• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Werewolf

Kiya is story mein incest add kiya jaye

  • Total voters
    25
  • Poll closed .

F@ckYouBitch

Take the risk or lose the chance
1,308
3,526
144
36. Breaking News

Raat ke beech mein woh message milne ke baad, yeh kehna galat nahi hai ki Sahil achi neend nahi le saka. Har baar jab usne apni aankhein band ki, toh uska dimaag uske khud ke werewolf banne aur apni behen ko, jo uske bagal wale bistar par thi, nochnay ki tasveer dikhata rehta.

Aisa nahi tha ke uska sharir waise karna chah raha tha. Parantu system ka woh message ki tumhara bloodlust bardh raha hai bss jahi baat use khaye ja rahi thi. Sahil ko abi bhi apne aap mein koi farak nazar nahi a raha tha siwai uske super strength aur speed ke jo use powerful moon se milti thi, par ab wo bhi Sahil ke liye aam baat ban chuki thi.

[Tum neend ki kami se thak chuke ho]

[Jab tak tum acchi tarah se rest nahi karte, tumhari Energy bar 75% tak kam ki jati hai]

‘Accha, to yeh tumhari galti hai ke main so nahi paya, stupid system?’ Sahil ne apne mn mein khijte huye kaha, sahil is wakt apne school ki aur chalte huye ha raha tha. Fir bhi, 82.5 Energy ke saath bhi wo Charging Heart aur bahut si cheezein kar sakta tha. Yeh bhi ek pleasant surprise tha, ke Energy ke ilawa, uske baaki sabhi stats par koi negative asar nahi pada tha.

Apni classroom mein enter karte hi, Sahil aur Simran ki aankhein kuj pal ke liye sahi lekin mili toh thi. Aur simran sahil ko greet karne ke liye sahil ke paas aane lagi, shayed simran ki sahil mein dilchaspi vardh gayi thi. Par Sahil ne apni taraf vardhte simran ke hath ko ignore kiya aur bss hath ke sath wave karke woh apne desk ki tarah chal diya.

Sahil seedha apne desk ki taraf chala gaya, aur apna bag apne paas rakha aur turant apna sir neeche kar liya. Ab jab wo school mein tha, toh ek neend ki lehar uspar chha gayi thi, to usne socha teacher ke aane se pehle thodi der ke liye nap le liya jaye.

Kiya Sahil ko kuch huya hai, kahi iske peeche ki wajah kal mere sath huyi fight toh nahi hai. Par sahil toh mujhe pasand karta hai na, toh usne mujhe aise ignore kyu kar dia, Simran ne apne aap mein socha, Simran ab bahut chintit thi ke uska conversation us ladki ke saath kaise hoga jisko usne utha ke patak diya tha...

Jab Vishav class mein pahuncha aur apne desk ke paas gya toh usne paeya ki uska bench mate jani ke uska best friend so raha hai. Usko yeh baat ajeeb lagi kyunki Sahil usually class mein sota nahi tha. Prantu usne sahil ko uthana theek nahi samja aur sone diya. Aur sahil ke liye acchi baat yeh rahi ki kisi teacher ki v uspar nazar nahi padhi. Aur half time v ho gya. Toh Vishav ne socha abh toh ise utha hi deta hoon.

“Good morning, sleepy head. Waise technically to ab noon ho gaya hai toh kaise feel kar rahe ho abh tum? Toh kiya tum raat koi soye nahi the, ya fir iske peeche ka karan…..” Vishav ne idhar-udhar dekha ki koi sun toh nahi raha. “ kiya iske peeche ka karan Full moon hai.”

In shabdon ko sun kar Sahil ko system ne jo kaha tha, use yaad aa gaya.

“Mujhe bas kal raat neend nahi ayi thi. Aur iske peeche full moon ka koi lena dena nahi hai. Sahil ne uthte huye jawab diya “Chalo, kyun na hum kuch aur baat karein?”

“Sure, par yeh thoda important hai, kyunki humare paas sirf 11 din bache hain.” Vishav bola. “Humein iske vaare mein abhi tak kuch khaas pata nahi hai aur yeh v dekhna hai ke koi changes toh nahi a rahe hain tumme... Waise, kya tum Rugby club chhod rahe ho? Agar tum nahi chhodo ge, to kisi ko seriously injurey ho sakti hai”

“Bas.” Sahil itna pareshan tha ki wo lagbhag chilla pada. “Tum meri mom se bhi zyada mujhe daant rahe ho. Dekho, mujhe pata hai tum acha hi soch rahe ho aur main bhi us baare mein soch raha hoon aur chinta kar raha hoon. Lekin, main apne tareeke se cheezein solve kar sakta hoon, aur ye sab samjhana mushkil hai, jo mere saath ho raha hai.”

Ye Vishav ke liye bhi mushkil tha, honestly, usse yaad nahi tha ke uski aur Sahil ki aakhri baar kab bahas hui thi, lekin lately use v aisa lag raha tha ke wo bhut jayda soch raha hai, par Vishav ko maan na pada ke shayad wo thoda zyada protective ho raha hai.

“Abhi, Rugby actually unhi cheezon mein se ek hai jo mere liye achi chal rahi hai, isliye main aisi cheez ko nahi chhodna chahta jo mere mind koi baki cheezon se divert karne mein madad kar rahi hai.” Sahil ne jawab diya.

——

Jab classes khatam ho gayi toh fighting club ke liye jaane ki bajaye Sahil rugby field par chala gya, wo dono phir se Rugby field par the. Agle hafte ek match hone ki wajah se, unhone non-regulars ko bench par baith kar observe karne ko kaha tha, jisme Vishav bhi shamil tha.

Regulars ko do groups mein baanta gaya tha aur unke beech ek practice match hone wala tha. Rohit aur Sahil ek team mein the, jabki doosri team mein Gil aur Barry the, jinka naye member ke saath koi khaas achha rishta nahi tha.

‘Ye ek accha mauka hai kuch cheezein test karne ka.’ Sahil ne socha jab usne apne stats dekhe.

[Strength 5 (+1)]

[Dexterity 3 (+1)]

[Endurance 9 (+1)]

Moon ka boost ab bhi present tha, lekin Sahil jo test karna chahta tha wo yeh tha ki ye chhote increments numbers uspar kitna asar karte hain. Whistle bajte hi usne Charging Heart activate kar diya.

Uske base stats ke sath sath usne dekha ki wo ab bhi moon ke power se ek extra point ka boost le raha tha. Ball ek player ke haath mein thi lekin Sahil uski taraf itni tezi se aeya ki jiske hath mein ball thi usko aise laga jaise Sahil uske sahme kahi se parakat ho gya hai, Sahil ne us player ke peron par tackle kiya aur woh bada high school student turant gir gaya, aur turant hi recover karte hue, Sahil bhi zameen par pade loose ball ko uthane mein safal raha. Jaldi hi do aur log usse rokne aaye, aur wo apne reflexes aur unke predictable tackle patterns se bachne mein safal raha, jab tak usko kisi ne side se hit nahi kiya aur baaki ke team ke logo ne usko tackle karne ke liya uspar chardyi nahi kar di.

‘Kya wo aur v fast ho gaya hai? Heck, uski tackling bhi improve ho gayi hai.’ Rohit ne notice karte huye socha.

“Kya kar rahe ho, broccoli head?!” Mr. Vikas chillaye. “Maine tumhe mainly defence ke liye rakha tha. Kya tumhe laga ke tum akela hi point bana sakte ho? Agar tum ball ka possession le sakte ho, to main chahta hoon ki tum unhe lure karo aur fir pass karo!”

Sahil ne mana ke wo thoda carried away ho gaya tha, lekin uska sharir bahut accha mehsoos kar raha tha. ‘Charging Heart’ use karte hue wo bahut halka mehsoos kar raha tha, lagbhag addictive jaisa. Ye ek ajeeb feeling thi ki achanak tum jo pehle the usse do guna takatvaar insaan ban jao.

Jaise-jaise game aage badha, Sahil ne apne skills dikhaye aur field par kai logon ko uska performance noticeable laga. Sahil jaldi hi ek prime tackler ban raha tha, aur ek reliable player v. Usne Barry ko bhi tackle kiya, soch kar ke ek touch se wo Marking se chutkara paa sakta hai, lekin ye itna aasan nahi tha.

