• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Vengeance ~ Revenge is sweet [ᏚᎩᏚᎢᎬᎷ]

Who are your two favorite male characters in this story?

  • Total voters
    261
467
924
109
Bhai Avinash is such a aura. Bhai kia character hai. Itna strong character to Aarav ka bhi ni hai. Ek tym pe Aakash ka character aisa lgta tha. But mza agya.
 
  • Like
Reactions: Devil0011

Sushil@10

Member
423
358
63
UPDATE 21 ~
(AGAINST THE ODDS)

Ek duniya jahan har taraf shaanti aur khubsoorti he thi, Wanha ek bare Ped ke paas bohat Slimes jhund banaye khari huwi thi, Sabhi Slime khushi se jhoom rahi thi aur uchal rahi thi.

Har Slime janam ke kuch saalo baad khud me se ek Baby Slime separate karni shuru ho jati thi, Har baar wo khud choti hoti rehti aur Kuch saalo baad ek baby Slime ko khud se alag ker deti, Jaise wo khud lo bohat se naye Roop me baant rahi ho aur Ant me wo khatam ho jati.

Ek khubsoorat Life ka circle, Slime ke ant per baki sab Slime Udaas to hoti, Lekin nayi ayi Baby Slime ki khushi bhi hoti, Aj sabhi ek jagha ikathe huwe the, Aj ek slime apni akhri Slime ko khud se alag karne wali thi.

Sabhi Pure blue color ki Slime khushi se jhoom rahi thi, Wanhi Slime ke sivaye aur bhi prani un ke saath mil ker khushiya mana rahe the, Aur phir jaise jis pal ka sab ko intizaar tha.

Beech me khari Slime ne khud se akhri Baby Slime ko alag karna shuru ker dia, Baby Slime duniya me janam lete huwe upar Asmaan ki taraf daikh rahi thi, Jahan ek Ped ke tanne per Elder Slime baithi huwi thi, Baby Slime ke saamne sab se Pehli chavi uss Elder Slime ki warm Gaze ki thi.

Sabhi Slime uchalte huwe Apni khushi ka izhaar karte huwe Baby Slime ka savagat karne lagi, Aur bhi Baby Slime wahan aa gayi aur Naye mehmaan ke saath khelneki koshis karne lage.

Baby Slime bakiyo ke saath wahan se baahir ayi, Uss ke saamne chaaro taraf haryali thi aur paas me saaf paani ka ek jharna tha, Sabhi Slime Baby Slime ke saath paani me chali gayi aur maze karne lagi, Wanhi Elder Slime ek unche pathar per baithi sabhi ko Khushi se khelte daikh rahi thi.

Din beetne lage, Har Roz un ke liye ek naya suhana din hota, Koi bhi Prani kisi se larta jhagarta nahi jaise unhe larne ka matlab he nahi pata tha, Lekin wo shaanti hamesha nahi reh sakti thi.

Ek naya savera huwa, Lekin wo Khushiya nahi saath ne andhera le ker aya, Saaf Asmaan laal ho gya aur beech me se jaise Asmaan phatne laga, Ek Ched beech me khul gaya aur uss me se kuch baahir aya.

Sabhi Praani wahan ja ker daikhne lage, Un ke saamne kuch naya tha, Ek aisa jeev jo 2 paon per chal raha tha, Haath me ajeeb cheeze jo wo sab pehli baar daikh rahe the.

Wo ek dusri duniya se aye Hunter the, Sabh jeevo ne aage barh un ka savagat karna chaha, Lekin jaise he ek Panchi jaisa jeev un ke paas gaya uss ki gardan beech se kat gayi aur wo wanhi gir gaya, Uss ka khoon bikharne lag jo sab me ek khoof la raha tha.

Sabhi jeev un se bach ker bhaagne lage, Lekin Hunter kuch ko pakar rahe the to kuch ko wanhi maar gira rahe the, Baby Slime pehli baar aisa kuch daikh rahi thi, Elder Slime un sab ke saamne aa ker khari ho gayi.

Elder Slime jaise sab ko bach ker bhaagne ko keh rahi thi, Sabhi Adult Slime aur Baby Slime wahan se bhaagne ki koshis karne lagi, Unhe pata bhi nahi tha ke aisa kuch hota bhi hai, Koi jagha bhi un ke paas nahi thi jahan wo chup sakte.

Bus kuch samay he laga aur wo sab Hunters ki kaid me thi, Wanhi Elder Slime bhi pakri ja chuki thi aur apne saathiyo ko pakre jaate daikh udaas ho rahi thi, Un ki azaadi chin chuki thi.

Daikhte he Daikhte Hunters ne apne Base bana li wahan, Un me se kuch un praniyo per Experiment karne lagi, Un ki koshis Slimes ka Nature badle ki thi, Har din wo Kuch Slime ko ek Box me band ker dete aur Un ka nature badalne ki koshis karte.

Fire, Water, Lava aur Blood sabhi me un ko badalne ki koshis ki gayi, Lekin har baar wo nakaam ho jate aur Un slime ko baki Slimes ke saamne Jala ka nasht ker dete, Alag Alag jeevo ke saath wo kuch kuch try ker rahe the, Kuch me wo safal hote lekin zada me wo nakaam rehte.

Kuch Dino me he Slimes ke number kam se kam hote chale gye, Ant me sirf kuch Slime bachi jin me Elder Slime aur Adult ke saath wo ek he Baby Slime bachi thi, Har roz apni prajati ko nasht hota daikj Slimes me ek khoof janam le chuka tha.

Jaise Hunters bhi Slime se tang aa chuki thi, Sabhi Slime ko ek saath unho ne ek box me daal dia, Ek Stone box ke beech me rakh dia gaya, Stone dhool me badalte huwe Slime ke saath milne laga.

Har din ki tarha Slime Nature badal to rahi thi, Lekin uss Stone ki power itni zada thi ke Slime usse apne andar capture nahi ker paa rahi thi, Baby Slime ki body kisi bhi pal bikharne ki kagar per thi, Uss ne aisa dard kabhi mehsoos nahi kia tha.

Baby Slime ko samajh aa chuki thi ke uss ka ant bhi uss ke baki dosto ki tarha ka hone wala tha, Uss ke saamne waapis wo chavi ane lagi jab uss ne pehli baar kuch daikha tha.

*Pch*

Baby Slime ke saath kuch laga, Baby Slime ne upar daikha to Elder Slime uss ko pakre khari huwi thi, Agle he pal Adult Slimes ne bhi Baby Slime ke paas ana shuru ker dia, Wo Baby Slime ke andar stone Power ko balance karne me uss ki madad ker rahi thi, Wo khud kitni takleef me thi wo uss baare me soch bhi nahi rahi thi.

Elder Slime ne Baby Slime ke andar ki extra Power apne andar leni shuru ker di, Elder Slime ki Gaze ek baar dobara Baby Slime ko pehli baar ki tarha Warm mehsoos huwi, Sabhi Adult aur Elder Slime khud ko Baby Slime ke liye Sacrifice ker rahi thi.

Balance Kaam karne laga, Baby Slime ka Nature badalne laga aur sabhi Adult aur Elder Slime uss ke saath milne lagi, Hunter ye daikh khush hone lage, Baby Slime baki Slime ke saath mil ker Barhne lagi aur badalne Lagi Giant Acid Slime me.

*Shatter*

Wo box toot gaya Aur daikhte he daikhte wahan sab kuch pighalne laga, Baby Slime ko apne andar sabhi Slime ki rage aur Anger mehsoos ho raha tha, Wo kuch daikh bhi nahi paa rahi thi agar usse kuch mehsoos ho raha tha to wo tha sirf Badla, Acid Slime ko daikh Hunters bhi darne lage.

Unn ko darta daikh Acid Slime ne apne paas wale Hunter ko apne andar kheench lia, Hunter ke kapro se uss ki hadiyo tak sab kuch ek pal me khatam ho gya, Acid Slime beserk mode me ja chuki thi.

Hunters ne Acid slime ko rokna aur khatam karna chaha, Lekin kuch bhi usse rok nahi paa rahi thi, Wahan chaaro taraf Hunter ke chilane ki awaaze goonjne lagi, Jo hunter bhaagne ki koshis karte un per Acid Slime apna Acid Shoot ker deti to Hunter aur bhi dardnak moat marte.

Acid Slime ke raaste me jo bhi aa raha tha wo sab khatam hota ja raha tha, Ek ek ker ke Acid slime sabhi Hunters ko khatam ker chuki thi, Lekin uss ke andar abhi bhi toofan uth raha tha aur Acid Slime aage barhti rahi apne raaste me ane wali sab cheezo ko tabah karte huwe.

Acid Slime jaise puri Duniya tabah karne ki koshis ker rahi thi, Ek baar dobara Asmaan me tez toofan aa gaya jo Acid Slime ko peeche dhakelne laga.

[####################]

[Access Restricted: The player is not authorized to view this particular part of memory]

Slime ne apne saame daikha, Wo apni duniya me nahi thi, Wo kisi nayi duniya ke andhere me doobe Jungle me thi.

Saalo Slime uss jungle me khud ko kaid ker baithi rahi, Uss Duniya ke bohat se Monster uss ko maarne ke liye aye lekin koi bhi uss ke saamne tik na paya, Sabhi Monster jaise uss Ko ek forbidden territory samajhne lage.

Acid Slime ke paas zinda rehne ki koi wajha nahi thi, Har pal apne Dosto aur Elder Slime ki takleef wo unn ki body jo uss ke saath mili huwi thi uss me mehsoos karti, Lekin wo ab kuch bhi nahi karna chahti thi aur sirf apne ant ka intezar karne lagi.

