Update 12
Raj ke jaane ke baad Komal bhi kuch hosh mein aayi, aur Vimal ki taraf dekha jo apni scotch ke ghunt lagata hua kuch soch raha tha.
Komal uske pass gayi aur uske kandhe pe sar rakh poochi : Ye sab kya ho raha hai Vimal, tum kuch bata kyun nahi rahe ho, kya kiya Raj ne.
Vimal : Raj ne shayad hame kiss karte hue dekh liya hai, vo bahut gusse mein tha, aur shayad ghar bhi chhod deta, ab waqt aa gaya hai use sab batane ka, isiliye maa se baat karni padi. Maa ne hi uske andar chal rahi hulchul ko shant kiya hai, vahi use sab kuch batayegi.
Komal : Kyaaa? Ye kya ho gaya ab ab kaise use munh dikhaungi.
Vimal : Kuch nahi hoga, Vo samajhdaar ladka hai, chupaoge to galat samjhega aur main nahi chahta tum uski najron mein giro.
Komal : nahi ye thik nahi hua hai, iske parinaam achche nahi honge, khair dekhte hain aage kya hota hai.
Achanak Komal ko kuch yaad aata hai.
Komal : Priya kaisi hai, bahut din ho gaye, vo yahan aayi hinahi. Koi baat hai kya?
Vimal ka dimag ab ghum jaata hai, kaise Priya use apne bhai ke saath bane rishte ko apnane ke liye keh rahi thi, kaise vo bhadak utha tha. Kaise vo ghar chhod gayi.
Vimal : Usne mujhe chhod diya, ya yun kaho maine use chhod diya.
Komal : kya? Hua kyat ha, sab kuch sach sach batana.
Vimal tab Komal ko sab kuch bata deta hai.
Komal : WAh ! kya mard ho, ab to tum mere samne bahut hi chote ban gaye ho. Tum mere saath rishta rakh sakte ho, aur tumhari patni ne apne bhai ko kuch rahat pahunchayi to tumhare andar ka so called mard jag gaya. Wah! Itni giri hui soch hai tumhari. Kis bute pet um mere saath rishta rakh sakte ho agar tum apni patni ko usi tarha ke rishte mein bardasht nahi kar sakte. Abi jaao use maafi mango aur use wapas laao.
Vimal ye mujhse nahi hoga.
Komal kyun?
Vimal : apne samne kaise bardasht karunga use kisi aur ki banhon mein dekh kar, chahe vo uska bhai hi kyun na ho. Mujhse nahi hoga.
Komal : Tumhare bhai ne nahi kiya kya, usne bardasht kiya usne manjoor kiya, maa ne mere samne do raaste rakhe, dusri shadi ya tum se rishta, maine bhi maan liya kyunki main tumhare bhai se bahut pyaar karti hun.
Vimal : Lekin main apne bhai ki tarha namard nahi hun, vo majboor tha, main nahi.
Komal : Vimalllll !
Vimal : Chillao mat, jo sach hai vo sach hai.
Komal : Fir aaj ke baad mera tumhara koi rishta nahi, tum bas mere devar ho, Raj ke chacha ho. Aaj ke baad kabi bhi mujhe chune ki koshish mat karna.
Aur Komal vahan se Kavya ke pass chali gayi.
उदास रात है, वीरान दिल की महफ़िल है
ना हमसफ़र है कोई, और ना कोई मंज़िल है
ये ज़िन्दगी मुझे लेकर कहाँ चली आई
shayad is waqt WAQT yahi gunguna raha tha Komal ke liye.
Har lamha kuch na kuch badal raha tha, WAQT bhi apna khel khel raha tha. Ab sochne do Vimal ko ki vo aage kya karna chahta hai, hum us WAQT ki taraf chalte hain jab Samar apni maa ke pass baitha soch raha tha ki Raj ke saath kya ho raha hai, kis tarha Komal aunty apne devar ke saath khule aam chipk gayi aur uske gaalon ko chumne lagi, aisi haalat mein to maa bête ke gale lagti hai, kya ho raha hai, kahin vahi to nahi jo mere ghar mein ho raha tha.
Aur Samar ki najrein apni maa ke yovan klashon ki taraf chali gayi jo ek lei mein uth aur baith rahe the, apni ke sundar mukhde pe dukh ki chata use dekhi nahi jaa rahi thi, papa apung ho gaye, chacha chichi humein chhod chale gaye aur jeevan ke is lambe safar mein maa akeli reh gayi hai, maana main saath hun, par main vo such to maa ko nahi de sakta jo papa aur chacha dete the. Ye main kya sochne laga, uncle papa ko thik jarur kar denge, isiliye to papa ko saath le gaye hain unka sabse achcha ilaj karane, papa ko nakli tang lag jaayegi, par kya nakli tang asal tang ki taakat rakhti hai, kya papa bistar pe maa ka saath de paayenge.
Shit kya ho raha mujhe kya kya utpatang soch raha hun.
Aur Samar ki ankhon ke samne vo raat ghumne lagi, jisne jindagi ki taraf uski soch hi badal daali thi, rishton ki maryada thi bhi aur nahi bhi. Din ka safar kuch aur hota tha aur raat ke lamhe kuch aur. Din mein maryada apne charam pe hoti thi, raat mein vahi maryada bistar ki salvation mein dam ghont leti thi.