• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy War of Gods

Status
Not open for further replies.

Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,638
174
Update 10
Veer aab apne ghar mai tha, aur idhar Master Li, apne cabin mai, aur master Li bethe bethe Veer ke baare mai hi soch rahe thy ki unka cabin ka darwaje pe knock hota hai, to master unko ander aane ko kehte hai jo bhi knock kar raha tha.
Wo ek admi tha ye wanhi admi tha jo Veer ke upar nazar gadaye hua tha market mai, jaab veer wapas apne ghar gaya to ye admi bhi master se milne ke liye aagaya.
Admi : hello master Li….
Master Li : aap….
Admi : ham ek dusre se na mile huye 20 saal se bhi upar go gaye hai. Aur mai tumhe mujhe na pehchanna ke liye blame nahi kar raha hun, kyun ki mera jo abhi appearance hai hardly hi koyi pehchan sakta hai.
Ye kehke apna face pe jo kapda Dhaka hua tha wo hata deta hai fir,
Mai Mohan hun.
Ji han ye Veer ke papa hi thy jo ki Veer ke piche kayi mahino uske upar nazar rakhe huye thy.
Master Li : Mohan? Aap…..aap… Heaven……
Mohan : past ke baate na kare to behtar hoga. Mai yanha apne bete ke bare mai baat karne aaya hun.
Master Li : apka beta, matlab veer..... Per wo to ghar chala gaya hai per aap yanha kyun hai.
Mohan : wo ghar gaya mai hai isiliye mai yanha hun. Aur mai janta hun tumne usko apna disciple ke tour pe le liya hai isiliye mujhe aur chinta nahi hai uska, kyun ki mujhe pata hai ki tum uska ache se khyal rakhoge.
Aur wese bhi wo mere sath kabhi khush nahi reh payega, usne apna path choose kar liya hai, mujhe pata hai wo acha path nahi hai, fir bhi mujhe uske upar bharosha (believe) hai. Isiliye mai ja raha hun mera chiz wapas lane ke liye.
Master Li : mujhe saab bate to nahi pata jo apke sath hua tha, per aap Veer ko yese kese chod ke ja sakte hai, aur apke jane ke baad wo dukhi bhi ho sakta hai, aur yese wo apne path se bhatak bhi sakta hai, apko nahi lagta ye uske liye sahi nahi hai.
Mohan : mere sath rehna hi uske liye sahi nahi hai, baas mujhe aur kuch nahi kehna hai baas uska khayal rakhna aur ye baat kabhi nahi bhulna ki wo mera beta hai, ye baat Mohan ne serious tone mai kahi thy.
Ye kehke mohan uss kamre se jane lagta hai aur jate jate Master Li ko ek level 6 ka martial soul hall ka token de deta hai aur wanha se chala jata hai hamesha ke liye. Aur baas itna keh jata hai ki Veer ka ache se khayal rakhna.
Master bhi wo token ko apne hath mai pakad ke dekhne lagte hai. Aur Mohan ke bich jo baate huyi unke sath uske baare mai sochne lagte hai.
Idhar Veer ghar ka kaam karke fir se bahar beth jata hai aur apne papa ke baare mai sochne lagta hai, aur Zara bhi uske paas mai beth ke usko samajhane lagti hai.
Zara : Veer yese dukhi maat ho, tumhare papa baas temporarily hi kahi gaye hai, wo tumhe mil jayenge future mai. Aur yesa bhi ho sakta hai ki wo tumhe chod diye hai, jesse ki tum strong ho sako akele, aur wo ye dekhna chahte ho.
Aur tum yese dhuki bethoge to unka jo bharosha hai tumpe ki tum strong banoge wo down ho jayega.
Veer : sayad, per wo yese mujhe kyun chod ke gaye. Mere papa hi mere family thy, unke siwa aur koyi nahi hai. Unke siwa ye ghar bhi ghar Jessa nahi lag raha hai.
Zara : mai to hun na tumhari friend, aur mujhe tum apni family maan sakte ho.
Veer Zara ki baat sunke kafi haad taak thik ho chuka tha aur wese bhi wo samajhdar bhi tha.
Veer : wo baad mai dekhenge abhi mere sath chalo mujhe tumhe kuch dikhana hai.
Zara bhi han mai apna sar hila deti hai to Veer Zara ko leke pahad pe chala jata hai janha pe wo roj meditation karta tha.
Jaab uss pahad ke upar dono pahunchte hai to pura pahad ke upar abhi phool hi phool thy charo aur rang birange jo uss pahad ko aur bhi sunder bana raha tha. Zara baas charo aur dekhti rehti hai, aur wo jagah ki sunderta ko apni anko mai samayi ja rahi thy.
Veer : Zara ye wanhi jagah hai janha pe mai roj apni martial art practice aur meditation wagera karta tha. Thoda time rok ke, Zara ek question puchunga tumhe aur mujhe asha hai ki uska answer tum soch samajh ke dogi.
Zara : Veer tumhe pata hai tum abhi bilkul school mai jo wo old men hai na hamesha serious ussi ki tarah dikh rahe ho, hehehe…..
ye bate Zara ne iss liye kahi thy ki Veer wo baate thode serious look ke sath pucha tha Zara ko.
Veer (serious hoke) : Zara abhi kuch der pehle jo tumhe kaha ki mai tumhe apna family ka hissa mann lu kya sach mai tumne wo baat seriously bola tha ki baas yese hi mere dil rakhne ke liye.
Zara kuch nahi bolti baas Veer ko dekhe ja rahi thy aur kuch soch rahi thy,
Veer : mai tumhe kuch bhi nahi de sakta hun, na power na money per ek chiz mai promise kar sakta hun, hamesha mai tumhe protect karunga, tumhe ek kharoch bhi aane nahi dunga, chahe uske liye meri jaan hi kyun na chali jaye.
Zara baas kuch der Veer ko dekhti rahi aur kuch sochte huye,
Zara : aagar ek din mujhe bahut se log marne ke liye aaye aur tum unhe hara na pao to tum kya karoge.
Veer : unko pehle mujhe marna hoga tumhe chune ke liye.
Zara Veer ke baate sunke baas unse ankho mai dekhne lagti hai jesse ye janne ki kossis kar rahi thy ki Veer ki kahi huyi baato mai kitni sachayi hai, aur wese bhi Zara bhi samajhdar thy bilkul Veer ke jesse.
Fir Zara bhi han keh deti hai wo uska family ka hissa banegi, jisse Veer bhi khush ho jata hai, aur khush kyun na ho kaal tak jo uske family mai 2 member thy aaj usme ek aur member add ho gayi hai.
Fir dono wanhi pe dono beth jate hai aur dhalta hua suraj ko dekh rahe thy aur uss khubsurati ka mazza le rahe thy.
Zara : Veer aab mai tumhe kya bulau…jaab mai hum ek hi family mai aagaye hai.
Veer : jesse aaj tak bulati aayi ho Veer wanhi bulana.
Fir achanak Veer ko kuch yaad aata hai to wo khada ho jata hai, aur usko yese khade hote huye dekh ke Zara bhi khadi ho jati hai, aur idhar Veer apne hath ke sleeve pe laga arrow shooter bahar nikal ke Zara ke taraf kar deta hai.
Veer : ye lo ye tumhare liye hai.
Zara : ye kya hai.
Veer : ye sleeve arrow shooter hai, ye ek tarah ka hidden weapon hai, jaab tum ye trigger pull karogi to iske ander jo arrow hai wo shoot ho jayega.
Veer ye saab kehte huye Zara ke sleeve mai ye set bhi kar deta hai aur Zara ka hath upar kar deta hai aur ek aur nishana bana deta hai.
