Update 3 ( Abhimanyu Ka Pariwar)
corona virus ki bimari tezi se duniya bhar me fail gayi sabhi prakar ke jivit prani fir chahe wo insan ho ya janwar iski chapet me aa gye. Aur jab tak ki insano ko is virus ke ilaj ka pata chal pata bahut der ho chuki thi is bimari ke wajah se puri duniya me mrityu dar 30 pratishat tak pahuch gyi. Teen mahino ke andar andar agar janwaro ke maut ko hata bhi de to karib puri duniya me 2 arab logo ki maut ho gyi sirf 5 Arab log hi is virus se khud ko bachha paye the. In teen mahino me puri duniya ka hal behal ho gya tha lekin is doran jo 5 Arab log bache the unhone ye mahsus kiya ki inka sharir majboot ho gya hai sabhi me shakti tezi aur sharir me vikash twacha ki shakti doguni ho gyi thi. Aur ek sadharan insan bhi kisi bhi purane world champion ko aram se running aur weightlifting me hara sakte the aur fir barbadi shuru ho gyi. Jo insan aram se apani jindagi gujar rahe the wo shaktisali hona suru ho gye jo janwar is corona virus se bach gye the wo aur bhi khatarnak ho gye the unki shakti insano se jyada ho gyi thi. Kuchh to had se jyada khatarnak ho gye the September 2022 me samundri janwar ne insano par hamla karna suru kar diya tha aur charo taraf bas khoon hi khoon bahna suru ho gya insano aur janwaro ke is ladayi me insano ne ye mahsus kiya ki unka hathiyar jinpar unko garv tha wo sirf ek aam janwaro par hi kam karte the. In khatarnak janwar ko kisi bhi tarah ke hathiro se koi dar nhi tha fir wo top ho ya banduk se nikle goli hi kyu na ho koi bhi chij unaki bal baka bhi nhi kar paa rahi thi. Aur insano ne nuclear hathiyar ka upyog kiya tab jake unhe samajh aaya in janwaro me khud ko bachane ki chhamta insano se bahut jyada hai sirf wahi janwar mar paye jo blast ke dayre me the uske aas pass ke janwaro ko kuchh bhi nhi huya. Us bamb ki shakti itni nhi thi jitni ki insano ko umid thi bhale hi nuclear bamb se insano ne bahut janwar mar giraya lekin usse nikale radiation se kai aur khatarnak janwar paida ho gye aur us samay ka sabse khatarnak aur sabse masahur janwar tha gulabi bhediya jo ud bhi sakta tha aur sath hi sath hajaro adami ko mar bhi sakta tha. Aur us waqt logo ko ahsas huya ki radiation se aise aur khatarnak janwar paida ho rahe hai lekin is tarah se khatarnak janwar paida ho rahe the to insano me se bhi yodha paida ho rahe the jo in janwaro ka samna kar sake gulabi bhediya ko bhi ek maha shaktisali yodha ne mar giraya jise toofan ke na se jana jata hai. Aur is tarah in yodhao ne is muskil samay me in janwaro se ladkar logo ki jan bachayi Rakshit shergil name ke scientist ne in janwaro ke murda sharir ke istemal karte huye usne ek blue gold name ka dhatu jo ki chand pe paya jata hai usse milakar ek naya dhatu banaya jo heera se bhi thos tha aur jiska name unhone Rakshit dhatu rakha in dhatu ke bane hathiyar se yodhao ne asani se in janwaro ko khatma karna start kar diya.
Itihas ka ye hisa Abhimanyu ke dimag me aaine se bhi saf tha bas ladayi ke dauran sahar ke kafi hisa barbad ho gya is samay 6 kendro par jyada se jyada logo ke bhojan ka intjam kiya gya. Hamare bharat aur China me sabse jyada yodha hai aur taknik ke mamle me amerika Europe aur rasiya aage hai aur kyuki sumundary janwaro ko tadat jyada thi isiliye sabhi samundary desh tabah ho gye. Samundary janwaro ne abhi tak samundar me apna kabja jama rakha hai insano aur janwaro ke is ladayi me jo desh abhi tak khud bacha rakhe hai wo hai china America Europe Rasiya aur hamara bharat desh baki sare desh bahut pahle hi tabah ho gye the isilye muskil me in 5 desho ko kendra me rakhte huye United earth federation name ke ek sanstha asthapit huyi jisne kai insani bastiya banane me logo ki madat ki. Abhimanyu chahe jitni bar bhi is ghatna ke bare me padh le har bar use waise hi ascharya hota hai jaise pahli bar huya tha insano aur janwar ki ye ladayi jo sadhe panch sal chali thi abtak ke sabse khatarnak ladayi kahi jati hai. Is ladayi me kari 3 arab logo ki jane gayi thi sirf in panch desho ke log hi apne apne desho me surakshit tariko se hai baki desho ke log aaj bhi alag alag hai jamin par insano ne apni pakad majboot kar rakhi hai samundar me bhi kai khatarnak janwaro ne apna kabja jamaya huya hai.
2020 se 2028 tak ye 8 sal ka samay itihas me nirwana period ke name se jana jata hai.
Abhimanyu sas lete huye wapas sofa par baith gya aur tabhi pure ghar me ghadi ke ghante bajane ki awaj gunj gyi aur unhe panch bar bajne se unhe malum chala ki sham ke panch baj gye hai.
-Nirwana period bhai sach batao to mujhe aaj bhi yakin nhi hota ki hamari ye duniya nirwana period se pahle kaisi thi kul mila kar 200 desh the aur kitne sare log rahe honge na takriban 7 arab kuchh desh to kuchh desh to jyada khatre me rahe honge sirf ek janwar pure desh ko khatam kar deta tha ha isiliye is puri duniya me 5 desh aur 23 sahar rah gye hai
Yash ne achambhe se hami bharte huye kaha puri duniya bas 5 desh the china india America Europe aur rasiya sauth Africa aur America ko mila kar 23 sahar banaye gye. Bharta me is samay 6 bade sahar hai Abhimanyu ka ghar yogeshwari west me hai jo india ke 6 sahro me se ek mumbai ke aath ilako me se ek hai pure mumbai ke population 2 crore hai jisme yogeshwari ke population hi karib 10 lakh hai.
-Kitna waqt bit gya waqt 2056 chal raha hai nirwana period ke bite 30 sal ke aas pass ho gye hai aur aaj ke samay sabhi ko drona me traning lena jaruri ho gya hai ab ham 30 sal pahle ki tarah kamjor nhi rah gye ab ham pahle se jyada takatwar ho gye hai... Hai na.
Yash ne ghadi ke taraf dekhte huye kaha jisme Abhimanyu ne bas sar hila kar hami bhari.
-Wakayi me pichle 30 salo me bahut sare yodhao ne janam liya hai aur sath hi sath hamari taknik me bhi bahut taraki huyi hai aur ye bhi sach hai ki pichle 30 salo me kai khatarnak janwaro ne bhi janam liya hai.
Dono bhai bat kar hi rahe the ki darwaja khula aur ek adher umra ka joda ghar ke andar aaya darwaje se andar aane adami ki shirt pasine se bhigi huyi thi aur uske paint par kuchh dag bhi the unke chehre se saf pata chal raha tha ki wo bahut hi jyada thake huye hai. Unke sath aayi mahila jo unke kad kathi me chhoti thi wo hath me tokari liye huyi thi jisme sabji aur matan tha.
-Dad mom
Abhimanyu apne jagah se uth khada huya ghar me aane wala ye joda Abhimanyu ke mata pita the
-Are Abhimanyu padho padho mere liye pareshan mat ho beta
Mr. Khurana ne haste huye kaha unhe pata tha ki unke bete ka exam najdik hai isiliye uski padhayi unke liye sabse jyada jaruri tha. Mr. Khurana ne dekha ki side me ek pani ke botal pahle se hi bhari huyi rakhi thi aur unhe ye pata tha ki Abhimanyu hi roj unke liye pani bhar ke rakhta hai. Isiliye wo jab pani se bhare huye botal dekhte unhe bahut khushi hoti thi pure din ke kam karne ke bad wo ghar aake sabse pahle us botal ke pani ek hi sans me puri pi jate hai jisse unhe thodi Rahat milti hai.
-Are aap jaldi se Jake naha lo apki kapde se pasine ki badbu aa tahi hai
Mrs Khurana ne haste huye apne pati se kaha jise sun kar mr Khurana bahut jor se hase aur turant nahane ke liye us ghar ke chhote se hise me chale gye jise wo log salo se bathroom kahte hai.
-Abhimanyu Yash aaj tumahari mom tumlogo ke liye roasted matan banayegi
Mrs Khurana ne kitchen me jate huye boli jise sun kar Yash bahut khus ho gya aur use khus dekh kar Abhimanyu bhi khus ho gya. Jaise hi abhimanyu ne spnr maa ko apron pahan kar khana banate huye dekha to wo samajh gaya ki roj ki tarah aaj bhi uski maa sam me kam hone ke bad sati kharidari karke aayi hai kyuki Sam me sabjiyo ke dam subah ke mukabale saste hote hai. Halaki Sam me subah ki tarah taze sabji nhi milti par phir bhi wo log isi me gujara kar lete hai Abhimanyu ke najar phir bathroom ke taraf padi usne socha mujhe jald se jald yodha ke upadhi leni hi hogi taki mom ko Sam me bajar karne jana na pade aur dad ko itna kam bhi nhi karna pade. Abhimanyu ka ek hi sapna tha apne maa bap ko ek achhi jindagi dena jaha unhe jyada kam nhi karna pade
-Abhimanyu mujhe tumse kuchh bat karni hai
Mr Khurana nahane ke bad Abhimanyu se bole
-Jee dad
Abhimanyu apne bap ke taraf dekhte huye bola
-Dekho beta waise to aaj tak maine tumse kuchh bhi nhi puchha ki high school ke bad aage tumhara kya plan hai aur mai ye janna chahta hu ki aage ke liye tumhara kya plan hai
Mr Khurana aam taur par in sab chijo ke bare me Abhimanyu se koi bhi bat nhi karte the kyoki wo nahi chahte the ki Abhimanyu kisi bhi tarah ke koi dabav me aaye. Kyuki wo jante the ki unka beta kitni mehnat karta hai mr Khurana ke bat su kar kitchen me khana bana rahi mrs khurana ka bhi dhyan bap beto ke bato par chali gyi akhir dono maa bapo ko apne bete ki chinta thi.
-Dad mai soch raha tha ki jaise mere abhi ke marks hai us hisab se mujhe mumbai ke no.1 military Academy me admission mil jayega aur ab to mere pass drona ke shrest upadhi bhi hai to waha par mujhe ek officer ki tarah hi traning di jayegi aur is tarah se aap dono ko bhi ek ghar mil jayega
Abhimanyu ko pata tha ki agar waha uska admission ho jayega to use shrest upadhi ke wajah se use officer ki tarah hi traning di jayegi aur bakiyo ki tarah uske pariwar ko bhi ek ghar milega jo is chhote se kiraye ke ghar se lakh guna achha hoga.
-Aur agar kisi wajah se tumhara admission nhi huya to abhimanyu ham nhi chahte hai tum khud par itna dabav dalo mumbai me do bade military academy hai agar kisi bhi tarah pahli wali me nahi ho pata hai to tum dusri me bhi ja sakte ho usme koi burayi nahi hai
Abhimanyu samajh raha tha jo uske pita usse kahna chah rahe the aur use bhi ye pata tha ki pahli academy ke liye use avarage se 50 points jyada chahiye honge par dusre ke liye bas avarage point hi kafi hai
-agar mujhe dusre me bhi hota hai to shrest hone ke chalte waha bhi mujhe officer ki hi traning milegi Koi khas antar nahi hai
Abhimanyu haste huye bola
-Ha agar tumhare andar itna confidence hai to ye achhi bat hai lekin Abhimanyu mai phir se yahi kah rha hu ki khud pe kisi tarah ka koi dabav nahi dalo mujhe aur tumhare mom ko bas ek sukun bhari jindagi chahiye aur kuchh nahi
Mr Khurana ne Abhimanyu ko samjhate huye kaha kyoki wo jante the ki Abhimanyu apne upar kitna dabav dal rha hai
-Bilkul nhi dad mai apne upar koi bhi dabav nhi dal rha hu wo to mai jawan hu isliye mere andar thoda sa takat aur prerna jyada hai
Abhimanyu ne apne pita ko Bishwas dilate huye kaha par uske man me ek hi khyal chal raha tha aur wo ye thanki jab wo exam ke bad yodha ki upadhi mil jayegi tab wo apne ghar walo ko ek achhi jindagi dega.
-Jaldi se sab table pe aa jao khana lag gya thai
Mrs Khurana ne sabko bulate huye kaha aur sab apne apne jagah se uth kar table ke tarf chal diye
-Khusbu to bahut aa rha hai
Abhimanyu ne table lagate huye apni maa se kaha
-Mera favourite rosted matan
Yash ne khusi se chilate huye kaha aur apne wheelchair table ke taraf le aaya char logo ka wo chhota sa pariwar maje se apna samay bita rha tha