Update 11 B
Is se pehle ye dono apni sambhog kriya mein aage badte, waqt apni chaal fir chal gaya, jiska inhe aabhaas bhi na tha, na hi Raj ko jo ghar chhod hostel jaane ki tayaari kiye baitha tha.
Ramesh ko nikle 10 ghante se jayada ho gaye the, uski flight beech mein London rukni thi, lekin, jaise hi flight land kari, pilot use sambhaal nahi paaya aur shayad brakes mein kuch kharabi aa gayi thi, aur plane cheen cheen karte hue lehrate hue vahin khade ek tanker se ja takraya aur ek jor ka dhamaka hua aur charron taraf aag hi aag jalta hua plane bhi kuch door tak gaya aur vahan khade ek aur plane se takra gaya, raftaar itni thi ke dono plane do tukdon mein tut gaye. Chaaron taraf cheekhon pukaar hone lagi.
Jab tak aag ko bhujaya jata bahut log usmein jhulas gaye.
Raj yahan baar baar chithi likhta apni maa ke liye aur faad deta. Dil kuch aur keh raha tha, dimag kuch aur.
Tabhi uske mobile pe ek caal aati hai, number London ka tha, Raj hairan ki is waqt use kon London se phone karega. Vo phone kaat deta hai, lekin fir usi number se call aati hai. Raj ko yaad aata hai shayad papa phone kar rahe honge London se.
Raj call leta hai aur us taraf se jo bola jaata hai vo sunte hi vo jor se chillata hai…..Mummy ! Mummy !
Aavaj Komal tak pahunch jaati hai, aur hadbada ke vo adhnangi haalat mein hi Raj ke pass dodh padti hai, Vimal fatafat apne kapde pehnta hai aur vo bhi Raj ke kamre ki taraf bhag padta hai.
Kamre mein Raj farsh pe baitha ro raha tha uska mobile uski bagal mein gira pada tha. Komal Raj ko apne seene se laga leti hai “Kya hua beta? Koi bura sapna dekh liya tha kya?”
Raj foot foot ke ro padta hai, kaise bole uska baap ab nahi raha.
, uska dost bagal mein khada use dekh raha tha, kaise bole use ki uska bhi baap nahi raha.
Vimal sab dekh soch mein pad gaya. Uski najar Raj ke mobile pe padi use utha usne last call jo aayi thi vahi number mila diya. Poochne pe jo suna uske bhi haathon se mobile gir pada, ek sadma sa laga use aur vo bhi girne jaisa ho gaya.
Ye sab dekh Samar ko apni maa ka khayal aaya aur vo uski taraf bhaag pada jahan vo gehri neend mein bekhabar thi, vahin uska mobile pada baj raha tha.
Call uske papa ki thi, vo sahi salamat the, jo plane crash hua tha vo koi dusra private plane tha, ab vo thodi der mein USA ke liye udnewale thi, fuel lene ke liye unhein London utharna pada tha. Raj ke papa kafi der the komal aur Raj ka phone try kar rahe the par connection nahi mil raha tha.
Papa ko jaldi recovery wish karte hue vo Raj ke kamre ki taraf gaya vahan sabhi ka ro ro kar bura haal tha.
Vo jor se chillaya, chup karo sab, papa aur uncle ko kuch nahi hua hai, abhi meri papa se baat hui hai.
Raj apni maa ko chod uchal kar dost ke gale lag jaata hai, vahin Vimal kab kakhud ko sambhaal chukka tha, aur Raj aur Komal ko sambhaalne ki koshish kar raha tha.
Ye khabar Komal ke andar jaan fook deti hai aur vo bhi “ vo bach gaye” kehti hui apne devar ke gale lag jaati hai.
Ye dekh Raj ko sab yaad aane lagta hai aur uski ankhen mein gusse ke laal dore taine lagte hain, sanse jor se chalne lagti hai muththiyan kas jaati hain.
Bedhayani mein Komal Vimal ko chume ja rahi thi, apne bête aur uske dost ke samne hi.
Vahin Vimal jo Komal ke nashe mein jaane laga tha, vo haalat bhi samajhta tha, usne Komal se apne haathon ko door rakha bas Komal hi usse lipti hui thi. Uski najar Raj pe padti hai jo gusse se apne chacha ko dekh raha tha, vahin Komal Vimal ko Raj ki study table ki taraf le gayi thi, to Vimal kin ajar bhi us letter pe pad jaati hai jo Raj likh raha tha.
