• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Zaroori To Nahi...

Kya Aplog Story me Romantic/ Kisi bhi tarah ka Sex Scene padhna chahenge jo storyline ko strong kare

  • Haan, kaisa bhi chalega

    Votes: 8 38.1%
  • Haan but sirf Romantic

    Votes: 10 47.6%
  • No, Bilkul nahi

    Votes: 3 14.3%

  • Total voters
    21
Status
Not open for further replies.

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
Last edited:

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
  • Like
Reactions: aalu

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
bold and fearless as how i have imagined her so far..... torned with past and some mistakes.. but hiding them plainly under her stoic face...
Come here darling :kissie:

Help me... How to add a poll here?
 
  • Haha
  • Like
Reactions: Naina and aalu

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
To add a poll > Go to thread tools > add poll.

To edit a poll > click on edit button near the question on the poll > make the changes and save.
Added a poll... Please do answer... It's my request to everyone :thank_you:
 

Damon_Salvatore

I am vengeance
Staff member
Moderator
31,232
14,918
259
Chapter 2: Wo ladki Kahan hai?


Update 11



"Kya ab hum log andar chal sakte hai... Ya sara drama yehi karna hai tum dono ko"

Sugandha ne chuppi todte huye kaha... Anubhav abhi bhi meri taraf utni hi khunnas se ghur raha tha... Aur uski ankhon ki nafrat ab mera bhi dimag kharab kar rahi thi...

Par hum dono me se kisi ne kuch nahi kaha... Aur hum log Sugandha ke sath upar chale gaye...

Sugandha ke pass flat ki chabi thi... Building ke teesre maale par ek bedroom ka flat tha... Flat me ghuste hi jis baat ne mera dhyan khicha wo ye tha ki flat me ek alarm system install kiya hua tha jo ki filhal disabled tha... Aesa lag raha tha maano is flat ki finishing jaldbazi me ki gayi hai... Flat ka darwaza khilte hi ek chota living room tha... Halanki wo itna chota tha ki room kehna mushkil hai... Baju me kitchen aur samne ek chota sa bedroom jisme ek kone me ek jane ke sone layak ek bistar rakha hua tha...

Kamra kuch dino se band tha shayad... Isliye ek dhul aur silan mili hui badboo hum sabko pareshan kar rahi thi... Living room me kuch chairs rakhe huye the... Jisme se ek par Sugandha baith gayi aur usne cigarate jalate huye hum dono ko bhi baith te huye kaha...

"Anubhav... Please... Apna gussa chhodo aur humari madad karo wo pendrive dhundne me... Kabir ne wo packet surakshit dhund liya hai... Aur hume un ladkiyon ka pata tabhi laga sakte hai jab hum un documents ke data ko decrypt kar lenge...

Dekho personal mamlo ko bhul jao... Is waqt tum dono ko sath me kaam karna hoga"

"Bullshit!!! Tumne mujhe ye sab kehne ke liye yaha bulaya hai Sugandha?"

Anubhav guuse se aag babula ho raha tha...

"Ye khuni hai... Aj Smriti ki ye halat isiki wajah se hai... He is a fucking murder"

"Smriti ki ye halat meri wajah se nahi... Blaki tumhari wajah se hai..."

Anubhav meri baat se ekdum jal utha aur apni chair se uth kar meri taraf badha... Mai abhi bhi shant baitha hua tha aur maine shant tarike se apni baat rakhi thi...

Par Anubhav apne gusse ko sambhal nahi paya aur mere upar hath uthane ki koshish ki... Mai palak jhapakte hi apni chair se utha... Uska nishana chuka to wo thoda lad khada gaya... Maine usika fayda uthate huye uspar ek mukkar jad diya...

"Kya ye sach nahi... Ke us party me kya ho sakta hai uska andaza pehle se tha?"

Wo mere mukke se ubhar nahi paya tha... Lekin meri baat use mukke se bhi jyada chotil kar gayi... Uska gussa palak jhapakte gayab ho gaya... Mai ab bhi shant tha... Lekin uske chere par kayi jasbaat... Dukh lachari bebasi ka toofan umar raha tha...

"Are you mad or what?"

Sugandha mujh par chekhte huye Anubhav ki taraf age badh gayi aur use uthne me madad karne lagi...