Phir ek din saalo baad koi dobara uss ki territory me aya, Acid Slime wahan gayi to wanha waise he 2 Insaan the, Ek baar dobara Slime ke andar aag jalne lagi aur wo un per Hamla karna shuru ker deti hai.

Lekin un me se ek insaan bohat zada powerful tha, Acid Slime ek baar dobara kisi ke khoof se dar rahi thi, Acid Slime ne apne Acid Shoot kiye lekin wo Insaan baar baar bachta ja raha tha, Achanak uss insaan ne Slime ke ek hisse ko kisi Bottle me capture ker lia, Acid Slime pehle to darne lagi, Lekin agle he pal wo hissa jaise shaant ho gya, Itne saalo baad Slime ke andar khamooshi hone lagi thi.

Acid Slime samajh chuki thi ke wo uss insaan ko hit nahi ker sakti, Lekin wo ruk nahi paa rahi thi itne saalo baad wo shaanti ka ehsaas dheeme dheeme jaise uss ke sabhi saathiyo ko sakoon mil raha tha, Itne saalo ki takleef khatam hone lagi thi.

Akhir Slime apne sabhi Saathiyo ko Alvida keh payi thi, Lekin abhi bhi wo insaan uss ke saamne tha, Ek baar dobara insaano se bachne ke liye Baby Slime bhaagi lekin wo insaan zada tez tha, Akhir Baby Slime ek baar dobara Shikaar ban rahi thi insaan ki lekin uss ke saathiyo ko sukh mila ye he kafi tha us ke liye.

Slime apne ant ke liye tayar thi, Lekin itne saalo baad dobara ek Garmaish ka eshaas jo wo bhool he chuki thi uss ki body per mehsoos huwa, Slime ne upar daikha to Bilkul uss ki Elder Slime ki pehli chavi ki tarha ek Warm Gaze usse mehsoos huwi.

Wo insaan alag tha, Slime samajh nahi paa rahi rahi thi, Akhir kiu usse iss insaan se ab dar nahi lag raha, Aur uss insaan ne Slime ko uthaya to jaise Slime ki sabhi zakhm bharne lage, Wo akhir apne Past ko bhool sakti thi.

****

Darkvale Forest ~
86 Hours 52 Minutes Remaining

Vansh: Tum galti ker rahi ho! Agar mere Dad ko pata chala to wo tumhare sabhi apno ko moat ke ghaat utaar de gye.

Yoo-Jung: Aur unhe pata kaise chale ga? Tum batao gye kia? Agar main ne tumhe batane ke layak chora to batao gye na!

Yoo-Jung ne stance li aur ek kehar bhari nazar Vansh per daalte huwe uss ki taraf toofan ki tarha barh gayi.

*Clang*

Yoo-Jung jaise he Vansh per vaar karne ko huwi Uss se pehle he Vansh ne apna Spear nikal lia, Vansh ne ghoomte huwe Spear se Attack kia Yoo-Jung ke haath per Spear laga aur dagger uss ke haath se nikal gaya, Yoo-Jung tezi se peeche ho gayi.

Vansh apna Spear pakre Stance le ker khara ho gya, Vansh ke chehre ki muskurahat Yoo-Jung ko chirha rahi thi, Yoo-Jung Vansh ko kamzoor samajh ker apna Guard down karne ki galti ker chuki thi.

Vansh: Tum logo ko kia laga tha? Vansh to Araam ker raha ho ga, Usse kahan kuch fikar hai! Lekin galat the tum log, Yahan agar Sach me koi zinda rehna chahta hai to wo main hu, Pichle 1 Maheene se roz Training kart aa raha hu.

Yoo-Jung ne Spear ke uss swing se Vansh ki strength ko chakh lia tha, Lekin Vansh ki movement itni khaas nahi thi, Matlab ke Vansh ne apne sabhi Points Strength per add ker diye the, Yoo-Jung ko ye jaante kuch pal he lage, Vansh ko daikhte huwe Yoo-Jung ke labo per muskurahat aa gayi.

Yoo-Jung: Acha huwa!

Vansh: Kia?

Yoo-Jung: Acha huwa ke tum kamzoor nahi ho! Mujhe lag raha tha ke main kisi kamzoor per apni taqat dikha rahi hu, Lekin ab mujhe pata lag gaya hai ke tum kamzoor nahi ho, Ab main puri koshis ker sakti hu.

Yoo-Jung khali haath wapis Vansh ki taraf bhaagi, Vansh ko ek pal ke liye samajh he nahi ayi ke Yoo-Jung ker kia rahi hai? Hosh me ate he Vansh ne Spear ko lachak dete huwe Yoo-Jung per vaar karna chaha, Yoo-Jung ne halka jump lete huwe khud ko Spear se bachaya aur apna paon Spear ki Tip per Rakh dia.

Vansh ka Spear neeche zameen per lag chuka tha, Yoo-Jung ke upar khare hone ki wajha se Vansh foran usse kheench na paya, Yoo-Jung ne Twist karte huwe ek Round kick Vansh ke kaan ke neeche de maari, Vansh saath rakhte pathar se ja laga.

Yoo-Jung: Bus ye he Training ki thi kia?

Yoo-Jung ne Vansh ka Spear pakar lia aur usse ghoomate huwe Fighting Stance me khari ho gayi, Yoo-Jung ki kick itni zordar thi ke Vansh ke hosh urr chuke the, Agar Yoo-Jung chahti to Vansh ki iss halat me he band baja deti, Lekin wo Vansh ko uss ko jagha dikhana chah rahi thi.

Vansh neeche ghutno ke bal baith gaya, Yoo-Jung bhi thori chaunk gayi, Usse nahi laga tha ke Vansh Aisi 1 kick bhi bardasht nahi ker paye ga, Yoo-Jung ne apna ek kadam aage barhaya he tha ke Vansh ne neeche se pathar uthate huwe Yoo-Jung ki taraf phenk diye.

Yoo-Jung Pathro ko Dodge kar rahi thi ke Vansh bhaagte huwe aya aur apna kanda Yoo-Jung ke pait se lagate huwe Yoo-Jung ko utha ker peeche ped ke upar de maarta hai, Yoo-Jung ko neeche patakte huwe Vansh ne Yoo-Jung ka Dagger uthana chaha.

Lekin Yoo-Jung sambhal chuki thi, Yoo-Jung ne ek laat Vansh ko maari to Vansh uchalte huwe peeche ja gira, Yoo-Jung khari huwi uss ki ankhe gusse se laal ho chuki thi, Spear ghoomate huwe uss ne uchal ker Spear se Vansh ko cheerna chaha.

*Clang*

Spear ko beech me he pakar ker hawa me rok dia gaya tha, Yoo-Jung ne apne side per daikha to saamne Aarav khara huwa tha, Aarav ne ek haath se Yoo-Jung ke full power Attack ko rok dia tha, Yoo-Jung ke liye Spear churwana kuch bari baat nahi thi, Lekin wo Aarav se larna nahi chahti thi.

Vansh: Aarav! Sahi waqt per aye tum, Ye Crazy Bitch mujhe maarne wali thi, Tumhe mere liye yahan bheja gaya hai, Pakar lo iss Kut-

*Whack*

Vansh ke bolte huwe beeche me he Aarav ne Vansh ke muh per laat maar di, Vansh bardasht na ker saka aur hoosh khone laga, Aarav ne usse wanhi Chora aur Yoo-Jung ke haath se Spear kheench lia.

Aarav: Main puch sakta hu kia ke yahan kia chal raha tha?

Vansh to bolne ke kabil raha nahi tha, Yoo-Jung ko he Aarav ko batana per gaya.

Yoo-Jung: Main nahane gayi thi! Ye mujhe chup ker daikhne ki koshis ker raha tha, Lekin main ne pehle pakar lia iss ko, Pakre jaane ke baad ye mujhe lalach dene laga aur mere saath badtamezi karne laga.

Aarav ko Situation ki samajh aa gayi, Beshak puri galti Vansh ki thi, Lekin Aarav usse aur kuch bhi nahi keh sakta tha, Warna Aarav ke relation Sayani's ke saath kharab ho jate.

Aarav: Main samajhta hu! Lekin kia ao iss baar Vansh ko maaf ker sakti ho kia? Mujhe Vansh ke saath zinda wapis jana ho ga, Mujhe umeed hai ke ap samajh sakti ho.

Yoo-Jung ko Vansh per bohat gussa tha, Lekin Aarav ke liye Respect bhi thi uss ke Mann me, Wo Aarav ke liye mushkile nahi barhana chahti thi.

Yoo-Jung: Tum kehte ho to main maaf karti hu! Lekin agli baar aisa kuch huwa to tum bhi mujhe nahi rok sako gye.

Aarav ne Nod karte huwe Yoo-Jung ki shart per haami bhar di, Yoo-Jung bhi sirf timing ko koos rahi thi ke kis time Aarav wahan aa gaya tha.

Yoo-Jung Theek hai! Abhi mujhe khud ko saaf karne do, Tum Vansh per nazar rakho.

Aarav ne Nod karte huwe Hami bhar di, Yoo-Jung waapis jharne ki taraf chali gayi, Abhi huwe Incident ke baad bhi wo jharne ki taraf ja rahi thi iss ke 2 he matlab the, Ya to wo Aarav per bohat bharosa karti thi ya phir usse apni shaktiyo per bohat bharosa tha.

Aarav ne Vansh ki tarf haath barhaya usse uthaane ke liye, Vansh ne gusse se Aarav ki taraf daikha, Lekin wo Aarav ka sahara liye bina uthne ke kabil nahi tha abhi, Akhir Vansh ko Aarav ka haath pakarte huwe uthna per gaya, Aarav Vansh ko le ker jharne se dur le gaya.

Vansh ko ek ped ke sahare baithane ke baad Aarav bhi wanhi baith gaya, Safe Zone jaane ka ye he raasta tha to Yoo-Jung ke waapis jaate huwe wo usse yahan se daikh sakte the.

