Arjun Singh 72
Well-Known Member
- 8,137
- 15,023
- 143
Sorry bhai thoda kaam aa gaya tha.. lekin ab update aa chuka hai....Waiting
Waiting for the update
Update aa chuka hai.....intzar hai mitr
Thanks Arjun Singh 72 bhai....Awesome fabulous update
Pridhi pahle wali ban gai h
Ab wo Pawan ko kaha khojti h ye to dairy padne ke baad pata chalega
Aur last main Kon tha Avinash ya Pawan
Keep posting
Wah bhai badiya update tha,,,, ab lagta h paridhi pavan ko chahne lagi h, aur Avinash ka patta kat,,Update - 39
Paridhi apne Mom Dad ki aankho me dekhate huve - "Kya aap muje uss hadse ki yaado se ladana nahi sikha sakte the bajay bhagane ke?..."
Ab to jese Sumitaji aur Rahulji ko bada jatka laga... Pari.... unki beti sach hi kah rahi thi... Sach kahe to unhone apne dar ke karan, Paridhi ka kahi kho jane ke dar ke karan Paridhi ko uss hadse se bhagaya..... Unhe aaj ahesaas ho raha tha ki vo galat the... mana ki vo Paridhi ke liye ye sab kiye the lekin sochiye ki aage kabhi Paridhi ko iss tarah ke bure hadso ka samana karna pada tab Paridhi pe kya bitegi?.... Tab kya Paridhi bikhar nahi jayegi?..... Tab kya Paridhi tut nahi jayegi?... Tab kya Paridhi andhere me kho nahi jayegi?....
Rahulji aur Sumitaji ko ab 7 saal baad ye ahesaas huva ki unhe Paridhi ko bure halato se bhagane ke bajay unn halalato se ladana sikhana chahiye tha......
Ab aage.......
Paridhi ro rahi thi... Sumitaji aur Rahulji ko apni galti ka ahesas huva... vo dono Paridhi ke pass aye
Sumitaji rote huve - "Hame maaf kar do beti... ham iss pyaar mai itna kho gaye the ki hamne aek Maa aur Pita ka farz jarur nibhaya lekin aek dost ka farz nahi nibha paye.... ye meri galati hai..... maaf kar de muje beti..."
Rahulji ki bhi aankhe bhar chuki thi - "Aek Pita ka farz hota hai... Apne bachho ko aur apne Pariwar ki raksha karna lekin aek farz aur hota hai ki apne bachho ko khud ke pairo pe chalana sikhana..... ye Pita ka farz hai ki apne bachho ko duniya se lad kar khud ke pairo pe chalna sikhana... aur unhe bharosa dilana ki vo akele nahi hai kisi bhi ladai me unke sath unke pita Waqt ke har pal me unke sath khade hai... agar vo duniya se ladne me gir gaye to unke pita hai jo phir se unhe khada karenge... main ye Pita ka farz nibhana bhul gaya... muje maad kar do beti....."
Dono ne Paridhi ke aage apne hath jod liye.. Paridhi ne fauran unke hath chuda liya... Paridhi sofe se khade hote huve apne mom dad ke pairo ke pass beth gayi... aur unn dono ke hatho ko apne hatho me lete huve...
Paridhi - "Aapki koi galti nahi hai.. Mamma.. Papa.... vo Waqt aur halat hi ese the ki sab ho gaya... Lekin muje iss baat ki bahut khushi hai ki aap muje itna pyaar karte hai ki mere dard aur dukh ko aek pal ke liye bhi nahi dekh sakate.... I LOVE YOU SO MUCH"
Paridhi apne Mom Dad ko gale lag gayi.. Sab ro rahe the... Naina bhi apne hatho se apni aankho se baar baar nikal rahe aanshuo ko poch rahi thi...
Kuch der yuhi ro ne ke baad tino alag huve.. Sabke chahere pe ab khushi se chamak rahe the... Aek mata pita aur apne santano ke bich pyaar ka pavitra rista itna majboot tha ki kabhi nahi tut sakata tha....
Paridhi apni jagah pe khadi hote huve - "Papa... vo ladka jiss ke sath mai car mai thi?..."
Paridhi chup ho gayi... Vo badi aasha bhari najaro se Rahulji ko dekhne lagi...
