• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Yeh bhi Muhabat hi hai (COMPLETED)

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Update 68

Vijay Canada pohonchtey hi sab se pehley Aisha ko mail kiya ke woh Canada mein hai aur ussko bahot miss kar raha hai. Phir gharwalon se phone karke baat kiya ussne. Aisha ke mail ka intezaar karta raha aur mail par mail bhejta gaya magar Aisha ke taraf se koyi jawaab nahin araha tha aur Vijay do mahine tak betaab raha yeh jaane ke liye ke kyun Aisha ussko reply nahin kar rahi hai.

Udhar Aisha, Vijay ke jane ke do hafte ke baad se har roz Vijay ke kamre ke taraf dekhti rahi ke ussko dekh sake aur ussko bata sake ke usski computer kharab ho gayi hai. Magar Vijay bilkool dikhta hi nahin tha kissi bhi din. Phir ek raat ko Aisha ne apne kamre ki lights on off kiye bahot baar aur jab dekha ke Vijay ke kamre se bilkool jawaab nahin araha hai to ghabra si gayi aur uss din ke baad har subha ko Vijay ke kamre ke taraf dekhti aur subha ko Rhanveer lane mein dekhti ke kiss waqt Vijay kaam ke liye nikalta hai magar kissi din ko bhi Vijay nazar nahin aya to Aisha ka haal bahot kharaab huwa! Aisha ka dil ghabra raha tha ke kahin Vijay ko kuch ho na gaya ho aur kahin woh hospital mein admit to nahin ho gaya ho aur ussko khabar nahin…. Usski samajh mein nahin arahi thi ke keise pata lagaye…. Phir ek din Aisha ne note kiya ke Vimal Tiger ko khol raha hai….. Yeh Aisha ko bahot ajeeb laga kyun ke Vijay aur Pooja ke ilawa Tiger kissi ko paas nahin ane deta tha….. Phir uss din ke baad Aisha har roz subha aur sham ko Tiger par nazar rakhna shuru kiya kyun ke ussko pata tha ke keise bhi ho Vijay Tiger ke paas zaroor ata hai…. Magar jab Aisha ne dekha ke Vimal hi har roz Tiger ko kholne aur phir bandhne ko ata hai, aur ek roz to Vimal Anu ko seekha raha tha ke keise Tiger se dosti kiya jaye aur kiss tarah se ussko kholna aur bandhna hoga tab to Aisha ka dil zoron se dhadka aur uss se raha nahin gaya aur dauwdi apni maa se poochney ke Vijay ko kia huwa woh kahan hai.

Tab Aisha ki maa ne Aisha se kaha, “Kyun tumko nahin pata? Vijay Canada chala gaya !» Aisha ki enkh bhar aayi aur roti awaaz mein kaha, «Kia ? Mujhe bina bataye? Bina mujhse mile? Yeh keise ho sakta hai?» Aur phir Aisha apne kamre mein khud ko bandh karke din bhar uss din royi Vijay ko yaad kar kar ke!

Aur udhar Canada mein Vijay ka haal kharab tha kyunke Aisha ussko reply nahin kar rahi thi, yahan tak ke Vijay ne uss course ko drop karne ka socha aur wapas ghar jane ko soch raha tha sirf Aisha ke liye! Uss ke bhi samajh mein nahin araha tha ke keise Aisha se contact kiya jaye, phone to Aisha ki change karwa diya tha Vinod chacha ne aur Vijay ne khud ko kossa ke kyun uss ne naya number nahin liya jab Aisha se mila tha to…. Kum se kum ek din to phone par din mein baat kar sakta Aisha se….

