Update-47
Rashmi- betu ye kya hogya tujhe
Please mujhe chhod ke mat jana
Main fir tujhse alag nahi ho sakti
Rashmi- please aankh khol na betu
Dekh Teri Didu tujhe bula rahi hai
Dekh ro rahi hai vo
"Tujhe to bilkul pasand nahi tha na meri ankhon me aashon fir kyu mujhe rula raha hai?
Bata na betu, kyu rula raha hai apni Didu ko
Dekh main sorry bol rahi hu
Main maafi mangti hu tujhse ki main door chali gaye the tere se
Lekin meri majburi thi bhai
Main tujhe vaisi halaat me nahi dekh sakti thi
Mujhe laga agar main door ho gaye to sayad tu vo pagalpan chhod ke Maa ke pass aa jaye aur unhe sambhale
Fir jab sab thik ho jaega tab main vapas aa jaungi
Lekin sab kuch ulta hogya
Jo maine aur Maa ne socha tha sab ulta ho gaya
Tu pehle se bhi jada khatarnaak ho gaya aur ye humne socha hi nahi ki mere jane ke baad to tu toot hi jaega
Fir kon sambhalega tujhe?
Kon tujhe pyaar karega
Kon tera acha bhala tujhe batega
Lekin Bhai Jo humne kiya vo sab tere ache ke liye hi kiya tha
Phir bhi main tujhe maafi maang rahi hu
Maaf Kapde na apni didu ko
Laga le na ek baar mujhe apne galle se
Ro lene de na mujhe teri bahoo me
Ek baar maafi maang lene de na teri bahoo me
Ek baar maaf bhi karde na teri bahoo me
Main bhi tujhse bahut pyaar karti hu na bhai
Tu bhi to karta hai to uth ja na ab
Kitna rulaega apni Didu ko
Maa- beta bas kar ab
Vo sogya hai
Usse jo chahiye tha usse vo mil gaya
Priya- ye aise nahi ja sakta maa
Enhe uthna hoga
Mere liye, didi ke liye aapke liye aur es gudia ke liye
Enhe uthna hi hoga
Ye dara rahe hai hume
Humesha bhi to aise hi karte hai na
Hume pareshan karte hai fir rota dekh vapas aashon puchne aate hai
Abhi bhi dekhna uthenge aur hum sabko galle laga lenge
Priya- hai na didi
Ye uthenge na
Mujhe bahut kuch batana hai enhe
Mujhe bahut kuch puchna hai ense
Rashmi- ha esse uthna hi padega
Eske pass aur koe rasta nahi hai
Esse uthna hi hai
Priya- uth jao na
Aankh khol ke ek baar meri taraf dekho na
Bahut pyaar karti hu main aapse
Bahut
Aapke bina jinda main bhi nahi rah paungi
" chhod kar agar rasto me hi jana tha
To
Manjil ke sapne hi kyu dikhaye"
Maa apni dono betiyo ko aisa bekharte dekh kar khud bhi aashon bahane lagi thi
Dukh unko bhi bahut tha lekin ab vohi ek matar aisi thi jo situation ko thoda bahut sambhal sakti thi
Na to es time Priya apne hosh me thi aur na rashmi
Vo dono to paglo ki tarah Daksh ke mare hue sarir me jaan jhokne ki nakaam kosis kar rahi thi
Pata un dono ko tha ki Daksh ab nahi uthne wala
Vo ab so chuka hai
Unhe ye bhi pata tha ki Daksh in the end chahta bhi to yehi tha
Jabse uspar bhoot sawaar hua tha badla ka tabse hi usne bolta rahta tha jab uska makshad khatam ho jaega tab vo aaram se ek gehri nind me so jaega
Usse aur kuch chahiye bhi to nahi tha apni jindagi me
Priya ko vo uske baap se chhuda hi laya tha
Jo ki uska ultimate goal tha
Vo ab uske maa ke sath rahti thi
Malab uske maa ko ek aur beti ka pyaar aur support mil raha tha
Rashmi ka to usse kuch idea hi nahi tha ki kaise uski maa aur behan ne ek game khel rakha tha uske sath