Vansh(Groan): Mere Orders kiu nahi maane wahan tum ne? Wo Larki pagal hai! Uss ne ek baar mujhe maarne ki koshis ki hai, Agar dobara uss ne mujhe maarne ki koshis ki to tum Zimedari lo gye kia uss ki? Agar mujhe kuch huwa to bhool jao ke Dad se kia Contract aage chal sake ga.

Vansh abhi bhi wahan huwi apni beizati nahi bhool saka tha, Yoo-Jung se to maar khayi he lekin wo jis ko apna Gulam maan ker aya tha wo bhi uss ke orders nahi maan raha tha, Aarav apne haath ki taraf daikhne laga.

Aarav: Yoo-Jung tumhe maarna nahi chahti thi! Agar uss ki intention tumhe maarne ki hoti to uss ka Aim tumhara sar hona tha kandha nahi, Yoo-Jung chahti to bina weapon ke ek pal me tumhe maar deti, Lekin wo sirf tumhe tumhari jagha dikhana chahti thi.

Vansh (Rage): Wo kon hoti hai mujhe meri jagha samjhane wali? Uss ne mujh per daya ki? Agar main chahu to ek pal me uss ka ghar pariwaar khatam karwa sakta hu.

Aarav: Lekin wo tum waapis ja ke ker sakte ho! Yahan tumhare Dad ki power nahi System ki Shaktiya Power me hoti hai, Aur agar main uss pal tumhari baat maan bhi leta to Yoo-Jung se mere jeetne ke Chances 30% se zada nahi the.

Aarav Jungle se aa rahi awaze sun ker bhaagte huwe Jungle me aa gaya tha, Lekin usse pata nahi tha ke kis taraf jaana hai, Aarav ko Will to live ko active ker ke apne sabhi Stats barhane pare, Sense ke barhte he Aarav ko pata lag gaya ke kis taraf se awaze aa rahi hai.

Aarav ne pohanchte he Yoo-Jung aur Vansh ko larte daikha, Vansh apni Cheap tricks Use ker raha tha lekin phir bhi Yoo-Jung uss per bhaari per rahi thi, Yoo-Jung ko gusse se Vansh ki taraf barhta daikh Aarav ko beech me ana per gaya.

Will to live Active karne se Aarav ke sabhi Stats barh jaate the, Lekin uss pal Yoo-Jung ka ek Attack rokte huwe Aarav fail ho raha tha, Aarav ne kisi tarha Spear rok to lia lekin wo pressure Aarav ko hilne nahi de raha tha.

Abhi bhi Aarav ka haath Numb tha aur kaanp raha tha, Yoo-Jung ke paas aisi koo Ability nahi thi jis se wo apni strength ko boost de paye, Uss waqt Yoo-Jung ki strength uss ki Pure apni Strength thi.

Aarav: Akhir kitni mehnat ki hai Yoo-Jung ne ye Strength paane ke liye? Agar main uss waqt puri koshis bhi karta to mera jeetna bohat mushkil tha.

(๑•﹏•)

Aarav ka dhayan waapis apni kalayi ke upar Slime per chala gaya, Slime ki memory daikhne ke baad dono ke beech ka Bond aur bhi strong ho gya tha, Slime Aarav ki baate bina Aarav ke bole samajh paa rahi tha, Slime apna roop bhi badal sakti thi aur wo ek Bracelet ke roop me Aarav ki kalayi per lipat gayi thi.

Aarav (Smile): Huh! Bohat mushkil waqt daikhne ke baad tum itni strong huwi ho, Shayad Yoo-Jung ke ateet me bhi kuch hai jo usse aur bhi strong hone me madad ker raha hai, Lekin abhi ye sochne ka koi faida nahi hai, Yoo-Jung comrade hai koi Enemy nahi, Jab wo comfortable ho gi to shayad khud bata de gi.

Aarav khamooshi se hawao ka maza lene laga, Vansh usse gusse se ghoorta raha lekin Aarav ne uss per kuch khaas dhayan nahi dia, Waqt guzarta raha aur kuch Minute baad unhe Yoo-Jung dikh gayi, Khud ko saaf karne ke baad Yoo-Jung ki khubsoorti aur bhi nikhar gayi thi, Yoo-Jung ne unhe bhi ja ker khud ko saaf hone ke liye kaha aur Waapis Safe Zone chali gayi.

Aarav Vansh ko pakarte huwe Apne saath jharne ki taraf le gaya, Vansh ek baar dobara Yoo-Jung ki khubsoorti ke nashe me doobne laga tha.

****

Darkvale Forest
86 Hours 40 Minutes Remaining

*Schlink*

Daisuke ki saanse bhaari honi shuru ho gayi thi, Uss se kuch dur Isabelle Pathar ka Cover liye Daisuke ke liye prarthana ker rahi the ke wo sahi salamat waapis aa jaye, Daisuke ke saamne ek Giant Frog khara huwa tha.

Size me wo kisi Ghar ke jitna bara tha, Daisuke Subha se bhaag raha tha aur Chote Monsters se lar raha tha, Lekin uss ki halat bohat kharab ho chuki thi.

Daisuke wahan se bhaag bhi nahi sakta tha, Uss ke paas Frog ko maarne ke sivaye aur koi raasta nahi tha, Daisuke ne apne Zakhmo ke dard ko bardasht karte huwe apni Dual Swords nikal li, Giant Frog ko bhi jaise Daisuke ke iraado ka andaza ho gya.

Daisuke ne tez bhaagte huwe Giant Frog ko neeche Attack karna chaha, Lekin Giant frog ne ek unchi chalaang maarte huwe khud ko Daisuke ke Vaar se bacha lia, Giant Frog ne Daisuke ke neeche dabana chaha per Daisuke pehle he peeche hat gaya.

Giant Frog ne apni vishaal jeebh ko baahir nikalte huwe Daisuke ki taraf barhaya, Daisuke ne khud ko side per ker ke bacha lia, Lekin Giant Frog ki jeebh ne wahan ki zameen ko jeebh se chipkate huwe kheench lia, Daisuke ke neeche ki zameen alag hote huwe Jeebh ke saath uthi to Daisuke ne chalang maar ker khud ko neeche utaar lia.

Giant Frog ne apni jeebh ke aage lagi wo zameen ka tukra Daisuke ke upar de maara, Daisuke ne khud ko peeche uchaal dobara bacha to lia lekin uss tukre ke hisse seedhe Daisuke ke ja lage aur Daisuke peeche ja gira, Daisuke ke muh se khoon nikalna shuru ho gya tha.

Apne dard ko bardasht karte huwe Daisuke dobara khara ho gya, Daisuke dobara saamne khara ho gya lekin ab ki baar wo apni nazre Giant Frog per garaye khara huwa tha, Giant Frog ne dobara Jeebh nikali aur jaise he jeebh Daisuke ke kareeb ayi.

*Slash*

Daisuke ne apni Sword ko Scissors ki tarha Use karte huwe Jeebh ko kaat dia, Daisuke ke zakhm dobara khulne lage, Lekin Daisuke un per dhayan na dete huwe Jeebh ke upar charh gaya aur apni Sword se jeebh ko cheerte huwe Giant frog ki tarah bhaagne laga.

Daisuke (Shout): Infinite Slash!

0f044309aa66c8f31743343f2ab0f966.gif

Giant frog jo dard se tarap raha tha Daisuke ke vaar se khud ko bacha na saka, Daisuke ek ke baad ek Vaar frog ke upar tezi se karne laga, Ye daisuke ki dual Sword ki ability thi jis se User ek saath bohat se Slash tezi se aur powerful Use ker sakta tha.

Giant Frog dard se tarapte huwe dobara uchla, Daisuke ka balance kharab hone ko huwa to wo neeche utar gaya, Daisuke ne hawa me he apni Sword phenki jo Frog ki sakht chamdi ko cheerte huwe nikal gayi.

[Congratulations, Player! You have successfully slain the Celestial Frog, a formidable feat worthy of recognition]

Giant Frog neeche aa gira, Daisuke ne uthte huwe apni sword uthayi aur Celestial Frog ka Mana Stone le lia, Daisuke buri tarha exhaust ho chuka tha, Uss ka Armor bhi bohat jagha se toot chuka tha.
27cdfeeb9661a5b7d426ed6ed4e1f209.gif

Daisuke langrate huwe Isabelle ke paas gaya aur ghoomte huwe apni peet Isabelle ki taraf ker di ke wo upar charh jaye, Isabelle ankho me ansoo liye darte huwe Daisuke ke liye pareshaan ho rahi thi, Daisuke kisi bhi lamhe gir sakta tha, Lekin Daisuke ruk nahi raha tha.

Ab tak wo 4 jagha stay ker chuke the, Lekin har baar Monster ke Attack karne per unhe wahan se bhaagna parta, Isabelle ki halat sahi hone ki jagha ability ka over use karne ki wajha se bigarni shuru ho gayi thi.

Isabelle(Sobbing): Daisuke! Kam se kam mujhe tumhe Heal to karne do.

Daisuke: Nahi! Tum har baar Heal Use karne ke baad kamzoor ho rahi hu, Agar tum ne hosh kho diye to mujhe tumhe utha ker bhaagne me aur bhi mushkil ho gi, Hum abhi ek Safe Place dhoond ker wahan Araam kare gye, Kuch ghante ke Rest se meri HP recover ho jaye gi.

Isabelle: Leki-

Daisuke: Please chup ker jao! Muhhe pata hai tum mere liye pareshaan ho rahi ho, Lekin baat samajhne ki koshis karo, Hamare liye tum bhi zaroori ho, Ab jaldi se chalo hume jald se jald koi Safe jagha dhoondni ho gi raat guzarne ke liye, Agar yahan zada samay ruke to Monsters aa sakte hai.

