• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy इच्छाधारी देव

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update - 72

Fir dev aur rudra aate hae apne mahal me. Aur dev waha se bhi ijajat le kar seedha tilism nagri aata hae. isme hi dusri aadhi raat ho chuki thi.

Is samay tilism nagri me sabhi ek saath baethe the.

Dev – dekhiye ab rudra aur mere jane ka samay ho gaya hae. hum log subah hi nikal jayege. Aur baki tum logo me se nagarjun, gurum, aur shalaka tum teeno wo gang ko khangal dalo aur mere aane tak sab jankari ikatthi kar lo. aur ha nagarjun tum hamare ghar ka to dhyan rakhoge hi. Lekin yaha se kuch sainik le jakar unhe haweli pe bhi lagwa lo. jisse koi khatra waha na aane paye. Sare sainik adrashya rahege. Security me kahi koi dheel nahi honi chahiye. Poonam tumahra kya programe hae?

Poonam – dev mae to apne ghar pe hi rahugi gaanv me. Aur bangle pe bhi jati rahugi. Sath hi in dono jagaho ka dhyan rakhugi. Aap kab tak lautege?

Dev – kah nahi sakta. Lekin jaldi aane ki koshish karuga. Tum log chinta mat karna. Chalo abhi so jate hae.

Fir sab log tilism nagri me hi so jate hae aur do dino ki bhagdaud ke baad ab kahi jakar unhe thoda sukun mila tha.

Subah hote hi shuru ho jati hae dev aur rudra ki ek romanchak yatra jisme aage kya hone wala hae ye na to dono ko malum tha na hi fakeer baba ko jisne inhe bheja tha. Ye log waha se adrashya hokar neel sagar ki or nikal padte hae. kintu kuch hi samay baad ye apne aap na chahte hue bhi adrashya awastha se samanya awastha me aa jate hae. ye log is samay ek bahot bade aur anant faile hue jungle ke samne khade the. Bas ek kadam aur inka pravesh us jungle me ho jana tha.

Dono hi ek ajeeb uttejna mahsus kar rahe the kyu ki is yatra me fakeer baba ki pahli bat sach nikli thi ke is van ke aage unki shaktiya kam nahi karegi. Dev ne dradta se rudra ki taraf dekha ankho hi ankho me dono ne nishchay kiya aur apna kadam aage bada hi diya. aur us jungle me pravesh kar gaye. Ye log paedal chale ja rahe the. Dono ek najar dekhne me hi mahaveer najar aa rahe the. Dono ki peeth pe X akar me talware lagi hui thi. Aur kamar me chhoti lekin bahot tej. Steel type ki kulhadiya. Ye dono bahot savdhani se aage badh rahe the. Kintu bahot der chalne ke baad bhi inke samne koi khatra nahi aaya tha. Lekin ye asawdhan ek pal ke liye bhi nahi hue the. Kyu ke dono hi jante the ke yaha aswadhani ka matlab hae durghatna aur ye har mushkil ke liye taiyar the. Aage rudra chal raha tha aur peeche dev. Dono hi charo taraf najar ghumate hue aage chale ja rahe the.

Tabhi eka ek dev ne rudra ko pakad ke peeche khinch liya. Rudra ka sirf ek kadam use mout ki nind sula sakta tha.

Rudra – kya hua bhai?

Dev – pas padi ek moti daal utha ke rudra ke aage fenk di. Jaha rudra ka kadam padne wala tha. Waha daal ke girte hi. Teji se ek khanjro ki bani deewal uth ke teji se khadi hui. yadi waha rudra hota to sare khanjar rudra ke shareer ke aarpar ho jane the.

Deva aur rudra dono ke chehre pe paseena aa gaya.

Rudra – iski maa ka…….. ye kya hae yar.

Deva – ye un logo ka suraksha ka tareeka hae. ab tak sadharan van tha shayad ab van raj ki Seema hae yaha se.

