• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Zaroori To Nahi...

Kya Aplog Story me Romantic/ Kisi bhi tarah ka Sex Scene padhna chahenge jo storyline ko strong kare

  • Haan, kaisa bhi chalega

    Votes: 8 38.1%
  • Haan but sirf Romantic

    Votes: 10 47.6%
  • No, Bilkul nahi

    Votes: 3 14.3%

  • Total voters
    21
Status
Not open for further replies.

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
Last edited:

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
toh yeh kahani love traiangle, churangle wala lag raha hain... sala har love triangle mein yeh ladkiya hi beech mein kahe hoti hain laundu pe bhi toh kabhi taras khao... writer logan... personally I hate this ankhio se goli maare.. . launda fasa ke rakhne waali story lekin I am with dhis story cause i have a feeling kabeer kee smriti wapas aa jayegi....

tharkee Aaditya ke pechhe chhatu:kma: DGP lage hue hain... sala IPS kab se kisi ke bodyguard banne lage wo bhi lagatar 7 dino se.. sala netao tak ko yeh facility na milti hain lekin ek officer ko itna upper hand kyun... kya bas ek neta ke influence ke wajah se... baat kuchh jamee na... :dazed:
sala IPS hain iski koi value hee na,, constable tak aise bula raha hain jaise koi paindu ho,, wo toh waise yeh hain hee... phir bhi....

wasie aisa kaun sa paap kiya tha re paindu tune mujhe bhi toh bata... yeh iska sala anubhav ne toh dil hi for diya.... :hammer:..... ab ghar jaa ke sharab pee ke flashback sunana wo uska hasna aur daant mein aalu palak dikhna... shab yaad aayega...

Maine ye sab Sanju ke comment ke reply me likha hai... Wahan ke comment se padh lena... Bas itna kahungi ki update 2 me jo team ki baat sanjeev ne Kabir ko batayi thi ye sab usi silsile me kiya gaya tha :sweat:
 

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
Keeping every aspect in mind, you are advancing the story. Along with romance, thrill and suspense also have a unique confluence in story .
Maybe the screen will slowly be removed from some mystery. And the real appearance of some characters are also coming out.
Many new characters are also being seen. Those people are also playing their role properly with every aspect of the story.
Keep writing like this and keep us entertained.
Brilliant story line with awesome writing skills :yourock: :yourock:
Thank you dear for appreciating... You are really very supportive... You readers are the only motivation for me and you are a huge part of it...

Really greatful of your kind words and liking the story ... Hope you will fing it more entertaining in the further times :love:
 

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
haan iss smriti pe bhi thori masoomiyat thoir dikhao... udhar goli kha ke so rahi hain aur idhar launde uske liye bhire hue hain...

Ye har ladki ka sapna hai... Wo sleeping beauty bani rahe... Aur ladke uske nam pe lar mare... Mai to bas wahi sapna poora kar rahi hoon... Ap gusse me french fry na bano... Kal parso tak utha dungi ok? :dancing:

:evillaugh:

yeh nainsaafi kyun smriti ke saath...

Smriti ka bimar hona... Uske apne liye nahi... Kabir ke liye nainsafi hai 💔
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
8,705
35,194
219
Shayad mai galat ho sakti hoon ... Par ap wahi kamdev hai na... Jinki comments english section me behad famous hai?
English section me kuchh stories hi padhi hain yahan....

English stories 2 other forums par padhta hu...

Haan!
ek English story bhi post ki hai meine...

Vaise sabhi forums aur social media par same id hai meri....
 

Adam WarlocK

Things just got out of Hand.....
Prime
755
370
64
Update 6


Mai apne Apartment me ghuste hi kitchen ki taraf badh gaya... Cabinet khola daru ki bottle nikali... Use kuch der ghurta raha.. ek toota sa adhmara wada yaad ane laga...

Maine sochna band kiya aur bottle se hi tab tak daru pita raha jab tak mujhe seene me jalan nahi hone lagi... Mai sofe par baith gaya... Kayi saalon baad kayi zakhm taaza ho gaye the...

Itna bura to mujhe tab bhi nahi laga tha jab 7 din pehle maine duty join ki... Balki mai hairan tha ki Smriti ke aas pass hone ke bawajood to dard jo mujhe hamesha apne dil me mehsoos hoti hai... Wo thoda kam sa hone laga tha... Mai khush? Haan shayad khush tha...

Mai kamre me gaya... Almari ke ek drawer se wo chota sa box nikala jo Smriti ka tha... Aur mere pass hi reh gaya... Maine bohot koshish ki ise fenk du... Age badh jaun... Par nahi kar paya... Box me ek lifafe me band kuch tasweerein thi... Maine us lifafe ko khola to wo zamana ankhon se rubaroo ho gaya jise mai piche chhod aya tha... Us lifafe me meri aur Smriti ki pehli tasweer thi... Is din ki jab mai usse pehli baar mila tha...

Mai us waqt Delhi University me Mechanical engineering ka chhatra tha... Meri zindegi waesi hi thi jaisi har engineering chhatra ki hoti hai... Books mujhe tabhi yaad ate jab exam pass ane lagte the... 12wi ke baad ghar se chhut mili to mai Delhi aa gaya... Aur Delhi ate hi mujhe har wo adat lag gayi jo maa baap lagne nahi dena chahte...

Daru, nashe dosti yaari... Meri acchi kat rahi thi... Zindegi ne mauka diya jeene ka aur mai jee raha tha... Nauki... Wo to koi na koi mil hi jayegi... Thodi si padhai se bohot sare number lane wala bewakoof tha mai...

Par us din... Jis din ki ye photo hai... Wo din meri zindegi ka ek yaadgar din ban kar reh gaya...

College me mere ek senior hua karte the... Shekhar bhai... Wo mere pass wale gaon ke the aur mujhe bigadta dekh ek din unhone zabardasti mera nam ek social work ke liye volunteers ki group me likha diya... Mai unhe naa nahi kar paya...

Kaam ye tha ki Delhi ke bahar kisi rural area me jake waha kuch khana aur dawaiyan baatni thi... Wahan ke rural health center me kuch madad karni thi... Thalasamia awareness ka kaam bhi tha...

Maine socha chalo thim hai... Bhaiya ke liye ek Sunday kharab kar hi leta hoon...

Maine Smriti ko pehli baar usi din gaon me dekha tha... Wo ek 30 35 saal ki aurat ko bohot der se kuch samjha rahi thi... Mai survey wale group me bohot der se sabke piche khada tha... Mechanical me hone ki wajah se ladkiyon ke mamle me mera hath thoda taang tha...

Uski pith meri taraf thi... Uske gehre bhure baal uski kamar ko paar kar janghon tak aa rahe the... Upar se niche tak uske ghungrale baal itne akarshak lag rahe the... Maine dekha to dekhta hi reh gaya...

Kafi der samjhane ke baad wo mata ji ko lekar health center ki taraf jane lagi... Maine dekha unke pair me ek bada sa ghav tha jisme sadan hone lagi thi...

Jab wo health center se bahar ayi uske chehre ki khushi dekhne layak thi... Uska gol chehra khushi se chamak raha tha... Use lambi baaliyon ke prati hamehsa se hi ek lagav tha... Usdin diamond ki to nahi par ek chamkali baali usne usdin bhi pehni thi...

Mai kafi der se use ghur raha tha... Shayad ab usne bhi ye notice kiya... Ladkiyon ki ye baat badi ajeeb hai... Unke prati kiski kya mansha hai... Wo ek nazar me bata deti hai...

Ekbaar to usne mujhe ghurte huye pakad liya... Maine nazre ghuma li par pata to use bhi chal gaya tha... Wo mere baare me kuch apni saheli se kehne lagi... Uski saheli meri taraf dekh kar khil khila kar has rahi thi... Mai sharam se laal peela hone laga... "Shakht launda" banne ki maine bohot koshish ki par man nahi mana...

Agle sunday mai fir Shekhar bhaiya ke pass pohoch gaya volunteer banne... Silsila aese hi gae badhta raha... Mai use dekhta... To dekhta hi rehta...


Is dauran mujhe ek baat pata chali... Kisiki madad karna itna asan kaam nahi... Humara diya khane ka saman lene walon ko baad me taane milte the... Khai hum ilaj ki, siksha ki baat aurton ko samjhane lage is dar se har sunday ghar ke mard bahar nahi jate... Kuch gine chune log the jo khushi khushi humara sahyog karte... Yahan tak panch pradhan bhi beman se humari madad karta...

Baat asal me ye thi ki hum unki madad karte the... Jab ki ye sab haq tha unka... Aur madad dene wala chahe kitna bhi mahan kehlaye... Lene wala hamesha chhota hi ban jata hai...

Par in sab ke bawajood Smriti ka in sab kaamo me utsah dekhne layak tha... Ek sadharan volunteer se wo dhere dhere kab female section ki head ban gayi... Pata hi nahi chala... Log uske mooh par na bol dete usse dur bhagte... Par fir bhi wo samjhati... Koi bhi darwaza tab tak khat khatati jab tak log uski baat sunne ko razi na ho jaye... Mai dur se use dekhta aur uski chabi apne ankhon me bhar leta... Darte darte maine ek din use facebook par friend request bheja... Usne accept kar liya... Par mai sala fattu... Himmat hi nahi hui ki message karke baat kar sakun...

Isi dauran ek sunday humne ek natak ka ayojan kiya jo ki "beti bachao beti padhao" ki theme par adharit tha... Gaon ke kuch asamajik tatwon ne humare khilaf morcha khol diya... Ki hum gaon ki aurton ko pariwar ke khilaf bharka rahe hai...

Maine usdin pehli baar Smriti ki asli taqat ko mehsoos kiya... Wo un hamla karne walon se apne har team member ko bachane ki koshish kar rahi thi... Pata nahi itna junoon kyun tha usme ye sab karne ka... Bas tha... Wo kuch accha karna chahti thi...

"Dhadh dhadh dhadh dhadh... Are koi hai... Darwaza kholo..."

Mujhe achanak se kuch awazein ani shuru ho gayi pata nahi kahan se wo mere kano me gunjne lagi... Maine jyada dhyan nahi diya... Mere khayalon me to bas Smriti thi us waqt...

Ek badmash ne uspar lathi barsane ki koshish ki... Mai daud kar gaya aur use seene se laga liya... Pata nahi mujhme itni himmat kaha se gayi usdin... Jis ladki ke meri taraf dekhne se mere paseene chhut jate hai... Use maine bahon me bhar liya... Maine us afra tafri me pehli baar uski akhon me jhank kar dekha... Uski ghani palkon ke bich gheri bhuri ankhein... Nazar aesi ki dil ke aar paar ho jaye... Mai itna kho gaya ki pith par barasti lathi ko mehsoos hi nahi kar paya...

"Abe ruk bhagta kahan hai..."

Smriti ne khud ko meri bahon se chhuda liya aur us badmash ke piche bhagne lagi... Use piche se pakad kar zor zor se ghuse barsa rahi thi... Mujhe pata nahi kyun itni hasi aayi...

"Di dekho... Lagta hai darwaza khula hai..."

Pata nahi kahan se kuch log darwaze ke baare me mujhe baat karte huye sunai de rahe the...

Mai age badha aur bina kuch bole Smriti ka hath pakad kar use bus ki taraf le jane laga...

"Chhodo ... Chhodo mujhe... Maar dalungi mai inko"

Wo jungli billi ki tarah gurrah rahi thi... Maine apna poora zor lagaya aur uske khinch kar le gaya... Tab tak bus me lagbhag sabhi log baith gaye the...

"Bus bhagao..." Shekhar bhaiya ne driver se kaha...

Mai aur Smriti dono buri tarah hanf rahe the... Par dekhne wali baat ye thi ki Smriti ka hath ab bhi meri haathon me tha...

"Di... Kahi ye... Mar to nahi gaya?"

"Dawling... Mare huye log muskurate nahi... Dekh kaise neend me muskura raha hai...

Aye mister... Tum Kabir ho kya... Sala talli hokar pada hai... Suman... Ja jakar paani lekar aa kitchen se... Abhi layi di..."

Mai Smriti ki taraf dekh raha tha tabhi achanak se mere upar kisine thanda paani daal diya... Mai chaunk kar utha aur uth te hi pet aur seene me ajeeb sa hone laga... Maine floor par ulti kar di...

"Fuck dude... Are you out of your mind!!!"

Kisi ladki ne chhidhte huye kaha... Maine dekha mere ghar me do ladkiyan mere sir par khadi thi... Ek ko to mai janta tha... Suman... Dusri ladki kaale suit boot me mujhe nafrat bhari nazron se dekh rahi thi... Kyunki meri ulti se thodi der pehle uske joote kharab ho gaye the!!!

So, kabir has turned himself to the last resort, alcohol. Which gives temperary releif from permanent pain.

And kabir in the painful Situation, tends to remember the good old college, full of life memories. That is life.

I think, some good news will come knocking on kabirs door, Either in terms of fate or in terms of necessity.
Great playful update, loved the ending on the funny note. Awesome skills.


Waiting for more updates, keep going
 

Adam WarlocK

Things just got out of Hand.....
Prime
755
370
64
Can't help it Adam... Kabir, as a protagonist of this story has to bear the burden of these kind of harsh and brutal situations... This helps in character building in my opinion...

Your guess about Aditya is making me worried :D you are guessing too much and too correctly and too soon :D

Thank you for linking the story dear... Hope you will like it further 🤝

Yeah, i also love how you write character's persona. Can't help it, as a reader i also dive in in the story with you.

I am loving your updates. Can't wait for more updates
 
Last edited:
Status
Not open for further replies.
Top