"Usdin kya tha tumhara resonse time Anubhav? 8 minute? 10 minute? Koi andaza hai tumhe..."

Sugandha aur Anubhav ab tak meri taraf hairani bhari nazron se dekh rahe the...

"6 minutes and 56 seconds... Maine count kiya hai... Har us pal ko jab Smriti ki jaan khatre me thi...

Tum ek executive officer ko ek dengerous situation me dalte ho... Aur jo officer uski hifazat ki duty par hai... Use situation kya ho sakti hai uski jankari bhi nahi dete?

Isliye aj jo Smriti mauth se jung lad rahi hai... Uske zimmedar tum ho... Balki mai nahi"

Maine apni baat khatam ki aur ulti taraf wali chair par jakar baith gaya... Anubhav ki ankein nam thi... Wo bhi ek chair par sir pakad kar baith gaya... Maine pass pari cigarate ki packet se ek cigarette li aur jala kar kash lene laga...

"Dekho Anubhav... Party me jo kuch bhi hua... Aur uski wajah se mujh par jo case chal raha hai... Usse ab tum mujhe nikaloge..."

Anubhav ne meri taraf dekha... Uski ankhon me gussa aur nafrat ke siwaye kuch nahi tha
..

"Ab sawal banta hai kyun... Kyun ki kal court me tumne mere paksh me gawahi nahi di... To mai shaam ko sabhi news channels me ek interview dunga... Usme in saare mamle ka dosh mai tum par aur Smriti par dalunga..."

Maine jaise hi Smriti ka naam liye wo gusse me fir meri taraf badha aur mera collar pakad liya...

"Abe ye... Smriti di ke baare me ek lafz bhi baka na... To teri halak se jeebh khinch kar bahar nikal lunga... Teri dhamkiyon se darta hun kya mai..."

"Darte to tum apne baap se bhi nahi hoge... Warna pata hota ki baron se kaise baat karte hai..."

Maine apne collar se uska hath jhatak diya...

"Akhir Smriti ki bhi to zimmedari banti hai... Mujhe batana ki wo kis situation me jaa rahi hai... Haan poori jankari confidential ho sakti hai... Par khatre ka abhas to hona chahiye mujhe... Ek wo... Aur ek wo Shoiab... Apni team ko ittela na karna... That's also a offence in our work you know!

Play ground samajh rakha hai kya tumne aur Smriti ne... Jaha chahoge jab chahoge jaisa chahoge waisa karoge... My foot... Agar mera career dubega to mai tumhara aur Smriti ka bhi ghasit lunga aur sath me us Aditya ka bhi... Kuch bigad paun ya na paun... Chhabi to kharab kar hi sakta hoon... Thodi bohot"

Sugandha mujhe gusse me koi bada sa lecture dene wali thi ki tabhi maine Anubhav se chhupa kar use ankh mari... Wo samajh gayi ki mai aesa kuch nahi karunga...

Mai Rajastha ke ek madhyam bargiya pariwaar se hoon... Pita mere police me the aur maa grihini... Sach kahun to hamesha se hi pariwarik politics ka shikar raha hoon... Bohot sangharsh karke bada hua hoon...

Ek sarkari naukri karne wale ke ghar paida hone ke bawajood mai abhav me jiya hoon... Mere pita ke pass apni maa yani meri dadi aur mere chachaon ke dene ke liye paise to the par humari parwarish ke liye nahi...

Maa unse humari kisi bhi cheez ke liye paise mangti to apne pariwar ko dene wale paise kam par jane ke karan bachpan se hi unhone apne police wale jooton se peeta hai... Uski maar khate khate aur taane sunte sunte kab meri chamdi moti ho gayi mujhe pata bhi nahi chala...

Thoda bada hua to bhai paida hua... Wo mere papa ki tarah dikhta hai isliye aur choti choti baat par ro deta hai isliye... Papa uspar hath nahi uthate hai... Mere chacha tau jo din raat mera .manobal todte ki mai kabhi 10th pass hi hi nahi lar paunga...

Ye sirf mai aur baad me Smriti hi jante hai ki 10th meri Angrezi ki pariksha kharab hone ke karan maine apni jaan lene ki koshish ki... Par mai pass ho gaya aur acche numberon se pass hua... Tabse sabka mooh band hogaya...

Par mere papa khush nahi the... Mai Science padhna chahta tha... Unhe pata tha... Bohot kharcha hoga... Aur wo paise dene ko raazi nahi the... Mere chachaon ne meri bharti KV me nahi hone di jab ki mere pass quota tha...

Mai aur meri maa 7 din tak bhke pyase baithe rahe... Jab log sawal uthane lage tab mere papa ne lok laj ke dar se paise de diye...

Mai hi janta hun ki mai kitni mar seh kar pala bara hun... Pehle school me kuch ladkein pit te the... Mai wahan bhi maar khata tha... Par 10th pass karte hi mai ekdum se lamba ho gaya.. wahi bacche mujhse darne lage... maine bhi unhe khub pita... Zindegi ka sara gussa utar diya...

Chacha tau ke ladke jo mera mazak udate the sab sale bhosdike piche reh gaye... Maine mehnat ki aur mai Delhi aya... Sath ayi meri logon ko manipulate karne ki techniques jisse maine najane kitno ka manobal toda... Aur aj jab Anubhav mere upar hawi ho raha tha maine usika issemal kiya...

Mai Smriti ka nam in sab me nahi ghasitna chahta tha... Ye baat sirf mai janta hoon ki Smriti ke baare me maine aj Anubhav se jo bhi kuch kaha uske liye mai khud ko kabhi maaf nahi kar paunga... Par aj mai majboor hoon... Kyunki Anubhav hi hai jo mujhe is dal dal se nikal sakta hai!!!
Great update..
Everyone has a story..
Aur kabir ki bhi ekk story h.. Ab dekhtee h aage kya hota h..
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Sasha!

Damon_Salvatore

I am vengeance
Staff member
Moderator
31,232
14,918
259
Update 12


Kamre me ek baar firse khamoshi thi... Mere chehre par ek kamini muskaan thi aur Anubhav abhi bhi apni galtiyon ko dimaag me rewind kar raha tha...


Ekdum se chuppi ko todte huye Sugandha ki cell phone baji...


"Hello... What? Oh my god!! Haan... Ek minute..."


Mai aur Anubhav pareshan nigahon se Sugandha ko ghur rahe the...


Sugandha ne phone Anubhav ki taraf age badha diya...


"He... Hello... Haan Suman..."


Sugandha ne phone speaker par daal diya...


"Di... Apne jo injection diya tha... Usme Adrenalin tha... Smriti di ke dil ke pass ek injection mark bhi hai..."


"Oh my god! Adrenaline kya ye koi zeher hai Suman"


"Nahi di... Ye koi zeher nahi... Ye ek hormone hai jo humare sharir me banta hai... Jab hum koi khatarnak situation me fans jate hai... Ya koi bohot mushkil kaam ko anjam de rahe hote hai... Ya koi bhi aesi situation... Jisme bohot himmat ki zaroorat hoti hai... Us waqt ye hormone humare sharir me banne lagta hai... Aur in sab kamon me hume madad karta hai... Kabhi kabhi dil ki dhadhkan dheeme ho jane par bhi ise lagaya jata hai...


Di mujhe lagta hai Smriti di ko is injection ki madad se coma se bahar lane ki koshish ki gayi hai... Isi wajah se unki dhadhkan ekdum se badhi aur wo coma se bahar nikal ayi..."


"Oh... Par... Iska koi side effect to nahi hai na... Ye to naturally banta hai..."


"Di baat ye hai ki..."


"Kya baat hai Suman... Saaf saaf batao..."


Anubhav ne besabr hote huye kaha...


"Baat ye hai ki di ko ek high dose inject kiya gaya hai... Aur is waqt di ki body me blood sugar ki matra bohot jyada badh gayi hai... Aesa hota hai... Par diabetes ke patients me... Par Smriti di ko aesa kuch hai.. iske baare me mujhe jankari nahi thi... Kya ap log jante hai is baare me kuch?"


"Suman, choti maa... Matlab Smriti di ki maa ki family matlab choti maa, di ke nana ji, unke dono mama, sabhi ko type 1 diabetes hai... Ye unke parowaar me genetic hai... Par Smriti di ko kabhi koi symptoms nahi huye... Wo apna apni diet ka aur fitness ka bohot khayal rakhti hai..."


"It's impossible Anubhav bhaiya... Ap nahi samajh rahe... Di agar pehle se koi medication le rahi hai to mujhe uska pata hona zaroori hai... Aur itne blood sugar ke sath di ka ghav bharna bhi ek chunauti ho jayegi... Please... Ap log mujhe sahi information do..."


Mai bohot der se khada khada in logon ki baatein sun raha tha... Par ab maine phone Anubhav se chhen liya...


"Hello Suman... Mai Kabir..."


"Haan bhaiya bolo..."


"Dekho Smriti ko symptoms to pehle se hi ate the... Shayad ab 7 saal hone ko aaye hai... Ek baar ek bure hadse ke baad uska blood sugar aese hi high ho gaya tha... Us waqt wo margin pe tha... Lekin use tabhi se pata tha ki use bhi Maa jaise diabetes ke sath hi jeena hoga...


Us waqt Smriti ko koi dawai ki jaroorat nahi parti thi... Haan par stressful situations se dur rehne ko kaha tha doctor ne"


"Yes! Yes! I knew it! Aesa ho ni nahi sakta hi 29 ki umar tak ate ate unhe ek baar bhi diabetes ka ehsaas nahi hua ho jabki ye unki genetic bimari hai...


Par Kabir bhaiya... Kya apko unki dawai ke baare me kuch maloom hai?"


"Haan maine pichle kuch dino me gaur kiya hai ... Wo khali pet dawai leti hai... Koi Glycomate nam ki dawai hai... Aur agar koi alcoholic drink le... To uske baad koi dawai leti hai... Dawai ka nam... Poora to nahi pata par G se hai... Haan Glycomate... Par uske baad bhi kuch hai... Poora nam yaad nahi aa raha Suman..."


"Koi baat nahi bhaiya... Mai isise kaam chala lungi... Mai unhe special medication chalu kar deti hoon... I hope agle 5 dino me unka ghav thoda better ho jayega... Mai rakhti hoon bhaiyaa Bye!"


Mai kuch der hath me phone liye aese hi khada raha... Phone ki screen par Smriti Suman aur Sugandha ki ek group photo thi... Wo usme khul kar has rahi thi... Na jane mai kab ye hasi wapas dekh paunga... Meri ankein bhar ayi.. par maine apne ansu akhon me hi chhupa liye...


"Are Kabir... Don't worry... Suman apni class ki best Trauma surgeon hai... Aur apnk dusri master degree dawaiyon par kar rahi hai... She will take good care of her"


Mai uski taraf dekh kar badi mushkil se muskuraya...


Anubhav ka chehra dekh kar aesa lag raha tha ki use koi poorani baat yaad aa gayi hai... Aesi koi baat jo use aj samajh me ayi hai... Aur wo baat use buri tarah pareshan kar rahi ho...


Use pata nahi achanak kya hua usne phone uthaya aur koi number dail karne laga...


"Hello Sir... Mai Anubhav... Apko ek zaroori baat batani hai... Apko abhi isi waqt Kabir Rathod ka case wapas lena hoga"


Maine hairani se Anubhva ki our dekha...


"Sir uske pass details hai ki apne Friday wale operation se pehle kaise apke lead kiye operation me Ronny bhaag nikla tha... Ap use confess nahi kara paye..."


Wo itna keh kar phone pakar kar khada raha... Mai sun to nahi paa raha tha par pata chal raha tha ki DCP is waqt ghabra gaya hai...


"Sir wo Lalit hai na... Jo apke piche human rights wale case me hath dhokar para hai... Wo Kabir ka wakil hai is mamle me...


Sir wo is mamle me sabko ghasitne wala hai... Suna hai kal media ko interview bhi dega ki kaise usse operation ki details usse chupai gayi hai..."


Phir wo phone pakad kar khada raha... Uske chehre par ek halki muskaan thi... Mai samajh gaya mamla nipat gaya hai... Mai chair par baith gaya aur cigarette khatam karne laga...


"Kya... Case wapas nahi le sakte? Accha to use support to kar sakte hai apne report me... Haan kuch evidence hai mere pass jo batate hai ki Smriti di par aj jo hamla hua usme Kabir ne unhe bachaya hai...


Sir ap Aditya bhaiya ki chinta mat karo... Mai unse baat kar lunga... Ap bas apni report ka dhyan rakh lena... Warna kahi hum... Ji sir... Haan sir... Ok sir..."


Sugandha mooh par hath rakh kar khilkhila kar hasne lagi... Anubhav ne phone rakkha aur kuch type karne laga...


