Update 5
Sabhi bache abhi baat kar hi rahe thy ki piche se ek pyari si awaj aati hai, jaab saab piche mudd te hai to ek ladki khadi thy,
Pink dress, badi badi ankhe, lambe baal, kamar pe ek rabbit ka purse, aur sar mai rabbit ka kaan ka clip jo hawa mai hil raha tha, aur hath mai rabbit ka pink bag, yesa lag raha tha ki wo ladki ko rabbit bahut jyada pasand hai.
Veer baas usse hi dekhe ja raha tha isiliye,
W Veer ke kaan ke paas : mixed-gender housing hamare school mai allowed hai. Haam abhi bache hai aur hamara school dorm gender neutral hai.
Per hamesha ye intermediate school ke hostel mai hota hai per iss baar junior hostel mai suru ho gaya pata nahi kyu? Ye baat bahut ajib hai.
Jaab W aur Veer baate kar rahe thy to wo ladki aage ki aur chalte chalte Veer ke samne aake khadi ho jati hai.
W : pichle saal hamme ek bhi apprentice join nahi hua tha, per iss saal 2 new apprentice join huye hai.
Boss, jao apna kuch skill dikhao…..
Veer : mai?
W : yes…wo ek newbie hai hame uski abilities test karna hoga. Aab jao….
Ye kehke piche se ek Dhaka de deta hai Veer ko jisse Veer aage ki aur jhuk ke aage badh jata hai, Veer abhi uss ladki se takrane wala tha ki khud ko sambhalne mai kamiyab ho jata hai aur wo ladki bhi Veer ko yese aage aate huye dekh ke rukh jati hai.
Veer bhi rukhne ke baad us ladki ko dekhke ek weird sa smile deta hai aur apna hath apne sar ke piche leke apna sar khujane lagta hai, wo ladki baas Veer ko dekh rahi thy.
Veer uss ladki ko dekhte huye W se : mujhe lagta hai ye necessary nahi hai.
Wo ladki bina kisi ke parwah kiye apna intro dene lagti hai,
Ladki : hello everyone, mera naam Zara hai. Mai yanha nayi hun iss dorm 7 mai.
Veer : hi, mai Veer hun…iss dorm ka chief….tum mujhe mera naam se bula sati ho.
Kya mai Jaan sakta hun tumhara martial soul ke bare mai?
Zara : apni sar mai lagi rabbit ear ko hila ke, yes....mera martial soul ek rabbit hai white rabbit.
Tumhara kya hai?
Veer : mera martial soul tumhara martial soul ka khana hai Blue Silver Plant.
Blue Silver Plant ke naam sunke Zara apni munh pe hath rakh ke hasne lagti hai. Fir,
Zara : ye majedaar hai, kya mai iss dorm mai welcome hun.
Zara ki baat se Veer kuch hadbada jata hai, fir…
Veer : wo baat ye hai ki….wo…dorm 7 ka kuch rule hai, jo naya aata hai to wo apna martial souls ability ko dikhata hai aur dorm boss ke sath ek friendly fight karta hai.
To mai iss dorm ka boss ke tour pe tumhare sath ek friendly fight ladhna chahta hun.
Veer ki baate sunke Zara smile karte huye,
Zara : kya tum sure ho iss baare mai?
Veer : han….
Zara : ok….
Ok kehke apna hath mai pakda pink rabbit bag wanhi paas ke ladke taraf kar deta hai, Wo ladka bhi thodi der ke liye kuch samajh nahi pata hai ki Zara ne uske taraf bag kyun badhya hai, fir jaab samajh gaya to wo Zara ke hatth se bag le leta hai. Bag ladka le jane ke baad,
Zara : to suru kare….ye kehke kuch 5-6 step piche le leti hai aur jake calmly khadi ho jati hai.
Veer bhi usse dekhne lagta hai. Thodi der ke liye koyi kuch nahi karta hai baas dono ek dusre ko dekhne lagte hai.
Fir ek smile ke sath Zara wanha se gayab ho jati hai asal wo gayab nahi huyi thy wo kafi speed se move ki thy aur uski movement ko baas Veer hi dekh pa raha wo bhi apne purple demon eye ki wajah se.