Ab Vimal ko jhatka lagta hai, vo Komal ko lagbhag jabardasti khud se alag karta hai “ Bhabhi sambhaalo khud ko bhai thik hai”
Komal ko jhatka sa lagta hai, vo hosh mein aati hai apni adhnangi haalat ka use bhaan hota hai, vo Raj ki taraf dekhti hai to uski ankhon mein gussa dekh ghabra jaati hai, use samjhne mein der nahi lagti ki Raj ke samne vo kya kar gujri aur uska asar Raj pe kya hona tha.
Komal…aise gusse mein mat dekh beta, Vimal mera bahut paya devar hai, mera aur tera bahut khayal rakhta hai, khabar hi aisi thi ki hosh na raha. Mein aati hun.
Vo fat se nikal gayi sahi kapde pehnne ke liye.
Aur Raj bas Vimal ko gusse se ghure ja raha tha.
Samar ko sahi nahi lagta vahan rukna, vo apni maa ke pass ja kar baith jata hai.
Raj ke is tarha gusse se dekhne ki vajah se Vimal soch mein pad jaata hai, Kya vo abhi ki vajah se gussa hai, ya fir use kuch bhanak lag gayi hai !
Ek baap apne bête ke dil ki haalat kaise na pehchan pata. Vo ek thandi sans leta hai…WAQT aa gaya tha Raj ko sab kuch batane ka, kyunki adhura sach sirf jeher ban jaata hai galatfehmiyon ko janam de kar.
Vimal : Raj mere saath chalo tum se jaruri baat karni hai, adhura sach bahut haani karak hota hai, aur mere khayal se ab tum itne mature ho chuke ho ki sach ko samajh sako aur use apna sako.
Vimal Raj ko laghbhag ghasitte hue apne bade bhai ke room mein le jaata hai jahan bar bhi bana hua tha.
Apne liye scotch ka peg banata hai aur Raj ke liye Beer ki bottle nikal leta hai.
“Beer to peete ho na, aaj mere saath bhi pi lo, iski bahut jarurat padegi sach ko hazam karne ke liye”
Vimal maa, yani Raj ki dadi , ab in logo ke saath nahi rehti thi, vo Goa chali gayi thi, jahan inka pushtaini ghar tha, jiska apna beach tha, use samudra ki lehrein dekh sakun milta tha.
Vimal apni maa ko mobile pe ring karta hai…..usne ab tak apni maa ko kuch nahi bataya tha jo uske apne ghar mein hua tha. Ab bhi vo kisi aur baat ke liye phone kar raha tha.
Udhar se ring hote hi jawab milta hai dant wala “kalmuhe itne dino baad maa ki yaad aayi, kaise ho tum sab”
Vimal : Pranaam maa, sab thik hain, bhai jaruri kaam se USA gaya hai, achcha suno…main apna wada aaj tod raha hun
Raj bas samne baitha apne chacha ko ghurte hue haath mein beer ki bottle pakde bas use apne hath mein idhar se udhar kar raha tha.
Raj ki dadi lagbhag chillate hue boli “ dimag kharab ho gaya hai kya, ya ab Raj pe apna haq jatana chahta hai, khabardaar jo munh se ek lafz bhi nikla”
Vimal ek pal apne mobile ko ghoorta hai dusre pal Raj ko dekhta hai aur use speaker pe daal kar bolta hai
“WAQT ne bahut kadvi chaal chal di hai maa, agar Raj ko sabkuch sach nahi bataya to sab bhikhar jaayega.”
“kkkyyyaaaa?”
“vo samne baitha hai maa, speaker on kar diya hai maine ab aap use bataogi ya main, faisla aapko karna hai”
Raj ka to dimag hi fatten lagta hai, ye dadi kahan se beech mein aa gayi, kya dadi ko sab maalum hai, fir bhi…
“ Raj beta tu sun raha hai na….apni maa aur chachu ke saath aaj ki flight se aa ja, tere sare sawalon ka jawab main dungi”
“ maa aaj nahi aa paayenge, yahan ek hadsa ho gaya hai, ek do din lagenge”
“kyun kya hua? Abhi to keh raha tha ke jaljala aa jaayega”
Fir Vimal apni maa ko hue hadse ke bare mein batata hai.
