• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Zaroori To Nahi...

Kya Aplog Story me Romantic/ Kisi bhi tarah ka Sex Scene padhna chahenge jo storyline ko strong kare

  • Haan, kaisa bhi chalega

    Votes: 8 38.1%
  • Haan but sirf Romantic

    Votes: 10 47.6%
  • No, Bilkul nahi

    Votes: 3 14.3%

  • Total voters
    21
Status
Not open for further replies.

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
Last edited:

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
कबीर की कुछ सोच और कुछ फ्लैश बैक से पास्ट की कुछ घटनाओं के बारे में पता चला । मैकेनिकल इंजीनियरिंग के दौरान कुछ बुरी आदतें लग गई थी और इन सबों से तौबा दिलाने के लिए उसके सिनियर शेखर ने उसे एक सोशल वर्क में पार्टिसिपेट करने को कहा
उसी दौरान पहली बार स्मृति से मुलाकात हुई और उसकी सुंदरता से प्रभावित होकर पहली नजर में ही अट्रैक्शन हुआ । इसके बाद उसकी जरूरतमंदों की मदद करने की भावना से वो प्रभावित भी हो गया ।
वो अपने ख्यालों में इतना अधिक खो गया था कि उसे पता ही नहीं चला कि कब से उसके दरवाजे पर कोई दस्तक दे रहा है और उसे पुकार रहा है ।
बहुत ही बढ़िया अपडेट था ये । लेकिन आप से एक गुजारिश करता हूं कि जब-जब फ्लैश बैक आए तब पैराग्राफ में तीन चार लाइन का गैपिंग कर देना ।
वर्तमान में चल रही घटनाओं में ऐसा जरूरी नहीं है लेकिन जब दोनों साथ-साथ चल रहे हो तो फ्लैश बैक को उसके तीन चार लाइन बाद के गैप से लिखने में रीडर्स को समझने में सहूलियत होती है ।

आज का अपडेट भी बहुत बेहतरीन था । आउटस्टैंडिंग ।
Thik hai sanju... Main dhyan rakhungi... Maine past aur present ko ek hi dhage me pirone ki koshish me dono ko aese likhne ki koshish ki... Par thoda confusing ho gaya shayad ::cold: mai age se dhyan me rakhungi :😊

Update pasand karne ka shukriya 🤝
 

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
पाँचवाँ भाग

जबरदस्त कहानी यार।।

ये सब नेता साले एक जैसे होते हैं खुद तो कुछ करते नहीं और कोई करता भी है और उससे थोड़ी गलती हो जाती है तो उसे बर्खास्त करवा देते हैं।। कबीर की गिरफ्तारी के 24 घण्टे बाद उसे डीएसपी ने नेता आदित्य के कहने पर बर्खास्त कर दिया। इतना तो कबीर भी समझ गया कि ये सब आदित्य के कहने पर ही हुआ है। आदित्य के साथ अमित और शोएब को भी बर्खास्त किया गया।।अब तो बस स्मृति ही इन तीनों को बचा सकती है, लेकिन वो खुश ही भगवान के रहमों करम पर है।।

स्मृति कबीर का पुराना प्यार थी। किसी कारणवश या किसी मजबूरीवश आदित्य ने स्मृति से अलगाव कर लिया। इस अलगाव के बाद दोनों ने दर्द सहा। अभिनव शायद स्मृति का भाई है। जिसने आदित्य को उसकी गलती का एहसास करवाया। लेकिन अब बहुत देर हो चुकी है शायद।।

देखते हैं कहानी अब कौन सा मोड़ लेती है

Ap ye wala update padhte waqt shayad Aditya aur kabir me confuse ho gaye :D

Update pasand karne ka shukriya Mahi ☺️
 

aalu

Well-Known Member
3,073
13,048
143
Prada ke joote bechari kaise pehnegi... usse bula aur bol kee chat ke saaf kare.... kutte ko hajam na hoti hain toh peeta kyun hain... suman ka muh batak jaisa hain... lol... :hehe: ... Waise Sasha! mam yeh adrishya makri wala concept badhiya hain iska muh janwar jaisa suman ka batak jaisa inko dekh ke iss prada waali pe adrishya makri chadh gayee... pura chidiyaghar aa gaya hain iske ghar ke andar.... toh ticket kab se chaalu karwa rahe hain...:D.... yeh prada waali didi sanatizer le ke chalti hain corona ka trend udhar bhi chal nikla kya...

