• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Vengeance ~ Revenge is sweet [ᏚᎩᏚᎢᎬᎷ]

Who are your two favorite male characters in this story?

  • Total voters
    238

Abhi123

Active Member
641
1,461
138
UPDATE 87 ~
(History Unfolds) (4)

Sainte-Croix Hospital
France ~ 1985

*Click*

Varsha white room ke darwaze ko kholte huwe andar aa gayi, Usko andar aate he saamne Beatrice aur Suhani baithi huwi dikh gayi, Suhani khaana kha rahi thi, Lekin Beatrice muh fulaye baithi huwi thi.

Varsha ne Suhani ki taraf daikha to usne Beatrice ke acting karte huwe keh diya ke wo gussa hai, Varsha bhi muskurate huwe uske paas chali gayi aur uske saath baith gayi.

Lekin Beatrice muh fulaye huwe dusri taraf ghoom gayi, Varsha ne gloves pehne aur ek syringe utha ker Beatrice ke haath ko pakad ker taiyar karne lagi.

Varsha: Aj caretaker ko blood sample kyu nahi lene diya?

Beatrice: Kyu ke ap ne apna promise toda tha! Ap ne kaha tha ke ap yahan aati rahe gi, Lekin ap 17 din se nahi ayi thi, Aur unko main pasand bhi nahi karti.

Beatrice baat to ker rahi thi, Lekin usne ab tak Varsha ki taraf daikha bhi nahi tha, Ye daikh ker Varsha muskurane lagi aur uska blood sample lene lagi.

Varsha: Ap ko bhi pata hai na ke hospital me kitna kaam tha!? Ab usme busy ho gayi thi, Lekin ab aa gayi hu na...Care taker kyu nahi pasand?

Beatrice(Down): Us-Usne kaha ke ek baar main theek ho gayi to main ap se dur ho jaungi! Ye sach hai kya?

Varsha(Sigh): Huh...Uska ye matlab nahi tha! Wo sirf keh rahi thi ke ek baar tumhari bimari cure ho gayi to tum bhi dusre bacho ki tarha cheeze ker sako gi, Hum tumhare liye naye parents dhundhe gye aur tum ek baar dobara school ja sako gi aur ghoom sako gi aur jo kuchh bhi karne ko dil chahe ker sako gi.

Varsha ne uska sample lene ke baad kaha aur uski taraf daikhne lagi, Lekin uski baat sun ker Beatrice khush nahi lag rahi thi.

Varsha: Ab kya huwa?

Beatrice(Hesitant): Doctor, K-Kya ap mujhe adopt karo gi?...Main ap ke aur buddy ke saath rehna chahati hu, Agar nahi to mujhe cure nahi hona.

Beatrice ka chehara laal ho gaya tha, Usne keh to diya tha, Lekin usko ab cringe feel ho raha tha, Ankush he zyada samay uske aur Suhani ke saath bitata tha to unki dosti ho gayi thi.

Lekin Varsha aur Beatrice ke beech ek aur bhi khaas bond ban gaya tha, Varsha aur Beatrice ek tarha se uske bachapan se he saath the, Varsha se milne se pehle ki sab yaadein Beatrice ke liye kisi bure sapne ki tarha thi.

Beatrice ko uska khud ka baap he ek curse kehta aya tha, Ek bachi ko bhooka rakh aur torture ker ke usko lag raha tha ke wo uski patni ka intiqaam le raha hai, Usko torture ker ke wo khud ke andar Qi hone ki saza usko de raha tha.

Lekin Varsha se milne ke baad Beatrice ko pehli baar pata laga tha ke ek Maa ke paas hona kaisa lagta hai, Varsha ke liye bhi ab Beatrice uski khud ki bachi ki tarha ho gayi thi aur wo usko aage sirf ek achi life dena chahti thi.

Varsha(Nod): Hum saath rahe gye!....Lekin uske liye pehli main tumhe cure karu gi aur phir hum bina gloves ke ek dusre ka haath pakad ker duniya ghoome gye....I Promise!

****
Underground Base
Pune Outskirts ~ 1997 October 30

*Gasping*

Varsha neeche ghutnon per baith ker aage ki taraf daikhte huwe lambi lambi saanse le rahi thi, Uske saamne bed per Beatrice ki body thi, Usne khud ke saamne Beatrice ki aatma ko nasht hote huwe daikha tha.

“Varsha?”

Ankush bhi apni kalai ko apne dusre haath se pakade huwe andar aa gaya, Lekin aage ka drishya daikh ker uski ruh kaanp gayi.

*Beeeeep*

Ankush ne monitor per heartbeat ki seedhi line ko daikha tha uske raungte khade ho gye, Usne aur Varsha ne hamesha Beatrice ko cure karne ke baare me he to socha tha, Lekin ab wo he Beatrice uski aankhon ke saamne bejan laiti huwi thi.

Ankush: Beatrice?

Ankush ke kadam khud he Beatrice ki taraf badhne lage, Usko abhi tak vishwas nahi ho raha tha, Ankush peeche darwaze per khadi huwi Suhani bhi khadi hairani se sab daikh rahi thi.

Ankush bed ke paas chala gaya aur usne Beatrice ka haath pakad liya, Lekin uski body sach me bejan thi, Ankush khud ko rok nahi saka aur uska haath pakade udhar khada rone laga.

Usko aise daikh kef Suhani ke bhi aansu chhalak pade aur wo udhar he baith ker rone lagi, Lekin Varsha me ab hilne ki bhi himmat nahi ho rahi thi.

*Thud*

*Groan*

Aarav neeche gir ker behosh ho gaya, Uske paas khade Avinash ka pura Arm laal ho gaya tha kyu ke usne bohat zyada samay ke baad apne Qi core ko unseal ker ke Use kiya tha.

Avinash ka shoulder bhu dislocate ho gaya tha aur uske muh se khoon bhi nikal raha tha, Avinash khada lambi lambi saanse le raha tha, Usko daikh Varsha khadi ho gayi aur uski taraf badhne lagi.

*Grasped*

*Boom*

Varsha ne Avinash ko collar pakadte huwe usko deewar se laga diya, Uski aankhon me aansu aur gussa bhada huwa tha aur wo Avinash ko kha jaane wali nazron se daikh rahi thi.

Varsha(Furious): You could've save her too, Right!? Tum ek genius the, Aisa ho he nahi sakta ke tumhare paas dono ko ek saath bachane ka option nahi tha... *Sniff* Phir kyu tum ne usko bachaya nahi? Kyu usko marne diya? Aakhir Kyu?

Varsha uska collar pakade huwe he rone lagi, Uske andar khade rehne ki bhi shakti nahi thi, Avinash ne uski dono kalaiyon ko pakada aur uska haath jhatak ker khud se alag ker diya.

Avinash(Frustrated): Huh, Even if I could’ve saved her, why should I? I don’t even know her! If saving her even a little could put my son in danger...I’d choose my son every time.

Avinash ne Varsha ko khud se alag karte huwe kaha uske shabdon ko sun Varsha sirf usko hairani se daikhti reh gayi, Usko vishwas nahi ho raha tha ke ye Avinash keh raha tha.

Varsha(Bitter): Unbelievable, Ye sach me tum keh rahe ho? Ab tak sab ka rakshak ye keh raha hai? Kanha gaya wo Avinash jo dusro ke liye marne ko bhi taiyar tha? Abhi tum ek rakshak nahi *Shout* Rakshas lag rahe ho Rakshas...Kya uss bach per zara bhi tars nahi aya tumhe?

Varsha ko Avinash se ghin aa rahi thi, Usko pata tha ke usne Avinash ke saath galat kiya tha, Lekin usne kabhi Avinash ka ye roop daikhne ke baare me socha bhi nahi tha.

*Grasped*

*Choked*

Avinash ne Varsha ke gale ko pakadte huwe usko utha diya, Ye daikh Ankush ne uske paas aa ker usko rokna chaha, Lekin Avinash ke ek dhakke se wo peeche gir gaya.

Avinash(Furious): Haan, Ab bhi dusron ko liye main khud marne ko taiyar hu!...Lekin agar baat mere bacho ki hai!? I’d burn the whole world down to protect them...Phir chahe saamne unki khud ki Maa he kyu na ho.

Avinash ne Varsha ko phainkte huwe kaha to Varsha neeche gir gayi, Avinash ne ab tak Varsha ko maaf nahi kiya tha, Varsha gussa thi to Avinash ki aankhen bhi gusse se laal thi.

Avinash usko udhar he chhodte huwe aage badh ker Aarav ko uthane laga, Varsha ab usko rokna chah ker bhi rok nahi sakti thi.

Ankush aur Suhani ke saath baaki sab bhi unko khade daikh he sakte the, Avinash ne Aarav ko uthaya aur baahir nikal gaya aur beech se Urvi ka bhi haath pakad ker chala gaya.

Varsha unko aise jaate huwe daikhti he reh gayi, Uski aankhon se aansu chhalak pade aur wo udhar he besudh ho ker baith gayi.

Ankush: Varsha! Varsha!! Vars...shaaa!!!

Ankush ki aawaz dheeme se dheeme hoti gayi aur Varsha behoshi ki halat me girti rahi, Itne din aur raat ki mehnat ke baad ab ye sab hone se wo mentally exhaust ho gayi thi.

*Thud*

****

“Uhh...”

Varsha ne apne sar per haath rakhte huwe aankhe kholni shuru ker di, Uska sar abhi bhi kaafi bhaari tha, Varsha uth ker baith gayi.

Varsha(Groan): Ughhh!

“Varsha?”

Varsha ki awaz sun ker uske paas he kursi per baitha soo raha Ankush uth gaya, Usko hosh me ate daikh ker Ankush uske paas ho gaya, Varsha ko bhi ab ek saath uski behoshi se pehle huwe sab drishya dobara yaad ane lage.

Varsha: Ankush, Beatrice? Main kab se behosh thi?

Varsha ke savalon ko sun ker Ankush ne uska haath pakad liya, Varsha abhi buri tarha se kaanp rahi thi.

Ankush: Kal se unconscious ho tum! Hum ne...Hum ne Beatrice ko yanhi ek cemetery me dafana diya hai, Uski body ko ab zyada samay ke liye rakhna theek nahi tha.

Varsha ki dhadkane ek pal ke liye tham si gayi, Beatrice ko usne hamesha ke liye kho diya tha.

Varsha: Suhani kanha hai? Aur Veer aur Aakash ki kya halat hai?

Ankush: Aarav ne kya kiya ye mujhe ab tak pata nahi laga! Lekin bacho ki condition ab bohat behtar hai, Unke test kiye hai aur ye pehli baar huwa hai ke unke sab results normal aye hai...Unhe abhi white room me sulaya gaya hai, Aakash aur Veer Aarav se milna chahate the, Lekin unhe samjha diya hai.

Varsha uski baat sun ker aise he chup ker ke baith gayi, Ankush bhi usko sambhalne ka time de raha tha, Varsha kuch der baad uth gayi aur apna coat pehan liya.

Ankush: Kya huwa? Kidhar jaane ki taiyari?

Varsha: Kanha ja sakti hu! Apne bacho ke paas ja rahi hu, Apne ghar!

Ankush(: Seriously!? Abhi bhi usko ghar keh rahi ho? Varsha tumhe lagta hai ke wo insaan abhi bhi tumhe andar ane de ga?

Varsha: I don't care, Lekin main yahan per baithi nahi reh sakti! Mujhe mere bacho ke paas hona chahiye hai.

Ankush(Sigh): Huh, Fine! Lekin raat bohat ho gayi hai, Main bhi saath chalta hu.

Varsha(Nod): Okay!

Ankush bhi uske saath chal diya aur dono kamre se baahir aa gye, Varsha ne ek baar teeno bacho ko daikha to sab soo rahe the aur phir dono baahir aa gye, Ankush ki Car me baith ker dono Avinash ke ghar ki taraf chal diye.

*Screeeech*

Ankush ne ghar ke baahir car ko roka aur dono car se utar ker ghar ki taraf chalne lage, Raat ke 2 baj rahe the lagbhag sabhi gharon ki battiyan band ho gayi thi.

*Knock-Knock*

Varsha ne ghar ke darwaze per dastak di aur dono khade ho ker darwaza khulne ka intezar karne lage kuch der baad darwaza khula aur unke saamne Avinash khada huwa tha.

Unko daikh ker Avinash bina kuch bhi kahe darwaze ko khula chhod ker andar chala gaya, Varsha andar jaane lagi to Ankush bhi uske saath andar aa gaya.

Varsha: Kanha?

Ankush: 10 Minute yahan baith ker chala jaunga! Aise tumhe akeli nahi chhodunga.

Varsha: *Nod*

Varsha aur Ankush dono he ghar ke andar hall me aa gye, Varsha Ankush ko udhar baitha ker jaane lagi, Lekin kuch daikh ker uske kadam tham gye.

Uske saamne deewar per Bharat ki tasveer tangi huwi thi aur usper haar chadhayan huwa tha, Usko daikh Varsha bilkul chaunk gayi.

“3 Din pehle tumhare uncle ka dehant ho gaya tha”

Varsha ke peeche khadi Lakshmi ne kaha to Varsha ghoom gayi, Lakshmi ne white saree pehni huwi thi, Usko daikh ker lag raha tha ke usne kitne dinon se kuch bhi nahi khaya tha.

Varsha: Aunty?.... I'm sorry, M-Mujhe pata he nahi tha.

Lakshmi: Avinash ne tumhe aur bacho ko dhoodhne ki koshish ki thi! Lekin usko tum teeno mile he nahi, Kal Aarav ki Qi ko usne feel kiya to ghar se bhaagte huwe chala gaya tha.

