• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Yeh bhi Muhabat hi hai (COMPLETED)

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Update 69

Aney se pehley Vijay ne phone karke gharwalon ko bata diya tha kiss waqt kiss flight se wapas araha hai.

Airport par sab log ikatha huwe the Vijay ko receive karne ke liye. Pooja aur Anand bhi gaye the ussko milne. Magar ek surprise yeh tha ke Aisha bhi ayi thi magar keise? Waqt tha raat ke 10 baje aur uss waqt Aisha ka airport par hona bahot heyraani ki baat thi…. Magar thodi der mein sab ko pata chalega ke kia maajra tha…… Vijay to apne gharwalon ko expect kar raha tha Aisha ko bilkool hi nahin, uss ne to socha tha ke Aisha ko ghar pohonchne par hi pata chalega ke woh wapas agaya hai…..

Plane se utarne ke baad woh buss chala araha tha bhir ke awr jahan door hi se ussne apni maa aur Pooja ko identify kar liya….. Vijay ne spectacles pehni huwi thi jo jane se pehle nahin pehenta tha, Pooja ki enkh bhar aayi aur Vijay ki maa rone lagi aur sab ke pichey ek koney mein Aisha phoot phoot kar ro rahi thi Anu ko baahon mein thamey…. Anu bhi rone lagi…… Vijay bahot thaka huwa lagta tha, eisa lagta tha ke yeh 5 saal 7 mahinon tak woh kissi jung larr raha tha, aur lagaataar ladayi karne ke baad aaj wapas thaka haara araha hai. Atey hi apni maa aur Pooja ke seene se ek saath lag gaya, phir usska baap ne ussko gale lagaya aur usska bada bhai Vimal bhi, tab, Anu usski baahon mein aayi aur Vijay hanstey huwe magar enkhon mein ashk liye bola, “Ari Anu tu to bilkool Pooja jeisi badi ho gayai, inn 5 saalon mein itni badi hogayi tu, hmm kitni khubsurat aur pyari lag rahi hai!! Tu to shaadi layak hogayi hai!!” Itna hi kaha tha Anu ko ke usski nazar Aisha par gayi jo zor zor se roti jaa rahi thi….. Vijay heyraan mudhkar apni maa aur Pooja ko dekhta hai sawaali enkhon se aur Pooja ussko ishaarey se Aisha ke paas jane ko kehti hai….. Vijay ka dil zoron se dhadakne laga aur woh Aisha ke taraf badha…..

Aisha rote huwe Vijay ke baahon mein simat jaati hai apni chehre ko usske chaati mein chupaaye. Vijay jeise ussko ek jhatka laga ho khaamosh khada Aisha ko zor se baahon mein jakar kar poochta hai, “Kyun ro rahi ho? Aur tum keise aayi sab ke saath iss waqt? Tumhara papa ne aney diya tumko?” Aisha ziada zor se rone lagi jab Vijay ne yeh sawal kiya to…. Vijay ekdum heyraan pata nahin kia karta to mudhkar phir apni maa aur Poja ke taraf dekhta hai to maa kehti hai, “Chalo sab ghar chalte hein raste mein tum ko sab batayeinguey Vijay beta chalo…..” Vijay Aisha ka sar sehlaatey huwe, aguey chalta hai aur Anu aur Pooja Vijay ke suitcases aur bags lekar aguey bahrtey hein ek Van ke taraf jiss mein weh sab aye the. Phir chalte chalte Aisha Vijay ko chorta hai aur Vijay ki maa Vijay ke karib aakar kehti hai, “Kitna badal gaya hai mera laal! Dekh tere sar se baal bhi kum hogaye hein, ziada patla hogaya hai, khata nahin thik se kia re tu?” Vijay muskurate huwe kehta hai, “Maa kaam ki tanaw kuch itna hai ke khane pine par dhyaan hi nahin rehta, aksar khane ko bhool jata hoon, aur kitne meals miss kar deta hoon shaayad issi liye….”

Van mein Aisha aur Vijay ek saath baithte hein, aur Vijay ka baap, maa aur Anand jo drive kar raha tha aguey the aur Vijay ke saath Pooja aur Anu bhi the ussi seat par aur Vimal akela ek pichey wale seat par tha. To raaste mein Vijay ne poocha, “Achah batawo tum keise ayi sab ke saath mujhe lene?” Magar Aisha ne usski baat ko adhuri chor kar Vijay ke sar par apna haath phertey huwe kehti hai, “Kitna change agaya hai tujhmein, main ne tum ko pehchana hi nahin jab tum plane se uthre to…. Koyi aur lag raha tha…yeh baal keise jhaar gaye? Kissi vitamin ki kami hai….tum ne bahot laaparwahi ki hogi inn 5 saalon mein nah??” Phir Vijay ki maa ne saamne se kaha, “Thik kehti ho Aisha, iss ne bilkool hi laparwahi ki hogi, waqt par na khaya hoga, na acha bhojan mila hoga, sirf woh fast food vaghaira khata hoga har roz, dekh kia haalat bana rakha hai… sab log baahar se atey hein to ziada mota tagra hokar atey hein yeh lakri hokar wapas araha hai!! Kia re Vijay!!?”