Phir achanak Vijay ne socha ke sirf usski Pooja usski madad kar sakta hai to uss ne do mahine baad Pooja se iss bare mein baat ki aur Pooja ko ghar jaakar Aisha ka phone number lekar ussko dene ko kaha. Tab jaake donon mein contact huwa! Uff!! Kayamat ke din the woh do mahine ek dusre se communicate kiye bina. Jab Pooja ne Vijay ko phone karke Aisha ka number ussko diya to turant Vijay ne din mein phone kiya Aisha ko jab Vinod chacha kaam par tha tab, aur kyun ke Pooja ne Aisha ko keh diya tha ke Vijay ussko phone karega to Aisha bechaini se intezaar kar rahi thi apne pyar ke phone ka… jaise hi Vijay ki awaaz suni to rone lagi shikayat karte huwe ke bina uss se mile woh chala gaya aur khabar bhi nahin ki….Vijay ne bhi apna dil ka haal sunaya apne pyar ko ke kitna tarap raha tha uss ke mail ke reply ke bina aur kitna bechain tha yahan tak ke course drop karke wapas aney wala tha sirf usske liye….. Tab Aisha ne hawsla dilaya apne Vijay ko….

Aisha: “Main keise mails ka reply karti bijli ke kadakne se modem jal gayi hai aur cpu mein pata nahin kia kharaabi agayi hai, yeh sab to tumhara kaam hai repair karna mujhe kahan se ata hai yeh sab, tum to ho nahin ab kia karun main? Aur nahin wapas ana hai!! Apna course khatam karke, aur paise kama kar tab wapas ana…. Main tumhara intezaar karungi…”

Vijay: “Tumhare bina dil nahin lagta, tumko dekhne ko mann karta hai, tumhein bahon mein lene ko dil karta hai, jab wahan tha tab tumko itna miss nahin karta tha jitna ab karta hoon, tab to pata tha ke tum wahin ho apne kamre mein mere kamre ke opposite…yahan to milon ki doori hai….. pata hai 23 raaton ko tum sapne aye mere, main ne sab mails mein likh kar send kiya hai tumko….. “

Aisha: (hansti huwi)” achchah! Tum ne gin kar likha hai 23 raton ke dreams ko kia?”

Vijay: “Han bilkool, aur unn 23 sapnon mein se 15 mein hum sex kar rahe hein, aur tumhare kamre mein hein, sab details diya hai main ne tumko, jab read karogi to dekhna mujhko miss karogi aur karne ko mann karega I bet!!”

Aisha: “Dhat! Chup kar budmaash wahan se bhi yehi baatein karna hai tumko! Besharam kahin ka! Main nahin read karungi unn mails ko, jeise hi shuru mein dream ka pata chalega main delete kar dungi! Haan!”

Vijay: “Achchah? Aur main kehta hoon ke bahot sambhaal kar unn mails ko save kardogi aur baar baar read karogi…. Dekh lena!”

Khair donon mein baatein huwi achchi tarah se aur Vijay ne ek address diya jahan Aisha ko apna computer repair karne ke liye le jana chahiye….

Aisha ne ussi din baat karne ke baad apni maa ke saath computer repair karne ke liye legayi aur 4 din ke baad computer wapas mil gaya aur donon chat karne lage…. Web cam bhi kharida Aisha ne aur donon ek dusre ko dekh kar bhi baatein karte aur Vijay to kabhi kabhi apne Aisha se kapde bhi utarwata tha web cam par usski jism dekhne ke liye aur haath se kaam chala tha Aisha ko dikhatey huwe….. khair bahot raaton ko donon ne eise hi communication jaari rakha…. Aur takriban 9 mahinon ke baad Vijay ne Aisha se kaha ke kuch imtehaan dene hein course ke liye jo kaafi mushkil hai to har roz uss se communicate nahin karega aur ziada dhyaan parhaayi par aur apne kaam par dena hoga….. uss tarah se donon ke beech communication kam huwi aur Vijay bahot bahot hi masroof hogaya parhaayi aur kaam mein apna…. Ek mahine mein kabhi ek ya do mails bhejta tha Aisha ko …. Phir dhire dhire 2/3 mahinon mein ek mail… phir ahiste ahiste mail ana bandh hogaya….. par Aisha mails likhti aur send karti gayi apne Vijay ko aur bahot saare mails mein Aisha ne chinta zaahir ki ke kahin ussko koyi mem to nahin mil gaya jiss ki vajah se woh apne Aisha se contact nahin kar raha hai….