Lakshmi ki baat sun ker Varsha ne yaad kiya to kal Avinash bhi white suit he pehne huwa tha, Varsha ko ab khud ki kahi huwi baato per gussa aa raha tha, Avinash ne uske baap ko khoya tha aur kal usne apne bache ko bhi lagbhag kho he diya tha.

Varsha: Sorry, Aunty...! Ap- Gussa ho kya?

Lakshmi: Main gussa kyu hone lagi? Ye tumhari aur Avinash ke beech ki baat hai... Lekin haan main nirash zaroor huwi thi sab kuch sun ker, Kabhi socha nahi tha ke har din mere kaam me jigyasa dikhane wali ek ladki uska ye arth nikale gi aur khud ke he bacho ki jaan sankat me daal de gi.

Varsha ke paas ab kehne ke liye kuch bhi nahi tha, Lakshmi ne bhi usko aur kuch bhi nahi kaha aur Ankush ke saamne kursi per baith gayi, Varsha udhar he khadi rahi aur kuch samay ke baad Avinash apne haatho me Aarav aur Urvi ko uthaye aa gaya.

Aarav aur Urvi dono he abhi gehri neend me the, Avinash ne unko Lakshmi ke paas laita diya aur khud bhi uske saath he baith gaya, Varsha bhi ek kursi per uske saamne baith gayi.

Varsha: Avinash, Aunty ne abhi uncle ke baare me bataya!... I'm sorry, Mujhe kal kuch-

Avinash: Papa ko kuch bhi hone se tumhe kuch farak bhi padhta hai kya? Ye pata hote huwe bhi ke unki kya halat hai tum ne to apna he swarth daikha na?...Ek baar main ne tumhe maaf karne ki galti ker di hai ab dobara nahi ker sakta.

Avinash ne kehte huwe ek baar Varsha ki taraf daikha bhi nahi, Varsha samajh gayi ke usko ab uski taraf daikhne se bhi ghin aa rahi thi.

Varsha: Ab kya chahate ho?

Avinash(Sigh): Mnemosyne's Gaze!

Naam sunte he Varsha ki aankhe hairat se khul gayi, Ye Lakshmi ki he banayi gayi ek forbidden art thi, Ye hypnosis ki tarha ki he thi, Lekin ye Art usko directly kisi ki yaadon me parvesh karne aur badlav karne me madad karti thi.

Lekin Lakshmi ke khud banane per bhi ye uske liye Use karni easy nahi thi, Usko bhi ye Art ke prayog ke liye support ki zaroorat hoti thi aur uske paas abhi Avinash ek support ke roop me tha.

Varsha: Aunty, ap kya bacho ki yaadein badalna chahte ho?

Avinash: Haan, Bacho ke liye tum sirf ek buri Maa ban jaogi! Unko tumhare wajood se bhi nafrat ho jaye gi aur wo tumhe kabhi daikhna bhi nahi chahe gye, Uske baad tum yahan se ja sakti ho aur kabhi bhi laut ker na ana.

Ankush: Avinash ye kuch zyada ho rah-

Avinash: Beech me bolne ki koshish bhi na karna! Agli baar tumhari kalai nahi gardan ho gi.

Avinash ne uski baat ke beech me he usko dhamki dete huwe kaha, Ankush ko gussa to aya, Lekin usne gussa pee liya aur chup ker ke baith gaya.

Varsha: Aur agar main ye na karu to phir kya karo gye?

Avinash(Sigh): Huh, Phir mere paas aur koi raasta nahi ho ga! Main Avinash Arya, Clan ka Leader ye kasam khata hu ke agli baar tum mere bacho ke kareeb dikhayi bhi di to tumhare baap ke aakhiri shabdon ko pura karte huwe tumhara sar dhar se alag ker dunga.

*Clang*

Avinash ne kehte huwe he clan leader ki sword ko unsheath karte huwe aage rakh diya, Varsha aur Ankush ki saanse thamne ko ho gayi.

Varsha sirf Avinash ki taraf daikhti he reh gayi, Lekin Avinash ne usko ek baar daikha bhi nahi aur baitha raha, Usko daikh ker lag raha tha ke wo sach me sar kaatne se pehle soche ga bhi nahi.

Varsha ne ek baar Lakshmi ki taraf umeed bhari nazron se daikha, Lekin Lakshmi ne bhi uski taraf daikha bhi nahi.

Avinash: Tumhare paas zyada samay nahi hai! Tumhe abhi nirnay lena ho ga.

Varsha ne ek baar dobara un dono ki taraf daikha, Lekin dono he ab badalne ke liye taiyar nahi the, Ye daikh ker Varsha ke aansu chhalak pade, Uske paas sach me aur koi raasta nahi tha.

Varsha(Nod): Jaisa tumhe sahi lage! Lekin kya kabhi kabh-

Avinash: Ek baar bhi nahi! Unko tumhara chehara dobara dikhna bhi nahi chahiye.

Varsha bilkul bebas ho gayi thi, Uski nazar uske bacho per chali gayi, Unki wo aakhiri tasveer ko kaid ker lena chahti thi, Avinash bhi baitha intezar karta raha aur aakhir me Ankush ko he Varsha ko uthana per gaya.

Varsha apna sar jhukaye baahir ki taraf chal di, Usne khud he apne ghar ko kho diya tha, Uske dil me ek he chah thi ke ek baar dobara Avinash usko rok de aur kuch aur saza de de.

Lekin usko bhi andaza tha ke Avinash ab dobara vishwas nahi kare ga aur Ankush ke saath baahir chali gayi, Ankush ne uske liye car ka darwaza khola aur Varsha car me baith gayi.

Uske sabar ka bandh toot gaya aur wo car me baith ker rone lagi, Usne sab kuch he kho diya tha, Uska ghar uske bache aur Beatrice sab kuch he cheen liye gye the usse.

“Aur uss raat ke baad me ne tum dono ko kabhi bhi nahi daikha”

Car ke baahir Aarav aur Varsha parchhai ke roop me khade huwe the, Aarav ne uske brain se direct connection banaya tha to Varsha bhi uske saath thi.

Varsha: [Uske baad Avinash ne tumhe kya yaadein di mujhe nahi pata! Lekin wo sab sach nahi thi, Aarav tumhe pura sach nahi bataya gaya, Ye sirf Forged memories hai.]

Aarav(Scoff): [Aur ap ko aisa kyu laga ke aisi reality se bhu buri memories forge ho sakti hai? Meri Maa ne mujhe he maarne ki koshish ki aur wo bhi ek baar nahi do baar? Usse buri chhavi aur kya ban sakti hai ap ki?]

Aarav ki baate sun ker Varsha chaunk bhi gayi aur uske paas kehne ke liye bhi kuch nahi bacha, Aarav ki har baat sach thi.

Aarav: [Ap ko pata hai ap se pehle main ne ye sab kuch Dad ke nazariye se daikha tha!? Kya ap daikhna chaho gi?]

Aarav un memories ki baat ker raha tha jo usne Avinash ko devour karne ke baad daikhi thi, Varsha uski baat sun ker hairaan huwi aur usne sirf nod ker diya.

Aarav ne haath uthaya to unke saamne ka drishya badlne lage, Ab Aarav Avinash ki memories dikha raha tha, Varsha ne apne saamne daikha to usko sirf andhera dikhayi diya.

Varsha: [Ye kya hai?]

*Groan*

Abhi Varsha ne Aarav se pucha he tha ke usko ek taraf se kisi ke karahne ki awaz sunayi di, Varsha ne udhar daikha to usko Avinash khada dikhayi diya, Usne kuch pakada huwa tha.

Aarav: [Hairan ho gayi kya? Kuch andaza hai kya ke ya kya ho sakta hai?]

Varsha ke muh se ek shabd bhi baahir nahi aya, Usko pata lag gaya tha ke Avinash ne kya pakada huwa hai, Uske haath me abhi Beatrice ki soul thi, Jisko wo kanhi se khinch ker baahir nikal raha tha.

Varsha ne andar jhankana chaha to wo aur bhi hairan ho gayi, Uske saamne tha to sirf andhera he, Lekin wo usko mehsoos bhi ker sakti thi aur khud ko khinchate huwe mehsoos bhi ker sakti thi.

Varsha: [Ye kya hai?]

Aarav:
[Limitless Growth]

*Clap*

Aarav ke clap karte he Varsha ko Avinash ki nazar se dikhayi dene laga, Avinash ke saamne ek badi deewar thi aur deewar ke beech me ek chhed bana huwa tha.

Aarav: [Ye meri real potential hai! Limitless Growth, Lekin usko unlock karne ke liye ye deewar mujhe khud se todne ki zaroorat thi, Kyu ke agar main deewar ke dusri taraf ki growth ko control nahi ker sakta tha to wo mujhe control karne wali thi]

Varsha ke paas kehne ke liye shabd nahi the, Usko andar baaki sab souls dikhayi to de rahi thi, Lekin wo samundar me kuch bundon ke barabar bhi nahi thi.

Aarav: [Isko Unlock karne ke liye abhi bhi bohat samay tha! Lekin kisi ko laga ke kisi newborn baby ki soul ko transfer kiya jaye aur usko karte huwe ye chhed ban gaya]

Varsha ko aage ka kuch sochne ke liye aur sunane ki zaroorat nahi thi, Phir Aarav ki ye growth uske aur bhi souls ko devour karne se trigger ho gayi thi aur usko ab bhadne ke liye aur bhi energy chahiye thi.

Aarav: [Aur tab Dad ne dobara ek mushkil nirnay liya! Agar chhed band na kiya jata to baahir sab growth ke liye sirf ek energy ban ker reh jaate, Sab ko bachane ke liye Dad ne usko khatam ker diya]

Avinash ne Beatrice ki Soul ko haatho me he nasht ker diya aur uske baad chhed ko seal karne laga, Avinash ke liye wo nirnay kitna mushkil tha ye uski unstable energy se pata lag sakta tha.

Varsha: [Usne bataya kyu nahi?]

Aarav(Sigh): [Huh, Ap ne kaha ke unhone sach chupaya tha, Right? Ab ap ko batata hu ap ke ghinone sach ko chupa ker unhone hamay kya bataya]

Aarav ne dobara saamne ka drishya badal diya, Ab unke saamne dobara ussi raat ki memories thi, Lekin ye Avinash ki memory thi Varsha ke jaane ke baad ki.

Laskhmi: Avi...?

Lakshmi uth ker Avinash ke paas chali gayi aur usko gale se laga liya, Maa ki bahon me ate he Avinash ke aansu ruk nahi sake aur uske agosh me chehara chupaye wo rone laga.

Avinash in aansuon ko kab se roka huwa tha, Lakshmi ne bhi usko khul ker roo lene diya, Avinash bohat der aise he baitha rota raha aur aakhir shaant ho gaya, Lakshmi uske saamne baith gayi.

Lakshmi: Kya ho gaya tha? Itne aansuon ko chupa ker baitha huwa tha?

Avinash(Sniff): Aise he Kuch soch raha tha!...Usne kya he galat kaha tha? Aakhir ek rakshas he to hu na main? Sab se pehle apne logo ko he apne haatho se maara aur phir ek bachi ko bhi apne haatho se khatam ker diya!? Rakshas he to huwa na?

Lakshmi(Tearful): Aisa kyu bolta hai? Sab kuch tu ne dusron ke liye kiya tha, Lekin bojh uthane ke samay per tu akela kyu ho jata hai?

Lakshmi ne uska chehra thaamte huwe kaha usko sirf apne bete per taras he ata tha, Usne kabhi uske jaisa saaf dil insaan nahi daikha to aur sab dukh bhi uski kismat me he likh diye gye the.

Lakshmi: Ab sach sach bata! Kya sach me tu bacho ki memories me badlav karna chahta hai?

Avinash(Nod): Haan, Lekin unko Varsha ki buri memories nahi deni!...Ab ki baar ap ko mujhe bura banan ho ga.

Lakshmi(Frowns): Avi? Aisa kyu karna chahata hai?

Avinash(Sigh): Huh, Ap ko bataya tha na ke Aarav ki Limits ko seal kiya hai!? Lekin usko seal karna bohat mushkil tha, Meri banayi har seal ko he wo devour ker raha tha aur ant me....ant me mujhe khud ke core se ek seal banani per gayi.

Lakshmi: Huh? Kya matlab?

Avinash: Main uske chhed ko band to nahi ker sakta tha! Lekin main ne usko ab direct ker diya hai, Ab wo kisi ki bhi energy ko aise he nahi khinche ga, Usko ab sirf meri Qi chahiye ho gi, Aarav ke kareeb hone per wo khud he meri Qi khinchne lagta hai.

Lakshmi ne aisa kuch padha huwa tha, Ye karne se Avinash ne Aarav ko stable to ker diya tha, Lekin ab Aarav ke paas ane se uski Qi khinchne lagti thi aur agar uska pura core khali ho jata to Avinash ko bhi khatra tha.

Avinash: Ab bacchon se dur rehne ke liye kuch bahana to chahiye hai na? Agar ek bura baap ban gaya to bahanon ki zaroorat he nahi ho gi na?

Avinash keh to ye muskurate huwe raha tha, Lekin uski muskurahat ke peeche ka dard abhi Lakshmi daikh chuki thi, Usne sirf apne bete ke sar per haath rakh diya.

Avinash: Bacho ko ye bataye ke main ne unki Maa ko tadpaya aur zulm kiya hai! Aur Aakhir me mujhse tang aa ker usne dam tod diya tha.

Lakshmi: Maa ko maar kyu raha hai? Rok kyu nahi raha? Baap nahi to ek Maa to ho gi na?

Avinash: Ek baar bharosa ker ke daikh liya hai! Ab bacho ko dobara uske paas akela nahi chhodunga, Acha hai ke unhe lage ke unki Maa mar gayi hai.

****
Sayani Mansion
France ~ 12:24 AM

“Enough!”