"Waese court to ekbaar apko jana hoga kal..."


Anubhav ne meri taraf dekhte huye kaha...


"Haan koi baat nahi chala jaunga... par tumne jo madad ki uska shukria..."


Maine Anubhav ki taraf apna dosti ka hath badha diya... Usne bhi halka muskura kar hath milaya...


"Waese kya mai puch sakta hoon... Ki ye Ronny kaun hai..."


Maine Anubhav se directly pucha...


"Ronny... Ronny is kahani ka aesa kirdar hai jiske piche ye sab kuch ho raha hai!!!"
Great update..
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Sasha!

Damon_Salvatore

I am vengeance
Staff member
Moderator
31,232
14,918
259
Update 13


"Kya hum log ye sari baatein pen drive dhundte huye kar sakte hai?"

Sugandha kitchen ki taraf chali gayi aur udhar dhundne lagi...

"Is baat ko karib ab 10 din ho gaye hai..."

Anubhav deewaron par thok baja kar dekh raha tha kahin koi chhupane ki jagah to nahi...

Mai abhi bhi baitha hua tha... Aur uski baat sun raha tha... Wo apna kaam karte huye mujhse batane laga

"Smriti di ki joining Monday ko thi... Par wo Saturday ko hi aa gayi... Unke ghar me kuch furnishing baki thi to wo mere sath ruk gayi thi... Wo waese to haskar muskurakar baat kar rahi thi par unki pareshani saaf jhalak rahi thi...

Sunday ko mai ghar par hi tha... Wo kisi se phone par baat kar rahi thi... Mai sunna nahi chahta tha par sunne se khud ko rok bhi nahi paya... Wo Shoiab sir se baat kar rahi thi... Wo unse koi file unhe dene ko keh rahi thi... Wo log shayad kisi case me age nahi badh paa rahe the... Shoiab sir chahte the ki Smriti ek baar dekhe... You know fresh set of eyes..."

Maine haan me sir hilaya...

"Shaam ko Shoiab Sir khud aye... File dene... Mujhe thoda ajeeb laga... Wo kisi ke bhi hathon bhijwa dete... Par khud aye..."

Anubhav ke chehre par chinta ki lakrien saaf hone lagi thi...

"Us din raat ko 3 baje meri neend khuli... Mai pani peene kitchen me gaya to Smriti di ke kamre ka darwaza khula hua tha aur wahan se roshni aa rahi thi... Maine bahar se awaz lagayi... Par unhone koi jawab nahi diya... Mujhe laga shayad wo book padhte huye hi so gayi hai...

Maine darwaza khatkahate huye andar gaya to dekha kamre ke desk par wo sir rakh kar so rahi thi... Mai unhe uthane ke liye pass gaya to unke sir ke niche ek file thi...

Mera sara dhyan us file ne khinch liya... Us file par Ronny ki photo chipki hui thi...

Mai kuch aur dekh pata usse pehle hi Smriti di jag gayi aur mere hath se file le li..."

"Di... Kya ap is admi ko janti ho?? Please di mujhe batao apko iske baare me kya pata hai... Bloody bastard..."

Di ne mere chehre par Ronny ke prati nafrat ko acche se bhanp liya...

"Bata sakti hoon... Agar tum mujhe batao ki tumhara Ronny se kya panga hai..."

Unhone mujhse pucha...

"I hate this bastard di... Am sorry mujhe apke samne gali nahi deni chahiye... Par jab bhi mai is admi ko dekhta hoon mera khoon khaul uth ta hai...

Is shahar ke two third hisse me Ronny drug supply karta hai... Mumbai ka posh ilaka... Jahan daru ganja aur cigarette se jyada heroine ka nasha common hai...

Maine jab se join kiya hai Ronny ke drug ke overdose ki wajah se maine 9 mauth hote huye dekhi hai... Overdose... Har baar over dose...

College ke first year ki ladkiya... Housewives... Young ladke... Koi bacha nahi usse... Wo jan bujh kar unhe pehle asani se drug provide karta aur fir price badha deta... Kitni ladkiyon ne apni marzi se se aese kaam kiye hai jo koi sapne me me soch nahi sakta...

I fucking hate this bastard... Mujhe mil jaye mai iska gala daba kar maar dalunga..."