“Bhenchod teh sahi nahi ho raha hai,” Gil bola. “Dekho kitna praise kar rahe hain us ladke ko sirf isliye kyunki aaj uska accha din chal raha hai! Agar ye aise hi chalta raha, to Harvey kabhi team mein wapas nahi aayega. Humein kuch karna padega.”

Barry ne Sahil ko dekha, lekin kisi wajah se, jab se usne uska samna kiya tha, uski spine mein ek thandak si daud jati thi jab bhi woh usko dekhta tha. Ya to wo usse completely avoid karna chahta tha, ya uske instincts usse keh rahe the ke use kuch bhi karke usse chutkara pana hoga.

“Haan, lekin hum kuch nahi kar sakte! Rohit ne clear kar diya tha ke hum Sahil ko chuhe nahi. Agar humne kuch stupid kiya, to shayad humein hi team se kick out kar diya jayega.” Barry ne jawab diya.

Benches ki taraf dekhte hue, Gil ki nazar kisi aur par tik gayi.

“Thik hai, shayad hum Sahil ko touch nahi kar sakte, lekin koi aur hai jise hum target kar sakte hain.”

Rugby mein Vishav ka interest nahi tha, khaas kar apni physique ke karan use pata tha ke wo kabhi bhi us sport mein kuch nahi kar sakta, isliye usne apne phone par games khelne aur jitni updates use mil sakti thi us information ko use karne ka faisla kiya. Tabhi use local news channel se ek notification mili.

[Breaking news; Murderer on the loose!]

[Slough ke chhote sheher mein Montay area ke ek apartment block mein ek pati-patni subah mare hue paye gaye. Police ne abhi tak yeh nahi bataya ki exactly kya hua, lekin filhaal wo unke missing bete, Billy Bruntin ke baare mein koi tips dhoond rahe hain.]

‘Whoa, police ne seedha nahi kaha, lekin agar wo bete ko dhoond rahe hain aur wo missing hai, to kya iska matlab nahi ke wo prime suspect hai? Aakhir aisa kya ho sakta hai jo kisi ko itna bura bana de ke wo apne parents ko hi maar dale?’ Vishav ne socha.

Iske kuch hi der baad, Sahil ko apne system se ek disturbing message mila, jo usse samajh nahi aaya.

Milte hein agle update mein……

Abhishek Kumar98

Well-Known Member
8,300
9,041
188

Bahut jabardast update bhai Hero se kafi impress bhi huyi hai Simran isliye wo usse milna chahti thi baat karna chahti thi but hero jakar so gaya waise bhi uski neend na puri hone ki wajah se uski energy bhi kam hi rahegi aur Simran ke liye abhi dikkat khatam nahi huyi hai jis ladki ko usne patak diya tha wo abhi bhi badla lene ki soch rahi hogi aur hero pehle se bhi acha ho gaya hai rugby me aur ab Ye Gil jarur Vishav ki target karega hero ki wajah se but ye kaun hai jisne apne mom dad maar diye hai shayad
 
  • Like
Reactions: F@ckYouBitch

F@ckYouBitch

Take the risk or lose the chance
1,308
3,526
144
Bahut jabardast update bhai Hero se kafi impress bhi huyi hai Simran isliye wo usse milna chahti thi baat karna chahti thi but hero jakar so gaya waise bhi uski neend na puri hone ki wajah se uski energy bhi kam hi rahegi aur Simran ke liye abhi dikkat khatam nahi huyi hai jis ladki ko usne patak diya tha wo abhi bhi badla lene ki soch rahi hogi aur hero pehle se bhi acha ho gaya hai rugby me aur ab Ye Gil jarur Vishav ki target karega hero ki wajah se but ye kaun hai jisne apne mom dad maar diye hai shayad
Abhishek Kumar98 ❤️🙏🏼
 
  • Like
Reactions: Abhishek Kumar98

spritemathews

Well-Known Member
3,428
7,260
158
Fantastic Update Bro 😎
 
Abhishek Kumar98

Well-Known Member
8,300
9,041
188
Waiting for your new update bhai
 
  • Like
Reactions: F@ckYouBitch
Top