Update-364(Mind Palace)
364
Ab breakfast k baad main waapis room mein aaya garma garam paani se bath liya maine and bahaar lawn mein aake dhoop shekne laga mere sath Vinny or Ami bhi they main wait kar raha tha Ruhi k message ka ki aaj kab hai mera session or message thodi derr baad aagaya 30 minute baad session tha toh humlog nikale wahi same chupke chupke hospital ki underground parking mein pohancney and wahaan se seedha lift mein aaye and direct Rashi k cabin mein entry lee maine, Ami or Vinny bahaar he rukke andar Ruhi or Rashi they main again apni woh chair par lait gaya.. and fir suru hua wahi same silsila sawaal jawaabon ka aaj bhi bus un dono ne mujhse kuch questions puche basic meri personal life k baare mein jinhe bataane mein mujhe koi issue nahi tha and main wahaan se aagaya,next day unhone meri professional life ko target kiya ki main kya kaam karta hun kaise karta hun or kyun karta hun or kya feelings hain meri mere kaam ko leke or kya cheej mujhe passand hai mere kaam ko leke or kya mujhe naa pasand hai mere kaam ko leke ye topic aaj khatam bhi nahi hua so next 2 din bhi yahi topic chala again mujhe ye sab jawaab dene mein koi problem nahi thi aise he total 5 din hogaye they mujhe apna treatment chaalu kiye ab iss bich jyaada hua kuch nahi tha lekin main already better feel kar paa raha tha mujhe inn 5 din mein koi awaaj nahi sunaai di thi main theek se khaa pee raha tha rest le raha tha normal life lead kar raha tha bus ekmaatar issue tha mujhe nind still naa k barabar he aarahi thi or iska jikar maine kissi k saamne nahi kiya tha kyunki ye thoda personal issue tha or mujhe nind ki itani jarurat feel nahi hui thi yahaan wahaan main thodi bahot derr so leta tha jo kaafi tha ab maine Rashi or Ruhi ko ye jarur bataya ki mera mind khull raha tha or woh perfectly kaam kar raha tha toh unhone mujhe aage se dimag ka kaam lene se mana kiya issliye inn 5 din main bus apne room mein raha movie dekhi khaaya peeya gym kiya and hospital gaya that's it .. Rashi or Ruhi ka treatment bahot helpful dikh raha tha mujhe or main jyaada se jyaada time spend kar raha tha treatment mein ,mera ye decision sahi shaabit hua tha , Ruhi ka toh Mujhe pata tha ki woh apne kaam mein godly hai lekin Rashi kam nahi thi woh bahot he smart thi or sachmein best psychiatrist thi woh kaafi deeply jaan rahi thi woh mujhe and ussi hisaab se uske questions they. Iss bich Patrick still gayab tha I'm sure uske saare bandey maardiye maine toh uski recovery kaafi din chalne waali thi. Iss bich main 2-3 baar college bhi gaya class naa lagai bus time pass Riya se mila and all.
So ye thi meri agle kuch din ki dincharya Ab finally 6th day kuch results nikaal rahi thi woh dono main as timed pohancha hospital Ami or Vinny k sath and andar cabin mein aaya..
Rashi-Morning AP..
Main-Morning guys..
Rashi-So main or Ruhi tumhare case k baare mein discussion kar rahe they as Ruhi tumhare brain ko deeply jaanti hai toh usne mujhe kai valuable information di or unmein se 2 bahot he jyaada important points hain jo clear karne hai mujhe..
MaiN-OK..
Rashi-First point hai Ruhi ne kaha tum apni Mind Palace ko easily access kar shaktey ho access he nahi master karchuke ho ye technique tum jo obviously makes sense issiliye tumhari memory itani sharp hai..
Main-Mind Palace suna toh hai maine..
Ruhi-Yeah humne baat ki thi yaad hai tujhe?? Jab surendra ne tujhe pills ka addict bana diya tha jiske baad tujhe first time hallucinations hue they or hallucinations mein tu apni memory k sath khel paa raha tha or hallucinations mein tu ussi location par khudko imagine karta tha yaad hai jahaan Kaali ne rakha tha tujhe bachpan mein kidnap karke..
Kaali or woh location kaa naam sunte he bc ruhh kaanp gayi meri main khadda hogaya but fir mujhe yaad aaya bc usse toh maardiya maine ye soch ke main baith gaya waapis lekin woh incident mujhe still darra dene k liye kaafi tha ..
Main-Yeah yeah.. Yaad aagaya..
Rashi-Batao Mind Palace k baare mein tum kya jaante ho..