Suhani ne Aarav ko dhaka dete huwe Varsha se alag ker diya, Suhani Aarav ko khoon pee jaane wali nazron se daikh rahi thi, Usne Varsha ko khud ke saath lagaya huwa tha.

Varsha bilkul sadme ki halat me Suhani ke saath lagi roo rahi thi, Varsha yahan khud ko Aarav ki nazron me sahi sabit karne ayi thi, Lekin yahan wo khud ki nazron me he galat sabit ho gayi thi.

Aakash ek taraf khamoshi se baith ker sab kuch observe ker raha tha, Barbie bhi uske saath khada huwa tha, Aarav ki taraf daikh ker usko andaza ho gaya tha ke Aarav ko ab sab kuch pata lag gaya hai.

Varsha: Aarav, Bache!

Varsha uth ker khadi ho gayi aur Aarav ki taraf badhne lagi, Ye daikh ker Suhani ko gussa aya, Lekin usne muh fer liya aur khadi ho gayi.

Varsha Aarav ke saamne aa ker khadi ho gayi, Lekin ab ki baar uski Aankhon me wo aatmavishwas nahi tha, Varsha andar se toot gayi thi, Usne Aarav ke saamne haath jod liye.

Varsha(Tearful): Aarav, Apni Maa ko maaf ker de! Bohat badi bhool ho gayi, Kab main khud ko ahankar me pagal ho gayi mujhe pata he nahi laga *Sob* Apni Maa ko maaf ker de.

Aarav ne Varsha ke haatho ko pakad ker neeche ker diya, Ye daikh Varsh uske haatho ko thaamne lagi, Lekin Aarav ne haath kheench liye.

Aarav(Scoff): Corpse, The Kid Who Was Supposed to Die, Right? Ap ko ek aur baat bataun kya? That kid really did die that day...The person you see in front of you isn’t your kid anymore....Murdon ko dobara zinda karne ki koshish na kariye, Sirf mayusi he ho gi.

Aarav ne Varsha ko dutkarte huwe dhakel diya, Varsha sirf usko hairani se daikhti he reh gayi, Aarav ki ye harkat daikh ker Suhani ke sabar ka band toot gaya.

Suhani(Furious): Aarav, Ab bohat ho gay-

Aarav: Kneel!

[Alpha Presence Activated]

Aarav ki ek nazar per Suhani uske ghutnon per aa gayi, Usko aise daikh ker Aakash ko hansi aa gayi, Usne usko bataya bhi tha ke Aarav kitna strong hai, Lekin ab usne khud mehsoos bhi ker liya tha.

Aarav: Just get out of my sight! Before I do something I'll regret later.

Aarav ki baat sunte he Aakash ne Barbie ko ishara ker diya, Barbie nod karte huwe Varsha aur Suhani ko baahir le gaya, Unke nikalte he Aarav table pakad ker khada ho gaya.

Ab tak to wo khud ko sambhale huwa tha, Lekin uske bhi emotions unstable ho gaye the, Varsha uski Maa thi, Uske saamne hone se wo bilkul unfazed nahi reh sakta tha.

Aakash: Andar dum ghutne laga hai! Kya kehte ho, Fresh air ke liye terrace chalo gye kya?

Aarav(Sweating): *Nod*

Aakash usko saath le ker Terrace per aa gaya, Aakash ne ek cigar ko nikal liya aur usko jalane laga, Aarav terrace se neeche daikhne laga, Usko Barbie neeche Varsha aur Suhani ko car me baithate huwe dikh gaya.

Aarav unki car ko mansion se nikalte tak daikhta raha, Unke baahir jaate he Aarav udhar baith gaya, Aakash uske paas chup ker ke khada raha.

Aarav: Aakash, Tum ne mere liye itna sab kuch kyu kiya?

Aakash: Mujhe laga ke tumhe ab tak pata lag gaya ho ga!?

Aarav(Scoff): Kya ye soch ker tum ne sab kuch kiya ke main tumhara bhai hu? Agar aisa hai to uski zaroorat nahi thi, Tumhare bhai ki soul ko main devour to kiya ho ga, Lekin sirf ek energy ke roop me, Main bhai nahi hu tumhara.

Aakash(Smile): *Nod* Haan, I know ke tum Sagar nahi ho! Huh...Aarav tumhe pata hai main sagar ko nafrat karta tha? Hamesha se mujhe lagta tha ke uske kaaran he main ajeeb hu...Lekin wo bechara to mujhe he bachate huwe mara tha, Mere liye mujhse zyada dukhi wo tha, Wo mujhse alag bhi nahi ho sakta tha...Lekin phir tum aye aur sab kuch badal gaya...Aarav Arya, Ya kahu ke spiderman *Laugh*

Aakash un palon ko yaad ke muskurane laga, Usko daikh ker Aarav mehsoos ker sakta tha ke Aakash sach me khush tha.

Aakash: Aarav tum mere aur Veer ke sab se pehle friend the! Haan, Tum hamare bhai nahi the, Lekin agar wo sach me hamare saamne hote to bilkul tumhari tarha ke he hote, Ye he kaaran hai ke unki soul ko devour karne ke baad hum tumhe he bhai kehne lage...Unhone hamay ye zindgi di thi aur tum ne hamay zindgi jeene ka mauka diya tha, Hum baakiyo ki tarah baahir nikal sakte the aur aj hum jo kuch bhi hai tumhare kaaran he hai, Agar hamay tumhari khatir marna he kyu per jaye hum taiyar hai.

Aarav(Sigh): Huh, Whatever! Lekin mujhse kuch bhi expect na karna ke main tumhara bhai banu ga.

Aarav itne emotions ko daikh ker sach me tang aa gaya tha, Usko daikh ker Aakash sirf muskura diya aur cigar ka anand lene laga.

“Master”

Aarav ko bulate huwe Tinkerbell baahir aa gayi-

Aarav: [Kya ho gaya?]

Tinkerbell: [Ap ka reward kuch minutes ke baad ap claim ker sakte ho! Ap ke liye ek surprise bhi hai, Ya kaho ke bonus hai]

Aarav: [Really!? Huh, Aur dusre kaam ka kya huwa?]

Tinkerbell: [Haan, Main ne error ke liye bhi check kiya tha, Lekin kuch bhi error nahi tha, Urvi per sach me dot nahi tha]

Aarav: [Huh, Lekin ye kaise ho sakta hai?]

Aarav ke saval per Tinkerbell ne bhi haath khade ker diya ke usko kuch bhi idea nahi hai.

Aarav: Aakash....Urvi ke baare me batao gye kya? Main ne Urvi ko khud m-.... marte huwe daikha tha, Phir wo yahan aur zinda kaise hai?

Aakash: Soch he raha tha ke ab tak tum ne pucha kyu nahi! Huh, Uske baare me main bhi kuch bhi khaas nahi janta, Urvi ki body ko Suhani ne claim kiya tha, Usko ek tumhara friend wanha le gaya tha, Unhe bhi Urvi ki dead body he mili thi, Lekin kab raaste me Urvi ki saanse dobara chalne lagi unhe bhi pata nahi hai.

Aarav ko bhi ache se yaad tha ke usne Urvi ki heartbeat ko rukte huwe suna tha, Usko ab bhi pura drishya kisi bure sapne ki tarha yaad tha, Usko Urvi ke zinda hone ki khushi to thi.

Lekin wo hairan huwe bina nahi reh sakta tha, Agar Varsha ne bhi kuch nahi kiya tha to huwa kya tha.

“Uske shareer ko main ne zinda kiya tha”

[You have entered the Domain of the Monarch]

[Prepare for potential encounter with powerful foe]

Aarav terrace se ek empty white space me aa gaya tha, Aarav ne sword ko nikal liya aur ladne ke liye taiyar ho gaya.

*Clanggggggg*

Ek attack ek side se aya aur Aarav mushkil se khud ko defend ker saka, Sirf ek attack ne uska balance bigad diya tha, Earth per ane ke baad usne aisa attack ye dusri baar feel kiya tha, Pehla usne Tarun ka aisa attack feel kiya tha.

“hohoho! Not bad, Young man”

Aarav ko uske side se awaaz ayi to wo uss taraf ghoom gaya, Uske saamne ek vyakti khada huwa tha, Lekin uske kapade bilkul sadharan the aur uske haath me ek purani E rank iron sword pakadi huwi thi aur chehre per ek mask pehna huwa tha.

122175872722ddc8165976c1bf6142dd.jpg

[Check]

[Target is too powerful!⚠️]

[Player cannot check his status]

Aarav: Huh?

[Access Granted!]

[The target has allowed you to check his status]

Vyakti ne Aarav ki taraf daikhte huwe usko check karne ka mauka de diya, Ye daikh ker Aarav ko aur bhi gussa aa raha tha.

[Check]

[
Name: Aarav Arya
Job: Soul Monarch]

Aarav(Shocked): What the fuck?
.
.
.
.
.
.
.
.

[Aj ke liye itna he, Aur yahan huwa history unfold ka ant, Khush to bohat ho gye aur action bhi aa gaya :D Umeed karta hu ke ap ko ye update bhi pasand aya ho ga, Target hamara wohi hai 120 Likes ke liye, Milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Thriller
 
S M H R

Active Member
608
1,418

Just brilliant writing✍️
 
Sushil@10

Member
322
270
63
UPDATE 22
(BEYOND THE HORIZON)

Darkvale Forest ~
84 Hours 32 Minutes Remaining

*Sshhhrrrr*

Aarav Khali ankho ke saath kadam aage barhata ja raha tha, Uss ke haath se Ki Blade neeche zameen se lagte huwe uss phaarte huwe aage barh rahi thi, Aarav ki nazre Kabhi Yoo-Jung to kabhi Shadow ke kate huwe sar ki taraf jaati.

Aarav ne apni nazre upar karte huwe apne saamne khare Orc King ki taraf daikha, Orc King chehre per ek ghinoni muskan liye Aarav ko daikh raha tha, Aarav ki ankho me gussa bharne laga.

[Alpha Authority Activated]

[Unique Ability (Will to live) Activated]

[Beast Transformation (Wolf Claws)]

Aarav ne kehar bhari nazro se Orc King ki taraf daikha, Orc King ke chehre aur bhi khusi aa gayi jaise wo Aarav ki halat Enjoy ker raha ho, Aarav ne raftaar pakri aur aage barhte huwe chalaang maari aur hawa me apni blade ko rotation dete huwe.

[Deathly Slash]

Aarav ne pehla vaar he Deathly Slash ka kia jaise wo Orc King ki ghinoni muskan ko ek bhi aur pal nahi daikhna chahta tha, Aarav ko khud ehsaas na huwa lekin uss ke Deathly Slash ne neeche Ground per ek cut bana dia.

Aarav ne neeche kadam rakhte he saamne daikha, Lekin Orc King wahan tha he nahi Aarav ne ghoomte huwe peeche Slash mara to Zameen se ek Blood spike baahir aa gayi, Aarav ne uchalte huwe apne haatho per Balance ker khud ko peeche ghaseet lia.

*Grooowwwwrrrrr*

Aarav ka gussa barhne laga, Uss ki Ki Blade roop badal ker Claws ke saath dalne lagi, Aarav tezi se aage barha aur ek ke baad ek Vaar karne laga, Orc King ki raftaar bhi barhne lagi aur wo Aarav ke har Attack ko dodge karne laga.

Orc King ne Aarav per Vaar karna chaha to Aarav hawa me uchal gaya, Uss ki ankhe Neele rang se laal me badalne lagi, Aarav ne apna haath aage barhaya to uss ke haath me Ki energy ikathi hone lagi, Inner Ki kisi Ball ke roop me Aarav ke haath me Rotate karne lagi.

Aarav: Arrrggghhhhh!

Aarav haath neeche karte huwe neeche Orc Ki ki taraf jaane laga, Aarav hava me jaise Levitate ker raha tha uss pal, Aarav ka haath Orc King ko lagne he wala tha.

*Pssshhhhh*

Aarav ki kalayi me tez jalan huwi aur Inner Ki ki bani wo ball nasht ho gayi, Aarav zameen per ja gira uss ki ankhe dobara waapis normal hone lagi, Aarav ka sar bhaari hone laga.

Aarav: Ye kia huwa? Or-

*Pch*

Aarav kuch aur bolta ke uss ke chehre oer kuch aa gaya, Aarav ne dhayan se daikh to wo Slime thi, Aarav waapis baitha aur chaaro taraf daikhne laga, Wahan koi bhi Orc ya Orc King nahi tha.

Aarav: Kahan gye wo sab? Abhi to yanhi the! Kuc-

Aarav ne saamne daikha to Vansh aur Yoo-Jung dono bilkul sahi the, Dono ke chehro per khoof tha, Jahan Vansh hava me ghabraye huwe Spear ghoomaye ja raha tha.

Wanhi Yoo-Jung ek jagha baithi dar se kaanp rahi thi, Yoo-Jung ki ankho me ansoo the wo khari bhi nahi ho paa rahi thi.

765eebaf39a1dc6d77141dfe4fce55a7.gif

Aarav: Ye sab kia ho raha hai? Was it just in my mind?

Aarav ne khud se sawal kia, Uski awaz me shanka aur Ashcharya dono ka ehsaas tha, Wo samajhne ki koshis ker raha tha ke jo drishya uss ne kuch pal pehle daikha wo sach tha ya sirf uss ki kalpana, aur phir jaise usse kuch yaad aya to wo apne saath latke uss bag ko khol uss me wo kitaab dhondne laga.

Bag me rakhna to Easy tha, Lekin uss ko Dhoondne me kuch waqt lagta tha, Kitaab milte he Aarav ne uss ko khool panne palatne laga, Kuch pal me he Aarav ko wo page mil gaya jis ko wo dhoondh raha tha.

