35. The Power of The Moon
Yeh naya Quest usko same rewards offer kar raha tha woh v same tarah ke kam ke liye, lekin Sahil ko thoda asmanjas main tha. Haalanki ki woh black colour gang ka member nahi tha, par phir bhi in logon ne uski madad ki thi aur unki hi madad se Sahil system se reward le saka tha. Sahil ne socha ki kyun na woh jaahan se jitni jadli ho sake nikal jaye.
Kyunki uska mn nahi maan raha tha ki woh inki peeth mein shura ghope. Yeh soch kar Sahil waha se jane ke liye murda hi tha ki uske kaano mein kisi ke cheekhne ki aawaaz padhi. Aur aawaz ayi v paas se hi thi.
“Tumne apne ilake se hamare ilake mein aakar galti kardi, haramzade”, yeh aawaz thi black colored gang ke ek member ki jo zameen par chotil parde red gang ke member ko apne baseball bat se maar raha tha aur woh aadmi is condition mein tha v nahi ki woh usko rok sake.
'Agar yeh banda aise hi use maarte raha, to... woh banda toh mar hi jaye ga.' Sahil ko jaise hi is baat ki realization huyi, toh usko gussa a gya.
Sahil ko tab yaad aaya ki kaise colour gang ke paanch members ne us ladki ko uske ghar ke paas se hi kidnap karne ki koshish ki thi. Apne time mein Underdogs ke liye kaam karte waqt, Sahil ne dekha tha ki har member madarchod nahi hota, kuch ke andar abhi bhi insaniyat baaki thi, jaise Kirk ke andar thi, par yeh gunde clearly us category mein nahi aate the.
Aise log loot paar karte hai bina kisi reason ke logon ko marte hai jinme unko maza aata hai. Ini choti moti color gangs ki wajah se hi hamara ilaka itna unsafe ho gya hai ki log bahar aane se v katrate hai. Inse aachi toh baadi gangs hai kam se kam woh innocent civilians ko jitna ho sake apne kamo se dur rakhne ki kohsish karti hai aur bina wajah kisi ko satati v nahi hai. Lekin yeh choti moti color gangs logon ko hurt karna apna haq samajti hai.
"Hey, suna nahi tumne, maine pucha tum kis group se ho?" Black color gang member ne apna sawaal repeat kiya, par Sahil bas uss bande ko dekhta raha jo baseball bat se us helpless bande ko aur maar raha tha. Aur uski hi gang ke teesre aadmi ne zameen par padhi knife ko uthaya aur chal kar us zameen par geere aadmi ke pass gya use uske face ke paas chaku ko liza kar bola.
"Tumhein abh pata chalega ki galat territory mein ghusne par kya hota hai."
Yeh dekh kar, Sahil se aur bardasht nahi hua.
Yeh sale bhenchod, lagta hai system ki baat hi sahi hai, sahil ne dheere se kaha aur sahmne kharde black colored gang ke teen bande uski baat ko aache se sun nahi paye, mein kisi v gang ka member nahi hoon sahil zor se bola.
Black colour gang member ko sahil ke last sentence ka matlab samajhne mein thoda waqt laga, par tab tak ek mukka uske kareeb a gya tha. Sahil ne apni Charging Heart skill ko phir se activate kar diya, jis se uski punch hawa mein aur fast ho gayi, aur uska aim seedha uske opponent ki chin pe tha, jise woh zameen pe gir gaya.
Sahil ne bina rukhe next wale pe attack kar diya. Sahil ko apne saathi ko ek hi punch mein knockout karte hue dekh kar, gang member ke hath se pocket knife panic mein gir gaya, woh jaldi se usse uthane ki koshish karne laga. Lekin yeh baat uske liye badi galti sabit hui. Jaise hi woh knife ko uthane ke liya jhuka vaise hi sahil ne iss mauke ka faiyda uthate huye uske face par ek laat maar di aur woh aadmi apne pehli sath ki tarah beshosh ho gya.
Sahil jab in do aadmiyon ke sath busy tha tab tak teesre aadmi ne sahil ki pith par teezi dikhate huye apne baseball bat se jor dar hamla kar diya. Sahil us neeche jhuke aadmi ko behosh karke peeche murdne hi wala tha ki us se pehle hi uski apni pith par usko ek jordar force feel huyi.
Saale!? Sabhi gundo ko meri pith se kiya dushmani hai jo v dekho peeche se hi vaar karta hai!'
[-10 HP]
[Congratulations! Bar-bar pitne ke baad tumhari body aur strong ho gaya hai. Iski aadat mat daalna, warna log sochenge ki tum M ho.]
[Endurance +1]
'Yeh mujhe congratulate karne ka sahi waqt nahi hai? Aur yeh M kya hota hai!' Sahil ne maar khate huye soch, kyunki woh aadmi lagatar baseball bat se sahil par vaar pe vaar kiye ja raha tha. Sahil apne aap ko ball ki tarah curl kar liya aur apne haathon ko sir ke upar rakh kar protect karne laga. Ek achi baat yeh thi ki is maar ke baad v uski HP ke sirf 5 points hi kam huye the, lekin yeh sahil ke liye samajhna mushkil tha ki yeh gang member ki thakaan ki wajah se tha ya uske boosted Endurance ke wajah se.
Apne daanto ko kaste hue, Sahil ne pain ko bardaasht kiya, aur apne adrenaline ko apna pain handle karne diya. Usne decide kiya ki woh gang member ki legs pe charge karega, ek aisa move jo usne Rugby mein bohot baar practice kiya tha. Apni strength se usse uthake, Sahil ne use zameen pe slam kar diya, woh banda knock out ho gya aur uske hath se bat gir gaya.
