karwaye gye the.



Aarav ko koi bhi zabardasti CWD nahi de sakta tha, Lekin Aarav ko kabhi laga he nahi tha ke Archans uss ke saath aisa kare gi, Wo to uss ke liye Maa ke jaise thi.



Aarav ko CWD se zada takleef Archana ka vishwas ghat pohancha raha tha, Aarav ki aankhen bhar ayi, Wo sirf Archana se ek sawal puchna chahta tha.



Aarav(Whisper): Kiu?



Archana chalte huwe Vansh ke kareeb chale gayi, Vansh muskurate huwe Aarav ki halat ka anand le raha tha, Usse santushti mil rahi thi Aarav ko tarapta daikh ker wo Urvi ke paas chala gaya aur uss ko baalo se pakar ke ghaseet ker Aarav ke paas le aya.



Vansh: Daikh, Daikh! Tere saamne teri behan ko ghaseet raha hu, Lekin tu kuch bhi nahi ker sakta *laugh* Daikh main kia kuch ker sakta hu.




Urvi(Whisper): B-Bhayia.....Bhaag jao.... Please....K-Khud ko bachao!!!



Vansh ne Urvi ko Neeche phaink dia, Aarav ki Aankhe laal hone lagi, Uss ne Archana ki taraf daikh to wo kuch bhi react nahi ker rahi thi.



[Consuming more than one Cultivation Water Drop can be very dangerous. Even if you fail to Cultivate the Cultivation Water Drop, your body could explode, release toxic gas, or transform into a monster, which could potentially cause the end of the world]


[Because of this serious violation, you will be expelled from your world, and everyone's memory of you will be erased]



Aarav ke saamne notification aya aur uss ke peeche ek portal khul gaya, Wanha khare sabhi ye daikh ker chaunk gye, Portal ke andar se kuch dark chains nikli aur wo aa ker Aarav ke lipat gayi.

49cfd83c4344579fee9da78796b36893.jpg

Aarav ke sar me ek dard huwa jaise ek saath bohat si yaade uss ke paas waapis aa rahi hai, Wo yaade Aarav ki nahi Alpha aur Lime ki thi, Un ki yaado ka hissa jo Aarav kabhi daikh nahi paya wo uss ke saath ho raha tha.



Usse uss ki duniya se nikala ja raha tha, Aur sab ki yaado se bhi matlab Aarav Arya kabhi dharti per tha he nahi aise, Aarav ke dil me ek tees uthne lagi.



Wanhi Vansh ne Aarav ko aise kaid daikh to uss ki muskurahat aur bhi gehri ho gayi, Vansh ne Urvi ko uthaya aur uss ki shirt pakar ker Aarav ki taraf daikhne laga.




Vansh: Daikhna chaho gye ke Andar kia hai? Lekin mera to ek haath he bacha hai, Koi baat nahi ek baar me puri phaar du ga.


*Grop*



Aarav(Furious rage): Vansh!!! Apne gande haath meri behan se hata le.




Vansh Aarav ki awaaz sun ker aur bhi muskurane laga, Wanhi Urvi apni Ankhe band ker chuki thi, Wo apne bhayia ke liye na kuch ker sakti thi aur na he usse takleef me daikh sakti thi.




[Unique Ability (Will to live) Activated]


[Alpha Presence Activated]




Aarav apni puri shakti laga ker khara huwa aur Vansh ki taraf barhne laga, Wahan per Aarav ki presence se he sab log ghutno per aa gye, Aarav Vansh ke paas jaane laga Vansh bhi darne laga, Uss ne nahi socha tha ke Aarav System ke portal ke kheenchne per bhi waisi halat me uss ke kareeb aa sake ga.



*Bang*


Ek gunshot ki awaaz ne wahan sab ka dhayan apni taraf kheench lia, Goli Archana ne chalayi thi aur uss ke nishane per Urvi khari huwi thi, Urvi ki chaati per goli lagi thi.



*Drop*



Aarav ki aankho ke saamne Urvi ki laash gir gayi, Aarav ke liye Wahan khamooshi ho chuki thi, Aarav ko Urvi ki dhadkane dheeme hote hote khatam hoti sunayi de rahi thi.

Aarav: Soul Binding!



[Right now, Your Mana and Qi are unstable, which means you are unable to perform your Unique Ability (Soul Binding)]

Aarav wahan sabhi ki dhadkane sun sakta tha aur Lift me khari Vanshika ki dhadkane bhi usse sunayi de rahi thi, Archana ne Gun ko apne saath khare larke ko pakra di.



Lekin Aarav ko un sab se kuch bhi matlab nahi tha, Uss ke saamne uss ki behan neeche giri huwi thi aur uss ka khoon floor per phail raha tha, Lekin Aarav ke andar sab kuch shaant tha.