sugandha mishra(malhotra) idhar bhi aa gayee choti waali didi kapil sharma show se isse kitne mein uthaya hain... :D... bilkul ussi ke tarah bakwas kar rahi hain... galti se chhenk na dena re kabir babu na toh sanatizer se naak ke andar tak ka bacteria ko maar girayegi..:crazy2:. jo bechare ne bari mehnat se sambhal ke rakhha hain...:D... iske andar ghamand mixer mein pish pish kar bhar diya hain kisi ne....
Par mujhe uski chal dhal se wo lawyer kam aur heroine jyada lag rahi thi... bola tha na maine iska thobra kidhar sunghela hain....

ab bhai itra toh lagayegi hi na... ab haath uthane pe baglo se jo khusboo aati thee wo pehle judge tak ko behosh kar deti thee isiliye ab lagana shuru kiya hain... waise yeh chhapan chhuri hain bare kaam kee mujhe toh laga bas make touchup hee hain.... toh dcp ke saath isne mms bhi banwaya hua hain... are khud ka nahin kisi aur ka...

laundiya chalak hain... packet ka raaz puchhne ke liye batak muh waali suman ko bahar bhej diya... are usse kahe bhej diya wo apne chonch mein packet daba ke rakh leti kisi ko pata bhi na chalta...

waise yeh pendu ne packet ko detain hone se pehle sambhal ke rakh jaroor diya tha... mujhe toh lagta hain bina political support ke koi itni bari racket na chala shakta hain.... aur jab andar tak log bhare hue hain do not trust anyone kehne ka toh yahee matlab hain... toh phir iss aaditya pe bhi mujhe shaq ho raha hain.... najdeek rah ke jyada bara hamla karna.... aur phir aise suicidal mission karne ka kya matlab kya smriti itni bewakoof thee jab itni bari party mein golibaari hogi toh commotion na hoga koi police ko inofrm na karega... aur ek reason silencers ke istemal ko de shor na hone ke liye... toh phir police turant kaise pahunch gayee in between the battle... akhir uss tak khabar kisne pahnchayee.... jab shor na ho raha tha toh.... I need answers Sasha! aise kaise clue chhor shakte ho aap... suspense tut shakta hain...

aur kya iska cousin avinash bhi uss secret team ka hisaa hain... aur kabir ne uss sughandha mishra ko packet ke baare mein kyun bataya how is she trustworthy... he just met her...
 

Adam WarlocK

Things just got out of Hand.....
Prime
755
370
64
Update 7


"Bloody Moron!!! Mere Prada ke joote... Huh! Idiot... Oh my god ab mai inhe kaise pehnungi..."

Wo ladki jo Suman ke sath ayi hai wo washroom me apne joote saaf karte huye mujhe jee bhar ke khari khoti suna rahi thi...

Ek to sir itni buri tarah dard kar raha tha upar se ye ladki kachar kachar... Kachar kachar kare jaa rahi thi... Suman jo mere samne wali sofe par baithi hui thi... Mujhe batak jaisa mooh bana kar dekh rahi thi... Jaise mai koi insaan nahi... Zoo ka janwar hoon...

"Huh!! I can't take it anymore... Oh my god!!"

Wo ladki washroom se nikal kar apne hath paon hilakar aesi nautanki karne lagi... Mujhe laga uspar koi adrisha makri ne hamla kar diya hai...

"Aye Mister... Koi bhi baat karne se pehle... I need tissues... Suman sanitizer ka bottle nikal ASAP... Oh gwad I cant take it anymore..."

Usme mujhe raub jharte huye kaha... Maine use kitchen ki taraf ishara karte huye tissue box dikha diya... Par itni nautanki se ab mera dimag kharab ho chuka tha...

"Oh madam... Apni bakwas band karo aur ye batao tum ho kaun..."

Wo ladki tissue se apne hath poch rahi thi... Meri baat sunkar wo aese chauki jaise pata nahi usne koi bhut dekh liya ho...

"Huh! Oh my gwad... Dawling... Tum... Mujhe nahi jante??"

Mai abhi bhi uski taraf utni hi narazgi se dekh raha tha jitna thodi der pehle...

"No doubt tum is shahar me naye aye ho... Warna is shahar ka har policewala... Ya to mujhse darta hai... Ya to mere liye kaam karta hai...

Let me introduce myself... Myself... Sugandha Malhotra... Malhotra Law firm ki malkin... Aur tumhari nayi lawyer..."