Isabelle chup ker ke Daisuke ke peet per char gayi, Daisuke bhaagne laga uss ke kadam larkhara rahe the lekin wo ruk nahi raha tha, Raat ka andhera gehra hone laga tha aur thand bhi barhne lagi thi.

Kuch ghante aur chalne ke baad Daisuke ko paani ki ek nehar dikhi, Nehar ke Dusri taraf ek Cave thi, Daisuke ne dhayan se nehar paar ki aur Cave ke andar chala gaya.

Andar sirf pathar he the, Cave zada gehrayio me nahi jaati thi, Daisuke ne Isabelle ko utarte huwe sab se pehle Area Secure kia, Kuch der ke intezar ke baad bhi jab wahan koi Monster nahi dikha to Daisuke ne yahan raat bitane ka faisla kia.

Daisuke bhi waapis andar chala gaya, Thand zada ho rahi thi to Bag me se kuch kapre nikal ker pehan ker khud ko chadar se dhak lia, Baahir paani ke guzarne ki awaze aur Chaand ki roshni uss jagha ko peaceful bana raha tha.

Isabelle: Tum kuch ghante soo jao! Main nazar rakhu gi, Dopahar ko main ne araam ker lia tha to mujhe abhi neend nahi aa rahi.

Daisuke: Lekin, Khatra zada hai! Main kuch Dair utha huwa hu, Agar tab tak kuch na huwa to soo jao ga.

Isabelle: Huh! Tab tak baate kare kia, Waqt bhi beet jaye ga aur Nazar bhi rakhi jaye gi.

Daisuke: Kia baat karna chaho gi?

Isabelle: Kuch bhi! Jaise ap itne strong kaise ho? Mera matlab koi bhi insaan sirf System milne per itna strong nahi ho sakta, Yahan ane ke baad jab sab dar rahe the to ap hum sab se zada Calm the aur Rational decision le rahe the, Ab ye mat kehna ke Ap special officer ho iss liye, Main sach jan'nna chahti hu!

Isabelle ke sawal per Daisuke khamoosh ho gya, Baahir se ati thandi hawaye ek alag maza de rahi thi uss pal anand aur pareshaani dono thi un hawao ke andar, Daisuke ne ek gehra saans bhara aur baahir chaand ki Roshni ki taraf daikhne laga

Daisuke (Sigh): Huh, Sach kahu to main ek bohat bara Looser hu! Bachpan se jab bhi kuch karna chaha kabhi bhi wo ache se nahi ker paya, Mere Papa mujh se ek he cheez chahte the aur main wo bhi unhe de nahi paya, Kitni baar bhi main ne apne Papa ko khush karna chaha har baar nakaam raha, Meri behno aur Maa ne meri madad karni chahi lekin Papa ke dar se wo kuch zada na ker saki, Aur akhir me main ek Looser ki tarha sab kuch peeche choor ker bhaag gaya, Mere Papa ne bhi Maan lia ke un ka koi beta kabhi tha he nahi, Khud ko kuch banane ke liye main ne Agency Join ki aur socha ke shayad main logo ko bacha saku, Lekin jo khud ko Na bacha saka wo logo ko kia bachaye ga?

Daisuke baahir se to chehre per ek muskurahat laye huwa tha, Lekin uss muskaan ke peeche kitna dard tha ye sirf wo he jaanta tha.

Isabelle: Tum galat keh rahe ho! Logo ko lagta hai ke Doctor sab se sakoon ki zindagi guzarte hai, Lekin galat hai wo log, Har din hamare haatho me log marte hai har din hume khud un ki family ko batana parta hai ke hum un ke apno ko nahi bacha sake, Lekin iss ka matlab ye nahi ke hum haar maan le, Hum har din dobara uthate hai aur dobara kaam per jaate hai, Sird ye soch ker ke hum sirf 1 aur zindagi bacha sake, Jaise hum logo ko zakhm bharte hai, Tum un Zakhmo ko hone se rokne ki koshis karte ho, Agar hum he khud ko looser maan ker haar maan le to un logo ko kon bachaye ga? Hume har din Zinda rehna hai, Khud ke liye nahi to dusro ke liye he sahi.

Daisuke ne Isabelle ki taraf daikha fo uss lamhe Isabelle Chaand se bhi zada Roshan mehsoos ho rahi thi Daisuke ko, Ek alag nazariya jo Daisuke ke nazariye se bilkul alag tha aj wo uss ke saamne khul gaya tha.

Daisuke: Tu-

*Kabooom*

Cave ke upar se pathar girne shuru ho gye, Daisuke Isabelle ka haath pakarte huwe tezi se baahir aa gaya, Chaaro taraf Mist chaane lagi thi, Daisuke ne saamne daikha to Mist me parchai dikhne lagi.

Daisuke: Ye nahi ho sakta!

****

Darkvale Forest ~
84 Hours 47 Minutes Remaining

*Splash*

Aarav aur Vansh Jharne se baahir nikle aur apna Armor wapis lagane lage, Vansh per Aarav ne apna Akhri Healing Potion Use ker dia tha.

Aarav: Hamare paas aur Potion nahi hai! Yoo-Jung ki nazro me kam ane ki koshis karna, Agli baar shayad main bhi usse rok na saku.

Vansh: Haan, haan samajh gaya! Lekin usse bhi keh do ke mujhe pareshaan mat kare.

Vansh galti per tha tab bhi wo apni galti na maante huwe Ulta Yoo-Jung ko Mujrim banane ki koshis ker raha tha, Aarav ko bhi samajh ane lagi thi ke Vansh ko samjhana Pathar per sar maarne se kuch alag nahi hai.

Aarav ne Vansh per zada dhayan dena zaroori nahi samjha Aur kal ke baare me sochne laga ke kis taraf Daisuke aur Isabelle ko Dhoondne jaya jaye.

*Stop*

Aarav ke barhte kadam beech me he ruk gye, Uss ki sabhi Senses usse khatreka sandeesh bhej rahi thi.

Vansh: Kia huwa?

Aarav: Ruko, Something's Off!

Aarav wanhi khara pata karne ki koshis karne laga, Aarav pura dhayan laga raha tha lekin samajh nahi paa raha tha.

[Ability (Ki Blade) Activated]

Aarav ne apna haath apne Side le jaate huwe Slash kia, Saamne kisi ka sar uss ke dhar se alag ho gya, Aarav aur Vansh dono ko samajh aa gayi ke monster yahan aa chuke hai, Dono tez raftaar me safe zone ki taraf bhaage.

*Swish*

*Wooosh*

Ek lakri ka bana ajeeb Hathyar Aarav ki taraf aya, Lekin Aarav ne neeche jhukte huwe ussw Dodge ker lia, Balance pakarte he Aarav ne Jump lete huwe Blade saamne khare Monster ki chaati me ghusa di, Aarav peeche ho ker Situation ko samajhne ki koshis karne laga.

Har taraf Mist chaane lagi thi to Aarav theek se daikh nahi paa raha tha ke konse Monster ne Attack kia hai, Aarav ne aage barh Mist se nikalte huwe neeche daikha to apne saamne gire huwe Monster ko daikh uss ki ankhe khul gayi.

Aarav (Shock): Orc's!

Aarav ke saamne ek Orc gira huwa tha, Aarav ne Vansh ki taraf daikha to wo bhi phati ankho se Orc ko daikh raha tha, Aarav ke mann me bohat se sawal the lekin abhi uss ne Yoo-Jung ke paas jana sahi samjha.

Dono waapis Safe Zone ki taraf bhaagne lage, Aarav aur Vansh Safe zone pohanche to wahan shaanti thi, Mist me he unhe parchai dikhne lagi.

Aarav: Yoo-Jung! Hume yahan se nik-

Har barhte kadam ke saath Mist hatne lagi, Wo parchai roop lene lagi, Har barhte kadam ke saath Aarav ka dil thamne ko hone laga, Uss ke saamne ek baar dobara wo he drishya ane laga.

Blood Spikes neeche se nikal rahi thi, Zameen per khoon ke katre ek ek ker ke gir rahe the, Aarav ki ankhe herat se phailne lagi, Un Blood spikes ke upar dobara uss ka Comrade tha.

Aarav (Faintly): Yoo-Jung!

Aarav ki awaz bhi nahi nikal rahi thi, Wo Blood Spikes Yoo-Jung ke shareer ke andar the aur wo dard se tarap rahi tho, Zameen per uss ka khoon bikhra huwa tha, Paas me bhi bohat se Orc's kate huwe gire huwe the, Un kate huwe Orc's ke beech me khara tha wo.

“Orc King”

Aarav ko apni ankho per vishwas nahi ho raha tha, Ab tak Aarav samajh raha tha ke Orc's badla lene aye hai, Lekin yahan Orc King khud ankho me khoon bhare khara huwa tha, Aarav ne peeche ghoom ker Vansh ko apne paas lana chaha, Lekin Kuch Orc pehle he usse neeche dabaye khare huwe the.

Aarav: Ye sab kia ho raha hai? Sab itna sahi chala raha tha, Phir kiu? Kia main ne Safe Zone ko kuch zada he maan lia tha?

Orc King chehre per ek bhayank muskurahat sajaye Aarav ki taraf daikhta hai, Jaise wo Aarav ki ye halat daikh ker bhi khush nahi huwa tha, Mist hatne lagi aur peeche Zameen per dhanse bare bare lakri ki bhaale saamne dikhne lage.

Aarav ke andar toofan uthne laga, Un bhaalo ke Upar Aarav ke sabhi Demon Wolves ke sar the, Orc King ne apne saath tange ek aur sar ko Aarav ki taraf phenk dia jo seedhe Aarav ke kadmo me aa gira.