Rahulji thoda normal hote huve - "Jab doctor se tumhare bare mai baat puri huyi...... Tabhi muje vo ladka yaad aaya... doctor ne bataya tha ki jyada khoon bah jane se uski condition pahele se hi critical thi.... uska opertion abhi bhi chal raha tha...."
Rahulji - "Tumhe OT se ICU me le jaya gaya.... tum abhi bhi behosh thi... aur shayad 1 ghante ke baad doctor uss ladke ke OT se bahar aaye.... Doctor ne kaha ki khoon bahut bah chuka tha... "
Paridhi ki aankhe aur bhi chalak uthi - "Phir...."
Rahulji ne kuch Waqt ka pause liya aur aek lambi saans li - "Doctor uss ladke ko nahi bacha paye..."
Paridhi ke muh se chikh nikali - "Kya?...."
Ye pal esa tha ki koi bhi hil jata.... Paridhi aur Naina ko Pata tha ki Pavan thik tha lekin Rahulji se Pavan ki maut ki khabar sunte hi Paridhi ka aek dimag jese sunn pad gaya..... ye jataka bada tej tha... Paridhi ka dimag chakarane laga isliye Paridhi ko behoshi si chane lagi jiss se Paridhi apni jagah pe girne hi wali thi ki Naina ne usse pakad liya....
Naina ne Paridhi ko jaldi se sofe pe litaya... Rahulji aur Sumitaji aekdam se dar gaye.... Naina ko bhi Rahulji se Pavan ki maut ki baat sun ke jataka laga tha...
Rahulji ko kuch samaj nahi aa raha tha ki achanak Paridhi ko kya huva.. lekin unhone turant apne family doctor ko phone ghumane lage.... Naina kichen se pani leke aayi aur thoda pani Paridhi ke chahere pe dala...
Paridhi ke dimag me Rahulji ki aakhari baat hi ghum rahi thi ki Doctor uss ladke ko bacha nahi paye.... aur Paridhi ke hoth Pavan ka naam budbuda rahe the.... Sumitaji jo Paridhi ke pass hi bethi thi unhone Paridhi ke hotho se nikal rahe Pavan naam ko sun hairan rah gayi.... Aakhir ye Pavan kon hai?... Aur Paridhi uska naam liye kyu ro rahi hai?.... Sumitaji ne Rahulji ki aur dekha jo bhi sawal bhari nigaho se Paridhi ko dekh rahe the....
Rahulji ne Naina ki aur dekha jese Naina ko pata ho ki Pavan kon hai jiska naam Paridhi iss Waqt le rahi thi?... Lekin Naina bhi Rahulji ki aakhari baat me hi khoyi huyi thi ki Pavan ki maut kese ho sakati hai....
Naina ne bhi Dyari ko wahi tak hi padha tha jaha tak Paridhi ne aaj padha tha ki Pavan uss farmhouse me Paridhi ko bachane pahuncha tha..... Naina uske baad ka padh ne ki himmat hi na juta payi thi.... Aur isliye use Pavan ke bare me bhi itna hi pata tha ki vo thik hoga kyu ki usne uss din uske sath jo huva vo Dyari me likha tha lekin agar Pavan ki maut ho chuki thi to Dyari ko kisne likha?..
Naina bhi apne hosh khoye huyi thi... Naina ko abhi bhi nahi pata tha ki Rahulji uski aur hi dekh rahe the...
Naina dhimi aawaj me budbudayi - "Agar Pavan ki maut ho chuki thi.... Phir... Phir uss Dyari me uss din ke hadse ko likha kisne?...."
Bas Naina ke hotho se nikali ye baat Rahulji ke kano tak pahunch gayi... aur unki aankhe hairani se aur bhi badi ho gayi.....
Rahulji - "Naina ye Pavan ki maut?.... Dyari?... ye kya bol rahi ho?..."
Naina ki soch ko jese break laga diya Rahulji ne...... ab jakar use pata chala ki vo apne khayalo me hi khoyi huyi thi aur isliye Rahulji ne sab sun liya shayad Sumitaji ne bhi....
Sumitaji - "Nain, kon he ye Pavan?"