Mai samajh nahi pata raha tha ki kaise react karu... Lawyer... Sugandha... Haan Sanjeev ji ne kisi Sugandha ka zikr kiya to tha... Aur mujhe is waqt lawyer ki sakht zaroorat bhi thi... Maine apne chehre se narazgi ke bhav hataye aur use sofe par baithne ka ishara kiya...

Par mujhe uski chal dhal se wo lawyer kam aur heroine jyada lag rahi thi... Dikhne me sundar thi... Straight baal... Lamba kaad... Aur aur lambe heels... Wo ek fool patti ki design wali top aur formal pants me thi... Aur jo baat uske aju baju se guzarne wale har admi ko pareshan kar de wo thi uski perfune ki khushbu... Aesa lag raha tha ki usne bhool se poori bottle hi apne upar gira li ho... Aese hi mere sir me dard tha upar se ye tez gandh mujhe aur jyada pareshan kar rahi thi...

"So... Let me tell you... Kal subah tumhari Court me peshi hogi... Um you know na special court and all... Tum par show cause notice lagaya gaya hai... Jiska matlab tumhe batana hoga ki us raat jab Smriti par hamla hua... Tum kyun gayab the...

But don't you worry dear... When Sugandha is here no fear..."

Usne apne baalon ko jhatakte huye apni hi tarif ke pool bandh diye...

"Par tum meri madad kyun karna chahti ho?"

Mera sawal sunkar Sugandha apna sir dono taraf hilane lagi... Jaise maine koi bohot galat baat keh di ho...

"Dekho boss... Sanjeev uncle ne mujhe bataya... Kaise tumne Shoiab ko bachaya... Tumhara aur Smriti ka mamla bhi mujhe maloom hai... Is hisab se tum meri family huye yaar..."

Sugandha ne meri pith jor jor se thap thapate huye kaha... Mai abhi bhi hairan nazron se use dekh raha tha... Aur Suman abhi bhi batak jaise mooh bana kar mujhe dekh rahi thi...

"DCP mujhe kabhi is case ke dal dal se nahi nikalne dega"

Maine dheme awaz me kaha...

"Are uski tension tum mat lo dawling... Ye dekho... Uski MMS... Ek farm house par banwayi thi... Socha tha kisi bade mauke par use karungi... Bas aj wo mauka aa gaya..."

Sugandhe ne mujhe laptop diya... Mai video ka thumbnail dekh kar hi samajh gaya ki uske pass blackmailing ka sara saman ready hai...

"Ab ye mat samajh lena ki ye MMS uski aur uski biwi ka hai... Lallu ram"

Sugandha aur Suman zor zor se thahake laga kar hasne lage...

"Are kya hua hero... Ab to kuch bol do..."

"Kya... Kya tum mujhe bata sakti ho... Ki Smriti kaisi hai?"

Mera gala bhar aya ye sawal karte huye... Aesa lag raha tha sare zasbaat mere seene se ubhar kar awaz me aa there hai... Meri baat sunkar un dono ki hasi bhi ruk gayi...

"Wo abhi bhi ICCU me hai... Ek goli uski baju me lagi hai aur ek pith par... Uske vitals stable hai... Par dawaiyon ke asar se use coma me rakha gaya hai... Uske jyada hilne dulne se nayi muscle ki tissues banne me dikkat aa sakti hai... Aur permanent damage ho sakta hai..."

Sugandha jo ab tak bohot jolly ladki lag rahi thi... Achanak kafi emotional hoti nazar ayi... Jab mai aur Smriti sath the tab Sugandha ke baare me kabhi uske mooh se suna nahi... Shayad ho sakta hai dosti baad me huyi ho... Par pata chal raha tha ki Sungandha bhi Smriti ki is halat ki wajah se kafi pareshan hai...

"Kya tum... Tum bhi... Mujhe Smriti ka kasoorwar manti ho..."

Mujhe nahi pata ki maine ye sawal kyun pucha... Par puch liya...

"Huh! Wo decide karne ka haq mujhe nahi... Wo Smriti jane... Mera farz hai tumhari help karna wo mai karungi... Kal pohoch jana 10 baje... The game will be on..."

Wo fir se apne tewar me wapas aa gayi... Apne baalon ko piche jhatka aur adha chehra dhakne wale kaale chashme laga kar kamre se jane lagi...

"Are... Tumne kuch khaya ke nahi... Suman... Jaldi jaa... Iske liye kuch le aa niche se.."

"Are nahi... Mai manage kar lunga..."

