• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Zaroori To Nahi...

Kya Aplog Story me Romantic/ Kisi bhi tarah ka Sex Scene padhna chahenge jo storyline ko strong kare

  • Haan, kaisa bhi chalega

    Votes: 8 38.1%
  • Haan but sirf Romantic

    Votes: 10 47.6%
  • No, Bilkul nahi

    Votes: 3 14.3%

  • Total voters
    21
Status
Not open for further replies.

Sasha!

De Nada 💜
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,631
10,546
214
Last edited:

Rony2020

Member
136
254
78
Update 13


"Kya hum log ye sari baatein pen drive dhundte huye kar sakte hai?"

Sugandha kitchen ki taraf chali gayi aur udhar dhundne lagi...

"Is baat ko karib ab 10 din ho gaye hai..."

Anubhav deewaron par thok baja kar dekh raha tha kahin koi chhupane ki jagah to nahi...

Mai abhi bhi baitha hua tha... Aur uski baat sun raha tha... Wo apna kaam karte huye mujhse batane laga

"Smriti di ki joining Monday ko thi... Par wo Saturday ko hi aa gayi... Unke ghar me kuch furnishing baki thi to wo mere sath ruk gayi thi... Wo waese to haskar muskurakar baat kar rahi thi par unki pareshani saaf jhalak rahi thi...

Sunday ko mai ghar par hi tha... Wo kisi se phone par baat kar rahi thi... Mai sunna nahi chahta tha par sunne se khud ko rok bhi nahi paya... Wo Shoiab sir se baat kar rahi thi... Wo unse koi file unhe dene ko keh rahi thi... Wo log shayad kisi case me age nahi badh paa rahe the... Shoiab sir chahte the ki Smriti ek baar dekhe... You know fresh set of eyes..."

Maine haan me sir hilaya...

"Shaam ko Shoiab Sir khud aye... File dene... Mujhe thoda ajeeb laga... Wo kisi ke bhi hathon bhijwa dete... Par khud aye..."

Anubhav ke chehre par chinta ki lakrien saaf hone lagi thi...

"Us din raat ko 3 baje meri neend khuli... Mai pani peene kitchen me gaya to Smriti di ke kamre ka darwaza khula hua tha aur wahan se roshni aa rahi thi... Maine bahar se awaz lagayi... Par unhone koi jawab nahi diya... Mujhe laga shayad wo book padhte huye hi so gayi hai...

Maine darwaza khatkahate huye andar gaya to dekha kamre ke desk par wo sir rakh kar so rahi thi... Mai unhe uthane ke liye pass gaya to unke sir ke niche ek file thi...

Mera sara dhyan us file ne khinch liya... Us file par Ronny ki photo chipki hui thi...

Mai kuch aur dekh pata usse pehle hi Smriti di jag gayi aur mere hath se file le li..."

"Di... Kya ap is admi ko janti ho?? Please di mujhe batao apko iske baare me kya pata hai... Bloody bastard..."

Di ne mere chehre par Ronny ke prati nafrat ko acche se bhanp liya...

"Bata sakti hoon... Agar tum mujhe batao ki tumhara Ronny se kya panga hai..."

Unhone mujhse pucha...

"I hate this bastard di... Am sorry mujhe apke samne gali nahi deni chahiye... Par jab bhi mai is admi ko dekhta hoon mera khoon khaul uth ta hai...

Is shahar ke two third hisse me Ronny drug supply karta hai... Mumbai ka posh ilaka... Jahan daru ganja aur cigarette se jyada heroine ka nasha common hai...

Maine jab se join kiya hai Ronny ke drug ke overdose ki wajah se maine 9 mauth hote huye dekhi hai... Overdose... Har baar over dose...

College ke first year ki ladkiya... Housewives... Young ladke... Koi bacha nahi usse... Wo jan bujh kar unhe pehle asani se drug provide karta aur fir price badha deta... Kitni ladkiyon ne apni marzi se se aese kaam kiye hai jo koi sapne me me soch nahi sakta...

I fucking hate this bastard... Mujhe mil jaye mai iska gala daba kar maar dalunga..."

Mujhe ye sab batate huye bhi Anubhav ki ankhein gusse se laal ho rahi thi jaise ki wo abhi bhi un palon ko jee raha hai...

"Kya Smriti ne tumhe bataya ki use Ronny kyun chahiye tha? Kya drugs ki wajah se??"


"Nahi..."

Anubhav ka gussa achanak thanda par gaya... Aur uske chehre par chinta ki lakirein khinch gayi...

"Wo kisi aur mamle me Ronny ko track kar rahi thi... Mujhe nahi pata par Smriti di kyun mujhe sari baatein nahi batana chahti thi... Maine unse kayi baar kaha ki ap in sab me involve mat ho... Mai Shoiab sir sambhal lenge...

Par nahi... Kahi na kahi mujhe lagta hai ye mamla unse personally jura hua hai... Maine Sugandha se poocha... Par isne bhi kuch nahi bataya... Mujhe pata hai Sugandha ko mujhse is mamle me jyada pata hai par......"

"Aye mister..."