Naina ab kya kahe use kuch samaj nahi aa raha tha - "Vo aunty..... vo aunty Pavan uss ladke ka naam tha jinhe abhi aapne bataya ki doctor uss ladke ko bachha nahi paye..."
Ab jo jataka Paridhi aur Naina ko laga tha ab Sumitaji aur Rahulji ko bhi lag gaya... Paridhi jo abhi thodi sambhal chuki thi lekin uski aankho ne thode thode aanshu bahana shuru kar diya tha...
Paridhi bhi vahi soch rahi thi jo Naina soch rahi thi... lekin uska dil kah raha tha ki Dyari Pavan ne hi likhi thi... Pavan jinda tha... Pavan thik tha.... aur Paridhi ki dil ki aawaj chahere tak pahunch gayi uska chahera khil gaya... vo turant se sofe se khadi ho gayi aur Naina ki aur khushi se chillate huve boli..
Paridhi - "Naina, Pavan jinda hai... mera dil kah raha hai ki Pavan jinda hai.... Pavan thik hai...."
Paridhi khushi se nachane lagi..... Rahulji aur Sumitaji ko aek ke baad aek jatke lag rahe the..... Paridhi ne jab apne mom dad ki aur dekha tab unki sawaliya najaro ka jawab dete huve
Paridhi - "Pavan uss ladke ka naam hai jiss ne aapki beti ko uss din unn darindo ke noch ne se bachaya... Pavan vo hai jiski vajah se aaj aapki beti aapke samne sahi salamat hai... Pavan vo hai jisne muje uss din unn heavano se bachakar aek naya jivan diyha... Pavan vo hai jisne apni jaan per khel kar bhi muje unn ladko se bachaya..."
Rahulji aur Sumitaji kafi hairan the lekin unhe ab kuch kuch samaj aa raha tha ki Paridhi uss ladke ki baat kar rahi hai.. jisse uss din doctor bacha nahi paaye the...
Paridhi ab aur khushi se uchalti huyi - "Papa... aapse jarur koi galti huyi hogi... Pavan jinda hai...."
Rahulji aur Sumitaji aek doosre ko dekhane lage unko samaj nahi aa raha ki aek mara huva ladka jinda kese ho sakata tha...
Rahulji - "Lekin Pari... Doctor ne to yahi bataya tha ki vo uss ladke ko nahi bacha paye the... aur mene bhi uss ladke ki lash ko dekha tha..."
Lekin Paridhi man ne ko taiyaar hi nahi thi kyu ki uska dil man ne ko taiyaar nahi tha - "Nahi Papa, mera yakin kijiye... Pavan jinda hai..."
Rahulji abhi bhi Paridhi ko sawaliya najaro se dekh rahe the - "Pari beta lekin men...................."
Paridhi Rahulji ki baat ko bich me kat te huve - "Aapko muj pe yakin nahi ho raha na.... aap aek kaam kijiye uss hospital me phone kijiye..."
Rahulji - "Lekin mene uss ladke Pavan ki lash bhi dekhi thi... aur........................"
Paridhi ummid bhari aankho se Rahulji ko dekh rahi thi - "Please Papa.."
Rahulji - "Thik hai... main karta hu phone.. uss hospital ke head Dr. Sharma ko phone karta hu jo uss Waqt wahi par the...."
Rahulji Dr. Sharma ko phone lagane lage.... aur jab samane se kisi ne phone uthaya....
Rahulji phone speaker par karte huve - "Hello... Sharmaji..."
Doctor - "Ha boliye Rahulji.... kya huva? sab kuch thik to hai na?...."
Rahulji - "Yaha sab kuch thik hai.... maine aap se aek kaam ke liye phone kiya hai... aapki kuch madad chahiye..."
Sharmaji - "Ji kahiye... mai aapki kya madad kar sakata hu?..."
Rahulji - "Aap ko pata hai na 7 saal pahele meri beti ko aapke hospital me admit thi..."
Sharmaji chinta se - "Ji muje yaad hai... kya Pari beti ke sath fir se kuch huya?.."
Rahulji - "Na na Sharmaji kuch bhi esi baat nahi hai... aur Bhagwan kare esa fir kuch na ho.... Mai aapse uss din jo Ladka tha jiske sath Paridhi thi uske bare me janana chahata hu...."