Usse kuch bhi mehsoos nahi ho raha tha, Jaise wo kisi sunsan raaste per khara ho kanhi dur usse aag dikh rahi thi lekin wo shaant tha.



Aarav(Mumble): Ye kaisa ehsaas hai? Main roo kiu nahi raha? Mere saamne mera akhri apna meri behan ki laash hai, Lekin phir kiu? Kiu mujhe gussa nahi aa raha?



Aarav khud se he puchne laga, Wanhi Vansh khara ho gaya aur apni Maa ko heraani se daikhne laga, Sabhi Admi bhi Vansh ke paas aa ker Urvi ki laash ko daikhne lage.



*Woooosh*

*Slash*


Vansh abhi Urvi ki laash ko daikh he raha tha ke usse uss ke kareeb he khoon urta huwa dikha, Vansh ka pura shareer kaanp gaya uss ke saath se he portal se nikli Chains ja rahi thi.



Vansh ne ghoom ker daikha to uss ke saamne Aarav khara huwa tha, Aarav apne haath ko daikh ker heraan ho raha tha, Usse un logo ko maar ker bhi kuch mehsoos nahi ho raha tha.



Archana bhi apne bete ke saath he Aarav ko un Admiyo ko maarte daikh dar gayi, Uss ka beta Aarav ke saamne tha, Archana ki ankho me dar aya.



Archana: Aarav! Vansh ko kuch bhi mat-



Aarav ne Vansh ko pakar lia aur usse kuch mehsoos huwa, Lekin wo sirf gussa nahi tha, Nafrat thi Vansh aur Archana ke liye, Lekin wo nafrat aise khatam nahi hone wali thi.


Aarav(voice trembling): You think killing you is enough, Vansh? Archana? Just you wait! I'll find a way to come back from wherever they've going to taken me, And when I do, you'll realize that death is the least of your worries, I won't let you off the hook so easily, I'm going to make you suffer, I'll torture you until your spirit is broken, but I won't let you die, You'll live in agony, and just when you think I might forgive you, I'll hunt you down and make you all feel the same pain I've endured, This will be my vengeance, my revenge, and it will be the end of your story.



Aarav ne Vansh ko waise he pakre huwe wanhi khirki se baahir phaink dia, Archana chilayi lekin Vansh baahir hava me tha, Aarav ko andaza tha ke Vansh itne damage se mare ga nahi lekin ye damage ek nishaani thi Aarav ke intiqaam ke liye.


*Zzzzzipppp*


*Wooosh*


Aarav ko baandhe huwi chains aur bhi zor se usse kheenchte huwe Portal me le jaane lagi, Aarav ki nazre apni behan ke Bejaan Shareer per thi, Lekin uss ki ankho me ansoo nahi sirf intiqaam ki aag thi.



****


Aarav ek dark Space me peeche ki taraf khincha ja raha tha, har taraf darkness aur beech beech me ek otherworldly energy Aarav ke saath travel ker rahi thi, Uss ki speed itni tez thi ke Aarav ko aise lag raha tha ke kisi bhi pal uss ki chamdi udhar sakti hai.



[For safety reasons, the System will erasing you from everyone's memory]


[Your unique ability (Will to Live) interferes with the memory removal process]



[Error]




[Due to the interference caused by your unique ability, the memory removal process encounters complications. Some people's memories may not be erased, and if you ever reveal information about yourself, those memories may resurface]



Aarav ke saamne notification ate rahe, Lekin uss ke paas unhe padhne ka samay he nahi tha, ek lambe ajeeb safar ke baad Aarav ek aur portal se baahir aa gaya.



*Bam*



Aarav portal se nikal ker bahir gir gaya, Aarav khara huwa aur apne paas daikhne laga, Ye kuch alag he duniya thi wanha ki darkness ki bhi ek presence thi, Aarav mehsoos ker sakta tha ke ye Tutorial Tower nahi hai.


b71c841904494e1e8073d288e9c0e987.jpg

[You are now trapped in an infinite prison]


355c56f5f00789e82bf8c9e09bb6b8a9.jpg

[Your system has been locked due to a serious violation. System bids farewell to Aarav Arya]


*Grooowwwwrrrrr*


Aarav ke saamne Notification aya aur agle he lamhe ek dahar ke saath Hava ka bhaari jhonka aya aur Aarav hava me uthte huwe peeche gir gaya, Aarav waapis baith gaya.



Uss ke saamne ek saath bohat se Monster's khare huwe the aur lar rahe the, Bare aur chote sabhi tarha ke monster aur un sab me se kisi ka bhi Aura sadharan nahi tha.



ca0511cac65863ee8c07420e14e520b5.jpg


Lekin Aarav uss presence me bhi shaant tha, Uss ke chehre per koi emotion nahi tha, Ek bohat si taango wala praani Aarav ke kareeb aya aur ek fluid Aarav ki taraf phainka wo beech me he hard ho gaya aur Aarav se lagte he phat gaya.