[The Illusion Mist is a creature that uses mist to create illusions from a distance. When someone breathes in the mist, they start seeing these illusions. If the person gets hurt outside of the illusion, it breaks the spell. However, they must avoid inhaling the mist again, or they can get trapped in the illusions once more.]

Slime Aarav ka chehra iss liye dhake huwe thi ke wo dobara Illusion Mist me saans na le, Aarav ke paas aisi situation se bachne ka raasta tha, Inner Ki ko saanse lene ke raaste me balance karte huwe ek filter bana lia Aarav ne, Filter se hava me chupe sabhi poison sirf purify ho ker Body me ja sakte the.

Aarav: Ab tum mere chehre se hat sakte ho!

Slime Aarav ki baat maante huwe neeche utar gaya, Aarav ne gehra saans bhara lekin usse kuch bhi na huwa, Aarav ne muskurate huwe Slime ko thap thapate huwe usse uss ke kaam ke liye shabashi di.

(◍•ᴗ•◍)✧*。

Aarav waapis khara huwa, Uss ne apne kareeb daikha, Uss ki banayi Ki Ball beech me nasht to ho gayi thi, Lekin uss ke Impact se wahan ek bara gadha ban chuka tha, Aarav ko khud samajh na ayi ke uss ne ye kaise kia tha, Uss pal jaise Aarav khud ki body se control kho raha tha.

Aarav: Akhir kitni takatwar thi wo Ki Ball? Zameen ko chhue bina he itna bara gadha wo bhi in pathro per jis ko Slime bhi pighla na payi!

Aarav ne abhi ke liye un khayalo ko mann se nikala aur apne saathiyo ko bachane chala gaya, Aarav ne Vansh se pehle Yoo-Jung ko Illusion se nikalna sahi samjha, Wo Vansh ko Yoo-Jung ki ye halat nahi dikhana chahta tha.

Aarav Yoo-Jung ke paas gaya ti wo ghabrate huwe khud ko peeche ghaseetne lagi, Yoo-Jung Aarav se bhi dar rahi thi lekin Aarav ko ab pata tha ke wo Aarav se nahi jis ko wo Aarav ki jagha daikh rahi thi uss se dar rahi thi.

Aarav ne apne tez kadmo aur Movement ko Use karte huwe Yoo-Jung ke peeche ja ker uss ka pakar lia, Yoo-Jung Chutne ki koshis karne lagi per Uss me abhi wo pehle wali strength nahi thi, Aarav ne apne haath Yoo-Jung ke Gulabi honto per rakhte aur Yoo-Jung ko khud se chipka lia, Apna chehra Yoo-Jung ke kandhe per le jaate huwe apne daanto ko Yoo-Jung ki makmali tawacha per gaar diye.

*Aghhh, Uhmmmm*

Yoo-Jung ke muh se awaz nikli, Lekin wo dard se cheekhne se zada Moan zada lag rahi thi, Yoo-Jung se zada Aarav ghabra gaya, Uss ne to ye Yoo-Jung ko bachane ke liye kia tha lekin uss Pahari larke ko kia pata tha ke ye kitna galat dikh raha hai.

Lekin ab Aarav ne ye ker he dia tha to wo ruka nahi aur daant se aur bhi kaatne laga, Yoo-Jung ki pakar Aarav ke haatho per kasne lagi aur uss ka dar khatam hote huwe wo hosh me aa gayi, Aarav ne apna chehra peeche kia aur Yoo-Jung ke muh aur naak per haath rakhe baitha raha.

Aarav: Tum hava me saane nahi le sakti! Mujhe nahi pata tum ne kia daikha, Lekin wo jo bhi tha wo sirf ek Illusion tha, Hume tumhare liye koi mask chahiye per mere paas mask nahi hai.

Yoo-Jung ne kuch pal chaaro taraf nazre ghoomayi, Usse Aarav ki baat per vishwas ho gya ke wo sahi keh raha hai, Yoo-Jung ne angoothe se Good ka ishara kia to Aarav apna haath uss ke chehre aur kamar se hatate huwe khara ho gya.

Aarav ab jab dobara Yoo-Jung ki taraf daikh raha tha to Situation Awkward ho gayi uss ke liye, Ab tak pehli baar Aarav mekisi larki ko aise Moan karte suna tha.

Aarav (Awkwardly): H-Hum mask dhoond-

Yoo-Jung: Uss ki zaroorat nahi hai! Main hava me chupe toxic se bach sakti hu, Pehle sirf meri Laparwahi ki wajha se main Illusion me phans gayi thi, Hamare liye abhi uss Mist Monster ko dhoodna zaroori hai, Mist me aur bhi koi Toxic ho sakta hai jo hume Harm ker sakta hai.

Aarav: Right! Lekin hum usse dhoonde gye kaise? Wo kanhi bhi ho sakta hai!

Yoo-Jung (Sigh): Huh! Mujhe laga tha tum ab tak Figure out ker chuke ho gye.

Aarav: Kia?

Yoo-Jung: Tumhe kis lagta hai? Dzanum se larte waqt mujhe kaise pata chal gaya ke tum wahan ho?

Ab jab Aarav dobara soch raha tha to sach me Yoo-Jung ne bina daikhe he Aarav ko pukar lia tha, Jahan Aarav tha wahan Yoo-Jung ko dikhna possible he nahi tha.

Aarav: Kaise?

Yoo-Jung: Mujhe last Quest ki MVP Banne per ek new Ability mili thi! Holoscan, Main apne around 50 Meter tak Area ko Scan ker sakti hu, Bilkul kisi Radar ki tarha, Sab kuch to nahi dikhta lekin agar mujhe pata hai ke main kia dhoond rahi hu aur wo 50 meter ke Radius ke andar hai to main uss ki location detect ker sakti hu.

Ye ability Aarav ki sense ki tarha ki thi, Lekin Aarav aise detect nahi ker sakta tha, Jahan Holoscan zada specifically mosnter ki location pin ker sakti thi.

Aarav: Vansh ko bhi uss waqt ais-

Yoo-Jung: Nahi! Vansh chutiya hai, Uss ke chehre se uss ki tharak jhalak rahi thi, Mujhe Holoscan ki bhi zaroorat nahi thi!

Aarav apna sar pakar khara ho gya, Sach me Vansh ek chutiya tha, Upar se Yoo-Jung ek pal ke liye bhi nahi jhijhki kuch kehne se pehle, Aarav shayad pehli curse word sun raha tha kisi larki ke muh se, Aarav ne dobara apne sar se ye baate nikali aur jo zaroori hai uss per dhayan dene laga.

*Ahhhhh*

Vansh apna spear liye bhaagte huwe un ki taraf aya, Yoo-Jung bina kisi effort ke uss ke side per gayi aur Vansh ko pakarte huwe kisi Wrestler ki tarha Chokeslam dete huwe zameen per patak dia, Vansh wanhi neeche Unconscious ho ker gir gaya.

Yoo-Jung: Ab hamare liye zada easy rahe ga! Shuru karte hai phir.

Yoo-Jung dikhne me kisi Pari ki tarha ki thi, Lekin uss ke move kisi Demon se kam khatarnak nahi the, Beauty with Brain to tha he lekin Yoo-Jung ke liye Demon lagana galat nahi tha.

Aarav (whisper): Shayad mujhe wo moan wali baat kabhi pata nahi lagne deni chaiye iss ko!

Yoo-Jung: What?

Aarav: Kuch bhi nahi! Tum shuru karo.

Yoo-Jung ne apna dhayan saamne kia aur hava me he Ungliya chalane lagi, Matlab uss ke saamne uss ki System window open thi.

Yoo-Jung: Mil gaya hume hamara mujrim!

****

Darkvale Forest ~
83 Hours 27 Minutes Remaining

*Gasping*

Daisuke ki saanse bhaari ho chuki thi, Wo Pichle ghante se apne pratidwand ko harane ki koshish ker raha tha, Lekin Daisuke ki kanhi se bhi jeet hoti dikh nahi rahi thi, Daisuke ne apne dusri taraf daikha to wahan Pathro ke neeche Isabelle dabi huwi thi.

Daisuke (Annoyed): Akhir chahte kia ho tum? Yahan aa kaise gye tum?

Daisuke ko uljhan hone lagi thi, Lekin Dusri taraf se koi bhi jawab na aya, Daisuke ne dobara apni swords uthayi aur apne pratidwandi ki taraf tezi se bhaagne laga, Paas jate he Daisuke ne apni Sword ko ghoomate huwe vaar karna chaha, Lekin ek baar dobara wo asafal raha aur ulta khud zakhmi hote huwe peeche ja gira.

Daisuke ki halat ab uthne layak nahi rahi thi, Wo zor lagate huwe uthna chah raha tha, Lekin uss ki halat usse uthne nahi de rahi thi, Saamne khara vyakti chalte huwe Daisuke ki taraf ane laga, Daisuke apni haar maan chuka tha Vyakti ne apna haath Daisuke ke sar per rakha.

[Healer detected! Mana transfer to player in progress]

[Player's Mana Zone Activated]

Daisuke ne sar utha saamne daikha to wahan wo Vyakti nahi, Isabelle baithi huwi thi Daisuke ke sar per haath rakhe, Daisuke ki HP bhi recover hone lagi, Daisuke ko situation samajhte waqt nahi laga.

Daisuke: Sab kuch ek chhalava tha kia?

Isabelle: Shayad! Lekin Achanak se tum ajeeb harkate karne lage, Main ne pehle koshis ki ke apni shaktiyan istemal na karu, Lekin jab halat bigarne lagi to mujhe Ability Istemal karni per gayi, Agar tumhe kuch ho jata to mujhe kon bachata?

Isabelle ne Daisuke ko Calm karne ke liye dhayan se apne shabdon ko chuna tha, Daisuke bhi Isabelle se kuch kehne ki halat me nahi tha, Daisuke uthte huwe deewar se tik ker baith gaya.

Daisuke: Tum ne kia kiya?

Isabelle: Pata nahi! Lekin mujhe ye pata chala hai ke itna zada Mana hone ki wajha se main Ek Mana Zone bana sakti hu, Ye kia hai mujhe bhi nahi pata lekin main ne koshis ki to tum apne hoosh me waapis aa gye kisi tarha iss se!

Daisuke: Hmm!

Dono ke beech shanti chaa gayi, Jahan Isabelle Daisuke ki ajeeb harkate daikh ker dar gayi thi, Wanhi Daisuke abhi huwe chhalave ki socho me dooba huwa tha.

Isabelle (Concern): Kia daikha Chhalave me tum ne?

Daisuke (Sigh): Huh! Kuch purane zakhm the, Dobara hare ho gye hai wo, Daro mat abhi ke liye theek hu main, Tum batao kitni der ye Mana Zone bana ker rakh sakti ho.

Isabelle: Pata nahi! Lekin zada samay nahi banaye rakh pao gi, Ab ki baae shayad Mujhe bhi ye Mana Zone na bachaye, Lekin ab hume pata to chal gaya na ke wo ek Chhalava hai, Hum dobara shayad na phanse uss me!

Daisuke: Nahi! Main ne jo mehsoos kia hai wo ajeeb tha, Main jaanta tha ke wo sach nahi hai, Lekin main usse jhuthla bhi nahi paa raha tha, Chhalave se mili ye chhote bhi abhi tak hai, Agar dobara hum phanse to shayad waapis na aa sake hum.

Isabelle: Hume kuch karna chaiye!

Daisuke: Kia kare? Meri halat aisi nahi hai ke hum chal sake, Tumhare bina ye Mana Zone bhi nahi rahe ga to tumhe peeche chhor kuch daikhne bhi nahi ja sakta, Agar tum ne Heal Use ki to Durability kam ho jaye gi, Hum sirf Prarthana ker sakte hai, Agar ye Dhundh se Illusion aye hai to Dhundh ke saath chale bhi jaye gye, Ye prarthana karo ke hamare khatam hone se pehle khatam ho jaye ye Dhundh, Warna sach me hum yahan 24 Ghante bhi pure nahi ker sake gye.

Daisuke peeche deewar se sar sata ker baith gaya, Isabelle bhi darne lagi aur puri koshis karne lagi ke wo kuch he aur pal kiu nahi lekin Mana Zone banaye rakh sake, Lekin unhe lag nahi raha tha ke wo nikal sake gye ab ki baar.

Isabelle (Sob): Lagta hai akhri baar usse daikhne ka moka bhi nahi mila ga mujhe!

Daisuke (Smile): Huh! Itna pyaar karti ho to keh kiu nahi deti uss se?

Isabelle: Pyaar nahi keh sakti usse main! Pyaar to ek baar main ker chuki hu, Mera Fiance jo budhu ye samajh raha ke main trip per hu, Lekin jo Aarav ke saath main mehsoos ker rahi hu wo bhi bohat ajeeb hai, Sirf ek baar usse daikhne ki chahat mere andar se jaye nahi ja rahi, Na Jaane uss ki chumban ne kia ker dia hai mujh per, Aisa hai jaise ek khinchav mujhe uss ki taraf kheenche ja raha hai, Huh! Kia lagta hai kaisa ho ga wo?

Daisuke: Kaisa hai ye to nahi keh sakta! Lekin kam se kam wo zinda hai, Andrew ke waqt jo notification aya tha abhi tak waisa koi Notification nahi aya, Jab tak wo notification nahi aye ga Matlab wo zinda hai!

Isabelle (Relief): Thank You! Kam se kam wo zinda hai ye jan'nne ko mila, Na jane kia ker raha ho ga wo?

****

Darkvale Forest ~
81 Hours 59 Minutes Remaining

*Woosh* *Woosh*

Aarav aur Yoo-Jung dono bina kadmo ki awaz kiye bhaagte huwe Mist Monster ki taraf jaa rahe the, Vansh ko Unconscious Aarav ne kandhe per uthaya huwa tha, Unhe nikle huwe kafi samay ho chuka tha lekin jaise Mist Monster bhi unn se dur bhaag raha tha.