Sharmaji - "Are vo ladka... abhi bhi muje achhe se yaad hai... main bhul hi nahi sakata... Mene apne 34 saal ke carrer mai kabhi esa nahi dekha tha..."
Hall me khade sab chunk gaye Sharmaji ki baat sunke....
Rahulji - "Matlab?.... aap kya kahena chahate hai?"
Sharmaji - "Ab kese batau?..... uss ladke ka itna khoon bah suka tha ki vo hospital tak kese pahunch paya ye bhi bahut badi hairani ki baat thi.... hum sab hairaan the ki jiss hisab se khoon baha tha usski maut to kafi der pahele hi ho jani chahiye thi.... Lekin jese Bhagwan bhi chahate the ki Paridhi ko kuch naa ho aur vo kisi bhi tarah hospital pahunch jaye aur dekhiye Bhagwan ne iss ladke ko hi jariya bana liya...."
Sharmaji - "Uss ladke ke sir me bhut gahere ghav ho chuke the.. aur shayad uske sir pe kaanch ki bottle se vaar kiya gaya tha aur kuch kanch ke tukde uske dimag tak pahunch chuke the.... khoon to hospital pahunch jaane ke baad bhi bah raha tha.... hum phuran use OT me le gaye... aur itna khoon bah jane ke baad bhi OT me operation ke Waqt 1 ghante tak uski saanse chal rahi thi....aaj tak muje iss baat se hairani hai..."
Sharmaji - "Sach kahu to muje tab pata chala ki agar jine ki chahat ho, ladne ki puri koshish ho to Bhagwan bhi uska sath jarur deta hai.... aur shayad uss ladke me bhi ye chahat thi ki vo Paridhi ko kisi bhi tarah Hosptal tak phuncha de..... uss ladke ne aapki beti ko hospital tak pahunchane ke liye Waqt aur Maut se bhi ladai lad li thi... badi kismat wali thi aapki beti ki sahi Waqt pe uss ladke ki wajah se hospital pahunch gayi varan Paridhi ko jiss had tak tej bukhar tha vo uski jaan hi le leta.... vo..........................."
Rahulji kafi bhavuk ho chuke the... Sunitaji bhi bhavuk hote huve ishwar ka aabhar maan rahi thi ki usne kisi phariste ko bhej kar Paridhi ki jaan bacha li.....
Rahulji phone pe Sharmaji se baat katate huve - "Kya aap bata sakte hai ki uss ladke ki maut ke baad kya huva tha..."
Sharmaji - "Main bhi aapko vahi batane vala tha... aur shayad 7 saal pahele hi bata diya hota.. lekin aap Pari beti ko leke koi risk lena nahi chahte the isliye maine aapko nahi bataya kyu ki sab kuch samane aa jane par Media, Police aur Log tut padte aur Paridhi ko aur dard ke alawa kuch aur na milata..."
Sharmaji - "Muje uss ladke ke itne Waqt tak jinda hone se jitni hairani huyi thi uss se bhi jyada hairani muje uske maut ke baad huyi thi... jo mene abhi baat kahi ki apne 34 saal ke carrier me esa ajuba kabhi nahi dekha...."
Paridhi ke dil ki dhadkan kafi tej ho gayi thi.... Vaha itna sanata tha ki suyi gir ne se bhi aawaj aaye...
Sharmaji - "Ham puri koshish kar rahe the use bachane ki... lekin ham kamiyab nahi ho paye... aur uske baad hamne uski body ko ICU se nikalwa kar baki dead bodies ke sath rakhawa diya.. kyu ki abhi tak uski pahechan nahi ho payi thi.... aur aap bhi pura mamla media aur police me nahi pahunchne dena chahate the isliye uss ladke ki pahechan karna na mumkin sa tha.... Aur phir 1 din bit gaya.."
Sharmaji thoda puase lete huve - "Aur raat ko jab aek ward boy apni duty pe tha usse dead bodies wale kamre se kuch aawaj ayi kuch gira tha waha.. aur jab vo uss kamre mai phuncha uss ladke ki dead body gayab thi... aur uss kamre ki khidki khuli thi.. jese hi vo ward boy khidki ke pass phuncha usse vo ladka dikai diya.. lekin vo mara huva nahi tha... vo jinda tha... vo chal raha tha.. vo apne pairo pe ladkhate huve daud raha tha... vo Ward Boy to bichara dar ke mare vahi behosh ho gaya...."
