Update-381(Trapped)
Humaari team finally uss warehouse k andar enter hui toh ek bahot bada hallway tha jiske end mein bahot saare cabins they, baaki teams niche cabins takk pohanch chuki thi and wohlog cabins clear kar rahe they.. Paul k bandon k pass 1% chance bhi nahi ths kyunki Bovice And Norman dono andar they wohlog ne literally unse aage kaa soch soch k maara unko and maarte he rahe.. Paul k bandey i guess marr chuke they koi ikka dukka bacha hoga maybe lekin Paul kaa koi idea humein abhi nahi tha, or Warehouse literally bahot bada tha toh agar woh yahaan hai toh usse dhundane mein time lagne waala tha.. Cabins k baad underground part tha and tunnels type area bhi tha jo warehouse ko Factory se connect karta tha issliye jagah bahot thi abhi, humlog ne ek ek corner clear karna suru kiya..
Main-Left clear..
Sara-Same here..
Randy - Let's move on..
Sara - Copy..
Warehouse kaa upper part pura clear tha issliye humlog ne underground area clear karna theek samjha, underground mein jyaada kuch tha nahi, ek bada sa hall tha jisme bahot saara industrial samaan tha humne thoroughly sab check kiya toh woh bhi clear tha bus ab bacha last part jo thi woh factory jiska raasta warehouse k andar se he tha, raasta kya ek puri tunnel he thi jisme lights wagairaah lagi thi harr jagah toh view clear tha, tunnel 100-150 meter lambi thi or tunnel k end par ek bada saa gate tha jo open tha and uske through humlog uss factory k andar enter hue, ab factory old thi kaafi old lekin renovation hua tha uska recently, yahaan bhi roshni k naam par keval badi badi lights he thi jisase andar pura ujaala faila tha warna bahaar se koi light nahi aa rahi thi andar.. Factory 2 floors mein divided thi and ek underground floor bhi tha usme..
Main Sara or Randy left waala portion cover kar rahe they, baaki sab ko bhi alag - 2 area milla hua tha jyaada kuch mill nahi raha tha kissi ko kyunki bandey they nahi bacha Paul khud jo yahin kahin tha i can feel it woh 100% yahin tha.. Or meri ye baat sach saabit hui tab jab ekdum se factory ki saari lights ek sath off hui or off hotey he kissi ne mujhe mere saamne se bahot jorr se push kiya jisase main piche hatta or uske turant baad he ek punch laga mere pait mein or punch k just baad ek kick lagi mere pait mein he or ye sab literally seconds mein hua, main or meri gun dono he niche jaake girre maine apni pistol nikalni caahi, lekin hath mein pistol lee he thi maine ki andherre mein ek or kick aake lagi mere hath k uppar or meri pistol bhi jaake girri durr mujhse.. Or main again kuch react kar paata usase pehle kissi ne meri taang pakkadi or mujhe full speed se aage ki taraf khincha main chilaaya dard ki wajah se lekin koi kuch kar paata usase pehle pata nahi kya hua, main niche jaake girra almost 7-8 feet girra hoga main jo awkward tha kyunki main ground floor par tha toh bhenchod girra kaise main, girrne se mere saare sareer ki gand fatti lekin bhenchod main jhatt se utha, mujhe Sara Randy and baakiyon k chilaane ki awaaj aarahi thi jo mere Uppar se aarahi thi.. Or tab mujhe laga ki mere aas pass koi orr bhi hai issliye main ready hua, andherra bahot jyaada tha mujhe literally kuch bhi nahi dikh raha tha issliye main sound ki help se figure out karna caah raha tha ki ho kya raha hai..
Main-Who the fuck are you??
Iska jawaab uss shaks ne diya jisski awaaj main kabhi nahi sunana caahunga Ji haan ye tha Paul..
Paul-Itani jaldi bhool gaye...
Or ussne itana bola tha ki lights on hui or maine Paul ko mere saamne kuch kadam durr khadda paaya or ye dekhtey he main turant piche mudda or waapis bhaaga lekin bhaagtey he rukk gaya kyunki mere saamne ek deewar thi, kanch ki deewar or keval mere saamne he nahi mere 4on taraf he kanch ki deewar thi, actually main ek kanch se bane kamre mein mojjud tha jo chaaron taraf se tightly sealed and locked tha, usme 2 doors they ek uppar jisme se main niche girra tha and ek mere piche jahaan Paul khadda tha or dono he gates filhaal bandh they..
Paul - Itana easy thodi hota hai Boss, yun he thodi koi kissi ki saalon ki mehnat barbaad kardega or badle mein usko kuch bhi nahi hoga, naa boss aise nahi hota, jo kiya hai woh bharrna toh padega he that's how things work around here..
Ye 25×25 kaa ek kaafi bada room tha issliye main bhagke gate k pass aaya or usse bahot jorr se hilaaya lekin uske Uppar koi ashar nahi hua..
Paul - Bulletproof glass hai ye bahaar or andar se keval mere fingerprints se he open hoga, bahaar se rocket launcher bhi lagaalo toh bhi nahi tuttega.. Pata hai ye maine kiske liye banwaya tha?? Specially Norman Bones k liye main chaahta tha ki unko yahaan haraaunga main or unko haraane k baad mujhe mukti mill jaaegi meri life puri hojaaegi main chain se jee shakunga. Tujhe pata hai jab main sone jaata hun toh mujhe bus wahi sab dikhta hai jab Norman ne mujhe harraya tha or meri saalon ki mehnat meri planning mera future sab kuch khatam kardiya tha unhone, i hate that man with a passion, mujhe nahi lagta tha uss shaks se jyaada nafrat main kissi se kar paaunga lekin tab tu aaya Mr Smartass, tune wahi sab kiya jo Norman ne kiya tha mere sath lekin tune Norman se bhi jyaada kiya or mere life k sabse important moment par kiya, meri saari mehnat meri power meri reputation mera bhai jaisa partner sab khatam kardiya tune, or mujhe gussa usase nahi aaya ki tune ye sab kiya na naa naa mujhe gussa iss baat kaa hai ki tune ye sab itani ashaani se karliya, you are special same jaise main special tha or tab maine tumhaare uppar research ki toh pata chala tum kon ho tum special ho obviously, fast ho, smart ho tum woh sab ho jo main tha lekin farak ye hai main better tha bahot jyaada better tumhaara baap he mere level par nahi tha toh tumhe usstak pohanchney mein he saalon lagenge lekin too bad tabtak tum jinda nahi rahoge, kyunki 1 mayaan mein 2 talwaar nahi reh shakti ye tumhe bhi pata hai issliye jab mujhe pata chala ki Mogui ne tumhe bachaane k liye juth bola ki woh mujhe yahin k yahin maar shakta hai toh main samjh gaya ki tum special ho or main woh sab tumhe maarke he achieve kar shakta hun jo main League and Hounds of Death k unn hajaaron agents ko maarke karta.. So AP are you ready??? Ready To Die...
Continued....