rajrohikr3
Active Member
- 779
- 428
- 64




Sorry Bhai par abhi toh khoon khraba shuru hoga abhi kahan hua hai aur dusri baat abhi itna bada sex ka update diya hai isliye honeymoon wala update aana na mumkin hai .mast update bhai. yeh khoon kharabi chor ke sana aur aryan ko honeymoon pe bhej
Update 76 part 3
Aryan aur sana is waqt motorcycle pe ghar ki taraf jaa rahe the aur sana ke dimag mein is waqt woh baat hi chal rahi thi ki akhir usne us ladke ke baare mein aisa soch bhi kaise liya aur dusri taraf woh aryan se thoda naraj ho gyi thi kyunki aryan ne jo arun ke samne harqate ki thi woh usko pasand nhi aayi thi .
Aryan - sana
Sana- kya hai ( gusse mein )
Aryan- are gussa kyo kar rahi hai yeh tera bhi mujhe samajh nhi aata abhi toh tum itne achhe mood mein thi
Sana- han thi acche mood mein par tum ho na saare mood ki ma behan ek karne ke liye
Aryan - ab maine kya kiya
Sana - kya kiya. kya bakwas kar rahe the tum apne dost ke samne mere baare mein ki usne jhuth kyu bola ki mein khubsurat hun kya main nhi hun khubsurat aryan tum hamesha aise hi karte ho har jagah mera mazak bnnate ho aur is baar toh tumne had hi kar di apne dost ke samne mera mazak banane Lage
Aryan - are itna kyu gussa kar rahi ho jaan mein toh bas mazak hi kar raha tha
Sana- mazak nhi tha yeh aryan tum meri beijjati kar rahe the kyunki yeh mazak tumne apne dost ke samne kiya hai
Aryan - kya sana shant ho jayo yaar
Sana- kaise shant ho jau mr immature ek toh tum mera mazak bnao aur 2 min tumne mujhe kab btaya ki hum dono kisi party mein jaa raha hai parso aur mein hi hun ki jo tumhe wahan par maine jhutha nhi padne diya aur tumhari han mein han mila di
Aryan- kya ab tumhe mujhse jhagda karna hai
Sana - han karna hai kyunki tum yeh hi deserve karte ho tumhe meri koi kadar nhi hai aryan ek toh mujhse tum kuch na kuch chupate ho aur mujhe bahut gussa aa raha tha jab us ladke ne mujhe mere naam se bulaya aur mujhe laga ki tum usko tokoge ki mujhe bhabhi keh ke bulaye par nhi tumne toh usko kuch bhi nhi kaha tumhare sare dost mujhe bhabhi keh ke bulate hai par woh badtamiz ladka mujhe mere naam se bula raha tha aur tumne bhi usko kuch nhi bola
Aryan - are mein kisi ko force nhi karta ki woh tumhe bhabhi kahe agle ki marzi aur tum chinta mat karo woh bahut achha ladka hai uske dimag mein kuch galat nhi chal raha hoga mein usko achhe se janta hun aur mein party wali baat tumhe btana hi wala tha
Sana jhuthe ho tum agar woh zikar nhi karta toh tum bhi mujhe btate nhi aur btao na aakhir party hai kis baat ki
Aryan - party wali baat aaj raat ko karte hai na
Sana- nhi mujhe abhi btao
Aryan - sana please baby aise zid mat karo tum hamesha aise hi karti ho
Sana - thik hai ab isme mein meri galti koi baat nhi aryan ab tumko mein tabhi achhi lgti hun jab mere sath sex karna hota hai
Aryan- thik hai yaar jo tumhe samajhna hai samjho par har baat mein tumhe btaunga yeh zaroori nhi hai
Sana - toh thik hai baad mein jao tum agar aisi hi baat hai toh aur mujhe tumse baat hi nhi karni
Aryan - kya yaar sana ohhh jana mat kar na gussa
Sana- jaana keh keh kar hi tum hamesha mere sath galat karte ho aur abhi tumhari wajah se mujhe maa se dant bhi sunani padegi tum toh besharam ho tumhe toh koi farak nhi padta
Aryan - thik hai tumhe jo karna hai karo mujhse ab aur behas nhi ho sakti
Sana - ghamandi kahi ka kabhi bhi apni galti nhi manta hai (sana aisa dhimi awaz mein bolti hai aur apna muh gusse se dusri taraf kar leti hai aur aryan bhi usko sun leta hai par woh usse koi behas nhi karta )
Aryan aur sana ab ghar par pahunch jaate hai jahan par suman unka wait kar rahi thi
Aryan aur sana dono darte darte ab ghar mein enter karte hai
Aryan- mujhe kaam par jaane do na sana mujhe kyo fasa rahi ho
Sana- yeh sab tumhari wajah se hi hua hai toh tum bhi chalo andar
