PAAP
17. MUMBAI LOCAL
UPDATE 2
Main murder site par jaane ki soch hi raha tha ke meri biwi bhi uthkar bedroom se bahar aa gayi.
"chai ya coffee kuchh bana doon?" Usne puchha
"Nahi mujhe fauran nikalna padega"
"5 min legenge bas. Tum taiyyar ho jao, main bana deti hoon" Kehkar vo bina mere jawab ka intezaar kiye kitchen ki taraf badh gayi.
Meri biwi Priya 46 saal ki ek sidhi saadi aurat thi. Koi use ek jhalak dekh kar hi bata sakta tha ke jawani mein vo behad khoobsurat rahi hogi. Is umar mein bhi teekhe nain naksh, saaf rang, lamba kad aur mazboot kaathi ki vo aurat mujhe aaj bhi jee jaan se pyaar karti thi, aur raah dekhti thi us din ki jab main retire ho jaoonga aur ham dono kahin kisi hill station mein chhota sa ghar lekar retire ho jaayenge.
Us becahri ko kya pata tha ke main apni zindagi ka har din ye sochte hue bita raha tha ke kaise usse chhutkara paoon. Kaise koi aisa karishma ho jaaye ke vo bina kuchh kahe sune mujhe chhodkar chali jaaye.
Use kya pata tha ke uska pata shaadi ke 25 saal baad ab is umar mein usko dhokha de raha tha.
Nisha ko dekhte hi mujhe usse pyaar ho gaya tha.
"And i love you yoo" Palatkar Nisha ne mujhse ek din kaha tha.
Uski umar takreeban 20-21 ke aas paas thi. Ek typical bengali beauty par uske chehre se zyada aakarshak tha uska shareer. Agar modern world ki terminology mein kahun toh sar se paon tak poori ki poori item bomb thi aur bistar par toh jaise aag laga deti thi.
Haan, main 50 saal ki umar mein 20 saal ki ek ladki ke saath so raha tha, apni biwi ko dhokha de raha tha.
Par jab main Nisha ke saath hota tha toh mujhe phir se jaise jawani ka ehsaas hota tha. Lagta tha ke main ab bhi vo sab kar sakta hoon jo aaj se 30 saal pehle kar sakta tha. Jabki apni biwi Priya ke saath mujhe har pal yahi mehsoos hota tha ke main buddha ho raha hoon, zindagi ke aakhri padav ki taraf badh raha
hoon. Nisha ke saath main ek aazad panchhi ki tarah hota tha, ek hiran ki tarah jo poore jungle mein uchhlata hua bhaag sakta tha jabki apni biwi ke saath main apne aapko ek kolhu mein lage hue buddhe bel ki tarah mehsoos karta tha.
"Mujhe apni poori zindagi mein aisa kabhi mehsoos nahi hua yaar" Maine ek din apne dost Sushil se kaha tha
"Mera dil bandh sa gaya hai is ladki ke saath. 25 saal ki apni shaadi mein maine kabhi Priya ko dhokha nahi diya. Mere liye meri zindagi bas mera kaam, mere bachche aur meri biwi the. Par jab main Nisha se mila toh kuchh ho sa gaya yaar. Usne mujhe jaise phir se jeena sikha diya. Mere se aadhi umar ki is ladki
ne mujhe sikhya ke vasna aur prem ka asli matlab kya hai. Achha tu hi bata, kya tuje use dekhke nahi lagta ke bhagwan ne use sirf isliye banaya hai ke uske saath pyaar kiya jaaye? Aur hairat ki baat pata hai kya hai? Ke vo bhi mujhse utna hi pyaar karti hai. Kyun? Ye main bhi nahi janta. I mean kya dekha usne mujh mein? Main umar mein uske baap se bhi bada hoon, mera pet nikla hua hai, main ganja hoon, shaadi shuda hoon, jawan bachcho ke baap hoon......"
"Ek baat toh pakki hai dost" Sushil ne meri lambhi baat a jawab diya "Ye zyada din aise nahi chal sakta. Kisi na kisi tarah se is sabka koi na koi anjaam toh hoga hi. Par haan teri baat se inkaar nahi hai mujhe,
Nisha hai toh kamal ki par kamal ki cheezen kabhi kabhi khatarnaak bhi hoti hain"
"Tu aisa kaise keh sakta hai yaar. Tune kabhi usse baat bhi karke dekha hai?"
"Sab auraten ek jaisi hi hoti hain dost" Sushil ne cigarette ka lamba kash lete hue kaha "Aur inmein unka koi dosh bhi nahi hai. Bhagwan ne banaya hi aisa hai unko, ek jaisa. Tiriya charitra ke baare mein toh suna hai na?"
Main gusse se ghoorkar dekha toh Sushil samajh gaya ke vo had ke bahar ja raha tha.
"Dekh yaar" Vo aage hokar mera haath pakadte hue bola "Main sirf ye keh raha hoon ke tu jo kar raha hai khatarnaak hai. Teri poori zindagi barbad kar sakta hai. Jo izzat une in saare saalon mein kamayi hai ek pal mein khatam ho sakti hai"
Vo sahi keh raha tha. Meri biwi, mere pariwar, mere doston, aur society ki nazar mein meri bahut izzat thi jo ki ek pal mein khatam ho jaati agar logon ko ye khabar ho jaati ke main budhape mein aise gul khila raha hoon.
"Dekh tu is waqt 2 auraton ke saath bhida hua hai" Sushil ne apni baat jaari rakhi "Aur auraten hamari tarah nahi hoti" Tujhe lagta hai ke teri biwi bevakoof hai? I am sure ke shak toh usko ab tak already ho hi chuka hoga"
"Usne kuchh kaha toh nahi ab tak" Maine jawab diya
"Of course nahi kaha hoga. Vo tujhse zyada samajhdaar hai. Vo is umar mein apni shaadi thode hi khatam karegi"
"Vaise aajkal kehti hai ke usko ajeeb ajeeb khwab aate hain. Kehti hai ke uske sapno mein main kisi doosri aurat ke saath hota hoon. Par phir khud hi haskar baat taal deti hai"
"Mujhe toh lagta hai ke vo tujhe ishara kar rahi hai ke usko sab pata hai"
"Kabhi kabhi toh yaar sochta hoon ke khud hi use sab bata doon"
Sushil ke haat se jaise whiskey ka glass girte girte bacha.
"Tera na saale sahi mein dimag kharab ho gaya hai" Usne mujhe ghoorte hue kaha "Ye galti kabhi mat karna. At least us din tak toh nahi jab ke tune Priya ko chhodke ka apna man bana liya ho"...