Abhishek Kumar98
Well-Known Member
- 8,269
- 8,989
- 188
Bahut jabardast update bhai lagaya vishu ko Karn ne hi bachaya hai altered bankar aur ab hero ko bhi Apni khufiya jagah le aaya haiUpdate 13
Mein abh bhut hi bura fass gyan hoon…….
Vishu ne sahmne kharde lardke ko dekh kar socha.
Tabi woh lardka bola meine tumhe kaha tha na ke tum mujhe aise dekh nhi sakte ho. Aur aisa karke tum mujhse bach nhi sakte ho.
Vishu ne jab apne peeche dekha toh paeya ke veh log use gher kar kharde hain ta ke woh bagh na sake…
Vishu ko aur dhiyan dene se pata chala ke je colour gang ke lardke hai mtlb mein thorda sa v fightback nhi kar sakta hoon.
……chalo kiya kar lenge yeh mujhe mar lenge thorda aur jab je bore ho jayen ge chale jayen ge seh lenge thorda “vishu ne socha”.
Woh lardka jise vishu naraz kiya tha woh apni bike se utara aur uske baki sathi v tiyar ho gye agar vishu bagha use pakrdne ke leye. Woh lardka chala huya vishu ke karreeb anee laga . vishu ne dar ke mare apni akhen band kar li aur us lardke ke punch marne ka intezar karna laga.
Par use ek bhut hi dardnak cheekh sunai di.
Usne dekha wo lardka jo use marne aeya tha. Woh zameen mein gira dhul chat rah tha uski kohni tuti hoyi thi aur woh neeche gira chila raha tha. Tabhi vishu ke sahmne ek kala coat pehne admi a gya.
Tabhi woh admi bola… mein jahan paas se guzar raha tha aur meine dekhe ke tumhare jaise sardak shaap gunde ek nihathe bache par apna rob jamana chahte the.
Kyuki vah uske saamane tha, vishu keval dekh sakta tha ki us aadmi ke lambe baal the aur ek thos shareer. Use lamba kehna use underestimate karna hoga, vushu ne anumaan lagaaya ki vah aath feet se adhik lamba hoga. Jaise hee vah murda, vishu ne uske chehre par ek achi nazar daali. Usne beard rakhi huyi thi , lekin kul milaakar vah acha dikhta tha. Yah aisa tha jaise vah karn ke adult version ko dekh raha ho.
Baki ke lardke jinhe chot nahi lagi thee, ve apni bike se utar gye aur hathiyaar nikaalane lage, aur zameen par baithe ek ne apni jeb se chaakoo nikaal liya.
"mere baare mein chinta mat karo, mein bahut kharaab cheejon se nikla hoon yeh toh bass chhoota sa hi kaam hai," vah aadmi vishu ko dekh kar muskuraaya, usne dordh laga di us lardke ki taraf jisne hath par bike ke chain lapeti huyi thi.
Jab us lardke ne aadmi ko apni taraf atte dekha toh usne chain ko admi ki aur hunter ki tarh fekha. Lekin aadmi ne vardi aasaani se us se bach gya aur uske hath se usiki hi chain cheen li. Aur lardke ke per par vad kar diya jis ke karn woh lardka zameen par gir gya.
Apne sathi ke aise mar kahta dekh dusra larkda chaaku lekar admi par attack karne laga par woh aadmi vardi aasani se uske hamlo se bach raha tha aur agle hi pal chaaku wala lardka v zameen par dhul chat raha tha.
Vishu je sab dekh ke heran reh gya usne idwr uder dhiyan v diya lekin wah par use milakar sirf 6 hi log the aur unme se char toh zameen par gire parde the.
Apne ghar jayo lardke….. Raat ko bahr niklna tumhare leye acha nhi hai. Har var tumhe bachane koi. Aye ga nhi. Us admi ne vishu ko hidayat di aur chal parda apne raste.
Je kon tha……jo abh vishu ke sath huya toh woh abhi tak aschreya chakit tha.
***********
Ek aur person tha jo is vakt ghar se bahr nikalne ko tiyar tha…..haan je hamara hero sahil hi tha….lekin ghar se bahr niklna woh v raat ko aur apne gharwalon ko bhanak v na lagne dena je koi aasaan kaam nhi tha. Parantu aabh sahil ko itna toh pata tha ke uske pass werewolf ki power hai. Sahil khirdki se bahr nikla aur apne hathon se khirdki ke keenaro ko pakrda aur dheere dheere niche floor tak pahunch gya. Farsh ke kareeb pahunchte hi sahil ne shalang laga di .par isseusko koi fark nhi parda je uske liye bahut assan tha na hi use dikat ayi neeche utarne mein aur na hi salang lagane mein sahil ko aisa lag raha tha ke jaise usme itni takat hai ke woh aram se kitni var aisa kar sakta hai lekin thake ga nhi.