Sugandha gusse me Anubhav ki taraf age badhi... Lag raha tha wo apne nukile nakhuno se uska mooh noch legi...

"Are are Anubhav... Isme Sugandha ya tumhari koi galti nahi..."

Mai dono ke bich me aa gaya aur Sugandha ke kandhon ko aram se pakad kar use chair par bitha diya...

"Ye kaam Smriti ka hi hoga... Usne jin jin logon se ye mamla sanjha kiya hai... Kisiko bhi poori baat nahi batayi...

Isse yehi lagta hai ki is mamle se jo bhi jurega wo koi bhi safe nahi chahe ho kitne hi bare pad pe kyun na baitha ho...

Anubhav... "Information is the key" Smriti nahi chahti ki kisi ek ke pakre ya torture kare jane par wo sab kuch bata de... Specially civilians... Jaise Sanjeev ji ya Suman...

Wo chahti hai ki is mamle ki ek kadi humasha chupi rahe... Hamesha koi aesa surag salamat rahe jo is case ko anjam tak pohcha de...

Isliye tum sab ke pas is band darwaze ki ek ek chhabi hai... Aur hum sab... Sab kuch na jane... Wahi behtar hai...

So please... Es mamle me ek dusre ki madad karo aur kripa karke lado mat..."

Pata nahi kaise par dono ne meri baat man li... Aur shant baithe rahe...

"Tumhe kuch to bataya hoga Ronny ke mamle me... Anubhav any clue..."

"Haan thoda bohot... Jaise Ronny ek chemist hai... Dawaiyon ka bohot knowledge hai use... Wo drugs ki mising me mahi hai..."

"Par tum logo ka plan kya tha... Akhir kyun bheja tumne Smriti ko us party me?"

Anubhav kuch der tak chhup baitha raha... Mai janta hoon ki is waqt wo khud ko man hi man kos raha hai...

"Ronny... Personally kuch gine chune logon ko hi drugs supply karta tha... Koi high profile client ho to khud usse milta tha...

Smriti di ne kuch contacts ki madad se apni ek dohri pehchan banayi... Ronny tak ye khabar pohonch gayi ke wo usse Drugs kharidna chahti hai... Parties me Smriti di ne Ronny se dosti ki... Use yakin dilaya ki wo addict hai..."

Mujhe yaad aa raha tha kaise har party me Smriti kuch der ke liye gayab ho jati... Aur jab uske baad mai use dekhta to wo bohot thaki hui nazar ati... Shayad apne kehe huye jhooton ke bhoj tale dab rahi thi...

"Kya... Usne... Drug..."

Mai janta tha ki Smriti ne nahi liya hogar fir bhi mai Anubhav ki zabani sunna chahta tha...

"Nahi... Par shayad lena parta agar usdin room me Ronny maujood hota... Smriti di ke body me wireless microphone lagi hui thi... Mai use har waqt track kar raha tha... Smriti di Ronny se kuch aese sawal puchna chahti thi... Jo wo hosh me kabhi nahi batata... Plan yehi tha ki use guards ko behosh karke use hum location se utha lenge...

Poora mamla set tha... Oposition leader ki party thi... Koi rokne wala nahi tha... Agar hum raid bhi karte... Koi aur pakda bhi jata... Humare pass full permission thi... Par...

Wo ronny se milne andar gayi to us par hamla hua... Mai bunglow se thodi hi duri par tha... Microphone ka connection kat gaya to mai samajh gaya ki kuch galat ho gaya hai..."

"Kya isiliye Smriti backup bulane se mana kar rahi thi?"

Maine Anubhav se pucha...

"Haan!"

Mai in sabhi baaton ko dimag me tatolne laga... Kya aesi kari... Kya aesa surag hai jo mai dekh nahi paa raha... Aur jo mujhe pareshan kar raha hai!!!
Bhai ek cheez samajh nahi ayi ki jab wo farzi identity se Roony ek cruminal se milne wali thi to apne sath police officers ko as Gaurd kyun le gayi isse to bachcha bhi bata dega ki wo police wali hai
 

Black water

Vasudhaiv Kutumbakam
5,857
21,062
188
Awesome fabulous update
 

Sasha!

De Nada 💜
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,631
10,546
214
Superb Updatee

Yaani uss din uss party mein Smriti aur Shoaib ne hi attack kiya tha shayad usse pata chal gaya hoga smriti ki dusri identity ke baare mein.

Kya Smriti bhi drugs leti thi Ronny ko dikhane ke liye.
Iska jawab Anubhav ne khud de diya hai isi update me

:thank_you:
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )
10,256
43,095
258
सुगंधा , अनुभव और कबीर के बीच जो बातें हुई उससे तो यही लगता है कि स्मृति एक ड्रग्स पैडलर रोनी के पीछे पड़ी हुई थी । छोटे मोटे ड्रग्स पैडलर को पकड़ने का काम अधिकांशतः लोकल पुलिस ही करती है लेकिन मछली अगर बड़ी हो तो यह जिम्मा नारकोटिक्स कंट्रोल ब्यूरो को दे दिया जाता है ।
उस दिन स्मृति छद्म रूप धरकर, एक ड्रग्स युजर बनकर रोनी से मुलाकात की । वो उसे रंगे हाथों पकड़ना चाहती थी । उसके खिलाफ सबूत जुटाना चाहती थी पर वो अपराधियों के हाथों बुरी तरह घायल हो गई । अपराधी उसकी जान लेना चाहते थे पर सौभाग्य से बच गई । उस दौरान उसके बैक अप के लिए अनुभव था इसीलिए वो कबीर से हेल्प नहीं ली ।

