- 268
- 762
- 93
Pavan aur Avinash ki paheli bhi kahani ko puri tarah se romach se bhar degi..Is avinash me mujhe koi jhol najar aa raha hai usne dayri padh li tav kah raha hai wo Pawan hai ya uske mom ya dad ne padha ho usne bataya ho
Pavan aur Avinash ki paheli bhi kahani ko puri tarah se romach se bhar degi..Is avinash me mujhe koi jhol najar aa raha hai usne dayri padh li tav kah raha hai wo Pawan hai ya uske mom ya dad ne padha ho usne bataya ho
Ab ye dayri kisne uthayi,,, paridhi ke mom dad to uthaane se rahe, to kahi dev ne hi to nahi??Update - 45
Paridhi – “Aur iske andar ki likhawat?...”
Rahulji – “Vo bhi kisi bahut purani language main likha huva hai… jo kisi ko nahi aati…"
Paridhi ka dimag ke charo aur bas ye Ring hi chayi huyi thi…
Paridhi phir Ring ko apne hatho me lete huve apne hotho se budbudai – “Anmol Ring……”
Ab aage.....
Ring thi anmol lekin abhi ye Ring Paridhi ke sawalo ke jawab dene ke bajay aur bhi jyada sawal khade kar rahi thi…
Ab tak Paridhi ke dimag me Avinash aur Pavan ke aek hone ke sawal dhum rahe the aur ab iss chote se dimag me Pavan aur itni khas Ring ke sambandh ke bare me bhi sawal ghum ne lage….
Sawal jine Paridhi ko aur bhi jyada pareshan kar diya…. Sawal jiske jawab Paridhi ko har haal me chahiye the…
Sawal ki Kya Avinash aur Pavan aek hai?.... Sawal ki kya ye Ring Pavan ki hai?.... Sawal ki agar ye Ring Pavan ki hai to use itni khas Ring kese mili?.... Sawal ki Pavan ki asli sachhai kya hai?.....
Pavan jo aaj tak Paridhi ke liye aek chota anath bachha tha aaj aek badi si paheli ban gaya tha….. aur iss paheli ka jawab Paridhi ko kahi nahi mil raha tha…. paheli jo suljane ke bajay aur bhi ulaj rahi thi...
Lekin inn sari bato me aek baat sachhi thi jo jarur ubharkar samane aayi thi ki ye anmol Ring Pavan ki hi thi….
Paridhi ke dimag me Pavan ki Dyari ke page ki vo jalak dikahi di jisme Pavan ne likha tha ki uske pass aek anguthi thi jise usne 9 saalo se chupa ke rakha tha…. Aur yahi anghuthi uske liye uske pariwar ko dhundhane ke liye aek matr jariya thi…
Ring Pavan ki hone ke bawajud bhi Pavan naam ki paheli sulaji kaha thi….. Subah tak Paridhi ke dil me Pavan ko dhudh ne ki chahat Avinash se milne ke baad aag ka rup le chuki thi….
Avinash ne bhi apne hotho pe tala laga liya tha aur abhi Rahulji ke pass se bhi iss Ring ke alawa esa koi thos sabut nahi mil paya tha jiss se Pavan ki pahechan ho sake…..
Aur ab Paridhi ke samane Pavan ki sachhai pata lagane ka aek matr jariya Pavan ki Dyari thi… Pavan ki Dyari jo Paridhi ke har sawal ka jawab de sakati thi….
Paridhi – “Papa… kya ye Ring me apne pass rakh sakati hu?....”
Rahulji – “Thik hai…”
Paridhi sofe se uth ne hi wali thi ki Sumitaji ne use rokate huve
Sumitaji – “Pari beta… Avinash ke sath tumhari paheli date kesi rahi vo to bata do…”
Paridhi – “Achhi rahi maa….”
Sumitaji thode utavalepan se – “Aur phir?...”
Paridhi – “Aur phir?..... kuch to nahi… mamma abhi aaj sirf paheli baar hi to kahi bahar gaye hai….”
Paridhi ring ko dekhate huve dhire se budbudate huve – “Avinash to muje kuch batane se naa raha lekin phir bhi muje pata hai muje sare sawalo ke jawab kaha se milenge….”
Paridhi Sumitaji aur Rahulji se apne vida lete huve tej kadamo se apne room ki aur jane lagi…. Use jaldi se Dyari ko aage padhana tha…
Lekin jese hi Paridhi ke apne room me dakhil hote huve hi jab uski najare farsh pe padi to jese Paridhi ke aage badhate pair hawa me hi rook gaye…. Paridhi jese puri tarah se shocked thi farsh ki uss jagah ko dekh ke....
Paridhi ki najaro ke samane farsh pe kuch nahi bhi nahi tha…. Paridhi ke jo pair hawa me ruke huve the vo pair teji se farsh pe lapke aur Paridhi farsh pe jaha uski najare gadi thi vaha pe beth gayi aur apni najaro se pagalo ki tarah kuch dhundhane lagi…
Paridhi – “Dyari…. Dyari kaha gayi?.....”
Paridhi apne hatho ko farsh pe ghumate huve – “Kaha gayi Dyari?…. Subah Dyari mere hatho se chutkar yahi pe hi to giri thi...."
Paridhi kadhi hoke kamare me charo aur Dyari ko dhundhane lagi…. Uska dil kisi Dyari ke gayab hoja ne ke dar se ghirane laga…. Aur yahi dar Paridhi se pagalo ki tarah Dyari ko dhundhava raha tha….
Paridhi hanfate huve - "Yahi farsh pe hi to padi thi.... phir kaha chali gayi?....
Paridhi ka kamara jo abhi tak saaf shudhara tha kuch hi palo pura kabadkhana ban chuka tha….