Magar nahin hamara Vijay to weisa tha nahin ke kissi aur ladki ki taraf jaye…. Magar yeh sach tha ke bahot hi busy ho gaya tha kaam mein aur uss course mein…. Bahot mushkil lag raha tha, bahot kadak tha….. aur Vijay ka dimaagh garam rehta tha har waqt takriban 24 ghantey bhi… jo kuch pahrta tha wohi apply karna parta tha kaam mein aur kabhi asafal hota tha to company ka director se baat sunni parti thi….. director ne Vijay ko kaha ke agar kharaab reports hoga to kharab reports hi send karega usske desh wale director ke yahan….. inn sab baton ki vajah se Vijay ne bilkool hi Aisha se contact band kar diya tha aakhri 8 mahinon mein…..

Kaam aur course kuch eisa tha ke usske saare waqt khatam ho jata tha ussi mein… bahot demanding course aur kaam tha..International level ki thi woh course aur dunya bhar ke offshore companies ke accounts ke bare mei jaanna aur seekhna tha aur sab reports kaamyaabi se prepare karke report karni thi aur pata nahin kia kia….

Vijay ke rawaye mein badlaw sa dikhne laga aur woh apne aap mein jeise bandh sa hogaya, sirf kaam kaam kaam karta tha….. Company ke bade bade sahebon ke saath uthne baithne laga, bade bade project par kaam karne laga, Canada se UK phir US bhi gaya ussi project ko lekar… jahan 2 saal mein wapas ane wala tha 4 saal beet gaye aur European countries se iss desh se uss desh mein kaam kar raha tha….. saal mein Aisha ko do ya teen mails bheja karta… waqt hi nahin mil raha tha mails likhne ko… Aisha ki send ki huwi mails mein se adha to Vijay ne parha hi nahin tha pichle do saalon mein….. sirf Diwali ko, new year ko aur Aisha ki janam din par mail karna nahin miss karta tha varna sirf kaam aur kaam…..

Vijay ke sar se thoda sa baal jharr gaye unn 5 saalon mein uss kaam ke tanaav ki wajah se… usski salary 5 guna ziada hogaya aur company ka assistant director bhi ban gaya….. Videsh mein bungla aur gadi bhi mila ussko rehne ko aur drive karne ko…… umar badhta gaya aur ek roz daadhi banatey waqt Vijay ne dekha ke kuch safedi bhi agayi usKe baalon mein… khud ko aine mein dekhtey waqt Vijay ne khud se kaha, “kia yeh main hi hoon??”

Phir ek din desh ki branch se Vijay ka bulawa aya jab woh Copenhagen mein tha. Desh mein ek naya branch open kiya gaya aur usske liye Vijay ko director appoint kiya gaya…… Vijay ko videsh ka hawa bha gaya tha ussko wapas ane ka mann nahin kar raha tha magar majboori thi…. To 5 saal 7 mahinon ke baad Vijay ne apne desh mein phir se kadam rakha!! Vijay ka umr uss waqt 34 years ka hogaya tha!!

To be continued………………..(1772 words)
 
Last edited:

bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,380
159

itna lamba wakt kitna dukhdayi hoga aisha ke liye aur kitna badal gya Vijay in saalo me
Kya is judayi ka ant in do premiyon ke milan se hoga
 
  • Like
Reactions: Casinar and Rahul

Rahul

Kingkong
60,514
70,677
354
Huum ab vijay budha ho gawa pyar me kaam kar kar ke udhar itne salon me bahut kuch badal gaya hoga :)
 
  • Like
Reactions: Casinar
Top