Shah bhai mujhe pakka yakeen tha k ye update bhi mujhko rulaega. Pichle update ko jahan aap ne roka tha to aap k writing ko jeise Vijay/Aisha aur Samir /Shanaya wale stories mein padhe the to ki writing se hum waqif hai iss liye pehle hi pata lag gaya tha ke iss update mein bahut jabardast emotion hoga aur rona to hoga hi hoga. Iss liye main me bhi khud ko lock kar liya tha loveshuda ki tarah tah ke koyi mujhe rota na dekhe.
Anirud aur Pooja ki story se aap ek short story ka winner ban sakte the magar issko aap ne 2 update bana diye. Kia baat hai bhai what a magnificent writer you are my dear. Hats off.
Mere aankh se ensoo behte rahe hab tak Pooja k bare mein padhta raha. Anirud jab tak bolta raha tab tak ashk behte rahe mere. Jab Pooja khat ki baari aayi to samjhlo mushladhaar baarish shuru ho gayi aankhon se.
Bahut rulaya yaar.
Itni gehraayi se asp emotion ko bayaan keise karte ho bhai? Fantastic.
Aur aakhir flashback end hui.
Ye aap ne bhut hi acha kiya sirf 2 update mein flashback end karke wapas Vihaan Ashita par chale aaye varna present fade out ho jata.
Brilliantly worked out update.
Suman ki negative se positive mein tabdili dekh kar bahut acha laga. Main soch hi raha tha k ek maa keise apni beti se itna nafrat kar sakti hai. Chalo maamta ne apni roop dhaaran kiya aur ab donon ko double support mil gaye.
Anirud sochega k uss k time mein kyun eisa nahin hua tha. Bechara Anirud.
Ab samaajh se ladna hai.
Dekhte hein aap keise issko aage badhaate ho.
Jabardast, dhamakedaar, lajawab update tha bhai, wo bhi bahut bada update almost 3k words ka 1 update.
Bahut shukriya Shah bhai.