[Quest reward: 150 Exp]
[200/460 Exp]
[Tum ek lone wolf ho jo grow kar raha hai]
[Kya aap inme se kisi ko Mark karna chaahenge jinko aapne defeat kiya hai? (1/5)]
[Hunt ke dauraan, har successful Mark ke liye aapko extra Exp milega jinko aapne successfully takedown kiya hai]
[1/5]
Sahil ne naturally zyada logo ko Mark karne ka offer thukra kar diya. Use abhi bhi samajh nahi aaya tha ki hunt hai kiya, sahil bas is hunte ke baare mein ik andaza hi laga peya tha lekin usne socha tha ki woh aise logon ko nahi maare ga. Jitna ho sake is baat ko avoid karne ki koshish karega.
‘Mujhe abhi bhi Barry ke Mark ko kaise hataya jaye yeh samajhna padega. Kya mujhe Rugby practice ke baad usse baat karni chahiye?’ Sahil ne socha.
Raat hone lagi thi aur Sahil ko abh ghar jana padega, warna uski maa shayad suspicious ho jayegi. Apni ‘is chhoti si masti’ ke chakkar mein, uske paas abh gym jane ka waqt hi nahi tha. Aaj ka uska gym wala quest v uske gym miss karne se fail ho jayega.
Phir v ajj usne gym se v jayda exp eran ki thi. Lekin aaj ki ghatna ke baad dono black aur red color gangs mein tanav badh jaye ga aur woh abh jayda logo ke sath travel karegi. Aur aaj jaisa moka use shaed abh dowara na mile ek sath itni exp kamane ka.
Sahil ne gym wale Quest ko ignore kiya aur woh kacha meat khareedne ke liye ek store mein ghus gya. Phir usne logon ki nazron se bachte huye us kache meat ko kha liya aur use jo daily protein chahiye tha use woh v mil gya aur sath mein fight ki wajah se mili injuries v heal ho gayi. Lekin ek problem abhi v baki thi.
‘Mere paise itni tezi se kharch ho jayein ge maine socha nahi tha. Abhi bhi mere paas paison ki consistent supply nahi hai. Kya karoon?yeh Karn ki v koi call nahi a rahi hai itne paise se aur kitne din guzara kar payunga?’ Sahil ne socha dekhte hue ki uske paas sirf 15 hazar hi bache hain, 50 hazar se shuru kiya tha, aur jo paise use Underdogs se mile the woh uska touch nahi karna chahta tha kyunki usne socha tha ki woh paise woh apni maa ko dega…
Ghar jaate waqt, Sahil ek raw food ki scent se surprise ho gya. Usne apni aankhon ko ragrda kyunki usne hawa mein scent ko visibly dekha tha. Yeh ek laal mist ki tarah lag rahi thi jo ek apartment ki taraf ja rahi thi.
‘Yeh… wahi cheez lagti hai jise maine school mein dekha tha. Yeh trail hai jo mujhe Marked logo ko follow karne ke liye madad karta hai, toh kya iska matlab hai ki Barry is area mein rehta hai?’ Sahil ne socha.
Yeh sirf kuch hi streets ke doori par tha jahan wo rehta tha, lekin sahil ko aise Barry ko marna aacha nahi lag raha tha. Chahe barry ek aisa ladka hai jise durso par rob dalna aur apni takat ka galat istemal karke dusro ka faidya uthana aacha lagta tha. Lekin duniya mein barry se v bhure log majud hai aur sief uski itni si hi burayi ke liye use maar dena sahil ko khatak raha tha. Haan je baat alag thi ki woh use nahi mar raha tha balki yeh system ka hi kehna tha ki use barry ko hunt karna padhe ga .
‘Main uske gharpe directly nahi jaa sakta, khas karke itni raat ko. Mujhe kal iske baare mein kuch sochna padega. Abhi bhi full moon mein thoda waqt hai, aur kaya pata shayad Vishav ise jitna baada issue bata raha hai utna ho hi na.’
Ghar aakar, Sahil ne apni maa aur behan ko greet kiya aur dinner kiya jo uski maa ne uske liye chhoda tha. Haalanki woh 2kg meat pehle v kha chuka tha lekin phir v jaise uski bookh shant nahi huyi thi.
Raat ko sohne ki koshish karte waqt, Sahil ko kaafi mushkil ho rahi thi. Woh full moon ke aane ke baare mein soch kar veh pareshan tha. Uske hi kamre mein dusre bed par uski behn soyi huyi thi.
Aise hi dekhte dekhte raat ke 12 v baj gaye, ghadi midnight ke paar chali gayi aur next day shuru ho gya, aur system ne usse ek nayi message v bhej di.
[Chaand ki roshni bardh rahi hai. Aur Jaise-jaise yeh bharati jayegi, aap aur zyada powerful hote jayenge.]
[Current bonus: All Stats +1]
Message padhte hi, Sahil ko mehsoos hua ki uski body kuch alag si lag rahi hai. Apne stats check karne par, usne dekha ki uske teen base stats ke saath ab ek (+1) likha a raha hai. Yeh bilkul waise hi tha jaise Charging Heart use karne par hota tha, jo batata tha ki yeh temporary boost hai.
‘Wah, mujhe apni body mein ek alag c urja mehsus ho rahi hai. Kya sach mein jaise jaise full moon kareeb aate jayenge vaise vaise mein aur takatvar hota jayunga?’ Sahil ne socha.
Lekin, uski khushi jaldi hi khatam ho gayi jab uske sahmne agle messages aaye.
[Aapka bloodlust badh raha hai]
[Agle full moon ke liye 11 din baki hain]
Milte hain Abh agle update mein……