Jaab Zara gayab huyi taab hi Veer ne apna skill use kar liya tha.
Zara wanha se gayab hoke ek kick jadd deti hai Veer ke face pe jisse Veer apni hath ko jod ke bach jata hai, Zara itne mai nahi rukhti hai wo immediately apna body bend kar leti hai aur Veer ke leg ko target karke marti hai, per Veer satark tha to back flip mar ke thoda piche chala jata hai, per jaab Veer piche land karta hai zara taab tak ek aur kick ghuma di thy jisse Veer apne body ko back side bend karke bach jata hai aur apna hath ke sahar ek back flip marke thoda dur chala aata hai.
Jaab Veer back flip maar raha tha Zara bhi front flip marke Veer ke upar ek aur kick jaad deti hai jisse ki Veer firse apna hath ke sahare block kar deta hai.
Yese hi pata nahi kitne move Veer aur Zara ke bich mai exchange ho chuka tha Veer baas block kar raha tha aur Zara baas Veer ke upar hamla kar rahi thy aur usko piche ki aur khiska rahi thy.
Zara ne hawa mai hi ghum ke ek kick marti hai Veer ko jisse Veer rokh leta hai aur uss ka impact se paas mai chal raha candles bhi bujh jata hai.
Jaab Zara ka ye kick bekar hota hai to Zara back flip marke thoda piche aajati hai,
Zara : are you ok? Ye baat Zara ne issliye boli thy ki unse iss attack mai apna 60-70% power use kiya tha.
Veer kuch nahi bolta per dorm ke baaki bache W ke sath boss…boss..ki awaj lagana suru kar dete hai, aur Veer ko motive karne lagte hai.
Aab Veer bhi apna martial art dikhana suru kar deta hai jo sikha tha pichle jindegi mai, Zara baar baar uske punches aur kicks se bach rahi thy aur jo Zara mar rahi thy Veer ko Veer Ghostly Trace aur purple demon eye ke help se bach raha tha, aur wo dikne mai yesa laag raha tha ki Veer Sutter ho raha tha.
Sayad Zara ko aur khelne ke mood mai nahi thy to usne apna best move show karti hai, kafi speed se wo Veer ke taraf bhagti hai, Veer usse punch marne hi wala hota hai ki Zara uska hath pakad ke uske piche chala jata hai aur jaab veer usko piche pakad ne ke liye hath badhata hai to Zara Veer ka right hand pakad ke hawa mai upar ho jati hai per Veer ki hath ko chodti nahi fir hath ko sarka ke veer shoulder pe dono hath rakh leti hai aur hawa mai ghum ke pet pe ek kick de marti hai wo bhi soul power ke use se, jisse Veer dur jake girta hai munh ke baal.
Dorm 7 ke sare bache herani se dono ko dekh rahe thy, dono ne kafi acha ladhe thy. Abhi bhi Zara ke face ek pyari si smile thy jesse pehle thy, fir wo aage badh ke Veer ke paas chali jati hai.
Veer wanhi niche pade pade hi badbadaye ja raha tha : sayad mai dorm 7 ka sabse kaam samay ka boss raha hun. Fir apna sar ko jhatka deta hai.
Zara : Veer tum thik to ho na?
Veer khada hoke Zara ko dekhta hai fir,
Veer : mai haar gaya. Kya tum mujhe bata sakti ho, ye konsi skill tumne use kiya hai abhi?
Zara : sure..ye Rou skill hai…ye skill mai hamare body ka softness aur flexibility jyada use hoti hai. Fir wapas uss ladke pe paas chali jati hai jisko apna bag pakadaya hua tha.
Veer : Rou skill….(mann mai : sabhi famous clan martial world mai including Mystrious clan, maine kabhi bhi yesa martial art nahi dekha hai. Ye skill behed hi powerful lagti hai sath mai risky bhi.
Kesse mai usko pakad nahi pa raha tha aagar mera Speed response acha hota to sayad kuch aur result hota.)
W paas ke khade ek aur student se : iss saal naye students kafi skillful hai na?
Veer Zara se : dorm 7 ke rule ke hisab se tum jiti, aab se tum iss dorm 7 ki leader which means tum hamara new boss ho.
Sabhi bache : that’s right.