Yoo-Jung: Hamare saamne he wo kanhi ruka huwa hai! Lagta hai thak chuka hai wo itna bhaagne ke baad.

Aarav aur Yoo-Jung Location wali jagha pohanch khare ho gye, Lekin wahan unhe koi bhi nahi dikh raha tha, Dono har taraf dhoondne lage lekin wahan koi bhi nahi tha.

Aarav: Kahan hai wo?

Yoo-Jung: Mujhe nahi pata! Main sirf location pata ker sakti hu, Wo yanhi kanhi hai, Lekin hamari nazro me nahi aa raha, Kanhi wo Invisible to nahi hai kia?

Aarav: Tum ne apna kaam ker dia hai! Ab meri baari hai.

Aarav ne Vansh ko neeche laita dia aur zameen ko chhute huwe ankhe band ker dhayan lagane laga, Uss ki Sense ne kaam karna shuru kia aur wo apne kareeb dhoodne laga Mist Monster ko.

Aarav: Wahan us ped ke upar!

Aarav ne ishara kia to Yoo-Jung tezi se uss taraf uchli, Eagle Eye ko Use karte huwe uss ne dhayan se daikha to usse apne saamne Mist Monster mil gaya, Kisi machar ke Aakar ka ek keera uss ke pankh Alaukik roshni me chamak rahe the, Roshni me ek Vibration se Mist ban rahi thi, Yoo-Jung ko daikhte he wo waapis urte huwe bhaaga.

367c08571f6e0b5ab74a97338cc6718f.jpg

Yoo-Jung ne apne Dagger se Vaar karna chaha, Chote Aakar ki wajha se Uss ne Aasani se khud ko Yoo-Jung ke vaar se bacha lia, Yoo-Jung se bachte he wo dobara bhaagne ko huwa.

Uss se pehle Aarav apne sharp Senses se Yoo-Jung ki lead follow karte huwe uss ke saamne aya aur apni Ki Blade uss ko kaatne ko huwa, Lekin dobara uss ne khud ko bacha lia lekin ab ki baar uss ki direction ki sense freeze ho gayi thi ek pal ke liye.

*Swish*

Ek Arrow hava ko cheerte huwe uss machar jaise praani ko apni nok per le jaate huwe saamne ped ne ja ghusa, Uss ke pankho ki roshti dheemi hote hote khatam ho gayi.

Aarav ne Yoo-Jung ki taraf daikha jo apna bow liye khari huwi thi, Andhere me ek keere ke Aakar ke praani per itna accurate Aim karna koi sadharan baat nahi tha, Dhundh khatam hone lagi aur waapis se sab kuch saaf dikhna shuru ho gya.

Aarav ped ke paas gaya aur Arrow ko baahir nikal daikhne laga, Arrow ki tip per Mist Monster tha, Lekin wahan koi Mana Stone nahi dikh raha tha.

Aarav: Ab iss ka kia kare?

“Noum”

Aarav ki kalayi se Slime ki halki awaz ayi, Aarav ne slime ki taraf daikha to wo Mist monster ki taraf daikh rahi thi.

Aarav: Kia huwa? Khaana chahte ho to kha sakte ho tum!

(●♡∀♡)

(╯°□°)╯︵ `

Slime ne Arrow ko Monster ke saath jhapat lia, Kuch he lamho me monster aur Arrow dono puri tarha nasht ho gye the.

[Acid Slime Devoured a Higher Level Creature]

[Acid Slime Power Leveled Up]

dac095c99b7809fa69fd290bbe10f19d.jpg

Acid Slime ke Mist Monster ko khaate he uss ka level up ho gya, Ab tak Aarav ye bhi nahi samjh saka tha ke Rank aur Level me kia difference hai? Aarav ne ye Waapis jaane ke baad sochne ke liye chhor dia.

Yoo-Jung: Hume waapis jana chahiye! Kuch ghanto me waapis roshni ho jaye gi, Hamare paas araam ke liye kuch ghante he hai, Hum me se koi ek pehle soo jaye ga aur dusra Guard kare ga, Phir dusra soo jaye ga aur pehla Guard kare ga!

Yoo-Jung ne duty samjha di, Vansh ki halat Guard karne wali thi nahi to usse count nahi kia, Dono waapis Safe Zone ki taraf chale gye, Waapis ane ke baad Aarav ne Infinity bag me se Tent aur Heater jaisi cheeze nikaal li jo wo saath le ker aya tha.

Tent set karne ke baad Pehle Aarav ne Guard duty lene ka decide kia, Vansh ko ek taraf laita dia gaya aur Yoo-Jung alag se lait gayi, Aarav baahir ek bare pathar ke upar baith gaya.

Acid Slime ko apne saamne Rakh Aarav usse dhayan se daikhne laga, Ek din me he dobara kitna kuch badal chuka tha, Jo Slime subha Aarav ki dushman thi ab wo he Slime Aarav ke saath thi, Agar Slime madad na karti to shayad wo log Illusion se kabhi baahir he na aa pate!

Aarav Slime ko daikha apne Purane saathiyo ko yaad karne se reh na saka, Akhir kanha the sab Demon Wolf? Kiu wo unhe Sense nahi ker paa raha tha? Wo un Orc's se bach ker nikal to gye the na? Aise bohat se sawal Aarav ke mann ko uthal puthal ker rahe the.

Aise he khayalo me waqt beetata gaya, Kuch ghanto ke baad Yoo-Jung khud he uth gayi aur Aarav ko araam karne ke liye bhej ked Guard duty per baith gayi, Aarav abhi laita he tha ke pure din ki thakan ek saath effect ki aur Aarav agle he pal neend ki gehrayio me chala gaya.

415e2e25a02a1e6698ff0cd84ec8ee88.jpg

*Ughhhh*

Aarav jaldi se uth ker baith gaya, Uss ka badan paseene se bheega huwa tha aur saanse tez tez chal rahi thi, Aarav ne baahir daikha to roshni jo chuki thi, Aarav baahir nikla saamne he usse Vansh dikh gaya.

Vansh: Kuch zada nahi soo liye kia?

Aarav ko ek pal ke liye gussa aya ke akhir kon puri raat sota raha hai? Lekin wo bina kuch bole Yoo-Jung ke paas chala gaya jo apne weapons tayar ker rahi thi.

Aarav: Nikal rahe hai kia hum?

Yoo-Jung: Haan! Abhi ke liye hum waapis uss taraf jaye gye jis taraf se main ayi thi, Agar mere Holoscan me Isabelle ya Daisuke me so koi aa gaya to hum un ke saath mil sakte hai.

Aarav: Good! Main Tent le leta hu waapis.

****

Darkvale Forest ~
73 Hours 13 Minutes Remaining

*Thud*

Ek pathar ke girne ki awaz se Daisuke ki aankh khul gayi, Apne saath daikha to neeche Isabelle laiti huwi thi, Kab un ki aankh lag gayi dono ko he pata nahi chala, Der raat tak Isabelle Mana Zone banaye rakhe huwe thi.

Daisuke ne upar daikha to pedon ke beech me se halki dhoop darshan de rahi thi, Daisuke khara hone ki koshish ker raha tha lekin abhi bhi uss ki body bohat damage thi, Daisuke apna sar dobara deewar se sata ker baith gaya.

Daisuke: Akhir 24 Ghante survive ker he lia! Ab jald se jald baki-

*Glup*

Ek safed rang ki cheez Daisuke ki taraf ayi to wo Isabelle ko lete huwr Side per sarak gaya, Aise Achanak movement se Isabelle bhi ankhe khol ker daikhne lagi ke kia huwa? Daisuke uss taraf daikha jahan wo kuch pal pehle baithe the to wahan ek jaal sa ban gaya tha.

Daisuke: Spider! Lekin kahan?

Daisuke ne apni Swords per pakar banayi aur Spider ko dhoondne laga, Usse zada dhoondna nahi para, Ek taraf se Spider ati Daisuke ko dikh gayi jo kisi Billi ke size jitni bari thi, Daisuke aage barhne ko huwa he tha ke uss ke kadam wanhi tham gye, Uss ek Spider ke baad wahan se ek aur Spider ayi phir ek aur phir ek aur nikal ayi.

a8fb38d2fc1337d969c0ff4db0ffa41b.jpg

Wo sirf ek spider nahi puri Spider Army thi, Daisuke ne Isabelle ko uthaya aur wahan se bhaagne laga, Daisuke ko spider ki power ka andaza nahi tha lekin itne bare number se larna Daisuke ki haar ban'nne wala tha.

Isabelle: Ab kia kare hum? Mera Mana pura Exhaust ho chuka hai, Main simple boost bhi nahi Use ker sakti hu!

Daisuke ki halat abhi bhi khaas sudhri nahi thi, Lekin aisi khatarnak me zinda bach jaane ke baad Daisuke haar nahi man'nna chahta tha, Bachi huwi takat istemal karte huwe Daisuke bhaage ja raha tha, Spiders bhi jaise aj uss ka peecha na chhorne ka faisla ker ke ayi thi.

Daisuke bhaage ja raha tha jab tak uss ke saamne ek Cliff nahi aa gayi, Cliff itni deep thi ke upar se uss ka ground dikh bhi nahi raha tha, Daisuke ne apne kadam Dusri taraf ghoomate huwe Cliff ke saath bhaagne laga, Lekin Spiders ne dono taraf se Cover ker lia tha unhe jis se Daisuke sirf ek direction me he bhaag sakta tha.

Lekin Spiders kisi pal bhi uss ke saamne aa sakti thi, Kuch Spiders bare patharo ko sirf apne Webs se kheench ker idhar udhar phenk rahi thi, Daisuke aur Isabelle ko un ka ant dikhne laga har kadam ke saath un ki umeed khatam hoti ja rahi thi.

“Daisuke!!!!”

Ek awaz ne Daisuke ko waapis hosh me le aya, Awaz Cliff ke dusri taraf se ayi thi, Dono ne uss taraf daikha to Cliff ke dusri taraf un ke saath Baki teeno bhaag rahe the, Un dono ke liye Andhere me ujala ban ker aye the wo teeno, Aarav bhaagte huwe idhar udhar daikhne laga aur phir jaise Aarav ko jo chahiye tha wo usse mil gaya.

Aarav: Yoo-Jung! Mere saath aoo.

[Unique Ability (Will to Live) Activated]

[Current Progress (13.2%)]

[Fear Decreased -100%]

[Endurance Increased +41]

[Intelligence Increased +41]

[Strength Increased +41]

[Stamina Increased +41]

[Agility Increased +41]

[Sense Increased +7]

[All stats return to normal after the Unique Ability (Will To Live) deactivated]

Ek zameen se ukhra huwa ped jo Neeche gira huwa tha, Aarav ne uss ka ek chhorr pakra aur Yoo-Jung ne uss ka dusra chhorr pakra, Uthate huwe Aarav ne beech se ped pakar lia aur Yoo-Jung uss ko sahara dene lagi, Bhaagte huwe Cliff ke kinare aa ker Aarav ne aur Yoo-Jung ne zor lagate huwe ped ko phenka to wo Daisuke ke side ja laga aur idhar se Aarav ne usse pakar ker girne se bacha lia.

Aarav (Shout): Daisuke! Yahan aoo!

Daisuke ne Aarav ki tarac daikha to wahan nikalne ka raasta ban chuka tha, Aarav ko ane me waqt lag sakta tha, Tab tak Daisuke wahan ruk nahi sakta tha to usse he uss taraf jana tha.

Daisuke: Isabelle! Bachi huwi puri takat se pakar lo mujhe.

Daisuke bhaagte huwe Ped ke upar charh gaya, Yoo-Jung Arrows se Spider ko rokne ki koshis ker rahi thi, Wanhi Aarav dusri taraf se ped ko pakre huwa tha, Daisuke ki umeed barhne lagi wo kadam barhata raha, Uss ki ankho ke aage andhera chaane laga saanse bhaari hone lagi aur akhir uss ka paon phisal gaya.

Aarav: Daisuke!!!

Daisuke Ped ki tehni ko pakre jhool raha tha, Lekin wo apni halat me zada der usse nahi pakar sakta tha, Yoo-Jung ko ped ke upar charhna per gaya aur wo Daisuke ki taraf bhaagi, Lekin Daisuke ka haath phisalne laga tha uss ke peeche latki Isabelle neeche ki gehrai daikh dar rahi thi, Daisuke tehni ki tip per aa chuka tha.

Isabelle: Sorry!

Isabelle ne Daisuke ka kandha choor dia, Daisuke ki ankhe herat se khul gayi jab uss ke peeche wazan kam huwa, Yoo-Jung ne Daisuke ka haath pakar lia oer Daisuke ki nazre neeche gir rahi Isabelle per thi jo ankho me ansoo liye gir rahi thi, Wanhi dusri taraf khare Aarav ka pura badan sehar utha, Kia wo dobara apne saathi ko khone wala tha?

“Kia phir se wohi hone wala hai? Itni mehnat ke baad bhi main kuch nahi ker pao ga kia? Kia mujhe bachane kudna chahiye kia? Lekin main wahan itni dur tak Isabelle ko pakarne ke liye pohanch pao ga kia? Agar sirf main Tsubame ki movement seekh pata! Lekin mujhe kiu uss ko seekhne ki itni zaroorat dikhti thi? Kiu uss ke bina adhoora lagta tha? Haan, Main saamne daikhne ki koshis me kabhi peeche daikh he nahi paya! Kia waisi Movement sird Tsubame ki thi? Nahi, Wo chahat mujhe Tsubame se nahi kisi aur se ayi thi! Mera sab se pehla opponent”

[Forceful Unsealing of Alpha's Abilities Detected!]

