• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ye kaisi Mohabbat

Lone survivor

Well-Known Member
8,687
28,963
219
Update-48

*** mamu utho
Dekho mamma bhi ro rahi hai aur maami bhi
Now get up bahut so liye aap
Aur vo pyaari se gudia apne chhote chhote hatho se Daksh ka hath pakad ke uthane lagti hai

*** ohhh mamu, you are so heavy
Mujhse nahi ho raha
Bechari puri takaat laga ke kosis karti hai

**** aap aise nahi manoge
Ek to mujhse aaj tak mile nahi ho aur jab mile to etne so rahe ho
Aur vo Daksh ke pet par bath jati hai

Sabse pehle to Daksh ke gallo par kiss karti hai aur fir
Uska sar pakad ke usse uthane ki kosis karti hai

Sab uska bachpana dekh ke aashon bahate hue smile karne lagte hai

**** hahhh maammmuuuu
Main aapppkoo uthha kkee rahhungii
Ahhhhhhhhhhhhhh

Aap aise nahi manoge
Aur vo Daksh ko gudgudi karne lagti hai

**** aaya majja mamu
Ye lo aur lo
Aur fir jor jor se usse gud gudi karne lagti hai

Lekin Daksh jab bhi nahi uthata to vo thodi mayush ho jati hai

**** mamma ye bahut jiddi hai
Uth hi nahe rahe
Rashmi- beta ye sach me bahut jidi hai
Rashmi rote hue boli aur gudia ko apne Galle laga liya

Lekin gudia ka hath Daksh ke hath me hi raha kyuki vo usse chhodna bhul gaye

Rashmi- ye chala gaya beta tumhe aur hum sabko chhod ke
Gudia- kaha chale gaye mumma
Hum bhi vahi chalte hai
Vo masumiyat se boli

Rashmi- fir kabhi jaenge beta
Lekin ek din jarur jaenge
Vo bahut badi baat bol gaye thi
Agar kisi ke samjh me aaye to

Lekin gudia to abhi bachi thi
Usse kaha kuch samjh me aa raha tha

Priya- main car leke aati hu
Daksh ko Ghar leke jana hai
Vo himmat karke boli

Rashmi- beta aap mami ke sath jao
Rashmi gudia se boli kyuki vo Priya ko akele nahi jane dena chahti thi

Gudia rahti to uska mood thoda thik rahega

Gudia jaise hi Priya ke taraf badhne lagi uske pair vahi ke vahi jam gaye

Gudia- mumma aap mera hath chhodoge tabhi to main jaungi
Usne bina piche dekhe badi masumayat se kaha

Rashmi- Maine kaha.....
Bolte Bolte ruk gaye aur Daksh ki taraf dekhne lagi
Jiske hath me Gudia ka hath tha lekin uski aankhen abhi bhi band thi

Rashmi- betu betu
Karte hue Daksh se lipat gaye

Gudia- mumma mujhe dekhne de
Vo aage aae aur Daksh ke dil ke pas apne kaan laga ke sunene lagi

Gudia- mumma
Ye bol rahe Hai lekin mujhe samjh nahi aa raha
Bas dhak dhak ki aawaz aa rahi hai

Priya, Rashmi aur Maa ne ye sunte hi kisi taraf jaldi se Daksh ko uthaya aur usse bahar le jane lage

Vahi raste me dusri Rashmi ki lash padi thi jisko unhone abhi cross Kiya tha

Ab Usne Daksh par goli kyu chalae ya fir nisana koe aur tha aur lagi kisi par
Ye sare raaj uske sath hi khatam ho gaye

Ye ho sakta hai ki vo Daksh ko pasand karne lagi ho aur Daksh Priya ko pasand karta tha

To sayad nisana Priya bhi ho shakti thi lekin kuch bhi pakka nahi bol sakte
Ab vo ja chuki hai

Daksh ko hospital le jaya gaya

Jaha bahut ghanto tak uska operation chala

Doctors ne bol diya tha ki blood bahut jada nikal chuka hai esliye kuch bhi nahi bol sakte

Bach bhi sakta hai aur nahi bhi

Nahi bachne ke chance jada hai
Lekin jaise hi Priya ki gun unke dimag ke samne aae aur unki gand se 75 tarike ke pasine nikalne lage

Tab unke muh se sirf yehi nikla

Hum usse bachaenge, kisi bhi kimat par bachaenge

Do din ho gaye the Daksh ko hospital laye gaye

Rashmi ke husband ne sabko sambhala hua tha

Vo ek behad sarif, caring aur honest civil servants tha

Rashmi ki bhi mulakat uske kisi ngo me hi hue the jab Rashmi unher ground thi

Vahi se unke pyaar ki suruvaat hue aur fir shadi bhi

Rashmi Daksh ko bina bataye kuch nahi karna chahti thi lekin Maa ke samjhane par aur Daksh ke halaat ko dekhte hue usse karni padi

Kyuki us waqt Daksh ka vapas aana behad muskil tha aur agar us waqt usse Rashmi ke bare me Pata chalta to tabhai ke alava aur kuch nahi hota

Esliye usse kuch nahi bataya gaya aur en dono ne chupke se shadi karli

Uska naam adhitya tha
Extra h lagata tha pata nahi kyu

Yaha hospital me vo sabka bilkul apni family ki tarah khayal rakh raha tha

Kisko kitna time hogya hai, kisne Kab khana khaya ,Kisko ab ghar jana chahiye

Ye sab usko pata tha

Lekin vo sab to thik tha lekin Daksh to nahi uth raha tha na

Uski Goli bhi nikal di gaye the aur operation hue bhi kafi waqt bit gaya tha

Agar vo 12 din ke andar nahi utha to fir comma me jane ka khatra ho jaega aur uske sahi hone ke probability bilkul kam