Veer : iska lunch ka sound bahut kaam hota hai to ashani se notice mai bhi nahi aayega, jisse tum tumahre enemy pe sneak attack kar sakti ho.
Zara bhi usko dekhti hai fir veer se,
Zara : per maine tumhe isko kabhi use karte huye nahi dekha hai, jaab bhi haam fight karte taab.
Veer : pagal ladki, mai kesse iss dangerous weapon ko tumhare upar use kar sakta hun.
Fir veer ko ek mosquito dikh jata hai to Veer Zara se,
Veer : wo dekho ek mosquito, mai uska left wing ko hit kar sakta hun usko maare bina iss weapon ki help se.
Zara : tum mazak kar rahe ho na?
Veer : nahi.
Ye kehke Zara ka hath pakad leta hai aur apna Purple demon eye bhi active kar leta hai fir arrow lunch kar deta hai,
Veer ne Jessa hi kaha tha thik wesa hi uss mosquito ke left wing mai arrow laga hua tha aur wo arrow mosquito ko leke ek ped pe jake laga tha. Wo mosquito aab bhi jinda tha. Ye baat Zara ne notice kiya jaab wo uss ped ke paas pahunch ke dekhne lagi thy taab.
Veer : ye secret weapon ke baare mere papa bhi nahi jante hai. Mai iss liye tumhe ye bataya ki mai tumhe protect karne ke liye capable hun to tumhe chinta karne ki jarurat nahi hai kuch bhi thik hai.
Zara : thank you Veer, aur ye weapon majedar lag raha hai, kya tum mujhe ye chalana sikhaoge.
Veer : nahi
Zara : please Veer, please….
Zara baas bacho ki tarah aab Veer ke piche padi huyi thy wo weapon chalana shikne ke liye.
Veer : Jessa tumhara violent behaviour hai aagar tumne ye sikh liya to bahut loog iska sikhar honge.
Zara : please Veer….
Bahut baar Zara ke manane ke baad Veer maan jata hai to Zara bhi khush ho jati hai firse dono wanhi pe beth jate hai.
Veer (mann mai) : papa, aap dar rahe thy na ki mai strong nahi banuga jaab mai apke sath hounga to aap fikar na kare, mai hard se hard training karunga ek real man ki tarah. Aur ek din aap mujhe pe garv karenge.
Mysterious clan se nikale huye mujhe 6 saal ke upar ho gaye hai per mai Mystrious clan ka hi rahunga hamesha ke liye. Aur iss land mai Mystrious clan banake usko hi aage badhaunga ge wada hai mera clan leader, aur ye mai promise karta hun heaven aur earth se.
Yese hi dekhte dekhte 5 saal beet jate hai, veer aur Zara apne training karte masti majak karte, aab wo dono kafi karib bhi aagaye thy.
5 saal baad,
Tian Dou Empire, Barak kingdom, Sou Tou City.
Veer aur Zara aab 12 saal ke ho gaye hai. Aur abhi Zara aur Veer Sou Tou City mai thy, aur market ke bicho bich chale ja rahe thy. Bahut jyada chalene ss Zara bilkul thak si gayi thy, aur thaki huyi awaj mai hi.
Zara : uuufffff…finally Sou Tou City mai ham pahunch gaye. Mujhe nahi pata hai master Li ke dimag mai kya chal raha hai. Bahut se middium level school hame recruite karne ke liye bethe hai wo bhi bina kissi condition ke, per unka kehna hai ki hamme Sherk School mai enroll karna chahiye. Sherk school iska rank kya hai, maine iske bare kabhi suna bhi nahi hai.
Veer : master Li ne mujhe kaha hai enroll karne ke liye tumhe nahi, to tum itna complaint kyun kar rahi ho.
Zara : acha to tumhe pata nahi hai mai kyun kar rahi hun. Ye saab tumhare liye kyun ki ham ek hi family ke hisse hai. Wese bhi uss school ka entrance 2 din baad hai to ham kya iss city mai 2 din rahenge. Aur wese bhi mai chalte chalte bahut thak gayi hun chalo na Veer kahi pe rukh jate hai.
Veer : thik hai nautanki
Yese chalte chalte Zara ko ek hotel dikhti hai jiska naam Rose hotel tha to Zara yanhi pe rehna ka kehti hai jisse Veer bhi nahi talta hai aur dono ander chale jate hai, room lene ke liye.
Aur ye dono reception ke paas jake apne liye room bhi book kar lete hai, aur unke paas baas ek hi kamra bacha tha jo ki aab Veer aur Zara ne le liya tha, wo receptionist abhi unko unka kamre ki key de hi raha tha ki piche se awaj aati hai.
Awaj : wo mera kamra hai kya tum yanha pe naye ho jo mere kamre ko unko de rahe ho. Fir wo awaj wala ladka uss receptionist ke paas pahunch ke, mujhe tumhara manager se milna hai.
Veer aur Zara uss ladke ko dekh rahe thy, uss ladke ke sath abhi 2 ladkiya bhi thy aur wo ladka dikhne mai bahut arrogant bhi lag raha tha.
Veer : buddy, haam pehle aaye hai aur ye kamara hamne book kiya hua hai.....
Ladka (Veer ke bato ko bich mai kat te huye) : to kya hua, mai hamesha uss kamre mai hi rehta hun to mera personal kamra hi hua.
Zara : to....abhi wo kamra hamara hai.
Ladka : to usse kya hota hai, fir wo ladka Zara aur Veer ke taraf dekhte huye, mujhe lagta hai ki tum dono soul masters ho. Chalo tum dono ko ye chance deta hun, aagar tum dono milke mujhe hara doge to mai yanha se chala jaunga warna tum dono yanha se chalte banna.
Zara uss ladke ki baat sunke gusse mai aage badh hi rahi thy ki Veer usse rok deta hai, itne mai uss hotel ka manager bhi wanha aajata hai.
Manager : Mr. Duke, shant ho jayiye aap.
Duke : manager, isko aap explain kese karenge.
Manager : sorry Mr. Duke ye naya staff hai jo apke bare aur uss room ke bare mai nahi janta hai. I am sorry Mr. Duke.
Fir Veer aur Zara ke taraf mud ke,
Manager : I am also sorry mister, ye room Mr. Duke ke liye reserved rehta hai, jo ki mere staff ko pata nahi tha jiske chalte wo room apko de diya hai, aap kahi aur chale jayiye.
Zara : aur aagar ham na gaye to? Kya kar lega ye, hoga kahi ka hot-shot per hamare samne nahi.
Duke : kya…..
Manager : sorry….mr. Duke, fir Veer aur Zara ke taraf dekh ke, please aap mr. Duke se maafi mang lijiye…..
Duke : apni bakwas band karo manager, jo bhi nukshan hoga tumhara wo pay kar dunga abhi yanha se niklo tum.
Manager bhi wanha se chala jata hai, aur Duke ready ho jata hai Veer aur Zara se fight karne ke liye,
Veer bhi Zara ko rok ke khud aage aajata hai ye kehke ki wo usse hara dega, aur usse acha khasa maja chakhayega.
Zara bhi maan jati hai aur baas Veer ko yanhi bolti hai ki ache se sabak sikhana isko.
Ye dono apne mai lage huye thy ki Duke ek aur baar in dono ko bolta hai,
Duke : apne mai fight karna band karo aur tum dono aasakte ho mere se fight karne ke liye.
Veer bhi smile ke sath Duke ke samne aajata hai. Aab dono bilkul ready thy ek dusre ke upar attack karne ke liye.
To veer ne Zara ko ek tarah se apni love interest bna hi liya ab ye duke Kon hai Jo veer Zara se pange lene aa gya... Superb update bhai sandar jabarjast
 

Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,638
174
Update 11
Veer aur Duke abhi ek dusre ke amne samne khade thy,
Veer : suru kare….
Baas Veer ka itna hi kehna tha ki Duke pehle attack kar deta hai bina martial soul use kiye veer ke upar aur Veer bhi Duke ke attack ko block kar deta hai, aur dono us attack aur defence ka jo impact huya tha dono hi kuch step piche ki aur chale gaye.
Veer (mann mai) : ye bahut jyada strong hai mere se.
Duke : great, tum mere punch ko repel kar sakte ho aur mujhe piche bhi kar sakte ho, tum mere opponent hone liye qualified ho.
Veer : kya aab bhi tum mujhse fight karna chahte ho.
Duke : han kyun nahi, per mai ye fight haar gaya hun, kyun ki tumne mujhe force kar diya hai soul power use karne ke liye, maine ye kabhi socha nahi tha.
Mai baas itna socha tha ki mai tumhe without soul power hara dunga jo ki aab possible nahi hai.
Ye kehke Duke apna soul ko Bahar nikal leta hai,
Duke ka martial soul White tiger tha. White tiger Duke ke sar ke upar aajata hai aur uske charo taraf 3 soul ring bhi thy, 2 yellow ring aur 1 purple ring. Aur ye 3 ring Duke ke martial soul White tiger behed hi khatarnak bana rahi thy.
Veer : Millennium soul ring.
Zara bhi Duke ka Millennium soul ring ko dekh rahi hoti hai veer ke sath sath.
Duke : Duke, martial soul White Tiger, war soul master level 37, 3 soul ring ke sath. Aab suru kare.
Aab Duke full mood mai aachuka tha acha khasa fight karne ke liye Veer se.
Veer bhi ready ho jata hai apna martial soul ke sath, veer ka martial soul uska hath mai aajata hai aur sath mai 2 yellow ring bhi uske charo taraf.
Veer : Veer martial soul Blue silver plant, Tool soul master level 29, 2 soul ring ke sath.
In 5 saalo mai veer ne apna dusra soul ring bhi pa liya tha jo 913 year ka century soul ring tha.
Har loog ke tarah Duke bhi Veer ka martial soul ka majak udata hai.
Zara : kya tum Blue silver plant ko useless samajh rahe ho.
Veer : martial soul waste taab hota hai jaab soul master waste ho.
Duke : sabhi kaha tumne martial soul waste nahi hota hai, balki soul master hi waste hota hai. Aab mai ye dekhna chahta hun ki tumhara blue silver plant kitna strong hai.
Ye kehke Duke veer ke upar attack strike kar deta hai, aur Veer bhi apna attack strike kar deta hai, aur Duke ko winding karne lagta hai, jisko Duke ne ek baar tod bhi deta hai, per todne ke time hi wo samajh Jata hai ki Veer ka blue silver plant kitna strong hai. Kyun ki uss winding todne ke liye Duke ne jyada soul power use kiya tha.
Duke first time Veer ka winding ko tod ke thoda piche ke taraf Chala Jata hai, per Veer bhi Duke ko koyi chance de hi nahi raha tha usne ek aur baar winding ka istemal kiya, Duke ne usko bhi repel kar deta hai, uska first soul ring use karke.
Duke ka first soul ring use se Duke ke charo taraf ek energy barrier ho jata hai jiske help se wo Veer ka Winding ko rok pa raha tha, aur fir Duke ne apna dusra soul ring use karta hai.
White tiger intense light wave,
Iske sath ek light wave generate karta hai jiske madat se veer ka blue silver plant ka Winding ka chithde udd deta hai aur blue silver plant ke tukde haar taraf jake padte hai, per wo immediately vanish bhi ho jate hai.
Duke : veer, ek beast soul ka attack power hamesha tool soul ka attack power se strong hota hai. Per ek baat tumhara blue silver plant ka power mere expection se bhi upar thy. Per ye mujhe trap nahi kar sakti.
Veer : tumhe yesa lagta hai,
Ye kehke veer ne apna second soul ring ka uske karta hai, iska bhi function winding hi tha per pehle wale se strong. Janha janha blue silver plant ke tukde bikhre pade thy wanha wanha se ek ek branches nikal ke Duke ko jakad lete hai.
Veer : mera Martial soul blue silver plant poisonous hai, jaab tum apna strong soul skill use kar rahe thy mere strike ko break karne ke liye mere blue silver plant mai jo toxin thy wo tumhare soul ke ander chale gaye hai. Aab tum kuch bhi nahi kar sakte ho, kyun ki ye tumhe ander hi ander paralysis karne lag jayegi, to tum ye match haar gaye ho.
Duke Veer ke baate sunke uske face pe ek smile aajati hai,
Duke : Veer Sach mai tumhara martial soul strong hai, aur mere paas aagar 2 soul ring hote to sayad mai haar jata per mere sath ye nahi hoga, aab bhi mere paas mera 3rd soul ring ka skill baki hai.
Ye kehke Duke apna 3rd soul ring bhi use kar deta hai.
"White tiger transformation"
Isike sath Duke white tiger ke sath merge ho Jata hai aur Veer ki 2nd skill ko todne mai success pa jata hai aur jaab Veer ka 2nd skill tutta hai uska impact se veer piche ke taraf jake girta hai per girne ke immediately baad uth bhi jata hai.
Veer baas Duke ho hi dekh Raha hota hai aur uska Millennium soul ring ki power ko bhi mehsus kar raha hota hai.
Zara bhi Veer ko yese girte huye dekh ke Duke ke sath fight karne ke liye aage badhne lagti hai to Veer uska hath pakad leta hai aur usse mana karne lagta hai.
Duke : veer tum Sach mai mere opponent hone ke kabil ho, mera normal power tumahara soul power ka skill ko haar taraf se cut nahi kar sakta hai. Per aab maine mera 3rd soul ring bhi use kar liya hai aur iska khasiyat ye hai ki, iska effect baas half an hour hi rahega, aur issi bichi mera attributes bhi double ho jayega, aur toxin se bhi mera kuch nahi hoga wo apne aap hi refine ho jayegaa.
Tum Sach mai best ho controlling soul mai se, per tum mujhe aab hara nahi sakte. Ye ham dono ka strength ka difference dekh hi tujhe pata lag gaya hoga.
Fir Duke apna Martial soul ko wapas le leta hai aur mud ke jane lagta hai aur jate jate baas itna bol jata hai,
Duke : mujhe lagta hai ham fir milenge. Aagar tumhe kuch bhi problem ho Sherk school mai to tum mera naam le lena, Evil Eyes white tiger Duke. Aur mujhe pura yakin hai tum future mai mujhe hara doge. Aab good bye. Mai tumhara wait karunga Sherk school mai.
Ye kehke Duke Chala Jata hai.
Zara : ye acha person nahi hai aur isko kesse pata Chala ki ham Sherk school ja rahe hai.
Veer Zara ko kuch nahi kehta hai, aur fir veer aur Zara bhi wanha se apne room ki key leke room mai chale jate hai, room mai aate huye baas Zara hi bole ja raho thy ki wo acha ladka nahi hai uske sath kuch bhi relationship nahi rakhna hai school jane ke baad, wagera wagera, veer baas uski baat sunne ja Raha tha aur smile kar Raha tha.
Room Sach mai bada acha tha, Zara ko to pehli nazar mai hi pasand aagaya aur jesse aaj tak soye aaye hai wese hi yanha bhi Zara bed pe aur Veer sofe pe, per Veer na so ke meditation mai Chala Jata hai aur apna power badhane lagta hai kyun ki baas ek aur step baki hai uska level 30 hone ke liye fir tisra ring bhi wo le lega, kyun ki aaj usne 3rd ring ka power ko dekh liya hai.
Thodi der dhyaan lagane ke baad veer uth Jata hai aur sofe pe jake let Jata hai aur Mystrious clan ke bare mai sochne lagta hai.
Kyun ki Duke ne jo energy shield creat ki thy wo kahi na kahi Mystrious clan se hi thy, kyun ki Veer ko yaad hai usne ek person se Battle ki thy mystrious Clan mai jiske paas Duke ka energy shield se milta julta shield tha. Aur us shield ko veer ne toda tha aur todne ke sath veer ne uss person ko wanhi maar bhi diya tha.
Aur veer ne ye kaam wanha pe milne wali special Needle se ki thy, jo ek rare material se banti thy aur needle pura gold colour ki dikhti thy. Veer aab baas yanhi soch Raha tha ki iss soul land mai bahut se mystrious chize hai jiske baare mai wo khud nahi janta hai, aagar future mai kabhi yesi koyi situation ko face karega to usse kya karna chahiye.
Ye saab sochne ke sath sath veer ye bhi soch Raha hota hai ki aagar uske aur jyada hidden weapon Mystrious clan ke nahi banaya to wo yese situation ko handle nahi kar payega to usse jald se jald top hidden weapon banana chahiye jisse usko help milegi apne path mai growth karne ke liye, aur wese bhi veer ne decide bhi kar liya hai ki iss soul land mai Mystrious clan ko establish karega aur Mystrious clan ka naam ko aage badhayega.
Yese hi sochte sochte Veer kaab so jata hai usse pata hi nahi chalta hai aur Zara to kabka so chuki thy.
Agli subha veer aur Zara uthke market ghumne ke liye nikal jate hai, yese hi ghumte ghumte Veer Zara ko leke ek dukan mai Chala Jata hai. Pata nahi kyun per Veer ka icha ho raha tha uss dukan ke ander jane ke liye. Jaab dukan ke ander dono aate hai to charo aur dekte hai, wanhi dukan ke ander ek admi rocking chair pe betha hua jhul Raha tha. Aur jaab se Veer aur Zara dukan mai entry ki hai taab se unhe hi dekhe ja Raha tha.
Yese hi ghumte ghumte Veer ko ek iron ka tukda dikh jata hai, ye wanhi iron ka tukda hai jisse wo special Needle bana sanka hai Veer aur wo needle aam needle se powerful bhi hote hai, aur iska sounds bhi aam needle Attack se kaam hota hai.
Zara : veer kya tum iss ugly iron ko kharidne ka plan kar rahe ho.
Veer : han per mujhe pata nahi iska kya price hai.
Shop owner : ye 100 gold soul coin ki hai.
Shop owner ki awaj sunke dono uss aur dekhte hai fir,
Zara : kya ye bekar sa ugly dikhne wala chiz ke liye 100 gold soul coin, ye to chori hai.
Shop owner : 100 gold soul coin iss shop ka sabse kaam price hai, agar tumhe kharidna hai to pay karo warna yanha se chale jao.
Veer : thik hai mai usse kharidunga.
Zara : kya…veer Sach mai isse kharidoge.
Veer : han, wese bhi 100 gold soul coin hai kuch jyada nahi hai.
Per pata nahi sayad shop owner ka iss chiz ko sale Karne ka mood nahi tha to wo lagatar uska price badhane lagta hai aur Zara har baar shop owner ke sath behes karne lagti hai aur sunaye ja rahi thy uss shop owner ko. Aab uss 100 gold soul coin ka price 500 gold soul coin ho gaya tha.
Veer Zara ko chup karwata hai aur apna 24 moonlight belt se 500 gold soul coin leke uss shop owner ko dene ke liye aage badhta hai, per jaab veer 24 moonlight belt use kar Raha tha shop owner ki nazar uss belt pe pad jati hai,
Shop owner : ye belt tumhe kanha se mili hai.
Veer : ye mujhko mere master ne diya hai.
Shop owner : hmm…fir kuch soch ke thik hai tum wo chiz free mai leke ja sakte ho. Wese bhi wo useless hai mere liye.
Ye kehke firse rocking chair mai jhulne lagta hai, Zara shop owner ki baat sunke pehle uss chiz ko pakadti hai fir,
Zara shop owner se : apno baato se palatna maat jesse aab tak karte aarahe thy. Aagar apko right way mai sale nahi karna aata hai to ye shop band kar dijiye.
Itna jaha fir veer ka hath pakad leti hai aur usse khinchte huye shop se Bahar leke chali jati hai.per veer jate jate usse shop owner ke taraf 100 gold soul coin ka ek bag phenk deta hai jisse wo shop owner pakad leta hai.
Lagta hai master or is dukan dar ka kuchh Purana rista hai Jo us belt ko dekh kr hi muft me le Jane ko kahta hai pr veer jate jate 100 gold coin unhe de deta hai lagta hai yah rare matel hai Jo dukan dar use kisi aire gaire ko nhi dena chahta tha Duke ko kaise pta chla veer Zara Kis school me admission lene aaye hai kuchh to rahasya hai duke me... Superb update bhai sandar jabarjast
 

Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,638
174
Update 12
Veer aur Zara to uss shop se chale jane ke baad, shop owner wanha se uth ke khada ho jata hai aur kuch sochne lagta hai.
Shop owner : Master, iss baar tum mujhse chup nahi sakte aur pichli baar ki tarah bhag to bilkul bhi nahi sakte. Bahut jald mai tumhe dhund nikalunga uske baad tumhe kahi jane nahi dunga tumhe iss baar to bilkul bhi nahi.
Yese hi soche ja raha tha ye saab iske dimag mai uss belt ko dekhne ke baad aaya tha usko ek umid mili thy ki wo Master ko mil sakega Veer ki help se.
Wanhi Veer aur Zara uss iron ko leke wapas hotel ki aur nikal jate hai. Raste bhar Zara baas Veer ko sunate huye ja rahi thy, jesse ki.
Wo to tumhe free mai de rahe thy per tumne 100 gold soul coin kyun diya, unko khuch dena nahi chaiye tha, wagera wagera…
.
Veer kuch nahi bolta, jaab dono hotle mai pahunch jate hai aur Veer Zara ko room mai chod ke kahi nikal jata hai ye keh ke ki wo jald hi wapas aajayega.
Veer hotel se nikal ke ek blacksmith shop mai aajata hai janha pe wo iron ke tukde se wo special Needle bana sakta hai, pure 2 ghante baad uss iron ke upar kaam karke Veer ne kul 20 ke aas paas Needle bana leta hai. Fir wapas hotel ke aur chala jata hai.
Jaab wapas hotel aata hai to Zara usko bahut se sawal puchta hai ki kanha gaye thy, aur wo iron mai itna interest kyun le rahe thy etc….
Veer : chalo pehle se suru karte hai mai blacksmith shop gaya tha uss iron se kuch banane ke liye.
Zara : kya bana na tha tumhe.
Veer : dikhaunga baad mai, aur abhi wo iron mai, mai itna interest kyun le raha hun to batata hun dhyaan se sunna,
Tumhe yaad hoga mai needle ko use karta hun samne wale ke upar attack karne ke liye.
Zara : han.
Veer : thik wese hi uss iron ke tukde se needle banta hai, per wo pure iron nahi hai uske ander natural chize bhara pada hai jisse wo aam iron se jyada strong hota hai aur usme bana needle bhi aam needle se jyada powerful hota hai aur strong bhi.
Per iss special Needle ke khas baat ye hai ki iske ander toxin bhi milta hai jaab ek person ke sarir ke ander jaata hai to ye ander se hi usko paralysis karne lagta hai aur uss person ko marne lagta hai. Aur ye needle ka sound na ke barabar hota hai aagar koyi dhyaan se iske sound ko na sune to wo pata bhi laga nahi sakta hai.
Chalo khuch dikhata hun.
Ye kehke Veer ek needle ko bed ke upar attack kardeta hai wo needle jake janha pe lagti hai wo jagah fulne lagti hai aur blast ho jati hai usse bed ke hisse pe ek gadha ho jata hai. Zara ye dekh ke heran thy ki ek chote se needle ne uss bed ka kya halat ki hai.
Zara : Veer ye kafi khatarnak hai. Isse tumhe banane ka khyal kyun aaya.
Veer : han wo to hai. Aur isse banane ke khyal kaal ladhte time aagaya, uska shield yaad hai na aagar future mai kabhi bhi koyi enemy yesa mere samne aayega to usse harane ke liye ye needle bahut madat karegi. Aur tumhe protect bhi karna hai to kisi bhi tarah ki failure mai nahi chahta hun.
Zara : Veer…..kuch bolne wali thy per chup ho jati hai aur kuch sochne lagti hai.
Veer bhi aur kuch nahi bolta hai, yese hi pura din nikal jata hai, fir agle din dono subha subha hotel chod ke chale jate hai Sherk school ke taraf.
Raste mai,
Veer : Zara aab tum badi ho gayi ho, per aab bhi tum bacho jesse behave karti ho, mai chal nahi sakti, thak gayi etc….
Zara : han to, ham family hai aur tum mujhe protect karoge, aur wese bhi tum mujhe princess kehte ho to kabhi dekha hai princess ko chalte huye. Aur wese bhi master ne kaha tha ki, Sou Tuo ke South gate se baas thodi hi duri mai hai school per ham to kitne der se chale ja rahe hai per abhi tak school aaya hi nahi hai.
Veer : acha per shuru se to mai tumhe apne pith mai uthake chal raha hun tum kaab chali ki thak gayi ho tum.
Zara : hehehehe….sach mai tum bahut der tak chal rahe ho, aur tum chalo mai chalu ek hi baat hai hehehe....
Thodi aur chalne ke baad,
Zara : Veer samne dekho….
Jaab veer samne dekhta hai to bahut se loog ek line mai khade huye thy, to ye dono bhi uss taraf chal dete hai zara bhi niche utar jati hai aur bhag ke uss line ke taraf chal deti hai.
Ye line Sherk school ke liye thy jo bache aaya thy yanha iss school mai registration karne ke liye wanhi line mai khade huye thy apne bari ke liye intezar kar rahe thy.
Veer aur Zara bhi wanhi line mai khade ho jate hai aur apni bari aane ke liye wait karne lagte hai. Jaab line dhire dhire aage badh raha tha aur Zara aur Veer jaab aage ja rahe thy to Zara ki nazar school ki main gate ke upar padti hai jo ki lakdi (wood) ka bana hua tha wo bhi adhe se jyada tut bhi gaya tha, usse dekhte huye,
Zara : Veer ye to school nahi khandar ke Jessa dikh raha hai, mastar ne yesse school mai padhne ke liye hamme bheja hai.
Veer : ssssshhhh, wese master Li ne mujhe kaha hai tum to wese hi aagayi ho.
Zara : hun….
Ye sirf Zara ke mann mai nahi sabhi ke mann mai chal raha tha school ke main gate ko dekh ke. Fir bhi unka rehna ka karan bhi ye tha ki jo bhi iss school se passout huye hai wo sabhi students kafi outstanding results dete hai.
Veer ki bato se Zara bhi apni munh fulake aage dekhne lagti hai, Veer bhi aage dekhne lagta hai. Janha pe kuch chala raha tha.
Ek ladka jo Veer ke umar ke jitna hi tha wo aur uske pita aaye thy Sherk school mai admission lene ke liye pehle to jesse sabhi 10 gold soul coin deposit karte hai, unhone bhi wesa hi kiya, fir jo teacher bethe thy unhone uss ladke ko apna right hand aage karne ke liye kaha to wo ladka bhi apna right hand aage kar deta hai.
Wo teacher bhi uska right hand pakad ke kuch karne lagte hai fir apni ankhe khol ke,
Teacher : iska age match nahi karti hai to tum iss school mai nahi aasakte.
Ladke ke pita : mister mere bete ne abhi abhi admission age ko paas kar gaya hai, kya usko aap neglected nahi kar sakte hai.