Zara : boss…. Interesting….ok to mai tumhara boss hun aab se.
Sare bache jhuk jate hai aur Zara unke bich mai chalti huyi aage chali jati hai. Jaab Veer kuch nahi karta hai to W usse khinch ke apne side khada kar deta hai aur usko jhuka deta hai Zara ke samne.
Zara apne bed ke paas pahunch ke,
Zara : ye thik hai, aab dismiss.
Jaab Veer dusre bed ke taraf jata hai aur apna saman rakh deta hai to Zara bhi uske paas ke bed ke paas chali jati hai, uss bed pe pehle se hi ek ladka betha hua tha jaab Zara uss bed ke paas gayi to wo ladka wanha se uth ke chala gaya.
Zara bhi Veer ke bed ke side apna saman rakh ke usme beth jati hai.
Zara Veer ko dekh ke : Veer, tumhara soul power level kya hai? Jaab mai tumse ladh rahi thy mujhe yesa laga tum strong ho per mere se thoda kaam.
Veer apna saman lagate huye : mai full soul power ke sath born hua hun. Isi wajah se sayad tumhe ye laga hoga.
Saare bache : kya full soul power?
W (mann mai) : isiliye wo mujhse jyada powerful hai.
Tabhi wanha ek admi aata hai,
Admi : Veer koun hai?
Veer bhi uss admi ko dekh ke : ji mai….
Wo admi bhi Veer ke paas aajata hai,
Admi : mera naam Mo hai, ye new bedding (isme ek bedsheet aur blanket tha) apko master ne diya hai.
Veer bhi wo le leta hai,
Veer : thank you Mr. Mo….
Mo iss hostel ke teacher thy, Veer ko bedding dene ke baad sabhi bacho ke taraf mud jate hai,
Mr. Mo : Veer aur Zara iss year new student hai asha hai aap sabhi inke sath dosti karenge. Fir Veer aur Zara ko dekhte huye tum dono field ke paas wala garden ke South side ka incharge ho usme tumhe kaam karna hai, tumhe tumhare kaam ke 10 copper soul coin har roj milenge, aagar tumne laparwahi ki to tum fail bhi ho sakte ho.
Veer : thik hai….
Mr. Mo : kal opening ceremony hai school mai. Tumhe apna kaam suru karna hai parsho se. Mai check karne bhi aata rahunga kabhi kabar.
Aagar kuch question hai to tum W se puch sakte ho.
Veer and Zara : thik hai….
Fir Mr. Mo chale jate hai. Zara baas Veer ki bedding ko hi dekh rahi thy kyun ki uske paas nahi tha.
W aur kuch kuch ladke apne bedding le aate hai aur Zara ko offer karte hai.
Per Zara sabhi ke bedding ko dekhti hai fir Veer ke paas aajati hai.
Zara : Veer chalo iss matter ko discuss karte hai. Tumhara bedding bada hai aram se do loog isse use kar sakte hai.
Kya kehte ho, hamara dono ka bed ko ek karke ye ek hi bedding ham use kare.
Veer : kya…sath mai…kya ye thik rahega, haam dono ko karib aana.
Zara sidhe Veer ke paas jake uske chest pe ungli rakh deti hai fir veer ke ankho mai dekh ke bolti hai,
Zara : mai ek ladki hoke aagar mind nahi kar raha hun to tum kyun mind kar rahe ho.
Zara ki baate sunke sare bache ek dusre ko dekhne lagte, aur idhar Zara baar baar Veer ke chest mai ungli maar rahi thy,
Zara : tum kis liye wait kar rahe ho? Jaldi….mera bed ko tumhara bed se connect karo…
Pata nahi kyun per Veer bhi Zara ki baat manke Zara ki bed ko move karne lagta hai per ho nahi pa raha tha.
Zara : maine socha tha tum strong honge…yese hi baate karti rahi aur Veer ko motive karte rahi,
Akhir kaar Veer ne bed ko move karke do bed ko milake ek kar diya. Aur thak ke wanhi bed niche farsh pe beth jata hai,
Zara aage badh ke kaman sambhal ti hai, bedding ko ache se dono bed pe use karti hai jesse ki bedsheet ko bed pe ache se set kar deti hai fir blanket ko bhi ache se saza deti hai, fir apne bag ko bicho bicho rakh ke,
Zara : abhi se ye hamara border hoga. Aagar tum border paar kare to mujhse bura koi nahi hoga, ye baate bolte time Zara apni muthi ko dikhati hai.