Sharmaji aek lambhi saans lete huve - "Phir agle din jab hum hospital pahunche hum bhi hairan the... kisi ko uss ward boy per yakin nahi ho raha tha... hospital me dead bodies wale kamre me jo camera tha vo kafi dino se chal nahi raha tha lekin jab hamne hospital ke bahar compound me rakhe camera ko dekha ham bahut hi hairan ho gaye... vo ladka sach mai jinda tha.. aur apne pairo pe khada tha.. ladkhada raha tha aur bhag raha tha..."
Sharmaji - "Main kabhi bhut but mai nahi manata aur bhagwan mai bhi... lekin uss din ke baad jese meri soch hi badal gayi... mene khud uss ladke ko check kiya tha vo mar chuka tha naa saanse chal rahi thi naa dil dhadak raha tha... ye kisi chamtkar se kam naa tha ki vo maut se bhi ladkar jinda huva tha... ab main ise bhut kahu ya insan ya chamatakar muje aaj tak kuch samaj nahi aa raha... "
Rahulji, Sumitaji, Paridhi aur Naina jese bhut bane khade the...
Sharmaji - "Uss din muje yakin huva ki hum doctors bhale hi logo ko thik karte hai, unhe maut ke muh se nikalate hai lekin iss duniya me kai esi shaktiya maujud hai jise koi samaj nahi sakata...."
Rahulji - "Uss ladke ka naam Pavan tha... Aap ka bahut bahut sukriya Sharmaji.."
Sharmaji - "Are Rahulji kesi baar kar rahe hai... aap muje ese kah ke sharminda kar rahe hai.. aap ke liye to kabhi bhi kisi Waqt hazir hu...."
Rahulji - "Aapka ye badapan hai... Ab mai phone rakhata hu..."
Hall me khade sabhi apne apne dimag me abhi jo Sharmaji ne kaha tha use samaj ne ki koshish kar rahe the... lekin Paridhi khushi se chahek rahi thi... Rahulji aur Sumitaji bhut bane bas Paridhi ke khush chahere ko dekh rahe the.....
Vo chamtakar kya tha pata nahi lekin aek baat jarur tay thi ki Pavan ka Waqt abhi tak khatam nahi huva tha... abhi bahut kuch tha jo Waqt sab ko dikhane wala tha... isliye Pavan maut ko bhi maat de chuka tha...
~ Gabbar is Back
Majedaar update tha sir ji,,,, apne dev aur paridhi ki bonding bhi alag hi dikhai h,,,dev ke natkhatpan ne update me char chand lga diye ,,, bhot bdiya,,,,,,,,Update - 40
Hall me khade sabhi apne apne dimag me abhi jo Sharmaji ne kaha tha use samaj ne ki koshish kar rahe the... lekin Paridhi khushi se chahek rahi thi... Rahulji aur Sumitaji bhut bane bas Paridhi ke khush chahere ko dekh rahe the.....
Vo chamtakar kya tha pata nahi lekin aek baat jarur tay thi ki Pavan ka Waqt abhi tak khatam nahi huva tha... abhi bahut kuch tha jo Waqt sab ko dikhane wala tha... isliye Pavan maut ko bhi maat de chuka tha...
Ab aage.....
Paridhi apni khushi puri tarah se bata bhi nahi paa rahi thi lekin vo itni khush thi ki jese use koi khoya huva anmol hira wapas mil gaya ho..... Naina khush thi lekin uss se jyada vo shocked thi.... use samaj nahi aa raha tha ki Pavan aek aam insan maut ko kese maat de sakata tha.... uska dimag puri koshish kar raha tha Dr. Sharma ki aek aek baat ko jutha sabit karne ki lekin sach to yahi tha ki Pavan jinda tha aur maut ko bhi maat de chuka tha.....