Teacher : sorry mister hamare school rule mai yesa nahi hai to mai apko kisi bhi tarah ki help nahi kar sakta.
Ladke ke pita : to fir hamse jo fees liya uska kya….
Teacher : sorry mister wo refundable nahi hai.
Ladke ke pita : kya refundable nahi hai ye to aap cheating kar rahe hai hamare sath.
Teacher : gussa hone se kuch nahi hoga jayiye yanha se aap baki loogo ko bhi disturb kar rahe hai.
Ladke ke pita (gusse se) : kabhi nahi jaunga jaab tak mai mera money wapas na le leta. Aagar hamme pehle pata hota ki Sherk school inta poor hai to, ham yanha aate hi nahi.
Ladke ke pita ki baate sunke sare log apas mai baate karne lagte hai ki kya ye sach hai wagera wagera….
Teacher : Duke, kisiko refund chahiye isse settle karo.
Duke ye wanhi hai jo Veer ke sath fight kiya tha hotel mai. Wo ek tree ke branch ke upar betha hua tha, teacher ki baat sunke,
Duke : thik hai, Fir ped se niche utar ke uss admi ke taraf aajata hai, aagar aap mujhe fight mai hara denge to full money apko refund ho jayega.
Fir Duke apne martial soul bahar nikal leta hai aur uske charo taraf 3 ring bhi aajati hai 2 yellow aur 1 purple. Sare log Purple ring ko dekhke apne munh mai hath rakh dete hai.
Wo admi bhi ye dekh ke nirash ho jata hai aur apne bete ko leke wanha se chala jata hai.
Teacher : jaab aap registration karenge Sherk school mai, aap sabhi ko school rule pata hona chahiye, iske liye apko pehle se hi school rule ko figure out karke aana chahiye yanha registration fees dene se pehle kyun ki wo refundable nahi hai.
Aur apko pata hai Sherk ka matlab kya hai. Sherk ka matlab monster hota hai. Aur Sherk school ka matlab monster school aur ham sirf aur sirf monsters ko hi yanha padhne ke liye select karte hai na koyi ordinary student ko.
Koyi bhi jo admission age se jyada ho, aur jiska soul power level 21 se kaam ho yanha khade hoke aap apna time waste na kare kyun ki hamara school kabhi bhi apko select nahi karegi.
Veer : sirf monsters ko hi select karte hai iss school mai.
Zara : ye school intresting hai Veer, yanha sirf monsters hi allowed hai koyi ordinary one nahi, ye to awesome hai mere liye.
Veer : kya aab bhi tumhe master ki decision mai doubt hai.
Zara : nahi….
Veer : Sherk school baas bahar se hi dikhne mai kharab hai per ye sabse alag hai aur awesome bhi.
Yese hi line aage badhti gayi aur teacher sabhi ko reject karte gaye, koyi argument karte thy to koyi bina kuch bole wanha se chale jate thy, yese hi Veer aur Zara ke samne ek ladki khadi thy uski bari aayi wo ladki bhi aage jake 10 gold soul coin de deti hai aur apna hath aage kar deti hai, jaab teacher uske hath pakad ke dekhte hai to wo khade ho jate hai, yese teacher ko khade hote huye dekh ke,
Ladki : kya mai iss test mai pass ho gayi hun.
Teacher : apka family janta hai ki aap yanha pe ho.
Ladki : school rule ke hisab se mai aagar pass ho gayi to apke paas koyi reason nahi hoga mujhe reject karne ke liye aur wese bhi yanha mujhe padhna hai meri family ko nahi.
Teacher : thik hai aap Duke ke side mai jake khadi ho jayiye.
Wo ladki bhi jake Duke ke paas khadi ho jati hai, aab bari hai Veer aur Zara ki wo dono bhi aage aate hai 20 gold soul coin de dete hai pehle Zara ka test hota hai jisme wo pass ho jati hai fir veer ka, teacher veer ka hath pakad lete hai, to unhe kuch samajh nahi aaraha tha.
Teacher : kya tum koyi hand skill use karte ho.
Veer : yes….
Teacher : apna leg aage karo.
Veer leg bhi aage kar deta hai teacher bhi niche jhuk ke uska leg ko touch karke dekhne lagte hai.
Hmmm, bone age perfect hai. Mujhe tumhara aur Zara ki aur palat ke tumhara martial soul dekhna hai usse release karo.
Fir Zara aur veer dono apne apne martial soul release kar dete hai.
Teacher Zara ko dekh ke, hmm martial soul Rabbit, veer ke taraf dekh ke, tumhara blue silver plant hai. Aur tumhe blue Silver Plant mai bhi itne fast growth kar rahe ho. Ye baat unke liye bhi herani thy ki kesse.
Veer : mister aap sirf monsters hi accept karte hai kya ham monster hai.
Teacher : hahahaha….han little monster. Duke inhe bhi le jao aage ki test ki aur.
Fir veer aur Zara bhi Duke aur uss ladki ke paas aajate hai aur Duke unhe leke ander jane lagta hai ki tabhi aage badhne hi wale thy ki Duke piche palat ke dekhne lagta hai. Per usse koyi bhi nahi dikhta hai jisse wo apna sar jhatka ke aage chalne lagta hai.
Veer bhi jane ke time Duke se puchta hai ki usne piche palat kyun dekha, to,
Duke : mujhe yesa laga ki sayad koyi mera martial soul ka supplementary hai jisko mai bahut karib se janta hun.
Zara : supplementary ye to baas excuse hai koyi fancy ladki dikhi hogi jisko dekh rahe honge tum.
Duke : tumhe kuch bhi pata nahi hai, martial soul mai ek supplementary soul milna bahut hard hota hai. Aagar tumhe mil jaye aur tum uske sath team up kar lo to tumara aur uska dono ka martial soul strength increase ho jayega. Iss skill ko martial soul fusion kaha jata hai.
Zara (haste huye) : iska matlab wo ladki ka martial soul Tigress hogi hehehehe....
Duke apne sar ke piche hath marke : sayad….
Yese hi saab chalte chalte second test ke paas aajate hai,
Duke : yanha pe tumhara second test hoga, aage teacher tumhe saab bata denge mujhe abhi kuch kaam yaad aagaya to wo mai karke aata hun ye kehke Duke wanha se chala jata hai, aur ye teeno bhi uss aur chale jate hai janha pe inka test hona tha wanha bhi line thy per jyada nahi.
Wanhi ek ladka apna bun bech raha tha. Chila chila ke jiske chilane se veer aur Zara ki nazar bhi uske traf chala gaya.
Ladka baas baar ek hi word repeat kiye ja raha tha, sale sale Ben’s delicious and affordable bun…..Bun for sale......Bun for sale, Ben's Bun.....
To dono ko entry mil gyi hai pr ye ladki kon thi jo in dono se pahle aai thi kya koi princess thi Ya kisi bade family ki ladki... Superb update bhai sandar jabarjast
 
