• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Notebook

Active Member
1,511
3,033
143
Kabhi kabhi kuch chije likhne ke liye alfajo ki kami pad jati hai .. kyoki ap kabhi kabhi apke dil or dimag me jo hota hai use alfajo se bayan nahi ker sakte hai ... kuch aise hi khasmkash me aj me hu .. kyoki ye story padhne ke bad me alfazo me byan nahi ke sakta hu is kahani ke bare me ..

Bhai jo kahani apne likhi .. maja aa gaya padhker .. kal rat 10 baje kahani shuru ki or rat 3 baje tak puri kahani padh dali .. pata nahi kyo kahani ka har ek hissa mujhe is kahani ki or khich raha tha ... kahani ke har hisse ko padhne ke bad dimag me ek hi khayal aa raha tha ab aage kya ... bas isi soch ke sath kab kahani puri padh dali mujhe khud ko bhi hosh nahi tha ... ghadi me time dekha ko tin baj gaye the .. nind aakho se dur ho chuki thi ... or bas kahani ka antim part padhne ke bad chahre per ek smile aa gayi ...

Kuch kuch kahaniya hoti hai jo ki dil ko chu jati hai .. apki ye kahani bhi usme se ek thi ... jis tarah se kahani ke har ek update ke bad me suspense ke naye naye dhamanke ho rahe the ... samajh nahi aa raha tha ho kya raha hai .. per kahte hai na ant bhala to sab bhala ... usi ke sath apne is kahani ka ant kiya or jo ki ek bahut aacha end tha ...

Jiya or tarun ke prem ki ek atut prem kahani ...

Ha ye ishq hi to hai ...
Shukriya aakash bhai such a wonderful appreciation , it means a lot for me bhai :yo:
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,007
173
Dhokha , chhal , fareb in chhote chhote shabdon me chhipi bhayankar nakaratmkta ko waise to har koi mahsoos to kar sakta hai par jisne ise bhoga hota hai asal me wahi samjh sakta hai isme chhipi huyi ghutan aur khalish ko . Ye kahna bahut asaan hota hai ki kisi ne kisi ko dhokha de diya par us sakhs ki peeda ko sirf wahi samjh sakta hai jo is dojakh se hokar gujra ho .

Kisi ke dil ko todna sabse bada gunaah hota hai jiski maafi to fir bhi mil jati hai lekin kisi ko dhokha dena ya uske dil se khelna ye paap hota hai jiski mafi to uparwale ke yahan bhi nahi hai .



Meri ye kahani poorn roop se kalpnik hai jo pyaar ki dilkash roomaniyat , dhokhe ki kadwahat aur badle ke jahar par aadharit hai . Kirdaron ka jeevit ya mrit koi bhi astitwa nahi hai .
ek sarthak paryash
behtreen rachna bhai
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,007
173
Update - 01


Samndar ke kinare ka shant najara ghani badli aur tej hawa ki wajah se sunsaan ho gaya tha .
Ek behad khoobsurat ladki samndar ke sahil ko niharti baithi thi jiska rang doodhiya , jheel si gahri aankhein jinme dard ka samndar lahra raha tha aur bikhre lambe kale kesh hawa me lahra rahe the achanak hi samndar ki ore chillate huye daudi ,


" Are oye ladke , suno to , koi bachao isko , are wo doob raha hai "

Ladki chillate hiye daud rahi thi , uske paron me kuchh chubha wo gir gayi par turant uth kar wapas daudi . Ladki ki awaaj sun kar bhi koi nahi aaya ladke ko bachane parinam swroop ladki khud hi us ladke ko bachane samndar me kood padi . Lahron se kafi der mashakkat karne ke baad ladki use aakhirkaar kheench kar samndar ke kinare le aayi . Jab ladki use lekar samndar ke kinare ki ore tair rahi thi to ladka hosh me tha aur dari huyi aankhon se ladki ko dekh raha tha par kinare pahunchte tak wo behosh ho gaya .


Abb tak ek adhed aurat haath me kuchh samaan thame in dono ke paas daudti huyi aa chuki thi . Aurat bahad ghabra chuki thi ,


Aurat - hey prabhu ye kya ho gaya mere bete ko ?


Ladki - ye atmhatya karne ki koshish kar raha tha .


Aurat - ye kaise sambhaw hai , nahi nahi mera beta aisa nahi kar sakta hai . Use to samjh bhi nahi hai ki jeena marna kya hota hai .