Aarav: Shadow!

[Alpha Authority Activated]

[Unique Ability (Will to live) Activated]

[Beast Transmission (Wolf Claws)]

6ce3e31c9f4acae14d8f3f54dc262d1e.jpg
Aarav ne kehar bhari nazro se Orc King ki taraf daikha, Orc King ki muskurahat aur bhi gehri ho gayi, Aarav ne aage barhte huwe ek unchi chalang lagayi.
a38162476bd7c5e5ef3731599809c96d.jpg

[Deathly Slash]
.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he, Likhna to abhi aage tak tha, Lekin agar aage likhna shuru karta to Update lamba kheench jana tha, Jaisa kaha tha waise he Update 6.7K Words ka hai, Agar iss update per 30 Likes huwe to Next Update Tuesday Night ko aye ga, Umeed karta hu ap ko update pasand aya ho ga, Milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Nice update and lovely story
 
Krish P

New Member
46
66
19
UPDATE 87 ~
(History Unfolds) (4)

Sainte-Croix Hospital
France ~ 1985

*Click*

Varsha white room ke darwaze ko kholte huwe andar aa gayi, Usko andar aate he saamne Beatrice aur Suhani baithi huwi dikh gayi, Suhani khaana kha rahi thi, Lekin Beatrice muh fulaye baithi huwi thi.

Varsha ne Suhani ki taraf daikha to usne Beatrice ke acting karte huwe keh diya ke wo gussa hai, Varsha bhi muskurate huwe uske paas chali gayi aur uske saath baith gayi.

Lekin Beatrice muh fulaye huwe dusri taraf ghoom gayi, Varsha ne gloves pehne aur ek syringe utha ker Beatrice ke haath ko pakad ker taiyar karne lagi.

Varsha: Aj caretaker ko blood sample kyu nahi lene diya?

Beatrice: Kyu ke ap ne apna promise toda tha! Ap ne kaha tha ke ap yahan aati rahe gi, Lekin ap 17 din se nahi ayi thi, Aur unko main pasand bhi nahi karti.

Beatrice baat to ker rahi thi, Lekin usne ab tak Varsha ki taraf daikha bhi nahi tha, Ye daikh ker Varsha muskurane lagi aur uska blood sample lene lagi.

Varsha: Ap ko bhi pata hai na ke hospital me kitna kaam tha!? Ab usme busy ho gayi thi, Lekin ab aa gayi hu na...Care taker kyu nahi pasand?

Beatrice(Down): Us-Usne kaha ke ek baar main theek ho gayi to main ap se dur ho jaungi! Ye sach hai kya?

Varsha(Sigh): Huh...Uska ye matlab nahi tha! Wo sirf keh rahi thi ke ek baar tumhari bimari cure ho gayi to tum bhi dusre bacho ki tarha cheeze ker sako gi, Hum tumhare liye naye parents dhundhe gye aur tum ek baar dobara school ja sako gi aur ghoom sako gi aur jo kuchh bhi karne ko dil chahe ker sako gi.

Varsha ne uska sample lene ke baad kaha aur uski taraf daikhne lagi, Lekin uski baat sun ker Beatrice khush nahi lag rahi thi.

Varsha: Ab kya huwa?

Beatrice(Hesitant): Doctor, K-Kya ap mujhe adopt karo gi?...Main ap ke aur buddy ke saath rehna chahati hu, Agar nahi to mujhe cure nahi hona.

Beatrice ka chehara laal ho gaya tha, Usne keh to diya tha, Lekin usko ab cringe feel ho raha tha, Ankush he zyada samay uske aur Suhani ke saath bitata tha to unki dosti ho gayi thi.

Lekin Varsha aur Beatrice ke beech ek aur bhi khaas bond ban gaya tha, Varsha aur Beatrice ek tarha se uske bachapan se he saath the, Varsha se milne se pehle ki sab yaadein Beatrice ke liye kisi bure sapne ki tarha thi.

Beatrice ko uska khud ka baap he ek curse kehta aya tha, Ek bachi ko bhooka rakh aur torture ker ke usko lag raha tha ke wo uski patni ka intiqaam le raha hai, Usko torture ker ke wo khud ke andar Qi hone ki saza usko de raha tha.

Lekin Varsha se milne ke baad Beatrice ko pehli baar pata laga tha ke ek Maa ke paas hona kaisa lagta hai, Varsha ke liye bhi ab Beatrice uski khud ki bachi ki tarha ho gayi thi aur wo usko aage sirf ek achi life dena chahti thi.

Varsha(Nod): Hum saath rahe gye!....Lekin uske liye pehli main tumhe cure karu gi aur phir hum bina gloves ke ek dusre ka haath pakad ker duniya ghoome gye....I Promise!

****
Underground Base
Pune Outskirts ~ 1997 October 30

*Gasping*

Varsha neeche ghutnon per baith ker aage ki taraf daikhte huwe lambi lambi saanse le rahi thi, Uske saamne bed per Beatrice ki body thi, Usne khud ke saamne Beatrice ki aatma ko nasht hote huwe daikha tha.

“Varsha?”

Ankush bhi apni kalai ko apne dusre haath se pakade huwe andar aa gaya, Lekin aage ka drishya daikh ker uski ruh kaanp gayi.

*Beeeeep*

Ankush ne monitor per heartbeat ki seedhi line ko daikha tha uske raungte khade ho gye, Usne aur Varsha ne hamesha Beatrice ko cure karne ke baare me he to socha tha, Lekin ab wo he Beatrice uski aankhon ke saamne bejan laiti huwi thi.

Ankush: Beatrice?

Ankush ke kadam khud he Beatrice ki taraf badhne lage, Usko abhi tak vishwas nahi ho raha tha, Ankush peeche darwaze per khadi huwi Suhani bhi khadi hairani se sab daikh rahi thi.

Ankush bed ke paas chala gaya aur usne Beatrice ka haath pakad liya, Lekin uski body sach me bejan thi, Ankush khud ko rok nahi saka aur uska haath pakade udhar khada rone laga.

Usko aise daikh kef Suhani ke bhi aansu chhalak pade aur wo udhar he baith ker rone lagi, Lekin Varsha me ab hilne ki bhi himmat nahi ho rahi thi.

*Thud*

*Groan*

Aarav neeche gir ker behosh ho gaya, Uske paas khade Avinash ka pura Arm laal ho gaya tha kyu ke usne bohat zyada samay ke baad apne Qi core ko unseal ker ke Use kiya tha.

Avinash ka shoulder bhu dislocate ho gaya tha aur uske muh se khoon bhi nikal raha tha, Avinash khada lambi lambi saanse le raha tha, Usko daikh Varsha khadi ho gayi aur uski taraf badhne lagi.

*Grasped*

*Boom*

Varsha ne Avinash ko collar pakadte huwe usko deewar se laga diya, Uski aankhon me aansu aur gussa bhada huwa tha aur wo Avinash ko kha jaane wali nazron se daikh rahi thi.

Varsha(Furious): You could've save her too, Right!? Tum ek genius the, Aisa ho he nahi sakta ke tumhare paas dono ko ek saath bachane ka option nahi tha... *Sniff* Phir kyu tum ne usko bachaya nahi? Kyu usko marne diya? Aakhir Kyu?

Varsha uska collar pakade huwe he rone lagi, Uske andar khade rehne ki bhi shakti nahi thi, Avinash ne uski dono kalaiyon ko pakada aur uska haath jhatak ker khud se alag ker diya.

Avinash(Frustrated): Huh, Even if I could’ve saved her, why should I? I don’t even know her! If saving her even a little could put my son in danger...I’d choose my son every time.

Avinash ne Varsha ko khud se alag karte huwe kaha uske shabdon ko sun Varsha sirf usko hairani se daikhti reh gayi, Usko vishwas nahi ho raha tha ke ye Avinash keh raha tha.

Varsha(Bitter): Unbelievable, Ye sach me tum keh rahe ho? Ab tak sab ka rakshak ye keh raha hai? Kanha gaya wo Avinash jo dusro ke liye marne ko bhi taiyar tha? Abhi tum ek rakshak nahi *Shout* Rakshas lag rahe ho Rakshas...Kya uss bach per zara bhi tars nahi aya tumhe?

Varsha ko Avinash se ghin aa rahi thi, Usko pata tha ke usne Avinash ke saath galat kiya tha, Lekin usne kabhi Avinash ka ye roop daikhne ke baare me socha bhi nahi tha.

*Grasped*

*Choked*

Avinash ne Varsha ke gale ko pakadte huwe usko utha diya, Ye daikh Ankush ne uske paas aa ker usko rokna chaha, Lekin Avinash ke ek dhakke se wo peeche gir gaya.

Avinash(Furious): Haan, Ab bhi dusron ko liye main khud marne ko taiyar hu!...Lekin agar baat mere bacho ki hai!? I’d burn the whole world down to protect them...Phir chahe saamne unki khud ki Maa he kyu na ho.

Avinash ne Varsha ko phainkte huwe kaha to Varsha neeche gir gayi, Avinash ne ab tak Varsha ko maaf nahi kiya tha, Varsha gussa thi to Avinash ki aankhen bhi gusse se laal thi.

Avinash usko udhar he chhodte huwe aage badh ker Aarav ko uthane laga, Varsha ab usko rokna chah ker bhi rok nahi sakti thi.

Ankush aur Suhani ke saath baaki sab bhi unko khade daikh he sakte the, Avinash ne Aarav ko uthaya aur baahir nikal gaya aur beech se Urvi ka bhi haath pakad ker chala gaya.

Varsha unko aise jaate huwe daikhti he reh gayi, Uski aankhon se aansu chhalak pade aur wo udhar he besudh ho ker baith gayi.

Ankush: Varsha! Varsha!! Vars...shaaa!!!