115
703
93
I am sorry friends, 9 baje ghar louta kaam se to fully tired hun to aaj nahi asakta update, per kal paka aayega. Once again sorry.
Bhai jab bhi kisi kaam me busy ho to bta dena

Baki din jldi jldi or bdde bdde update dena
 

Asif khan

Well-Known Member
6,181
18,515
188
Update 5
Sabhi bache abhi baat kar hi rahe thy ki piche se ek pyari si awaj aati hai, jaab saab piche mudd te hai to ek ladki khadi thy,
Pink dress, badi badi ankhe, lambe baal, kamar pe ek rabbit ka purse, aur sar mai rabbit ka kaan ka clip jo hawa mai hil raha tha, aur hath mai rabbit ka pink bag, yesa lag raha tha ki wo ladki ko rabbit bahut jyada pasand hai.
Veer baas usse hi dekhe ja raha tha isiliye,
W Veer ke kaan ke paas : mixed-gender housing hamare school mai allowed hai. Haam abhi bache hai aur hamara school dorm gender neutral hai.
Per hamesha ye intermediate school ke hostel mai hota hai per iss baar junior hostel mai suru ho gaya pata nahi kyu? Ye baat bahut ajib hai.
Jaab W aur Veer baate kar rahe thy to wo ladki aage ki aur chalte chalte Veer ke samne aake khadi ho jati hai.
W : pichle saal hamme ek bhi apprentice join nahi hua tha, per iss saal 2 new apprentice join huye hai.
Boss, jao apna kuch skill dikhao…..
Veer : mai?
W : yes…wo ek newbie hai hame uski abilities test karna hoga. Aab jao….
Ye kehke piche se ek Dhaka de deta hai Veer ko jisse Veer aage ki aur jhuk ke aage badh jata hai, Veer abhi uss ladki se takrane wala tha ki khud ko sambhalne mai kamiyab ho jata hai aur wo ladki bhi Veer ko yese aage aate huye dekh ke rukh jati hai.
Veer bhi rukhne ke baad us ladki ko dekhke ek weird sa smile deta hai aur apna hath apne sar ke piche leke apna sar khujane lagta hai, wo ladki baas Veer ko dekh rahi thy.
Veer uss ladki ko dekhte huye W se : mujhe lagta hai ye necessary nahi hai.
Wo ladki bina kisi ke parwah kiye apna intro dene lagti hai,
Ladki : hello everyone, mera naam Zara hai. Mai yanha nayi hun iss dorm 7 mai.
Veer : hi, mai Veer hun…iss dorm ka chief….tum mujhe mera naam se bula sati ho.
Kya mai Jaan sakta hun tumhara martial soul ke bare mai?
Zara : apni sar mai lagi rabbit ear ko hila ke, yes....mera martial soul ek rabbit hai white rabbit.
Tumhara kya hai?
Veer : mera martial soul tumhara martial soul ka khana hai Blue Silver Plant.
Blue Silver Plant ke naam sunke Zara apni munh pe hath rakh ke hasne lagti hai. Fir,
Zara : ye majedaar hai, kya mai iss dorm mai welcome hun.
Zara ki baat se Veer kuch hadbada jata hai, fir…
Veer : wo baat ye hai ki….wo…dorm 7 ka kuch rule hai, jo naya aata hai to wo apna martial souls ability ko dikhata hai aur dorm boss ke sath ek friendly fight karta hai.
To mai iss dorm ka boss ke tour pe tumhare sath ek friendly fight ladhna chahta hun.

Veer ki baate sunke Zara smile karte huye,
Zara : kya tum sure ho iss baare mai?
Veer : han….
Zara : ok….
Ok kehke apna hath mai pakda pink rabbit bag wanhi paas ke ladke taraf kar deta hai, Wo ladka bhi thodi der ke liye kuch samajh nahi pata hai ki Zara ne uske taraf bag kyun badhya hai, fir jaab samajh gaya to wo Zara ke hatth se bag le leta hai. Bag ladka le jane ke baad,

Zara : to suru kare….ye kehke kuch 5-6 step piche le leti hai aur jake calmly khadi ho jati hai.
Veer bhi usse dekhne lagta hai. Thodi der ke liye koyi kuch nahi karta hai baas dono ek dusre ko dekhne lagte hai.
Fir ek smile ke sath Zara wanha se gayab ho jati hai asal wo gayab nahi huyi thy wo kafi speed se move ki thy aur uski movement ko baas Veer hi dekh pa raha wo bhi apne purple demon eye ki wajah se.
Jaab Zara gayab huyi taab hi Veer ne apna skill use kar liya tha.
Zara wanha se gayab hoke ek kick jadd deti hai Veer ke face pe jisse Veer apni hath ko jod ke bach jata hai, Zara itne mai nahi rukhti hai wo immediately apna body bend kar leti hai aur Veer ke leg ko target karke marti hai, per Veer satark tha to back flip mar ke thoda piche chala jata hai, per jaab Veer piche land karta hai zara taab tak ek aur kick ghuma di thy jisse Veer apne body ko back side bend karke bach jata hai aur apna hath ke sahar ek back flip marke thoda dur chala aata hai.
Jaab Veer back flip maar raha tha Zara bhi front flip marke Veer ke upar ek aur kick jaad deti hai jisse ki Veer firse apna hath ke sahare block kar deta hai.
Yese hi pata nahi kitne move Veer aur Zara ke bich mai exchange ho chuka tha Veer baas block kar raha tha aur Zara baas Veer ke upar hamla kar rahi thy aur usko piche ki aur khiska rahi thy.
Zara ne hawa mai hi ghum ke ek kick marti hai Veer ko jisse Veer rokh leta hai aur uss ka impact se paas mai chal raha candles bhi bujh jata hai.
Jaab Zara ka ye kick bekar hota hai to Zara back flip marke thoda piche aajati hai,
Zara : are you ok? Ye baat Zara ne issliye boli thy ki unse iss attack mai apna 60-70% power use kiya tha.

Veer kuch nahi bolta per dorm ke baaki bache W ke sath boss…boss..ki awaj lagana suru kar dete hai, aur Veer ko motive karne lagte hai.