Sugandha ne mera jawab sune bina hi Suman ko kuch paise dekar niche bhej diya... Aur jab tak wo corridor se hokar seediyan na utarne lagi tab tak use dekhti rahi...

"Kabir... Where is the packet..."

Suman ke jate hi Sugandha ne mujhse pucha...

"Packet... Are yaar packet... Shit fuck!!!"

"Tumne khho diya packet... Yaar Kabir... Kya Shoiab ne tumhe bataya nahi ki wo packet sambhal kar rakhna hai... Usme Zaroori documents hai yaar!!!

Sara disaster us doctor ne kiya... Usne tumhe Shoiab samajh liya... Aur packet tumhe de diya... Shit yaar!!"

"Are tum bataogi ki ye sab kya ho raha hai? Smriti par hamla hua akhir kyun?"

"Dekho mai tumhe bas itna bata sakti hoon ki ye ek cult ka kaam hai... Wo log... Wo log insaan ko insaan nahi samjhte... Balki apne fayde ke liye human body ka har part kharid aur bechte hai...

Ye sab Smriti ko MP ki posting ke dauran pata chala... Wahan ki kuch ladkiyon ko Smriti ne bachaya tha... Uske baad hi wo Mumbai aa gayi...

Aur tab se hum is uljhe huye case ko suljhane ki koshish kar rahe hai ki is racket ka main mohra hai kaun..."

Mai Sugandha ki baat par kuch sochne laga...

"Kabir those documents are very important... Wo kaha hai... Batao mujhe..."

"Tum tension mat lo... Documents maine hi chhupa kar rakhe hai... Bas in sab afra tafri me wo mere dhyan se nikal gaya..."

"Thik hai... Tum... Ye lo mera card rakho... Call me if you need anything..."

"Di ye lo..."

Suman tab tak kuch khane ka saman le kar aa gayi thi...

"Waese tumhari fees..." Sugandha aur Suman jane lage to maine use rok kar pucha...

"Do not worry hero... Kaam hone par you will get my bill... Byee!!!"

Ye do anjan ladkiyan jinse mai ghante bhar pehle hi mila hoon... Unke apnepan ne mere dukhte dil ko thoda hi sahi par dilasa to diya... Par ab mere dimag me yehi baat ghumne lagi ki packet jaha maine rakha tha waha hoga ya nahi... Aur hoga bhi to mai kisi ki nazro me aye bina use nikal paunga ya nahi!!!

Nice opening with funny anecdotes, enjoyed the leg pulling and little drama. Sugandha's character seems a little twisted, somehow she seems to help kabir for her own benefit. She may have working under some evil boss cause that's why suman asked about letter when she left.

Suman seems to be really worried about kabir, i doubt if she has a soft corner for him. Kabir on the other hand still very concerned about her past lover smriti cause he does not care about the case and his job, his main concerned is about smriti. Can't wait to see his college love life.

ek cult ka kaam hai... Wo log.
This was a great twist in the update as cult is not included, many narratives and plots are opened in the story, totally loved this part.

Ye do anjan ladkiyan jinse mai ghante bhar pehle hi mila hoon...

after this scene Kabir seemed to have a little faith in lost track of life.


Awesome update that was, cant wait to see another update.
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
8,692
35,174
219
:congrats: dear

Vaise kahani romantic se jyada thriller lag rahi hai

Prem kahani ka flashback shuru hone se pahle hi in chudailon ne khatm kar diya

Dekhte hain abhi smriti kab hosh me ati hai aur fir kya karti hai
 
10,045
41,978
258
सुगंधा के हुस्न और गेटअप का बहुत ही उम्दा डिस्क्रिप्शन दिया है आपने । और उसकी चुलबुली बातें ! माशाअल्लाह ! अमेजिंग ।

एक बहुत ही बड़ा रैकेट है जो मनुष्यों के अंगों की तस्करी करता है । ये लोग मरे हुए लोगों की ही नहीं बल्कि जीवित लोगों के भी शरीर से उसके अंगों को निकलकर बेच देते हैं । इसके पीछे कौन कौन लोग हैं , इनका बाॅस कौन है , यही सब जानने के लिए स्मृति मध्यप्रदेश से मुम्बई अपना पोस्टिंग करवाई है ।

स्मृति का कबीर को अपने ग्रुप में शामिल करना ही बता रहा है कि वो अभी भी कबीर पर भरोसा करती है । अब देखना है कबीर उसके विश्वास पर कितना खरा उतरता है !