Rahulji aur Sumitaji Pavan ke phir se jinda hone ki baat se shocked jarur the lekin uss se jyada vo Paridhi ko dekh shocked the.... vo samaj nahi paa rahe the ki Paridhi itni kyu khush ho rahi thi mana ki Pavan ne uss ki jaan jarur bachai hai uske liye khush hona banata hai lekin jiss ladke ko vo 7 saalo se aek baar bhi nahi mili, nahi dekhi, nahi suni uske liye itni khushi?.....
Paridhi Rahulji ki aur dekhate huve - "Papa, kaha tha na Pavan jinda hai... I am right... Pavan ko kuch nahi ho sakata... mera dil kahe raha tha ki Pavan jinda hai...."
Paridhi boli to jarur lekin dil labj ne Rahulji aur Sumitaji ka dhyan aur bhi khinch liya... ab to sari baate unn dono ke liye dimag se bouncer hoke hi jaa rahi thi... jab dimag hi sunn pad chuka tha tab Rahulji aur Sumitaji kya bole?... dono bas Paridhi ko hi sun rahe the...
Paridhi - "Papa, hame pata lagana chahiye ki Pavan ke sath phir kya huva?... vo ab kaha hai?... vo kis haal me hai?.. main to sab pata karke rahungi..."
Rahulji - "Pari.... Pari.... ruk jaa... aek minute meri puri baat to sun le.... Pavan?.... tum uss ladke ka naam kese janati ho?.... aur tumhe jiss ladke ne bachaya uska jinda hona khushi ki baat hai lekin tum to ese khush ho rahi jo jese tumne samadar se moti nikal liya ho?... muje kuch samaj nahi aa raha?..."
Sumitaji bhi Paridhi ko ese hi sawal bhari nigaho se dekhati hai lekin Paridhi abhi bhi apni khushi se bahar nahi aayi thi.....
Paridhi - "Vo sab me aapko baad me bataungi... abhi to bas muje khule aasman ke niche khushi ke do pal gujar ne hai..."
Paridhi teji se daudati huvi hall se bahar nikal kar sidhe laun me pahunch gayi.... aur baahe failate huve apni aankho ko bandh kar aasman ki aur sir karte huve Pavan ki dhundhali chavi ko yaad karne lagati hai... Pavan ki aawaj ko yaad karne lagati hai... chahere pe muskan, subah ki dhup ki vo kirane, khule aasman me hawa ke sath bah rahe khule baal.... aur uss se bhi badi baat ki uska rom rom khushi se esa chalaka tha ki uski sundarata har aek ang se komal gulab ke phool ki tarah khili thi....
Andar hall me Rahulji aur Sumitaji aek ke baad aek Paridhi ke ese bartav se aur bhi chaunk rahe the... vo ab Naina ki aur mude esi aash me ki Naina kuch sawalo ke jawab de de... lekin Naina kese batati?... kya batati?.... isliye Naina bhi Paridhi ke piche piche hall se nikal kar laun me aa gayi thi...
Paridhi kafi Waqt tak ese hi aankhe bandh kiye baahe failaye khadi rahi..... Naina bhi Paridhi ko itna khush dekh kar bhahut khush ho rahi thi....
Jab Paridhi ka dhayan Naina pe gaya vo daudati huyi uske pass aayi aur..
Paridhi - "Naina, hame kisi bhi tarah Pavan ko dhundhana chahiye.... ab muj se nahi raha jaa raha.... tu samaj rahi hai na muje?.... mere dil me ajib si lahere uthi hai jo baar baar muje Pavan ka vo dhundhala chahera dikha kar bechain kar rahi hai... khushi de rahi hai.... bata na kese dhundhege Pavan ko?... Muje aek baar use dekhana hai.... usski aankho me jankh kar uss apnepan aur pyaar ko dekhana hai... uss se aek baar baat karni hai..... uski baato ko aek baar pure dil me bharna hai... muje...................................."
Naina bich me kat te huve - "Are ruk ja Maharani... ruk to sahi..."
Paridhi ruk gayi Naina Paridhi ki aankho me dekh rahi thi aur phir Naina ki aankhe chalak aayi... Naina ka chahera aur bhi khil utha...
Naina - "Aaj meri Pari phir se pahele wali Pari ho gayi hai jo 7 saal pahele uss hadse se pahele thi... muje itni khushi ho rahi hai ki main tuje bata bhi nahi sakati.... lekin aek baat jarur bataungi ki hum Pavan ko jarur dhundh nikalege.. main tumhare sath hu..."
Paridhi Naina ko gale laga liya.... Lekin Naina ne Paridhi ki aankho me aek aur chij dekhi jo usne kabhi Paridhi ki aankho me nahi dekhi thi.... Naina ko nahi pata ki Paridhi ki aankhe vo chij kya bata rahi thi lekin Naina ko khushi bahut ho rahi thi....
Paridhi Naina se alag hoti huyi... Paridhi ki bhi aankhe bhari huyi thi... aur uske chahere se khushi gayab ho chuki thi....
Paridhi - "Naina, Aadi bhaiya.... muje.... jiss bhai ne apni bahen ke liye apni jaan bhi de di.... uss bahen ko apne bhai ka chahera bhi pata nahi... unki aawaj bhi pata nahi... pata nahi main unka ye karj kese utar paungi?.... muje bahut dard ho raha hai...."
Naina - "Pagali.. tere bhai ne tuj par koi ahesan thodi na kiya tha ki tu unka karj ada karegi.... vo to aek bhai ka apni bahen ke liye dil ka rista tha... jiski dor ki majabuti ne tuje sahi salamat rakha... uss bhai ko tere chahere pe sirf khushi chahiye aur kuch nahi... aur tu abhi esa sad sa face banakar use dukhi hi kar rahi hai...."
Paridhi ne apni aankho se aanshu poch liye - "Pavan?...."
Naina - "Abhi bhi tumhare pass Dyari hai na... sab kuch pata chal jayega...."
Paridhi - "Aek minute tuje Dyari kaha se mili mene to fenk di thi...."
Naina muskurai aur phir usne sab kuch bata diya ki use Dyari kese mili phir usne bhi Dyari ko padha.... aur Naina ne ye bhi bataya ki usne Dyari ko wahi tak padha tha jaha tak aaj Paridhi ne padha tha ki jab Pavan Paridhi ko bachane farmhouse pahuncha tha..... uske baad ka pahene ki Naina ko himmat hi nahi huyi thi....
Paridhi - "Thanks Nainu.. teri wajah se muje Dyari wapas mil payi aur main apne atit se jude bure hadse ke bare me, Pavan ke bare me, Aadi bhaiya ke bare me jaan payi.."
Naina muh banate huve - "Waah dekh... thanks bol rahi hai... ab phir bola na to kabhi esa dubara nahi karungi..."
Paridhi - "Okey, Okey baba nahi bolungi...."
Tabhi piche se koi teji se daudta huva aaya aur piche se hi Paridhi ko lipat gaya.... Paridhi pahele chuanki lekin phir muskurane lagi... Paridhi ko pata chal gaya ki ye kon tha.... Paridhi ka pyara bhai Dev....
Dev - "Pari didu.... Happy Birthday Didu...."
Paridhi piche mudi aur ghutno pe beth kar Dev ko gale laga diya
Paridhi - "Thank you so much betu... Thank you.. chal bata mere liye kya gift laya hai?....."
Dev muskurate huve Paridhi ke samane ghutno ke bal beth gaya aur Paridhi ke hath ko apne hath me lete huve
Dev - "Chand Tare kya chij hai aap kahe to pura aasman chura laye.... Pani kya chij hai aap kahe to pani me bhi aag laga de...... Phool kya chij hai aap kahe to puri wadio ko tod laye.... Pahad kya chij hai aap kahe to pura kashmir utha laye.... aap kahe to puri duniya ko aapke kadamo me bicha de....."
Paridhi bahut khush hote huve - "Ohh... so sweet....."
Dev muh banate huve - "O... hello.. madam ese so... sweet... kahene se kaam nahi chalega.... pure school time ko waste kar practice ki hai dialogues ki..... kitna dimag lagana bada hai sare dialogues ko banane ke liye..."
Dev khade hote huve - "Pata nahi kaha kaha se aa jate hai... koi parwa hi nahi... bas so sweet bol do.... kisi ki feelings ki koi kadr hi nahi.... hai bhagwan kya hoga iss duniya ka..."