[Alpha's Abilities Unsealed: Forceful Override Detected!]

[Alpha's Ability Successfully Unsealed!]

[New Ability Acquired (Flash Steps)]

ed322e497cbb046351d58a2f04b316e7.jpg

Aarav: Flash Steps!

Aarav ke pairon me Vibration mehsoos hone lagi, Ek jhatke ke saath Aarav Cliff se kud gaya, Sabhi ki nazro me Aarav ek jagha se dusri Jagha teleport huwa tha, Lekin Isabelle kafi neeche ja chuki thi to Aarav ne Isabelle ko pakra aur paas ke pathro ko pakarne ki koshish karne laga, Lekin tez movement se uss ka haath kisi bhi pathar per sahi se nahi laga.

Ek haath se Isabelle ko kamar se pakre dusre haath se rukne ki nakam koshis karte huwd Aarav bhi Isabelle ke saath he khayi me chala gaya, Kuch he pal me dono bakiyo ki nazro se ojhal ho gye.

Yoo-Jung ne Daisuke ko upar kheencha aur Usse le ker Vansh ke paas aa gayi, Daisuke ke hosh abhi bhi salamat nahi huwe the, wanhi Spiders dusri taraf se web shoot ker ke iss taraf aa rahi thi, Ek baar dobara wo ghirne lage Spiders ke beeche me, Yoo-Jung sar jhukaye khayi se neeche daikhe ja rahi thi.

Yoo-Jung: Hume nikalna ho ga! Hum yahan se seedha neeche nahi ja sakte hume ek safe route dhoondn ho ga.

Vansh(Scared): Pagla gayi ho kia? Tumhe lagta hai yahan se gir ker dono me se koi bhi bacha ho ga?

Daisuke: Wo zinda hai! Abhi tak notification nahi aya, Yoo-Jung sahi keh rahi hai hume Safe route dhoondna ho ga.

Vansh(Annoyed): Yahan In makriyo se kaise bach kef nikle pehle wo socho!

Daisuke me itni takat nahi thi ke wo bhaag pata ya lar sakta, Kia Vansh aur Yoo-Jung itne Spiders ko ek saath maar sakte the kia? Dikhne me wo Na-Mumkin lag raha tha, Yoo-Jung dono ko peeche chorte huwe Spiders ke paas jaane lagi.

Daisuke (Concern): Yoo-Jung! Chances mat lo, Wo-

Daisuke ke shabd beech me he ruk gye, Yoo-Jung haatho ko phela gehre saans bharne lagi, Thumb aur Index finger se ek Hole banate huwe Aim bana ker Yoo-Jung ne zor se saans choori to uss ke muh se Aag nikalne lagi aur makriyo ko jalane lagi.

22ff555e3478e4eba0abed37ddfcae44.gif

Daisuke: Fire Realm Clan!

.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he, Update ko dhayan se parhna bohat se future plots hai iss update me, 5.7K words ka hai ye Update,Light jaane ki wajha se thora late ho gya, Baki Target wohi hai 30 likes agar huwa to Next Update Saturday Nght ko aye ga, Umeed karta hu ap ko update pasand aye ga aur agar pasand aye to izhaar karna mat bhoolna, Milte hai agle Update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Nice update and lovely story
 
dododo

Member
498
1,189
123
UPDATE 87 ~
(History Unfolds) (4)

Sainte-Croix Hospital
France ~ 1985

*Click*

Varsha white room ke darwaze ko kholte huwe andar aa gayi, Usko andar aate he saamne Beatrice aur Suhani baithi huwi dikh gayi, Suhani khaana kha rahi thi, Lekin Beatrice muh fulaye baithi huwi thi.

Varsha ne Suhani ki taraf daikha to usne Beatrice ke acting karte huwe keh diya ke wo gussa hai, Varsha bhi muskurate huwe uske paas chali gayi aur uske saath baith gayi.

Lekin Beatrice muh fulaye huwe dusri taraf ghoom gayi, Varsha ne gloves pehne aur ek syringe utha ker Beatrice ke haath ko pakad ker taiyar karne lagi.

Varsha: Aj caretaker ko blood sample kyu nahi lene diya?

Beatrice: Kyu ke ap ne apna promise toda tha! Ap ne kaha tha ke ap yahan aati rahe gi, Lekin ap 17 din se nahi ayi thi, Aur unko main pasand bhi nahi karti.

Beatrice baat to ker rahi thi, Lekin usne ab tak Varsha ki taraf daikha bhi nahi tha, Ye daikh ker Varsha muskurane lagi aur uska blood sample lene lagi.

Varsha: Ap ko bhi pata hai na ke hospital me kitna kaam tha!? Ab usme busy ho gayi thi, Lekin ab aa gayi hu na...Care taker kyu nahi pasand?

Beatrice(Down): Us-Usne kaha ke ek baar main theek ho gayi to main ap se dur ho jaungi! Ye sach hai kya?

Varsha(Sigh): Huh...Uska ye matlab nahi tha! Wo sirf keh rahi thi ke ek baar tumhari bimari cure ho gayi to tum bhi dusre bacho ki tarha cheeze ker sako gi, Hum tumhare liye naye parents dhundhe gye aur tum ek baar dobara school ja sako gi aur ghoom sako gi aur jo kuchh bhi karne ko dil chahe ker sako gi.

Varsha ne uska sample lene ke baad kaha aur uski taraf daikhne lagi, Lekin uski baat sun ker Beatrice khush nahi lag rahi thi.

Varsha: Ab kya huwa?

Beatrice(Hesitant): Doctor, K-Kya ap mujhe adopt karo gi?...Main ap ke aur buddy ke saath rehna chahati hu, Agar nahi to mujhe cure nahi hona.

Beatrice ka chehara laal ho gaya tha, Usne keh to diya tha, Lekin usko ab cringe feel ho raha tha, Ankush he zyada samay uske aur Suhani ke saath bitata tha to unki dosti ho gayi thi.

Lekin Varsha aur Beatrice ke beech ek aur bhi khaas bond ban gaya tha, Varsha aur Beatrice ek tarha se uske bachapan se he saath the, Varsha se milne se pehle ki sab yaadein Beatrice ke liye kisi bure sapne ki tarha thi.

Beatrice ko uska khud ka baap he ek curse kehta aya tha, Ek bachi ko bhooka rakh aur torture ker ke usko lag raha tha ke wo uski patni ka intiqaam le raha hai, Usko torture ker ke wo khud ke andar Qi hone ki saza usko de raha tha.

Lekin Varsha se milne ke baad Beatrice ko pehli baar pata laga tha ke ek Maa ke paas hona kaisa lagta hai, Varsha ke liye bhi ab Beatrice uski khud ki bachi ki tarha ho gayi thi aur wo usko aage sirf ek achi life dena chahti thi.

Varsha(Nod): Hum saath rahe gye!....Lekin uske liye pehli main tumhe cure karu gi aur phir hum bina gloves ke ek dusre ka haath pakad ker duniya ghoome gye....I Promise!

****
Underground Base
Pune Outskirts ~ 1997 October 30

*Gasping*

Varsha neeche ghutnon per baith ker aage ki taraf daikhte huwe lambi lambi saanse le rahi thi, Uske saamne bed per Beatrice ki body thi, Usne khud ke saamne Beatrice ki aatma ko nasht hote huwe daikha tha.

“Varsha?”

Ankush bhi apni kalai ko apne dusre haath se pakade huwe andar aa gaya, Lekin aage ka drishya daikh ker uski ruh kaanp gayi.

*Beeeeep*

Ankush ne monitor per heartbeat ki seedhi line ko daikha tha uske raungte khade ho gye, Usne aur Varsha ne hamesha Beatrice ko cure karne ke baare me he to socha tha, Lekin ab wo he Beatrice uski aankhon ke saamne bejan laiti huwi thi.

Ankush: Beatrice?

Ankush ke kadam khud he Beatrice ki taraf badhne lage, Usko abhi tak vishwas nahi ho raha tha, Ankush peeche darwaze per khadi huwi Suhani bhi khadi hairani se sab daikh rahi thi.

Ankush bed ke paas chala gaya aur usne Beatrice ka haath pakad liya, Lekin uski body sach me bejan thi, Ankush khud ko rok nahi saka aur uska haath pakade udhar khada rone laga.

Usko aise daikh kef Suhani ke bhi aansu chhalak pade aur wo udhar he baith ker rone lagi, Lekin Varsha me ab hilne ki bhi himmat nahi ho rahi thi.

*Thud*

*Groan*

Aarav neeche gir ker behosh ho gaya, Uske paas khade Avinash ka pura Arm laal ho gaya tha kyu ke usne bohat zyada samay ke baad apne Qi core ko unseal ker ke Use kiya tha.

Avinash ka shoulder bhu dislocate ho gaya tha aur uske muh se khoon bhi nikal raha tha, Avinash khada lambi lambi saanse le raha tha, Usko daikh Varsha khadi ho gayi aur uski taraf badhne lagi.

*Grasped*

*Boom*

Varsha ne Avinash ko collar pakadte huwe usko deewar se laga diya, Uski aankhon me aansu aur gussa bhada huwa tha aur wo Avinash ko kha jaane wali nazron se daikh rahi thi.

Varsha(Furious): You could've save her too, Right!? Tum ek genius the, Aisa ho he nahi sakta ke tumhare paas dono ko ek saath bachane ka option nahi tha... *Sniff* Phir kyu tum ne usko bachaya nahi? Kyu usko marne diya? Aakhir Kyu?

Varsha uska collar pakade huwe he rone lagi, Uske andar khade rehne ki bhi shakti nahi thi, Avinash ne uski dono kalaiyon ko pakada aur uska haath jhatak ker khud se alag ker diya.

Avinash(Frustrated): Huh, Even if I could’ve saved her, why should I? I don’t even know her! If saving her even a little could put my son in danger...I’d choose my son every time.

Avinash ne Varsha ko khud se alag karte huwe kaha uske shabdon ko sun Varsha sirf usko hairani se daikhti reh gayi, Usko vishwas nahi ho raha tha ke ye Avinash keh raha tha.

Varsha(Bitter): Unbelievable, Ye sach me tum keh rahe ho? Ab tak sab ka rakshak ye keh raha hai? Kanha gaya wo Avinash jo dusro ke liye marne ko bhi taiyar tha? Abhi tum ek rakshak nahi *Shout* Rakshas lag rahe ho Rakshas...Kya uss bach per zara bhi tars nahi aya tumhe?

Varsha ko Avinash se ghin aa rahi thi, Usko pata tha ke usne Avinash ke saath galat kiya tha, Lekin usne kabhi Avinash ka ye roop daikhne ke baare me socha bhi nahi tha.

*Grasped*

*Choked*

Avinash ne Varsha ke gale ko pakadte huwe usko utha diya, Ye daikh Ankush ne uske paas aa ker usko rokna chaha, Lekin Avinash ke ek dhakke se wo peeche gir gaya.

Avinash(Furious): Haan, Ab bhi dusron ko liye main khud marne ko taiyar hu!...Lekin agar baat mere bacho ki hai!? I’d burn the whole world down to protect them...Phir chahe saamne unki khud ki Maa he kyu na ho.

Avinash ne Varsha ko phainkte huwe kaha to Varsha neeche gir gayi, Avinash ne ab tak Varsha ko maaf nahi kiya tha, Varsha gussa thi to Avinash ki aankhen bhi gusse se laal thi.

Avinash usko udhar he chhodte huwe aage badh ker Aarav ko uthane laga, Varsha ab usko rokna chah ker bhi rok nahi sakti thi.

Ankush aur Suhani ke saath baaki sab bhi unko khade daikh he sakte the, Avinash ne Aarav ko uthaya aur baahir nikal gaya aur beech se Urvi ka bhi haath pakad ker chala gaya.

Varsha unko aise jaate huwe daikhti he reh gayi, Uski aankhon se aansu chhalak pade aur wo udhar he besudh ho ker baith gayi.

Ankush: Varsha! Varsha!! Vars...shaaa!!!

Ankush ki aawaz dheeme se dheeme hoti gayi aur Varsha behoshi ki halat me girti rahi, Itne din aur raat ki mehnat ke baad ab ye sab hone se wo mentally exhaust ho gayi thi.

*Thud*

****

“Uhh...”

Varsha ne apne sar per haath rakhte huwe aankhe kholni shuru ker di, Uska sar abhi bhi kaafi bhaari tha, Varsha uth ker baith gayi.

Varsha(Groan): Ughhh!

“Varsha?”

Varsha ki awaz sun ker uske paas he kursi per baitha soo raha Ankush uth gaya, Usko hosh me ate daikh ker Ankush uske paas ho gaya, Varsha ko bhi ab ek saath uski behoshi se pehle huwe sab drishya dobara yaad ane lage.

Varsha: Ankush, Beatrice? Main kab se behosh thi?

Varsha ke savalon ko sun ker Ankush ne uska haath pakad liya, Varsha abhi buri tarha se kaanp rahi thi.

Ankush: Kal se unconscious ho tum! Hum ne...Hum ne Beatrice ko yanhi ek cemetery me dafana diya hai, Uski body ko ab zyada samay ke liye rakhna theek nahi tha.

Varsha ki dhadkane ek pal ke liye tham si gayi, Beatrice ko usne hamesha ke liye kho diya tha.

Varsha: Suhani kanha hai? Aur Veer aur Aakash ki kya halat hai?

Ankush: Aarav ne kya kiya ye mujhe ab tak pata nahi laga! Lekin bacho ki condition ab bohat behtar hai, Unke test kiye hai aur ye pehli baar huwa hai ke unke sab results normal aye hai...Unhe abhi white room me sulaya gaya hai, Aakash aur Veer Aarav se milna chahate the, Lekin unhe samjha diya hai.