Ek plastic surgery kara ke koe dusri ladki ko uske samne laya gaya tha jisse vo bechara apni behan samjhne laga tha
Jiski maut par vo etna toot gaya tha ki usne charo taraf tabhai macha di thi
Kya soch kar ye sab planning ki gae thi aur kya ho gaya tha
Agar ye sab nahi hota aur Rashmi uske sath hoti to sayad aaj situation bhi kuch aur hoti
Kyuki sirf Rashmi ki hi to baat sunta tha vo aur Rashmi usse bilkul sahi advice bhi deti thi esliye sayad, SAYAD aaj baat kuch aur hoti
Lekin sala ye hi to hai SAYAD
Bahut chhota lekin fir bhi bahut bada word hai
Abhi mujhe pata hai ki bahut galiya padni wali hai mujhe
Jaisi ki ek dost ne comment bhi kiya ki writer ke pass jarur koe argument hoga Daksh ko marne ke liye aur sad ending dene ke liye
To chalo argument karte hai
First
Daksh ne aisa kya kiya hai jiski vajah se vo jinda rakha jaye except ki usne Priya ko apne baap ke chungal se nikala?
Dosto usne ye kiye lekin kya ek jaan ki kimat etni sari jaan ho sakti hai?
Mana ki daksh ki family thi lekin jin jin logo ko Daksh ne mara tha kya unki family nahi thi?
Dusra point
Daksh ka ultimate goal kya tha?
Usse starting se hi apne baap se badla lena tha to usne le liya
Usse Priya ko bahar nikalna tha usne nikal diya
Ab uske pass bacha kya tha karne ko
Jo uska Lakshay tha vo to pura ho chuka hai na
Tisra point
Rashmi ja chuki hai uski life se(jitna usse pata hai)
Maa ne pehle hi usse apne samne na aane ki warning de rakhi hai
Priya ke sath vo relationship rakh kaise sakta hai
Aur agar rakha to apni Maa se najar kaise utha ke dekhega?
Last but most important
Sab bolte hai ki bhai happy ending honi chahiye kyuki in the end hume ye dikhana jaruri hota hai ki sahi person ki galat par jeet hue hai
Lekin yaha kon sahi hai?
Mujhe to koe nahi lag raha
Na Daksh hai aur na priya
Baap ko to chalo chhod hi do
To actually me ye ending bahut kuch bataegi ki agar main galat raste par gaye chahe apni family ya pyaar ke liye hi
Fir bhi end me hum apne liye acha expect nahi kar sakte
May be Daksh ko Rashmi se baat karni chahiye thi
May be Daksh aur Rashmi ko Priya se baat karni chahiye thi
Ya fir Daksh ko sidha baap par attack karna tha, usse Priya ko bich me lana hi nahi chahiye tha
Bahut sari possibilities thi lekin kiya kya?
Back to story
Priya aur Rashmi ka ro roke bura haal tha aur kuch vaisa hi Maa ka bhi tha lekin vo kisi tarah se apne aapko sambhale hue the kyuki usse hi Priya aur Rashmi ko sambhalna tha
Maa- beta hume Daksh ko ghar leke jana hoga
Rashmi rote hue
Nahi ye khud uth ke jaega
Pehle mujhse pyaar karega, mujhe maaf karega
Fir hum sab sath jaenge jaha eski shadi hogi
Maa bade pyaar se ek taraf Priya ko apni bahoo me leke samjha rahi thi aur dusri taraf Rashmi ko
Ek Maa ki halaat samjhne ki kosis karo jiska jawan beta uski aankhon ke samne mara pada hai uske dil par kya gujar rahi hogi
Ek behan aur ek premika jinhone usse had se jada muhobaat ki thi aaj vo unhe chhod ke ja chuka tha
**** mumma don't cry na
I will wake him up
Don't worry
But first you have to stop crying
Ek pyaari si aawaz kahi se aae.....