Hehe……sahil muskureya, mujhe lagta hai ki es werewolf wale system se mein aur v bhut kuch kar sakta hoon woh bhut assani se.
Karn dwara nirdharit milne ka sthal vidyaalay ke samne tha. Usually sahil jab v pehle bahr jata tha toh veh blacl aur red tracksuit phen kar nikalta tha. Prantu jeh suit use uski purani gang underdog ne diya tha isi leye us epehn kar bahr niklna khatre se kam nhi tha isileye sahil ne white shirt aur black trousers phen liya tha.
Jab sahil meeting point par pahuncha toh usne dekha ki karn sahmne hi kharda hai aur woh aise hi dur ki cheezon ko dekh raha hai.
Mein agya karn abh mujhe batayo kiya kaam hai mere leye….?
Karn ne sahil ko upar se neeche tak dekha aur sahil ke kaprdo ko mazak udate huye bola.
Toh tum itni jaldi agye , kahin tum pass mein hi toh nhi the, mein v abhi hi kuch der pehle jahan pahuncha hoon……par mein tumhen ih kaprdon mein toh nhi apne sath chaln de sakta hoon.
Karn ne ek sports bag sahil ki taraf fenka.
Yeh kiya hai karn….? Jaise hi sahil ne bag ko khola usme uske leye naye kaprde tahe aur ascharye ki baat jeh thi ki woh uske hi size ke the …..karn ko mere size ke vare mein kise pata chala meine toh eese kuch baateya hi nhi hai.
"kya tum pehle hee bhool gaye ho jo mainne tumse kaha tha? ham ek naya giroh bana rahe hain aur aaj tum hamaare giroh ka pratinidhitv karne wale vyakti honge. Main nahi chaahata ki ham un gareeb giroho mein se ek bane jo hoodie aur tracksuit pahante hain aur logon ko pareshan karte hain. Pehla impression maayane rakhta hai aur kyunki yah hamara debut hoga, isliye tumko khud ko thoda acha dikhana hoga."
Sahil ne chaaron or dekha, sahil apne kaprde badalne ke leye uchit jaagah dhoondh raha tha aur is vakt toh school v band tha. use sankoch karate hue dekhkar karn ne pharsh ki or ishara kiya.
"lagbhag aadhee raat ho chuki hai, isilie vaise bhi tumko dekhne vaala koi nahi hai." karn bola.
Sahil is baat par karn se vehas nhi karna chahta tha kyuke abh karn hi uski jaise akhri ummeed tha. Toh sahil ne v jyada socha nhi aur apne kaprde badal leye aur purane sports bag mein rakh kar use apne kandhon par taang liya.
Sahil ko naye kaprdon mein dekh kar karn bola abh tum kuch ache lag rhe ho. Ajj se jhi colour combination hi hamari gang ka parteek hai red aur golden.
Sahil ne v apne anye kaprdon ko dhiyan je dekha toh paeya ke uski kaprde the toh pure kale parantu usme sunehre rang ki dharian v thi.
Karn sahil ka majak udahte huye bola vese tumhare hairstyle hamare standard ko sute nhi karta kyu na tum ise v katwa lo. Par abh hamare pass tumhare hairstyle ko theek karne ka time nhi hai.
Chalo mere sath mein sahil yeh achi jagah nhi hai kam karne ke leye.
Aur karn… chal pardah ek jagah ki taraf jiska use hi malum tha. Sahil ke puchne par pehle toh karn ne ignore kiya. Par uske var var puchne par karn bola ke yeh uske leye surprise hai tum bass mere peeche atte raho.
Kuch hi samye mein dono ek car parking mein pahunch gaye. Sahil ne dekha ki yeh jagah main shaher se thordi hatke bani huyi hai.
Jab doni building ke andr jane lage toh sahil ke notice kita entrance par do bouncers kharde the jinki umer bss 18 sal se thordi jayda hi hogi.
Karn ke peeche peeche chalte sahil pahunch gya lift ke andr…. Upar jakar jab lift khuli toh sahil ke kano mein logo ke nachte huye chilane aur loud music ke aawazen ane lagi.
Andr jaker sahil ne dekha ke….. Je larkde lagbagh usi ki hi umer ke hai.. Kayion ne toh abhi tak school ki uniform hi pehni huyi thi.
Aur us party hall ke bicho beech ek fight ho rahi thi.
Sahil ko fight ki taraf dekhte karn bola je illegal fights hai……kuch larkde apne aap ko varda aur takatvar dekhane ke leye ek dusre se lardhte hai.
***********
Is update mein itna hi milte hai agle update mein………
Last edited: