Bohot hi mature decision tha...... Mujhe to Bilkul bhi nhi lag rha
.....ki wo mari ja rahi thi ...ankush ke pas jaane k liye.....ye jabardasti ka bahana nahi h dosto
..... but Agar ye story adultery section me hoti...jo ki h nahi...to
sabkuch waisa hi h jaisa aap soch rhe ho
Adultery me mostly points illogical he hote hai
Yanha agar sexsux likhna hota to bohat jagha per daal deta lekin meri story waisi hai he nahi
Hnnn kuchh chizo pr hm kuchh kr bhi nahi sakte .......toote dil se padhne ke alawa
Urvi ke liye aur kya chahate the?
Are kyun nahi Bhai, wo independent jo ho gayi thi.....dr. bankar...... Batao bc background ki wajah se surname use nahi kiya
very nice decision urvi ......
Okay...Uska surname badalna mujhe tab utna necessary nahi laga tha! Wo meri taraf se ek mistake bhi ho sakti hai, Lekin tab mujhe extra explain karna tha aur main kaam ke baad bohat thak gaya tha aur necessary bhi nahi tha aur mujhe galat bhi nahi laga aur na he ab lag raha hai.
SAlty bhai aap kitna bhi sahi thehra lo.... Lekin varsha ek giri hui aurat....
Main uske character ko defend ker bhi nahi raha hu...! Lekin scientists unki life long Research ke liye kis had tak ja sakte uska hum andaza bhi nahi laga sakte hai.
Main abhi bhi usko sahi nahi keh raha! Lekin uski choices ko galat keh raha hu, Usne uske liye sab kuch dau per laga diya tha aur haar gayi thi, Lekin ant me usne cure ko bana he diya tha...Lekin kis keemat per?
Itne salo me avinash varsha ka trust nahi jeet paya... Isse ant me kya saaabit hua dosto.... Ki Pyar sabse ****** han han wahi chiz h
Varsha ko kabhi Avinash se pyaar tha he nahi! Ye Arc ka naam he padh lena tha, Forged bonds, Unhone sirf Varsha ke baap ke aakhiri shabdon ke kaaran shaadi ki thi aur Varsha ke liye kabhi wo uss se zyada tha he nahi...Aur trust bohat pechida cheez hai, Kabhi kabhi to ek pal he uske liye kaafi hota hai aur kabhi kabhi saalo ka saath bhi kam per jata hai.
Varsha ka character ek confused character ki tarha likha gaya hai...! Usko kabhi andaza he nahi huwa ke wo jiska peecha puri zindgi karti ayi hai wo kabhi utna important tha he nahi...Kuch logo ke liye wo paisa hota hai to kisi ke liye kuch aur hota hai.
Varsha ka character main agar koshish karu bhi to ap ki nazaron me puri tarha balde ga nahi aur na he main badalne wala hu! Agar mujhe badalna he hota to kabhi usko aisa likhta he nahi.