Esliye usse uthane ki puri kosis ki ja rahi thi

Har koe apne apne tarike se usse uthane ki kosis karta

Gudia apne bachpane se to Rashmi apne behan ke pyaar se

Maa to bas jab bhi Daksh ke paas aati sirf aashon hi bahati thi esliye usse kam hi Daksh ke paas aane diya jata tha

Ek din yuhi Rashmi Daksh ke baat kar rahi thi matlab sirf vohi bol rahi thi

Daksh to chhup chhap pada tha

Rashmi- pata hai Daksh main apne dad ke bare me sab kuch janti thi
Mujhe ache se maloom tha ki vo kaise aadmi hai
Lekin maine kabhi kuch nahi kiya kyuki sirf vohi to bache the meri jindagi me
Vo kaise bhi the mujhe pyaar karte the
Lekin mujhe meri Maa ya tumhri Maa ke sath unhone kya kiya ye nahi pata tha

Fir tum aaye
Tumhe to main pehle se hi janti thi
Mujhe pata tha ki tum don ho
Hum businessman logo ke pas gundo ki khabar pehle pahuch jati hai

Maine socha yaha aae ho to pehle apna kaam nikalva leti hu
Uske baad jo hoga dekha jaega

Main sirf apne business me tumhe use karna chahti thi

Lekin kab business ke bahane tumse pyaar hogya mujhe pata hi nahi chala

Tumhri har ek baatein aise flashback ki tarah meri ankon ke samne gumti rahti

Pata hai jab tum ek baar kuch dino ke liye gayab ho gaye the to main kitna roe thi

Do dino tak to kuch khaya bhi nahi tha
Mujhe laga tum ab kabhi lout ke nahi aaoge
Aur main tumhe vapas chahti thi apni life me

Ha maine pehle izhaar nahi kiya tha lekin muhobaat to tumse tumse pehle hi ho gaye the

Ladki hu na pehle kaise bol deti
Lekin tum bhi thehre mote dimag ke kuch samjh me hi nahi aaya tumhe
Ya fir na samjhne ki acting karte rahe

Jab finally tumhe bataya aur tumne dusri Ladki ke bare me mujhe bataya to ek second ke liye to aisa laga jaise sab kuch yahi tham sa gaya hai
Meri to life hi khatam ho gaye the

Lekin fir pagalpan me vo sari harkate kardi

Dekho main ye nahi kah rahi ki aage se aisa kuch nahi hoga
Main aisa hi karungi aur tumhe meri har baat manani padegi
Ache husband ke jaise

Aur hum shadi ke baad Maa ko leke pahado par chale jaenge, jaisa tum humesha chahte the

Lekin no drugs
Okay?

Jab bhi tumhe nasha karna ho mere pyaar ka kar lena lekin no drugs

Hum vahi shanti se rahenge aur ek dusre ko khub pyaar karenge

Lekin usse pehle tumhe uthna hoga na babu

Uth jao na ab
Kitna ruloge
Tum bahut gande ho
Humesha mujhe rulate rahte ho

Ab uth jao aur mere aashon.....
Vo rote hue Daksh ke bahoo me sar rakh leti hai

Aur vahi subakiya leti rahti hai

Main tumhe dobara nahi khona chahti Daksh
Dobara nahi khona chahti

Beintaah muhobaat hai tumse

Ek last time vapas aajao aur fir kabhi tumhre paas koe problem nahi aane dungi

Main ek protection layer ki tarah tumhra khayal rakhungi

I love you daksh
I love you so so much

Aur vo firse rone lagti hai
Kafi der ro ro ke usne Daksh ke sare kapde geele kar diye the

Vo ab bahar jana chahti thi kyuki Daksh ki aisi halaat usse dekhi nahi Ja rahi thi

Lekin vo bahar nikal nahi paa rahi thi kyuki
DO MAJBUT HATHO NE USSE APNI BAHOO ME BHAR LIYA THA


****************THE END****************
 

Lone survivor

Well-Known Member
8,687
28,963
219
Writers note-

First of all thank you each and everyone for your support and love you showed to this story. You people are just awesome.
Thank you for being with me all the time,even when updates are coming so late.
Bas kisi ke sapne pure karne ke chakkar me kisi ke sapne adhure rah gaye
Anyway thank you once again and sorry ki ab meri koe new story nahi aaegi
And also life of an engineer bhi close karni pad rahi hai jo meri first incomplete story hogi
I'm so sorry for that
Hope you guys will understand
Love and happiness to all

-lone survivor
 

Yuvi333

Member
152
302
79
Writers note-

First of all thank you each and everyone for your support and love you showed to this story. You people are just awesome.
Thank you for being with me all the time,even when updates are coming so late.
Bas kisi ke sapne pure karne ke chakkar me kisi ke sapne adhure rah gaye
Anyway thank you once again and sorry ki ab meri koe new story nahi aaegi
And also life of an engineer bhi close karni pad rahi hai jo meri first incomplete story hogi
I'm so sorry for that
Hope you guys will understand
Love and happiness to all

-lone survivor
:sad:
 

Hunterrrr69

Well-Known Member
2,013
4,801
159
Mujhe end smjh nhi Aaya hath than Lia it means he is alive now hosh aagya use bahut Sarre suspense choddh the the brother chlo koi ni real life is more important then the imagination life
 

Aryan s.

Active Member
796
1,466
139
Nice ending....
Uss choti bachhi ki masoomiyat bohot achha laga....
Finally Dakshya returned...
:thanks: for the beautiful story...
 
Top