Veer Zara ko dekh ke ek gehri sanse chod ke wanhi betha rehta hai aur apna sar ko naa mai hilata rehta hai.
Fir veer aur Zara, W ke sath khana khane ke liye hostel ke canteen mai jate hai,
Zara : woooow kitna bada hai….ye pehla word nikla tha Zara ke munh se jaab wo canteen dekhi to,
Canteen bahot bada aur sunder tha.
Fir charo aur ghum ke dekhne lagti hai. Sabhi bache hostel ke wanha khana kha rahe thy.
W : iss canteen mai 300 se bhi jyada students aur teachers kha sakte hai ek hi baar mai, beshak ye bahut bada hai.
Zara : chalo chalte hai mujhe bahot joro se bhuk lagi hai.
Abhi ye teeno W, Veer aur Zara aage badhne hi wale thy ki unke kaan mai kuch baate padti hai jo ki 1st floor se kisine kahi thy,
Awaj : aare dekho to kon aaya hai, W aur uska poor gang….
Jaab Veer upar dekhta hai 3-4 ladke khade thy. Aur unme se jo unka leader tha wo iss baat ko bola tha wo ladka itne mai bhi nahi rukhta hai baas bolte jata hai,
Ladka : aagar tum poor ho to hamesha poor hi rahoge. Inke liye first floor mai aake khana impossible hai.
Uss ladke ki baat sunke W apni muthi kass leta hai gusse se. Jisko Zara ne dekh liya tha to,
Zara : tum kon ho? Aur first floor isme itna acha kya hai?
Ladka : wow, tum sach mai pretty ho little girl, per ye baat bhi buri hai ki tum sirf ek apprentice ho.
W Zara ko : first floor pe aap personally kuch bhi order kar sakte hai aur kha sakte hai, aur uska price bhi high hai, jisse haam afford nahi kar sakte.
Ladka W se : W, mai abhi khane ja raha hun, iss baar tumhe jane de raha hun.
ye ladka hamesha W aur uska gang ko bully karta hai.
Zara bhi uss ladke ki baat sunke gusse mai thy jaab ladka yesa bola to Zara uske upar chilane hi wali thy ki taab tak wo ladka ja chuka tha, to Zara apna gussa mai apna pair patak ke aage jane lagti hai uss ladke ke piche, to Veer aage badh ke Zara ka hath pakad leta hai,
Wo itne speed se gaya tha ki W bhi ek baar heran ho jata hai,
W (mann mai) : Veer wo kaab paas hua mere side se wo bhi itne fast….
Veer : bura maat mano…haam yanha Khana khane aaye hai.
Zara : tum darte ho trouble se.
Veer kuch nahi bolta baas apni previous life ke clan kr rule ko yaad karne lagta hai, pata nahi Zara ko kya hota hai, jo wo gussa thy usko bhul jati hai Veer ke ankho mai dekh ke.
Veer (mann mai) : mere clan ke hisab se pehle hame koyi bhi trouble create nahi karna chahiye.
Zara : never mind, chalo khana khate hai pehle, baad mai unko sabak sikhayenge.
Ye kehke apna hath chuda ke wanha se chali jati hai khana khane aur W bhi uske sath jata hai.
Veer (mann mai) : aagar koyi tumpe pehle attack karta hai to hame fight back karna hai wo bhi hamara full potential ke sath.
Fir Veer bhi Zara ke piche piche chala jata hai. Abhi ja hi rahe thy ki Veer apne master ko dekhta hai, to unke paas chala aata hai,
Veer : master, aap bhi yanha khane ke liye aaye hai.
Master : hmm…kya tumne apna saab kuch thik kaar liya hai?
Veer : hmm…thank you apne jo bedding diya hai uske liye.
Master : mere sath aao first floor pe khane ke liye, aur iss jagah ko ache se bhi dikha deta hun tumhe mai.
Veer master ki baate sunke Zara aur W ke taraf dekhta hai, jo abhi khana ko dekh rahe thy.