Ankush ki aawaz dheeme se dheeme hoti gayi aur Varsha behoshi ki halat me girti rahi, Itne din aur raat ki mehnat ke baad ab ye sab hone se wo mentally exhaust ho gayi thi.

*Thud*

****

“Uhh...”

Varsha ne apne sar per haath rakhte huwe aankhe kholni shuru ker di, Uska sar abhi bhi kaafi bhaari tha, Varsha uth ker baith gayi.

Varsha(Groan): Ughhh!

“Varsha?”

Varsha ki awaz sun ker uske paas he kursi per baitha soo raha Ankush uth gaya, Usko hosh me ate daikh ker Ankush uske paas ho gaya, Varsha ko bhi ab ek saath uski behoshi se pehle huwe sab drishya dobara yaad ane lage.

Varsha: Ankush, Beatrice? Main kab se behosh thi?

Varsha ke savalon ko sun ker Ankush ne uska haath pakad liya, Varsha abhi buri tarha se kaanp rahi thi.

Ankush: Kal se unconscious ho tum! Hum ne...Hum ne Beatrice ko yanhi ek cemetery me dafana diya hai, Uski body ko ab zyada samay ke liye rakhna theek nahi tha.

Varsha ki dhadkane ek pal ke liye tham si gayi, Beatrice ko usne hamesha ke liye kho diya tha.

Varsha: Suhani kanha hai? Aur Veer aur Aakash ki kya halat hai?

Ankush: Aarav ne kya kiya ye mujhe ab tak pata nahi laga! Lekin bacho ki condition ab bohat behtar hai, Unke test kiye hai aur ye pehli baar huwa hai ke unke sab results normal aye hai...Unhe abhi white room me sulaya gaya hai, Aakash aur Veer Aarav se milna chahate the, Lekin unhe samjha diya hai.

Varsha uski baat sun ker aise he chup ker ke baith gayi, Ankush bhi usko sambhalne ka time de raha tha, Varsha kuch der baad uth gayi aur apna coat pehan liya.

Ankush: Kya huwa? Kidhar jaane ki taiyari?

Varsha: Kanha ja sakti hu! Apne bacho ke paas ja rahi hu, Apne ghar!

Ankush(: Seriously!? Abhi bhi usko ghar keh rahi ho? Varsha tumhe lagta hai ke wo insaan abhi bhi tumhe andar ane de ga?

Varsha: I don't care, Lekin main yahan per baithi nahi reh sakti! Mujhe mere bacho ke paas hona chahiye hai.

Ankush(Sigh): Huh, Fine! Lekin raat bohat ho gayi hai, Main bhi saath chalta hu.

Varsha(Nod): Okay!

Ankush bhi uske saath chal diya aur dono kamre se baahir aa gye, Varsha ne ek baar teeno bacho ko daikha to sab soo rahe the aur phir dono baahir aa gye, Ankush ki Car me baith ker dono Avinash ke ghar ki taraf chal diye.

*Screeeech*

Ankush ne ghar ke baahir car ko roka aur dono car se utar ker ghar ki taraf chalne lage, Raat ke 2 baj rahe the lagbhag sabhi gharon ki battiyan band ho gayi thi.

*Knock-Knock*

Varsha ne ghar ke darwaze per dastak di aur dono khade ho ker darwaza khulne ka intezar karne lage kuch der baad darwaza khula aur unke saamne Avinash khada huwa tha.

Unko daikh ker Avinash bina kuch bhi kahe darwaze ko khula chhod ker andar chala gaya, Varsha andar jaane lagi to Ankush bhi uske saath andar aa gaya.

Varsha: Kanha?

Ankush: 10 Minute yahan baith ker chala jaunga! Aise tumhe akeli nahi chhodunga.

Varsha: *Nod*

Varsha aur Ankush dono he ghar ke andar hall me aa gye, Varsha Ankush ko udhar baitha ker jaane lagi, Lekin kuch daikh ker uske kadam tham gye.

Uske saamne deewar per Bharat ki tasveer tangi huwi thi aur usper haar chadhayan huwa tha, Usko daikh Varsha bilkul chaunk gayi.

“3 Din pehle tumhare uncle ka dehant ho gaya tha”

Varsha ke peeche khadi Lakshmi ne kaha to Varsha ghoom gayi, Lakshmi ne white saree pehni huwi thi, Usko daikh ker lag raha tha ke usne kitne dinon se kuch bhi nahi khaya tha.

Varsha: Aunty?.... I'm sorry, M-Mujhe pata he nahi tha.

Lakshmi: Avinash ne tumhe aur bacho ko dhoodhne ki koshish ki thi! Lekin usko tum teeno mile he nahi, Kal Aarav ki Qi ko usne feel kiya to ghar se bhaagte huwe chala gaya tha.

Lakshmi ki baat sun ker Varsha ne yaad kiya to kal Avinash bhi white suit he pehne huwa tha, Varsha ko ab khud ki kahi huwi baato per gussa aa raha tha, Avinash ne uske baap ko khoya tha aur kal usne apne bache ko bhi lagbhag kho he diya tha.

Varsha: Sorry, Aunty...! Ap- Gussa ho kya?

Lakshmi: Main gussa kyu hone lagi? Ye tumhari aur Avinash ke beech ki baat hai... Lekin haan main nirash zaroor huwi thi sab kuch sun ker, Kabhi socha nahi tha ke har din mere kaam me jigyasa dikhane wali ek ladki uska ye arth nikale gi aur khud ke he bacho ki jaan sankat me daal de gi.

Varsha ke paas ab kehne ke liye kuch bhi nahi tha, Lakshmi ne bhi usko aur kuch bhi nahi kaha aur Ankush ke saamne kursi per baith gayi, Varsha udhar he khadi rahi aur kuch samay ke baad Avinash apne haatho me Aarav aur Urvi ko uthaye aa gaya.

Aarav aur Urvi dono he abhi gehri neend me the, Avinash ne unko Lakshmi ke paas laita diya aur khud bhi uske saath he baith gaya, Varsha bhi ek kursi per uske saamne baith gayi.

Varsha: Avinash, Aunty ne abhi uncle ke baare me bataya!... I'm sorry, Mujhe kal kuch-

Avinash: Papa ko kuch bhi hone se tumhe kuch farak bhi padhta hai kya? Ye pata hote huwe bhi ke unki kya halat hai tum ne to apna he swarth daikha na?...Ek baar main ne tumhe maaf karne ki galti ker di hai ab dobara nahi ker sakta.

Avinash ne kehte huwe ek baar Varsha ki taraf daikha bhi nahi, Varsha samajh gayi ke usko ab uski taraf daikhne se bhi ghin aa rahi thi.

Varsha: Ab kya chahate ho?

Avinash(Sigh): Mnemosyne's Gaze!

Naam sunte he Varsha ki aankhe hairat se khul gayi, Ye Lakshmi ki he banayi gayi ek forbidden art thi, Ye hypnosis ki tarha ki he thi, Lekin ye Art usko directly kisi ki yaadon me parvesh karne aur badlav karne me madad karti thi.

Lekin Lakshmi ke khud banane per bhi ye uske liye Use karni easy nahi thi, Usko bhi ye Art ke prayog ke liye support ki zaroorat hoti thi aur uske paas abhi Avinash ek support ke roop me tha.

Varsha: Aunty, ap kya bacho ki yaadein badalna chahte ho?

Avinash: Haan, Bacho ke liye tum sirf ek buri Maa ban jaogi! Unko tumhare wajood se bhi nafrat ho jaye gi aur wo tumhe kabhi daikhna bhi nahi chahe gye, Uske baad tum yahan se ja sakti ho aur kabhi bhi laut ker na ana.

Ankush: Avinash ye kuch zyada ho rah-

Avinash: Beech me bolne ki koshish bhi na karna! Agli baar tumhari kalai nahi gardan ho gi.

Avinash ne uski baat ke beech me he usko dhamki dete huwe kaha, Ankush ko gussa to aya, Lekin usne gussa pee liya aur chup ker ke baith gaya.

Varsha: Aur agar main ye na karu to phir kya karo gye?

Avinash(Sigh): Huh, Phir mere paas aur koi raasta nahi ho ga! Main Avinash Arya, Clan ka Leader ye kasam khata hu ke agli baar tum mere bacho ke kareeb dikhayi bhi di to tumhare baap ke aakhiri shabdon ko pura karte huwe tumhara sar dhar se alag ker dunga.

*Clang*

Avinash ne kehte huwe he clan leader ki sword ko unsheath karte huwe aage rakh diya, Varsha aur Ankush ki saanse thamne ko ho gayi.

Varsha sirf Avinash ki taraf daikhti he reh gayi, Lekin Avinash ne usko ek baar daikha bhi nahi aur baitha raha, Usko daikh ker lag raha tha ke wo sach me sar kaatne se pehle soche ga bhi nahi.

Varsha ne ek baar Lakshmi ki taraf umeed bhari nazron se daikha, Lekin Lakshmi ne bhi uski taraf daikha bhi nahi.

Avinash: Tumhare paas zyada samay nahi hai! Tumhe abhi nirnay lena ho ga.

Varsha ne ek baar dobara un dono ki taraf daikha, Lekin dono he ab badalne ke liye taiyar nahi the, Ye daikh ker Varsha ke aansu chhalak pade, Uske paas sach me aur koi raasta nahi tha.

Varsha(Nod): Jaisa tumhe sahi lage! Lekin kya kabhi kabh-

Avinash: Ek baar bhi nahi! Unko tumhara chehara dobara dikhna bhi nahi chahiye.

Varsha bilkul bebas ho gayi thi, Uski nazar uske bacho per chali gayi, Unki wo aakhiri tasveer ko kaid ker lena chahti thi, Avinash bhi baitha intezar karta raha aur aakhir me Ankush ko he Varsha ko uthana per gaya.