“ oh! Ye to bahut bura hua”
“ Raj beta, abhi apne dost ko sambhal aur apne chacha aur maa pe shaq mat karna, tu jab aayega tujhe sab samjha dungi…sun raha hai na”
“ j j ji ji dadi”
“ Vimal do din baad ki flight book kar le”
“ Ji maa”
Itne mein Komal inko dhundte hue vahan aa jati hai aur Vimal ka jawab sun leti hai.
“Kahan ki flight?”
Vimal : maa bula rahi hai.
Raj apni maa ko dekh ghabra jata hai aur beer ki bottle chupane lagta hai kyunki abhi tak Komal kin ajar uspe nahi padi thi.
Vimal use shant rehne ka ishara karta hai ki darne ki jarurat nahi.
Dadi apni bahu ki aavaj sun leti hai.
“ Kyun bahu mere mein kante lage hain kya, main tum logo ko bula bhi nahi sakti”
Komal dadi ki ye tone sun ghabra jaati hai…”ma ma maaji maine aisa kab kaha main to bas pooch rahi thi kahan ki flight, vo vo pranaam maaji , lekin yun achanak, maaji vo meri saheli…”
Komal ke to paseene choot jaate hain.
Dadi ke samne phone pe hi apni maa ki ye haalat dekh Raj ki hasi choot jaati hai, vo bhool jata hai hath mein beer ki bottle hai aur maa dekh legi fir uski class lagegi.
Komal use mud ke ghoorti hai to haath mein beer ki bottle dekh kuch bolnewali hi thi ke Vimal uska haath pakad chup rehne ka ishara karta hai.
Tabhi dadi ki aawaj speaker mein gunjti hai “ Bahu tera dusra deewana bol raha tha ke tere teesre deewane ne bagawat kar di hai, isiliye bula rahi hun, aur sun apni saheli ko saath le aana, jagah badlegi to thoda dil behal jaayega:
“ k k kya Deewana dusra, teesra…”
“lo kar lo baat, mujhe to teen ka hi maalum hai koi 4-5 hain kya?”
“ ji jiiiiii”
Ab Vimal aur Raj ki hasi rukte nahi rukti, dono apne munh pe haath rakh lete hain kahin dadi gussa na ho jaaye idhar Komal ki haalat patli honi shuru ho jaati hai, ki ye sab kya chal raha hai.
“ nahi samjhi, bevkoof doctor bani firti hai…are pehla Deewana mera bada beta, dusra deewana mera dusra beta aur teesra deewana tera khud ka beta…ab aur koi bhi hai to bata de”
“ uiiii maa mera beta mera deewana, ye kab hua”
“usi se pooch lena kab se hua, mujhe to lagta hai teesra baaki dono ka patta kaat dega”
“mmaajjjii”
Ab Komal ki najar dono chache bhatije pe padti hai.
Raj to hasi rokte hue sofe pe lot raha tha.
Komal apni saas ke baatein sun bhunbuna jaati hai uska beta kab se uska deewana ho gaya, ye sab ho kya raha hai
Vo Raj ki taraf angarey barasti nigahon se dekhne lagti hai….Raj ki hasi ko ekdum break lag jaata hai.
Jab se dadi beech mein aayi thi, uska gussa to kab ka kafur ho chukka tha.
“ae bahu khabardaar jo mere teesre deewane ko kuch kaha, jaldi pahuncho yahan sab. Rakhti hun”
Phone rakh dadi ne sar peet liya, ye uske munh se kya nikal gaya.
Vahin yahan sab kuch bhool teeno dadi ki baat ko man mein dohra rahe the.
Pehla Dada ji, teesra Raj to ye dusra kon?
Waqt to lamhon mein bata hota hai, kis lamhe mein kya ho jaaye ye shayad khud Waqt ko bhi nahi pata hoga.
Ab tak jo kehar macha hua tha ek lamhe ke liye sab bhool gaye bas dimag mein hathode bajne lage the “DUSRA KON?”
Isse pehle ki Komal kuch hosh mein aati aur Raj pe barasti vo apni beer ki bottle le kar chup chap khisak gaya.
Apne kamre mein pahuncha to uske samne vo uska adh likha letter pad gaya, jise kitni baar likh likh kar fada tha, aur ab vo sab bhool vahi sab sochne lag gaya, jo usne dekha, jo usne suna aur jo Dadi ne kaha.
Vo yahi sab soch raha tha ke Samar vahan aa gaya, kyunki Komal uski maa ke pass pahunch chuki thi.