Mujhe ye sab batate huye bhi Anubhav ki ankhein gusse se laal ho rahi thi jaise ki wo abhi bhi un palon ko jee raha hai...

"Kya Smriti ne tumhe bataya ki use Ronny kyun chahiye tha? Kya drugs ki wajah se??"


"Nahi..."

Anubhav ka gussa achanak thanda par gaya... Aur uske chehre par chinta ki lakirein khinch gayi...

"Wo kisi aur mamle me Ronny ko track kar rahi thi... Mujhe nahi pata par Smriti di kyun mujhe sari baatein nahi batana chahti thi... Maine unse kayi baar kaha ki ap in sab me involve mat ho... Mai Shoiab sir sambhal lenge...

Par nahi... Kahi na kahi mujhe lagta hai ye mamla unse personally jura hua hai... Maine Sugandha se poocha... Par isne bhi kuch nahi bataya... Mujhe pata hai Sugandha ko mujhse is mamle me jyada pata hai par......"

"Aye mister..."

Sugandha gusse me Anubhav ki taraf age badhi... Lag raha tha wo apne nukile nakhuno se uska mooh noch legi...

"Are are Anubhav... Isme Sugandha ya tumhari koi galti nahi..."

Mai dono ke bich me aa gaya aur Sugandha ke kandhon ko aram se pakad kar use chair par bitha diya...

"Ye kaam Smriti ka hi hoga... Usne jin jin logon se ye mamla sanjha kiya hai... Kisiko bhi poori baat nahi batayi...

Isse yehi lagta hai ki is mamle se jo bhi jurega wo koi bhi safe nahi chahe ho kitne hi bare pad pe kyun na baitha ho...

Anubhav... "Information is the key" Smriti nahi chahti ki kisi ek ke pakre ya torture kare jane par wo sab kuch bata de... Specially civilians... Jaise Sanjeev ji ya Suman...

Wo chahti hai ki is mamle ki ek kadi humasha chupi rahe... Hamesha koi aesa surag salamat rahe jo is case ko anjam tak pohcha de...

Isliye tum sab ke pas is band darwaze ki ek ek chhabi hai... Aur hum sab... Sab kuch na jane... Wahi behtar hai...

So please... Es mamle me ek dusre ki madad karo aur kripa karke lado mat..."

Pata nahi kaise par dono ne meri baat man li... Aur shant baithe rahe...

"Tumhe kuch to bataya hoga Ronny ke mamle me... Anubhav any clue..."

"Haan thoda bohot... Jaise Ronny ek chemist hai... Dawaiyon ka bohot knowledge hai use... Wo drugs ki mising me mahi hai..."

"Par tum logo ka plan kya tha... Akhir kyun bheja tumne Smriti ko us party me?"

Anubhav kuch der tak chhup baitha raha... Mai janta hoon ki is waqt wo khud ko man hi man kos raha hai...

"Ronny... Personally kuch gine chune logon ko hi drugs supply karta tha... Koi high profile client ho to khud usse milta tha...

Smriti di ne kuch contacts ki madad se apni ek dohri pehchan banayi... Ronny tak ye khabar pohonch gayi ke wo usse Drugs kharidna chahti hai... Parties me Smriti di ne Ronny se dosti ki... Use yakin dilaya ki wo addict hai..."

Mujhe yaad aa raha tha kaise har party me Smriti kuch der ke liye gayab ho jati... Aur jab uske baad mai use dekhta to wo bohot thaki hui nazar ati... Shayad apne kehe huye jhooton ke bhoj tale dab rahi thi...

"Kya... Usne... Drug..."

Mai janta tha ki Smriti ne nahi liya hogar fir bhi mai Anubhav ki zabani sunna chahta tha...

"Nahi... Par shayad lena parta agar usdin room me Ronny maujood hota... Smriti di ke body me wireless microphone lagi hui thi... Mai use har waqt track kar raha tha... Smriti di Ronny se kuch aese sawal puchna chahti thi... Jo wo hosh me kabhi nahi batata... Plan yehi tha ki use guards ko behosh karke use hum location se utha lenge...

Poora mamla set tha... Oposition leader ki party thi... Koi rokne wala nahi tha... Agar hum raid bhi karte... Koi aur pakda bhi jata... Humare pass full permission thi... Par...

