Priy mitron,
Laghbhg 3 hafte pahle meri mata ji ke left paaonv ki pindli mein circular area mein skin sakht mehsoos ho rahi thi. Maa ne kaha ki uthte samay shayd muscle khinch gai hai jis karan unhein us jgh dard ho raha hai. Maine unki baat maante hue us jagah par omnigel laga di, parantu raat ko 1-2 baje ke aas-paas unhein bukhaar chadh gya. Agki subah unhien chaay-buiscuit khila kar maine unhein crocin di or dheere-dheere unka bukhaar km hua par raat hone par body temperature fir se 99 degree paunch gya. Maine raat ko bhi sote samay crocin de di jis karan raat mein unhein bukhaar nahin hua.
Agle din maine maa ko pindli ki usi jagah par senk diya jahan circular area mein skin sakht ho gai thi. Prntu maa ka kahna tha ki senk se kuch jyada laabh nahin hua. Uske agle din bhi usi jagah par drd tha prntu raat ke samya maine gaur kiya to paya ki us jagah par ek safed dana hai. Ye dana kuch-kuch aisa hi tha jaise humare chehre par pimple aane par dana hota hai jise hm fod dete hain.
Maine maa se dard ke baare mein adhik poocha to unhone btaya ki unhein dard pindli ki muscle mein nahin balki skin mein ho raha tha! Maine decide kiya ki agle din main doctor se consult karunga. Lekin agle din subah maine dekha ki jis jgaha raat ko safed sa dana tha us jagah par ek laal rangh ka ubhaar ho gya hai jo ki kisi bhi samay foot sakta hai! usmein se thoda-thoda risaav bhi hone laga tha atah maine foran doctor ko consult kiya or unhone antibiotic or ek betnovate GM cream likh di. 2-3 din dwaai khaa kar adhik laabh nahin ho raha tha upar se maa ka kahna tha ki dwaaiyan hard hain jis karan unhein kamjori lag rahi hai isliye unhone dwaai khaani bnd kar di! Iske saath hi maa ko ab khana khaane ka man nahin kar raha tha!
Maine dubara doctor sahab se consult kiya to unhone kaha ki unhone koi hard dwaai nahin di hai. Maine unhen btaya ki maa ko khaane ki ichha nahin h orahi to unhone kaha ki jab tak ye jkhm nahin bhrta tab tak unhien aisa hi lagega.
Ab maa ne kasam kha li thi ki unhone dwai nahin khaani isliye maine ek DERMATOLOGIST ko consult kiya. In doctor sahab ne ek cream or ek goli likhi. Prantu dwai ke dosage khane ke baad hi maa ki dono hateliyon mein khujli shuru ho gai! Maine turant doctor ko report kiya to unhone dwaai badal di magar ab meri maa ne fir se mana kar diya ki maine dwaai nahin khaani! Unka kahna tha ki bas cream lgaa or maine koi dwai nahin khaani.
Iske saath hi maa ne ab khana bhi kam kar diya tha! 2-3 din bete or fir ek din subah achank maa ko ulti hui! Ulti karte hue unki gardandaein trf mud gai thi or wo pani grdn hila nahin paa rahin thin! Ye drishy dekh kar mere praan niklne lage the or badi mushqil se maine unhein sambhala, Chunki maa jyada khaa nhin rhain thin isliye ulti ke samay kuch nahin nikla, bas paani hi nikla!
Pichhle shanivaar ko dopahar ke baad se meri maa ki peth mein jalan shuru hui or shaam hote-hote ye jalan badhti gai! Maine dusre dermatologist ko consult kiya to unhone ek lotion or goli likh di. Raat ko lotion lgaane ke bawajood maa ko zara bhi araam nahin mila or wo raat unhone dard se tadapte hue kaati! Agli subah maine us doctor ko message kar bataya ki kya haal hai magar doctor mila 8 baje. Maine jaldibaaji mein teesre dermatologist ko consult kiya to unhone btaya ki shayad maa ki sugar badi hui hai jis karan unhen ye jalan ho rahi hai. Unhone kaha ki mujhe maa ke sugar waale tests karwane chahiye. Filhal ke liye unhone ek dwaai likh di jisse jalan se araam mlta or ek Vitamin B12 ki dwaai bhi likh di.
8 baje meri us doctor se baat hui jinhone Saturday ko lotion likha tha, unhone kaha ki cream or ek goli de raha hun. Isse araam nahin mila to inko kisi clinic mein le ja kar dikhao! In par vishwaas kar maine cream lgaai or goli di jisse din ke samay to maa ko araam mila or wo chain se soin magar raat ke samy is lotion ka koi fayda nahin hua! Nateejan fir tdapate hue maa-beton ne raat kaati.
Somwar ko maa ki halat aisi thi ki unhein kamjori ho rahi thi, peeth mein jalan ho rahi thi jo ki din ke samy to shaant rahti thi magar shaam hote hi badhne lagti thi or raat mein to qahar barsaati thi. Maine maa se kaha ki test karwaate hain magar maa ne kaha ki mujhse itni der baitha nahin jayega isliye pahle mujhe thoda theek hone de fir karwa liyo.
Kal ke din shaam ko maine ek general physician ko consult kiya or unse kaha ki wo maa ko bhookh lagne waali dwaai dein tatha taqat ke liye dwaai dein. Uhone dwaai likhi or wo dwaai abhi chal rahi hai. Aaj bhi maa ko bahut kamjori hai, upar se sara samy lete rahne se kamar mein drad, dono taangon mein dard, dono hathon mein dard hai. Sara samay maa sote hue nikaal rahi hain or main ghar ke kaam karte hue.
Aap sabhi mitron se prarthna hai ki aap meri maa ke jaldi swasth hone ki prarthna karte rahein!
Is samay main bilkul akela hun or mujh mein cheejein sambhaalne ki shaqti nahin bachi!