• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy YODHA (YEAR 2056)

mashish

BHARAT
8,032
25,910
218
Waiting
 
  • Like
Reactions: Black water

mashish

BHARAT
8,032
25,910
218
waiting
 
  • Like
Reactions: Black water

mashish

BHARAT
8,032
25,910
218
Writer ji is story per bhi dheyan dijiye aap to ek update dekar bhul hi gayi apni is story ko
 
  • Like
Reactions: Black water

mashish

BHARAT
8,032
25,910
218
Waiting
 

Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,638
174
Update 1 (Abhimanyu Singh Khurana)

Nila asman kisi Vishal nila daimond ki tarah lag raha tha aur garmi ka wo suraj asman me kisi aag ki gole ki tarah aisa lag raha tha jaise kisi se use is bade nile diamond pe latka diya ho. Suraj ke sthiti ko dekh kar koi bhi anuman laga sakta tha ki is wakt dophar ke 3 baje hai.

Kandiwali paschim Raigarh high school

Campus me ghanti bajte hi wo sant jangal jaise campus me achanak se chahal pahal hone lagi. Har ek building students se bhar gyi jo aapas me bat karte huye haste huye school ke get ke taraf badhne lage
-Abhimanyu sir Abhimanyu sir
Achanak se ek bhari Awaj sunayi deti hai jo kisi ko bula rahi thi
-Abhimanyu koi tumhe bula raha hai
kisi ne student ke bich khade us kam umra ke ladke Abhimanyu se kaha jo baki bacho ki tarah school ke taraf jaa raha tha. Usne baki bacho ki tarah nila sport uniform pahna huya tha dikhne wo thoda patla tha aur uska kad karib 5 feet 7 inch tha Abhimanyu apna name sun kar pichhe palta aur usne dekha 6 feet 2 inch ke achhe kadkathi wale ek ladke ne use awaj di thi
-J ji ji aap kon
Abhimanyu ne hichkichate huye us ladke se puchha jo ab uske taraf badh raha tha. Bahut kosish karne ke bad bhi Abhimanyu use pahchan nhi pa raha tha. Abhimanyu aur us ladke ke kadkathi me jamin asman ka fark tha Abhimanyu ki kadkathi ek aam insan jaisi thi jabki wo ladka na sirf hight me Abhimanyu se kahi jyada lamba tha balki dekhne me bhi Abhimanyu se kaphi tagda tha. Par fir bhi sayad usme is bat ka ghamand nhi tha aur ye ki uske Abhimanyu ko ijjat bhare nigaho se dekhne ke tariko se kaha ja sakta tha.
-Iska matlab sab sahi kahte the Abhimanyu sir se bat karna itna muskil bhi nhi hai
Usne apne aap me hadbadate huye bola
-Abhimanyu sir wo mai wo mujhe apki madad chahiye thi
Us ladke ne thoda hichkichate huye kaha
- hhhahha kaisi madat
Abhimanyu haste huye puchha
-Jab mai boxing ki taiyari kar raha tha tab maine mahsus kiya ki mere panches me utna dam nhi hai to mai soch raha tha ki kya aap ise sudharne me meri madat kar sakte hai.
Drona ke trainer ke hisab se mujhe apne takat se 50% jyada punch marna chahiye aur mai chahe jitni bhi kosish kar lu mai waha tak pahuch hi nahi pa raha hu
Us ladke ne umid bhari najro se Abhimanyu ko dekhte huye kaha
-O achha
Abhimanyu us ladke ke parisani par gaur karte huye bola
-Thik hai is shukrawar dophar ko tum mujhe drona me milo
Abhimanyu kuchh der sochne ke bad bola
-Thank you sir thank you thank you so much
Us ladke ne bar bar Abhimanyu ka abhar byakt kiya Abhimanyu use dekh kar thoda hasa aur fir apne dosto ke sath school gate ke taraf chala gya. Abhimanyu ko jate huye dekh kar us ladke ko apne khusi ke pradarsan karne me koi sankoch nahi huya
-Success
Usne khusi se uchhalte huye kaha
-Wow Abhimanyu sir itni asani se man gaye
Sath me khada ek student bola
-Sab sahi kahte hai Abhimanyu sir bahut hi achhe insan hai aur unse bat karna itna bhi muskil nhi hai
Us lambe ladke ne khusi se muskurate huye kaha
-Par aise kaise hamare is Raigarh school me 5000 bache hai jinme se keval 3 ko hi yudh kala me sreth ki upadhi di gyi hai. Abhimanyu sir ke alava jin do logo ke ye upadhi di gyi hai wo hai Ranveer aur Sameera lekin dono hi itne ghamandi hai ki unke pass samay hi nhi hai ki ham jaise logo ko kuchh sikha sake. Lekin Abhimanyu sir kya wo sachme itne achhe hai
Sath khade ladke ne thoda sandeh karte huye puchha use abtak ye Biswas nhi ho raha tha ki Abhimanyu itni asani se madat karne ke liye taiyar ho gaya. Is waqt puri duniya me jo halat chal rahe the use dekhte huye har desh ke high school ke students ko padhai ke sath sath ladai me bhi mahir hona jaruri hai jise ki wo apne andar ki sakti ko pahchan kar apne andar ke yodha ko jaga sake. Kandiwali paschim ke school me 5000 students jinme se keval 3 ke pass hi ye upadhi thi jyada tar drona me abhi sab naushikhiye hi the. Bahut hi kam logo ko madhyam shreni ki upadhi mili thi aur keval 3 logo ke pass hi sreth shreni ki upadhi thi.
-Wo kahte hai na ki hath kangan ko arshi kya aur padhe likhe ko pharsi kya abhimanyu sir in dono logo se bahut alag hai
Us lambe ladke ne muskurate huye kaha
-Ranveer aur Sameera bahut hi Amir khandan se hai bachpan se hi un dono ke pariwaro ne un dono ka padhayi aur traning me paise pani ki tarah bahaya hai jis wajah se aaj wo dono itne takatwar hai lekin Abhimanyu in dono se bahut alag hai
Us ladke ke bato me Abhimanyu ke liye ijjat saf dikh rahi thi
-Ha maine bhi suna hai Abhimanyu sir bahut hi sadharan pariwar se hai jaha tak ki wo chhote se ghar me kiraye ke makan me rahte hai
Sath me khade us ladke ne usko support karte huye kaha

-Ha Abhimanyu sir aaj is mukam pe apne kabiliyat ke dam par aur kadi mehnat ke wajah se aaj unhone ye jagah banayi hai Ranveer aur Sameer ke tarah paise baha kar nhi mai bhi Abhimanyu sir jaisa banana chahta hu aur dekhna 4 sal me mai apna graduation ki padhai khatam karne ke sath sath drona ki bhi sari parikshawo me safal ho kar Abhimanyu sir ki tarah shreth shreni hasil karunga
US lambe ladke ne apne gahri sas bharte huye aur apni pake irado se kaha ji Abhimanyu sir ke bare me wo dono ladke bat kar rahe the wo is waqt baki logo ke sath school ke gate no. 3 ke taraf ja raha tha uske sath usi ke jaise uniform ne ek ladka aur bhi tha
-Abhimanyu tumhe pata hai wo bewkuf sa dikhne wala bada ladka jo tumse madat mang raha tha na traning ke liye wo jaye jate tumhari bahut tarif kar rha tha.
Kah raha tha ki tum kitne achhe ho aur tumse bat karna kitna asan hai hahahhhh
Wo ladka haste huye Abhimanyu se kaha
- To tumhe jalan ho raha hai kya rajeev
Abhimanyu se rajeev ke bat sun kar haste huye kaha
-Jalan aur wo bhi tumse
Rajeev ne majakiye dhang se Abhimanyu nak khichte huye haste huye kaha
-Aise sapne bhi mat dekhna mai to use dekh ke has rha hu ki us murkh ke Abhimanyu sir ka asali chehra abhi nhi pata hai. Par ha jaha tak mujhe yad hai kuchh samay pahle drona me compitition ke time jis Abhimanyu sir ke wo tarif kar rahe the unhone 3 logo se ek ke bad ek se yudh karke un teeno ki halat aisi kar di thi ki wo teeno chalne layak nahi bache the hahahh
Rajeev ne haste huye kaha aur rajeev ke bat sun kar Abhimanyu bhi hasne laga wakayi me us compitition ne pratistha me chat chand laga diye the
-Chalo ab ghar chalte hai bhai
Abhimanyu ne haste huye Rajeev ke kandhe par majakiye taur par ek muka marte huye kaha
-Are Abhimanyu aram se mera kandha tumhare muke ka mar bardast nhi kar sakta hai bhai
Rajeev ne natkiye dhang me karahte huye kaha
-To fir se lo
Abhimanyu ne ek bar fir Rajeev ke kandho par mara Rajeev Abhimanyu ka jigri dost tha bachpan se hi dono sath me the bhale hi wo dono sage bhai na ho par bhir bhi dono ek dusre ke bahut karib the. Khelna ho padhai sab kuchh dino ne sath me hi kiya tha
-Are Abhimanyu wo samne dekh wo to tera crush hi hai na
Achanak se Rajeev samne dekhte huye kaha
-Kha.....
Abhimanyu ne bhi usi taraf dekha jaha rajeev dekh raha tha aur paya ki white polo t-shirt aur jeens me ponytail bande ek ladki khadi thi itne logo ke bhid me bhi wo sabse alag najar aa rahi thi. Abhimanyu ke dil ki dhadkane achanak se tez ho gyi aur ek hi name uske dil aur Juba se nikla GEET... Abhimanyu ko geet par crush hai hai ya yu kahe ki wo use achhi lagti hai ye bat bahut hi kam golo ko pata thi. Par jahir si bat hai ki uske jigri dost rajeev ko ye bat kaphi pahle se hi pata thi high school ke pahle sal me Abhimanyu aur geet ek hi class me the. Pahli bar jab Abhimanyu ne geet ko dekha tha uske liye sabkuchh mano ruk sa gaya tha use aisa laga mano asman se koi pari utar kar samne aa gyi ho uske dosto ko manna tha ki class me Abhimanyu geet ke piche baitha karta tha par lakh kosisho ke bavjud wo geet ke liye apni filling ko kabu nahi kar pata tha. Jane anjane uski najar hamesa Geet ko hi dekha karti thi aur isse jyada wo aur kuchh nhi kar pata tha bas chup chap geet ko dekhta rahta tha aur usi me wo khus bhi tha dusre sal me classes ki section fir se badle tab Geet aur Abhimanyu ek hi class me nhi rahe Geet dusri section me chali gyi. Lekin iske bad abhi bhi Abhimanyu geet ko dekhta hai to khud ko usme khone se rok nhi pata hai uski aankhe abhi bhi chup chap geet ko dekha karti thi. Jaise abhi dekh rahi hai
-Exam me bas ab ek hi mahina bacha hai aur na tab mujhme itna himat tha aur na ab ki mai pyar wyar me barbad karu akhari mahine me hi sab koi jam kar taiyari kar raha hai Geet bhi aur wo khud ko sabit karna chah rahi hai exams me auval aana chahti hai. Khud ko pyar wyar ke chakkar me dalkar apne laksh se bhatkana kyu chahegi aur mai bhi apne laksh se bhatkna nhi chahta warna puri jindagi mere pass pachhtane ke Shiva aur kuchh nhi rahega. Mere dil me ye Geet ke liye jo bhi hai pyar wyar ya kuchh aur mai ise sirf ek achhi yad bana kar chhod dunga aur ab isse jyada kuchh bhi nahi
Abhimanyu apne aap me hi budbudaya kisi sayar ne kaha hai
YE ISAQ NHI ASAN BAS ITNA SAMAJH LIJIYE EK AAG KI DARIYA HAI AUR DUB KE JANA HAI
Abhimanyu ke liye bhi yahi bat kahi ja sakti thi wo geet se sayad pyar to karta tha. Lekin pyar ke alava aur kai chije uske jindagi me thi jo ahmiyat rakhti thi. Uske pyar ke phool khilne se pahle hi murjha gaye wo apne sare filling apne dil ke kisi kone me daba kar wo apne lakshya par dhyan dena chahta tha
-Tumhare pass abhi bhi mauka hai man ki meri bat jakar use bata do ab sirf ek hi mahina bacha hai uske bad sayad tum use dekh bhi nahi pawoge aur tab sirf pachhtane ke Siva kuchh nhi rah jayega tumhare pass
Rajeev ne apne dost ko samjhte huye kaha
-uffffff hhhh Rajeev bas iske aage tum mujhe kuchh bhi nhi samjhawoge jab tak drona me mujhe yodha ki upadhi nhi mil jati mai apna Dhyan kisi bhi chij me bhatkana nhi chahta pyar me bhi nahi
Abhimanyu ne lambe sas lete huye kaha Abhimanyu ka laksh saf tha aur use har halat me apne laksh tak pahuchna hi tha
-Yar tu pagal hai yodha tumhe pata hai hamare school me kul mula kar 5000 bache hai aur kisi ko aaj tak ye upadhi nhi mili aur tu kah raha hai jabtak tujhe yodha ke upadhi nhi mil jati tu apne aap ko pyar wyar ke chakar me dalkar khud ko bhatkana nhi chahta sachme pagal hai yar tu.
Rajeev apne dost ko samjhate huye kaha wo use samjhana chahta tha ki ye uske yodha ka junun uske jindagi ki bahut se khubsurat chije chhin raha hai sath hi sath use ye bhi pata tha ki Abhimanyu ko is waqt kuchh bhi samjhana bekar hai.
-Ha pagal hi hu aur aise hi khus bhi hu
Aur jaisa rajeev ne socha tha Abhimanyu ko samjhane ki koi bhi asar nhi huya kyuki uske liye uske laksh se badkar uske liye kuchh bhi nahi tha Aur uska laksh tha yodha ka upadhi pana.
Abhimanyu ki najar gate ke samne ladke par padi jo char aur ladko ke sath khada tha. Gate ke pass khade us group me pach ladke the aur sabhi akarshak the aur unka leadr jo 5 feet 10 inch ka tha aur jisne safed t-shirt aur safed jeens pahni huyi thi jo Sabse jyada akarshak lag raha tha. Uska sina kisi filmi hero ki tarah chauda aur sudaul tha uske sath baki char ladke the sabhi usi ke tarah tagde the kisi ke chehre par to ek adha chhot ke nishan bhi tha jo un sabhi ka khatarnak aur takatwar dikha raha tha. Aur wo safed t-shirt wala ladka koi aur nahi balki drona me sreth upadhi pane wala Raigarh school ke teen logo me se ek Ranveer tha
-Abhimanyu....
Ranveer ne Abhimanyu ko nafrat bhari nigaho se dekhte huye kaha agar koi Ranveer se puchhe ki puri school me sabse jyada kisse nafrat karta hai. To jabab hoga Abhimanyu jin teen logo ko sresth ki upadhi mili thi unme se ek ladki hai to bas ab yahi do ladke rah gye hai jinke pass sresth upadhi maujud hai. Sath hi sath Ranveer bahut paise wale khandan se hai jabki Abhimanyu ka khandan nsadharan sa hai jo ki chhote se kiraye ki ek ghar me rahta hai. Padhai me Abhimanyu Ranveer se hamesa aage raha hai aur takat me dono hi ke pass drona me sresth upadhi hai par sirf yahi wajah nhi hai Ranveer ko Abhimanyu se itni nafrat karne ke liye. Darasal ek bar Abhimanyu ne drona ke ek compatition me teen logo ko ek ke bad ek na sirf chunauti di thi balki unka ye hal kar diya tha ki wo teeno uth bhi nhi pa rahe the. Aur un teen logo me se ek Ranveer bhi tha uska to ek dat bhi Abhimanyu ke ek muke se tut gya tha paiso me bhale hi Ranveer Abhimanyu se aage tha lekin padhai aur takat me Abhimanyu Ranveer se kahi jyada achha aur kabil tha. School me jab bhi koi Ranveer ki tarif karta tha to kahi na kahi se koi na koi uski tulna Abhimanyu se kar hi deta tha aur bas isiliye Ranveer Abhimanyu se is had tak nafrat karta tha ki uska sakal tak dekhna gawara nahi tha
-Chalo yaha se
Ranveer ne dat kichte huye apne ladko se kaha Abhimanyu ke mukko ki wajah se abhi bhi uske dato dard rahta hai isi se iska andaja lagaya ja sakta hai us waqt uska kyanhal huya hoga.
-Is Ranveer ko jabse tumne drona me pita hai tabse ye kayde me rahta hai ab ye tujhse kabhi panga nhi lega achha sabak sikhaya tune ise
Rajeev ne haste huye Ranveer aur uske chamcho ko jate huye dekh kar kaha lekin Abhimanyu ko usse ya uske jaise log se kabhi koi fark nahi pada
-Mai ise sabak sikhane ke bajaye aur kai jaruri kam karna pasand karunga
Abhimanyu beparwah tarike se kahte huye Rajeev ke sath apne ghar ki tarf jane laga aur fir dono apas me bat karte huye apne gharbke taraf badh chale wo apne bato me itne mast thebki unko pichhe se aati gadi ka andaja bhi nahi laga. Jabtak ki us gadi wale ne pichhe se horan nahi bajaya jiski awaj sun kar dono thoda kinare ho gaye. Is waqt jo daur chal raha tha jisme sari gadiya electronic energy se chalti thi jiski wajah se ab sadak par kisi bhi tarah ke petrol aur gas ka mahak nhi hoti
-Rajeev ab exam me sirf ek mahine ka waqt bacha hai aur hame is ek mahine me achhi tarah se taiyari karni hai
Abhimanyu aur rajeev bat karte huye sadak ke kinare chalne lage
-Waha drona me to fir bhi thoda samay mil jata hai jisse ham khudko heldi banaye rakhne ki training karte hai aur sath hi sath hame apni padhai pe bhi utna hi dhyan rakhna hai akhir itne salo se ham itni mehnat isiliye to kar rahe hai hai na
Abhimanyu ne rajeev se kaha
-Ha hamari itne sal ki mehanat aur kabiliyat hamara exam tay karega ye exams bhi ek sir dard hi hote hai hai na Exams na huye daftar ki nokari ho gye karne ka man nahi hai fir bhi kare jao
Rajeev ne gahari sas lete huye kaha jispe Abhimanyu ne halki si ek hami bhari rajeev ke liye bhale hi exam ek sir dard ho lekin Abhimanyu ke liye aisa nhi hai
Sandar tarike se pesh kiya hai aapne Jabardast update
 
  • Like
Reactions: mashish

Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,638
174
Update 1B (Himaliyan vulture)

Abhimanyu ke ghar ke halat bahut achhe nhi the bhale hi uske pass sresth ke upadhi hai par phir bhi ye kafi nhi tha. Halaki use sresth upadhi ke wajah se use kahi bhi asani se sresth angrakshak ki nokari mil sakti hai. Jisme uska salana vetan 5 lakh se 6 lakh hoga par Abhimanyu bas itne me santusthi nhi hai. Use apni jindagi me angrakshak se kahi jyada banana tha aur isiliye ye exam uske liye itne jaruri the. Jis samay Abhimanyu aur rajeev exam me safal hone ki plan bana rahe the. Thik usi samay sahar se karib 1000 meters upar ek badi kali sunahari chilh sahar ke upar ud rahi thi. Wo koi aam chilh nhi thi jaisa ham kitabo aur filmo me dekhte hai balki uska sarir karib 20 meters lamba tha. Jaise ki wo koi chilh na ho koi ladaku biman ho uski pankho me ek alag hi aankho ko chaundhiya dene wali chamak thi. Uske sar ke upar ke pankh itne kale the mano use koi kale rang ka mukut pahnaya gya ho. Uske sarir ke sath sath uske bade bade pair bhi sunhare rang ke the. Wo apne paini aankho se apne niche sahar ko aise dekh rahi thi jaise koi shikari apne shikar ko dekhta ho. Uske aankho me wahi chamak thi jo shikari ko apne shikar ko marne se pahle hota hai. Kale mukut wali wo chilh jo pahle se hi ud rahi thi achanak apne gati aur badha deti hai. Itni ki duniya ke sabse tez gati se chalne wali chiz bhi uski samne dhimi lage. Sari hade par karta huya wo ek bhayawah gati se ud rahi thi apne bhayawah se udne ke sath sath wo chilh ne apne muh ke bhitar ek tez awaj nikali. Dil ko dahla dene wali wo tez bhayawah awaj tezi se niche sahar me fail gayi. Abhimanyu usi waqt chaurahe par bani traffic light me lal signal hone ka intjar kar rha tha taki wo sadak par kar sake. Jab use ye kam ke parde phar dene wali bhayawah awaj sunayi di wo awaj itni tez aur darawani thi jaise ki kahi koi badal garaj rahe ho. Par Abhimanyu ko pata ki ye koi badal garaj me koi awaj nahi hai kyuki badal garajane ki awaj bhale hi bhayanak hoti hai lekin is tarah se kam ke parde pharne wale nahi hoti. Uske kano aur sar me is tez awaj ki wajah se dard hona start ho gya aur usne jab aas pass khade logo ko dekha to paya ki sabhi ka hal waisa hi tha. Kyuki sabhi apne apne kan band kar ke khade the
-Ye to kisi chidiya ki awaj lagti hai
Abhimanyu ne upar asman ki or dekhte huye bola par use kuchh samajh nahi aaya ki ho kya raha hai. Abhi wo kuchh samjhne ki kosish kar hi raha tha ki achanak se ek kanch ka bada sa tukda asman se sidhe niche tez awaj ke sath uske bagal wali sadak par ja gira. Us tukde ke girne ke kuchh second bad hi aur bhi tukade asman se idhar udhar girne lage kuchh footpath par gire kuchh rah chalte logo ko lage aur kai to street light se lagkar chakna choor ho gye. Is tarah kuchh samay ke liye hadkamp mach gya aur log apne jan bachane ke liye idhar udhar bhagne lage aise hi ek kanch ka tukda street light se takra kar Abhimanyu ke bagal me gira jaha rajeev khada tha. Lekin isse pahle ki wo kanch ka tukda rajeev ko koi chot pahuchata rajeev do kadam piche ki or chala gya halaki ek kanch ka tukda jamin se takra kar Abhimanyu ke taraf badha to Abhimanyu usse bachne ke bajaye wahi sant khada raha. Usne tirchhi nigaho se apne taraf aate huye tukde ko dekha aur isse pahle ki ye tukda use chhot pahuchata Abhimanyu ne use jhat se apne hatho se pakad liya. Ye sab kuchh itna tez huya ki kisi ko samajh me aana muskil tha. Abhimanyu ne apne hath me pakde us tukde ko kuchh samay dekha aur use side me aise phek diya jaise ye uske liye koi badi bat nahi thi. Wo kanch ka tukda sadak pe rakhe ek dastbin me ja gira dhire dhire sadak par bhi pahle jaisa normal hone laga gadiya apne aap rasto par chalne lagi aur sadak par khade log apas me is bat ko lekar discuss karne lage. Bas kuchh logo ko chhod kar baki kisi ko bhi koi chot nahi laga tha
-Itni takat sirf garajne se jarur ye koi shaktisali janwar tha Rajeev tumhe to aise janwaro ke bare me kaphi jankari hai na kya tum jante ho ki ye kon sa janwar tha
Abhimanyu ne asman ki or dekhte huye Rajeev se puchha jaha se abhi kuchh samay pahle hi kanch ke tukdo ki barsat ho rahi thi
-Abhimanyu defence system is sahar se karib 500 meters upar hai to isse ye bat to tay hai ki ye janwar 500 meters se bhi upar ud raha tha aur kisi aam janwar ke garajne me itni takat nahi hoti ki wo is tarah se hadkamp macha de aur koi aam janwar is tarah ka jokhim uthayega bhi nahi to agar mai sahi hu to is tarah ka takatwar awaj sirf ekhi khatarnak janwar ki hoti hai aur wo hai himaliyan vulture
Rajeev ne sochte huye kaha
-Himaliyan vulture....
Abhimanyu ko apne kano par bishwas nhi huya usne Aaj Tak is janwar ke bare sirf suna tha lekin kabhi dekha nhi tha
-Ha aur puri duniya ke sabse khatarnak janwaro ke list me iska name teesre no. Par hai aam taur pe himaliyan vulture ki lambayi kariban 21 meters tak hoti hai. Aur inke pankho ka phailav takriban 36 meters tak hota hai inki udan ka speed sound ke speed se karib 3.9 guna hoti hai. Yani ki 1 second me ye 1326 meters tak ud jati hai jiska matlab ye hai ki 1 ghante me ye 4474 km ki safar tay karti hai.
Rajeev ke chehre par ye jankari dete samay ek chamak thi aur abhimayu ke hoss ude huye the use pata tha ki janwar shaktisali hai. Par itna ki palak jhapakte hi wo kai km dur nikal jaye is bat ka use andaja nhi tha
-Aur tumhe pata hai himaliyan vulture ki pankh hire se bhi jyada thos hote hai utna hi jitna ki ek uche sreni ke misrit dhatu ke hote hai. Iske bare me kai videos hai online jisme bataya jata hai ki kaise is janwar ne kai armiyo ke bhi samna kiya hai. Fire god name ke ek 20mm ki hum hai jo ek second me 7000 goliya chala sakti hai aur uski ek goli itni takatwar hai ki wo ek 50mm ki this steel me bhi chhed kar sakti hai. Par wo goli bhi is janwar ka ek pankh tak nahi nikal payi. Aur to aur ek rahsamayi yodha me ek misrit dhatu se bani ek talwar se us janwar ke do tukde kiye the.
Rajeev ji bate sun kar Abhimanyu ki dil jor se dhadkane laga wo video kafi jyada viral hai isliye Abhimanyu ne bhi wo video dekh rakha tha
-Mai bhi ek din yodha ki upadhi hasil karunga aur is rahsamayi yodha ki tarah mai bhi talwar se in himaliyan vulture aur devil gorila jaise khatarnak janwar ke tukde tukde kar dunga
Abhimanyu ne man hi man socha apne umra ke baki ladko ki tarah Abhimanyu ka bhi mahan aur shaktisali yodha banne ki sapna hai aur Abhimanyu ye bhi janta hai ki jis yodha jaisa wo banna chahta hai unki ginti puri duniya ke top 100 logo me se aati hai
-Abhimanyu Abhimanyu kya soch raha hai ham ghar pahuch gye
Abhimanyu jo ki ek gahri soch me tha rajeev ki awaj se wo apni soch se bahar aaya aur uski najar samne khadi purani building par padi. Aur use ahsas huya ki wo sachme ghar aa gya hai. Yogeswari west me bane is chhote se kiraye ke ghar me jo ki sarkar ke dwara banaya gya tha wo pichle 18 salo se apne pariwar ke sath rahta tha.
Himalayan valture or devil gorilla sunne me hi kafi Khatarnak lag rhe hai or uska ek njara to Abhi hi dekh liya kaan fadu aavaj ashcharya janak speed... Jabardast superb update
 
  • Like
Reactions: mashish

Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,638
174
UPDATE 2 (Corona Virus Ka Kahar)

Yogeswari west ke ilake me aisi kai building thi jo bhale hi kafi purane ho lekin unka kiraya baki jagho se kaphi kam hai. Asman chhute in apartment me bane in flat bahut hi chhote the aur kisi bhi flat me sahi se dhoop aane ka koi jariya nhi tha. Par fir bhi Abhimanyu jaise kai pariwar in apartment me rahte hai khud Abhimanyu ke ghar samne bane 36 manjila apartment me 18ve manjil par tha.
-Abhimanyu aaj Sam tum drona jaoge
Rajeev ne apne apartment ke taraf badhte huye puchha
-Aaj Sam mujhe family ke kam se kahi bahar jana hai bad me agar samay milta hai to drona jaunga lekin tum mera intjar mat karna
Abhimanyu Rajeev ke bat ka jabab dete huye apne ghar ka sidhiya chadhne laga ek bar me char char sidhiya chadhte huye wo palak jhapakte hi dusre se tisre tisre se chauthe flore pe itne tezi se pahucha jaise ki koi tenduya jangal me duad raha ho. Itne tez daudne ke bad bhi uska sans tanik bhi nhi phuli itna tez daudna uske liye normal walk jaisa hai normali itni badi building me lift ki subidha hoti hai par yaha ke jyadatar logo ka manna hai ki unhe lift ki koi jarurat nahi hai. Kyuki yaha in buildings me lift lagti hai to unka kiraya aur badha diya jayega aur isiliye yaha ke logo ko sidhiya chadhna manjur hai bajay iske ki unka kiraya badhaya jay kyuki is sahar me bijali bahut mahangi hai. Aur is sahar ka defance system bhi bijali se hi chalta hai isiliye buildings me lift lagakar kharcha badhane ka koi matlab nhi banta to is tarah Abhimanyu sidhi chadhte chacdhte apne flor par pahuch gya. Jis flor par wo rahta hai uske alawa waha aur 7 pariwar rahta hai.
-Bhai tum ho kya....
Darwaja kholte hi abhimanyu ko ghar me se ek awaj sunayi di
-Ha mai hi hu...
Abhimanyu ne darwaza band karte huye bola. Hoss sambhalte hi abhimanyu apne maa bap aur bhai ke sath ek chhote se 10*10 ke ghar me jisme kamre ke name par ek bedroom aur ek living room hai me paya.
-Yash kya padh rahe ho..
Abhimanyu balkoni ke taraf badha jaha uska chhota bhai wheelchair pe baitha ek English book padh raha tha.
-Are ye to wahi hai na Gautam kumar jo investing expart hai maine to suna hai navnit Dutta stock market me jyada femous hai.
Abhimanyu haste huye bola investment aur stock me Abhimanyu ka knowledge ek dam ZERO tha isiliye ye sab useajak lagta tha.
-Navneet Dutta mujhe samajh nahi aata jabki Gautam kumar ke tarike aur soch kafi had tak meri jaisi hai isiliye mujhe lagta hai ki mai Gautam kumar se jyada achha sikh sakta hu.
Yash ne kitab se sar utha kar muskurate huye jabab diya.

-Chalo tum padhte raho..
Abhimanyu ne apne bhai se haste huye kaha anjane me Abhimanyu ke najar apne bhai ke pairo par padi aur na chahte huye bhi uske dil me apne bhai ke aisi halat dekh kar pahut dard huya. Bachpan me ek accident me Yash ke dono pair ek car ke niche aa gya tha jiske wajah se uske jangho ke niche pura pair kuchal gaya tha aur wo hamesha ke liye apahij ho gya apahij hone ke karan use samajh me kai tane aur majak ka samna karna padta tha. Jiske wajah se ghar ke andar hi rahta tha yaha tak ki uska padhayi bhi iternet ke madhyam se distence learning course se hoti thi. Jyadatar ghar ke andar rahne aur bahar na nikalne ke wajah se uska chehra hamesa se safed rahta tha jaise ki wo salo se kafi bimar ho aur har waqt ghar ke andar rahne se uska koi dost bhi nahi tha. Isiliye wo hamesha bas apne me hi rahta tha.
----Mom aur dad ke salary jayad nahi hai aur isme baki sare kharche ke sath sath in dono ko mujhe aur Yash ko bhi bada karna hai aur Yash to apahij bhi hai isliye uska khas dhyan bhi rakhna padta hai sayad yahi wajah hai ham is chhote se kiraye ke ghar me rahte hai lekin mujhe apne ghar ke halat sudharne honge
Abhimanyu ne apne man me socha

----Geet pe crush hone ke bawjud maine kabhi use kuchh nhi bataya koi bhi relation nahi banaya aisa nahi hai ki mai nahi chahta tha ya kar nahi sakta tha meri umra ke kitne log aaj relationship me hai to mai bhi to relationship me aa sakta hu par sach to ye hai ki mere pass in sab chij ke liye samay nahi hai Mera pariwar itna paise wala nahi hai ki mere liye achhe se achha teacher afford kar sake mujhe apni pahchan khud hi banani hai bina kisi aur ke madad se...
Sochte Sochte uski najar drying room me rakhe sofe par padi jo jarurat padne par bed ka bhi kam karta hai
----Mai aur Yash aram se kamre me rah sake isliye mom aur dad is purane sofa par sote hai par bahut jald hi mai sab thik kar dunga hamare pass ek bada sa ghar hoga jisme ek lift bhi hogi jisme mom aur dad ke pass khud ka kamra aur bed hoga mere bhai ko sidhiya chadhne aur utrane me dard nahi hoga aur us bade se ghar me badi badi khidkiya bhi hogi taki suraj ki raushani pure ghar me aa sake...
Na jane kitne bar ye sabd Abhimanyu ne apne man me kahe hai jo use prerna deti hai kafi jyada mehnat karne ki taki wo ghar ke halat thik kar sake. Aur yahi wajah hai ki apne school ke 3 logo me se ek name uska hai jo ki drona ke sresth sreni me aata hai aur wo akela hi hai jo itne sadharan pariwar se hai aur sirf apne mehnat se hi yaha tak pahucha hai baki dono logo ki tarah paiso se nahi. Electric kettle me pani garam hone ke liye lagakar Abhimanyu sofa par baithkar apne history book se important chapter ka revision karne laga thodi hi der me us kettle se awaj sunayi di aur wo samajh gya ki pani garam ho gya hai. Usne pani ko ek battle me bhara aur thoda pani ek glass me dalkar side me rakh diya aur usne apne history book me se ek ke bad ek sari yetihasik ghatnao ko yad karne laga. Waise to wo math me mahir hai par history me khas dilchaspi hai kyuki wo jab bhi 21vi sadi ke bare me padhta hai use sab kuchh ajib sa feel hota hai kyuki ye wo sadi hai jisme manav jati ka vikash huya tha.
-Yash...
Abhimanyu apne bhai ki or jate huya bola
-Ha bhai...
Yash ne apne kitab side me rakhte huye jabab diya
-Maine is kitab me 139 important parts hi-light kiye hai jara inke bare me mujhse sawal karo.
Abhimanyu ne apne history ke kitab Yash ko dete huye kaha jise sun kar Yash jor se hasa.
-Hahhahhh Bilkul kabhi kabhi hi to mauka milta hai apse sawal puchne ka to mai apse sawal karunga aur apne sahi jabab nhi diya to mai apko jo bolunga wo apko karna hoga.
Yash ko aisa mauka bahut kam hi milta hai isiliye wo pura fayda uthana chahta tha.
-Are Ha Ha thik hai ab puchho bhi..
Abhimanyu bhi apne chhote bhai ke bat sun kar bolte huye sofa par baith gya
-Ok Tiger head snake ko jis adami ne markar hajaro logo ke jan bachakar unhe surakshit mumbai pahuchaya tha uska name kya hai ? Wo kaha se hai aur wo kitne sal ka tha jab uski maut huyi thi wo exact tarik kon si thi... ?
Yash ne pahla sawal puchha
-Us hero ka name jisne tiger snake ko mara tha uska name aaa... Abhay Singh Rathore tha aur wo jodhpur se tha apni bahaduri ke liye use desh se 4 star bahaduri award bhi mila tha 39 sal ki aayu me uski maut huyi thi aur ye huya tha sal 2018 me l...
Abhimanyu ne bhav chadhate huye bola
-Sal 2018 thik hai par kon sa din aur kon sa mahina tha....
YAsh ne puchna jari rakha
-Sayad 18 Jun...
Abhimanyu ne thoda sochte huye bola
-Lo pahle hi sawal ka jabab galat diya abhay Singh Rathore jhodhpur ka hi tha aur uska maut 39 sal me hi huyi thi lekin ye huya tha 16 Jun 2018 me hahahahhh...
Yash ne haste huye bataya
-Are yar mai hamesh 16 aur 18 me confuse ho jata hu chalo agla sawal puchho..
Abhimanyu ne apna bewkufi pe haste huye kaha
-Achha chalo dusra sawal puchta hu dhyan se sunna sal 2013 me.....
Yash ko ye sab me bahut maja aa rha tha aur usne puchna jari rakha kuchh der bad
-Bhai abhi tak maine apse 68 sawal kiye hai jisme apne 63 ka sahi jabab diya mom dad kisi bhi waqt aate hi honge isliye mai apse akhari sawal karunga baki ke sawal bad me kisi aur time.
Yash ne ghadi ki or dekhte huye kaha dono bhaiyo ke sawal jabab me samay kaha bit gya pata hi nahi chala.
-Akhari sawal thik hai chalo puchho
Abhimanyu pure dhyan se sawal sunne laga.
-Ye sawal kafi asan hai nirwana period ke bare me batao..
Sawal puchte samay Yash ke chehre pe bahut gambhir bhav the kyoki ye manav samajh ke bahut hi aham hisa tha 21vi sadi ke suruyat me bahut sari bimariya ek ke bad ek phail rahi thi. Sal 2002 me saps 2013 me H1N1 aur akhir me sabse khatarnak bimari 2020 me corona virus ke name se puri duniya bhar me phaili. Is virus ke suruyat china se huyi thi WHO ne is corona virus ko covid19 name diya tha is bimari ke lakshano ki bat kare to ek vyakti se dusre vyakti me failta tha. Isiliye ise lekar bahut sawdhani barti jaa rahi thi ye virus 2020 me sabse pahle China me samne aaya tha aur uske bad bahut tezi se dusre sahro me bhi fail gya. Sal 2020 ke antim mahina aate aate 70 desho me iske anya mamle samne aa gye the. Bharat me bhi suruwati taur par iske naye mamle dilli noyeda me samne aaye aur dhire dhire infacted logo ki sankhya hajaro se lakho ki tadat me badhne lagi. China bharat America sahit kai bade bade desh iske chapet me aa gye the Dusri taraf WHO ne pahle hi emargency ghosit kar diya tha. Desh videsh me yatriyo ki yatra par ban laga diya gya tha sankramit byakti ko dusro se alag rakha jane laga hight alert jari kar diya gya tha. Logo ke liye apna jan bachana muskil hote ja raha tha Mask pahnane ke liye log majbur ho gye is virus ko vacine se kabu kar pana muskil hi raha tha. Aur is wajah se duniya bhar me log marne lage jaise jaise medical system ka vikash huya ye virus kabu me aa gya lekin fir 2021 me ye virus abtak ke sabse khatarnak roop me badal liya. Viswa swast adhikariyo ke liye ise failne se rokna ek badi chunauti ban gayi halaki china ise rokne ke liye har mumkin kosish kar rha tha. Duniya bhar me corona virus ke case lagatar aane ke bad WHO ne corona virus ko antarrashtriya apatkalin ghosit kiya gya isse pahle kai sare corona virus ke roop logo ke sarir me khoon ke sath failne lage aur kuchh virus pani aur khane ke chijo ke sath failna suru ho gya. Ye corona name ka virus sarir me hawa me khana me yaha tak ki pani me bhi bahut asani se failne lag gya tha.
Vartman ko sath lekr likha gya yah adhyay superb hai sandar update
 
  • Like
Reactions: mashish

Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,638
174
Update 3 ( Abhimanyu Ka Pariwar)

corona virus ki bimari tezi se duniya bhar me fail gayi sabhi prakar ke jivit prani fir chahe wo insan ho ya janwar iski chapet me aa gye. Aur jab tak ki insano ko is virus ke ilaj ka pata chal pata bahut der ho chuki thi is bimari ke wajah se puri duniya me mrityu dar 30 pratishat tak pahuch gyi. Teen mahino ke andar andar agar janwaro ke maut ko hata bhi de to karib puri duniya me 2 arab logo ki maut ho gyi sirf 5 Arab log hi is virus se khud ko bachha paye the. In teen mahino me puri duniya ka hal behal ho gya tha lekin is doran jo 5 Arab log bache the unhone ye mahsus kiya ki inka sharir majboot ho gya hai sabhi me shakti tezi aur sharir me vikash twacha ki shakti doguni ho gyi thi. Aur ek sadharan insan bhi kisi bhi purane world champion ko aram se running aur weightlifting me hara sakte the aur fir barbadi shuru ho gyi. Jo insan aram se apani jindagi gujar rahe the wo shaktisali hona suru ho gye jo janwar is corona virus se bach gye the wo aur bhi khatarnak ho gye the unki shakti insano se jyada ho gyi thi. Kuchh to had se jyada khatarnak ho gye the September 2022 me samundri janwar ne insano par hamla karna suru kar diya tha aur charo taraf bas khoon hi khoon bahna suru ho gya insano aur janwaro ke is ladayi me insano ne ye mahsus kiya ki unka hathiyar jinpar unko garv tha wo sirf ek aam janwaro par hi kam karte the. In khatarnak janwar ko kisi bhi tarah ke hathiro se koi dar nhi tha fir wo top ho ya banduk se nikle goli hi kyu na ho koi bhi chij unaki bal baka bhi nhi kar paa rahi thi. Aur insano ne nuclear hathiyar ka upyog kiya tab jake unhe samajh aaya in janwaro me khud ko bachane ki chhamta insano se bahut jyada hai sirf wahi janwar mar paye jo blast ke dayre me the uske aas pass ke janwaro ko kuchh bhi nhi huya. Us bamb ki shakti itni nhi thi jitni ki insano ko umid thi bhale hi nuclear bamb se insano ne bahut janwar mar giraya lekin usse nikale radiation se kai aur khatarnak janwar paida ho gye aur us samay ka sabse khatarnak aur sabse masahur janwar tha gulabi bhediya jo ud bhi sakta tha aur sath hi sath hajaro adami ko mar bhi sakta tha. Aur us waqt logo ko ahsas huya ki radiation se aise aur khatarnak janwar paida ho rahe hai lekin is tarah se khatarnak janwar paida ho rahe the to insano me se bhi yodha paida ho rahe the jo in janwaro ka samna kar sake gulabi bhediya ko bhi ek maha shaktisali yodha ne mar giraya jise toofan ke na se jana jata hai. Aur is tarah in yodhao ne is muskil samay me in janwaro se ladkar logo ki jan bachayi Rakshit shergil name ke scientist ne in janwaro ke murda sharir ke istemal karte huye usne ek blue gold name ka dhatu jo ki chand pe paya jata hai usse milakar ek naya dhatu banaya jo heera se bhi thos tha aur jiska name unhone Rakshit dhatu rakha in dhatu ke bane hathiyar se yodhao ne asani se in janwaro ko khatma karna start kar diya.
Itihas ka ye hisa Abhimanyu ke dimag me aaine se bhi saf tha bas ladayi ke dauran sahar ke kafi hisa barbad ho gya is samay 6 kendro par jyada se jyada logo ke bhojan ka intjam kiya gya. Hamare bharat aur China me sabse jyada yodha hai aur taknik ke mamle me amerika Europe aur rasiya aage hai aur kyuki sumundary janwaro ko tadat jyada thi isiliye sabhi samundary desh tabah ho gye. Samundary janwaro ne abhi tak samundar me apna kabja jama rakha hai insano aur janwaro ke is ladayi me jo desh abhi tak khud bacha rakhe hai wo hai china America Europe Rasiya aur hamara bharat desh baki sare desh bahut pahle hi tabah ho gye the isilye muskil me in 5 desho ko kendra me rakhte huye United earth federation name ke ek sanstha asthapit huyi jisne kai insani bastiya banane me logo ki madat ki. Abhimanyu chahe jitni bar bhi is ghatna ke bare me padh le har bar use waise hi ascharya hota hai jaise pahli bar huya tha insano aur janwar ki ye ladayi jo sadhe panch sal chali thi abtak ke sabse khatarnak ladayi kahi jati hai. Is ladayi me kari 3 arab logo ki jane gayi thi sirf in panch desho ke log hi apne apne desho me surakshit tariko se hai baki desho ke log aaj bhi alag alag hai jamin par insano ne apni pakad majboot kar rakhi hai samundar me bhi kai khatarnak janwaro ne apna kabja jamaya huya hai.
2020 se 2028 tak ye 8 sal ka samay itihas me nirwana period ke name se jana jata hai.
Abhimanyu sas lete huye wapas sofa par baith gya aur tabhi pure ghar me ghadi ke ghante bajane ki awaj gunj gyi aur unhe panch bar bajne se unhe malum chala ki sham ke panch baj gye hai.

-Nirwana period bhai sach batao to mujhe aaj bhi yakin nhi hota ki hamari ye duniya nirwana period se pahle kaisi thi kul mila kar 200 desh the aur kitne sare log rahe honge na takriban 7 arab kuchh desh to kuchh desh to jyada khatre me rahe honge sirf ek janwar pure desh ko khatam kar deta tha ha isiliye is puri duniya me 5 desh aur 23 sahar rah gye hai

Yash ne achambhe se hami bharte huye kaha puri duniya bas 5 desh the china india America Europe aur rasiya sauth Africa aur America ko mila kar 23 sahar banaye gye. Bharta me is samay 6 bade sahar hai Abhimanyu ka ghar yogeshwari west me hai jo india ke 6 sahro me se ek mumbai ke aath ilako me se ek hai pure mumbai ke population 2 crore hai jisme yogeshwari ke population hi karib 10 lakh hai.

-Kitna waqt bit gya waqt 2056 chal raha hai nirwana period ke bite 30 sal ke aas pass ho gye hai aur aaj ke samay sabhi ko drona me traning lena jaruri ho gya hai ab ham 30 sal pahle ki tarah kamjor nhi rah gye ab ham pahle se jyada takatwar ho gye hai... Hai na.

Yash ne ghadi ke taraf dekhte huye kaha jisme Abhimanyu ne bas sar hila kar hami bhari.

-Wakayi me pichle 30 salo me bahut sare yodhao ne janam liya hai aur sath hi sath hamari taknik me bhi bahut taraki huyi hai aur ye bhi sach hai ki pichle 30 salo me kai khatarnak janwaro ne bhi janam liya hai.

Dono bhai bat kar hi rahe the ki darwaja khula aur ek adher umra ka joda ghar ke andar aaya darwaje se andar aane adami ki shirt pasine se bhigi huyi thi aur uske paint par kuchh dag bhi the unke chehre se saf pata chal raha tha ki wo bahut hi jyada thake huye hai. Unke sath aayi mahila jo unke kad kathi me chhoti thi wo hath me tokari liye huyi thi jisme sabji aur matan tha.

-Dad mom

Abhimanyu apne jagah se uth khada huya ghar me aane wala ye joda Abhimanyu ke mata pita the

-Are Abhimanyu padho padho mere liye pareshan mat ho beta

Mr. Khurana ne haste huye kaha unhe pata tha ki unke bete ka exam najdik hai isiliye uski padhayi unke liye sabse jyada jaruri tha. Mr. Khurana ne dekha ki side me ek pani ke botal pahle se hi bhari huyi rakhi thi aur unhe ye pata tha ki Abhimanyu hi roj unke liye pani bhar ke rakhta hai. Isiliye wo jab pani se bhare huye botal dekhte unhe bahut khushi hoti thi pure din ke kam karne ke bad wo ghar aake sabse pahle us botal ke pani ek hi sans me puri pi jate hai jisse unhe thodi Rahat milti hai.

-Are aap jaldi se Jake naha lo apki kapde se pasine ki badbu aa tahi hai

Mrs Khurana ne haste huye apne pati se kaha jise sun kar mr Khurana bahut jor se hase aur turant nahane ke liye us ghar ke chhote se hise me chale gye jise wo log salo se bathroom kahte hai.

-Abhimanyu Yash aaj tumahari mom tumlogo ke liye roasted matan banayegi

Mrs Khurana ne kitchen me jate huye boli jise sun kar Yash bahut khus ho gya aur use khus dekh kar Abhimanyu bhi khus ho gya. Jaise hi abhimanyu ne spnr maa ko apron pahan kar khana banate huye dekha to wo samajh gaya ki roj ki tarah aaj bhi uski maa sam me kam hone ke bad sati kharidari karke aayi hai kyuki Sam me sabjiyo ke dam subah ke mukabale saste hote hai. Halaki Sam me subah ki tarah taze sabji nhi milti par phir bhi wo log isi me gujara kar lete hai Abhimanyu ke najar phir bathroom ke taraf padi usne socha mujhe jald se jald yodha ke upadhi leni hi hogi taki mom ko Sam me bajar karne jana na pade aur dad ko itna kam bhi nhi karna pade. Abhimanyu ka ek hi sapna tha apne maa bap ko ek achhi jindagi dena jaha unhe jyada kam nhi karna pade

-Abhimanyu mujhe tumse kuchh bat karni hai

Mr Khurana nahane ke bad Abhimanyu se bole

-Jee dad

Abhimanyu apne bap ke taraf dekhte huye bola

-Dekho beta waise to aaj tak maine tumse kuchh bhi nhi puchha ki high school ke bad aage tumhara kya plan hai aur mai ye janna chahta hu ki aage ke liye tumhara kya plan hai


Mr Khurana aam taur par in sab chijo ke bare me Abhimanyu se koi bhi bat nhi karte the kyoki wo nahi chahte the ki Abhimanyu kisi bhi tarah ke koi dabav me aaye. Kyuki wo jante the ki unka beta kitni mehnat karta hai mr Khurana ke bat su kar kitchen me khana bana rahi mrs khurana ka bhi dhyan bap beto ke bato par chali gyi akhir dono maa bapo ko apne bete ki chinta thi.

-Dad mai soch raha tha ki jaise mere abhi ke marks hai us hisab se mujhe mumbai ke no.1 military Academy me admission mil jayega aur ab to mere pass drona ke shrest upadhi bhi hai to waha par mujhe ek officer ki tarah hi traning di jayegi aur is tarah se aap dono ko bhi ek ghar mil jayega

Abhimanyu ko pata tha ki agar waha uska admission ho jayega to use shrest upadhi ke wajah se use officer ki tarah hi traning di jayegi aur bakiyo ki tarah uske pariwar ko bhi ek ghar milega jo is chhote se kiraye ke ghar se lakh guna achha hoga.

-Aur agar kisi wajah se tumhara admission nhi huya to abhimanyu ham nhi chahte hai tum khud par itna dabav dalo mumbai me do bade military academy hai agar kisi bhi tarah pahli wali me nahi ho pata hai to tum dusri me bhi ja sakte ho usme koi burayi nahi hai

Abhimanyu samajh raha tha jo uske pita usse kahna chah rahe the aur use bhi ye pata tha ki pahli academy ke liye use avarage se 50 points jyada chahiye honge par dusre ke liye bas avarage point hi kafi hai

-agar mujhe dusre me bhi hota hai to shrest hone ke chalte waha bhi mujhe officer ki hi traning milegi
Koi khas antar nahi hai

Abhimanyu haste huye bola

-Ha agar tumhare andar itna confidence hai to ye achhi bat hai lekin Abhimanyu mai phir se yahi kah rha hu ki khud pe kisi tarah ka koi dabav nahi dalo mujhe aur tumhare mom ko bas ek sukun bhari jindagi chahiye aur kuchh nahi

Mr Khurana ne Abhimanyu ko samjhate huye kaha kyoki wo jante the ki Abhimanyu apne upar kitna dabav dal rha hai

-Bilkul nhi dad mai apne upar koi bhi dabav nhi dal rha hu wo to mai jawan hu isliye mere andar thoda sa takat aur prerna jyada hai

Abhimanyu ne apne pita ko Bishwas dilate huye kaha par uske man me ek hi khyal chal raha tha aur wo ye thanki jab wo exam ke bad yodha ki upadhi mil jayegi tab wo apne ghar walo ko ek achhi jindagi dega.

-Jaldi se sab table pe aa jao khana lag gya thai

Mrs Khurana ne sabko bulate huye kaha aur sab apne apne jagah se uth kar table ke tarf chal diye

-Khusbu to bahut aa rha hai

Abhimanyu ne table lagate huye apni maa se kaha

-Mera favourite rosted matan

Yash ne khusi se chilate huye kaha aur apne wheelchair table ke taraf le aaya char logo ka wo chhota sa pariwar maje se apna samay bita rha tha
Behad khubsurati ke sath Ankit kiya hai aapne ek bete ka Apne pariwar ke prati jimmedariyo or unke MA pita ka apne baccho ke prati pyar or care... Superb update sandar jabarjast
 
  • Like
Reactions: mashish
Top