• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Zaroori To Nahi...

Kya Aplog Story me Romantic/ Kisi bhi tarah ka Sex Scene padhna chahenge jo storyline ko strong kare

  • Haan, kaisa bhi chalega

    Votes: 8 38.1%
  • Haan but sirf Romantic

    Votes: 10 47.6%
  • No, Bilkul nahi

    Votes: 3 14.3%

  • Total voters
    21
Status
Not open for further replies.

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
Last edited:

mashish

BHARAT
8,032
25,909
218
Update 14

"Ye flat... Yahan koi victim ko rakha gaya tha na?"

Maine Sugandha se sawal kiya aur flat ke bedroom ki taraf badh gaya... Uska jawab sune bina hi mujhe apne conclusion par poora bharosa tha...

Bedroom ka darwaza thoda jam tha... Maine tgoda dhakka diya to khul gaya... Kamre se chemical bleech aur kuch jalne ki buri badboo aa rahi thi...

Kamre ke ek kone me ek lohe hibalti ki taraf meri nazar gayi... Maine apna rumal nikala aur balti ki rakh me ssuragh dhundne laga...

Kuch kapdon ke adhe jale hisse, ek tooth brush ka adha jala handle... Ek plastic ka tukda jo hair brush maloom parta hai... Kuch documents... Ek dawai ki bottle aur ek towel... Jo bhi yaha se gaya hai... Jaldbazi me gaya hai...

Kamre ke bich-o-bich ek single bed tha jispar bedsheet nahi hai... Ek chhoti almari hai jisme kapde nahi hai... Kamra baki khali hai... Par ek kone me ek shelf hai jisme duniya bhar ki books rakhi hai... Kuch kahaniyo ki kitabein... Kuch badi hastiyon ki jeevni... Khana banane ki recipe... aur bhi pata nahi kya kya...

"Ahingsha paramo dharma"

Maine man hi man Smriti ki kahi baat dohrayi aur Gandhiji par adharit koi kitab dhundta raha... Mila bhi... Maine uske har panne ko ulat palat kar dekha... Covering utar di... Par koi faeda nahi hua... Mai pareshan hokar baitha hi tha ki mere phone ki ghanti baji...

Maine phone nikal kar dekha to :"Private Number" display ho raha tha... Mera dil baith gaya... Mujhe apni zindegi ki sabse badi bhul yaad ane lagi... Mujhe pata tha ye kiska phone hai... Pichle 10 dino se jo paap mai kar raha hoon uska fal bhugatne ka waqt aa gaya tha...

1 Mahine Pehle...

Meri pehli posting ke lagbhag 3 saal bit chuke the... Aur ab kisi bhi waqt mere promotion ka process shuru hone wala tha...

Mai jab bhi is baat ko sochta mera aham dugna ho jata... Mere papa jo sub inspectior rehke retire huye mai unse ek aur kadam age nikal gaya...

Meri pehli posting ek shant jagah par huyi thi... Kabhi kabhar kuch political mar dhad ho jati... Par police hamesha late hi pohochti... Aur mera ek hi statement tha media walon ke liye...

"Hum tehkiqat kar rahe hai..."

Karib 6 mahine pehle yaha ek chhodi huyi... Chhoti si district ke hisab se chhori kafi badi thi... 10 lakh ke gahne aur cash... Maine poora zor lagaya aur pakad liya salon ko... Lagbhag 8 lakh ka maal baramad huya... Mai raaton raat hero ban gaya...

3 mahine pehle ki baat hai... Delhi se center ka ek minister Raghuvash Rai ane wala tha... Security ki zimmedari mujh par thi... Maine jaan laga diya impress karne ke liye... Akhir meri agli posting acchi jagah par hona na hona isi baat par nibhar kar raha tha...

Sab kuch thik thak nipat gaya... Par shaam ko mujhe Raghuvansh se milne ke liye bulaya gaya... Mai soch me par gaya mujhse kahin kuch galti to nahi ho gayi...

Mai yehi sab sochta sochta unse milne pohncha... Ek naukar mujhe unke office tak le gaya... Kamre me 2 log maujood the... Ek Raghuvansh aur ek Senior police official jinhe mai janta tha...

"Don't be so formal Kabir... Sit..."

Senior officer ne mujhse kaha...

Mai Raghuvansh ki samne wali chair pe baith gaya...

"Dekho Kabir... Mai ghuma fira kar baat karne wala insaan nahi hoon... Mai tumhe kuch zaroori kaam saunpna chahta hoon... Samjh lo... Kuch personal kaam..."