Pooja apni maa ko chup karati hai yeh kehtey, “Maa chup bhi karo! Kia baat lekar baith gayi ho aap, bhai ne kaha na kaam ki bahot tanaw raha tha…kyun nahin samajhtey aap log…. Dimaagh ka kaam karta hai, sar par assar to hoga hi… pata nahin keise keise dawron se guzra hai mera bhia aur tum log pata nahin kia kahe jaa rahe ho!!” Vijay apne haath badha kar Pooja ke sar par phertey huwe kehta hai, “Still fighting for your bro lil sis?” hmm?” Phir Pooja apne Vijay bhai ke haath ko apne gaalon se lagakar chumtey huwe kehti hai, “Tum mere liye hamesha se priya ho aur rahoguey bhai, I love so much bhai.” To Pooja Vijay ke seene se lagta hai aur Aisha ko Vijay ke baahon se nikalna parta hai Pooja ko space dene ke liye….. Pooja ko baahon mein liye Vijay poochta hai, “Tu hi bata ab, Aisha keise tum logon ke saath hai? Maamla kia hai? Mujhe kuch ajeeb sa lag raha hai….” Pooja ne bus kaha, “Ssssssh tum apni Aisha se baat karo bhai kia baat lekar baith gaye tum bhi kitne saalon baad mile ho tum donon…” Phir Pooja ko laga ke woh Aisha ka haq cheen rahi hai to Vijay ke baahon se nikal gayi kyun ke woh Vijay ke bayein taraf baithi thi aur Aisha dayein taraf thi, to jab Pooja hatt gayi tab Aisha muskuraati huwi Vijay ke seene se lagtey huwe Pooja ko boli, “Nahin nahin tum bhi to Vijay se nahin mili itne saalon se, to tumhara bhi haq hai apne bhai se baatein karne ka aur uss se pyar karne ka….”

Phir kuch der baad Aisha jo Vijay se lipti huwi thi, usske kameez ki ek button se khel rahi thi, kuch nervous lag rahi thi aur pyar se uss ne Vijay ke chaati ko chuma, phir Vijay ke kaanon ke neechey chumtey huwe kaha, “Mujhe laga ke tum mujhko bhool hi gaye, ek saal mein 3 email, na koyi khat na sandes, kitna yaad kiya karta tha tumko keise batawun…..”Yeh sunkar Vijay ne ziada zor se Aisha ko bahon mein jakra aur wapas kiss kiya usski gaalon par aur uss ke sar par haathon ko phertey huwe usski maathe ko chuma. Phir Aisha boli, “Samajhti hoon ke tum ne kaha tha ke kaam aur course bahot mushkil hai aur tum bure dawr se guzar rahe the tum ne kaha tha issi liye kabhi bhi main ne dabav nahin daalna chaha tum par kyun ke tum par pura bharosa tha aur hai mujhe, magar phir bhi ek darr sa laga rehta tha ke kahin tum mujhko bhool najawo….”

Vijay ne jawaab diya, “Jaanti ho Aisha, kyun main ne tumko email karna aur phone karna bandh kar diya tha? Iss liye nahin ke tumko bhool gaya ya pyar nahin karta, nahin eisi baat nahin hai….baat sirf yeh hai ke main aksar socha karta hamare rishte ke bare mein to koyi raah nahin dikhayi deti…. Koyi manzil nahin dikhta…. Kia hoga hum donon ka yeh sochta rehta main…tum ne apne pita ko vachand de rakha hai ke jab tak woh khud hamare rishte ke liye tayaar nahin honguey to tum mujhse shaadi nahin karogi, main ne wada kar rakha hai tumse ke agar tum se shaadi nahin ki to zindagi bhar kunwara hi rahunga..aur yeh sach kaha hai main ne kyun ke main kissi aur se pyar kar hi nahin sakta…. To main ne socha ke iss rishte ke bare mein sar phodney se behtar hoga ke main apne kaam mein sar phodun aur apne career ki manzil tak badhta jawun…. Main ne apne career ko apna maqsad, apni manzil bana liya kyun ke mujhko laga ke hum donon ka kuch nahin hone wala…. Socha ke agar Vinod chacha 15 saal ke baad razi hoga hamare shaadi ke liye to kia hum 15 saal ke baad shaadi kareinguey? Kia faeda? Jab main budha hojawunga aur tum budhi hojawogi tab shaadi karke kia faeda…yeh sab soch soch kar main ne apne career ko ek kissam ka mehbooba banaya aur ussi mein dooba raha….han tumhari saut mili mujhko apne naukri mein ussi se dil laga baitha main aur ussi ki wajah se tum se door hota gaya, aaj issi naukri hi ki vajah se tumhare paas phir se aya hoon…..”

Vijay ki baton ko sabhi ne suna, Vijay ke maa baap ne bhi aur sabhi bhai behnon ne aur usska behnoy Anand ne bhi….. tab tak ghar pohonchney wale the aur jab Van Rhanveer lane mein aya to Anand ne kaha, “Andar chalo Vijay beta ab tumko pata chalega ke kyun iss waqt Aisha hamare saath airport ayi tum ko lane ko……”

To agle update mein dekheiguey ke yeh kia miracle hai jo Vinod chacha ne Aisha ko mana nahin kiya ke woh airport jaye Vijay ke parents ke saath…. Aur tab tak tum log bhi zara dimaagh par zor laga ke mujhko batawo ke kia ho sakta hai…dekhun to mere readers logon ko kia sujhta hai………


To be continued………………………. (1604 words)
 

Rahul

Kingkong
60,514
70,677
354
Huum mujhe lagta hai wo sasura kadwa karela mar gaya achcha hua bhagwaan use bhatakti aatma bana de:wonderful update chachu
 
  • Like
Reactions: Axba and Casinar
Top