वो पार्टी विपक्ष के नेता की थी । वहां रोनी जैसे ड्रग्स पैडलर का होना ही बता रहा है कि पार्टी में क्या क्या सर्व हो रहा होगा ! मुझे लगता है रोनी एक प्यादा है । असल मुजरिम कोई और है जो समाज में सफेदपोश बना बैठा है । शायद कोई बड़ा नेता या बड़ा बिजनेसमैन ।
सुगंधा और अनुभव पेन ड्राइव तलाश कर रहे हैं । किसका पेन ड्राइव है और क्या है उसमें ?

आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग अपडेट La_Mujer ji.
 

Sasha!

De Nada 💜
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,631
10,546
214
kehte hai apne to apne hote par yaha to apno ko hi bali ka bakra bana dete hai jaise Anubhav...
dusri baat kuch log khud ko jarurat zyada smart aur talented samajhte hai... jaise Anubhav ya khas kar smriti... ab iske chalte ye log sochte hai ki samne wala to Lallu hai... lekin aisa hai nahi.. actually Lallu ye log hote hai jo over confidence ke chalte musibat mein fanste hai... jaise smriti par hamla hua... sathik planning, sahi soch vichar se kadam badhana chahiye par ye log to... Khair....

Ye nashile padarth ka nahi balki kuch hi cheej ka nasha hai jiske chalte wo thaki thaki si dikhti thi :akshay:
lagta us kuch samay mein hi ronny srimiti bich bahot kuch ho gaya ho :akshay:
smriti bhi raazi.. kyunki ushe evidence chahiye :D
waise is kahani ka hero kuch zyada hi sochta rehta hai ye se wo hoga wo se ye hoga :D
Khair.... Mujhe kya....
well update kaafi dilchasp tha aur sath hi kirdaaro ki bhumika bhi.... sugandha... she's best yaar.. Bholi bhaali masoom si :approve:
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :yourock: :yourock:
Ye thakan tharak ki nahi :D ye thakan jhoot ke bojh ki hai :faint:

Thanks for liking dear :thank_you:
 

Sasha!

De Nada 💜
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,631
10,546
214
Bhai ek cheez samajh nahi ayi ki jab wo farzi identity se Roony ek cruminal se milne wali thi to apne sath police officers ko as Gaurd kyun le gayi isse to bachcha bhi bata dega ki wo police wali hai
Police ki pehchan wardi se hoti hai... Use na pehno to bhir me ghul mil jana asan hota hai... :hint:

:thank_you:
 

Sasha!

De Nada 💜
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,631
10,546
214
Awesome fabulous update
:thank_you:
 

Sasha!

De Nada 💜
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,631
10,546
214

Sasha!

De Nada 💜
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,631
10,546
214
सुगंधा , अनुभव और कबीर के बीच जो बातें हुई उससे तो यही लगता है कि स्मृति एक ड्रग्स पैडलर रोनी के पीछे पड़ी हुई थी । छोटे मोटे ड्रग्स पैडलर को पकड़ने का काम अधिकांशतः लोकल पुलिस ही करती है लेकिन मछली अगर बड़ी हो तो यह जिम्मा नारकोटिक्स कंट्रोल ब्यूरो को दे दिया जाता है ।
उस दिन स्मृति छद्म रूप धरकर, एक ड्रग्स युजर बनकर रोनी से मुलाकात की । वो उसे रंगे हाथों पकड़ना चाहती थी । उसके खिलाफ सबूत जुटाना चाहती थी पर वो अपराधियों के हाथों बुरी तरह घायल हो गई । अपराधी उसकी जान लेना चाहते थे पर सौभाग्य से बच गई । उस दौरान उसके बैक अप के लिए अनुभव था इसीलिए वो कबीर से हेल्प नहीं ली ।

वो पार्टी विपक्ष के नेता की थी । वहां रोनी जैसे ड्रग्स पैडलर का होना ही बता रहा है कि पार्टी में क्या क्या सर्व हो रहा होगा ! मुझे लगता है रोनी एक प्यादा है । असल मुजरिम कोई और है जो समाज में सफेदपोश बना बैठा है । शायद कोई बड़ा नेता या बड़ा बिजनेसमैन ।
सुगंधा और अनुभव पेन ड्राइव तलाश कर रहे हैं । किसका पेन ड्राइव है और क्या है उसमें ?

आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग अपडेट La_Mujer ji.
Ronny me Anubhav aur Smriti ki ruchi alag alag karano se hai... Anubhav use drug lord hone ki wajah se pakadna chahta hai... Aur Smriti usse kuch aur ugalwana chahti hai...

:thank_you:
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )
Status
Not open for further replies.
Top