Varsha uski baat sun ker aise he chup ker ke baith gayi, Ankush bhi usko sambhalne ka time de raha tha, Varsha kuch der baad uth gayi aur apna coat pehan liya.

Ankush: Kya huwa? Kidhar jaane ki taiyari?

Varsha: Kanha ja sakti hu! Apne bacho ke paas ja rahi hu, Apne ghar!

Ankush(: Seriously!? Abhi bhi usko ghar keh rahi ho? Varsha tumhe lagta hai ke wo insaan abhi bhi tumhe andar ane de ga?

Varsha: I don't care, Lekin main yahan per baithi nahi reh sakti! Mujhe mere bacho ke paas hona chahiye hai.

Ankush(Sigh): Huh, Fine! Lekin raat bohat ho gayi hai, Main bhi saath chalta hu.

Varsha(Nod): Okay!

Ankush bhi uske saath chal diya aur dono kamre se baahir aa gye, Varsha ne ek baar teeno bacho ko daikha to sab soo rahe the aur phir dono baahir aa gye, Ankush ki Car me baith ker dono Avinash ke ghar ki taraf chal diye.

*Screeeech*

Ankush ne ghar ke baahir car ko roka aur dono car se utar ker ghar ki taraf chalne lage, Raat ke 2 baj rahe the lagbhag sabhi gharon ki battiyan band ho gayi thi.

*Knock-Knock*

Varsha ne ghar ke darwaze per dastak di aur dono khade ho ker darwaza khulne ka intezar karne lage kuch der baad darwaza khula aur unke saamne Avinash khada huwa tha.

Unko daikh ker Avinash bina kuch bhi kahe darwaze ko khula chhod ker andar chala gaya, Varsha andar jaane lagi to Ankush bhi uske saath andar aa gaya.

Varsha: Kanha?

Ankush: 10 Minute yahan baith ker chala jaunga! Aise tumhe akeli nahi chhodunga.

Varsha: *Nod*

Varsha aur Ankush dono he ghar ke andar hall me aa gye, Varsha Ankush ko udhar baitha ker jaane lagi, Lekin kuch daikh ker uske kadam tham gye.

Uske saamne deewar per Bharat ki tasveer tangi huwi thi aur usper haar chadhayan huwa tha, Usko daikh Varsha bilkul chaunk gayi.

“3 Din pehle tumhare uncle ka dehant ho gaya tha”

Varsha ke peeche khadi Lakshmi ne kaha to Varsha ghoom gayi, Lakshmi ne white saree pehni huwi thi, Usko daikh ker lag raha tha ke usne kitne dinon se kuch bhi nahi khaya tha.

Varsha: Aunty?.... I'm sorry, M-Mujhe pata he nahi tha.

Lakshmi: Avinash ne tumhe aur bacho ko dhoodhne ki koshish ki thi! Lekin usko tum teeno mile he nahi, Kal Aarav ki Qi ko usne feel kiya to ghar se bhaagte huwe chala gaya tha.

Lakshmi ki baat sun ker Varsha ne yaad kiya to kal Avinash bhi white suit he pehne huwa tha, Varsha ko ab khud ki kahi huwi baato per gussa aa raha tha, Avinash ne uske baap ko khoya tha aur kal usne apne bache ko bhi lagbhag kho he diya tha.

Varsha: Sorry, Aunty...! Ap- Gussa ho kya?

Lakshmi: Main gussa kyu hone lagi? Ye tumhari aur Avinash ke beech ki baat hai... Lekin haan main nirash zaroor huwi thi sab kuch sun ker, Kabhi socha nahi tha ke har din mere kaam me jigyasa dikhane wali ek ladki uska ye arth nikale gi aur khud ke he bacho ki jaan sankat me daal de gi.

Varsha ke paas ab kehne ke liye kuch bhi nahi tha, Lakshmi ne bhi usko aur kuch bhi nahi kaha aur Ankush ke saamne kursi per baith gayi, Varsha udhar he khadi rahi aur kuch samay ke baad Avinash apne haatho me Aarav aur Urvi ko uthaye aa gaya.

Aarav aur Urvi dono he abhi gehri neend me the, Avinash ne unko Lakshmi ke paas laita diya aur khud bhi uske saath he baith gaya, Varsha bhi ek kursi per uske saamne baith gayi.

Varsha: Avinash, Aunty ne abhi uncle ke baare me bataya!... I'm sorry, Mujhe kal kuch-

Avinash: Papa ko kuch bhi hone se tumhe kuch farak bhi padhta hai kya? Ye pata hote huwe bhi ke unki kya halat hai tum ne to apna he swarth daikha na?...Ek baar main ne tumhe maaf karne ki galti ker di hai ab dobara nahi ker sakta.

Avinash ne kehte huwe ek baar Varsha ki taraf daikha bhi nahi, Varsha samajh gayi ke usko ab uski taraf daikhne se bhi ghin aa rahi thi.

Varsha: Ab kya chahate ho?

Avinash(Sigh): Mnemosyne's Gaze!

Naam sunte he Varsha ki aankhe hairat se khul gayi, Ye Lakshmi ki he banayi gayi ek forbidden art thi, Ye hypnosis ki tarha ki he thi, Lekin ye Art usko directly kisi ki yaadon me parvesh karne aur badlav karne me madad karti thi.

Lekin Lakshmi ke khud banane per bhi ye uske liye Use karni easy nahi thi, Usko bhi ye Art ke prayog ke liye support ki zaroorat hoti thi aur uske paas abhi Avinash ek support ke roop me tha.

Varsha: Aunty, ap kya bacho ki yaadein badalna chahte ho?

Avinash: Haan, Bacho ke liye tum sirf ek buri Maa ban jaogi! Unko tumhare wajood se bhi nafrat ho jaye gi aur wo tumhe kabhi daikhna bhi nahi chahe gye, Uske baad tum yahan se ja sakti ho aur kabhi bhi laut ker na ana.

Ankush: Avinash ye kuch zyada ho rah-

Avinash: Beech me bolne ki koshish bhi na karna! Agli baar tumhari kalai nahi gardan ho gi.

Avinash ne uski baat ke beech me he usko dhamki dete huwe kaha, Ankush ko gussa to aya, Lekin usne gussa pee liya aur chup ker ke baith gaya.

Varsha: Aur agar main ye na karu to phir kya karo gye?

Avinash(Sigh): Huh, Phir mere paas aur koi raasta nahi ho ga! Main Avinash Arya, Clan ka Leader ye kasam khata hu ke agli baar tum mere bacho ke kareeb dikhayi bhi di to tumhare baap ke aakhiri shabdon ko pura karte huwe tumhara sar dhar se alag ker dunga.

*Clang*

Avinash ne kehte huwe he clan leader ki sword ko unsheath karte huwe aage rakh diya, Varsha aur Ankush ki saanse thamne ko ho gayi.

Varsha sirf Avinash ki taraf daikhti he reh gayi, Lekin Avinash ne usko ek baar daikha bhi nahi aur baitha raha, Usko daikh ker lag raha tha ke wo sach me sar kaatne se pehle soche ga bhi nahi.

Varsha ne ek baar Lakshmi ki taraf umeed bhari nazron se daikha, Lekin Lakshmi ne bhi uski taraf daikha bhi nahi.

Avinash: Tumhare paas zyada samay nahi hai! Tumhe abhi nirnay lena ho ga.

Varsha ne ek baar dobara un dono ki taraf daikha, Lekin dono he ab badalne ke liye taiyar nahi the, Ye daikh ker Varsha ke aansu chhalak pade, Uske paas sach me aur koi raasta nahi tha.

Varsha(Nod): Jaisa tumhe sahi lage! Lekin kya kabhi kabh-

Avinash: Ek baar bhi nahi! Unko tumhara chehara dobara dikhna bhi nahi chahiye.

Varsha bilkul bebas ho gayi thi, Uski nazar uske bacho per chali gayi, Unki wo aakhiri tasveer ko kaid ker lena chahti thi, Avinash bhi baitha intezar karta raha aur aakhir me Ankush ko he Varsha ko uthana per gaya.

Varsha apna sar jhukaye baahir ki taraf chal di, Usne khud he apne ghar ko kho diya tha, Uske dil me ek he chah thi ke ek baar dobara Avinash usko rok de aur kuch aur saza de de.

Lekin usko bhi andaza tha ke Avinash ab dobara vishwas nahi kare ga aur Ankush ke saath baahir chali gayi, Ankush ne uske liye car ka darwaza khola aur Varsha car me baith gayi.

Uske sabar ka bandh toot gaya aur wo car me baith ker rone lagi, Usne sab kuch he kho diya tha, Uska ghar uske bache aur Beatrice sab kuch he cheen liye gye the usse.

“Aur uss raat ke baad me ne tum dono ko kabhi bhi nahi daikha”

Car ke baahir Aarav aur Varsha parchhai ke roop me khade huwe the, Aarav ne uske brain se direct connection banaya tha to Varsha bhi uske saath thi.

Varsha: [Uske baad Avinash ne tumhe kya yaadein di mujhe nahi pata! Lekin wo sab sach nahi thi, Aarav tumhe pura sach nahi bataya gaya, Ye sirf Forged memories hai.]

Aarav(Scoff): [Aur ap ko aisa kyu laga ke aisi reality se bhu buri memories forge ho sakti hai? Meri Maa ne mujhe he maarne ki koshish ki aur wo bhi ek baar nahi do baar? Usse buri chhavi aur kya ban sakti hai ap ki?]

Aarav ki baate sun ker Varsha chaunk bhi gayi aur uske paas kehne ke liye bhi kuch nahi bacha, Aarav ki har baat sach thi.

Aarav: [Ap ko pata hai ap se pehle main ne ye sab kuch Dad ke nazariye se daikha tha!? Kya ap daikhna chaho gi?]

Aarav un memories ki baat ker raha tha jo usne Avinash ko devour karne ke baad daikhi thi, Varsha uski baat sun ker hairaan huwi aur usne sirf nod ker diya.

Aarav ne haath uthaya to unke saamne ka drishya badlne lage, Ab Aarav Avinash ki memories dikha raha tha, Varsha ne apne saamne daikha to usko sirf andhera dikhayi diya.

Varsha: [Ye kya hai?]

*Groan*

Abhi Varsha ne Aarav se pucha he tha ke usko ek taraf se kisi ke karahne ki awaz sunayi di, Varsha ne udhar daikha to usko Avinash khada dikhayi diya, Usne kuch pakada huwa tha.

Aarav: [Hairan ho gayi kya? Kuch andaza hai kya ke ya kya ho sakta hai?]

Varsha ke muh se ek shabd bhi baahir nahi aya, Usko pata lag gaya tha ke Avinash ne kya pakada huwa hai, Uske haath me abhi Beatrice ki soul thi, Jisko wo kanhi se khinch ker baahir nikal raha tha.

Varsha ne andar jhankana chaha to wo aur bhi hairan ho gayi, Uske saamne tha to sirf andhera he, Lekin wo usko mehsoos bhi ker sakti thi aur khud ko khinchate huwe mehsoos bhi ker sakti thi.

Varsha: [Ye kya hai?]

Aarav:
[Limitless Growth]

*Clap*

Aarav ke clap karte he Varsha ko Avinash ki nazar se dikhayi dene laga, Avinash ke saamne ek badi deewar thi aur deewar ke beech me ek chhed bana huwa tha.

Aarav: [Ye meri real potential hai! Limitless Growth, Lekin usko unlock karne ke liye ye deewar mujhe khud se todne ki zaroorat thi, Kyu ke agar main deewar ke dusri taraf ki growth ko control nahi ker sakta tha to wo mujhe control karne wali thi]

Varsha ke paas kehne ke liye shabd nahi the, Usko andar baaki sab souls dikhayi to de rahi thi, Lekin wo samundar me kuch bundon ke barabar bhi nahi thi.

Aarav: [Isko Unlock karne ke liye abhi bhi bohat samay tha! Lekin kisi ko laga ke kisi newborn baby ki soul ko transfer kiya jaye aur usko karte huwe ye chhed ban gaya]

Varsha ko aage ka kuch sochne ke liye aur sunane ki zaroorat nahi thi, Phir Aarav ki ye growth uske aur bhi souls ko devour karne se trigger ho gayi thi aur usko ab bhadne ke liye aur bhi energy chahiye thi.

Aarav: [Aur tab Dad ne dobara ek mushkil nirnay liya! Agar chhed band na kiya jata to baahir sab growth ke liye sirf ek energy ban ker reh jaate, Sab ko bachane ke liye Dad ne usko khatam ker diya]

Avinash ne Beatrice ki Soul ko haatho me he nasht ker diya aur uske baad chhed ko seal karne laga, Avinash ke liye wo nirnay kitna mushkil tha ye uski unstable energy se pata lag sakta tha.

Varsha: [Usne bataya kyu nahi?]

Aarav(Sigh): [Huh, Ap ne kaha ke unhone sach chupaya tha, Right? Ab ap ko batata hu ap ke ghinone sach ko chupa ker unhone hamay kya bataya]

Aarav ne dobara saamne ka drishya badal diya, Ab unke saamne dobara ussi raat ki memories thi, Lekin ye Avinash ki memory thi Varsha ke jaane ke baad ki.

Laskhmi: Avi...?

Lakshmi uth ker Avinash ke paas chali gayi aur usko gale se laga liya, Maa ki bahon me ate he Avinash ke aansu ruk nahi sake aur uske agosh me chehara chupaye wo rone laga.

Avinash in aansuon ko kab se roka huwa tha, Lakshmi ne bhi usko khul ker roo lene diya, Avinash bohat der aise he baitha rota raha aur aakhir shaant ho gaya, Lakshmi uske saamne baith gayi.

Lakshmi: Kya ho gaya tha? Itne aansuon ko chupa ker baitha huwa tha?

