Update:-113 (G)
Mahakaal ka sawaroop the aaj dono... Bahte khun ki garmi dur tak mehsus ki ja skati thi. Inke badhte kadam khauff ke parichayak the... Na khud par raham kiye na dhusmano par...
Nandni jo viman me baithi bahar ka najara dekh rahi thi. Kafi lamba samay ho gaya tha usse bhi baithe-baithe… Bardast ke bahar... Upar se poori kataar kewal pichhe se aage badhte huye najar aa rahi thi, jabki Nandni ko to dekhna tha poori kataar ke Kate badan ek sath hawa me, jo ki pichhle kayi ghante se nahi ho raha tha… Chinta aur pareshani to sabko thi, lekin Nandni ki seema paar kar gayi thi… rah-rah kar ek hi khyal aata.…
"Sangathit log jab Nischal aur Serin ki raftaar rok sakte hain to thoda-thoda kar'ke usse ghayal bhi kar sakte hain... Aur ye itni vishal fauj hai ki gujarte waqt ke sath unka thoda bhi, Nischal aur Serin kr liye bahut jyada sabit hoga"… Fikr itni thi ki wah gahri shwans leti apne aankhon se gire aanshu ko ponchhti kuchh sochi aur sabko bahar aane boli...
Niche aa'kar pahla sawal Aerobok se hi kee... "Dono akele lad rahe hai aur iss baar koi line kat nahi rahi?? Dono ke raftaar ko rok'kar jaise ladai kar rahe hai dushman... Aerobok tum humla kyon nahi kar rahe"…
Aerobok:- Aise sangathit humle ke liye hume prasikshan nahi mila hai, isliye hume dur rahne ke liye kaha gaya hai… ladne gaye to bhi marenge, aur aage jab jaroorat hogi tab hum nahi honge, isliye Sahjade ne hume hold par daala hai..
Nandni... "Mujhe batao fir tumhe prashikshan kis baat ki mili hai"… ..
Aerobok:- Hum unhe bhumigat kar nahi sakte... Bhid me ladne gaye to bich me fansa'kar wo maar denge... Jab ladai me in dono ke kaam hi nahi aaye, fir faltu ka marne kayon jana aisa Sahjade ka kahna hai...
Nandni:- Tumhare ek ke jahar ka asar nahi hoga shayad, wahin yadi ek sath kayi log jahar ko hawa me chhodo to...
Aerobok:- Hmmmm !!!! Zahar ander ghus'kar jala dega...
Nandni:- To ruke kyon ho jaoooo abhi... Bhid ka dhyan khincho... Zahar hawa me itna gholo ki shwans na le paye…
HuYu:- Ruko... Nischal ka samjh me aaya lekin Serin jab zahar ko shwans ke jariye legi...
Nandni:- Mask banao jhatpat fir, bina der kiye...
HuYu:- Aise mask to har space ship me hote hain... Lekin wahan tak pahunchaye kaun...
Nandni:- Aerobok sabko taiyar rakho aur mere ishare ka intzar karna... HuYu sabhi complete suit wale ko lekar bahar aao.... Ab agar giants football khelne aayenge to hum unhe acche se football khilayenge...
HuYu:- Wo kaise... Jaise abhi wo Canon aur Saras apne viman me baith'kar, apne aircrafts ko command de rahe hain aur niche se anti blastic missile se dushman ke missiles ko rok bhi rahe... Waise hi ab teesra kaam bhi karenge.. hawa me giants ke sar ko missile se nishana banayenge... Jaise unke missile hawa me kaam kar rahe waise humare bhi karenge…
Darasal pichhe kayi ghanton se ye log bhi apne ore se naakaam kosis kar chuke the.. Sangathit army ke charo ore arbon giants khade the, jo kisi ko madad ke liye ander pahunchne hi nahi de rahe the... Utne bade sharir ke sath, Nischal ki tarah tej daurna sabke liye sar dard bana tha aur koi chah'kar bhi unki madad ke liye ab tak nahi pahuncha paya tha...
Duhman jaise poori taiyari kar'ke aaye ho ki pahle kisi tarah dono bhai-bahan ko maar girao, uske baad to aaram se shikar hoga… aur shayad apne iss maksad wo log safal hote bhi najar aa rahe the...
Nandni HuYu ko lagbhag order deti hui kahne lagi... Jakar cordinate karo aur dragon babies ko missile command dene kaho... In logon ki commanding kamal ki hai, sab Nischal ke sath the... Aur ander jakar mask lao aur mask ke sath Sonu ko bhi bhejna... Jarra main mask un tak pahuncha dun... Chalo aalsiyon jarra kaam kar lo... Kewal wahi dono heros nahi hai... Hum sab me ek hero basta hai...
Humle ki nayi niti tayar thi. Ek baar fir 30 complete mettelic suit hawa me udde... Unke uddne ke sath hi aaram kar rahe giants bhi uth khade huye... Issi bich Nandni, aur Sonu… dono complete matellic suit ke sath ander yudhh ke maidan ke ore badhe…
Dragon baby Sonu yun to aaram se Saras aur Canon ke sath hi baitha tha, lekin tab se baith'kar wo chhote aircaft ko hi dekh raha tha. Kaise wo size me chhota sa aircrafts, bhid me ghus'kar humla karte aur apne se vishal dhusmano ke bich se nikalte...
Nandni ke baithne ke sath hi... "Maasi seat belt bandh lo kyonki hawa me Gulati bhi khana par sakta hai... Isliye taiyar rahna"…
Nandni:- Chal jhampa aaj in champa ko masakali banana hai...
"Lo hum udd chale fir dhushmano ke bich"…. Bade-bade giants ke bich se ghusa Sonu.… "Maasi hum jab baba aur bua ke pass honge tab unke dayen-bayen lagataar humla kar'ke dhuwan-dhuwan kar denge. Taki unhe mask lagane ka mauka mile, fir hum wapas honge... Taiyar...
Nandni:- Haan bilkul taiyar...
Hawa me poori unchai liya Sonu. Iss bich Nandni metallic suit ke weapons on ki... Fire on command... Suit ke fire ke sath hi bijli ke kamal ke 1 megawatt ka single jhatka taiyar tha...
Sonu, unchai par gaya aur teji se dive lagaate huye kahne laga... "Massi ye giants kafi tej hai dikhenge nahi... Aap bus in giants ko chaunka do, taki hume ander jane ka mauka mile...
Nandni ne haami bhadi aur dive ke kuchh der baad hi Nandni ne fir se aag ka dariya banaya aur solon ke dariya ke bich tej current ka ek poora jaal faila dee.
"Uffffff wo giants"… bahut der se shant iss mahol me Nandni ne khuff ka manjar ek baar fir dikhaya... Aag to badan ko matr jala rahi thi, jo unki chamri ke karan thodi beasar si thi jabki ek megawatt ki bijli unke dil ki dhadkan rok chuki hoti…
Nandni to bus hawa me charo ore aag aur bijli chala rahi thi… wahin Sonu hawa me achanak hi kayi sari kalabajiyan karta, bilkul chhote se aircraft ki tarah... Dono ko kuchh dikh nahi raha hota, lekin thoda niche aate tab pata chalta hawa me aag lagi thi aur tej bijli ke jhatke se hawa me uchhla giant jamin par gir raha hota...
Giants me gati thi aur wo giants bhi Nischal ki tarah daur sakte the, jo dikhta nahi tha... Aur unke issi strong point ke karan HuYu ke dimag ki batti bhi jali. HuYu apni team ko naag dansh ki seema ke aas-pass hi rakhe tha... Giants chal rahi ladai me ghus nahi sakte the isliye kinare se hi lambi kataar ki deewar banaye khade the... Sabhi 30 logon ne high laser ka humla kiya... Hona to iss se kuchh nahi tha lekin giants par huye achanak iss humle ne unhe bhi chauka diya...
Pichhe khade giants ke sathi bhannaye, jaise aage walon se kah rahe ho, "in tuchh logon ki itni himmat". Idhar HuYu ke aadesh the, humla karo aur bina ruke naag-dansh ki seema me ghuso… Ek chhoti si kosis uksane ki aur unhe dikhane ki, kee wo naag-dansh ki seema se bahar aa'kar humla kar rahe hain... Giants me gati thi aur unhe pata tha ki palak jhapakte hi wo sabko daboch lenge..
Ek chhota sa dav aur fans gaye caroro giants iss chakkar me... HuYu & team humla karne ke sath hi seema me ghuse… Unhe to pata bhi nahi tha ki koi daura bhi hai... Lekin idhar ye, aadhe inch ke fasle ko tay kar'ke seema me pahunche aur udhar najron ke samne charo ore rakh hi rakh uddna shuru ho raha tha…
Saikron hi mare the abhi arbon baki the aur iss giants sena ke ander command nahi hi tha. Bhid bari thi lekin shurwat ho gayi thi… Kisi ko apne sathi ke marne ka afsos ho ki na ho lekin samne se unhe raakh bankar hawa me bikharte dekh, in maha daanav ke ego ko thes to pahuncha hi tha...
Naag-dansh ki seema se bahar dekh'kar jahan pahla khep saikda tha, wahin dusra khep hazar ka hua aur teesra lakhon ka... Naag-dansh ki seema me ghuste hi sidha raakh hi bante... Aise raakh bankar udd rahe the, jaise aag me raakh bana kagaj, hawa ke jhonkon par uddata hai... Aur inki gati hi ab inka kaal thi, kyonki lakhon ki bhid ka ek khep matr 1 second me khatm ho raha tha... Aur ego aisa hurt hua tha ki 10 second se HuYu & team ko maarne ki kosis jari thi aur humle rukne ka naam nahi le raha tha.
Idhar Sonu ke pass to jaise divya dristi thi... Haalanki divya dristi nahi thi, balki iss baar wo apne instinct par kaam kar raha tha... Hawa ki dwani prakahne ki kashmta jo har panchhi ke ander hoti hai.. aur issi andaje se, samne se aa rahe giants se bachte huye uspar humla kar raha tha aur karwa bhi raha tha...
Nandni bhannayi... "Ye sale laton ke bhoot... Beta tu aage badh Nischal aur Serin ke ore, ye harami jo boreder khinche hain, unhe main maza chakha dun"…
Nandni ne Apne hath ghuma'kar, yun kafi dur se lahrati hui, gol-gol jalebi path banane lagi.… Shayad ungli 1 ya 2 kilometer ke kshetr tak ka ishara kar gayi ho. Utni dur se ugli ke ishare se gol-gol jalebi ka path banate hui.. Aakhir aate aate Sonu ke charo ore hi ek electrical path bana diya Nandni ne. Uss path se lagatar 5 megawatt ki supply jari thi... "Aa jaa harami daurte huye… naa dikh mujhe..... Sonu maar sale ko samne se aise wave ki sine ke aad paar ho jaye..."…
Idhar Nandni ka kahna tha, udhar Sonu ne diya ek jhannatedar wave jo hawa me... Misisle firne jaisa sound karta, 1 sidhi line me khade 8-10 giants ka sina faadta hua nikal gaya... "Shabaas beta... Ab ek kaam kar apni jahag ruk aur hawa me dayen-bayen se aise hi sina faad wave chhodta rah"...
Bhanna se gaye sabhi giants. Paglon ki tarah ab inke ore bhi daur laga diye aur dur se hi jab pahle giant ko jhatka laga to uske pichhe aa rahe dusra fir teesare…. Wahan lakho giants the, jo kisi na kisi vidhi ek dusre se chipke the... "Sale harami, 5 mega watt bijli kha'kar bhi khade hain"..
Sonu, hanste huye... "Bhag le maasi hum, mujhe ander ghusne ka rasta dikh raha hai... Warna bijli ke jhatke se abhi to apna sir pit rahe hain, kuch der baad hume football bana'kar pitenge"…
Nandni:- Haan haan... Nikal-nikal..
Idhar Nischal aur Serin… dono rakt me sarobar, apne badan me caroron kanton ka dard aur vish chubhoye... Bina ruke aur bina raham kiye, lagatar lad rahe the... Kabhi dono dayen se bayen badhte to kabhi bayen se dayen.… "Nischal, bhai main aur nahi sambhal sakti... Meri himmat toot rahi hai... Gala sukh raha hai"..
Nischal:- Kaam kar le aalsi... Aaj pahli baar to dhang se ladne aayi hai....
Serin:- Ye harami kanten chubho rahe hain... Janta bhi hai kahan-kahan chubhen hain... Tu to khula badan hai.. dekh apne suje badan ko... Main ye tight kapdon me hun aur ander se poora sooja hua hai...
Nischal ek jhalak apne badan ko dekhte.… Jo ajib hi tarike se sooja hua tha... "Aahhh"… Nischal samne wale ko ek laat maar'kar dur kiya aur apni talvar lahrate... "Harami baat kar raha tha... Sence nahi hai kya... Bhonk diya..."
Serin:- Mar to nahi raha bata de to main bhagne ka intzam karungi...
Nischal:- Nahi upar body talvar se cover tha to haamiyon ne paun me khanjar ghop diya...
Serin:- Ek kaam kar baith ja araam se. In salon ke paun kaat'te hain... Pichhe wale jab'tak khabar denge.. hum 1-2 lakh lash to paun kaat-kaat'kar gira denge..
Nischal:- Haan ye sahi hai...
Dono teji se baithe aur utni hi teji se dono ki dard bhadi aaahh nikal rahi thi... Taareef me itne kaatne ghuse the ki teji se jhukte hi aankhon me iss dard ke aanshu to jaroor aa gaye the. Khair dono dard me to chinkhe, lekin sath hi sath, talvar lahra'kar, paun bhi ek hi baar me kaat diye... Aage walon ke girte hi picche wale utne hi teji se aage aaye.
Niche baithne se itna sukoon tha ki ab khud ko bachame ke liye dimag nahi lagana tha, kyonki jo bhi teji se aata, upar dekhte huye hi aata. Ab to bus kaatna tha aur dono dhanadhan paun kaate ja rahe the...
"Kamine jodi ke gulaam, yudhh ke maidan me tera dimag kaam karna band kar diya hai. Tu sanyasi ho jata wahi achha tha… Itni der se thaka raha tha... Aise baith'kar pahle humla nahi kar sakta tha... Dekh to inko, khali jagah bharne ki itni jaldi hai ki, aage aaye ja rahe aur niche se 1 fit chhota ho'kar girte ja rahe"…
Lagbhag 4 round sabke paun kaatne ke baad yudhh jaise viram sa ho gaya tha aur dono samne ka najara dekh, apne muh par haath rakhe... "Aur aaram se humla kar le... Ye sabhi kamine to dur hi aaram se baith gaye, hume gherkar... Ab agar ye log humla karne ke liye 2 circle banaye na, fir batata hun... Ye na ki 2 round paun kaat'kar khade ho jao... Ab karenge ye hum dono ko niche se 6 in chhota… dekh to aage badh bhi nahi rahe hain.. aaram se fail'kar baithe hain"..
Nischal aur Serin ek baar khade ho'kar dekhe... Poore maidan ke sainik baith gaye the... Serin mathe par hath rakhti... "Yaar sach me, yadi double circle me, ek khade aur ek baithe circle ke sath humla hua tab to hum gaye"…
"Aaram se patlthi laga'kar baith... Kaanton se vayumandaliya aavran bacha lega... Thodi der shwans le le"…
"Nischal blood circulation dhima hua to hume nind aa jayegi... Poore badan me chhed kar diya hai haramiyo ne"..
"Ab kya kar sakte hain… bina external help ke hum bure fase hain"…
"Ye sale pahle to aise na the... Ye jitne bhi tough wale dushman hote hain, sab humare nasib me kyon hote hain... Bhej dete bhabhi ke pass... Uske pass thi to in sab se nipatne ki shakti hai"…
"Tapak jati wo bhi... Sale bahut harami fauj lagte hain aur utne hi dhit bhi"…
Tabhi Serin ko Sonu aur Nandni dikhi... "Aahhh bhagwan aaya prithvi ka... Hath jod le re... Kya timing hai"…
Jagah itni khali thi ki Sonu aaram se land kiya... Nandni ke niche utarte hi Nischal bina ruke... "Bilkul muh par dono tape laga lo... Nandu tere pass 10 minute ka waqt hai.. nahi to humara marna tay hai"…
Serin:- Aur haan look, reaction aur kya kyon jaise sawal baad me...
Nandni:- Ye mask laga lo Serin, hum Zahar ko yahan ki hawa me gholne wale hain…
Nischal:- Achha hai yaar... Jhatpat jao... Doc sahab ko raste se hi bata dena ki humare jadi buti wali drink ka bag nikal'kar rakhe... Bag collect kar aur laut'te waqt, 20, 30 zaharbaaj Nilbhutiyon ko load kar'ke le aana... Jaldi bhaag ab...
Update:-113 (H)
Nandni:- Tera dimag kaam na kar raha... Wo bhumigat ho'kar bhi aa sakte the...
Nischal:- Tabhi tu Sonu ke sath gulatiyan khati aayi hai... Unhe nahi bhej sakti thi...
Nandni, gusse me Nischal ko ghurti... "Teri ye gende si sooji shakal aisi hi permanent ho jaye to achha hai... Bilkul baingan shape me suji hui... Gadhe, kinare par bhi najar dal jo ye giant fauj poore maidan ko kinare se gher kar deewar banaye hai. Nilbhut bhumigat ho'kar unke pass se gujarte to wo giants jamin ke ander se unhe khinch lete"…
Serin:- 10 minute ke 2 minute to yahin tum dono ke bahas me khatm ho gaye...
"Iss gadhe ko samjhao, main chali"… Nandni turant wahan se nikli, uske jaate hi, Serin ek kataa sar utha'kar thodi dur par baithe sainik ke ore fenkte... "Oye harami, iss fauj ki koi reserve tukdi bhi rakhe ho ya jitne dikh rahe hain utne hi ho"…
Ek sainik:- Haramiyon tum aate kyon nahi humla karne... Raham na karne wali baat to samjh gaya... Lekin "Na rukenge" wala dialogue kya apne maa ke yaar ko suna rahi thi, jo unke marte hi ruk gaye...
Serin:- Bahut charbi chadhi hai tere upar… teri to charbi utarni hogi re...
Nischal:- Haramiyon ki juban hi gandi hai... Humari maa ke bare me bolta hai badbola...
Serin:- Gala to uska katega hi chahe tu kaat ya main… ghanto se lad rahe hain... Aise ladte rahe to inhe maarne me mahino lag jayeng.. Aur haan aise haalat me hum inke samne aur 1 ghanta nahi tik payenge… mahino ladne ki to dur ki baat hai...
Nischal:- Hmmm !! Tu ye soch rahi hai... Lekin ab gati badhane ko taiyar ho ja... Kyonki kuchh to ran'niti nandni bana chuki hai... Tabhi yahan pahunchi... Aur wo jo bhi ran'niti banayegi, hum sab ke liye naya hoga... Ye sainik jaise hi surprise honge aur bus toot parna hai. Lekin meri chinta wo nahi hai...
Serin:- To fir kya hai??
Nischal:- Iske baad in logon ne kaun sa surprise rakha hai... Inke hisab se 6000 carore ki inki fauj hai... Aur abhi tak humne 800 se 900 carore mare honge... Baki ke reserve to jamin se hi niklenge...
Serin:- Ek kaam kar inka commandar ko maar kyonki mujhe lagta hai poora operation ek team kar raha hai... Jo Hella aur Messa ke karibi honge... Wo mar gaye fir inko naye formation ki jankari nahi milegi… tab hum bakiyon ko unki manjil par aaj hi pahuncha denge...
Nischal:- Kahin ye total command Astak to na de raha... Jab se usse maine laat maari hai, wo tab se gayab hai maidan se... Vardali ne kaha tha ki uska commander jaise hi marega Astak khud command sambhalne aayega... Aur Surpmarich to kabka maara gaya aur dusre planet se inka sampark nahi...
Serin:- Ho sakta hai... Matlab isne koi yahan network develope kiya hoga aur uss waqt jo hume uksa raha tha wo mukhauta tha. Usne mukhaute ko humare samne rakha taki hum usse commander samjhe...
Nischal:- Nandni ko aane de... HuYu tak sandesh pahunchana hoga ki unke networking ko tod de taki jamin se upar hawa me jo aartllary humla ho raha hai, wo kam se kam ruk jaye taki apne millitary commader niche ki ladai ke liye active ho.. Ek baar unka Central command gaya fir hum bhi aage badhte rahenge…
Aisa nahi tha ki dono kewal baten hi kar rahe the... Balki dono apne charo ore bakayda vayumandaliya aavran banaye huye the... Nischal aur Serin samne baithe fauj ko hi dekh rahe the... Wo fauj ab jaan chuki thi ki jitna faila'kar rahenge, unhe dono par humla karne me aasan hoga aur jit bhi jayenge... Isliye aaram se baithe bus Nischal aur Serin ke humle ka intzar kar rahe the…
Idhar Nandni correct 10 minute baad pahunchi, aur upar se hi bag unke ore uchhalti... "Mask lagane ke baad Aerobok ko bula lena, wo ye jagah surakhit kar dega... Tum dono ke badan kafi suje huye hain… bina rest ke ladai nahi kar paoge"..
Nischal:- Aree bachoo...
Nandni jabtak baat kar rahi thi tabtak hazaro bomb Nandni aur Sonu ke ore pahunche… Sonu jhat se dive lagaya wahin dono ke complete mettalic suit total protection mode par aa gaye the. Bachne ke soorat me Complete mettalic suit ke bich 2 layer me hard spring active tha jhatka jhalne ke liye aur poora face bhi cover tha dono ke. Wahin aankhon ke upar hard sisa aur sise par chhota viper chal raha tha... Muh jahan par tha uske pichhe Mike aur aage speaker laga tha…
"Chinta mat karo mujhe kuchh nahi hoga. Dono rest kar lo. Jamini humla Nilbhut surakhsit kar denge... Baki ladai ke maidan me aur bhi hero hain, wo kab herogiri dikhayenge. Humare pass 1 crore 70 lakh ke karib zahar se marne wale sainik kab kaam aayenge"…
Nandni apni baat kahti hui wahan se turant nikli aur sidha pahunchi Saras aur Canon ke pass.… "Aap dono kuchh nahi kar sakte kya, humare pass matr ek team hai aur unke pass army ka amabaar"…
Canon aur Saras dono ek dusre ka muh dekhte... "Tumhare pass jo tecnology expert hai usse bhej do, aur 10 minute do, kuchh jugad lagata hun... Hello boys, we need some support on groung need a complete battalion… 30 log chahiye turant"..
Nandni, wahan se gayi bache huye dragon babies ke pass inhe command samjhati hui kahne lagi.. "hawa se ek bhi ye kale bomb Nischal ke area ke aas pass nahi blast hona chahiye"
Idhar jab'tak HuYu bhi pahunch chuka tha… uski technical team Canon aur Saras se baat kar rahi thi... Issi bich Canon aur Saras dono ne Nandni ko bulaya... "Maim, kya yahan ke air strike ka command yahin ke log de rahe hain"…
Nandni:- Haan kya hua so...
Saras:- Agar air strike ka command band ho jaye to niche ka maidan hum jit lenge… main kab se ek baat par kafi gaur kar raha hun, lekin uske liye humare aircrafts free hone chahiye…
Nandni:- Abhi main HuYu se unhi command ke upar baat karne aayi thi... Kaise bhi kar'ke unka Central command khatm karna hai… Haan lekin yudh ke maidan me, Nischal aur Serin buri tarah fanse hain... Unki haalat thik nahi...
Saras:- Main unhe mark kar lunga, aur total support milega bus missile humle band karwa dijiye... Aap command cut karwaeye yadi mera ganit sahi hua to agle 2 gahnte me hum unse jung jit jayenge... Fir ye purane daur ke talvar takra'kar ek-ek kar'ke maarna nahi hoga... Hum wo karenge jisme hum mahir hai... Ek missile aur 50km ka area saaf...
Nandni ummid bahdi najron se dekhti, HuYu se kaam karwane lagi aur idhar dono earth ke air strike commander aur uske sahayak nayi ran'niti tay karne lage… takriban aadhe ghante lage, lekin HuYu unke system me tha... "Nandni done"… idhar se Nandni ne un dono (Saras aur Canon) ko done kiya...
Saras aur Canon ne area mark kiya jahan Nischal aur Serin the. 2 carore aircrats me se kitne aircrafts bache the, uski ginti na karte, Saras ne 1 carore aircraft ko apne pichhe, ladai se nikal'kar niche bulaya aur unme se 20 lakh air crafts ko order dete...
"Boys tumhare jet ko kuchh nahi hoga... Humare pass kewal 1 mauka hai… isliye pahle 20 lakh plane poore maidan ko gerenge... Reserve area effect kiye bina sare aretellary ko burust fire do.….. plane jahan giregi wahan kewal jamin ke niche aakar khade ho jana... Tumhe safely rescue kar liya jayega"...
Idhar Serin ne jaise hi apna mask lagaya waise hi Nischal ne sabko bahar bula liya... Nischal ne to 30 ko hi bulaya tha lekin wahan takriban 1 lakh sarp upar aaye jo pura hi Nischal aur Serin ko dhak diye aur dekhte hi dekhte wahan aas-pass baithe sainikon me bhagdar hone lagi...
Central command se un sainikon ka Sampark toot gaya tha, isliye aise zahar ke situatiom me kaise humla karna hai uska koi jawab nahi aa raha tha... Jabki un gadhon ko apne poshak ki technology tak pata nahi thi, jo unhe complete mask kar sakte the…
Jaise-jaise wahan me sainik zahar ki chapet me aa rahe the, wo jagah logon ke maut ya bhagdar ke sath khali ho rahi thi. Saanp failte huye jamin par aage badh rahe the aur dono (Nischal aur Serin) ke upar se hathane lage...
Dono ki haalat itni kharab thi ki jaldi se body cell recovery drink, energy drink aur na jane kaun-kaun sa drink piya dono ne... Aur drink pite hi jaise behosi sa chhane laga tha... Idhar 30 air force soldires ki team complete metllic suit pahne uss complete suit ko hi viman banaye huye the...