बहुत ही बेहतरीन अपडेट एल एम मैडम ।
 

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
Update 8



Sungandha aur Suman ke jaate hi maine apne kapde badle... Mujhse khud se hi itni ajeeb badboo aa rahi thi ke mai khud usse bimar pad jaun... Par apni Axe ki bottle hai na... Sab sambhal legi...

Mai khud ko positive rakhne ke liye na jane kya kya soch raha tha... Par dil-o-dimaag me bas Smriti ki fikr chayi hui thi... Man bar bar keh raha tha ki hospital jaa hi raha hoon to use bhi ek jhalak dekh aaun...

Mai yehi sab sochte sochte flat se niche aya aur apni bike start ki aur uske sath hi barish shuru ho gayi... Mera mood bigada huya hi tha aur bigad gaya... Mai hospital ki taraf badh gaya...

Barish ki boondein tirchi hokar mere badan me chhubhne lagi... Aur sath hi kuch yaadon par jami dhul ko saaf karne lagi... Aur sath hi ek gana jo mujhe behad pasand tha... Mere dimaag me replay hone laga

"Ye Yeh mausam ki baarish, Yeh baarish ka paani
Yeh paani ki boondein, Tujhe hi toh dhoondhe"






"Are Mohit bike ki chabi de..."

"Kyun be... Mai nahi deta bhag yahan se..."

"Are yaar de na..."

"Pehle bata kyun chahiye..."

Ye Mohit to zid pe hi aad gaya... Bike dene ko razi hi nahi... Are aese kalmuhe dost ho to dushmano ki kya zaroorat...

"Are samajh na bhai..."

Wo kehte hai na... Waqt ane par gadhe ko bhi baap banana padta hai... Aj meri halat bhi kuch aesi hi thi... Maine ishare se raaste ke ulti taraf wale tea stall ki taraf ishara kiya... Mohit kuch taaka jhanki ke baad samjha ki mai use kya samjhana chah raha hoon...

"Oh... To ye baat hai... Jaa... Le jaa.. tu bhi kya yaad rakhega be... Par sun... Jaldi ana samjha"

"Ek bike bas dila de pita ji... Fir bataunga is Mohit ko mai"

Man to kiya Mohit ki bike ki chhabi usiki no entry me ghusa dun lekin maine khud ko samjhaya...

"Concentrate on Paneer Kabir... Concentrate on Paneer"

Maine bike start ki aur us chai ke dukan ke samne jakar khada ho gaya aur utar kar chai ka order dene laga...

Mai pichele adhe ghante se Smriti aur uski ek don ko sath khade dekh raha tha... Kuch der pehle ek ladka aya... Aur wo ladki us ladke ke sath chali gayi... Smriti ne apni pareshani chhupa kar use bye to bola par ab use chain nahi pad raha...

Kabhi wo ghadi dekhe... Kabhi wo mobile me dekhe... Kabhi wo call kare... Mai samajh raha tha ki use ghar jana hai... Par koi sadhan nahi mil raha... August ka mahina tha... Is mahine Delhi me khub barish ho rahi thi... Aur usdin to kuch jyada hi meherban thi...

Waese to mujhe aese achanak dukan par ata dekh wo bhi samajh gayi hogi ki mai kyun aya hoon... Kyun ki barish itni ho rahi thi ki chaiwala bhi apni dukan ab band karna chahta tha...

Waese ab mera aur Smriti ka rishta us din ke baad se kafi age badh gaya tha... Pehle mai Smriti ki taraf dekhta to wo muh fer leti... Par ab thoda muskura deti hai... Haan thoda sa hi muskurati hai... Par muskurati to hai na...

"Ap... Tum... Chai nahi piyogi?"

Maine badi mushkil se alfazon ko sanjote huye kaha...

"Nahi... Mai pi chuki hoon... Bas... Meri UBER aa jaye... Niklungi..."

Bijli karki to asmaan me par giri mere dil par... Hey bhagwan... Itna accha mauka dekar bhi chhin mat lena mujhse... Kyun kabab me haddi bana kar is UBER wale ko meri jaan khane bhej rahe ho...

Thik tabhi Smriti ke phone me koi notification ki ghanti baji... Maine chor nazro se dekha booking cancel ho gayi...

"Tum... Bura na mano to... Mai chhod dun?"

Wo us waqt bohot chidhi huyi thi... Itna ki gusse me ekbaar pair bhi patak chuki thi... Maine jaan hatheli me lekar... Darte darte keh hi dali apne man ki baat... Wo mujhe kuch der ghurti rahi... Mujhe pakka lag raha tha ki ye maregi thappad... Mare to mar de... Kha lunga... Par pyar thode hi kam hoga mera...