Sabhi khana ko dekh ke Zara ke munh se baas Woooow hi nikal ta hai.
Zara : kya isme se jo bhi hai ham kha sakte hai to mai Khana suru kar raha hun ye itna delicious dikh raha hai ki mai aur control nahi kar sakti.
Per jaab Veer ko dekhti hai to master ke sath baat kar raha tha to Zara wapas Veer ke taraf aajati hai.
Veer : thank you master, per mai mere dorm mates ke sath hi khana chahta hun.
Master : good, aap ek awara (maverick) ke tarah act nahi kar rahe hai. Mera intezar karna canteen entrance ke paas khana khane ke baad.
Veer : thik hai master….
W Veer ke paas aake : kya tum master ko jante ho?
Veer : wo mere teacher hai.
W : kya tumne master ko apna teacher bola? Fir sushti bhari sans chod ke,
Unki ability average hai. Unke bare mai ek rumored hai ki unka principal ke sath acha relationship hai isiliye wo guest teacher ke tour pe kaam karte hai yanha.
Maine suna hai ki wo almost 50 ke aas paas hai fir bhi wo big soul master level mai hi hai, unka martial soul level sirf 29 hi hai.
Wo isse upar ja hi nahi sakte kabhi bhi.
W ki baate sunke Veer usko pehle ghurta hai fir,
Veer : ye first time hai aur mujhe asha hai ye hi apka last time bhi hoga, agar aap mere sath fight nahi karna chahte hai to, kabhi bhi mere teacher ke upar kisi bhi tarah ki comments maat karna.
Aur mujhe acha laga apki good intentions ke liye.
Aur fir bahar ki aur chala jata hai bina kuch khaye….
Chalte hai thoda mohan Veer ke papa ko dekh ke aate hai,
Mohan apne ghar mai bethe bethe baas Veer ke baare mai hi soch raha tha,
Jaab Veer hammering kar raha tha jaab galti karta to Mohan uske paas jake uska hath pakad ke usse sikhata tha.
Jaab Veer ne Mohan ke kahe anusar 10000 time hammering complete kiya tha taab Mohan ko badi herani huyi thy kyun ki Veer ka hath ek daam sahi salamat tha bina kissi chale ke isiliye usko herani huyi thy.
Fir Mohan ko yaad aata hai jaab Veer chala gaya tha school to wo dukhi ho jata hai.
Wapas school chalte hai,
Idhar master Veer ko apne cabin mai le aate hai khana khane ke baad.
Master ke cabin mai charo aur baas book hi book thy aur ek side ek bed pada tha aur ek table and chair.
Master ander aane ke baad Veer ko kuch khane ke liye de dete hai jaab Veer bina khaye wapas aagaya tha canteen se to master ne bhi dekh liya tha.
Master : ye lo kha lo, tum abhi growth kar rahe ho tumhe abhi khana ache se khana chahiye.
Veer : master…..
Master : jaldi karo, kha lo jaab khana garam hai taab. Khane ke baad baat karte hai.
Veer khana khane taak master baas usse hi dekh rahe thy, khana khane ke baad,
Master : mujhe tumhara dusra martial soul dekhna dikha sakte ho.
Veer : thik hai master, aur master apko mujh se permission lene ki jarurat nahi hai aap mujhe order kar sakte hai, mai apka student ke tour pe ussa pura karne ka pura prayas karunga.
Fir apne left hand ko aage kar ta hai aur apna martial soul ko yaad karta hai.
Veer ke left hand ke palm mai dhire dhire ek hammer aajata hai ghumte huye.
Master ne jaab dekha to wo apne seat se khade ho jate hai.
Master : ye….ye….
Thik hai isse withdraw karlo. Aur yaad rakho isse kabhi bhi dusre ke samne maat lana aur na hi kisi dusre ko dikhana.
Mere permission ke bina tum kabhi bhi isme koyi bhi soul ring add maat karna.
Veer : papa ne bhi yanhi kaha tha.
School aane se pehle,
Fir veer batata hai ki mohan ne kya kaha tha usse,
Mohan : mujhe tumse ye bhi promise chahiye, no matter tum kesse apna soul power ki practice karte ho per kabhi bhi koyi bhi soul ring apne hammer martial soul mai add nahi karoge.