Avinash(Sniff): Aise he Kuch soch raha tha!...Usne kya he galat kaha tha? Aakhir ek rakshas he to hu na main? Sab se pehle apne logo ko he apne haatho se maara aur phir ek bachi ko bhi apne haatho se khatam ker diya!? Rakshas he to huwa na?

Lakshmi(Tearful): Aisa kyu bolta hai? Sab kuch tu ne dusron ke liye kiya tha, Lekin bojh uthane ke samay per tu akela kyu ho jata hai?

Lakshmi ne uska chehra thaamte huwe kaha usko sirf apne bete per taras he ata tha, Usne kabhi uske jaisa saaf dil insaan nahi daikha to aur sab dukh bhi uski kismat me he likh diye gye the.

Lakshmi: Ab sach sach bata! Kya sach me tu bacho ki memories me badlav karna chahta hai?

Avinash(Nod): Haan, Lekin unko Varsha ki buri memories nahi deni!...Ab ki baar ap ko mujhe bura banan ho ga.

Lakshmi(Frowns): Avi? Aisa kyu karna chahata hai?

Avinash(Sigh): Huh, Ap ko bataya tha na ke Aarav ki Limits ko seal kiya hai!? Lekin usko seal karna bohat mushkil tha, Meri banayi har seal ko he wo devour ker raha tha aur ant me....ant me mujhe khud ke core se ek seal banani per gayi.

Lakshmi: Huh? Kya matlab?

Avinash: Main uske chhed ko band to nahi ker sakta tha! Lekin main ne usko ab direct ker diya hai, Ab wo kisi ki bhi energy ko aise he nahi khinche ga, Usko ab sirf meri Qi chahiye ho gi, Aarav ke kareeb hone per wo khud he meri Qi khinchne lagta hai.

Lakshmi ne aisa kuch padha huwa tha, Ye karne se Avinash ne Aarav ko stable to ker diya tha, Lekin ab Aarav ke paas ane se uski Qi khinchne lagti thi aur agar uska pura core khali ho jata to Avinash ko bhi khatra tha.

Avinash: Ab bacchon se dur rehne ke liye kuch bahana to chahiye hai na? Agar ek bura baap ban gaya to bahanon ki zaroorat he nahi ho gi na?

Avinash keh to ye muskurate huwe raha tha, Lekin uski muskurahat ke peeche ka dard abhi Lakshmi daikh chuki thi, Usne sirf apne bete ke sar per haath rakh diya.

Avinash: Bacho ko ye bataye ke main ne unki Maa ko tadpaya aur zulm kiya hai! Aur Aakhir me mujhse tang aa ker usne dam tod diya tha.

Lakshmi: Maa ko maar kyu raha hai? Rok kyu nahi raha? Baap nahi to ek Maa to ho gi na?

Avinash: Ek baar bharosa ker ke daikh liya hai! Ab bacho ko dobara uske paas akela nahi chhodunga, Acha hai ke unhe lage ke unki Maa mar gayi hai.

****
Sayani Mansion
France ~ 12:24 AM

“Enough!”

Suhani ne Aarav ko dhaka dete huwe Varsha se alag ker diya, Suhani Aarav ko khoon pee jaane wali nazron se daikh rahi thi, Usne Varsha ko khud ke saath lagaya huwa tha.

Varsha bilkul sadme ki halat me Suhani ke saath lagi roo rahi thi, Varsha yahan khud ko Aarav ki nazron me sahi sabit karne ayi thi, Lekin yahan wo khud ki nazron me he galat sabit ho gayi thi.

Aakash ek taraf khamoshi se baith ker sab kuch observe ker raha tha, Barbie bhi uske saath khada huwa tha, Aarav ki taraf daikh ker usko andaza ho gaya tha ke Aarav ko ab sab kuch pata lag gaya hai.

Varsha: Aarav, Bache!

Varsha uth ker khadi ho gayi aur Aarav ki taraf badhne lagi, Ye daikh ker Suhani ko gussa aya, Lekin usne muh fer liya aur khadi ho gayi.

Varsha Aarav ke saamne aa ker khadi ho gayi, Lekin ab ki baar uski Aankhon me wo aatmavishwas nahi tha, Varsha andar se toot gayi thi, Usne Aarav ke saamne haath jod liye.

Varsha(Tearful): Aarav, Apni Maa ko maaf ker de! Bohat badi bhool ho gayi, Kab main khud ko ahankar me pagal ho gayi mujhe pata he nahi laga *Sob* Apni Maa ko maaf ker de.

Aarav ne Varsha ke haatho ko pakad ker neeche ker diya, Ye daikh Varsh uske haatho ko thaamne lagi, Lekin Aarav ne haath kheench liye.

Aarav(Scoff): Corpse, The Kid Who Was Supposed to Die, Right? Ap ko ek aur baat bataun kya? That kid really did die that day...The person you see in front of you isn’t your kid anymore....Murdon ko dobara zinda karne ki koshish na kariye, Sirf mayusi he ho gi.

Aarav ne Varsha ko dutkarte huwe dhakel diya, Varsha sirf usko hairani se daikhti he reh gayi, Aarav ki ye harkat daikh ker Suhani ke sabar ka band toot gaya.

Suhani(Furious): Aarav, Ab bohat ho gay-

Aarav: Kneel!

[Alpha Presence Activated]

Aarav ki ek nazar per Suhani uske ghutnon per aa gayi, Usko aise daikh ker Aakash ko hansi aa gayi, Usne usko bataya bhi tha ke Aarav kitna strong hai, Lekin ab usne khud mehsoos bhi ker liya tha.

Aarav: Just get out of my sight! Before I do something I'll regret later.

Aarav ki baat sunte he Aakash ne Barbie ko ishara ker diya, Barbie nod karte huwe Varsha aur Suhani ko baahir le gaya, Unke nikalte he Aarav table pakad ker khada ho gaya.

Ab tak to wo khud ko sambhale huwa tha, Lekin uske bhi emotions unstable ho gaye the, Varsha uski Maa thi, Uske saamne hone se wo bilkul unfazed nahi reh sakta tha.

Aakash: Andar dum ghutne laga hai! Kya kehte ho, Fresh air ke liye terrace chalo gye kya?

Aarav(Sweating): *Nod*

Aakash usko saath le ker Terrace per aa gaya, Aakash ne ek cigar ko nikal liya aur usko jalane laga, Aarav terrace se neeche daikhne laga, Usko Barbie neeche Varsha aur Suhani ko car me baithate huwe dikh gaya.

Aarav unki car ko mansion se nikalte tak daikhta raha, Unke baahir jaate he Aarav udhar baith gaya, Aakash uske paas chup ker ke khada raha.

Aarav: Aakash, Tum ne mere liye itna sab kuch kyu kiya?

Aakash: Mujhe laga ke tumhe ab tak pata lag gaya ho ga!?

Aarav(Scoff): Kya ye soch ker tum ne sab kuch kiya ke main tumhara bhai hu? Agar aisa hai to uski zaroorat nahi thi, Tumhare bhai ki soul ko main devour to kiya ho ga, Lekin sirf ek energy ke roop me, Main bhai nahi hu tumhara.

Aakash(Smile): *Nod* Haan, I know ke tum Sagar nahi ho! Huh...Aarav tumhe pata hai main sagar ko nafrat karta tha? Hamesha se mujhe lagta tha ke uske kaaran he main ajeeb hu...Lekin wo bechara to mujhe he bachate huwe mara tha, Mere liye mujhse zyada dukhi wo tha, Wo mujhse alag bhi nahi ho sakta tha...Lekin phir tum aye aur sab kuch badal gaya...Aarav Arya, Ya kahu ke spiderman *Laugh*

Aakash un palon ko yaad ke muskurane laga, Usko daikh ker Aarav mehsoos ker sakta tha ke Aakash sach me khush tha.

Aakash: Aarav tum mere aur Veer ke sab se pehle friend the! Haan, Tum hamare bhai nahi the, Lekin agar wo sach me hamare saamne hote to bilkul tumhari tarha ke he hote, Ye he kaaran hai ke unki soul ko devour karne ke baad hum tumhe he bhai kehne lage...Unhone hamay ye zindgi di thi aur tum ne hamay zindgi jeene ka mauka diya tha, Hum baakiyo ki tarah baahir nikal sakte the aur aj hum jo kuch bhi hai tumhare kaaran he hai, Agar hamay tumhari khatir marna he kyu per jaye hum taiyar hai.

Aarav(Sigh): Huh, Whatever! Lekin mujhse kuch bhi expect na karna ke main tumhara bhai banu ga.

Aarav itne emotions ko daikh ker sach me tang aa gaya tha, Usko daikh ker Aakash sirf muskura diya aur cigar ka anand lene laga.

“Master”

Aarav ko bulate huwe Tinkerbell baahir aa gayi-

Aarav: [Kya ho gaya?]

Tinkerbell: [Ap ka reward kuch minutes ke baad ap claim ker sakte ho! Ap ke liye ek surprise bhi hai, Ya kaho ke bonus hai]

Aarav: [Really!? Huh, Aur dusre kaam ka kya huwa?]

Tinkerbell: [Haan, Main ne error ke liye bhi check kiya tha, Lekin kuch bhi error nahi tha, Urvi per sach me dot nahi tha]

Aarav: [Huh, Lekin ye kaise ho sakta hai?]

Aarav ke saval per Tinkerbell ne bhi haath khade ker diya ke usko kuch bhi idea nahi hai.

Aarav: Aakash....Urvi ke baare me batao gye kya? Main ne Urvi ko khud m-.... marte huwe daikha tha, Phir wo yahan aur zinda kaise hai?

Aakash: Soch he raha tha ke ab tak tum ne pucha kyu nahi! Huh, Uske baare me main bhi kuch bhi khaas nahi janta, Urvi ki body ko Suhani ne claim kiya tha, Usko ek tumhara friend wanha le gaya tha, Unhe bhi Urvi ki dead body he mili thi, Lekin kab raaste me Urvi ki saanse dobara chalne lagi unhe bhi pata nahi hai.

Aarav ko bhi ache se yaad tha ke usne Urvi ki heartbeat ko rukte huwe suna tha, Usko ab bhi pura drishya kisi bure sapne ki tarha yaad tha, Usko Urvi ke zinda hone ki khushi to thi.

Lekin wo hairan huwe bina nahi reh sakta tha, Agar Varsha ne bhi kuch nahi kiya tha to huwa kya tha.

“Uske shareer ko main ne zinda kiya tha”

[You have entered the Domain of the Monarch]

[Prepare for potential encounter with powerful foe]

Aarav terrace se ek empty white space me aa gaya tha, Aarav ne sword ko nikal liya aur ladne ke liye taiyar ho gaya.

*Clanggggggg*

Ek attack ek side se aya aur Aarav mushkil se khud ko defend ker saka, Sirf ek attack ne uska balance bigad diya tha, Earth per ane ke baad usne aisa attack ye dusri baar feel kiya tha, Pehla usne Tarun ka aisa attack feel kiya tha.

“hohoho! Not bad, Young man”

Aarav ko uske side se awaaz ayi to wo uss taraf ghoom gaya, Uske saamne ek vyakti khada huwa tha, Lekin uske kapade bilkul sadharan the aur uske haath me ek purani E rank iron sword pakadi huwi thi aur chehre per ek mask pehna huwa tha.

122175872722ddc8165976c1bf6142dd.jpg

[Check]

[Target is too powerful!⚠️]

[Player cannot check his status]

Aarav: Huh?

[Access Granted!]

[The target has allowed you to check his status]

Vyakti ne Aarav ki taraf daikhte huwe usko check karne ka mauka de diya, Ye daikh ker Aarav ko aur bhi gussa aa raha tha.

[Check]

[
Name: Aarav Arya
Job: Soul Monarch]

Aarav(Shocked): What the fuck?
.
.
.
.
.
.
.
.

[Aj ke liye itna he, Aur yahan huwa history unfold ka ant, Khush to bohat ho gye aur action bhi aa gaya :D Umeed karta hu ke ap ko ye update bhi pasand aya ho ga, Target hamara wohi hai 120 Likes ke liye, Milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Great update.

1. Varsha ke baare me jitna kam likhe utna accha hai. Apni ego aur apne aap ko prove kerne ke liye usne na hi apne bacchon ki jaan daanv par laga di aur apni family ko kho diya. Weh Avinash ke balidaan ko dekh nahi payi aur usi ko doshi maanti rahi. Chalo, isme bhi ek silver lining thi, Akash aur Veer ko naya jeevan mila.

2. Yeh Limitless Growth auron ki souls ko without limit consume kar sakta hai. Lagta hai ki iski deewar (barrier) me samay se pehle hole ho gaya aur Akash, Veer aur Beatrice ke twins ki souls consume kerne ke baad yeh out of control ho gaya aur auron ki souls ko consume kerne laga. Avinash ne apni Qi se seal kar diya tha. Lekin consume kari huyi souls kya abhi bhi Aarav ke andar hain aur isi liye Akash aur Veer usko apna bhai samajhte the kyonki Aarav ke andar unke twins ki souls hain. Yeh to ek bahut hi khatarnak aur powerful unique ability hai.

3. Yeh naya Soul Monarch kahan se aa gaya jise system Aarav Arya bata raha hai. Kahin yeh Aarav ki consume kari huyi souls se to nahi bana hai... Possibility jyada hai ki yeh Stone Monarch ho jisne apne aap ko camouflage kerke apne ko Aarav bataya hai kyonki system ne apne aap yeh nahi bataya tha, usne kudh apne aap ko system se reveal karvaya hai.

4. Urvi ka suspense jaari hai. Aisa lagne laga hai ki yeh keval Urvi ki body hai, soul aur memory kisi aur ki hai, tabhi dot nahi hai... Just guessing...
 
Top