Ladki - khair wo sab chhodiye par ye to aankhein hi nahi khol raha hai .

Us ladke ki maa buri tarah ghabra kar rone lagi lekin ladki abb bhi dimag se kaam le rahi thi . Ladki ne us ladke ke pet ko daba kar sara pani nikala . Ladka abb bhi behosh tha . Abb tak do char log tamasha dekhne aa chuke the . ladki ke request karne par ek aadmi aaya samne baki sab tamasha dekhte rahe . Ladki aur us aadmi ne ladke ko sahara diya aur main road tak laye .


Ladki aur ladke ki maa ladke ko lekar paas ke hospital pahunche . Dr ko kuchh hi der me kamyabi mil gayi par hosh me aane ke baad bhi wo ladka kafi dara hua tha . Doosri taraf badi badi gadiyon me uss ladke pariwar wale aa gaye . Un logon ki hi baatein sun ladki ko pata chala ki ladke ka naam Tarun hai aur wo kafi raees khandan ka ladka hai bas dimag thoda kam hai wo bhi kisi hadse ki wajah se .


Police bhi aa gayi par ladke ki maa ne ladki ka jikra nahi kiya police se . Ladke ki maa ladki ke paas aayi aur boli .


Maa - beta mai tumhara ehsaan jindgi bhar nahi bhool sakti hoon . Meri jindgi ka ek maatra sahara hai ye . Tumne mujh par itna bada ehsaan kiya aur maine tumhara naam bhi nahi poonchha .



Ladki - mera naam Jiya hai aunty ji aur maine sirf apna farj ada kiya hai ehsaan nahi kiya .

Jiya aur Tarun ki maa aapas me baat kar rahe the tabhi Tarun bhagta hua aaya aur Jiya ke peechhe chhip gaya jabki Dr aur nurse uske peechhe bhagte huye aaye . Tarun sirf Jiya ke peechhe chhipa raha apni maa ko bhi nahi dekh raha tha . Dr ko medicine inject karni thi to Jiua hi Tarun ko thame huye uske bed tak le gayi . Jiya ka hasth pakde huye Tarun let bhi gaya aur dawa bhi lagwa li usne . Maa aur baki ghar wale achambhit the Tarun ki is harkat par .


Tarun Jiya ke bin ghar jane ko raji nahi hua to Tarun ki maa ne Jiya se requst ki sath chalne ko . Jiya pahle to soch me pad gayi lekin fir maan bhi gayi . Tarun me aaye iss badlaaw se sabhi hairaan the .
shaandaar agaaz dost
 

aalu

Well-Known Member
3,073
13,050
158
Dear,
Mr. Notebook,

first of all thanks for writing this beautiful piece of art. Your name is of the great romance novel of NICHOLAS SPARK, and so are you writings, beautiful and heart-touching. A beautiful story of love, heartbreak, hatred & thrill. The lead pair were fabulous especially Jia, her character was awesome, she shined well in this creation. Even being cheated ( as she thought) she came back for him, took care of him, whether her intentions may differ at times, but love was always there. It is enduring, it gives you immense power to face anything, after being cheated by everyone's family. friends even love(so she thought). She never broke down, as after that much turmoil in anyone's life, how could one live, even she felt broken in her secluded times. Who wouldn't but her love maybe hatred never let her lose hope. She went for vengeance but found her love back, but in the path, she endured a lot. As love demands sacrifice and it tastes your will ( wo aag ka dariya and all).

Well how can I leave the other lead Tarun, he loved her dearly but turmoil shattered everything in his life, well it started with confusion, even that they were trying to kill her, but Tarun should have shared that with her, she heard it and took it all wrong. Trust is a must in any relationship be it friends or your life partner or anyone. Without trust nothing can stand intact, she thought of him as one of the people mongering for female flesh, who has no place for love and it all started in her life. Whatever might be the reason for the confusion, but it was all about trust.

Well he too paid along with her, 5 long years in suffering and pain, they too shared, even when they were far away but they didn't forget each other, may the reason be different for them. Actually, their family was all simple people, all of the ruckuses was created by the outsiders, well they hit the weakest part Vikram,( it happens guy couldn't take the peer pressure and broke down and was turned to drugs by his seniors, for real that much ragging happens in campus, I am lucky that I didn't have to face that.) And that weak link was the center of attraction.