Wo ronny se milne andar gayi to us par hamla hua... Mai bunglow se thodi hi duri par tha... Microphone ka connection kat gaya to mai samajh gaya ki kuch galat ho gaya hai..."

"Kya isiliye Smriti backup bulane se mana kar rahi thi?"

Maine Anubhav se pucha...

"Haan!"

Mai in sabhi baaton ko dimag me tatolne laga... Kya aesi kari... Kya aesa surag hai jo mai dekh nahi paa raha... Aur jo mujhe pareshan kar raha hai!!!
nice update ..
Dheere-2 sab chize samne ayengii..
inezaar rahega next update kaa
 
Last edited:

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
Update 14


"Ye flat... Yahan kisi victim ko rakha gaya tha na?"

Maine Sugandha se sawal kiya aur flat ke bedroom ki taraf badh gaya... Uska jawab sune bina hi mujhe apne conclusion par poora bharosa tha...

Bedroom ka darwaza thoda jam tha... Maine tgoda dhakka diya to khul gaya... Kamre se chemical bleech aur kuch jalne ki buri badboo aa rahi thi...

Kamre ke ek kone me ek lohe hibalti ki taraf meri nazar gayi... Maine apna rumal nikala aur balti ki rakh me ssuragh dhundne laga...

Kuch kapdon ke adhe jale hisse, ek tooth brush ka adha jala handle... Ek plastic ka tukda jo hair brush maloom parta hai... Kuch documents... Ek dawai ki bottle aur ek towel... Jo bhi yaha se gaya hai... Jaldbazi me gaya hai...

Kamre ke bich-o-bich ek single bed tha jispar bedsheet nahi hai... Ek chhoti almari hai jisme kapde nahi hai... Kamra baki khali hai... Par ek kone me ek shelf hai jisme duniya bhar ki books rakhi hai... Kuch kahaniyo ki kitabein... Kuch badi hastiyon ki jeevni... Khana banane ki recipe... aur bhi pata nahi kya kya...

"Ahingsha paramo dharma"

Maine man hi man Smriti ki kahi baat dohrayi aur Gandhiji par adharit koi kitab dhundta raha... Mila bhi... Maine uske har panne ko ulat palat kar dekha... Covering utar di... Par koi faeda nahi hua... Mai pareshan hokar baitha hi tha ki mere phone ki ghanti baji...

Maine phone nikal kar dekha to :"Private Number" display ho raha tha... Mera dil baith gaya... Mujhe apni zindegi ki sabse badi bhul yaad ane lagi... Mujhe pata tha ye kiska phone hai... Pichle 10 dino se jo paap mai kar raha hoon uska fal bhugatne ka waqt aa gaya tha...



1 Mahine Pehle...

Meri pehli posting ke lagbhag 3 saal bit chuke the... Aur ab kisi bhi waqt mere promotion ka process shuru hone wala tha...

Mai jab bhi is baat ko sochta mera aham dugna ho jata... Mere papa jo sub inspectior rehke retire huye mai unse ek aur kadam age nikal gaya...

Meri pehli posting ek shant jagah par huyi thi... Kabhi kabhar kuch political mar dhad ho jati... Par police hamesha late hi pohochti... Aur mera ek hi statement tha media walon ke liye...

"Hum tehkiqat kar rahe hai..."

Karib 6 mahine pehle yaha ek chhodi huyi... Chhoti si district ke hisab se chhori kafi badi thi... 10 lakh ke gahne aur cash... Maine poora zor lagaya aur pakad liya salon ko... Lagbhag 8 lakh ka maal baramad huya... Mai raaton raat hero ban gaya...

3 mahine pehle ki baat hai... Delhi se center ka ek minister Raghuvash Rai ane wala tha... Security ki zimmedari mujh par thi... Maine jaan laga diya impress karne ke liye... Akhir meri agli posting acchi jagah par hona na hona isi baat par nibhar kar raha tha...

Sab kuch thik thak nipat gaya... Par shaam ko mujhe Raghuvansh se milne ke liye bulaya gaya... Mai soch me par gaya mujhse kahin kuch galti to nahi ho gayi...

Mai yehi sab sochta sochta unse milne pohncha... Ek naukar mujhe unke office tak le gaya... Kamre me 2 log maujood the... Ek Raghuvansh aur ek Senior police official jinhe mai janta tha...

"Don't be so formal Kabir... Sit..."