Rudra – to bahanchod koi samne kyu nahi aata. Hum kaun sa unki biwi bhagane aaye hae yaha?

Dev – uttejit mat ho intjar karo wo jarur aayege samne. Aao aage chale lekin sawdhan rahna.

Dono fir se thoda doori se aage badhe hi the ke kai sare teer unke paero ke paas aakar gire. Aur jaha teer gire waha ki jameen kali ho gayi

Rudra – sala jahar wale teer hae ye to. Hare patte kale pad gaye dev.

Dev – ha dekha maene. ……………

Dev chilla ke - kaun hae samne aao agar mukabla karna chahte ho to.

……………………………….koi awaz nahi

Dev – chhupkar waar karna kayarta hae. hum ladne se nahi darte na hi marne se na maarne se. himmat hae to samne aao.

…….. kaun ho tum log yaha hamare jungle me kyu aaye ho?

Dev – chhipkar baat kyu karte ho himmat hae to samne aao hum seena tan ke tumhare jungle me khade hae aur tum apne hi jungle me chip kar baethe ho. Aese hi ise apna jungle kahoge kya?

………itna bolne ki awshyakta nahi. Hum chahe to abhi tum dono ko mout ki nind sula sakte hae. apna parichay do.

Rudra – aji haa… halwa hae kya koi mout ki nind sula dege. Abe hat…

………. Tum logo ko baat karne ka tareeka sahi nahi hae.

Rudra – aur tera tareeka bada sahi hae? bina pooche bina mile mout ki dhamki deta hae kayar. Himmat hae to samne aa na, darta hae kya humse?

Tabhi charo taraf ke pedo se kai sare log hathiyaro ke saath kood padte hae. aur samne se ek lamba tagda shaks jiski kamar pe ghutno tak pattiyo ki chadar bandhi thi samne aakar khada ho jata hae.

………… mae hu is sena ka senapati kunga aur ab mae tumahre samne hu ab bolo.

Rudra – hmmmm senapati kunga, hum do logo ko itne sare sainiko se gher kar bada akad rahe ho kya tumhe apni taqat par bharosa nahi? Ya tumhe ye pata chal gaya hae ke tum hamara samna nahi kar paoge?

Kunga – murkh ye yaha ke prahri hae. aur mae inka sardar hu. Hamara kaam hae ajnabiyo ko yahi pe rokna.

Deva – to kya tumahre maharaj ne tumhe ye aagya bhi de rakhi hae ke bina baat kiye bina pooche tum kisi ki bhi hatya tak kar dalo? Tumne hum se koi bhi baat kiye bina hum par do jan lewa hamle kiye kya ye baat tumahre maharaj ki aagya se hui?

Kunga – chhoti chhoti bato ki aagya hum maharaj se nahi lete hum khud sambhal lete hae.

Rudra – yahi baat maharaj ke samne kah kar dikha dena guru man jauga mae tumhe.

Kunga – tum log bekar me apna aur mera samay barbad kar rahe ho. Tum logo ki koi aukat nahi maharj ke samne khade hone ki mujhse baat karo.

Rudra – abe aukat ki kya baat karta hae bhainse? Hamari to wo haisiyat hae. ke tere jaese hamare paer dabate hae samjha.

Kunga - lagta hae tum log aese nahi manoge tumhe apni jaan pyari nahi hae.

Rudra – abe jaan to sabko pyari hoti hae. lekin ha hame tumse koi pyar nahi aage bada to tujhe yahi sula dalege tameej se baat kar le.

Dev jor se chilla ke – HEY VAN RAAJ YADI AAPKE SAINIKO ME SE KOI MARA JATA HAE TO HUM DOSHI NAHI HOGE AAKRAMAN YE KARNE JA RAHE HAE HAM NAHI.

Kunga deva ki awaz sun ke haeran rah jata hae aur uske bhi maathe pe paseena aa jata hae kyu ki deva ki awaj poore jungle me bahot door tak goonj gayi thi.