*Kabooom*



Aarav ne khud ko cover ker lia lekin wo urte huwe peeche gir gaya, Aarav ki Aankh se Akhir ansoo nikal aya, Lekin wo takleef se nahi tha, Aarav ke Emotions ka akhri katra tha wo ansoo.


Aarav: Every damn time! you strip away every soul I hold dear, God! But it ends here, If you want to make my existence a living hell.



*Wooosh*


*Slash*



Uss monster ki sabhi taange kaat ker Aarav aage barh gaya, Uss ki Ankhe laal ho gayi.


Aarav: If you want to turn my life into a living hell! then I'm going to become the ruler of that very hell. I'll embrace the darkness and make it my own. From this moment on, I refuse to be a victim. I'll rise above the torment and establish myself as the master of my own fate. So, bring on your trials, God, because I will overcome them all and ascend as the undisputed king of this hell you've forced upon me!



Aarav ne apni Inventory me se Sword nikali aur apne kadam apne saamne khare monster ki taraf barha diye, Aarav ki presence se un sab Monster me bhi Chaos mach gaya aur sab ka dhayan Aarav ki taraf aa gaya, Leki Aarav bina kisi dar ke aage barhta raha.



a43a0ae8ac424293775975e0f953f35f.jpg


****
Presbyterian Hospital
New York ~ 8:14 AM




*Clack-Clack*



Hospital ke top floor ki lift khuli aur andar se ek Aurat baahir ayi, Aurat ache kapre pehne huwe thi bilkul kisi professional lady ki tarha, Uss ke aage he kuch Admi khare huwe the un me se ek Mask pehne khara huwa tha.



Aurat ke ate he un sab ne usse ane ka raasta dia, Aurat chalte huwe wanhi Urvi ki laash ke paas chali gayi, Dhayan se Urvi ko daikhne ke baad uss ne Mask pehne Admi ko ungli ke ishare se bulaya.



Aurat: Kia ye he wo Larki hai?



Admi: Haan ji! Urvi Arya.



Aurat: Kia status hai?



Aurat ne ek aur Admi se pucha jo wahan ka doctor he tha, Admi uss ke puchte he uss ke paas aa gaya.



Admi: Pulse ruk chuki hai aur baki sab bhi daikh lia! She's dead.



Aurat dobara Urvi ko dhayan se daikhne lagi, Kuch samay sochne ke baad ek gehra saans bhar ker wo waapis Mask wale ko daikhne lagi.



Aurat: Hamara kaam iss Larki ko le ker jana hai! Tum utha ker Car me laita do, Hume sirf apna kaam pura karna hai, Aage kia karna hai wo hamari zimedari nahi hai.



Aurat ke order dete he uss Admi ne aage barh ker Urvi ko utha lia, Baki log wahan khoon saaf karne lage, Aurat uss Admi ke saath wahan se nikal gayi aur kuch samay ke baad baki log bhi sab kuch saaf ker ke nikalne lage.



*Bzzzzzz*


Wanhi gira huwa Aarav ka phone Vibration mode per vibrate karne laga, Ek Admi ka paon anjaane me uss se takra gaya aur Call attend ho gayi.




Akansha(Other side): Darling!!!! Advance Happy New Year, Mujhe pata hai jaldi Wish ker rahi hu, Lekin subha school hai to wish nahi ker saku gi, Urvi Di kaisi hai? Un se bhi baat nahi huwi ap bhi nahi karte, Pata hai main kitna miss karti hu ap ko? Lekin purani baate bhulo hum 2013 me naye saal ke saath nayi shuruwat kare gye.



Manohar(Low Voice): Akanksha beti, Kis se baat ker rahi ho? khaane ka time ho raha hai!



Akansha: Papa, Aarav ko New Year Wish ker rahi thi!



Manohar: Kon Aarav?




Akansha: Kaisi baat ker rahe ho? Ap Aarav ko bhool gye Aar- A-....Kon Aarav?


*END OF TUTORIAL TOWER ARC*
bahut hi shandar update
 

Ss mujrim

Active Member
579
444
63
Voting me 101 Vote huwe hai! Matlab utne log story parh rahe hai, Lekin phir bhi target 80 hai jo 101 ke hisaab se ho jana chahiye, Target achieve karna hota hai agar waise he 60 ho rahe hai to usse target to nahi keh sakte na :?: Shuru me 30 Likes ka target bhi complete nahi huwa tha, phir wo 30 se 60 likes ane lage lekin main ne tab bhi nahi barhaye, Target sirf Arc ke hisaab se barhe ga aur ye sirf update ka target nahi Arc ka target hota hai :approve:

Ab to 80 likes be poory ho gaay hn to ab Q nii aa rha ha update
Jailde jailde update da do bro
 
Top