Aab Veer bhi apna martial art dikhana suru kar deta hai jo sikha tha pichle jindegi mai, Zara baar baar uske punches aur kicks se bach rahi thy aur jo Zara mar rahi thy Veer ko Veer Ghostly Trace aur purple demon eye ke help se bach raha tha, aur wo dikne mai yesa laag raha tha ki Veer Sutter ho raha tha.
Sayad Zara ko aur khelne ke mood mai nahi thy to usne apna best move show karti hai, kafi speed se wo Veer ke taraf bhagti hai, Veer usse punch marne hi wala hota hai ki Zara uska hath pakad ke uske piche chala jata hai aur jaab veer usko piche pakad ne ke liye hath badhata hai to Zara Veer ka right hand pakad ke hawa mai upar ho jati hai per Veer ki hath ko chodti nahi fir hath ko sarka ke veer shoulder pe dono hath rakh leti hai aur hawa mai ghum ke pet pe ek kick de marti hai wo bhi soul power ke use se, jisse Veer dur jake girta hai munh ke baal.
Dorm 7 ke sare bache herani se dono ko dekh rahe thy, dono ne kafi acha ladhe thy. Abhi bhi Zara ke face ek pyari si smile thy jesse pehle thy, fir wo aage badh ke Veer ke paas chali jati hai.
Veer wanhi niche pade pade hi badbadaye ja raha tha : sayad mai dorm 7 ka sabse kaam samay ka boss raha hun. Fir apna sar ko jhatka deta hai.
Zara : Veer tum thik to ho na?
Veer khada hoke Zara ko dekhta hai fir,
Veer : mai haar gaya. Kya tum mujhe bata sakti ho, ye konsi skill tumne use kiya hai abhi?
Zara : sure..ye Rou skill hai…ye skill mai hamare body ka softness aur flexibility jyada use hoti hai. Fir wapas uss ladke pe paas chali jati hai jisko apna bag pakadaya hua tha.
Veer : Rou skill….(mann mai : sabhi famous clan martial world mai including Mystrious clan, maine kabhi bhi yesa martial art nahi dekha hai. Ye skill behed hi powerful lagti hai sath mai risky bhi.
Kesse mai usko pakad nahi pa raha tha aagar mera Speed response acha hota to sayad kuch aur result hota.)
W paas ke khade ek aur student se : iss saal naye students kafi skillful hai na?
Veer Zara se : dorm 7 ke rule ke hisab se tum jiti, aab se tum iss dorm 7 ki leader which means tum hamara new boss ho.
Sabhi bache : that’s right.
Zara : boss…. Interesting….ok to mai tumhara boss hun aab se.
Sare bache jhuk jate hai aur Zara unke bich mai chalti huyi aage chali jati hai. Jaab Veer kuch nahi karta hai to W usse khinch ke apne side khada kar deta hai aur usko jhuka deta hai Zara ke samne.
Zara apne bed ke paas pahunch ke,
Zara : ye thik hai, aab dismiss.
Jaab Veer dusre bed ke taraf jata hai aur apna saman rakh deta hai to Zara bhi uske paas ke bed ke paas chali jati hai, uss bed pe pehle se hi ek ladka betha hua tha jaab Zara uss bed ke paas gayi to wo ladka wanha se uth ke chala gaya.
Zara bhi Veer ke bed ke side apna saman rakh ke usme beth jati hai.
Zara Veer ko dekh ke : Veer, tumhara soul power level kya hai? Jaab mai tumse ladh rahi thy mujhe yesa laga tum strong ho per mere se thoda kaam.
Veer apna saman lagate huye : mai full soul power ke sath born hua hun. Isi wajah se sayad tumhe ye laga hoga.
Saare bache : kya full soul power?
W (mann mai) : isiliye wo mujhse jyada powerful hai.
Tabhi wanha ek admi aata hai,
Admi : Veer koun hai?
Veer bhi uss admi ko dekh ke : ji mai….
Wo admi bhi Veer ke paas aajata hai,
Admi : mera naam Mo hai, ye new bedding (isme ek bedsheet aur blanket tha) apko master ne diya hai.
Veer bhi wo le leta hai,
Veer : thank you Mr. Mo….
Mo iss hostel ke teacher thy, Veer ko bedding dene ke baad sabhi bacho ke taraf mud jate hai,
Mr. Mo : Veer aur Zara iss year new student hai asha hai aap sabhi inke sath dosti karenge. Fir Veer aur Zara ko dekhte huye tum dono field ke paas wala garden ke South side ka incharge ho usme tumhe kaam karna hai, tumhe tumhare kaam ke 10 copper soul coin har roj milenge, aagar tumne laparwahi ki to tum fail bhi ho sakte ho.
Veer : thik hai….
Mr. Mo : kal opening ceremony hai school mai. Tumhe apna kaam suru karna hai parsho se. Mai check karne bhi aata rahunga kabhi kabar.
Aagar kuch question hai to tum W se puch sakte ho.
Veer and Zara : thik hai….
Fir Mr. Mo chale jate hai. Zara baas Veer ki bedding ko hi dekh rahi thy kyun ki uske paas nahi tha.
W aur kuch kuch ladke apne bedding le aate hai aur Zara ko offer karte hai.
Per Zara sabhi ke bedding ko dekhti hai fir Veer ke paas aajati hai.
Zara : Veer chalo iss matter ko discuss karte hai. Tumhara bedding bada hai aram se do loog isse use kar sakte hai.
Kya kehte ho, hamara dono ka bed ko ek karke ye ek hi bedding ham use kare.
Veer : kya…sath mai…kya ye thik rahega, haam dono ko karib aana.
Zara sidhe Veer ke paas jake uske chest pe ungli rakh deti hai fir veer ke ankho mai dekh ke bolti hai,
Zara : mai ek ladki hoke aagar mind nahi kar raha hun to tum kyun mind kar rahe ho.
Zara ki baate sunke sare bache ek dusre ko dekhne lagte, aur idhar Zara baar baar Veer ke chest mai ungli maar rahi thy,
Zara : tum kis liye wait kar rahe ho? Jaldi….mera bed ko tumhara bed se connect karo…
Pata nahi kyun per Veer bhi Zara ki baat manke Zara ki bed ko move karne lagta hai per ho nahi pa raha tha.
Zara : maine socha tha tum strong honge…yese hi baate karti rahi aur Veer ko motive karte rahi,
Akhir kaar Veer ne bed ko move karke do bed ko milake ek kar diya. Aur thak ke wanhi bed niche farsh pe beth jata hai,
Zara aage badh ke kaman sambhal ti hai, bedding ko ache se dono bed pe use karti hai jesse ki bedsheet ko bed pe ache se set kar deti hai fir blanket ko bhi ache se saza deti hai, fir apne bag ko bicho bicho rakh ke,
Zara : abhi se ye hamara border hoga. Aagar tum border paar kare to mujhse bura koi nahi hoga, ye baate bolte time Zara apni muthi ko dikhati hai.
Veer Zara ko dekh ke ek gehri sanse chod ke wanhi betha rehta hai aur apna sar ko naa mai hilata rehta hai.
Fir veer aur Zara, W ke sath khana khane ke liye hostel ke canteen mai jate hai,
Zara : woooow kitna bada hai….ye pehla word nikla tha Zara ke munh se jaab wo canteen dekhi to,

Canteen bahot bada aur sunder tha.
Fir charo aur ghum ke dekhne lagti hai. Sabhi bache hostel ke wanha khana kha rahe thy.
W : iss canteen mai 300 se bhi jyada students aur teachers kha sakte hai ek hi baar mai, beshak ye bahut bada hai.
Zara : chalo chalte hai mujhe bahot joro se bhuk lagi hai.
Abhi ye teeno W, Veer aur Zara aage badhne hi wale thy ki unke kaan mai kuch baate padti hai jo ki 1st floor se kisine kahi thy,
Awaj : aare dekho to kon aaya hai, W aur uska poor gang….
Jaab Veer upar dekhta hai 3-4 ladke khade thy. Aur unme se jo unka leader tha wo iss baat ko bola tha wo ladka itne mai bhi nahi rukhta hai baas bolte jata hai,
Ladka : aagar tum poor ho to hamesha poor hi rahoge. Inke liye first floor mai aake khana impossible hai.
Uss ladke ki baat sunke W apni muthi kass leta hai gusse se. Jisko Zara ne dekh liya tha to,
Zara : tum kon ho? Aur first floor isme itna acha kya hai?
Ladka : wow, tum sach mai pretty ho little girl, per ye baat bhi buri hai ki tum sirf ek apprentice ho.
W Zara ko : first floor pe aap personally kuch bhi order kar sakte hai aur kha sakte hai, aur uska price bhi high hai, jisse haam afford nahi kar sakte.
Ladka W se : W, mai abhi khane ja raha hun, iss baar tumhe jane de raha hun.

ye ladka hamesha W aur uska gang ko bully karta hai.

Zara bhi uss ladke ki baat sunke gusse mai thy jaab ladka yesa bola to Zara uske upar chilane hi wali thy ki taab tak wo ladka ja chuka tha, to Zara apna gussa mai apna pair patak ke aage jane lagti hai uss ladke ke piche, to Veer aage badh ke Zara ka hath pakad leta hai,
Wo itne speed se gaya tha ki W bhi ek baar heran ho jata hai,
W (mann mai) : Veer wo kaab paas hua mere side se wo bhi itne fast….
Veer : bura maat mano…haam yanha Khana khane aaye hai.
Zara : tum darte ho trouble se.
Veer kuch nahi bolta baas apni previous life ke clan kr rule ko yaad karne lagta hai, pata nahi Zara ko kya hota hai, jo wo gussa thy usko bhul jati hai Veer ke ankho mai dekh ke.
Veer (mann mai) : mere clan ke hisab se pehle hame koyi bhi trouble create nahi karna chahiye.
Zara : never mind, chalo khana khate hai pehle, baad mai unko sabak sikhayenge.
Ye kehke apna hath chuda ke wanha se chali jati hai khana khane aur W bhi uske sath jata hai.
Veer (mann mai) : aagar koyi tumpe pehle attack karta hai to hame fight back karna hai wo bhi hamara full potential ke sath.
Fir Veer bhi Zara ke piche piche chala jata hai. Abhi ja hi rahe thy ki Veer apne master ko dekhta hai, to unke paas chala aata hai,
Veer : master, aap bhi yanha khane ke liye aaye hai.
Master : hmm…kya tumne apna saab kuch thik kaar liya hai?
Veer : hmm…thank you apne jo bedding diya hai uske liye.
Master : mere sath aao first floor pe khane ke liye, aur iss jagah ko ache se bhi dikha deta hun tumhe mai.