Kunga - maro inko, dono me se koi bachne na paaye.

Kunga ki aawaz se sabhi satark ho kar dev aur rudra pe aakraman kar dete hae lekin dev aur rudra ne chalang lagakar khud ko ped ke peeche kar diya jisse un tak koi teer na aa paye. To sainiko ne apni talware khinch li aur un dono ki taraf lapke jaese hi wo un pedo ke pas pahuche waha na to rudra tha na dev. Sainik haeran ho gaye aur yaha waha dekhne lage tabhi upar se rudra kooda pas khade charo sainiko ke beech kood kar apni kulhadi liye hue teji se ghum gaya charo sainiko ki tango me lambe ghaav ban gaye. Aur charo apne paer pakad ke jameen pe gir pade. Idhar dev bhi upar se kooda aur aur jo sainik us ke pas khade the unme se do ki peeth pe talwar se waar kiya aur do ki tango pe uske paas ke bhi charo sainik jameen pe tadapne lage tabhi kunga ne apne dono hatho me talware nikal li aur rudra aur dev ke beech me khada ho gaya.

Dev – rudra samajh le iske saath ldna hae jan se nahi marna

Dev ne apni talwar apni peeth me wapas fansa kar wahi pade ek toote ped par baeth gaya.
Damdaar update hai mitr.
 
Boby

Well-Known Member
2,798
13,165
159
Update - 73

Dev – shoorviro mukabla shuru karo.

Rudra aur kunga aamne samne the. Kunga ne bharpoor waar kiya rudra par lekin rudra ek chalave ki trarah apni jagah chhod chuka tha. Aur kunga ki peeth ki taraf aakar apni chhoti kulhadi se halka waar kiya to kunga ki peeth pe bandha uska kawach aur usme lagi dhal kat ke gir gayi. Kunga upar se nanga ho gaya.

Kunga ne gusse me palatkar fir rudra pe waar kiya lekin rudra ne ek high jump lekar kunga ka waar nikal liya aur uske sir pe war kiya ab kunga ke sir pe jo mukut tha wo bhi jameen pe tha. Kunga ka gussa badta ja raha tha. Usne gusse me dono talware bijli ki teji se ghumani chalu kar di. Lekin rudra apni furti se kunga ka har war bachata raha. Tabhi kunga ne ek jordar waar kiya us samay rudra ek ped tak ja pahucha tha ab uske paas na to upar jump karne ki jagah thi na peeche sarakne ki.

Jaese hi kunga ne waar kiya rudra halka sa ek taraf hua kyu ki jyada jagah thi nahi waha. Kunga ki talwar ped ke tane me jakar dhans gayi bas tabhi rudra ne us talwar pe apna pair rakh kar ek jordar kohni ka war kunga ke mooh pe kiya aur kunga talwar chhod door ja gira par ab bhi uske haath me ek talwar baki thi.

Rudra ne badi furti se kunga tak ek jump mari aur apni kulhadi se halke waar kiye jo kunga ke shareer ko haki kharoch dete hue nikal gaye lekin fir bhi kunga ke shareer se khoon to bahne hi laga uske mooh se bhi khoon bahne laga tha.

Tabhi kunga ne fir apna talwar wala hath lahraya to rudra ne use apni kulhadi se rok kar ek laat uski chhati me maar di. Aur ab rudra ne apni wo ek matra kulhadi bhi wapas apni kamar me fansa li. Aur nihathha hi kunga ki taraf bada lekin kunga furti se jump le kar khada hua aur rudra pe talwar ka waar kiya lekin rudra ne badi furti se apne hatho ko X akar me kar ke kunga ka talwar wala hath jakad kar twist kar diya jisse uske kandhe se halki si kadk ki aawa aayi aur uska kandha sarak gaya. Aur hath se talwar nikal gayi.

Dev – bas kunga teri tamanna poori hui ham yaha ke dushman nahi lekin tumne hame ladne pe majbur kiya isiliye hamen ladai ki. Ye bat maene tumahre maharaj tak bhi pahucha di. Ab hamara koi dosh nahi. Kyu ki aatma raksha ka adhikar sabke pas ek saman hota hae. par jaesa ki maeen kaha hum tumahre ya van raj ke ye is jungle ke dushman nahi isliye hum tumhe ya in sainiko ko maar nahi rahe hae. ab hame maharaj ke paas le chalo.

Kunga garden jhukaye uthkar khada hua aur apne jakhmi hath ko dusre haath se pakad kar mooh latkaye aage chalne laga. Thodi der tak chalne ke baad kunga bahot ghani jhadiyo e paas jakar ruk gaya. Aur apni bhasha me kuchh kaha. Uski baat poori hote hi. Wo jhadiya apni jagah se yu sarak gayi jaese remote se khulne wala darwaja ho. Sab logo ne andar pravesh kiya. Andar to ek bahot sundar nagri basi hui thi. Jiski kalpna bhi koi nahi kar sakta aur bahar se dekhne pe koi kah nahi sakta tha ki in jhadiyo ke peeche ek bahot bada nagar basa hua hae.

Dev aur rudra badi bareeki se sab kuch dekhte hue aage chale ja rahe the. Har taraf waha nagrik the jinki aankho me kunga ki halat dekh kar jaha ascharya tha wahi do ajnabiyo ko dekh kar utsukta.

Ek lambe safar ke baad ye log rajmahal ke pas pahuchte hae. ek sainik bahar aata hae.

Sainik aap sab andar jaiye maharaj aap logo ki hi raah dekh rahe hae.

Aage aage kunga aur peeche dev aur rudra rajdarbar me pahuchte hae. andar rajdarbar bahot hi khoobsurti se saja hua tha. Waha charo taraf hariyali thi ek ajeeb manmohak sungandh jo shayad waha lage hue phoolo se hi aa rhai thi. Do teen jharne bhi waha se dikh rahe the. Kul milakar drishya bahot khoobsurat tha.

Samne rajgaddi pe vanraaj baethe the. Unki aankho me is samay krodh tha.

Vanraj – kunga baki baate baad me. Lekin tum itne asabhya kaese ho gaye. Ke atithi se pooche bina us par akraman kar diya?

Kunga – maharj hamne inse poocha tha lekin ye hi dono jawab nahi de rahe the.

Vanraj – nahi kunga inse baat karne se pahle hi tumne khanjar deewar ka akraman inpar kiya wo galat tha. Mana ki inhone hamare sainiko pe hamla kiya lekin shuruat tumne ki jo galat hae. tum inki lashe le aate. Lekin pahle inse pooch to lete ki ye kaun hae yaha kyu aaye hae. uske baad tumahra har kadam sahi kahlata. Tumahri galti siddh hoti hae. isiliye hum tumhe dand dege. Kintu tum ek kartavyanishth sevak ho isiliye is bar dand mamooli hi denge. Lekin aainda ke liye aesi galti hui to mrityu kea lava koi dand sochna bhi mat. To tumhe agle aadesh tak senapati ke pad se hataya jata hae. aur tumahre sevak manka ko naya senapati banaya jata hae. lekin yaad rahe kunga. Ye tumahri pahli galti thi isiliye dand kathor nahi tha. Aage kabhi aesa kuch hua to tumhe hum swayam mrityu dand denge. ………

…………. Hey yuvak tumahri awaz hamare kano tak pahuch gayi thi. Lekin hame hamare us senapati ko bhi janchna tha. Isiliye humne koi hastkshep nahi kiya. Ab tum hame apna yaha aane ka karan batao. Aur saath hi ye bhi ke tum dono veer kaun ho?

Dev - pranam vanraj. Mera nam dev singh hae. mae nag lok ka yuvraj hu. Aur ye mera param mitra rudra hae. ham ek vishesh karya se apne guru ki aagya se neel sagar ja rahe the kintu unhone bhi bataya tha ki aapse bhent kiye bina neel sagar tak jana sambhav nahi. Hum to swayam aapse milne ke liye vyakul the. Lekin usse pahle ye sab ho gaya. Ham kshama chahte hae.

Vanraj – nahi dev singh aap kshama mat mangiye galti hamari taraf se hui hae. aap dono yaha hamare nikat aasan grahan kijiye aur baeth kar vistar se sab bataiye.

Fir rudra aur dev vanraj ke pas rakhi kursiyo pe baeth jate hae.

Dev – maharj hame hamari nagri ki suraksha heto neel sagar se kuchh lana hae. aur waha pahuchne ke liye. Hame aapki sahayta chahiye.

Vanraj - dev singh ji kya mae jan sakta hu ke neel sagar se aap kya lene ja rahe hae?

Dev – kshama maharaj kintu ye to hum swayam nahi jante anyatha aapko bata deta mae.

Vanraj – kyu aapke guruji ne aapko bataya nahi ?

Dev – unhone bas ye kaha ki ham yaha tak pahuch jaye aage aapse sahayta ke liye prathna kare.

Van raj – chalo man liya kintu mae aapki sahayta kyu karu? Aapne to aate hi hamare sainiko ko ghayal kiya hae.

Rudra – beech me bolne ke liye kshama chahuga maharaj kintu abhi aapne hi sweekar kiya ke galti hamari nahi thi. Aur maharj hum to ek duje ko jante bhi nahi. Hamari koi shatruta bhi nahi. Ham par janleva hamla hua uske badle me yadi hum un sainiko ka vadh bhi kar dete to bhi hum nirdosh hi kahlate . kintu hamne sirf unhe ghayal kar ke kinare baetha diya wo bhi kuch samay ke liye unme se kisi ki bhi jaan nahi li. Kya isse ye siddh nahi hota ke hamare man me aap logo ke liye koi shatruta nahi hae.

Vanraj – rudra aapka tark upyukt hae. isi wajah se hamne apne senapati ko dand bhi diya hae. lekin sawal fir bhi wahi hae ke hum aapki sahayta kyu kare. Ye aapki samasya hae aap swayam ise suljhaiye. Ha jaha tak prashn hae yaha se neel sagar jane ka to wo aap jab chahe ja sakte hae. Aapko koi bhi aage jane se nahi rokega. Na hi wapsi me koi pareshani hogi aapko . ye hamara vada hae aapse.

Dev – vanraj yu to har jeev apne liye jeeta hae. lekin dusro ki sahayta karne ka awsar kismet se milta hae. bhala aap kaha yaha van me aur hum kaha apne lok me. Lekin niyati ne hame milaya to kya ye ishara nahi ke hame bhi samajhdari ka parichay dete hue hath milana chahiye.

Vanraj – lekin dev isme hamar kya fayda hoga?

Dev – vanraj aap raja hae. ye poora van aapke aadheen hae. bhala is waqt mae aapko kya de sakta hu? Aur fir kya jis sahayta me koi fayda na ho waha sahayta nahi karni chahiye.

Rudra – vanraj fayda dekh kar jo kiya jaye use sahayta nahi sauda kahte hae. aur ham yaha aapse sauda karne nahi sahayta lene aaye hae. aur vidhi ka vidhan hae ke mangne wale se dene wala hamesha hi bada kahlata hae. to kya aapko nahi lagta ke aapko bhi apne badappan ka parichay dena chahiye.

Vanraj – aap dono ne hamara dil jeet liya dev, rudra hum aap dono se behad prasann hae. hum aap dono ki sahayta awashya karege. Aaiye bhojan kar liya jaye.

Fir sab log bhojan karte hae. waha vanraj deva se naglok ke bare me bahot kuch janta hae aur khush bhi hota hae
 
Last edited:

Top