Main-So mind palace yaa Memory palace ya Method of loci .. Ye ek technique hoti hai apni memory improve karne k liye or information recall karne k liye.. Basically isme dimag mein ek location banani hoti hai jo bahot important part ho tumhari life ka ab mostly log jo ye kar shaktey hain woh apni best moments choose kartey hain ki jo unki best memory hotey hain sabse happiest memory usse apna base bana lete hain taaki sab easy ho unke liye ab mera opposite hai meri woh memory meri life ki sabse ghatiya memory hai so ab jab bhi kuch yaad karna hota hai toh uss location ko imagine karna hota hai or wahaan humaara dimag full capacity mein hota hai jo humaare saare sawaal k jawaab easily dedeta hai..
Ruhi-Sahi but listen to all the details main wahi sab doharati hun jo maine tumhe aajse 3 saal pehle bataya tha . AP this is known as mind palace ,baaki kai naam bhi hain iske jaise method of loci , memory palace ,memory journey or the roman Room .....ye bahot he old technique hai bahot jyaada old .....and bahot he rare bhi bahot jyaada rare ... Isme
hota ye hai ki hum jiss bhi situation k baare mein soch rahe hotey hain uski wahi
image humaari imagination mein aajaati hai jaise tumhaari imagination woh room
hai jahaan tumhe kidnap karke torture kiya tha Kaali ne,ab ussi ko Mind palace boltey hain tum uss situation se deeply connected ho both mentally and physically isliye woh tumhaari mind palace hai baaki Jo kuch log hoteyhain unki mind palace hoti hai unki childhood memories jaise koi school ,yaa
playground yaa unka gharr wagairaah -2, mind palace kaa use cheejain yaad rakhne k liye kiya jaata hai you know aaj kya dekha tha kya nahi or baaki Sab memories wagairaah usme store hoti hain Jo mind yaad nahi rakhpaata yaa imaginenahi kar paata jaise aaj tum ek book dekh rahe they ,padh bhi nahi rahe they keval dekh rahe they toh tumhaara mind keval uski photos ko yaad rakhega Jo tumne
Dekhi Lekin mind palace mein uss book kaa harr word tum doobara dekh shaktey
ho ...ki usme kya likha tha or tum sochtey ho ki woh tumne kabhi padhi he nahi ...
Wrong tumhaara dimag harr woh cheej padhleta orr parakh leta hai jo tum dekhtey
ho or then usko store kar leta hai ek jagah par jisse hum mind palace boltey hain
uss memory ko waapis laane k liye humein uss palace mein jaana hota hai and then
focus karna padta hai you know bahot jyaada focus .... Ye bahot he rare hai or
tumhaari age mein ye impossible tha world mein kuch he cases saamne aae hain iske keh shaktey ho 5 crore mein 1 banda aisa hota hai ....Lekin woh keval memory restore kar shaktey jo unhone dekhi magar dhyaan nahi diya lekin tum Jo Kar shaktey ho woh impossible hai tum dusron ki situations bhi imagine kar letey ho ki kya hua hoga tumhaara dimag logon ko observe karta hai and then guess karta hai ki kya hua hoga kyun hua hoga Jo jyaadaatarr sahi niklega ,aisa koi case world mein nahi aaya hai never abtak toh nahi ...this is a miracle ... Jaisa Maine start
k tests mein bataaya tha ki tumhaara mind normal minds se kaafi hattke hai toh ye
Sab possible hai but as you know insab k liye focus caahiye bahot -2 jyaada focus JoTumhare pass hai issliye tum kissi bhi time kuch seconds k liye kuch bhi sochne lag jaatey ho baat kartey-2 blank hojaate ho tum, woh issliye ki tumhara mind kuch kaam kar raha hota hai uss time uss situation pe..
Rashi-Exactly Mind palace rare log access kar paate hain or usse master toh or bhi rare log kar paate hain or jisstarah tumne master kiya hai iss technique ko waise toh koi nahi kar paaya aajtak publicly toh nahi atleast.. Kyunki jaisa ruhi ne bataya log mind palace ko use kar paatey hain apni information ko access karne k liye jo woh bhull gaye yaa jispe unhone dhyaan nahi diya but unka dimag woh information store kar chuka hota hai lekin tum unique ho ye sab toh tum kar he letey ho but tum isase kahin jyaada sab easily kar lete ho jaise situations ko read karke unka solution nikaalna crime solve karna logon ko read karna logon k move predict karna..
Main-Yeah ye sab karleta hun main..
Inhe kya pata bc insabka baap hun main..
Continued..