UPDATE. 02..
Abhi ananya apne room me yug and uski couple photo ke saamne ghutno ke bal beth kar aasu baha rahi thi and abhimanyu aur heer room ke darwaze par khade hue aakho me aasu lie khade the..
Wo log is baat se anjaan the ki us god ne un sab ki kismat me kuchh alag hi likh rakha hai..
location .. kaashi .. India..
idhar ek chhote se mandir me shiv bhagwaan ki pooja ho rhi thi and yeh yagya and pooja karva rhe the hamare desh ke sabse amir insaan MR. KRISHNA SINGH, jo ki ek Famous social worker and industrialist dono the..
pandit (with tensed expression) : krishna ji, hum yagya me dhyan kendrit karne ki koshish kar rahe hain par aap ke aane wale najdiki bhavishya me kuchh esa hone wala hao jiski wajha se chinta ke karan hum yagya me dhyan nahi de paa rahe hain..
krishna : esa kya hai pandit ji jis wajah se aap vichlit mehsus kar rahe hain..
Pandit : maaf kariyega krishna ji par aap ke pariwar par koi sankat aane wala hai jiska samna karna hamare lie shayad asambhav hai.. Koi naya ya purana paap jo apse ya apke kisi pariwarjan se jaane anjane me hua hai ya usne khud hi kia hai..
ese hi charcha karte hue yagya samapt hua and krishna ji and unki family ghar aa gaye..
location new york, U. S. A
ek kamre me krishna ji ka beta and uske kuchh doat sharab pite hue bethe the par sab ke chehre par tension tha..
intro...
ishan : krishna ji ka beta age 19
Yash, ajit, tushar : ishaan ke dost
Ishaan : sala humne us yug ko maar dia, yakshini ka taaj chura lia jo uski power ka source tha par fir bhi dar laga rehta hai ki kahi wo yakshini hame maarne ke lie yaha na aa jaye..
Yash : sahi kaha bhai, yeh tension to mujhe bhi hai.. Wese bhi ghayal sherni aur bhi khatarnak hoti hai..
Ese hi baat karte hue sab nashe me hi farsh par so jate hain..
Location kashi india
Ek jungle me kaale kapde pehne hue ek aadmi hawan kar raha tha aur uske side me ek bakra bandha hua tha Shayd bali dene ke lie..
Wo bar bar hawan me concentrate karne ki koshish kar raha tha par nahi ho paa raha tha.. achanak hi hawan kund me visfot hua and hawan bhang ho gaya..
aadmi : asambhav, aaj tak mene bahot sari aatmao ko vash me kia hai and unki shaktiya chhini hai par is manushya ki shaktiya main chhin kyu nahi paa rha..
Usi jagah par yug ki aatma aakho me gussa aur face par ek ajib smile lie khud ae hi kehti hai, " meri powers ka jo asli hakdar hai use hi meri powers milegi par agar kisi aur ne kisi bhi tarha se meri powers chhinne ki koshish kari to wo apni khud ki powers ke sath sath apne praan bhi kho dega..