It feels bad for Gaurav, she shouldn't have played with his feelings, after all, love is pure be it, anyone. But couldn't comment much as the circumstances were different. And it changed him for the better, and the beauty and the beast comment were funny, Tarun being jealous of seeing her around him.

I don't have much to say, so just love you # NO HOMO for this.

Keep writing.
An Admirer.
 

A.D Rock

New Member
52
135
33
Kya kahu is story ke baare me suspense ne is tarha bandhe rakha ki ek hi din me puri story padh daali....agr flashback chhod diya jae to puri story lagbhag ek hi ghar me chali mystery romance sab kuch kuch usi jagah... Bole to gajab.
 
  • Love
Reactions: Ag Mahan

Ag Mahan

:dazed:
1,414
1,122
159
I don't have much to say, so just love you # NO HOMO for this.
Abe ladki hai wo :D
Well ab wo is ID se Xforum par ayegi nahi toh ye chhota sa secret rakh kar kya fayda Notebook aka ishikaaa ye paagal thi story ke peeche main paagal tha iske story ke peeche, ye wali story maine usse likhwaya tha heera thi wo is story ki aur main johri ki tarah story ko tarashta gaya, ishu ki har story ke peeche paagal tha main aur hun bhi, ishikaaa aur @FTK ye do hi mere life mein wise writer hai jinki story padhne ke baad ek sukoon milta tha, ye story shayad TIMS aur DDM ke baad mera fav tha aur isme mehnat bhi lagi thi uski bahoot

Ishu ko aadat tha alag alag ID se story likhne ka Xossip par sabse jyada story ishikaaa ne hi likh aur Xf par bhi aaj wo Top 5 writers ke beech me ati hai jinhone jyada no mein story likha, har ek story complete karke new ID banati thi taaki fame se door reh ke wo starting se kuch naya likh sake jo ki shayad hi aaj/pahle koi writer apni FAMOUS ID chhodne ki baat sochta ho :D

Abhi contact nahi hai iska mere saath par hope kabhi kabhi ye Xf mein fir aaye aur ek aur story padhne ko mil jaaye, writer toh best har koi hota hai par ishu alag thi aur haan i know wo abhi ye post log-out hokar padh rahi hai :slap:
 
  • Haha
Reactions: aalu

Ag Mahan

:dazed:
1,414
1,122
159
Kya kahu is story ke baare me suspense ne is tarha bandhe rakha ki ek hi din me puri story padh daali....agr flashback chhod diya jae to puri story lagbhag ek hi ghar me chali mystery romance sab kuch kuch usi jagah... Bole to gajab.
:love:
 

aalu

Well-Known Member
3,073
13,050
158
Abe ladki hai wo :D
Well ab wo is ID se Xforum par ayegi nahi toh ye chhota sa secret rakh kar kya fayda Notebook aka ishikaaa ye paagal thi story ke peeche main paagal tha iske story ke peeche, ye wali story maine usse likhwaya tha heera thi wo is story ki aur main johri ki tarah story ko tarashta gaya, ishu ki har story ke peeche paagal tha main aur hun bhi, ishikaaa aur @FTK ye do hi mere life mein wise writer hai jinki story padhne ke baad ek sukoon milta tha, ye story shayad TIMS aur DDM ke baad mera fav tha aur isme mehnat bhi lagi thi uski bahoot

Ishu ko aadat tha alag alag ID se story likhne ka Xossip par sabse jyada story ishikaaa ne hi likh aur Xf par bhi aaj wo Top 5 writers ke beech me ati hai jinhone jyada no mein story likha, har ek story complete karke new ID banati thi taaki fame se door reh ke wo starting se kuch naya likh sake jo ki shayad hi aaj/pahle koi writer apni FAMOUS ID chhodne ki baat sochta ho :D

Abhi contact nahi hai iska mere saath par hope kabhi kabhi ye Xf mein fir aaye aur ek aur story padhne ko mil jaaye, writer toh best har koi hota hai par ishu alag thi aur haan i know wo abhi ye post log-out hokar padh rahi hai :slap:
bhai koi aur stories agar unki agar iss forum pe hain toh bata do, she(now i know) writes so well, aur mil jaye padhne ko toh badhiya hain, aur kya pata koi aur new ID se wo abhi bhi likh rahi ho, pata karo, aap shayad unhe pehchan lo...

Agar pata chal jaye toh bata dena, hum bhi saath ho lenge aapke...
 
Top