Aur sabse jyada jaruri kabhi kisi dusre ko apna ye soul nahi dikhaoge aur kabhi bhi ye maat batana ki tumhara twin martial soul hai. Kya tum ye kar sakte ho?
Master ne Veer ki baate sunke,
Master : tumhare papa kya job karte hai?
Veer : wo blacksmith hai village mai.
Master : blacksmith? Fir ek thandi si sanse chod ke apne seat pe wapas beth jate hai,
Blacksmith and hammer dono kafi ache jodi daar hai.
Veer : master mai iss martial soul mai kyun soul ring aad nahi kar sakta?
Master : abhi wo time nahi aaya hai ki tumhe wo baat bata saku. Tum apne dimag mai baas yr rakh lo ki ye tumhara future ke liye hai, thik hai.
Veer apne left palm ko dekh ke papa ne jo baat bole thy master ne bhi wanhi samne baat bole.
Veer : thik hai master mai yaad rakhunga ye baat.
Master : thik hai, to kaal subha mai tumhe le chalunga tumhara pehle soul ring pane ke liye jo tumhara blue silver plant ko suit ho. Jisse ki tum soul master level mai ajaoge.
Veer (mann mai) : soul ring ke help se mai mera skill mai bhi progress kar sakta hun, per….
Veer : kaal to school opening ceremony hai na.
Master : wo mai sambhal lunga tumhare liye. Aab ye batao ki tumhara view kya hai blue silver plant ke bare mai.
Veer : saab sochte hai ki ye ek useless martial soul hai. Per mai ye sochta hun ki sabhi ka apna apna speciality hota hai. Janta hun ki ye har jagah mil jata hai per iska kuch to reason hoga jiske liye ye exist karta hai.
Master : good, apke age mai yesa insights hona sach mai kafi rare hai. Chalo mai apko martial soul ka developmenpath ke bare mai bata ta hun.
Veer : martial soul development path?
Master : chalo suru karte hai martial soul ke categories se, martial soul ko mainly do categories mai divide kiya gaya hai ek beast soul aur dusra tool soul.
Beast soul ye human ke sath martial soul ka merge hona hota hai. Isme beasts power ko apne hisab se utilise karna hota hai.
Uss tak pahunchne ke liye jisme human body aur soul ek ho usko haam martial soul shield body kehte hai. Aur isme ashani se aap war soul master ban sakte hai aagar aap ache se practice karte hai to.
Wese hi tool soul beast soul se alag hota hai kafi alag. Jyada tar tool souls body se bahar nikalna padta hai use karne ke liye, tool souls beast soul ke compare mai ye ek auxiliary ki tarah hai.
Inke alawa kuch martial soul hai jo food hai.
Veer : kya ham martial soul ko kha sakte hai?
Master : yes….jo bhi martial soul food branch se hai usko khaya ja sakta hai. Wo ek tarah ke energy hote hai.
Veer : iska matlab ye hai ki tool souls support ke liye hota hai. Right?
Master : tumhara assumption 100% sahi nahi hai. Jesse ki tumhe pata hai beast soul mai war soul master ho sakte hai wese hi kuch tool martial soul bhi war soul master ho sakte hai. Each soul master ka apna path hota hai jisme wo chalte hai.
Tool soul mai Food branch soul, investigation branch soul, combat branch soul, healing branch soul, aur bhi bahut se brach hai jo tool soul mai jate hai.
Veer : master mai kis path ki aur jaun?
Master : bahut se loog sochte hai ki blue silver plant useless hai. Lekin saalo ka research ke baad mujhe ye pata chala hai ki usme bhi takat hai. Aur wo usefull bhi hai,
Pehla cause ye thodi hi soul power consume karta hai
Dusra ye har jagah pe milta hai ya ye keh sakhte ho ki ye har jagah ugge huye hai.
Tisra iska development ke liye alag path hai. Aur ye martial soul koyi soul ring ko easily repel (piche hatana) nahi karta .
Veer : repel?
Master : that’s right….Aagar apki martial soul, soul ring se match nahi karega to soul ring ko soul repel kar sakta hai. Aur isme 4th cause tumahare upar kaam karega.
Veer : mere upar?