Jab wo 30 log mark area me pahunche, tab paya ki Nischal aur Serin bilkul behosh pare hain... Un 30 logon ne dono ko utha kar le jane ki kosis ki, lekin jahan soye the uske 100 meter ka dayra bhi cross nahi kar paye aur tab unhe pata chala vayumandaliya aavran ke bare me...
Wo kya karne wale hain iss baat ki suchna de'kar Nilbhut se puchhne lage ki ye cover kitna safe hai... Tab ek Nilbhut sainik kahne laga... Kitne bhi atom bomb gira lo kuchh nahi hoga, lekin humare dushman iss cover ko tod denge...
Uss team ne turant poori suchna apne commander tak pahunchayi… Nilbhut sainikon ko sari baat samjha'kar wahan se 5 minute baad bhumigat hone ke oreder mil gaye... In 5 minute me in logon ne itna zahar chhod diya ki agle 10 minute tak ek kilometer tak koi pass na aa paye...
Ab tak to khauff tukdon me mil raha tha lekin tooti-footi planning hote-hote, anth me 2 sena-naykon ne yahan ke natur me loop dhundh liya tha... 20 lakh viman uss lakhon varg kilometer me phaile ladai ke maidan ke har hisse me thi... Single order aur sabhi misile jamin se hi chipka'kar chhod di gayi...
Brust fire ke sath koi missile 10 komorer tak gaya aur 50 Km ke kshetr ka blast range diya to koi missile 1 km par 10km ka blast range... 1 baar me 1 jet se, jamin se jamin par chhote bade 1000 missile chhode gaye, jo poore yudhh ke maidan ko tabah kar chuke the. Sath me unka khud ka plane kahan aur kitni dur ja gira, unhe khud pata nahi... Yadi ye Hyber metal ka viman na hota to samadhi ban'ni tay thi...
Ek sath ek hi waqt me sabhi 20 lakh viman ki sari missiles chhodi gayi... Ek hi baar me lagbhag 1500 carore ki fauj saaf ho chuki thi. Jamin se maar karne wala atterllary system sab barbaad... Air strike ka command khatm tha sath me dushman ke humle bhi band. Fir to upar ke aircrafts ab pooro azadi se un 1000 carore me se bache-khuche vimano ke bede ko samapt karne me lage huye the...
Niche dil dahla dene wale visphot ke sath, poora ladai ka maidan dhuwan-dhuwan tha.. Maidan saaf ho chuka tha, fir bhi Canon aur Saras ne kisi ko jshn nahi manane diya aur complete metallic suit ke jawano ko Nischal aur Serin ko dekhne bheje…. Dono aaram se sukoon ki nind n le rahe the…. Idhar sabhi Nilbhut samuday ke log kayi group me bantkar, aircraft aur uske pilot ko bhumigat karke, mukhya viman ke pichhe la rahe the...
Sainikon ko to rok liye lekin ye bacche.… jit ki hooting ke sath hi, dragon babies ne viman ke shape ko thoda change karke, apne viman ke missiles ko jamin ke satah se chipka chuke the...
Poore maidan me dhuwan hi dhuwan tha aur dhuwan jab dhire-dhire chhantne laga tab wapas se poora maidan bhada tha… Saras aur Canon unhe dekhte.… "As aspected... Welcome dear"… 20 lakh pilot aur taiyar the… 500 se 800 carore sainikon ki capacity wapas se uss maidan me thi, aur lakho varg kilometer me kewal aur kewal khachakhach log bhade the... Ab to ladai technology vs vayumandaliya energy aur talvar-bhale ki rah gayi thi... Mahaj 15 minute me postion, 10 minute ki firing aur poora ilaka saaf...
"Uthoooo... Uthoooo... Uthhh jaoooo"… Nsichal aur Serin ko jaise ek hi sapna aa raha tha... Dono behosi se bahar to aa rahe the lekin ek ke dimag ke ander HuYu to dusre ke dimag ke ander Jivisha thi. Aur dono ko chum'kar uthaya ja raha tha... Dono ek sath hi aankeh khole aur mithi si angdai lekar… "Hum kahan hai... Yudhh samapt ho gayi kya"…
Bahar se Nandni uss vayumandaliya aavran par laat maarti... "Haramkhor bahar aao dono abhi... Kamino yudhh ke maindan me so gaye"…
Nischal:- Serin ye pagal ho gayi... Ghera khol...
Nischal apne energy dring ka ek ghunt pite huye khada hokar mast angdai liya... Pichhe se Nandni kya kah rahi kaun sunta hai… jamhai.. angdai aur kamar ko lachcka'kar aahhh karte jaise thoda pichhe muda... "Woooo ye kya bala hai"..
Nandni bijli ka ek karara jhatka deti, apne fauj ne ne 3000 se 3500 carore fauj ko kaise khathm kiye usse batane ke baad kahne lagi... "Lagbhag 2 ghante tak koi nahi bahar aaya aur jab bahar aaya to pahle ye namuna aaya aur baad me ye maidan sainikon se bhadi thi. lekin wo sainik kisi aur ka shikar ho rahe hain, khud dekh le...
Samne Astak giant bana tha... Kilometer lamba giant, shayad 2 km lambai ho... Uska sar 100 km dur se bhi dekhne par bada aur bhayanak dikh raha tha. Uske ek ungli par to poora ek aircraft land kar jata... Khair giant hona to kharnaak nahi hi tha, lekin jo wo kar raha tha, khatarnaak...
Halka jhuka bada sa muh khola aur uska wo 300-400 fit wala chauda muh jab khulta, saaf najar aa raha tha ek line si bani thi khinchne ki... Uske khud ke vansajon ki to upar se lekar niche tak rail bani hui thi jo muh ke ander gapagap nigalta chala ja raha tha. Bechare wahan ke anya shukshm aur kide-makode. Uske sath jamin ke kide makode, wahan ki ghas, lavan, dhatu sab wo chaba raha tha... Shayad kankad ki bhanti Hyber metel ka koi aircraft muh me aaya tha... Jab hatheli upar kar'ke uss viman ko muh se nikal'kar fenk raha tha, Nischal aur Serin ki aankhen badi ho gayi...
Serin:- Saala kismat hi jhand hai... Puchh apni jodi se udhar kaun sa mantr foonk rahi hai, jo ek ke baad ek musibat humari badhti ja rahi hai... Kuchh musibat bol khud bhi wahan le le...
Nischal:- 20 lakh ladies, kuchh bacche aur Shwetna ke sath to gayi hai... Sabse kamjor team to wahi le'kar gayi hai...
Serin:- Haan lekin wo jadugarni akele hum jaison ke 100 ke barabar hai. Nilbhut samuday ka to compare mat kar apni biwi se... 1 lakh striyon ke barabar to uska naag phans sammohan hai... Sab ko akele nanga nacha degi wo...
Nischal:- Ab kya usse yahan bula lun, aur bol dun ladne ke liye...
Nandni:- Areee jahilon... Wo humari ore badh raha hai...
Nischal aur Serin dono ek sath... "To kaam ki baat pahle batani thi na... Sab try kar chuke hoge tum sab"…
Nandni:- Haan...
Serin aur Nischal dono ek dusre ko dekhte... Aapas me najron se hi kuchh salaah mashwara kar rahe ho... "Ek try ya sidha attack"
Nischal:- Tu kya kahti hai...
Serin:- Hathoda aur sidha aatack par uss se pahle wo Roffa se laya gift pahan le...
Nischal:- Kahan hai gift…
Serin, HuYu ko sandesh bheji aur wo le'kar pahunchs Roffa space station ka gift... Serin, dane jaise motiyon ki ek patli chain Nischal ke hath par bandhti…. "Kabhi-kabhi badi ladai me aise chhoti-chhoti chijen kaam aati hai"… Serin bhi wo chain apne kalai me dali...
Nischal:- Aur ye chhoti chij hai kya...
Serin:- Prime Universe ke kisi planet ka hai... Exact pata nahi kaun se planet ka hai… chhote-chhote dane jitne nayab patthar, jo kisi bhi khichav ke force ko zero kar dete hai..
Nischal, ek baar Astak ko dekhte... "Abhi ke waqt ke liye to yahi Jivan hai... Jis hisab ka giant hai mujhe doubt hai ki iss par kisi bhi chij ka asar hoga...
Update:-113 (J)
Aircraft me chain phansa'kar, half circle gardan ke pichhe se, round maar'kar ek kaan se dusre kaan tak pahunch gaya... Bina samay gawaye, visohot ki raushni nikalte "dhammm dhammm dhammm dhammmm" ki awaz aur laga'tar punch ki bauchhar kar diya...
Ek baar fir Astak ke poore sarir par hazaron hath nikal aaye. Ek baar fir Nischal par thap dene badhe ye extra hath. Nischal ke sharir ko jaise hi parchhayi ne ghera, Nischal kud'kar, Astak ke badan se nikle hazaron hath me se ek par kuda.
Kuda me toofan samete. Hathon me khanjar tha aur nikle har hath par 2 aankhen tukur-tukur charo ore dekh rahi thi. Hawa se ek khanjar kisi ek aankh me ghusa aur fir visphot ki raushni ke sath "dhammmm, dhammmm, dhammmm, dhammmm", ki awaz shuru thi.
Kahar ab double dose me shuru hua. Serin jo ek minute ke liye uljhi thi, wo bhi hawa se chhalang lagati kud chuki thi kisi ek hath par... Khanjar ghus chuke the uss nikle hath ke aankhon me aur raushni ke sath visphotak punch lagne shuru ho chuke the.
Yahan fir dono ne 1 second ka bhi waqt na liya maarne ka. Astak ke badan se nikle extra hath par dhapa'dhap fraction second me 100 punch chalate aur hawa me chhalang laga'kar, khanjar ghused'te dusre hath par. Dhapa'dhap visphot ki raushni ke sath 100 punch aur fir hawa me chhalang.
Mahaj 10 second me dono pith par nikle kayi hath ki thukai kar chuke the. Serin ne bus ek chhota sa ishara kiya aur dono kud'kar jab hath badal rahe the, Nischal ne ek baar fir Serin ko hawa me upar uchhal diya aur khud dure hath par land kar chuka tha...
Pith par se Nischal ko bhagane me Astak ka extra haath jab kaam na aaye, tab sale ne apna body ke shape ko ghuma diya … Turant hi sab hath gayab aur pith ke ore ulta hath sidha ho gaya... Issi bich Serin uske kaan par land ki... Dhapa'dhap visphitak raushni wali 1000 punch jadti wo viman ka me chain fasayi aur ghum'kar circle leti pith par...
Thik virtible column ke bich me pahunch gayi aur khanjar se virtibral line ke bich atki... 1 sec ke hazar punch.. jabtak hath ki parchhayi pahunchi Serin drop aur niche khanjar ghuskara 1000 punch... Viman charo ore gulati kha'kar aur kartab dikha'kar mandra rahe the...
Bindu jaise 2 insan baar-baar Astak ke najron ke samne se gujar raha tha... Chhote-chhote aircrafts makkhi ki bhinbhina rahe the… Kalpna se bhi pare ye sahas thi, kyonki Astak ki najar jaise hi uth'ti laser ki rauhni aircraft ko bhedne nikal jati aur thik ussi waqt Nischal aur Serin un aircrafts ko chain me fansa'kar raushni ke niche khinch lete...
Kalpana se pade tha wo drishya... 2km ki lamabai wala ek maha daanav jiski shaktiyan anant thi, uske aas-pass makkhi ki tarah aircrafts aur usse bhi kayi guna chhote 2 insan hawa me mandra rahe the... Astak kabhi gardan dayen karta, kabhi bayen karta aur dono bhai bahan ko pakadne ki nakamyab kosis karta. To kabhi banna kar Aircrafts par humla karta... Kabhi safal hota kabhi asafal. Lekin focus dono bhai-bahan par tha aur wo hath hi nahi aa rahe the…
Ek baar me 30-40 viman ko astak jaise muh me khinchne ko hota... Kabhi Serin, to kabhi Nischal hawa se uddte, uske kano tak pahunchte aur kaan par 2 second tak visohotak punch barsa'kar gayab...
Astak na to apne hath se apne badan par koi wave chhod sakta tha aur na hi koi jadu apne body par kar sakta tha tha … Uski badi-badi aankhon se samne se Nischal aur Serin hawa me hote... Ek ko pakadne jate to dusra baja'kar nikal jate...
Hawa me udde, vishal se badan ke kisi bhi hisse me chipke aur punch barsana shuru... Adbhut najara... Har sec dono aage pichhe hawa me... Ek second dono uske badan par... Visohotak raushni ke sath "Dhamm dammm dhammm dhammmm" ki awaj aati rahi… na koi tarkib thi bachne ki aur naa hi, khud ko bhagwan kahne wala kuchh kar pa raha tha, siway apni badi aakhon ke samne se gujarte huye dekhne ke...
Bus najar uth gayi to sarir se laser takra'kar leela samapt... Lekin uski uthti najar ki gati utni nahi thi, jitni gati se Nischal aur Serin, ek dusre ko chain se khinche ke sath save karte huye, punch chala kar bhag rahe the...
Ye to one by one humla ki position varnan karne par lagta hai ki kitni der se humla ho raha hai.. lekin dono "fraction of second" me speed ka aisa istamal kar rahe the ki... Tej visphotak raushni, Dhammm dhammm dhammm dhammmm ki awaj... Aur bina ruke sharir ke kisi bhi hisse par lagataar punch se humla ho raha tha.
Charo ore Gulati khate viman, kabhi football ban jate, to kabhi Astak ke dono hath ke dayen-bayen uthne se, dhakka lag'kar idhar udhar gir Jate... Har viman me baithe pilot ko kabhi ye na laga ki uspar humla ho raha... Balki Nischal aur Serin par huye nakamyab humle ke bhul-chuk ka asar unpar ho raha tha.
Har pilot me kan me visohotak tej awaj aati... Aankhon ke same aisa lagta jaise kisi ek jagah par Visphot ki tej rausni hui aur ek rauhni band nahi hui thi, uss se pahle hi sharir ke kahin dusre hisse se bhi wahi visphotak raushni shuru thi.
Aisa lag raha tha jaise Astak ke badan se lagatar jagah-jagah se chingariyan phoot rahi ho... 2 log jo apne ladne ke kshmta me hi poori taknik develope kar chuke the… Jitni gati thi, uss se bhi jyada uss gati ke sath humla karne se le'kar, ek dusre ko shhrakshit karne ki kshmta…
Dono lagatar apne bahubal ka parichay de rahe the… unke ye visohotak punch kya asar karta ya nahi, uska aakalan to wahi dono karte. Lekin kahin dur baitha koi aur bhi ye najara apni khuli aankh se dekh rahe the aur dushman ke liye bhi uske muh se waah hi nikal raha tha...
2 dridh sankalp insan, gati aur hawa ko apna hayhiyar bana'kar, ek aise dushman se lad rahe the, jo apne aap me arbon ki sankhya wale fauj se kahin badi thi... Lekin sankhya ki parwaah hi kab kiye the dono... ..
Lagatar 1 ghante tak prahaar hota raha. Nischal aur Serin ke hath jaise machine bane huye the. Ek baar jab shuru huye rukne ka naam hi nahi liye. Khud ke vishwas aur atmbal ki kahani thi ye. Haath hi aaj hathiyar the aur sine me bhada josh bina parinaam ki parwaah kiye, visphotak raushni wale... "Dharaam dhurumm dhishumm dhishummm" punch lagaatar chalate rah gaye.
Fir wo hairatangej najara bhi sabke samne tha, jis ummid me shayad dono lagatar, 1 ghatne se Astak ke vishalkay badan par, bindu ke barabar punch se humla to kar rahe the, lekin uske vishphot ki raushni bayaan kar rahi thi ki Astak ke sharir ka kitna hissa prabhavit hua hai... Ek tana aur akda hua parvat dum tod chuka tha...
Astak ka vishalkay sharir poora toot chuka tha. Dono kandhe jhuk gaye, hath jhul raha tha... Gardan ki haddiyan jaise jawab de gayi ho aur sar jhuka hua tha. Virtibral columns ki pira itni ashaniya thi ki pahle uske dard bhari chikh charo ore gunji, baad me dard bardast to hua lekin dard ki siskiyan band na hui... Ek tana hua ahankari jiski shaktiyan kisi ne adbhut kar di thi... Jis par kisi bhi humle ka asar nahi hota, wo bindu jaise insano ke mukke se maar khaye huye tha...
Nischal aur Serin vijayi muskaan ke sath aakhri humle ke liye nikle. Toofan sa utha tha dono ke sine me aur dono ke dimag me ek jaisi ran'niti panap gayi... Fir se tej hawaon par sawar ho gaye... Kayi milon duri par tha uska apna viman aur poore raste kayi sare aircrafts... Chain fansa'kar dono khinch chale apne viman ke ore... Dono kayi mil dur aa chuke the aur Astak ka jhulta sharir dono ke najron ke samne tha...
Ek pal ka vishram dono ne liya... Dono ne dur khade, sar jhukaye uss bade aur vishalkay sharir ko dekha, jiska dum Nischal aur Serin apne punch se nikal chuke the...
Ek dusre se najar mili... Chhota sa ishara hua aur dono ne apne khanjar ke "energy releasing Stone" ko active kar diya. Ab tak jitni energy "Energy Absorbing Stone" ne khinchi thi, sab chain me bahne laga.. Dikh to nahi raha tha, lekin uss energy ko dono ke chain ke ander daudte mehsus kiya ja sakta tha... Kaplna se pare uss chain me energy daur rahi thi... Jiska calculation karne me calculator fail ho jaye...
Poori chain me "sarrrrrrrr sarrrrrrrr" ki ek ajib si sarsarahat bhikher rahi thi. Chain se tej raushni nikal rahi thi. Dono apne hath me thame the maut ka prachand hathiyar... Serin aur Nichal ne aapas me duri banayi... Dono sine me shwans bharte daud lagane ko taiyar huye... Daudne se pahle gardan ghuma'kar ek dusre ko dekhe aur fir samne….
Dono ne daudna shuru kiya. Tej si wo raftaar thi. Piche dhul aur kayi sare kano ki aandhi si uthi thi. Jahan se dono gujre... Shaynnnn-Shaynnnn karte gujre... toofan sa uth raha tha... Tej daudte huye dono ne fir mud'kar ek dusre ko dekha... Aur agle hi pal energy ki wo chain aircraft se chipki.…
Autopilot mode par hawa me khadi aircraft ko jaise hi chain ne touch kiya... Poore metallic body par tej rauhni hui. Hyber metal mask kiya aircraft dhuyen ki tarah hawa me bikhar gaya. Aag ke sole jamin se lekar aakash ko chhu rahe the…
Chain chipki bada sa visphot hua, aag ke bawandar uthe aur uss bawandar ke bich se, super speed se nikle Nischal aur Serin. Aniyantrit si gati thi dono me... Unki apni gati ko chain 4 guna jyada badha'kar khinch chuka tha… Ek pal me aag ki lapton ke paar the... Dono ke poore badan se aag aise lipti thi mano wo lapten bhi iss antim drishya ka najara lena chahti ho...
Aag ke paar huye, aur dono (Nischal aur Serin) ek dusre se najre milaya. Aankho ki sehmati ke sath hi dono ke chain ke sire jud gaye the aur chain me bahne wali energy bhi inki gati ki tarah aniyantrit thi, kyonki dono ne "Releasing Stone" ki poori energy ko khula chhod diya...
Samne 2 km uncha shikar. Nischal aur Serin ke badan se aag ki lapte uthti hui. Do kinaro se chain ko poore majbooti ke sath khinche, tej gati se badhte huye... Astak 100 kilometer dur se chain me bah rahi uss energy ko mehsus karne laga. 100 km dur uss energy ko dekhne ki kosis me sar uthana shuru kiya aur itne me Nischal aur Serin, ek sath, uske dayen aur bayen se gujar chuke the...