Aryan- mein nhi aaunga
Sana- toh thik hai jao phir mein jo karungi woh dekhne ke baad complaint mat karna
Aryan - kya kar logi
Sana- bol dungi tum party mein shrab bhi pi rahe the aur ladkiyon ke sath dance bhi kar rahe the mujhe akela chorrkar
Aryan- kitni buri hai tu
Sana tumse kam hi hun samjhe
Aryan- achha thik hai aata hu
Sana- chalo phir pehle tum jao
Aryan- meri maa hai woh sana tum toh aise dar rahi ho ki jaise tumhe maar hi dalengi
Aryan aur sana ab andar aate hai aur suman unko rasoi se aata hua dekhti hai aur rasoi se bahar aa jati
Suman - toh aa gye tum dono
Aryan - nhi abhi 30 min tak pahunch jayenge are aa toh gye hai
Suman - toh phir beta tu jhute khane ke liye bhi taiyar reh aur sana tum isko samjha nhi sakti thi ki party se jaldi aa jana chahiye tha tumhe nhi toh bahut der ho jayegi
Sana- woh maa ji yeh meri baat hi nhi maane
Aryan man mein - yeh har baar khud bholi ban ke mujhe fasa deti hai
Suman- kya aryan yeh sach bol rahi hai maa
Aryan- han maa aur kya yeh aap gussa kar rahi ho samjha karo hamari nyi nyi shadi hui hai toh hum chale gye party par toh kya hi ho gya waise bhi sana kahan abhi mere sath ghumne gyi hai kahi par thoda late ho gye toh isme itna gussa karne wali kya baat
Suman - sharam toh nhi aati tujhe kaise apni biwi ke samne mere se zuban lada raha hai kal ko woh bhi mere sath aisa karegi toh
Sana- nhi nhi maa ji aap aisa soch bhi kaise sakte ho mein apke kabhi bol sakti hun kya
Suman - beti tu itni bholi hai nhi jitni tu bnti hai mein achhe se janti hun aur tum dono mein se kisi ne mera phone uthana bhi nhi samjha
Sana - maa ji maine btaya toh tha hum so gye the isliye phone nhi uthaya
Sana ki awaz sunkar hina bhi apne room mein aa jati hai par woh bich mein kuch nhi bolti kyunki usko pta tha ki suman thodi gussa hai
Suman - han beti btaya toh tune tha aur sun meri baat jo tere dil mein hai bol de agar tu bhi mujse badtamizi karna chahti hai iski tarah toh tu bhi kar ke tujhe bhi lag raha hoga mein befaltu bol rahi hun par tumhe koi andaza bhi hai ki mujhe kitni chinta ho gyi thi tum dono ki jab tum phone nhi utha rahe the
Suman ko sach mein bahut tension ho rahi thi kyunki jab usko ram lal se pta laga tha ki suleman unse bdla lena chahta hai toh tabhi aryan aur sana ke liye uske dil mein dar sa baith gya tha
Sana - nhi maa ji aisi koi baat nhi hai jaise aap samajh rahi ho mere dil mein apke liye kuch bura nhi maa mein toh apki bahut respect karti hun
Suman - beta ab bura mat manana agar sana tujhe meri thodi si ijjat kya khyal hota toh tu mujhe ek baar hi sahi phone karti ki maa hum party se late ho jayenge isliye aap chinta mat kijiyega
(Suman ab sana ki taraf dhyan se dekhti hai aur aag babula ho jati hai )
Sana- maa ji hamse ...
Suman - 2 min ladki yeh sab chorr yeh bta ki na tune mangalsutra pehna hai aur naa hi sindoor lagaya hai tujhe thodi se bhi sharm hai sana maine tujhe kitni baar pyar se bola hai ki yeh 2 chize tu kabhi bhi nhi bulna par tujhe toh khyal hi nhi rehta yeh ijjat karti hai tu meri
Sana pehle se hi suman se dant sunkar pareshan ho gyi thi aur ab toh suman bahut gusse mein lag rahi thi
Sana- maa ji mein bhul gyi thi
Suman - yeh koi reason nhi hua sana tere is ghar mein aane se pehle maine teri saas ko keh diya tha ki tu hamare ghar ke saare custom follow karegi aur maine tujhe kitni baar samajhaye par tu kahan samajhti hai mein pagal hun kya jo tujhe ab har chotti chotti chiz btau
Sana ko pehli baar suman ki baat ka bura lagta hai par usko lagta hai ki galti usko bhi hai
par suman bhi ab befaltu bol rahi hai halanki hina yeh sab chup chap dekh rahi thi woh sana ko defend toh karna chahti par yeh samajhkar ki yeh sana ka family matter hai isliye woh chup hi rahe toh achha hai par aryan tabhi sana ke bachav mein bolta hai
Aryan- maa yeh kya tum ab uske ......
Ab un sab ki awazien sunkar neha bhi wahan par aa jati hai
Suman - tu chup kar aryan yeh meri aur bahu ke bich ki baat hai bich mein mat bolna
Suman - kyu sana tere pati ko kuch ho gya hai ki tune mangalsutra nhi pehna yan phir tu chahti hai ki aryan ko kuch ho jaye
Suman ki baat sunkar sana ka dil tut sa jaata hai aur woh bahut dukhi hoti hai ab uske ankhon mein ansu hote hai par neha ko suman ki baat bilkul bhi achhi nhi lgti aur woh suman ko bolne lgti hai
Neha - kya maa yeh tum kya bole jaa rahi ho gusse mein dekho bhabhi ro rahi hai thoda toh soch samajhkar bola karo
Neha ab sana ke paas jaati hai aur sana apna muh niche kar ke ro rahi thi aur neha usko gale laga ke chup karane lgti hai aur suman ko bhi lgta hai ki usne galat bol diya hai
Sana- maa ji yeh aap kya bol rahe ho mein aisa kabhi soch bhi nhi sakti aryan ji ke baare mein mujhse galti ho gyi ki mein apna mangalsutra ghar par hi bhul gyi mujhe aap maaf kar dijiyega par maine yeh jaan bhujkar nhi kiya aur mein apke aage hath jod ke maafi bhi maang leti hun par mujhe laga tha ki aap meri saas ho mujhe nhi pta tha ki aap abhi bhi suleman ki ammi ko meri saas manti ho (sana aise rote hue bolti hai aur sana ki baat sunkar suman bhi ek dum chup kar jaati hai aur usko bhi lgta hai woh kuch zyada hi bol gyi )
Neha- nhi bhabhi yeh tum kya bol rahi ho tum maa ki baat ko jyada serious mat lo yeh gusse mein bol deti hain yeh sab
Sana- neha apne hath hatta please
Neha- par bhabhi
Sana- maine kaha na hatta
Neha ab apne hath sana ke kandhe se hatta leti hai
Sana- maa ji I am sorry mein apki umeedo par khadi nhi utar payi please mujhe maaf kar dijiyega mein upar jaa rahi hun achhi tarah taiyar hone aur aap koi kaam mat karna ab mein niche aate hi dinner taiyar karna shuru kar dungi
Sana ab upar room mein jaane lgti hai aur suman usko kuch nhi bolti bas notice karti hai ki sana thoda langda ke chal rahi hai
Sana jab upar chali jaati hai toh aryan suman ko bolne lgta hai
Aryan - kya maa rula diya apne usko pta hai kitni khush thi woh aaj
Suman - kya karu mere muh se nikal gya gusse mein par isko bhi maine 10 baar toka hai ki beta mangalsutra pehna kar par nhi isko samajh hi nhi aata are tujhe kya pta agar isko log aise bina mangalsutra ke dekhenge toh kya baatien bnayege
Aryan - thik hai maa apki baat bhi thik hai par bechari sana ke liye yeh sab bahut naya usko thoda time toh do adjust hone mein
Suman - bas kar beta bahut kar liya tune apni biwi ko defend aur tu neha thoda tamiz se bola kar
Neha - Maa rehne do tum ab jhuthi akad dikha rahi ho tumhe bhi pta hai tum kuch zyada hi bol gyi ho
Ab aise hi neha aur suman thodi der behas karte karte apne apne kaam mein lag jaati hai aur aryan thoda thaka hota hai toh hina ko uske liye chai bnane ko bol deta hai .hina bhi aryan ke sath pyar se pesh aati hai aur aryan ko chai bnakar de deti hai aur aryan chai pikar kaam par jaane lgta hai tabhi uske dil mein aata hai ki ek baar sana se baat kar lega toh ho sakta hai sana ka mood thoda thik ho jaye isliye woh apne room ki taraf jaane lgta hai
RightDono saas bahu apna apna jagah pa sahi hai .
Lekin Suman sayad kuch jyada bol gayi , woh pyaar sa bhi samajha sakti thi lekin jab usa ramlala sa pta chali ki suelman Aryan aur Sana sa badla lega toh sayad us chinta ka karan Suman kuch bol gayi .
Ab bas dono ka bich pyaar badhte rahe , jitna bhi challenges aaye dono ka zindagi mai woh dono ek saath nipta usa ... Aur ye Miya biwi ki jodi ab kabhi alag na ho .![]()