Veer master ki baate sunke Zara aur W ke taraf dekhta hai, jo abhi khana ko dekh rahe thy.
Sabhi khana ko dekh ke Zara ke munh se baas Woooow hi nikal ta hai.
Zara : kya isme se jo bhi hai ham kha sakte hai to mai Khana suru kar raha hun ye itna delicious dikh raha hai ki mai aur control nahi kar sakti.
Per jaab Veer ko dekhti hai to master ke sath baat kar raha tha to Zara wapas Veer ke taraf aajati hai.
Veer : thank you master, per mai mere dorm mates ke sath hi khana chahta hun.
Master : good, aap ek awara (maverick) ke tarah act nahi kar rahe hai. Mera intezar karna canteen entrance ke paas khana khane ke baad.
Veer : thik hai master….
W Veer ke paas aake : kya tum master ko jante ho?
Veer : wo mere teacher hai.
W : kya tumne master ko apna teacher bola? Fir sushti bhari sans chod ke,
Unki ability average hai. Unke bare mai ek rumored hai ki unka principal ke sath acha relationship hai isiliye wo guest teacher ke tour pe kaam karte hai yanha.
Maine suna hai ki wo almost 50 ke aas paas hai fir bhi wo big soul master level mai hi hai, unka martial soul level sirf 29 hi hai.
Wo isse upar ja hi nahi sakte kabhi bhi.
W ki baate sunke Veer usko pehle ghurta hai fir,
Veer : ye first time hai aur mujhe asha hai ye hi apka last time bhi hoga, agar aap mere sath fight nahi karna chahte hai to, kabhi bhi mere teacher ke upar kisi bhi tarah ki comments maat karna.
Aur mujhe acha laga apki good intentions ke liye.
Aur fir bahar ki aur chala jata hai bina kuch khaye….
Chalte hai thoda mohan Veer ke papa ko dekh ke aate hai,

Mohan apne ghar mai bethe bethe baas Veer ke baare mai hi soch raha tha,
Jaab Veer hammering kar raha tha jaab galti karta to Mohan uske paas jake uska hath pakad ke usse sikhata tha.
Jaab Veer ne Mohan ke kahe anusar 10000 time hammering complete kiya tha taab Mohan ko badi herani huyi thy kyun ki Veer ka hath ek daam sahi salamat tha bina kissi chale ke isiliye usko herani huyi thy.
Fir Mohan ko yaad aata hai jaab Veer chala gaya tha school to wo dukhi ho jata hai.
Wapas school chalte hai,

Idhar master Veer ko apne cabin mai le aate hai khana khane ke baad.
Master ke cabin mai charo aur baas book hi book thy aur ek side ek bed pada tha aur ek table and chair.
Master ander aane ke baad Veer ko kuch khane ke liye de dete hai jaab Veer bina khaye wapas aagaya tha canteen se to master ne bhi dekh liya tha.
Master : ye lo kha lo, tum abhi growth kar rahe ho tumhe abhi khana ache se khana chahiye.
Veer : master…..
Master : jaldi karo, kha lo jaab khana garam hai taab. Khane ke baad baat karte hai.
Veer khana khane taak master baas usse hi dekh rahe thy, khana khane ke baad,
Master : mujhe tumhara dusra martial soul dekhna dikha sakte ho.
Veer : thik hai master, aur master apko mujh se permission lene ki jarurat nahi hai aap mujhe order kar sakte hai, mai apka student ke tour pe ussa pura karne ka pura prayas karunga.
Fir apne left hand ko aage kar ta hai aur apna martial soul ko yaad karta hai.
Veer ke left hand ke palm mai dhire dhire ek hammer aajata hai ghumte huye.
Master ne jaab dekha to wo apne seat se khade ho jate hai.
Master : ye….ye….
Thik hai isse withdraw karlo. Aur yaad rakho isse kabhi bhi dusre ke samne maat lana aur na hi kisi dusre ko dikhana.
Mere permission ke bina tum kabhi bhi isme koyi bhi soul ring add maat karna.
Veer : papa ne bhi yanhi kaha tha.
School aane se pehle,

Fir veer batata hai ki mohan ne kya kaha tha usse,

Mohan : mujhe tumse ye bhi promise chahiye, no matter tum kesse apna soul power ki practice karte ho per kabhi bhi koyi bhi soul ring apne hammer martial soul mai add nahi karoge.
Aur sabse jyada jaruri kabhi kisi dusre ko apna ye soul nahi dikhaoge aur kabhi bhi ye maat batana ki tumhara twin martial soul hai. Kya tum ye kar sakte ho?
Master ne Veer ki baate sunke,
Master : tumhare papa kya job karte hai?
Veer : wo blacksmith hai village mai.
Master : blacksmith? Fir ek thandi si sanse chod ke apne seat pe wapas beth jate hai,
Blacksmith and hammer dono kafi ache jodi daar hai.

Veer : master mai iss martial soul mai kyun soul ring aad nahi kar sakta?
Master : abhi wo time nahi aaya hai ki tumhe wo baat bata saku. Tum apne dimag mai baas yr rakh lo ki ye tumhara future ke liye hai, thik hai.
Veer apne left palm ko dekh ke papa ne jo baat bole thy master ne bhi wanhi samne baat bole.
Veer : thik hai master mai yaad rakhunga ye baat.
Master : thik hai, to kaal subha mai tumhe le chalunga tumhara pehle soul ring pane ke liye jo tumhara blue silver plant ko suit ho. Jisse ki tum soul master level mai ajaoge.
Veer (mann mai) : soul ring ke help se mai mera skill mai bhi progress kar sakta hun, per….
Veer : kaal to school opening ceremony hai na.
Master : wo mai sambhal lunga tumhare liye. Aab ye batao ki tumhara view kya hai blue silver plant ke bare mai.
Veer : saab sochte hai ki ye ek useless martial soul hai. Per mai ye sochta hun ki sabhi ka apna apna speciality hota hai. Janta hun ki ye har jagah mil jata hai per iska kuch to reason hoga jiske liye ye exist karta hai.
Master : good, apke age mai yesa insights hona sach mai kafi rare hai. Chalo mai apko martial soul ka developmenpath ke bare mai bata ta hun.
Veer : martial soul development path?
Master : chalo suru karte hai martial soul ke categories se, martial soul ko mainly do categories mai divide kiya gaya hai ek beast soul aur dusra tool soul.
Beast soul ye human ke sath martial soul ka merge hona hota hai. Isme beasts power ko apne hisab se utilise karna hota hai.
Uss tak pahunchne ke liye jisme human body aur soul ek ho usko haam martial soul shield body kehte hai. Aur isme ashani se aap war soul master ban sakte hai aagar aap ache se practice karte hai to.

Wese hi tool soul beast soul se alag hota hai kafi alag. Jyada tar tool souls body se bahar nikalna padta hai use karne ke liye, tool souls beast soul ke compare mai ye ek auxiliary ki tarah hai.
Inke alawa kuch martial soul hai jo food hai.
Veer : kya ham martial soul ko kha sakte hai?
Master : yes….jo bhi martial soul food branch se hai usko khaya ja sakta hai. Wo ek tarah ke energy hote hai.
Veer : iska matlab ye hai ki tool souls support ke liye hota hai. Right?
Master : tumhara assumption 100% sahi nahi hai. Jesse ki tumhe pata hai beast soul mai war soul master ho sakte hai wese hi kuch tool martial soul bhi war soul master ho sakte hai. Each soul master ka apna path hota hai jisme wo chalte hai.
Tool soul mai Food branch soul, investigation branch soul, combat branch soul, healing branch soul, aur bhi bahut se brach hai jo tool soul mai jate hai.
Veer : master mai kis path ki aur jaun?
Master : bahut se loog sochte hai ki blue silver plant useless hai. Lekin saalo ka research ke baad mujhe ye pata chala hai ki usme bhi takat hai. Aur wo usefull bhi hai,
Pehla cause ye thodi hi soul power consume karta hai

Dusra ye har jagah pe milta hai ya ye keh sakhte ho ki ye har jagah ugge huye hai.
Tisra iska development ke liye alag path hai. Aur ye martial soul koyi soul ring ko easily repel (piche hatana) nahi karta .
Veer : repel?
Master : that’s right….Aagar apki martial soul, soul ring se match nahi karega to soul ring ko soul repel kar sakta hai. Aur isme 4th cause tumahare upar kaam karega.
Veer : mere upar?

Wawoooo kuch hat k read kerne ko mil raha h very interesting
 
Status
Not open for further replies.
Top