PAAP
15. GUDIYA
UPDATE 5
Us raat mere liye sona mushil tha. Lakh koshish karne par bhi neend nahi aa rahi thi. Mujhe bas yahi darr sata raha tha ke vo gudiya ab bhi ghar mein hi thi aur kahin phir kal raat ki tarah mere kamre ki sidhiyan chadhne ki koshish na kare. Par phir mummy ko apni bagal mein leti dekh kar tasalli ho jaati thi ke unke rehte vo mera kuchh nahi bigad sakti thi.
Darte darte kab meri aankh lag gayi mujhe pata hi nahi chala.
Aur ek baar phir aahat hui toh meri aankh khuli. Har baar ki tarah is baar bhi maine bagal mein dekha toh darr ke maare jaise jaan hi nikal gayi. Mummy meri side mein nahi thi.
"Mummy kahan gayi?" Mere dimag ne fauran sawal toh uthaya par koi jawab nahi diya. "Shayad apne kamre mein vaapis chali gayi?"
Kamre ke bahar phir vaisi hi aawaz aa rahi thi jaise ki kal raat aayi thi. Ek ghisatne jaisi aawaz jaise koi badi mushkil se chal pa raha ho.
Main jaanti thi ke vo aawaz kya thi.
Vo ek baar phir uth aayi thi. Basement se nikal kar mere kamre ki seedhiyan chadh kar mujh tak pahunchne ki koshish kar rahi thi.
"Nau" Aawaz aayi
Vo 9 seedhiyan chadh chuki hai matlab 3 kadam aur aur vo kamre ke andar aa jaayegi.
Kya karegi vo mere saath? Kya maar daalegi mujhe? Mummy kahan gayi? Sawal phir dimag mein uthe aur maine zor se cheekh maari jo shayad maine khud hi nahi suni. Bukhar se mera gala beth gaya tha aur aawaz hi nahi nikal pa rahi thi. Maine phir koshish ki par kamyabhi haath nahi aayi. Mere gale se sirf hawa hi nikli, aawaz nahi.
"Dus ....." Aawaz phir aayi.
Kehte hain ke jaan par aa bane toh ek cheenti bhi apne aapko bachane ki poori koshish karti thi main toh phir bhi insaan thi, chhoti thi toh kya. Main jaanti thi ke cheekhna chillana kaam nahi aayega. Maine fauran apne chaaro taraf dekha ke shayad koi bachav karne ke liye cheez mil jaaye par kuchh bhi aisa nazar
nahi aaya.
"Gyarah ....."
Aur iske saath hi mere kamre ki door knob ghoomi. Main jaanti thi ke vo bahar khadi darwaza khol kar andar aane ki koshish kar rahi hai.
"Vo gudiya toh landgi hai ... chalegi kaise ... aapke kamre ki seedhiyan chadhegi kaise"
Mujhe phir Papa ki kahi baat yaad aayi aur iske saath hi khud ko bachane ka tarika bhi dimag mein aa gaya.
Gudiya langdi hai aur mujhe pakad hi nahi sakti. Mujhe sirf bhagna hai. Bhaag kar Mummy Papa ke kamre tak pahunchna hai.
Main fauran apne bed se uthi aur tabhi usi waqt mere kamre ka darwaza khula.
Jo himmat maine thodi der mein batori thi vo darwaza khulte dekh hawa ho gayi. Bhaagne ka mera plan fauran darwaze ko phir se band karne ke plan mein badal gaya. Darwaza thoda sa khula hi tha ke main fauran darwaze ki aur lapki aur jhatke se darwaza phir band kar diya taaki vo mere kamre mein na aane paaye.
Aur iske saath hi mujhe 2 aawazen sunai di.
Ek toh kisi ke girne ki aawaz aur doosri ek bahut jaani pehchani aawaz.
Mere Bhai ki aawaz.
Main vahan darwaze ke paas kitni der tak khadi rahi main nahi jaanti par vo bahut lamba waqt tha. Mujhe samajh nahi aa raha tha ke hua kya par phir uske baad koi doosri aawaz nahi aayi.
Na kisi ke chalne ki aawaz.
Na ghisatne ki aawaz.
Na ginti ki aawaz.
Kuchh der baad maine himmat karke darwaza khola aur neeche ki taraf dekha. Neeche sidhiyon ke paas mera bhai gira pada tha aur uske aas paas bahut sara khoon tha jo uske sar se nikal raha tha.
Agle din subah ghar mein hungama macha hua tha. Kabhi Mummy ke rone ki aawaz aati toh kabhi Papa ke chillane ki aawaz toh kabhi kisi aur ke aane jaane ki aawaz. Kabhi police, kabhi ambulance kabhi koi toh kabhi koi, jaane kitne log aaye aur kitne gaye. Har kisi ki zubaan par ek hi sawal tha,
"Ye hua kaise?"
Kisi ne mujhse nahi puchha, kisi ko maine nahi bataya. Kabhi nahi. Aaj tak nahi. Ghar par manhoos hone ka label ek baar phir chipak gaya.
"All right" Mehra ghar se bahar aakar bola toh mera dhyaan toota "I will buy the house"....
THE END

Last edited: