• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Main Wapas Aawungi..............(A Suspense Thiller Story)

Ek anjaan humsafar

Well-Known Member
2,901
4,037
143
Waiting GIF by MOODMAN
 
  • Like
Reactions: Ajaykumar82

Ajaykumar82

Time & Tide Waits For None
2,753
9,227
159
Waah, dhamekedaar update ✍️ tha Bhai 👌. Phir bhi Vinod ke sar chakranewaale ghatnaayen ek ke baad ek Ghat thi jaa rahi - isme Gaur Karne ki baat yeh hui ki aakhirkaar Sakshi ki talaash mein jab Vinod Tezpur pahunch hi gaya aur us patching bhi usike pass hi this, toh Woh us address par kyon nahin Gaya sach aur raaz pata Karne, yeh hi baat hamare dimaag ki dhahi Kar daali ki aakhir yeh Kaisa 👮 plicewaala hai, itna bhi Uske zehan mein nahin aaya Khair Jo hona tha Woh ho hi Gaya (autochalak ki mouth). Agla update ✍️ Ka intezaar 😵 hai hamein
Thank you so much....for reading and appreciating this story.....sare sawalon ke jawab bahut jald milenge bus aise hi saath dete rahiyega...update bus ek ya do din mein..
 
  • Love
Reactions: Ek anjaan humsafar

Ajaykumar82

Time & Tide Waits For None
2,753
9,227
159
  • Love
Reactions: Ek anjaan humsafar

Ajaykumar82

Time & Tide Waits For None
2,753
9,227
159

Ajaykumar82

Time & Tide Waits For None
2,753
9,227
159
Update-15(A) (Megha Update)

main is case ko jitna suljhaney ki kosish kar raha hoon utna hi ye case aur bhi ulajta jaa raha hain..........itna to pukka hain ki har ek kadi ek dusare se judi hui zaroor hain..............agar ek bhi kadi sulajhi to fir sari kadiyaan sulajthi chali jayegi................magar is ek kadi ki shuuwaat main kahan se karun......................" aur vinod wahin postmortem house mein baitha fir se shuru se ek ek kadi ko jodhna shuru karta hain....................sakshi ki kahi hui batein bhi uske jehan mein thi..................dekhna tha ki wo is case ko suljha pata hain............................sakshi ki madad se................ya fir uske bina ....................ye to waqt hi batayega.....................

Ab Aage...................................................................

Kamrey mein gehri khamoshi thi......................na hi dr brij kuch keh raha tha......................aur na hi vinod...............kuch der baad vinod ka mobile baj uthatha hain...............phone kisi anjaan number se tha...................

" hello...............kaise hain aap..................inspector..............aapne pehchana mujhe....................main press reporter .................sakshi........................." udher se sakshi ki meethi awaaz goonj uthi.............. wahin vinod ke chehrey par khushiyaan jhalak padti hain...........usney sapne mein ye nahin socha tha ki sakshi usey aise phone bhi karegi................magar usney to uska number liya hi nahin tha............to fir uske pass vinod ka number kahan se aaya.................

" ohhhhhhhhhh........... kaise yaad kiya miss...............badi lambi umar hain aapki..............main is waqt aapke hi bare mein soch raha tha...................." aur vinod dheere se bol padta hain aur brij ko alvida kehta hua postmortem house se bahar ki taraf nikal padta hain...................

" waise..................aapko mera number kahan se mila..................maine to kabhi bataya nahin ...................fir........." aur vinod ke munn mein jo sawal is waqt chal rahe they aab uski jubaan par they..................wo thoda asmanjash mein nazar aa raha tha.........................

"police wale hokar chahe to is sehar ke sabhi logon ka call record aap aasani se nikalwa sakte hain................................magar aap wo karengey nahin...............khair main bhi media wali hoon..........kahin na kahin se aapka number dhoodh hi liya.................waise jankari ke liye main bata doon ki aaj shaam tak aapko is case ki ek aham saboot mil hi jayegi..............aur waise main is case mein aapke saath jud hi gayi hoon to aap bahut jaldi is case ko solve kar hi lengey.................waise aap bahut imandaar aur sachhey insaan hain...............mujhe aise log bahut pasand hain.............." aur sakshi dheere se bol padti hain wahin vinod ke chehrey par hairani ke badal they...............

" aap sach mein bemisaal hain sakshi ji............aacha lagega aap jaise log se humein dosti karke..................." kisi din fursat mein miliye to humare saath ek ek cup cofee ho jaye..............." aur vinod haule se muskurata hua bol padta hain wahin sakshi dheere se jawab deti hain..............

"da-asal mujhe in sab cheezon ka shauk nahin................magar aap is case ko solve kar lengey to meri taraf se ek badi si party..................ok.....done...........aab main rakhti hoon mera ghar aa gaya........." aur vinod issey pehle kuch aur kehta phone udher se disconnect ho jata hain wahin vinod jawab mein bus haule se muskura deta hain.........wo sakshi ke number ko apne phone mein save kar leta hain..........

" jis din ye case solve ho gaya sakshi ji...............us din to main aapko khana khud apne haathon se khilawunga................waise bhi aap jaise aachey dost ki zaroorat humesha mujhe rehti hain.............." aur vinod apne soch mein doobata chala jata hain............................
 
  • Love
Reactions: Ek anjaan humsafar

Ajaykumar82

Time & Tide Waits For None
2,753
9,227
159
Update-15 (B) (Megha Update)

******************************************************************************

shaam ka samay tha....................vinod ghar par aakar aaram kar raha tha..............tabhi uske mobile par phone ki ring baji...................phone rajesh ka tha.........................

"sir...................is case se judi ek aham saboot humare haath lagi hain.......................wo murdaghar ka chaukidaar hain na..................ram singh..............uska call trace ho gaya hain...................aaj wo seth mohanlaal se baat kar raha tha....................usney ussey contact kiya hain.......aur un dono ke beech jo bhi baat hui wo sab record bhi hua hain...............main aapko wo clip aapke paas bhej deta hoon......................" aur rajesh phone cutt kar deta hain wahin aaj pehli baar vinod ke chehrey par ek umeed ki kiran jaag uthi thi...............

thode der baad ek msg vinod ke mobile par aata hain aur wo us msg ko fir dekhney lagta hain...............

" main...............main ramsingh bol raha hoon malik.................apna dhanda to police walon ne band kar rakha hain..............mere paas paise bhi khatam ho gaye hain.......aap kuch madad kar dijiye nahin to mere parivaar ka kya hoga............." fir udher se awaaz aayi jo ki mohanlaal ki thi..................

" tujhe maine mana kiya tha na mere number par call karney ke liye.................kaisa policewala hain tu...........jo itni si baat nahin samjhata......................wo log tera number trace kiye honge............kisi din marwayega tu............jo bhi baat karni ho mere ghar par shaam ko aa jana...............wahin baithkar baat kar lengey........aur haan sun...............dubara is number pe call mutt kariyo"................. aur phone disconnect ho jata hain wahin vinod ke chehrey par ek vijayi muskaan aa jati hain.............

" beta mohanlaal........................ab to tu gaya kaam se......................aab main bhi dekhta hoon ki tujhe mujhse kaun bachata hain.........................." aur vinod fauran apne saade kapdey pehanta hua seedha apne ghar se bahar nikal jata hain......................police station..................

" ramsingh.....................mere saath aabhi chalo is mohanlaal ke ghar..........................aakhir main bhi to dekhun ki ye seth mohanlaal hain kya cheez..............aur is ram singh ko fauran apni girafft mein le lo.............ram singh ki girafftari ka warrant apne saath lete chalna............ye aab bachna nahin chahiye.................jis kaam ke liye maine isey itne din tak chodha tha wo kaam lagbhag ho gaya..............."aur vinod rajesh ko apni bullet par baithakar seedha mohanlaal ke ghar ki taraf nikal padta hain wahin uske dimag mein fir e bahut se sawal uth rahe they..............

"ye sakshi to badi kamal ki ladki hain ..............ye koi zyotish wagerah janti hain kya jo isey pehle se pata tha ki mujhe is case se judi saboot mil jayengey...............khair jab milegi to itmenaan se poochunga..............." aur vinod sari baatein sochta hua seedha mohanlaal ke ghar ki taraf chal padta hain....................kuch door jane par usey ek bada sa bunglow nazar aata hain...................jo ki seth mohanlaal ka tha................us bunglow ke samney ek bada sa gate tha jahan do pehredaar haath mein gun liye us ghar ka..........ya uske maalik ki pehredari kar rahe they..................poori imandaari se..................

vinod apni bullet ko rokta hua seedha us gate ki taraf chal padta hain jahan do pehredaar bade gaur se vinod ko apni taraf aata hua dekh rahe they............jaise hi vinod gate par pahuncha ek pehredaar usey rokta hua bol pada................

" aap ander nahin jaa sakte...................kaun hain aap..............."wahin vinod mazakiye andaaz mein us watchman ki taraf dekhta hua dheere se bol pada...............

" kya naam hain tumhara .........barkhurdaar.................apne maalik ke talwe chatatey kitne baras beet gaye.............main jo bhi hoon..............wo tumhara janana zaroori nahin bus mujhe tumhare maalik se ek baar milna hain.............jawo aur jakar usey khabar kar do..............." aur vinod apne jeb se sigar nikalta hain aur usey mooh mein rakha hua............fir machis jalakar ek lumbi si kaash leta hain aur sara dhuwaan samney khade us pehredaar ke mooh par chodhney lagta hain..............ye dekhkar wo pehredaar baukhlaa jata hain..........

" ye kya badhtameezi hain...............kaun ho tum................." aur wo watchman gussey se jhalaata hua bol padta hain wahin vinod ko jaise uski baateion ka koi fark nahin padh raha tha...............

" aab kya tumhare baap log ko bhi aise chote mote gundon se milne ki permission leni padegi..............chal hutt..........." aur vinod samney khade us pehredaar ka collar ko pakadta hua usey apne se door kar deta hain aur rajesh ke saath seedha ander daakhil ho jata hain wahin wo pehredaar bus chup chaap se khada tha...............shayad aab uske ander vinod se ulajhney ki aab himmat nahi thi......................

jaise hi vinod ander gaya samney ek bahut bada ground tha................wahin agal bagal kuch ped bhi they..................wahin beechon beech ek mota huuta kutta aadmi baitha hua tha aur uske baju mein do teen log apna haath jodey khade they..................unmein se ek ram singh bhi tha..................jaise hi uski nazar vinod par padti hain uske chehrey ka rang feeka padh jata hain wahin samney seth mohanlaal baitha hua tha......................jab uski nazar vinod aur rajesh par padti hain uske chehrey ka rang utar sa jata hain............vinod to kahin se dekhkar bhi police wala nahin lagta tha magar saath mein rajesh police ki vardi mein tha...............jissey mohanlaal ko ye andaza ho gaya tha ki ye zaroor iska senior officer hain..................

ya fir ye wahi hain jo iska aacha khasa bussiness ko thap kar rakha hain...............vinod bahut ajeeb si nazreion se seth mohanlaal ko ghoor raha tha .............na hi seth kuch keh raha tha.................aur na hi mohanlal................

" arey barkurdaar.....................sara sehar tumhe dhoondhey hum.................gali gali..............aur tum mile is seth ke baagichey mein...........iske gali gali...................!!!!!!!arey wah!!!!!! ye to sher ban gaya..............waise mujhe shayri ka koi shauk nahin magar kabhi kabhi main kar leta hoon...............arey chup kyon ho ramsingh.....................apne seth mohanlaal se mera parichay to karwawo...........dekho main kitni door se milne aaya hoon inse.............aur ek tum ho ki bus mujhe ghoore jaa rahe ho..............ghabrawo nahin main tumhein kha nahin jawunga...................." aur vinod sigar ka kaash kheechta hua apna sir upar ki ore karta hua dheere dheere apne mooh se dhuwaan chodhney lagta hain wahin mohanlaal aur wahan maujood baki log sab usey bahut gaur se dekh rahe they.................

" ye.................vinod hain...........seth.........maine aapko baytaya tha na.............wo murdaghar..........." aur ramsingh itna bolkar chup ho jata hain wahin vinod ke chehrey par hansi aa jati hain..........

" chup kyon ho gaye barkhurdaar.................aab bo hi rahe to to sab kuch saaf saaf bak do..................main bura thodi na manunga..................dekho main is waqt vardi mein bhi nahin hoon............" aur vinod bade gaur se seth mohanlaal ke taraf dekhney lagta hain..........wahin seth kuch der tak khamosh baitha hua tha............

" kaise insaan ho barkhurdaar...............ghar aaye mehmaan ko baithney ke liye bhi nahin poochtey..................." aur vinod khade rehtey hi mohanlaal ki taraf dekhta hua dheere se vyang karta hain...............wahin seth usey aur rajesh ko samney ki kursi par baithney ka ishara karta hain..........

" shukriya barkhurdaar...............waise laashon ka karobaar karte karte aapne itni badi haveli achi khasi bana rakhi hain.................mehnat kum aur aamdani bahut zyada..............magar maine to aapka ye dhandha seal karwa di............to kya socha hain koi naya dhandha shuru karne ke bare mein............" aur vinod kaash leta hua dheere se bol padta hain wahin seth mohanlaal kuch der tak khamosh tha...............

" dekho inspector...............tum yahan naye aaye ho to tum mujhe theek se jante nahin ho...............meri pahunch bahut upar tak hain...............kuch le de ke mamla rafa dafa karo...........tum bhi chain se rahogey.................aur hum bhi................" aur mohanlaal dheere se apni baat khatam karta hain wahin vinod uski baateion ko sunkar hans padta hain...........

" aisa dialogue to main aksar filmon mein sunta aaya hoon.................waah..................maza aa gaya...........sach mein.............aacha nahin janta main tumhare bare mein.................to bata do ki tum kaun ho..............." aur vinod dher sara dhuwaan hawa mein chodhta hua apni baat kehta hain wahin mohanlaal kuch der tak khamosh rehta hain...........vinod apne jeb se mobile nikalta hain aur wo recording ko uske samney chala deta hain jissey mohanlaal ke chehrey ka rang feeka sa padh jata hain.............

"is bare mein tumhara kya khyaal hain barkhurdaar................aab ye mutt kehna ki ye tum nahin bol rahe.............tum si sehar mein jitne bhi illegal drugs heroine,charas ke dhandhey karte ho na..............mujhe sabki khabar hain...............mere paas tumhare khilaaf saboot bhi hain........main to bus ye chahta hoon ki tere sir par kiska haath hain bus mujhe uska naam bata...............kyon ki mujhe aachey se pata hain ki tu sirf mohra hain.................asli badhshaah to koi aur hain......................is baar to main bus tujhse milne aaya hoon..........agli baar jab bhi aawunga tujhe doli mein saath lekar jawunga aur teri aachey se khatirdaari karunga...................filhaal to main tere is chamchey ko le jaa raha hoon............aabhi to iski sewa aachey se karni hain............." aur vinod fauran apni jagah se uth khada hota hain aur ramsingh ka collar pakadta hua ..............usey kheenchta hua seedha apne saath policestation ki ore le chalta hain............

wahin seth mohanlaal khamosh khada bus vinod ko jata hua bus dekh raha tha........gussa to usey bahut aa raha tha magar wo ye baat bahut aachey se janta tha ki police walon par haath uthaney ka matlab kya hota hain..............wahin sabhi log khade khade bus tamasha dekh rahe they........................

*****************************************************************************************

raat ke 12 baj rahe they...........................avni bister par soo rahi thi......................tabhi uske darwaze par dheere se aahat hui..............aur us kamrey ka darwaza dheere se khulta chala gaya..................ek tezz aahat ke saath avni apne bister se hadbadakar uthi to uske baju mein sakshi ko baitha hua paya....................jo humesha ki tarah safed suit mein mayoos baithi hui avni ke sir ke balon ko bade hi pyaar se sehlaa rahi thi.................jab sakshi par uski nazar gayi wo ajeeb si nazreion se apni behan ki taraf ek tuk dekhney lagi..................

"dddddiiddddiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii ......aaappppppppppppp.....................aap to murr chuki hain naa..........................." aur avni kaanptey hue awaz mein dheere se bol padi wahin sakshi bade gaur se avni ke masoom se chehrey ko bus dekhey jaa rahi thi...............

" avni...................main to bus tujhe dekhney aayi hoon................tu ghabra mutt main tujhe kuch nahin karungi.............................jinhone mera ye harsha kiya hain unhein aab bari bari se marna hoga.......................marna hoga................." aur ek tezz awaaz us soonsaan raat mein goonj uthi jo kisi ke dil ko dehlaa dene ke liye bus kafi thi.........wahin avni apne dono kaan par haath rakhi hui................durr se apni aankhein band kar leti hain...........wahin uske aankhon se aansoon nikal pade they..........................dekhna tha ki aane wale waqt ko kya manzoor tha..............

To Be Continued...........................................
 
Top