Kayi kilometer dur Astak ko energy mehsus hui thi, gardan jabtak upar poora uth'ta, shayannnn se dono uske kandhe ko cross kar chuke the.
Kisi makhhan par jaise garam blade ko bullet ki raftaar se aar-paar karwa diya ho. Aniyantrit tej raftaar, 2 sire se khinch'kar rakha gaya ek chain me aniyantrit urja… 100 kilometer dur jo energy mehsus hui, usse dekhne ke liye sar upar karne ki kosis. Sar utha'kar samne dekhne se pahle hi poori tarah se khincha hua chain, gale ke iss paar se le'kar uss paar tak cross kar chuka tha...
Astak ka bada sa gala dhar se alag ho'kar jamin par gir chuka tha... Chain ki energy itni prabhavshali thi ki, inch dar inch jab wo gardan se gujar rahi thi... Gardan ke upar aur niche Astak ke sharir me bhada poora khun, kisi chumbak ki tarah khinch gaya... Sari si jalne ki uski bu thi... Gala katne ke baad na to gale se khun nikla na dhar se... Bus pran nikalne tak aankh idhar udhar tukur-tukur dekhti rahi aur dhar kampan karta raha.…
Astak ka bada sa sharir niche gir chuka tha. Gala kat'kar jamin par alag gira hua tha. Nischal aur Serin dono kuchh kilometer aage land kiye. Apne chain ko alag kar'ke khanjar kamar me khose. Kisi dost ki tarah dono kandhe par hath rakhte...
Serin:- Ye navsikhiye hume formation sikha rahe the... Humari copy kar rahe the...
Nischal:- Aaram se baat karte hain… Abhi to ek hi chij ki tiwr ikchha hai...
Serin:- Haan apni biwi se milne ki hi ikchha hoga...
Dono kandhe par hath dale the... Serin ne jaise hi apna dialogue complete kiya... Nischal mud'kar usse dekha... Serin bhi usse dekh'kar hansti... "Chidh gaya haan... Soch le... Kandhe se hath hata to main ye maanugi ki tu mujhe ek laat dene wala hai... Isliye kandhe se hath hatane ki sochna bhi mat, warna main laat de chuki houngi"…
Nischal:- Haan bus yahi soch'kar kandhe se haath nahi hataya... Waise wo hathoda kamal ka tha... Next project wo hathoda... Iss baar aakar chhota denge.. vajan 500 tan aur hathoda poora Hyber metal ka banayenge...
Serin:- Duffer wo pighalta nahi hai...
Nischal:- Kandhe se hath hata kar baat karen kya... Ek laat de hi dun ja'kar kahin dur giregi, aircraft ka haal na dekhiiii.…. Aaoooo pagal... Naak tod di...
Serin:- Bakwas karega to yahi hoga... Thik hai hathoda hum dono ka next project…
Dono aaram se baat karte badh rahe the. Astak ko gire karib 2 minute ho chuke the. Yudhh viram tha. Astak vansaj atm-samarpan kar rahe the, jise Nandni ne apni badi si Nilbhut aur earth pilots ki sena se ghere khade the...
Njschal aur Serin kuchh dur kadam badhaye hi the, tabhi Jivisha ki aawaj aayi... "Shayad koi shakti hume dur se roki hui thi love... Mahal abhi-abhi poora nasht ho gaya hai"...
Idhar Jivisha ka sandesh aaya aur udhar ek sath poore maidan se sari hui badboo aani shuru ho gayi... Bina prakriti ke niyam ke ji rahe logon ka sharir galne laga... Jisme prithvi par ek vansaj Vardali ka sharir bhi tha... Jinka jivan kaal bacha tha kewal wahi jivat rahe, bakiyon ka sharir sara hua badbu kar raha tha. Sharir jamin par gal kar girta aur sari hui sharir se upje chhote pillu aur kide sharir se bahar aa rahe the... .
Nischal aur Serin dono thik se jamin par paun bhi nahi jamaye the aur agle hi pal sari si badboo aani shuru ho chuki thi... Dono bina ruke bhage... Nischal raste se naag-dansh uthaya aur sidha pahuncha viman me... Serin apne kamre me pahunchne ke raste se hi sare kapde utarne shuru kar chuki thi... Nischal ke badan par to matr chhal thi jo, shayad germ aur badboo rahit tha...
Nischal bathroom me ghuste hi nahate huye hi packup aur udan ka order de diya... Sabhi log kuchh der me wapasi huye... Udhar se Jivisha bhi nikal chuki thi... HuYu ke cease fire ka command Luna ko mil chuka tha, aur unke vimano ko safe passage dene ka order bhi... Haan lekin yahan ke bare me na hi HuYu ne koi adhikarik suchna di aur na hi Luna ko iss vishay me kisi se baat karne kaha... Kewal Luna ko itna pata tha ki sab laut rahe hain…
Luna khush thi aur khush hoti hui usne bhi order jari kar diya... "OMU ki army chief sabko order de rahi hai, boost engine par nikle... Apne war heros ko lene, hum Viggo viman ke sath yahan se nikal rahe hain. Bich ke calculated point par milenge agle kuchh der me"….
Adbhut veer rash se paripuran yudh ke maidaan se seedha parsaran hua hai chaaro update ka Nain TV se
Nischal aur serin bina soche samjhe chal toh pade maidaan me aur jald hi parshikshit sena ke aage sithil padne lage badbole
Idhar Nandu ne bhanp li dono ki peeda aur banai gajab ki ranniti aur dono ko thoda vishram dilvaya aur recover karne ki drink di gai aur itne samay me saara khel hi nipta diya apne ranbaankuro dwara Nandu ne
Ab bacha daitye raakshash astak jishki kall leela ko samapt karne ke liye rune me do nider yudhpremi nischal v serin alp vishraam ke baad parakt hue pal me hi
Astak ne bal lagaya pura
Vibhatsh rupe se bhi daraya
Har ashtr shastr ki band bajai
Ik pal me dono ko khub thakaya khub bhagaya
Per astak ik baat se chuk kha gaya dekh kar naa aaya Akshya kumar ki movie
Jishka faayda uthaaya dono ne
Taal milayi dono ne
Phir bole baap ji astak tu toh gayo
Din chaa din chaa din chaa din chaa
Mushti parhaaro se hi dheela pad gaya shaitaan
Phir chala aakhri daavn aur daitye ki gardan ko chain me fanshakar realesing stone ki puri energy se alag kar diya dhad se dono ne
Kisha khatam paisha hajam