Varsha apna sar jhukaye baahir ki taraf chal di, Usne khud he apne ghar ko kho diya tha, Uske dil me ek he chah thi ke ek baar dobara Avinash usko rok de aur kuch aur saza de de.

Lekin usko bhi andaza tha ke Avinash ab dobara vishwas nahi kare ga aur Ankush ke saath baahir chali gayi, Ankush ne uske liye car ka darwaza khola aur Varsha car me baith gayi.

Uske sabar ka bandh toot gaya aur wo car me baith ker rone lagi, Usne sab kuch he kho diya tha, Uska ghar uske bache aur Beatrice sab kuch he cheen liye gye the usse.

“Aur uss raat ke baad me ne tum dono ko kabhi bhi nahi daikha”

Car ke baahir Aarav aur Varsha parchhai ke roop me khade huwe the, Aarav ne uske brain se direct connection banaya tha to Varsha bhi uske saath thi.

Varsha: [Uske baad Avinash ne tumhe kya yaadein di mujhe nahi pata! Lekin wo sab sach nahi thi, Aarav tumhe pura sach nahi bataya gaya, Ye sirf Forged memories hai.]

Aarav(Scoff): [Aur ap ko aisa kyu laga ke aisi reality se bhu buri memories forge ho sakti hai? Meri Maa ne mujhe he maarne ki koshish ki aur wo bhi ek baar nahi do baar? Usse buri chhavi aur kya ban sakti hai ap ki?]

Aarav ki baate sun ker Varsha chaunk bhi gayi aur uske paas kehne ke liye bhi kuch nahi bacha, Aarav ki har baat sach thi.

Aarav: [Ap ko pata hai ap se pehle main ne ye sab kuch Dad ke nazariye se daikha tha!? Kya ap daikhna chaho gi?]

Aarav un memories ki baat ker raha tha jo usne Avinash ko devour karne ke baad daikhi thi, Varsha uski baat sun ker hairaan huwi aur usne sirf nod ker diya.

Aarav ne haath uthaya to unke saamne ka drishya badlne lage, Ab Aarav Avinash ki memories dikha raha tha, Varsha ne apne saamne daikha to usko sirf andhera dikhayi diya.

Varsha: [Ye kya hai?]

*Groan*

Abhi Varsha ne Aarav se pucha he tha ke usko ek taraf se kisi ke karahne ki awaz sunayi di, Varsha ne udhar daikha to usko Avinash khada dikhayi diya, Usne kuch pakada huwa tha.

Aarav: [Hairan ho gayi kya? Kuch andaza hai kya ke ya kya ho sakta hai?]

Varsha ke muh se ek shabd bhi baahir nahi aya, Usko pata lag gaya tha ke Avinash ne kya pakada huwa hai, Uske haath me abhi Beatrice ki soul thi, Jisko wo kanhi se khinch ker baahir nikal raha tha.

Varsha ne andar jhankana chaha to wo aur bhi hairan ho gayi, Uske saamne tha to sirf andhera he, Lekin wo usko mehsoos bhi ker sakti thi aur khud ko khinchate huwe mehsoos bhi ker sakti thi.

Varsha: [Ye kya hai?]

Aarav:
[Limitless Growth]

*Clap*

Aarav ke clap karte he Varsha ko Avinash ki nazar se dikhayi dene laga, Avinash ke saamne ek badi deewar thi aur deewar ke beech me ek chhed bana huwa tha.

Aarav: [Ye meri real potential hai! Limitless Growth, Lekin usko unlock karne ke liye ye deewar mujhe khud se todne ki zaroorat thi, Kyu ke agar main deewar ke dusri taraf ki growth ko control nahi ker sakta tha to wo mujhe control karne wali thi]

Varsha ke paas kehne ke liye shabd nahi the, Usko andar baaki sab souls dikhayi to de rahi thi, Lekin wo samundar me kuch bundon ke barabar bhi nahi thi.

Aarav: [Isko Unlock karne ke liye abhi bhi bohat samay tha! Lekin kisi ko laga ke kisi newborn baby ki soul ko transfer kiya jaye aur usko karte huwe ye chhed ban gaya]

Varsha ko aage ka kuch sochne ke liye aur sunane ki zaroorat nahi thi, Phir Aarav ki ye growth uske aur bhi souls ko devour karne se trigger ho gayi thi aur usko ab bhadne ke liye aur bhi energy chahiye thi.

Aarav: [Aur tab Dad ne dobara ek mushkil nirnay liya! Agar chhed band na kiya jata to baahir sab growth ke liye sirf ek energy ban ker reh jaate, Sab ko bachane ke liye Dad ne usko khatam ker diya]

Avinash ne Beatrice ki Soul ko haatho me he nasht ker diya aur uske baad chhed ko seal karne laga, Avinash ke liye wo nirnay kitna mushkil tha ye uski unstable energy se pata lag sakta tha.

Varsha: [Usne bataya kyu nahi?]

Aarav(Sigh): [Huh, Ap ne kaha ke unhone sach chupaya tha, Right? Ab ap ko batata hu ap ke ghinone sach ko chupa ker unhone hamay kya bataya]

Aarav ne dobara saamne ka drishya badal diya, Ab unke saamne dobara ussi raat ki memories thi, Lekin ye Avinash ki memory thi Varsha ke jaane ke baad ki.

Laskhmi: Avi...?

Lakshmi uth ker Avinash ke paas chali gayi aur usko gale se laga liya, Maa ki bahon me ate he Avinash ke aansu ruk nahi sake aur uske agosh me chehara chupaye wo rone laga.

Avinash in aansuon ko kab se roka huwa tha, Lakshmi ne bhi usko khul ker roo lene diya, Avinash bohat der aise he baitha rota raha aur aakhir shaant ho gaya, Lakshmi uske saamne baith gayi.

Lakshmi: Kya ho gaya tha? Itne aansuon ko chupa ker baitha huwa tha?

Avinash(Sniff): Aise he Kuch soch raha tha!...Usne kya he galat kaha tha? Aakhir ek rakshas he to hu na main? Sab se pehle apne logo ko he apne haatho se maara aur phir ek bachi ko bhi apne haatho se khatam ker diya!? Rakshas he to huwa na?

Lakshmi(Tearful): Aisa kyu bolta hai? Sab kuch tu ne dusron ke liye kiya tha, Lekin bojh uthane ke samay per tu akela kyu ho jata hai?

Lakshmi ne uska chehra thaamte huwe kaha usko sirf apne bete per taras he ata tha, Usne kabhi uske jaisa saaf dil insaan nahi daikha to aur sab dukh bhi uski kismat me he likh diye gye the.

Lakshmi: Ab sach sach bata! Kya sach me tu bacho ki memories me badlav karna chahta hai?

Avinash(Nod): Haan, Lekin unko Varsha ki buri memories nahi deni!...Ab ki baar ap ko mujhe bura banan ho ga.

Lakshmi(Frowns): Avi? Aisa kyu karna chahata hai?

Avinash(Sigh): Huh, Ap ko bataya tha na ke Aarav ki Limits ko seal kiya hai!? Lekin usko seal karna bohat mushkil tha, Meri banayi har seal ko he wo devour ker raha tha aur ant me....ant me mujhe khud ke core se ek seal banani per gayi.

Lakshmi: Huh? Kya matlab?

Avinash: Main uske chhed ko band to nahi ker sakta tha! Lekin main ne usko ab direct ker diya hai, Ab wo kisi ki bhi energy ko aise he nahi khinche ga, Usko ab sirf meri Qi chahiye ho gi, Aarav ke kareeb hone per wo khud he meri Qi khinchne lagta hai.

Lakshmi ne aisa kuch padha huwa tha, Ye karne se Avinash ne Aarav ko stable to ker diya tha, Lekin ab Aarav ke paas ane se uski Qi khinchne lagti thi aur agar uska pura core khali ho jata to Avinash ko bhi khatra tha.

Avinash: Ab bacchon se dur rehne ke liye kuch bahana to chahiye hai na? Agar ek bura baap ban gaya to bahanon ki zaroorat he nahi ho gi na?

Avinash keh to ye muskurate huwe raha tha, Lekin uski muskurahat ke peeche ka dard abhi Lakshmi daikh chuki thi, Usne sirf apne bete ke sar per haath rakh diya.

Avinash: Bacho ko ye bataye ke main ne unki Maa ko tadpaya aur zulm kiya hai! Aur Aakhir me mujhse tang aa ker usne dam tod diya tha.

Lakshmi: Maa ko maar kyu raha hai? Rok kyu nahi raha? Baap nahi to ek Maa to ho gi na?

Avinash: Ek baar bharosa ker ke daikh liya hai! Ab bacho ko dobara uske paas akela nahi chhodunga, Acha hai ke unhe lage ke unki Maa mar gayi hai.

****
Sayani Mansion
France ~ 12:24 AM

“Enough!”

Suhani ne Aarav ko dhaka dete huwe Varsha se alag ker diya, Suhani Aarav ko khoon pee jaane wali nazron se daikh rahi thi, Usne Varsha ko khud ke saath lagaya huwa tha.

Varsha bilkul sadme ki halat me Suhani ke saath lagi roo rahi thi, Varsha yahan khud ko Aarav ki nazron me sahi sabit karne ayi thi, Lekin yahan wo khud ki nazron me he galat sabit ho gayi thi.

Aakash ek taraf khamoshi se baith ker sab kuch observe ker raha tha, Barbie bhi uske saath khada huwa tha, Aarav ki taraf daikh ker usko andaza ho gaya tha ke Aarav ko ab sab kuch pata lag gaya hai.

Varsha: Aarav, Bache!