Mera dil ucchal para... Center ka Minister mujhse kuch kaam karwana chahta hai... Badle me... Mujhe bhi to kuch dega... Promotion... Recommendation... Mera dimag Race ke ghode ki tarah bhhagne laga...

"Haan sir... Kahiye na..."

Raghuvansh halka sa muskuraya aur mere senior ki taraf ishara kiya... Unhone 2 file mujhe saunp di... Maine pehle file ko khol kar dekha to usme Aditya ki photo aur kuch jankari thi... Uska chehra dekhte hi mera khun khaul utha... Duniya me mai jisse sabse jyada nafrat karta hoon uski tasweer dekh kar mujhe kaise khushi mil sakti hai...

Maine dusri file ka pehla panna palta to mere gusse ke badal chhat gaye aur mai hairani me dub gaya... Ye file Smriti par thi...

"Mujhe lagta hai in dono ko tum jante ho... Hai na Kabir?"

Mai sann reh gaya... Par jyada sochne ka waqt nahi tha...

"Ye dono mere college ke waqt ke dost hai..."

"Dost... Hmmm..."

Raghuvasnsh ke chehre par ek kutil muskan thi...

"Kabir mai chahta hoon tum in dono par mujhe kuch information lakar do... Aditya ke hath koi badi macchli lagi hai... Aur ye Smriti... Shayad isine ye sari information Aditya ko di hai... Mujhe wo sari information chahiye Kabir..."

Mai dang reh gaya... ye mujhse kya karne ko keh raha tha... Jasoosi karne ko keh raha hai... Nahi nahi mai aesa nahi kar sakta... Mai Smriti ko... Dhoka nahi de sakta...

Kyun nahi de sakta... Akhir lagti kaun hai wo teri

Mai apni hi man ki awaz se dar gaya... Ek taraf Aditya ke taraf meri nafrat aur ek taraf Smriti ke prati mere pyar ne mujhe do hisso me chhir kar rakh diya...

"Dekho Kabir... Ye koi aesi posting nahi hai jiska zikr tumhari postings ki list me ayega ya jiski wajah se mai tumhara naam kisi Gallantry award ke liye suggest kar sakun...

Par haan... Agar tum meri madad karoge to tumhare liye mai kayi darwaze khol sakta hoon... Jaise hi tum mujhe information deliver kar doge... Tumhari nayi posting tumhe mil jayegi... Tum chaho to Delhi me bhi tumhari posting ho sakti hai.."

Raghuvansh aur mera Senior bolte rahe... Unki baatein mere kaano me zeher ki tarah utar rahi thi... Mai gardar jhukaye files ki taraf ghurta raha... Sari takleef sare zasbaat sab kuch do ankhon me gum ho gaye...

"Ok sir... I will do it..."

Raghuvansh jo bhi bol raha tha... Bolte bolte ruk gaya aur mere senior kuch ishara kiya...

"Ye tu kya kar raha hai Kabir... Smriti ko dhoka dega... Aur wo bhi kis liye..."

Mere andar marti achayi ne mujhe ek akhri baar bachane ki koshish ki... Maine Smriti ki photo ko dekha... Mera aham chhur chhur hokar mere pairon par bikhra tha... Mai jis deewar ko 6 saal se bari mushkil se banaya hua tha... Toot gaya...

Aditya chahe apni jagah par kitna hi taqtwaar kyun na ho... Agar usne kuch galat kiya hai to mai dhund nikalunga... Dikha dunga Smriti ko ki usne Aditya par bharosa karke kitni bari galti ki hai...

"Aur usne kuch galat nahi kiya hoga to?"

Ek akhri awaz... Meri acchayi ki... Jiska gala maine usi pal ghot diya...

Vartman....

Mai abhi bhi deewar ki taraf khali nazron se dekh raha tha... Phone aur ek baar baja aur fir band par gaya...

"Sahi kaha tha tumne Smriti... Do not trust Anyone... Wo Anyone... Mai hoon!!!"
nice update
 
  • Like
Reactions: Sasha!

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
60,551
244
Update 14

"Ye flat... Yahan kisi victim ko rakha gaya tha na?"

Nice Updatee

Aakhir yeh Kabir Aditya se itna nafrat kyo karta hai. Kya iske aur Smriti ke alag hone ki wajah Aditya hai. Kya isiliye woh isse nafrat karta hai.
 
Black water

Vasudhaiv Kutumbakam
5,857
21,055
188
Jabardust update superb
 
  • Like
Reactions: mashish and Sasha!

aalu

Well-Known Member
3,073
13,048
143
kabir ab vyomkesh bakshi ban raha hain... jo bhi yehan rah raha tha usne apne shuboot mita ke jana chaha,,, brush,, kapre aur hairbrush tak... yeh jo bhi pendrive yeh log dhundh rahe hain agar usne shuboot mita ke hi bhagna chaha toh pendrive kyun chhupayega yehan pe... ya phir koi aur aake is jagah pe usse rakhha tha...

khair yeh chomu toh alag level ka player nikla... post ke lalach mein hi isne itna bara kand kar diye.... smriti se pehle jo bhi karano se yeh alag hua lekin ab jo yeh kar raha hain wo toh usse jaroor door le ke jayega... ab sawal hain wo minister kar kya raha hain kya wo bhi kuchh galat kaam mein lipt hain... akhiri ek central minister ek state minister se kya kaam.... aur aaditya aur smriti dono saath kaam kar rahe hain,, yaani smriti trusts aaditya toh kya wo bhi un human trafficking waale giroh ke pechhe hain...

aur kabir ko smriti ke saath rehna bahut jaroor tha wo info nikalne ke liye... toh dgp ko bhi oopar se orders mile honge... toh yeh suspension shab kya bas ek natak tha.... kabir ab toh khud ek bad guy lag raha hain... wo sanjeev jee ne bhi isse ek pendrive dee thee.. toh phir kaun si pendrive dhudhne keee kosis kar rahe hain yeh log... kaheen kabir jaan bujh ke inka time toh waste kar ke kuchh aur soorag toh na dhundh raha hain...

aur iske pass toh packet already hain toh isne usse pass on kyun nahin kiya... aur jab itna resourceful aadmi iske pechhe hain toh apne suspensino ke liye isse avinash kee madad kyun leni par rahi hain...

sala pyar khatm yehan toh shab game chal raha hain... aur aaditya se iski dushmani ka karan kya tha... college ke jamane se hi yeh log ek doosre ko jante hain toh kya uski wajah bhi smriti hee hain... khair baaki sawalo ke jawab toh flashback mein hi maloom chalega...

so the so called hero turned antagonist... romance toh hoga lekin aaditya aur smriti ka...
 
Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
Abhi tak ke sare update read kiye story awesome hai but update bahut slow hai thoda isper dheyan dijiye writer ji wating for next update
:welcome: koshish karungi :thank_you:
 
  • Like
Reactions: mashish

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
kabir ab vyomkesh bakshi ban raha hain... jo bhi yehan rah raha tha usne apne shuboot mita ke jana chaha,,, brush,, kapre aur hairbrush tak... yeh jo bhi pendrive yeh log dhundh rahe hain agar usne shuboot mita ke hi bhagna chaha toh pendrive kyun chhupayega yehan pe... ya phir koi aur aake is jagah pe usse rakhha tha...

khair yeh chomu toh alag level ka player nikla... post ke lalach mein hi isne itna bara kand kar diye.... smriti se pehle jo bhi karano se yeh alag hua lekin ab jo yeh kar raha hain wo toh usse jaroor door le ke jayega... ab sawal hain wo minister kar kya raha hain kya wo bhi kuchh galat kaam mein lipt hain... akhiri ek central minister ek state minister se kya kaam.... aur aaditya aur smriti dono saath kaam kar rahe hain,, yaani smriti trusts aaditya toh kya wo bhi un human trafficking waale giroh ke pechhe hain...

aur kabir ko smriti ke saath rehna bahut jaroor tha wo info nikalne ke liye... toh dgp ko bhi oopar se orders mile honge... toh yeh suspension shab kya bas ek natak tha.... kabir ab toh khud ek bad guy lag raha hain... wo sanjeev jee ne bhi isse ek pendrive dee thee.. toh phir kaun si pendrive dhudhne keee kosis kar rahe hain yeh log... kaheen kabir jaan bujh ke inka time toh waste kar ke kuchh aur soorag toh na dhundh raha hain...

aur iske pass toh packet already hain toh isne usse pass on kyun nahin kiya... aur jab itna resourceful aadmi iske pechhe hain toh apne suspensino ke liye isse avinash kee madad kyun leni par rahi hain...

sala pyar khatm yehan toh shab game chal raha hain... aur aaditya se iski dushmani ka karan kya tha... college ke jamane se hi yeh log ek doosre ko jante hain toh kya uski wajah bhi smriti hee hain... khair baaki sawalo ke jawab toh flashback mein hi maloom chalega...

so the so called hero turned antagonist... romance toh hoga lekin aaditya aur smriti ka...

"Mana kabil nahi mai tere... Par har baar galtiyan dohraun... Zaroori To Nahi"

:laugh::thank_you:
 
  • Haha
Reactions: aalu
Status
Not open for further replies.
Top