"Wo mere bag me... Laptop hai... Bheeg jayega to kharab hone ke chances hai... Bag full waterproof nahi hai..."

Nahi maara... Are nahi maara thappad... Balki apni pareshani batayi... Mera dil aese uchla... Itna to All India Engineering Entrance Exam me 135 rank ane par bhi nahi uchla tha....

"Are tum tension kyun leti ho mai karta hoon na kuch..."

Maine chai wale bhiya se kuch plastich wrappers mange... Aur unhe 20 rupay thama diye... Smriti meri taraf hairani se dekh rahi thi...

Maine uska laptop liya aur use acche se wrap kiya... Aur bag me laptop rakhne ki jagah par andar daal diya... Wo hairani se mujhe dekhti rahi... Mai 100% sure hoon ki use bilkul biswas nahi tha ki uska laptop bach jayega... Mujhe bhi nahi tha... Par koshish karne me koi harz nahi...

"Tumhara ghar kaha hai..."

"Jyada dur nahi... Idhar se bas 10 min lagenge..."

"Thik hai... Bag ko samne ki taraf le lo aur dupatte se dhak kar baitho..."

Smriti ne usdin ek gulabi colour ki kurti aur leggings pehni hui thi... Sath me dupatta gale me lapeta tha... Maine use jitni baar bhi dekha tha wo aese hi shalin kapdon me dikhti thi... Delhi ki dusri ladkiyon se kafi alag... Is wajah se wo mujhe hamesha aur akarshak lagti thi...

Akhir kar wo pal aa hi gaya jab Smriti mere piche baith gayi... Aur maine bike start ki... Us din bhi thik aese hi hawa ke jhokon ne baarish ki boondon ko awara kar diya... Ek baar bijli jor se karki... aur Smriti ne dono hath mere kadhon par rakh diye... Mera dil... Bas mat pucho ki kaise bhag raha tha... Wo to mai hi janta hoon ki maine usdin bike kaise sambhali... Poore raste usne mujhse koi baat nahi ki... Mai bhi chup tha... Par us barsat ke mausam me uska mujhse kuch inchon ka fasla mujhe har pal thoda aur bechain kar raha tha...

Karib 10 12 minute baad uska ghar aa gaya... Wo utar kar ghar ki chaukath kar jakar khadi ho gayi... Aj wo mujhe dekh kar thoda sa nahi... Khul kar muskurayi...

"Andar aao... Thoda wait karo... Toofan kam ho jaye to chale jana.."

Man to mera bohot tha... Par itni barish me bhi mai mehsoos kar raha tha ki jeb me mera phone lagataar baje jaa raha hai... Mai bina dekhe bhi bata sakta tha ki ye Mohit hai... Usse aur sabar nahi ho raha... Pata nahi mai kya kar raha hoon... Is chinta me uske pichwade ka tempareture is waqt 3200 ℃ ho chuka hoga...




Par wo din meri zindegi ka ek yaadgar din ban gaya... Mai jab bhi us din ko apne man me sochta... Muskurane lagta... Smriti se dur hokar bhi mai us din ko nahi bhula paya...

Barish se bheege uske chere par lipti baalon ki lat... Hothon ke gulabi rang ko ubharti barish ki boondein... Uska mere piche baithne ki wajah se saason ka tezz chalna... Aur mere kandhe par uska hath... Ab tak mai yakin se nahi keh sakta tha... Par us din ke baad ye baat pakki ho gayi ki mujhe Smriti se pyar ho gaya tha...


Mai aese hi ourani yaadon ko sochta sochta Hospital pohcha... Ab mere samne ek chunauti aa khadi thi jise mujhe niptana tha... Mera us packet ko hasil karna aj poori tarah se kismat par nirbhar karta tha... Aur meri kismat pichle 3 din se bohot buri chal rahi thi!!!
 

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
good night sweet dreams update achcha hai ye mana ki kabir se galti hui koi kabhi lekin agar wo use sudharna chahta hai to use mauka de sakte chalo jo bhi ho pahle jaan bach jaye uski
Update pasand karne ka shukriya Rahul...

Mauke to kayi milenge Kabir ko par dekhte hai ki wo unka satupyog kar pata hai ya nahi... :D

Kar lega to sab thik hai warna lutiya dub jayegi fir se... :D
 
Status
Not open for further replies.
Top