Varsha uth ker khadi ho gayi aur Aarav ki taraf badhne lagi, Ye daikh ker Suhani ko gussa aya, Lekin usne muh fer liya aur khadi ho gayi.

Varsha Aarav ke saamne aa ker khadi ho gayi, Lekin ab ki baar uski Aankhon me wo aatmavishwas nahi tha, Varsha andar se toot gayi thi, Usne Aarav ke saamne haath jod liye.

Varsha(Tearful): Aarav, Apni Maa ko maaf ker de! Bohat badi bhool ho gayi, Kab main khud ko ahankar me pagal ho gayi mujhe pata he nahi laga *Sob* Apni Maa ko maaf ker de.

Aarav ne Varsha ke haatho ko pakad ker neeche ker diya, Ye daikh Varsh uske haatho ko thaamne lagi, Lekin Aarav ne haath kheench liye.

Aarav(Scoff): Corpse, The Kid Who Was Supposed to Die, Right? Ap ko ek aur baat bataun kya? That kid really did die that day...The person you see in front of you isn’t your kid anymore....Murdon ko dobara zinda karne ki koshish na kariye, Sirf mayusi he ho gi.

Aarav ne Varsha ko dutkarte huwe dhakel diya, Varsha sirf usko hairani se daikhti he reh gayi, Aarav ki ye harkat daikh ker Suhani ke sabar ka band toot gaya.

Suhani(Furious): Aarav, Ab bohat ho gay-

Aarav: Kneel!

[Alpha Presence Activated]

Aarav ki ek nazar per Suhani uske ghutnon per aa gayi, Usko aise daikh ker Aakash ko hansi aa gayi, Usne usko bataya bhi tha ke Aarav kitna strong hai, Lekin ab usne khud mehsoos bhi ker liya tha.

Aarav: Just get out of my sight! Before I do something I'll regret later.

Aarav ki baat sunte he Aakash ne Barbie ko ishara ker diya, Barbie nod karte huwe Varsha aur Suhani ko baahir le gaya, Unke nikalte he Aarav table pakad ker khada ho gaya.

Ab tak to wo khud ko sambhale huwa tha, Lekin uske bhi emotions unstable ho gaye the, Varsha uski Maa thi, Uske saamne hone se wo bilkul unfazed nahi reh sakta tha.

Aakash: Andar dum ghutne laga hai! Kya kehte ho, Fresh air ke liye terrace chalo gye kya?

Aarav(Sweating): *Nod*

Aakash usko saath le ker Terrace per aa gaya, Aakash ne ek cigar ko nikal liya aur usko jalane laga, Aarav terrace se neeche daikhne laga, Usko Barbie neeche Varsha aur Suhani ko car me baithate huwe dikh gaya.

Aarav unki car ko mansion se nikalte tak daikhta raha, Unke baahir jaate he Aarav udhar baith gaya, Aakash uske paas chup ker ke khada raha.

Aarav: Aakash, Tum ne mere liye itna sab kuch kyu kiya?

Aakash: Mujhe laga ke tumhe ab tak pata lag gaya ho ga!?

Aarav(Scoff): Kya ye soch ker tum ne sab kuch kiya ke main tumhara bhai hu? Agar aisa hai to uski zaroorat nahi thi, Tumhare bhai ki soul ko main devour to kiya ho ga, Lekin sirf ek energy ke roop me, Main bhai nahi hu tumhara.

Aakash(Smile): *Nod* Haan, I know ke tum Sagar nahi ho! Huh...Aarav tumhe pata hai main sagar ko nafrat karta tha? Hamesha se mujhe lagta tha ke uske kaaran he main ajeeb hu...Lekin wo bechara to mujhe he bachate huwe mara tha, Mere liye mujhse zyada dukhi wo tha, Wo mujhse alag bhi nahi ho sakta tha...Lekin phir tum aye aur sab kuch badal gaya...Aarav Arya, Ya kahu ke spiderman *Laugh*

Aakash un palon ko yaad ke muskurane laga, Usko daikh ker Aarav mehsoos ker sakta tha ke Aakash sach me khush tha.

Aakash: Aarav tum mere aur Veer ke sab se pehle friend the! Haan, Tum hamare bhai nahi the, Lekin agar wo sach me hamare saamne hote to bilkul tumhari tarha ke he hote, Ye he kaaran hai ke unki soul ko devour karne ke baad hum tumhe he bhai kehne lage...Unhone hamay ye zindgi di thi aur tum ne hamay zindgi jeene ka mauka diya tha, Hum baakiyo ki tarah baahir nikal sakte the aur aj hum jo kuch bhi hai tumhare kaaran he hai, Agar hamay tumhari khatir marna he kyu per jaye hum taiyar hai.

Aarav(Sigh): Huh, Whatever! Lekin mujhse kuch bhi expect na karna ke main tumhara bhai banu ga.

Aarav itne emotions ko daikh ker sach me tang aa gaya tha, Usko daikh ker Aakash sirf muskura diya aur cigar ka anand lene laga.

“Master”

Aarav ko bulate huwe Tinkerbell baahir aa gayi-

Aarav: [Kya ho gaya?]

Tinkerbell: [Ap ka reward kuch minutes ke baad ap claim ker sakte ho! Ap ke liye ek surprise bhi hai, Ya kaho ke bonus hai]

Aarav: [Really!? Huh, Aur dusre kaam ka kya huwa?]

Tinkerbell: [Haan, Main ne error ke liye bhi check kiya tha, Lekin kuch bhi error nahi tha, Urvi per sach me dot nahi tha]

Aarav: [Huh, Lekin ye kaise ho sakta hai?]

Aarav ke saval per Tinkerbell ne bhi haath khade ker diya ke usko kuch bhi idea nahi hai.

Aarav: Aakash....Urvi ke baare me batao gye kya? Main ne Urvi ko khud m-.... marte huwe daikha tha, Phir wo yahan aur zinda kaise hai?

Aakash: Soch he raha tha ke ab tak tum ne pucha kyu nahi! Huh, Uske baare me main bhi kuch bhi khaas nahi janta, Urvi ki body ko Suhani ne claim kiya tha, Usko ek tumhara friend wanha le gaya tha, Unhe bhi Urvi ki dead body he mili thi, Lekin kab raaste me Urvi ki saanse dobara chalne lagi unhe bhi pata nahi hai.

Aarav ko bhi ache se yaad tha ke usne Urvi ki heartbeat ko rukte huwe suna tha, Usko ab bhi pura drishya kisi bure sapne ki tarha yaad tha, Usko Urvi ke zinda hone ki khushi to thi.

Lekin wo hairan huwe bina nahi reh sakta tha, Agar Varsha ne bhi kuch nahi kiya tha to huwa kya tha.

“Uske shareer ko main ne zinda kiya tha”

[You have entered the Domain of the Monarch]

[Prepare for potential encounter with powerful foe]

Aarav terrace se ek empty white space me aa gaya tha, Aarav ne sword ko nikal liya aur ladne ke liye taiyar ho gaya.

*Clanggggggg*

Ek attack ek side se aya aur Aarav mushkil se khud ko defend ker saka, Sirf ek attack ne uska balance bigad diya tha, Earth per ane ke baad usne aisa attack ye dusri baar feel kiya tha, Pehla usne Tarun ka aisa attack feel kiya tha.

“hohoho! Not bad, Young man”

Aarav ko uske side se awaaz ayi to wo uss taraf ghoom gaya, Uske saamne ek vyakti khada huwa tha, Lekin uske kapade bilkul sadharan the aur uske haath me ek purani E rank iron sword pakadi huwi thi aur chehre per ek mask pehna huwa tha.

122175872722ddc8165976c1bf6142dd.jpg

[Check]

[Target is too powerful!⚠️]

[Player cannot check his status]

Aarav: Huh?

[Access Granted!]

[The target has allowed you to check his status]

Vyakti ne Aarav ki taraf daikhte huwe usko check karne ka mauka de diya, Ye daikh ker Aarav ko aur bhi gussa aa raha tha.

[Check]

[
Name: Aarav Arya
Job: Soul Monarch]

Aarav(Shocked): What the fuck?
.
.
.
.
.
.
.
.

[Aj ke liye itna he, Aur yahan huwa history unfold ka ant, Khush to bohat ho gye aur action bhi aa gaya :D Umeed karta hu ke ap ko ye update bhi pasand aya ho ga, Target hamara wohi hai 120 Likes ke liye, Milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Nice update bro just started to read your story from 5 days and i can tell it is superb
 
Looteraaa

Member
268
448
64
History unfolds "Jaisa ant chahiye tha waisa hi mila"

Shuru me ankush aur varsha ki nazdikiyan jis tarah se dikhai thi ....mujhe padhne me itna bekar laga, ki socha ab 3-4 updates ke baad hii aage padhunga....lekin man ko kon sthir kar paya hai, padh hi liya ....wese achha hua jyada kuchh nhi dikhaya aapne
 
Devil0011

New Member
71
87
18
Bhai Domain Monarch nhi hai, Domain of the Monarch...

Fantasy or Anime etc m Domain matlb aisa area ban jaata hai jahan banaane waala full powerful hota hai or usse haraana almost impossible hi hota hai...
Domain ko banaane waala Domain k andar kahin bhi teleport ho sakta hai or even k uski power bhi baaher k mukaable zeyaada ho jaati hai...
Kisi bhi Domain ko uske andar se todna Impossible hi samajh lo.... Sirf banaane waala hi usse khud khatam kar sakta hai..
Pr baaher se ye domain utna hi kamzor hota hai jitna k andar se strong....

Thanks Bhai explain krne ke liyah.
 
  • Like
Reactions: LionHeart007

Ng21G

Member
216
218
43

Zabardast 💯 🔥 🔥 🔥 🔥
 
1,237
4,496
144
Top