Update 29: Lover boy
Dhruv ko haraane ke baad sahil ka poora focus ek cheej par tha, veh tha uska system. Itna focus ki, ki veh is baat se poori tarah anjaan tha ki is samay uske aas paas kya chal raha hai, kaise anya students use prashansa aur shatruta ke mile jhule bhav ke saath use dekh rahe hai.
level 2 par pahuchne par, usne apne mile ek stat point ko apne energy stat mein dala tha, jis se uska energy stats ko 10 points tak badha diya tha. abhi vah dhyaan se vichaar kar raha tha ki agle stat point ko kis category mein dale.
ise strength mein dalna bekaar hoga agar main apni strength ko gym jaakar bada sakta hoon. Aur meri endurance v khud v khud badh rahi hai jab mein maar khata hoon par mujhe is baare mein koi jankari nahi hai ki speed ko mein kaise badhayon. Halanki abhi tak toh meri strength aur endurance badh rahi hai par agge ka pata nahi, toh mein yeh stat point kis mein daloon?
health mein 10 aur points add karna ek bura vichaar nahi hai. 0 HP hona achi baat nahi hai, mujhe nahi pata jab yeh 0 hogi toh kiya hoga. isi liye mujhe ise itna low hone se bachna chahiye. toh phir, health stats hi mujhe jayda important lag rahi hai. na keval iska upyog healing ke liye kiya jata hai, balki bhavishya mein mere paas charging heart jaise kayi skills ho sakti hai. Jisme bahut se energy points lage ge. Usme meri jyada energy stats kaam ayen gi.
jab sahil apni soch se bahr aaya, toh usne dekha ki dhruv aur uske jaise white uniform pehne ek lardki usake saamane khardi thi, sahil ne us lardki ko bass shan bhar ke liye dekha kyunki uska dhyan uski stats screen par tha. lekin jab sajhil ne ek var phir us lardki ko phir se dekhne ke liye jaldi se apna sir utha.
"ek second ruko, tum—tum—tum..." sahil surprised look ke sath bola.
"tum yahan ladai karne aye the, hai na? Mujhe lagta nahi ki tum thake ho. Kyunki pichla match inti der chla v nahi. Simran ne baat karte huye apna haath uthaaya aur sahil ko uske upar attack karne ka ishara kiya.
Jitne v students class mein majood the unhe simran poori confident lag rahi thi jaise woh sahil ko hara degi. Aur use apne upar vaar karne ke liya nimantran de rahi thi.
sahil ne teacher ki aur dekha, is ummeed se ki veh aage aaenge aur kam se kam use ladai se piche hatne ke liye kahenge. kyunki usne dhruv ko itni aasaani se hara diya tha, jis par teacher ko kafi vishwas tha. haalaanki, veh dhruv ki dekhabhaal kar rahe the, jo abhi hosh mein a chuka tha.
kya vah sach mein is ladai ko hone dena chahte hai, lekin ... veh ek ladki hai! sahil ne socha. aisa nahi tha ki use lagta tha ki ladkiyaan kamajor hoti hain, lekin sahil ke charging heart skill ki wajah se, uske paas apne se dogune vyakti ki sath lardne ki taqat hai.
sabse mahatvapoorn baat, sahil jis lardki se lardhne wala tha woh lardki uska crush hai.
Mein sahil ko is lardki se lardhne nahi de sakta hoon…..vishu ke mn mein jahi chal raha tha ki agar simran se lardhte wakt sahil ki dil ki dhardhkane badh gayi toh pata nahi kiya ho jaye.
Sahil ne simran se kaha tumhe meri baat shaed old fashioned lage lekin mein lrdki se fight nahi kar sakta hoon.
Sahil ki baat par karate teacher hasta huya bola. Bache yeh tum dhruv ko harakar kahi yeh toh sochne nahi lag gaye ki yeh lrdki tumhare aage kuch v nahi. Toh tum galat soch rahe ho karate mein lardka lardki nahi hota bass karate hota hai koi v apni technique aur training se kisi ko v hara sakta hai. Tumhe lardhta dekh kar mein yeh keh sakta hoon ke tum pehle v tin char var lardh chuke ho iska yeh matlab nahi ke simran tumhe hara nahi sakti hai. Aur fight ka ek rule kabhi mat bhulna….ki tumhara opponent kamjor hai.
Vaise toh sahil lardki se v fight kar leta. Lekin saamne jo lardki thi woh uska crush thi. Aur upar se use dekhar sahil ka dil dhak dhak kar raha tha.
Sahil aur simran ik dusre ke amne saamne kahrde ek dusre ko dekh rahe the ki vishu veech mein bola. Woh sahil isi liye tumse nahi lardhna chahta kyunki….kyunki woh tumko pasand karta hai.
Vishu ki is baat par sahil, simran aur sari class hi shant ho gayi.
Sahil jor se chilaya….. vishu tumne yeh baat kyun boli. Mein use yeh baat khud bolna chahta tha.
Sahil ka kaal is wakt yeh tha ke dharti phate aur woh usme sama jaye. Upar se jitne v bache te karate class mein sabko pata chal gaya. Sahil ki heart beat v 150 BPM par pahunch gayi thi.
Simran:- acha toh yeh baat hai….tum mujhe like karte ho…? Lekin
Sahil toh bass jahan se baghna chahta tha. Agar use pata hota ke uske karate club mein aakar fight karne ke karan aisa hoga toh woh jahan aata hi nahi.
Sahil:- I'm sorry mein tumse nahi lardh sakta.
Sahil ne itna kaha aur apne headgear nikal kar neeche dekhne laga. Kyunki uski himmet nahi ho rahi thi ke woh simran se najre mila sake.
Sahil ko kaise roka jaye….karate teacher kuch soch hi raha tha ki simran hi bol pardi…….ruko…toh kiya jo tumhara dost keh raha hai ke tum mujhe pasand karte ho yeh sach hai…?
Sahil ne himmet karke simran ki taraf dekha aur kaha. Haan….mujhe maaf karna ke mere jaisa lardka tumhe pasand karta hai.
Sahil ki baat par simran boli…acha toh kyun na hum ek date pe chale. Agar tum mujhe hara do toh. Girlfriend toh baad ki baat par hum date par toh ja hi sakte hai.
Sahil ke sath sath class mein majood sabhi is baat se heraan reh gaye. Kyunki simran ek bahut hi khubsurat lardki hai. Jisko girlfriend banna na karate class ka har ek lardka chahta hai. Usse bahut sare lardko ne poocha v lekin usne direct unhe reject kar diya. Aur dhruv ne v try kiya tha. Lekin simran ne us se kaha ke agar woh us se match mein jeet jaye toh woh soche gi. Aur ant mein huya yeh ke dhruv har gya aur use class me second best student ka tag mil gaya.
Simran ne smile ke sath sahil ko kaha mein chahti hoon ke mein jiske sath v date par jayoon woh mujhse strong ho.
[New quest revived]
[Win the date!]
[tumhare sapno ki rajkumari ne tumhe chunoti di hai. Us se harayo, lover boy!]
[Quest reward: Instant level up + date]
Apne system se asisi notification sun kar sahil ko system par gussa a gya aur mn mein bola……sala yeh system ik number ka bhen ka lorda hai.
Milte hai abh agle update mein. Agar update acha laga toh like and comment karke batana. Thank you!