Kamare ki chari chije yaha se waha bikhari padi huyi thi aur abhi bhi Paridhi kamare ke har kone me Dyari ko dhundh rahi thi….
Pure kamare ka tinka tinka hilane ke baad bhi Dyari nahi mil rahi thi… Paridhi ka dil me dar badhane laga…. Paridhi jo pahele se pareshan thi vo ab aur jyada pareshan ho gayi….
Dyari gayab ho chuki thi…. Paridhi ki aankhe apne aap hi aanshuo se chalak uthi aur vo dham se bed pe gir padi…..
Vo thak chuki thi lekin uski aankhe abhi bhi kamare ke kone kone me Dyari ko tarash rahi thi…. Lekin sath me aanshu bhi baha rahi thi….
Paridhi - "Naina ko pata hoga.... Haa... usne kahi rakh di hogi.... subah Naina bhi to yahi thi..."
Paridhi phir se Dyari milne ke aash me bed se khade hote huve Naina ko phone lagati hai...
Paridhi - "Naina.... utha na phone...."
Aur phir samane se Naina ne phone uthate huve - "Ho bol maharani..."
Paridhi teji se - "Tune vo Pavan ki Dyari kahi dekhi hai?...."
Naina - "Pavan ki Dyari?..... Nahi to maine kahi nahi dekhi... kyu?... kya huva?"
Paridhi Naina ki baato se pareshan ho gayi - "Dyari kahi nahi mil rahi hai..... mene pura kamara dhundh liya lekin Dyari kahi nahi rahi hai..."
Naina Paridhi ki baat se shocked hote huve - "Dyari nahi rahi hai?.... kya matalab ki Dyari nahi mil rahi hai?.... subah farsh pe hi padi thi..."
Paridhi ki aawaj roni si ho gayi - "Farsh pe hi padi thi... lekin abhi jab main kamare me wapas aayi to Dyari gayab thi... maine pura kamara ka har kona dhundh liya lekin kahi nahi mil rahi hai..."
Naina Paridhi ki rone ki aawaj pahechan gayi jiss se Naina bhi aur jyada hairan rah gayi...
Naina - "Dekh mil jayegi.... ruk abhi main tumhare ghar aa rahi hu.... sath main dhundhenge to mil jayegi.."
Paridhi ab puri tarah se rote huve - "Haa.. jaldi aana..."
Naina - "Haa bas aek minute me pahunchi.."
Naina phone rakahte huve - "Paridhi to Avinash ke sath bahar gayi thi phir ye achanak Pari aur Avinash ke bich Dyari kaha se aa gayi..... aur Paridhi itni pareshan bhi lag rahi thi.... aur Dyari kaha chali gayi?...."
Naina teji se Paridhi ke ghar jane ke liye kamare se nikal gayi... aur yaha Paridhi aek baar phir se pura kamare me Dyari dhundhane me lag gayi....
Naina bhi jab Paridhi ke kamare me pahunchi to samane ka najara dekh aur bhi jyada shocked rah gayi.... Paridhi ne Dyari ki talash me pure kamare ki halat bahut buri tarah se bigad di thi....
Naina Paridhi ki aur dekhate huve - "Pari....."
Paridhi ki najare Naina ki taraf padate hi bhagate huve Naina se lipat gayi - "Naina dekh na Dyari kahi nahi mil rahi hai?...."
Naina - "Mil jayegi..... main bhi madad karti hu... yahi kahi hogi..."
Paridhi - "Nahi hai.... har jagah ko do baar dekh chuki hu...."
Naina - "Thik hai... lekin tum jab fresh hone ke liye kamare me wapis aayi hogi kya tab bhi tumne Dyari nahi dekhi thi...."
Paridhi yaad karne lagi ki Avinash ke sath jane se pahele vo kamare me fresh hone ke aayi thi tab usne Dyari wahi farsh pe padi dekhi thi ya nahi.....
Paridhi - "Nahi... muje kuch yaad nahi aa raha ki Dyari yaha farsh pe thi ya nahi.... uss Waqt mera dhyan Avinash ke sath bahar jane pe hi tha..."
Paridhi phir se aanshu bahane lagi.... Naina Paridhi ko bed pe bitha deti hai.... Naina bhi kamare me charo aur apni najare ghuma rahi thi...
Paridhi - "Pata nahi Dyari kaha chali gayi?...."
Naina - "Ye bhi ho sakata hai ki kisi ne Dyari ko le liya ho...."
~Gabbar is Back
paridhi ki mom.............. wo bharose layak nahi lagti mujhe.............Ab ye dayri kisne uthayi,,, paridhi ke mom dad to uthaane se rahe, to kahi dev ne hi to nahi??
Dekhte h kya hota hai,,,,, story bhout bdiya ja rahi hai,,,,
Keep it up
Waiting for next update
Thanks Black water bhai ....Nice update bhai
Dyari jane ke baad Paridhi kese apne sawalo ke jawab khoj payegi ye bhi sochane wali baat hai...Ab ye dayri kisne uthayi,,, paridhi ke mom dad to uthaane se rahe, to kahi dev ne hi to nahi??
Dekhte h kya hota hai,,,,, story bhout bdiya ja rahi hai,,,,
Keep it up
Waiting for next update
Baat me dam hai kamdev99008 bhai....paridhi ki mom.............. wo bharose layak nahi lagti mujhe.............
mauke ko dekhkar rang badalne wali
avinash ko promote karne mein bhi paridhi ki mom ka hath hai..............
aur paridhi ki yaaddast mitane mein bhi
Jane ke baad main h pahle gaya h laha dairyDyari jane ke baad Paridhi kese apne sawalo ke jawab khoj payegi ye bhi sochane wali baat hai...