Dev hasta huva duadne laga aur piche piche Paridhi daud rahi thi... dono ke shor machane se Rahulji aur Sumitaji bhi bahar aa gaye.... jiss se Dev Paridhi se bachte huve apni mom ke piche chupane laga....
Paridhi - "Betu.... tu... rook.... abhi batati hu tuje... ki muje koi parawa nahi... ruk tu wahi... mamma aap hath jaiye..."
Dev khud ko Paridhi ke hatho se bachate huve - "Aap ke pass dault hai... shauhraht hai... paisa hai... naam hai... lekin mere pass maa hai maa.... kyu sahi kaha ne mene mamma..."
Sumitaji apni hasi rok hi nahi paa rahi thi...... Dev aur Paridhi abhi Tom & Jerry ki yaad dila rahe the aur sab thahake laga rahe the.
Tabhi Dev Sumitaji ki aawaj nikal kar - "Pari beti... kuch to sharm karo... ab tumhari khelne ki umr nahi rahi... apni umr ka to lihaj karo... kyu mere bete ko ese pareshan kar ke bhaga rahi hai..."
Aur phir se aek jor ki thahake ki laher uthi.... Dev bada hi natakhat tha isliye sab ka pyaar tha.... kisi ko bhi kuch palo me hasa sakata tha.... Lekin Dev ki bate Paridhi ko aur bhi uksa rahi thi ab Paridhi aur bhi tej daudne lagi... aur phir usne Dev ko pakad hi liya aur Dev ko laun pe hi lita ke uske pure badan me gudgudi karne lagi...
Paridhi - "Kyu bachhu bahut bol rahe the ab kyu nahi bol raha...."
Dev - "Chod dona di.... bas majak hi to kar raha tha..."
Dev ne esa muh bana liya ki Paridhi pighal gai aur use chod kar khud uske baju me hi daudne se hafte huve lit gayi....
Dev kahda hota huva aur Paridhi ko bhi khada kiya aur phir Paridhi ko gale lagate huve - "Happy Birthday Didi..."
Paridhi ne bade pyaar se Dev ke sir ko sahelate huve uske galo pe aek kiss kar diya - "Thank you betu..."
Dev - "Pata hai Di maine aapke liye aek gift laya hu..."
Paridhi bahut khush ho gayi - "Bata na kya laya hai mere liye?.."
Dev apne bag mai se aek packet bahar nikalata huva - "Ye lijiye.."
Paridhi bahut khush hoti huyi packet kholne lagi... usme aek bahut hi khubsoorat bracelet tha jiss pe bhut hi sundar shabdo mai PARIDHI likha tha...
Paridhi itna sundar bracelet dekh bahut khush huyi - "Wow... kitna sunder hai... thank you so mach betu..."
Dev - "Aakhir bhai kiska hu... meri sabse khubsoorat di ke liye sabse khubsoorat bracelet"
Paridhi - "Lekin tumhare pass itne paise kaha se aaye.."
Dev - "Wo mai jo saal se pocket money bacha raha tha uss se liya hai.."
Paridhi ki aankhe bhar aayi usne Dev ko apne sine se laga diya - "Tumne mere liye apni puri pocket money kharch kar di..."
Dev - "Di aapko pata hai na mai kitna pyaar karta hu aapse.. phir bhi aap esa kah rahe hai..."
Aur phir Dev chahere pe aek muskan lake - "Aur jesa ki mene kaha aap ke liye aasman bhi chura layenge..... Aur ab ye mat kahena ki jav aur aasman chura lao... esa nahi hai ki mai chura nahi sakata... lekin vo kya hai na aaj thoda kaam jyada hai.. isliye ye aasman chura ne wali baat ko kal ya parso karenge... aur vo pani mai aag lagane wali baat usko bhi parso hi karenge.. aur Kashmir to ham ghum ke aayenge.. kham kha kyu kashimr walo ko yaha le kar aaye...."
Sab hasne lage... Paridhi ne Dev ko phir se gale laga diya... aur uske mathe ko chum liya... aakhir vo uss se bahut pyaar jo karti hai...
Ghar me charo aur khushiya phaili huyi thi aur sab bari bari se Paridhi ko wish karne lage.. aur sab ne apni aur se gifts bhi diye... lekin koi aur tha jo waha hoke bhi shamil nahi tha..
~ Gabbar is Back