Senior officer ne mujhse kaha...

Mai Raghuvansh ki samne wali chair pe baith gaya...

"Dekho Kabir... Mai ghuma fira kar baat karne wala insaan nahi hoon... Mai tumhe kuch zaroori kaam saunpna chahta hoon... Samjh lo... Kuch personal kaam..."

Mera dil ucchal para... Center ka Minister mujhse kuch kaam karwana chahta hai... Badle me... Mujhe bhi to kuch dega... Promotion... Recommendation... Mera dimag Race ke ghode ki tarah bhhagne laga...

"Haan sir... Kahiye na..."

Raghuvansh halka sa muskuraya aur mere senior ki taraf ishara kiya... Unhone 2 file mujhe saunp di... Maine pehle file ko khol kar dekha to usme Aditya ki photo aur kuch jankari thi... Uska chehra dekhte hi mera khun khaul utha... Duniya me mai jisse sabse jyada nafrat karta hoon uski tasweer dekh kar mujhe kaise khushi mil sakti hai...

Maine dusri file ka pehla panna palta to mere gusse ke badal chhat gaye aur mai hairani me dub gaya... Ye file Smriti par thi...

"Mujhe lagta hai in dono ko tum jante ho... Hai na Kabir?"

Mai sann reh gaya... Par jyada sochne ka waqt nahi tha...

"Ye dono mere college ke waqt ke dost hai..."

"Dost... Hmmm..."

Raghuvasnsh ke chehre par ek kutil muskan thi...

"Kabir mai chahta hoon tum in dono par mujhe kuch information lakar do... Aditya ke hath koi badi macchli lagi hai... Aur ye Smriti... Shayad isine ye sari information Aditya ko di hai... Mujhe wo sari information chahiye Kabir..."

Mai dang reh gaya... ye mujhse kya karne ko keh raha tha... Jasoosi karne ko keh raha hai... Nahi nahi mai aesa nahi kar sakta... Mai Smriti ko... Dhoka nahi de sakta...

Kyun nahi de sakta... Akhir lagti kaun hai wo teri

Mai apni hi man ki awaz se dar gaya... Ek taraf Aditya ke taraf meri nafrat aur ek taraf Smriti ke prati mere pyar ne mujhe do hisso me chhir kar rakh diya...

"Dekho Kabir... Ye koi aesi posting nahi hai jiska zikr tumhari postings ki list me ayega ya jiski wajah se mai tumhara naam kisi Gallantry award ke liye suggest kar sakun...

Par haan... Agar tum meri madad karoge to tumhare liye mai kayi darwaze khol sakta hoon... Jaise hi tum mujhe information deliver kar doge... Tumhari nayi posting tumhe mil jayegi... Tum chaho to Delhi me bhi tumhari posting ho sakti hai.."

Raghuvansh aur mera Senior bolte rahe... Unki baatein mere kaano me zeher ki tarah utar rahi thi... Mai gardar jhukaye files ki taraf ghurta raha... Sari takleef sare zasbaat sab kuch do ankhon me gum ho gaye...

"Ok sir... I will do it..."

Raghuvansh jo bhi bol raha tha... Bolte bolte ruk gaya aur mere senior kuch ishara kiya...

"Ye tu kya kar raha hai Kabir... Smriti ko dhoka dega... Aur wo bhi kis liye..."

Mere andar marti achayi ne mujhe ek akhri baar bachane ki koshish ki... Maine Smriti ki photo ko dekha... Mera aham chhur chhur hokar mere pairon par bikhra tha... Mai jis deewar ko 6 saal se bari mushkil se banaya hua tha... Toot gaya...

Aditya chahe apni jagah par kitna hi taqtwaar kyun na ho... Agar usne kuch galat kiya hai to mai dhund nikalunga... Dikha dunga Smriti ko ki usne Aditya par bharosa karke kitni bari galti ki hai...

"Aur usne kuch galat nahi kiya hoga to?"

Ek akhri awaz... Meri acchayi ki... Jiska gala maine usi pal ghot diya...




Vartman....


Mai abhi bhi deewar ki taraf khali nazron se dekh raha tha... Phone aur ek baar baja aur fir band par gaya...

"Sahi kaha tha tumne Smriti... Do not trust Anyone... Wo Anyone... Mai hoon!!!"
 
Last edited:
Status
Not open for further replies.
Top